aankh se duur na ho dil se utar ja.ega vaqt ka kya hai guzarta hai guzar ja.ega itna manus na ho khalvat-e-gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega to Dar ja.ega Dubte Dubte kashti ko uchhala de duun main nahin koi to sahil pe utar ja.ega zindagi teri ata hai to ye jaane vaala teri bakhshish tiri dahliz pe dhar ja.ega zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraz' zalim ab ke bhi na ro.ega to mar ja.ega ashiqi men 'mir' jaise khvab mat dekha karo bavle ho jaoge mahtab mat dekha karo jasta jasta paDh liya karna mazamin-e-vafa par kitab-e-ishq ka har baab mat dekha karo is tamashe men ulaT jaati hain aksar kashtiyan Dubne valon ko zer-e-ab mat dekha karo mai-kade men kya takalluf mai-kashi men kya hijab bazm-e-saqi men adab adab mat dekha karo ham se durveshon ke ghar aao to yaron ki tarah har jagah khas-khana o barfab mat dekha karo mange-tange ki qaba.en der tak rahti nahin yaar logon ke laqab-alqab mat dekha karo tishnagi men lab bhigo lena bhi kaafi hai 'faraz' jaam men sahba hai ya zahrab mat dekha karo ab aur kya kisi se marasim baDha.en ham ye bhi bahut hai tujh ko agar bhuul jaa.en ham sahra-e-zindagi men koi dusra na tha sunte rahe hain aap hi apni sada.en ham is zindagi men itni faraghat kise nasib itna na yaad aa ki tujhe bhuul jaa.en ham tu itni dil-zada to na thi ai shab-e-firaq aa tere raste men sitare luTa.en ham vo log ab kahan hain jo kahte the kal 'faraz' he he khuda-na-karda tujhe bhi rula.en ham ab ke ham bichhDe to shayad kabhi khvabon men milen jis tarah sukhe hue phuul kitabon men milen DhunDh ujDe hue logon men vafa ke moti ye khazane tujhe mumkin hai kharabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yar men shamil kar lo nashsha baDhta hai sharaben jo sharabon men milen tu khuda hai na mira ishq farishton jaisa donon insan hain to kyuun itne hijabon men milen aaj ham daar pe khinche ga.e jin baton par kya ajab kal vo zamane ko nisabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai 'faraz' jaise do shakhs tamanna ke sarabon men milen ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan janan yaad kya tujh ko dila.en tira paiman janan yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai kis qadar jald badal jaate hain insan janan zindagi teri ata thi so tire naam ki hai ham ne jaise bhi basar ki tira ehsan janan dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi dil ki kya baat karen dil to hai nadan janan avval avval ki mohabbat ke nashe yaad to kar be-piye bhi tira chehra tha gulistan janan akhir akhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin rag-e-mina sulag uTThi ki rag-e-jan janan muddaton se yahi aalam na tavaqqo na umiid dil pukare hi chala jaata hai janan janan ham bhi kya saada the ham ne bhi samajh rakkha tha gham-e-dauran se juda hai gham-e-janan janan ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran janan sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban janan har koi apni hi avaz se kaanp uThta hai har koi apne hi saa.e se hirasan janan jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagta hai shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan janan ab tira zikr bhi shayad hi ghazal men aa.e aur se aur hue dard ke unvan janan ham ki ruThi hui rut ko bhi mana lete the ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran janan hosh aaya to sabhi khvab the reza reza jaise uDte hue auraq-e-pareshan janan ab kya sochen kya halat the kis karan ye zahr piya hai ham ne us ke shahr ko chhoDa aur ankhon ko muund liya hai apna ye sheva to nahin tha apne gham auron ko saunpen khud to jagte ya sote hain us ko kyuun be-khvab kiya hai khilqat ke avaze bhi the band us ke darvaze bhi the phir bhi us kuche se guzre phir bhi us ka naam liya hai hijr ki rut jan-leva thi par ghalat sabhi andaze nikle taaza rifaqat ke mausam tak main bhi jiya huun vo bhi jiya hai ek 'faraz' tumhin tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho varna aksar dil valon ne dard ka rasta chhoD diya hai ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye bol ai hava-e-shahr kidhar jaana chahiye kab tak isi ko akhiri manzil kahenge ham ku-e-murad se bhi udhar jaana chahiye vo vaqt aa gaya hai ki sahil ko chhoD kar gahre samundaron men utar jaana chahiye ab raftagan ki baat nahin karvan ki hai jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye kuchh to subut-e-khun-e-tamanna kahin mile hai dil tahi to aankh ko bhar jaana chahiye ya apni khvahishon ko muqaddas na jante ya khvahishon ke saath hi mar jaana chahiye abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain 'faraz' ab zara lahja badal ke dekhte hain juda.iyan to muqaddar hain phir bhi jan-e-safar kuchh aur duur zara saath chal ke dekhte hain rah-e-vafa men harif-e-khiram koi to ho so apne aap se aage nikal ke dekhte hain tu samne hai to phir kyuun yaqin nahin aata ye baar baar jo ankhon ko mal ke dekhte hain ye kaun log hain maujud teri mahfil men jo lalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain ye qurb kya hai ki yak-jan hue na duur rahe hazar ek hi qalib men Dhal ke dekhte hain na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui so ab ke donon hi chalen badal ke dekhte hain ye kaun hai sar-e-sahil ki Dubne vaale samundaron ki tahon se uchhal ke dekhte hain abhi talak to na kundan hue na raakh hue ham apni aag men har roz jal ke dekhte hain bahut dinon se nahin hai kuchh us ki khair khabar chalo 'faraz' ko ai yaar chal ke dekhte hain agarche zor havaon ne Daal rakkha hai magar charagh ne lau ko sambhal rakkha hai mohabbaton men to milna hai ya ujaD jaana mizaj-e-ishq men kab e'tidal rakkha hai hava men nashsha hi nashsha faza men rang hi rang ye kis ne pairahan apna uchhal rakkha hai bhale dinon ka bharosa hi kya rahen na rahen so main ne rishta-e-gham ko bahal rakkha hai ham aise sada-dilon ko vo dost ho ki khuda sabhi ne vada-e-farda pe Taal rakkha hai hisab-e-lutf-e-harifan kiya hai jab to khula ki doston ne ziyada khayal rakkha hai bhari bahar men ik shakh par khila hai gulab ki jaise tu ne hatheli pe gaal rakkha hai 'faraz' ishq ki duniya to khub-surat thi ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal rakkha hai aisa hai ki sab khvab musalsal nahin hote jo aaj to hote hain magar kal nahin hote andar ki fazaon ke karishme bhi ajab hain menh TuuT ke barse bhi to badal nahin hote kuchh mushkilen aisi hain ki asan nahin hotin kuchh aise muamme hain kabhi hal nahin hote sha.istagi-e-gham ke sabab ankhon ke sahra namnak to ho jaate hain jal-thal nahin hote kaise hi talatum hon magar qulzum-e-jan men kuchh yad-jazire hain ki ojhal nahin hote ushshaq ke manind ka.i ahl-e-havas bhi pagal to nazar aate hain pagal nahin hote sab khvahishen puuri hon 'faraz' aisa nahin hai jaise ka.i ash.ar mukammal nahin hote aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise tera milna bhi juda.i ki ghaDi ho jaise apne hi saa.e se har gaam laraz jaata huun raste men koi divar khaDi ho jaise kitne nadan hain tire bhulne vaale ki tujhe yaad karne ke liye umr paDi ho jaise tere mathe ki shikan pahle bhi dekhi thi magar ye girah ab ke mire dil men paDi ho jaise manzilen duur bhi hain manzilen nazdik bhi hain apne hi paanv men zanjir paDi ho jaise aaj dil khol ke ro.e hain to yuun khush hain 'faraz' chand lamhon ki ye rahat bhi baDi ho jaise ajab junun-e-masafat men ghar se nikla tha khabar nahin hai ki suraj kidhar se nikla tha ye kaun phir se unhin raston men chhoD gaya abhi abhi to azab-e-safar se nikla tha ye tiir dil men magar be-sabab nahin utra koi to harf lab-e-charagar se nikla tha ye ab jo aag bana shahr shahr phaila hai yahi dhuan mire divar-o-dar se nikla tha main raat TuuT ke roya to chain se soya ki dil ka zahr miri chashm-e-tar se nikla tha ye ab jo sar hain khamida kulah ki khatir ye aib bhi to ham ahl-e-hunar se nikla tha vo qais ab jise majnun pukarte hain 'faraz' tiri tarah koi divana ghar se nikla tha avval avval ki dosti hai abhi ik ghazal hai ki ho rahi hai abhi main bhi shahr-e-vafa men nau-varid vo bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhi main bhi aisa kahan ka zud-shanas vo bhi lagta hai sochti hai abhi dil ki varaftagi hai apni jagah phir bhi kuchh ehtiyat si hai abhi garche pahla sa ijtinab nahin phir bhi kam kam supurdagi hai abhi kaisa mausam hai kuchh nahin khulta bunda-bandi bhi dhuup bhi hai abhi khud-kalami men kab ye nashsha tha jis tarah ru-ba-ru koi hai abhi qurbaten laakh khub-surat hon duriyon men bhi dilkashi hai abhi fasl-e-gul men bahar pahla gulab kis ki zulfon men Tankti hai abhi muddaten ho ga.iin 'faraz' magar vo jo divangi ki thi hai abhi dost ban kar bhi nahin saath nibhane vaala vahi andaz hai zalim ka zamane vaala ab use log samajhte hain giraftar mira sakht nadim hai mujhe daam men laane vaala sub.h-dam chhoD gaya nik.hat-e-gul ki surat raat ko ghuncha-e-dil men simaT aane vaala kya kahen kitne marasim the hamare us se vo jo ik shakhs hai munh pher ke jaane vaala tere hote hue aa jaati thi saari duniya aaj tanha huun to koi nahin aane vaala muntazir kis ka huun TuuTi hui dahliz pe main kaun aa.ega yahan kaun hai aane vaala kya khabar thi jo miri jaan men ghula hai itna hai vahi mujh ko sar-e-dar bhi laane vaala main ne dekha hai baharon men chaman ko jalte hai koi khvab ki tabir batane vaala tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraz' dost hota nahin har haath milane vaala dukh fasana nahin ki tujh se kahen dil bhi maana nahin ki tujh se kahen aaj tak apni bekali ka sabab khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se dostana nahin ki tujh se kahen ek tu harf-e-ashna tha magar ab zamana nahin ki tujh se kahen qasida ham faqir logon ka ik Thikana nahin ki tujh se kahen ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost ab-o-dana nahin ki tujh se kahen ab to apna bhi us gali men 'faraz' aana jaana nahin ki tujh se kahen guftugu achchhi lagi zauq-e-nazar achchha laga muddaton ke baad koi ham-safar achchha laga dil ka dukh jaana to dil ka mas.ala hai par hamen us ka hans dena hamare haal par achchha laga har tarah ki be-sar-o-samaniyon ke bavajud aaj vo aaya to mujh ko apna ghar achchha laga baghban gulchin ko chahe jo kahe ham ko to phuul shakh se baDh kar kaf-e-dildar par achchha laga koi maqtal men na pahuncha kaun zalim tha jise tegh-e-qatil se ziyada apna sar achchha laga ham bhi qaa.el hain vafa men ustuvari ke magar koi puchhe kaun kis ko umr bhar achchha laga apni apni chahaten hain log ab jo bhi kahen ik pari-paikar ko ik ashufta-sar achchha laga 'mir' ke manind aksar ziist karta tha 'faraz' tha to vo divana sa sha.ir magar achchha laga har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe kis ko sairab kare vo kise pyasa rakkhe umr bhar kaun nibhata hai ta.alluq itna ai miri jaan ke dushman tujhe allah rakkhe ham ko achchha nahin lagta koi hamnam tira koi tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rakkhe dil bhi pagal hai ki us shakhs se vabasta hai jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe kam nahin tama-e-ibadat bhi to hirs-e-zar se faqr to vo hai ki jo diin na duniya rakkhe hans na itna bhi faqiron ke akele-pan par ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakkhe ye qana.at hai ita.at hai ki chahat hai 'faraz' ham to raazi hain vo jis haal men jaisa rakkhe hava ke zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya charagh ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya pukarte rahe mahfuz kashtiyon vaale main Dubta hua dariya ke paar utar bhi gaya ab ehtiyat ki divar kya uThate ho jo chor dil men chhupa tha vo kaam kar bhi gaya main chup raha ki isi men thi afiyat jaan ki koi to meri tarah tha jo daar par bhi gaya sulagte sochte viran mausamon ki tarah kaDa tha ahd-e-javani magar guzar bhi gaya jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta jo naam lab pe raha zehn se utar bhi gaya phaTi phaTi hui ankhon se yuun na dekh mujhe tujhe talash hai jis shakhs ki vo mar bhi gaya magar falak ko adavat usi ke ghar se thi jahan 'faraz' na tha sail-e-gham udhar bhi gaya hui hai shaam to ankhon men bas gaya phir tu kahan gaya hai mire shahr ke musafir tu miri misal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahra huun tira khayal ki shakh-e-chaman ka taa.ir tu main janta huun ki duniya tujhe badal degi main manta huun ki aisa nahin ba-zahir tu hansi-khushi se bichhaD ja agar bichhaDna hai ye har maqam pe kya sochta hai akhir tu faza udaas hai rut muzmahil hai main chup huun jo ho sake to chala aa kisi ki khatir tu 'faraz' tu ne use mushkilon men Daal diya zamana sahab-e-zar aur sirf sha.er tu is qadar musalsal thiin shiddaten juda.i ki aaj pahli baar us se main ne bevafa.i ki varna ab talak yuun tha khvahishon ki barish men ya to TuuT kar roya ya ghazal-sara.i ki taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat men aaj un se majburan taaza ashna.i ki ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se tu ne kis ghaDi zalim meri ham-nava.i ki tark kar chuke qasid ku-e-na-muradan ko kaun ab khabar laave shahr-e-ashna.i ki tanz o ta.ana o tohmat sab hunar hain naseh ke aap se koi puchhe ham ne kya bura.i ki phir qafas men shor uTTha qaidiyon ka aur sayyad dekhna uDa dega phir khabar riha.i ki dukh hua jab us dar par kal 'faraz' ko dekha laakh aib the us men khu na thi gada.i ki is se pahle ki be-vafa ho jaa.en kyuun na ai dost ham juda ho jaa.en tu bhi hiire se ban gaya patthar ham bhi kal jaane kya se kya ho jaa.en tu ki yakta tha be-shumar hua ham bhi TuTen to ja-ba-ja ho jaa.en ham bhi majburiyon ka uzr karen phir kahin aur mubtala ho jaa.en ham agar manzilen na ban paa.e manzilon tak ka rasta ho jaa.en der se soch men hain parvane raakh ho jaa.en ya hava ho jaa.en ishq bhi khel hai nasibon ka khaak ho jaa.en kimiya ho jaa.en ab ke gar tu mile to ham tujh se aise lipTen tiri qaba ho jaa.en bandagi ham ne chhoD di hai 'faraz' kya karen log jab khuda ho jaa.en jab bhi dil khol ke ro.e honge log aram se so.e honge ba.az auqat ba-majburi-e-dil ham to kya aap bhi ro.e honge sub.h tak dast-e-saba ne kya kya phuul kanTon men piro.e honge vo safine jinhen tufan na mile na-khudaon ne Dubo.e honge raat bhar hanste hue taron ne un ke aariz bhi bhigo.e honge kya ajab hai vo mile bhi hon 'faraz' ham kisi dhyan men kho.e honge jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho ai jan-e-jahan ye koi tum sa hai ki tum ho ye khvab hai khushbu hai ki jhonka hai ki pal hai ye dhund hai badal hai ki saaya hai ki tum ho is diid ki saa.at men ka.i rang hain larzan main huun ki koi aur hai duniya hai ki tum ho dekho ye kisi aur ki ankhen hain ki meri dekhun ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho ye umr-e-gurezan kahin Thahre to ye janun har saans men mujh ko yahi lagta hai ki tum ho har bazm men mauzu-e-sukhan dil-zadagan ka ab kaun hai shirin hai ki laila hai ki tum ho ik dard ka phaila hua sahra hai ki main huun ik mauj men aaya hua dariya hai ki tum ho vo vaqt na aa.e ki dil-e-zar bhi soche is shahr men tanha koi ham sa hai ki tum ho abad ham ashufta-saron se nahin maqtal ye rasm abhi shahr men zinda hai ki tum ho ai jan-e-'faraz' itni bhi taufiq kise thi ham ko gham-e-hasti bhi gavara hai ki tum ho jo ghair the vo isi baat par hamare hue ki ham se dost bahut be-khabar hamare hue kise khabar vo mohabbat thi ya raqabat thi bahut se log tujhe dekh kar hamare hue ab ik hujum-e-shikasta-dilan hai saath apne jinhen koi na mila ham-safar hamare hue kisi ne gham to kisi ne mizaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah charagar hamare hue bujha ke taaq ki sham.en na dekh taron ko isi junun men to barbad ghar hamare hue vo e'timad kahan se 'faraz' la.enge kisi ko chhoD ke vo ab agar hamare hue juz tire koi bhi din raat na jaane mere tu kahan hai magar ai dost purane mere tu bhi khushbu hai magar mera tajassus bekar barg-e-avara ki manind Thikane mere sham.a ki lau thi ki vo tu tha magar hijr ki raat der tak rota raha koi sirhane mere khalq ki be-khabari hai ki miri rusva.i log mujh ko hi sunate hain fasane mere luT ke bhi khush huun ki ashkon se bhara hai daman dekh gharat-gar-e-dil ye bhi khazane mere aaj ik aur baras biit gaya us ke baghair jis ke hote hue hote the zamane mere kaash tu bhi meri avaz kahin sunta ho phir pukara hai tujhe dil ki sada ne mere kaash tu bhi kabhi aa jaa.e masiha.i ko log aate hain bahut dil ko dukhane mere kaash auron ki tarah main bhi kabhi kah sakta baat sun li hai miri aaj khuda ne mere tu hai kis haal men ai zud-faramosh mire mujh ko to chhin liya ahd-e-vafa ne mere charagar yuun to bahut hain magar ai jan-e-'faraz' juz tire aur koi zakhm na jaane mere karun na yaad magar kis tarah bhula.un use ghazal bahana karun aur gunguna.un use vo khaar khaar hai shakh-e-gulab ki manind main zakhm zakhm huun phir bhi gale laga.un use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karun ab kahan se la.un use magar vo zud-faramosh zud-ranj bhi hai ki ruuTh jaa.e agar yaad kuchh dila.un use vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan tumhari baat pe ai naseho ganva.un use jo ham-safar sar-e-manzil bichhaD raha hai 'faraz' ajab nahin hai agar yaad bhi na aa.uun use kaThin hai rahguzar thoDi duur saath chalo bahut kaDa hai safar thoDi duur saath chalo tamam umr kahan koi saath deta hai ye janta huun magar thoDi duur saath chalo nashe men chuur huun main bhi tumhen bhi hosh nahin baDa maza ho agar thoDi duur saath chalo ye ek shab ki mulaqat bhi ghanimat hai kise hai kal ki khabar thoDi duur saath chalo abhi to jaag rahe hain charagh rahon ke abhi hai duur sahar thoDi duur saath chalo tavaf-e-manzil-e-janan hamen bhi karna hai 'faraz' tum bhi agar thoDi duur saath chalo khamosh ho kyuun dad-e-jafa kyuun nahin dete bismil ho to qatil ko dua kyuun nahin dete vahshat ka sabab rauzan-e-zindan to nahin hai mehr o mah o anjum ko bujha kyuun nahin dete ik ye bhi to andaz-e-ilaj-e-gham-e-jan hai ai charagaro dard baDha kyuun nahin dete munsif ho agar tum to kab insaf karoge mujrim hain agar ham to saza kyuun nahin dete rahzan ho to hazir hai mata-e-dil-o-jan bhi rahbar ho to manzil ka pata kyuun nahin dete kya biit ga.i ab ke 'faraz' ahl-e-chaman par yaran-e-qafas mujh ko sada kyuun nahin dete kya aise kam-sukhan se koi guftugu kare jo mustaqil sukut se dil ko lahu kare ab to hamen bhi tark-e-marasim ka dukh nahin par dil ye chahta hai ki aghaz tu kare tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi khud ko ganva ke kaun tiri justuju kare ab to ye aarzu hai ki vo zakhm kha.iye ta-zindagi ye dil na koi aarzu kare tujh ko bhula ke dil hai vo sharminda-e-nazar ab koi hadsa hi tire ru-ba-ru kare chup-chap apni aag men jalte raho 'faraz' duniya to arz-e-hal se be-abru kare main to maqtal men bhi qismat ka sikandar nikla qur.a-e-fal mire naam ka aksar nikla tha jinhen zo.am vo dariya bhi mujhi men Duube main ki sahra nazar aata tha samundar nikla main ne us jan-e-baharan ko bahut yaad kiya jab koi phuul miri shakh-e-hunar par nikla shahr-valon ki mohabbat ka main qaa.el huun magar main ne jis haath ko chuma vahi khanjar nikla tu yahin haar gaya hai mire buzdil dushman mujh se tanha ke muqabil tira lashkar nikla main ki sahra-e-mohabbat ka musafir tha 'faraz' ek jhonka tha ki khushbu ke safar par nikla phir usi rahguzar par shayad ham kabhi mil saken magar shayad jin ke ham muntazir rahe un ko mil ga.e aur ham-safar shayad jan-pahchan se bhi kya hoga phir bhi ai dost ghaur kar shayad ajnabiyyat ki dhund chhaT jaa.e chamak uTThe tiri nazar shayad zindagi bhar lahu rula.egi yad-e-yaran-e-be-khabar shayad jo bhi bichhDe vo kab mile hain 'faraz' phir bhi tu intizar kar shayad qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jaata vo shakhs koi faisla kar bhi nahin jaata ankhen hain ki khali nahin rahti hain lahu se aur zakhm-e-juda.i hai ki bhar bhi nahin jaata vo rahat-e-jan hai magar is dar-badri men aisa hai ki ab dhyan udhar bhi nahin jaata ham dohri aziyyat ke giraftar musafir paanv bhi hain shal shauq-e-safar bhi nahin jaata dil ko tiri chahat pe bharosa bhi bahut hai aur tujh se bichhaD jaane ka Dar bhi nahin jaata pagal hue jaate ho 'faraz' us se mile kya itni si khushi se koi mar bhi nahin jaata qurbaton men bhi juda.i ke zamane mange dil vo be-mehr ki rone ke bahane mange ham na hote to kisi aur ke charche hote khilqat-e-shahr to kahne ko fasane mange yahi dil tha ki tarasta tha marasim ke liye ab yahi tark-e-ta.alluq ke bahane mange apna ye haal ki ji haar chuke luT bhi chuke aur mohabbat vahi andaz purane mange zindagi ham tire daghon se rahe sharminda aur tu hai ki sada a.ina-khane mange dil kisi haal pe qaane hi nahin jan-e-'faraz' mil ga.e tum bhi to kya aur na jaane mange ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa kuchh to mire pindar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa kis kis ko bata.enge juda.i ka sabab ham tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa ik umr se huun lazzat-e-girya se bhi mahrum ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain ummiden ye akhiri sham.en bhi bujhane ke liye aa rog aise bhi gham-e-yar se lag jaate hain dar se uThte hain to divar se lag jaate hain ishq aghaz men halki si khalish rakhta hai baad men saikDon azar se lag jaate hain pahle pahle havas ik-adh dukan kholti hai phir to bazar ke bazar se lag jaate hain bebasi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai ro na paa.en to gale yaar se lag jaate hain katranen gham ki jo galiyon men uDi phirti hain ghar men le aao to ambar se lag jaate hain daagh daman ke hon dil ke hon ki chehre ke 'faraz' kuchh nishan umr ki raftar se lag jaate hain samne us ke kabhi us ki sata.ish nahin ki dil ne chaha bhi agar honTon ne jumbish nahin ki ahl-e-mahfil pe kab ahval khula hai apna main bhi khamosh raha us ne bhi pursish nahin ki jis qadar us se ta.alluq tha chala jaata hai us ka kya ranj ho jis ki kabhi khvahish nahin ki ye bhi kya kam hai ki donon ka bharam qaa.em hai us ne bakhshish nahin ki ham ne guzarish nahin ki ik to ham ko adab adab ne pyasa rakkha us pe mahfil men surahi ne bhi gardish nahin ki ham ki dukh oDh ke khalvat men paDe rahte hain ham ne bazar men zakhmon ki numa.ish nahin ki ai mire abr-e-karam dekh ye virana-e-jan kya kisi dasht pe tu ne kabhi barish nahin ki kaT mare apne qabile ki hifazat ke liye maqtal-e-shahr men Thahre rahe jumbish nahin ki vo hamen bhuul gaya ho to ajab kya hai 'faraz' ham ne bhi mel-mulaqat ki koshish nahin ki saqiya ek nazar jaam se pahle pahle ham ko jaana hai kahin shaam se pahle pahle nau-giraftar-e-vafa sa.i-e-riha.i hai abas ham bhi uljhe the bahut daam se pahle pahle khush ho ai dil ki mohabbat to nibha di tu ne log ujaD jaate hain anjam se pahle pahle ab tire zikr pe ham baat badal dete hain kitni raghbat thi tire naam se pahle pahle samne umr paDi hai shab-e-tanha.i ki vo mujhe chhoD gaya shaam se pahle pahle kitna achchha tha ki ham bhi jiya karte the 'faraz' ghair-maruf se gumnam se pahle pahle sho.ala tha jal-bujha huun hava.en mujhe na do main kab ka ja chuka huun sada.en mujhe na do jo zahr pi chuka huun tumhin ne mujhe diya ab tum to zindagi ki dua.en mujhe na do ye bhi baDa karam hai salamat hai jism abhi ai khusravan-e-shahr qaba.en mujhe na do aisa na ho kabhi ki palaT kar na aa sakun har baar duur ja ke sada.en mujhe na do kab mujh ko e'tiraf-e-mohabbat na tha 'faraz' kab main ne ye kaha hai saza.en mujhe na do silsile toD gaya vo sabhi jaate jaate varna itne to marasim the ki aate jaate shikva-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha apne hisse ki koi sham.a jalate jaate kitna asan tha tire hijr men marna janan phir bhi ik umr lagi jaan se jaate jaate jashn-e-maqtal hi na barpa hua varna ham bhi pa-ba-jaulan hi sahi nachte gaate jaate is ki vo jaane use pas-e-vafa tha ki na tha tum 'faraz' apni taraf se to nibhate jaate suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr men kuchh din Thahar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharab-halon se so apne aap ko barbad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai sher o sha.iri se shaghaf so ham bhi mo.ajize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baton se phuul jhaDte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chand takta rahta hai sitare bam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan satati hain suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazal si ankhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulab jalte hain so ham bahar pe ilzam dhar ke dekhte hain suna hai aa.ina timsal hai jabin us ki jo saada dil hain use ban-sanvar ke dekhte hain suna hai jab se hama.il hain us ki gardan men mizaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan men palang zaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phuul apni qaba.en katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahin ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain bas ik nigah se luTta hai qafila dil ka so rah-ravan-e-tamanna bhi Dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain ruke to gardishen us ka tavaf karti hain chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain kise nasib ki be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar o divar ghar ke dekhte hain kahaniyan hi sahi sab mubalghe hi sahi agar vo khvab hai tabir kar ke dekhte hain ab us ke shahr men Thahren ki kuuch kar jaa.en 'faraz' aao sitare safar ke dekhte hain tere qarib aa ke baDi uljhanon men huun main dushmanon men huun ki tire doston men huun mujh se gurez-pa hai to har rasta badal main sang-e-rah huun to sabhi raston men huun tu aa chuka hai sat.h pe kab se khabar nahin bedard main abhi unhin gahra.iyon men huun ai yar-e-khush-dayar tujhe kya khabar ki main kab se udasiyon ke ghane jangalon men huun tu luuT kar bhi ahl-e-tamanna ko khush nahin yaan luT ke bhi vafa ke inhi qafilon men huun badla na mere baad bhi mauzu-e-guftugu main ja chuka huun phir bhi tiri mahfilon men huun mujh se bichhaD ke tu bhi to ro.ega umr bhar ye soch le ki main bhi tiri khvahishon men huun tu hans raha hai mujh pe mira haal dekh kar aur phir bhi main sharik tire qahqahon men huun khud hi misal-e-lala-e-sahra lahu lahu aur khud 'faraz' apne tamasha.iyon men huun teri baten hi sunane aa.e dost bhi dil hi dukhane aa.e phuul khilte hain to ham sochte hain tere aane ke zamane aa.e aisi kuchh chup si lagi hai jaise ham tujhe haal sunane aa.e ishq tanha hai sar-e-manzil-e-gham kaun ye bojh uThane aa.e ajnabi dost hamen dekh ki ham kuchh tujhe yaad dilane aa.e dil dhaDakta hai safar ke hangam kaash phir koi bulane aa.e ab to rone se bhi dil dukhta hai shayad ab hosh Thikane aa.e kya kahin phir koi basti ujDi log kyuun jashn manane aa.e so raho maut ke pahlu men 'faraz' niind kis vaqt na jaane aa.e tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost tu miri pahli mohabbat thi miri akhiri dost log har baat ka afsana bana dete hain ye to duniya hai miri jaan ka.i dushman ka.i dost tere qamat se bhi lipTi hai amar-bel koi meri chahat ko bhi duniya ki nazar kha ga.i dost yaad aa.i hai to phir TuuT ke yaad aa.i hai koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost ab bhi aa.e ho to ehsan tumhara lekin vo qayamat jo guzarni thi guzar bhi ga.i dost tere lahje ki thakan men tira dil shamil hai aisa lagta hai juda.i ki ghaDi aa ga.i dost barish-e-sang ka mausam hai mire shahr men to tu ye shishe sa badan le ke kahan aa ga.i dost main use ahd-shikan kaise samajh luun jis ne akhiri khat men ye likkha tha faqat aap ki dost tujhe hai mashq-e-sitam ka malal vaise hi hamari jaan thi jaan par vabal vaise hi chala tha zikr zamane ki bevafa.i ka so aa gaya hai tumhara khayal vaise hi ham aa ga.e hain tah-e-dam to nasib apna vagarna us ne to phenka tha jaal vaise hi main rokna hi nahin chahta tha vaar us ka giri nahin mire hathon se Dhaal vaise hi zamana ham se bhala dushmani to kya rakhta so kar gaya hai hamen pa.emal vaise hi mujhe bhi shauq na tha dastan sunane ka 'faraz' us ne bhi puchha tha haal vaise hi us ko juda hue bhi zamana bahut hua ab kya kahen ye qissa purana bahut hua Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq ai marg-e-na-gahan tira aana bahut hua ham khuld se nikal to ga.e hain par ai khuda itne se vaqiye ka fasana bahut hua ab ham hain aur saare zamane ki dushmani us se zara sa rabt baDhana bahut hua ab kyuun na zindagi pe mohabbat ko vaar den is ashiqi men jaan se jaana bahut hua ab tak to dil ka dil se ta.aruf na ho saka maana ki us se milna milana bahut hua kya kya na ham kharab hue hain magar ye dil ai yad-e-yar tera Thikana bahut hua kahta tha nasehon se mire munh na aa.iyo phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua lo phir tire labon pe usi bevafa ka zikr ahmad-'faraz' tujh se kaha na bahut hua us ne sukut-e-shab men bhi apna payam rakh diya hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya amad-e-dost ki naved ku-e-vafa men aam thi main ne bhi ik charagh sa dil sar-e-sham rakh diya shiddat-e-tishnagi men bhi ghairat-e-mai-kashi rahi us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya us ne nazar nazar men hi aise bhale sukhan kahe main ne to us ke paanv men saara kalam rakh diya dekho ye mere khvab the dekho ye mere zakhm hain main ne to sab hisab-e-jan bar-sar-e-am rakh diya ab ke bahar ne bhi kiin aisi shararten ki bas kabk-e-dari ki chaal men tera khiram rakh diya jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha us ne to saare shahr ko kar ke ghulam rakh diya aur 'faraz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diya vahshaten baDhti ga.iin hijr ke azar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khvar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yar ke saath 'mir' do din na jiye hijr ke azar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taaq par izzat-e-sadat bhi dastar ke saath is qadar khauf hai ab shahr ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain divar ke saath ek to khvab liye phirte ho galiyon galiyon us pe takrar bhi karte ho kharidar ke saath shahr ka shahr hi naseh ho to kya kijiyega varna ham rind to bhiD jaate hain do-char ke saath ham ko us shahr men ta.amir ka sauda hai jahan log me.amar ko chun dete hain divar ke saath jo sharaf ham ko mila kucha-e-janan se 'faraz' su-e-maqtal bhi ga.e hain usi pindar ke saath ye kya ki sab se bayan dil ki halaten karni 'faraz' tujh ko na aa.iin mohabbaten karni ye qurb kya hai ki tu samne hai aur hamen shumar abhi se juda.i ki sa.aten karni koi khuda ho ki patthar jise bhi ham chahen tamam umr usi ki ibadaten karni sab apne apne qarine se muntazir us ke kisi ko shukr kisi ko shikayaten karni ham apne dil se hi majbur aur logon ko zara si baat pe barpa qayamaten karni milen jab un se to mub.ham si guftugu karna phir apne aap se sau sau vazahaten karni ye log kaise magar dushmani nibahte hain hamen to raas na aa.iin mohabbaten karni kabhi 'faraz' na.e mausamon men ro dena kabhi talash purani rifaqaten karni yunhi mar mar ke ji.en vaqt guzare jaa.en zindagi ham tire hathon se na maare jaa.en ab zamin par koi gautam na mohammad na masih asmanon se na.e log utare jaa.en vo jo maujud nahin us ki madad chahte hain vo jo sunta hi nahin us ko pukare jaa.en baap larzan hai ki pahunchi nahin barat ab tak aur ham-joliyan dulhan ko sanvare jaa.en ham ki nadan juari hain sabhi jante hain dil ki baazi ho to ji jaan se haare jaa.en taj diya tum ne dar-e-yar bhi ukta ke 'faraz' ab kahan DhunDhne gham-khvar tumhare jaa.en zindagi se yahi gila hai mujhe tu bahut der se mila hai mujhe tu mohabbat se koi chaal to chal haar jaane ka hausla hai mujhe dil dhaDakta nahin Tapakta hai kal jo khvahish thi aabla hai mujhe ham-safar chahiye hujum nahin ik musafir bhi qafila hai mujhe kohkan ho ki qais ho ki 'faraz' sab men ik shakhs hi mila hai mujhe aah jo dil se nikali ja.egi kya samajhte ho ki khali ja.egi is nazakat par ye shamshir-e-jafa aap se kyunkar sambhali ja.egi kya gham-e-duniya ka Dar mujh rind ko aur ik botal chaDha li ja.egi shaikh ki davat men mai ka kaam kya ehtiyatan kuchh manga li ja.egi yad-e-abru men hai 'akbar' mahv yuun kab tiri ye kaj-khayali ja.egi aaj ara.ish-e-gesu-e-dota hoti hai phir miri jaan giraftar-e-bala hoti hai shauq-e-pa-bosi-e-janan mujhe baaqi hai hanuz ghaas jo ugti hai turbat pe hina hoti hai phir kisi kaam ka baaqi nahin rahta insan sach to ye hai ki mohabbat bhi bala hoti hai jo zamin kucha-e-qatil men nikalti hai na.i vaqf vo bahr-e-mazar-e-shohada hoti hai jis ne dekhi ho vo chitvan koi us se puchhe jaan kyun-kar hadaf-e-tir-e-qaza hoti hai naza.a ka vaqt bura vaqt hai khaliq ki panah hai vo saa.at ki qayamat se siva hoti hai ruuh to ek taraf hoti hai rukhsat tan se aarzu ek taraf dil se juda hoti hai khud samajhta huun ki rone se bhala kya hasil par karun kya yunhi taskin zara hoti hai raundte phirte hain vo majma-e-aghyar ke saath khuub tauqir-e-mazar-e-shohada hoti hai murgh-e-bismil ki tarah loT gaya dil mera nigah-e-naz ki tasir bhi kya hoti hai naala kar lene den lillah na chheDen ahbab zabt karta huun to taklif siva hoti hai jism to khaak men mil jaate hue dekhte hain ruuh kya jaane kidhar jaati hai kya hoti hai huun fareb-e-sitam-e-yar ka qaa.il 'akbar' marte marte na khula ye ki jafa hoti hai ankhen mujhe talvon se vo malne nahin dete arman mire dil ke nikalne nahin dete khatir se tiri yaad ko Talne nahin dete sach hai ki hamin dil ko sambhalne nahin dete kis naaz se kahte hain vo jhunjhla ke shab-e-vasl tum to hamen karvaT bhi badalne nahin dete parvanon ne fanus ko dekha to ye bole kyuun ham ko jalate ho ki jalne nahin dete hairan huun kis tarah karun arz-e-tamanna dushman ko to pahlu se vo Talne nahin dete dil vo hai ki fariyad se labrez hai har vaqt ham vo hain ki kuchh munh se nikalne nahin dete garmi-e-mohabbat men vo hain aah se mane.a pankha nafas-e-sard ka jhalne nahin dete agar dil vaqif-e-nairangi-e-tab-e-sanam hota zamane ki do-rangi ka use hargiz na gham hota ye paband-e-musibat dil ke hathon ham to rahte hain nahin to chain se kaTti na dil hota na gham hota unhin ki be-vafa.i ka ye hai aThon-pahar sadma vahi hote jo qaabu men to phir kaahe ko gham hota lab-o-chashm-e-sanam gar dekhne paate kahin sha.ir koi shirin-sukhan hota koi jadu-raqam hota bahut achchha hua aa.e na vo meri ayadat ko jo vo aate to ghair aate jo ghair aate to gham hota agar qabren nazar atin na dara-o-sikandar ki mujhe bhi ishtiyaq-e-daulat-o-jah-o-hasham hota liye jaata hai josh-e-shauq ham ko rah-e-ulfat men nahin to zo.af se dushvar chalna do-qadam hota na rahne paa.e divaron men rauzan shukr hai varna tumhen to dil-lagi hoti gharibon par sitam hota apne pahlu se vo ghairon ko uTha hi na sake un ko ham qissa-e-gham apna suna hi na sake zehan mera vo qayamat ki do-alam pe muhit aap aaise ki mire zehan men aa hi na sake dekh lete jo unhen to mujhe rakhte ma.azur shaikh-sahib magar us bazm men ja hi na sake aql mahngi hai bahut ishq khilaf-e-tahzib dil ko is ahd men ham kaam men la hi na sake ham to khud chahte the chain se baiThen koi dam aap ki yaad magar dil se bhula hi na sake ishq kamil hai usi ka ki patangon ki tarah taab nazzara-e-ma.asuq ki la hi na sake dam-e-hasti ki bhi tarkib ajab rakkhi hai jo phanse us men vo phir jaan bacha hi na sake maz.har-e-jalva-e-janan hai har ik shai 'akbar' be-adab aankh kisi samt uTha hi na sake aisi mantiq se to divangi behtar 'akbar' ki jo khaliq ki taraf dil ko jhuka hi na sake apni girah se kuchh na mujhe aap dijiye akhbar men to naam mira chhap dijiye dekho jise vo pioner office men hai DaTa bahr-e-khuda mujhe bhi kahin chhap dijiye chashm-e-jahan se halat-e-asli chhupi nahin akhbar men jo chahiye vo chhap dijiye da.ava bahut baDa hai riyazi men aap ko tul-e-shab-e-firaq ko to naap dijiye sunte nahin hain shaikh na.i raushni ki baat engine ki un ke kaan men ab bhaap dijiye is but ke dar pe ghair se 'akbar' ne kah diya zar hi main dene laaya huun jaan aap dijiye bahut raha hai kabhi lutf-e-yar ham par bhi guzar chuki hai ye fasl-e-bahar ham par bhi urus-e-dahr ko aaya tha pyaar ham par bhi ye besva thi kisi shab nisar ham par bhi biTha chuka hai zamana hamen bhi masnad par hua kiye hain javahir nisar ham par bhi adu ko bhi jo banaya hai tum ne mahram-e-raz to fakhr kya jo hua e'tibar ham par bhi khata kisi ki ho lekin khuli jo un ki zaban to ho hi jaate hain do ek vaar ham par bhi ham aise rind magar ye zamana hai vo ghazab ki Daal hi diya duniya ka baar ham par bhi hamen bhi atish-e-ulfat jala chuki 'akbar' haram ho ga.i dozakh ki naar ham par bhi be-takalluf bosa-e-zulf-e-chalipa lijiye naqd-e-dil maujud hai phir kyuun na sauda lijiye dil to pahle le chuke ab jaan ke khvahan hain aap is men bhi mujh ko nahin inkar achchha lijiye paanv pakaD kar kahti hai zanjir-e-zindan men raho vahshat-e-dil ka hai iima rah-e-sahra lijiye ghair ko to kar ke zid karte hain khane men sharik mujh se kahte hain agar kuchh bhuuk ho kha lijiye khush-numa chizen hain bazar-e-jahan men be-shumar ek naqd-e-dil se ya-rab mol kya kya lijiye kushta akhir atish-e-furqat se hona hai mujhe aur chande surat-e-simab taDpa lijiye fasl-e-gul ke aate hi 'akbar' hue behosh aap kholiye ankhon ko sahab jam-e-sahba lijiye bi.Tha.i ja.engi parde men bibayan kab tak bane rahoge tum is mulk men miyan kab tak haram-sara ki hifazat ko tegh hi na rahi to kaam dengi ye chilman ki tiliyan kab tak miyan se biibi hain parda hai un ko farz magar miyan ka ilm hi uTTha to phir miyan kab tak tabi.aton ka numu hai hava-e-maghrib men ye ghairaten ye hararat ye garmiyan kab tak avaam bandh len dohar to third vanTar men second-o-first ki hon band khiDkiyan kab tak jo munh dikha.i ki rasmon pe hai musir iblis chhupengi hazrat-e-havva ki beTiyan kab tak janab hazrat-e-'akbar' hain hami-e-parda magar vo kab tak aur un ki ruba.iyan kab tak charkh se kuchh umiid thi hi nahin aarzu main ne koi ki hi nahin maz.habi bahas main ne ki hi nahin faltu aql mujh men thi hi nahin chahta tha bahut si baton ko magar afsos ab vo ji hi nahin jur.at-e-arz-e-hal kya hoti nazar-e-lutf us ne ki hi nahin is musibat men dil se kya kahta koi aisi misal thi hi nahin aap kya janen qadr-e-ya-allah jab musibat koi paDi hi nahin shirk chhoDa to sab ne chhoD diya meri koi society hi nahin puchha 'akbar' hai aadmi kaisa hans ke bole vo aadmi hi nahin dard to maujud hai dil men dava ho ya na ho bandagi halat se zahir hai khuda ho ya na ho jhumti hai shakh-e-gul khilte hain ghunche dam-ba-dam ba-asar gulshan men tahrik-e-saba ho ya na ho vajd men laate hain mujh ko bulbulon ke zamzame aap ke nazdik ba-ma.ani sada ho ya na ho kar diya hai zindagi ne bazm-e-hasti men sharik us ka kuchh maqsud koi mudda.a ho ya na ho kyuun civil-surgeon ka aana rokta hai ham-nashin is men hai ik baat honour ki shifa ho ya na ho maulvi sahib na chhoDenge khuda go bakhsh de gher hi lenge police vaale saza ho ya na ho membari se aap par to varnish ho ja.egi qaum ki halat men kuchh is se jila ho ya na ho mo'tariz kyuun ho agar samjhe tumhen sayyad dil aaise gesu huun to shubah daam ka ho ya na ho dil-e-mayus men vo shorishen barpa nahin hotin umiden is qadar TuTin ki ab paida nahin hotin miri betabiyan bhi juzv hain ik meri hasti ki ye zahir hai ki maujen kharij az dariya nahin hotin vahi pariyan hain ab bhi raaja indar ke akhaDe men magar shahzada-e-gulfam par shaida nahin hotin yahan ki auraton ko ilm ki parva nahin be-shak magar ye shauharon se apne be-parva nahin hotin ta.alluq dil ka kya baaqi main rakkhun bazm-e-duniya se vo dilkash suraten ab anjuman-ara nahin hotin hua huun is qadar afsurda rang-e-bagh-e-hasti se hava.en fasl-e-gul ki bhi nashat-afza nahin hotin qaza ke samne be-kar hote hain havas 'akbar' khuli hoti hain go ankhen magar biina nahin hotin dil ho kharab diin pe jo kuchh asar paDe ab kar-e-ashiqi to bahar-kaif kar paDe ishq-e-butan ka diin pe jo kuchh asar paDe ab to nibahna hai jab ik kaam kar paDe maz.hab chhuDaya ishva-e-duniya ne shaikh se dekhi jo rail uunT se akhir utar paDe betabiyan nasib na thiin varna ham-nashin ye kya zarur tha ki unhin par nazar paDe behtar yahi hai qasd udhar ka karen na vo aisa na ho ki raah men dushman ka ghar paDe ham chahte hain mel vajud-o-adam men ho mumkin to hai jo beach men un ki kamar paDe daana vahi hai dil jo kare aap ka khayal biina vahi nazar hai ki jo aap par paDe honi na chahiye thi mohabbat magar hui paDna na chahiye tha ghazab men magar paDe shaitan ki na maan jo rahat-nasib ho allah ko pukar musibat agar paDe ai shaikh un buton ki ye chalakiyan to dekh nikle agar haram se to 'akbar' ke ghar paDe dil mira jis se bahalta koi aisa na mila but ke bande mile allah ka banda na mila bazm-e-yaran se phiri bad-e-bahari mayus ek sar bhi use amada-e-sauda na mila gul ke khvahan to nazar aa.e bahut itr-farosh talib-e-zamzama-e-bulbul-e-shaida na mila vaah kya raah dikha.i hai hamen murshid ne kar diya kaabe ko gum aur kalisa na mila rang chehre ka to collage ne bhi rakkha qaa.im rang-e-batin men magar baap se beTa na mila sayyad uTThe jo gazette le ke to lakhon laa.e shaikh qur.an dikhate phire paisa na mila hoshyaron men to ik ik se siva hain 'akbar' mujh ko divanon men lekin koi tujh sa na mila duniya men huun duniya ka talabgar nahin huun bazar se guzra huun kharidar nahin huun zinda huun magar ziist ki lazzat nahin baaqi har-chand ki huun hosh men hushyar nahin huun is khana-e-hasti se guzar ja.unga be-laus saaya huun faqat naqsh-ba-divar nahin huun afsurda huun ibrat se dava ki nahin hajat gham ka mujhe ye zo.af hai bimar nahin huun vo gul huun khizan ne jise barbad kiya hai uljhun kisi daman se main vo khaar nahin huun ya rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se main us ki inayat ka talabgar nahin huun go dava-e-taqva nahin dargah-e-khuda men but jis se hon khush aisa gunahgar nahin huun afsurdagi o zo.af ki kuchh had nahin 'akbar' kafir ke muqabil men bhi din-dar nahin huun falsafi ko bahs ke andar khuda milta nahin Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin ma.arifat khaliq ki aalam men bahut dushvar hai shahr-e-tan men jab ki khud apna pata milta nahin ghafilon ke lutf ko kaafi hai duniyavi khushi aqilon ko be-gham-e-uqba maza milta nahin kashti-e-dil ki ilahi bahr-e-hasti men ho khair nakhuda milte hain lekin ba-khuda milta nahin ghafilon ko kya suna.un dastan-e-ishq-e-yar sunne vaale milte hain dard-ashna milta nahin zindagani ka maza milta tha jin ki bazm men un ki qabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahin sirf zahir ho gaya sarmaya-e-zeb-o-safa kya ta.ajjub hai jo batin ba-safa milta nahin pukhta tabaon par havadis ka nahin hota asar kohsaron men nishan-e-naqsh-e-pa milta nahin shaikh-sahib barhaman se laakh barten dosti be-bhajan gaa.e to mandir se Tika milta nahin jis pe dil aaya hai vo shirin-ada milta nahin zindagi hai talkh jiine ka maza milta nahin log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye keh do be us ke javani ka maza milta nahin ahl-e-zahir jis qadar chahen karen bahs-o-jidal main ye samjha huun khudi men to khuda milta nahin chal base vo din ki yaron se bhari thi anjuman haa.e afsos aaj surat-ashna milta nahin manzil-e-ishq-o-tavakkul manzil-e-ezaz hai shaah sab baste hain yaan koi gada milta nahin baar taklifon ka mujh par bar-e-ehsan se hai sahl shukr ki ja hai agar hajat-rava milta nahin chandni raten bahar apni dikhati hain to kya be tire mujh ko to lutf ai mah-laqa milta nahin ma.ani-e-dil ka kare iz.har 'akbar' kis tarah lafz mauzun bahr-e-kashf-e-mudda.a milta nahin gale laga.en karen pyaar tum ko eid ke din idhar to aao mire gul-ezar eid ke din ghazab ka husn hai ara.ishen qayamat ki ayaan hai qudrat-e-parvardigar eid ke din sambhal saki na tabi.at kisi tarah meri raha na dil pe mujhe ikhtiyar eid ke din vo saal bhar se kudurat bhari jo thi dil men vo duur ho ga.i bas ek baar eid ke din laga liya unhen siine se josh-e-ulfat men gharaz ki aa hi gaya mujh ko pyaar eid ke din kahin hai naghma-e-bulbul kahin hai khanda-e-gul ayaan hai josh-e-shabab-e-bahar eid ke din sivayyan duudh shakar meva sab muhayya hai magar ye sab hai mujhe nagavar eid ke din mile agar lab-e-shirin ka tere ik bosa to lutf ho mujhe albatta yaar eid ke din ghamza nahin hota ki ishara nahin hota aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota jalva na ho ma.ani ka to surat ka asar kya bulbul gul-e-tasvir ka shaida nahin hota allah bacha.e maraz-e-ishq se dil ko sunte hain ki ye ariza achchha nahin hota tashbih tire chehre ko kya duun gul-e-tar se hota hai shagufta magar itna nahin hota main naza.a men huun aa.en to ehsan hai un ka lekin ye samajh len ki tamasha nahin hota ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnam vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota hal-e-dil main suna nahin sakta lafz ma.ana ko pa nahin sakta ishq nazuk-mizaj hai behad aql ka bojh uTha nahin sakta hosh aarif ki hai yahi pahchan ki khudi men sama nahin sakta ponchh sakta hai ham-nashin aansu dagh-e-dil ko miTa nahin sakta mujh ko hairat hai us ki qudrat par alam us ko ghaTa nahin sakta halqe nahin hain zulf ke halqe hain jaal ke haan ai nigah-e-shauq zara dekh-bhal ke pahunche hain ta-kamar jo tire gesu-e-rasa ma.ani ye hain kamar bhi barabar hai baal ke bos-o-kanar-o-vasl-e-hasinan hai khuub shaghl kamtar buzurg honge khilaf is khayal ke qamat se tere sane-e-qudrat ne ai hasin dikhla diya hai hashr ko sanche men Dhaal ke shan-e-dimagh ishq ke jalve se ye baDhi rakhta hai hosh bhi qadam apne sambhal ke zinat muqaddama hai musibat ka dahr men sab sham.a ko jalate hain sanche men Dhaal ke hasti ke haq ke samne kya asl-e-in-o-an putle ye sab hain aap ke vahm-o-khayal ke talvar le ke uThta hai har talib-e-farogh daur-e-falak men hain ye ishare hilal ke pechida zindagi ke karo tum muqaddame dikhla hi degi maut natija nikal ke hangama hai kyuun barpa thoDi si jo pi li hai Daaka to nahin maara chori to nahin ki hai na-tajraba-kari se vaa.iz ki ye hain baten is rang ko kya jaane puchho to kabhi pi hai us mai se nahin matlab dil jis se hai begana maqsud hai us mai se dil hi men jo khinchti hai ai shauq vahi mai pi ai hosh zara so ja mehman-e-nazar is dam ek barq-e-tajalli hai vaan dil men ki sadme do yaan ji men ki sab sah lo un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab ji hai har zarra chamakta hai anvar-e-ilahi se har saans ye kahti hai ham hain to khuda bhi hai suraj men lage dhabba fitrat ke karishme hain but ham ko kahen kafir allah ki marzi hai ta.alim ka shor aisa tahzib ka ghul itna barakat jo nahin hoti niyyat ki kharabi hai sach kahte hain shaikh 'akbar' hai ta.at-e-haq lazim haan tark-e-mai-o-shahid ye un ki buzurgi hai har qadam kahta hai tu aaya hai jaane ke liye manzil-e-hasti nahin hai dil lagane ke liye kya mujhe khush aa.e ye hairat-sara-e-be-sabat hosh uDne ke liye hai jaan jaane ke liye dil ne dekha hai bisat-e-quvvat-e-idrak ko kya baDhe is bazm men ankhen uThane ke liye khuub ummiden bandhin lekin huiin hirman nasib badliyan uTThin magar bijli girane ke liye saans ki tarkib par miTTi ko pyaar aa hi gaya khud hui qaid us ko siine se lagane ke liye jab kaha main ne bhula do ghair ko hans kar kaha yaad phir mujh ko dilana bhuul jaane ke liye dida-bazi vo kahan ankhen raha karti hain band jaan hi baaqi nahin ab dil lagane ke liye mujh ko khush aa.i hai masti shaikh ji ko farbahi main huun piine ke liye aur vo hain khane ke liye allah allah ke siva akhir raha kuchh bhi na yaad jo kiya tha yaad sab tha bhuul jaane ke liye sur kahan ke saaz kaisa kaisi bazm-e-sama.in josh-e-dil kaafi hai 'akbar' taan uDane ke liye hava-e-shab bhi hai ambar-afshan uruuj bhi hai mah-e-mubin ka nisar hone ki do ijazat mahal nahin hai nahin nahin ka agar ho zauq-e-sujud paida sitara ho auj par jabin ka nishan-e-sajda zamin par ho to fakhr hai vo rukh-e-zamin ka saba bhi us gul ke paas aa.i to mere dil ko hua ye khaTka koi shagufa na ye khila.e payam laa.i na ho kahin ka na mehr o mah par miri nazar hai na lala-o-gul ki kuchh khabar hai farogh-e-dil ke liye hai kaafi tasavvur us ru-e-atishin ka na ilm-e-fitrat men tum ho mahir na zauq-e-ta.at hai tum se zahir ye be-usuli bahut buri hai tumhen na rakkhegi ye kahin ka haya se sar jhuka lena ada se muskura dena hasinon ko bhi kitna sahl hai bijli gira dena ye tarz ehsan karne ka tumhin ko zeb deta hai maraz men mubtala kar ke marizon ko dava dena bala.en lete hain un ki ham un par jaan dete hain ye sauda diid ke qabil hai kya lena hai kya dena khuda ki yaad men mahviyat-e-dil badshahi hai magar asan nahin hai saari duniya ko bhula dena huun main parvana magar sham.a to ho raat to ho jaan dene ko huun maujud koi baat to ho dil bhi hazir sar-e-taslim bhi kham ko maujud koi markaz ho koi qibla-e-hajat to ho dil to bechain hai iz.har-e-iradat ke liye kisi janib se kuchh iz.har-e-karamat to ho dil-kusha bada-e-safi ka kise zauq nahin batin-afroz koi pir-e-kharabat to ho guftani hai dil-e-pur-dard ka qissa lekin kis se kahiye koi mustafsir-e-halat to ho dastan-e-gham-e-dil kaun kahe kaun sune bazm men mauqa-e-iz.har-e-khayalat to ho vaade bhi yaad dilate hain gile bhi hain bahut vo dikha.i bhi to den un se mulaqat to ho koi vaa.iz nahin fitrat se balaghat men siva magar insan men kuchh fahm-e-isharat to ho ik bosa dijiye mira iman lijiye go but hain aap bahr-e-khuda maan lijiye dil le ke kahte hain tiri khatir se le liya ulTa mujhi pe rakhte hain ehsan lijiye ghairon ko apne haath se hans kar khila diya mujh se kabida ho ke kaha paan lijiye marna qubul hai magar ulfat nahin qubul dil to na dunga aap ko main jaan lijiye hazir hua karunga main akasr huzur men aaj achchhi tarah se mujhe pahchan lijiye ishq-e-but men kufr ka mujh ko adab karna paDa jo barhaman ne kaha akhir vo sab karna paDa sabr karna furqat-e-mahbub men samjhe the sahl khul gaya apni samajh ka haal jab karna paDa tajrabe ne hubb-e-duniya se sikhaya ehtiraz pahle kahte the faqat munh se aur ab karna paDa shaikh ki majlis men bhi muflis ki kuchh pursish nahin diin ki khatir se duniya ko talab karna paDa kya kahun be-khud hua main kis nigah-e-mast se aql ko bhi meri hasti ka adab karna paDa iqtiza fitrat ka rukta hai kahin ai ham-nashin shaikh-sahib ko bhi akhir kar-e-shab karna paDa alam-e-hasti ko tha madd-e-nazar katman-e-raz ek shai ko dusri shai ka sabab karna paDa sher ghairon ke use mutlaq nahin aa.e pasand hazrat-e-'akbar' ko bil-akhir talab karna paDa jab yaas hui to aahon ne siine se nikalna chhoD diya ab khushk-mizaj anhken bhi huiin dil ne bhi machalna chhoD diya navak-fagani se zalim ki jangal men hai ik sannaTa sa murghan-e-khush-alhan ho ga.e chup aahu ne uchhalna chhoD diya kyuun kibr-o-ghurur is daur pe hai kyuun dost falak ko samjha hai gardish se ye apni baaz aaya ya rang badalna chhoD diya badli vo hava guzra vo saman vo raah nahin vo log nahin tafrih kahan aur sair kuja ghar se bhi nikalna chhoD diya vo soz-o-gudaz us mahfil men baaqi na raha andher hua parvanon ne jalna chhoD diya sham.on ne pighalna chhoD diya har gaam pe chand anhken nigaran har moD pe ik licence-talab us park men akhir ai 'akbar' main ne to Tahalna chhoD diya kya diin ko quvvat den ye javan jab hausla-afzan koi nahin kya hosh sambhalen ye laDke khud us ne sambhalna chhoD diya iqbal musa.id jab na raha rakkhe ye qadam jis manzil men ashjar se saaya duur hua chashmon ne ubalna chhoD diya allah ki raah ab tak hai khuli asar-o-nishan sab qaa.em hain allah ke bandon ne lekin us raah men chalna chhoD diya jab sar men hava-e-ta.at thi sarsabz shajar ummid ka tha jab sar-sar-e-isyan chalne lagi is peD ne phalna chhoD diya us hur-laqa ko ghar laa.e ho tum ko mubarak ai 'akbar' lekin ye qayamat ki tum ne ghar se jo nikalna chhoD diya jahan men haal mira is qadar zabun hua ki mujh ko dekh ke bismil ko bhi sukun hua gharib dil ne bahut arzuen paida kiin magar nasib ka likkha ki sab ka khuun hua vo apne husn se vaqif main apni aql se sair unhon ne hosh sambhala mujhe junun hua ummid-e-chashm-e-muravvat kahan rahi baaqi zariya baton ka jab sirf telephone hua nigah-e-garm christmas men bhi rahi ham par hamare haq men december bhi mah-e-june hua jazba-e-dil ne mire tasir dikhla.i to hai ghungruon ki janib-e-dar kuchh sada aa.i to hai ishq ke iz.har men har-chand rusva.i to hai par karun kya ab tabi.at aap par aa.i to hai aap ke sar ki qasam mere siva koi nahin be-takalluf aa.iye kamre men tanha.i to hai jab kaha main ne taDapta hai bahut ab dil mira hans ke farmaya taDapta hoga sauda.i to hai dekhiye hoti hai kab raahi su-e-mulk-e-adam khana-e-tan se hamari ruuh ghabra.i to hai dil dhaDakta hai mira luun bosa-e-rukh ya na luun niind men us ne dula.i munh se sarka.i to hai dekhiye lab tak nahin aati gul-e-ariz ki yaad sair-e-gulshan se tabi.at ham ne bahla.i to hai main bala men kyuun phansun divana ban kar us ke saath dil ko vahshat ho to ho kambakht sauda.i to hai khaak men dil ko milaya jalva-e-raftar se kyuun na ho ai naujavan ik shan-e-ra.ana.i to hai yuun muravvat se tumhare samne chup ho rahen kal ke jalson ki magar ham ne khabar paa.i to hai bada-e-gul-rang ka saghar inayat kar mujhe saqiya takhir kya hai ab ghaTa chha.i to hai jis ki ulfat par baDa da.ava tha kal 'akbar' tumhen aaj ham ja kar use dekh aa.e harja.i to hai jo tumhare lab-e-jan-bakhsh ka shaida hoga uTh bhi ja.ega jahan se to masiha hoga vo to muusa hua jo talib-e-didar hua phir vo kya hoga ki jis ne tumhen dekha hoga qais ka zikr mire shan-e-junun ke aage agle vaqton ka koi badiya-paima hoga aarzu hai mujhe ik shakhs se milne ki bahut naam kya luun koi allah ka banda hoga lal-e-lab ka tire bosa to main leta huun magar Dar ye hai khun-e-jigar baad men piina hoga kahan vo ab lutf-e-bahami hai mohabbaton men bahut kami hai chali hai kaisi hava ilahi ki har tabi.at men barhami hai miri vafa men hai kya tazalzul miri ita.at men kya kami hai ye kyuun nigahen phiri hain mujh se mizaj men kyuun ye barhami hai vahi hai fazl-e-khuda se ab tak taraqqi-e-kar-e-husn o ulfat na vo hain mashq-e-sitam men qasir na khun-e-dil ki yahan kami hai ajiib jalve hain hosh dushman ki vahm ke bhi qadam ruke hain ajiib manzar hain hairat-afza nazar jahan thi vahin thami hai na koi takrim-e-bahami hai na pyaar baaqi hai ab dilon men ye sirf tahrir men Dear sir hai ya janab-e-mukarrami hai kahan ke muslim kahan ke hindu bhula.i hain sab ne agli rasmen aqide sab ke hain tin-terah na gyarahvin hai na ashTami hai nazar miri aur hi taraf hai hazar rang-e-zamana badle hazar baten bana.e naseh jami hai dil men jo kuchh jami hai agarche main rind-e-mohtaram huun magar ise shaikh se na puchho ki un ke aage to is zamane men saari duniya jahannami hai khatm kiya saba ne raqs gul pe nisar ho chuki josh-e-nashat ho chuka saut-e-hazar ho chuki rang-e-banafsha miT gaya sumbul-e-tar nahin raha sehn-e-chaman men zinat-e-naqsh-o-nigar ho chuki masti-e-lala ab kahan us ka pyala ab kahan daur-e-tarab guzar gaya amad-e-yar ho chuki rut vo jo thi badal ga.i aa.i bas aur nikal ga.i thi jo hava men nik.hat-e-mushk-e-tatar ho chuki ab tak usi ravish pe hai 'akbar'-e-mast-o-be-khabar kah de koi aziz-e-man fasl-e-bahar ho chuki khuda ali-gaDh ke madrase ko tamam amraz se shifa de bhare hue hain ra.is-zade amir-zade sharif-zade latif o khush-vaz.a chust-o-chalak o saf-o-pakiza shad-o-khurram tabi.aton men hai un ki jaudat dilon men un ke hain nek irade kamal mehnat se paDh rahe hain kamal ghairat se baDh rahe hain savar mashriq ki raah men hain to maghribi raah men piyade har ik hai un men ka be-shak aisa ki aap use jante hain jaisa dikha.e mahfil men qadd-e-ra.ana jo aap aa.en to sar jhuka de faqir mangen to saaf kah den ki tu hai mazbut ja kama kha qubul farma.en aap davat to apna sarmaya kul khila de buton se un ko nahin lagavaT mison ki lete nahin vo aahaT tamam quvvat hai sarf-e-khvandan nazar ke bhole hain dil ki saade nazar bhi aa.e jo zulf-e-pechan to samjhen ye koi policy hai electric light us ko samjhen jo barq-vash koi koi de nikalte hain kar ke ghol-bandi ba-nam-e-tahzib o dard-mandi ye kah ke lete hain sab se chande hamen jo tum do tumhen khuda de unhen isi baat par yaqin hai ki bas yahi asal kar-e-aden hai isi si hoga farogh-e-qaumi isi se chamkenge baap daade makan-e-college ke sab makin hain abhi unhen tajrabe nahin hain khabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaisi jaade dilon men un ke hai nur-e-iman qavi nahin hai magar nigahban hava-e-mantiq ada-e-tifli ye sham.a aisa na ho bujha de fareb de kar nikale matlab sikha.e tahqir-e-din-o-maz.hab miTa de akhir ko vaz-e-millat numud-e-zati ko gar baDha de yahi bas 'akbar' ki iltija hai janab-e-bari men ye dua hai ulum-o-hikmat ka dars un ko professor den samajh khuda de khushi hai sab ko ki operation men khuub nishtar ye chal raha hai kisi ko is ki khabar nahin hai mariz ka dam nikal raha hai fana isi rang par hai qaa.im falak vahi chaal chal raha hai shikasta o muntashir hai vo kal jo aaj sanche men Dhal raha hai ye dekhte ho jo kasa-e-sar ghurur-e-ghaflat se kal tha mamlu yahi badan naaz se pala tha jo aaj miTTi men gal raha hai samajh ho jis ki baligh samjhe nazar ho jis ki vasi.a dekhe abhi yahan khaak bhi uDegi jahan ye qulzum ubal raha hai kahan ka sharqi kahan ka gharbi tamam dukh sukh hai ye masavi yahan bhi ik ba-murad khush hai vahan bhi ik gham se jal raha hai uruj-e-qaumi zaval-e-qaumi khuda ki qudrat ke hain karishme hamesha radd-o-badal ke andar ye amr political raha hai maza hai spech ka dinner men khabar ye chhapti hai pioner men falak ki gardish ke saath hi saath kaam yaron ka chal raha hai kya janiye sayyad the haq agah kahan tak samjhe na ki sidhi hai miri raah kahan tak mantiq bhi to ik chiiz hai ai qibla o kaaba de sakti hai kaam aap ki vallah kahan tak aflak to is ahd men sabit hue madum ab kya kahun jaati hai miri aah kahan tak kuchh san.at o hirfat pe bhi lazim hai tavajjoh akhir ye government se tankhvah kahan tak marna bhi zaruri hai khuda bhi hai koi chiiz ai hirs ke bando havas-e-jah kahan tak tahsin ke laa.eq tira har sher hai 'akbar' ahbab karen bazm men ab vaah kahan tak ma.ani ko bhula deti hai surat hai to ye hai nature bhi sabaq siikh le zinat hai to ye hai kamre men jo hansti hui aa.i mis-e-ra.ana teacher ne kaha ilm ki aafat hai to ye hai ye baat to achchhi hai ki ulfat ho mison se huur un ko samajhte hain qayamat hai to ye hai pechida masa.il ke liye jaate hain england zulfon men ulajh aate hain shamat hai to ye hai public men zara haath mila lijiye mujh se sahab mire iman ki qimat hai to ye hai na bahte ashk to tasir men siva hote sadaf men rahte ye moti to be-baha hote mujh aise rind se rakhte zarur hi ulfat janab-e-shaikh agar ashiq-e-khuda hote gunahgaron ne dekha jamal-e-rahmat ko kahan nasib ye hota jo be-khata hote janab-e-hazrat-e-naseh ka vaah kya kahna jo ek baat na hoti to auliya hote mazaq-e-ishq nahin shekh men ye hai afsos ye chashni bhi jo hoti to kya se kya hote mahall-e-shukr hain 'akbar' ye darafshan nazmen har ik zaban ko ye moti nahin ata hote na hasil hua sabr-o-aram dil ka na nikla kabhi tum se kuchh kaam dil ka mohabbat ka nashsha rahe kyuun na har-dam bhara hai mai-e-ishq se jaam dil ka phansaya to ankhon ne dam-e-bala men magar ishq men ho gaya naam dil ka hua khvab rusva ye ishq-e-butan men khuda hi hai ab mere badnam dil ka ye banki ada.en ye tirchhi nigahen yahi le ga.iin sabr-o-aram dil ka dhuan pahle uThta tha aghaz tha vo hua khaak ab ye hai anjam dil ka jab aghaz-e-ulfat hi men jal raha hai to kya khaak batla.un anjam dil ka khuda ke liye pher do mujh ko sahab jo sarkar men kuchh na ho kaam dil ka pas-e-marg un par khula hal-e-ulfat ga.i le ke ruuh apni paigham dil ka taDapta hua yuun na paaya hamesha kahun kya main aghaz-o-anjam dil ka dil us be-vafa ko jo dete ho 'akbar' to kuchh soch lo pahle anjam dil ka na ruh-e-maz.hab na qalb-e-arif na sha.irana zaban baaqi zamin hamari badal ga.i hai agarche hai asman baaqi shab-e-guzishta ke saaz o saman ke ab kahan hain nishan baaqi zaban-e-shama-e-sahar pe hasrat ki rah ga.i dastan baaqi jo zikr aata hai akhirat ka to aap hote hain saaf munkir khuda ki nisbat bhi dekhta huun yaqin rukhsat guman baaqi fuzul hai un ki bad-dimaghi kahan hai fariyad ab labon par ye vaar par vaar ab abas hain kahan badan men hai jaan baaqi main apne miTne ke gham men nalan udhar zamana hai shaad o khandan ishara karti hai chashm-e-dauran jo aan baaqi jahan baaqi isi liye rah ga.i hain ankhen ki mere miTne ka rang dekhen sunun vo baten jo hosh uDa.en isi liye hain ye kaan baaqi ta.ajjub aata hai tifl-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm-e-'akbar' abhi middle paas tak nahin hai bahut se hain imtihan baaqi phir ga.i aap ki do din men tabi.at kaisi ye vafa kaisi thi sahab ye muravvat kaisi dost ahbab se hans bol ke kaT ja.egi raat rind-e-azad hain ham ko shab-e-furqat kaisi jis hasin se hui ulfat vahi ma.ashuq apna ishq kis chiiz ko kahte hain tabi.at kaisi hai jo qismat men vahi hoga na kuchh kam na siva aarzu kahte hain kis chiiz ko hasrat kaisi haal khulta nahin kuchh dil ke dhaDakne ka mujhe aaj rah rah ke bhar aati hai tabi.at kaisi kucha-e-yar men jaata to nazara karta qais avara hai jangal men ye vahshat kaisi rang-e-sharab se miri niyyat badal ga.i vaa.iz ki baat rah ga.i saaqi ki chal ga.i tayyar the namaz pe ham sun ke zikr-e-hur jalva buton ka dekh ke niyyat badal ga.i machhli ne Dhiil paa.i hai luqme pe shaad hai sayyad mutma.in hai ki kanTa nigal ga.i chamka tira jamal jo mahfil men vaqt-e-sham parvana be-qarar hua sham.a jal ga.i uqba ki baz-purs ka jaata raha khayal duniya ki lazzaton men tabi.at bahal ga.i hasrat bahut taraqqi-e-dukhtar ki thi unhen parda jo uTh gaya to vo akhir nikal ga.i saans lete hue bhi Darta huun ye na samjhen ki aah karta huun bahr-e-hasti men huun misal-e-habab miT hi jaata huun jab ubharta huun itni azadi bhi ghanimat hai saans leta huun baat karta huun shaikh sahab khuda se Darte hon main to angrezon hi se Darta huun aap kya puchhte hain mera mizaj shukr allah ka hai marta huun ye baDa aib mujh men hai 'akbar' dil men jo aa.e kah guzarta huun shekh ne naqus ke sur men jo khud hi taan li phir to yaron ne bhajan gaane ki khul kar Thaan li muddaton qaa.im rahengi ab dilon men garmiyan main ne photo le liya us ne nazar pahchan li ro rahe hain dost meri laash par be-ikhtiyar ye nahin daryaft karte kis ne is ki jaan li main to engine ki gale-bazi ka qaa.il ho gaya rah ga.e naghme hudi-khvanon ke aisi taan li hazrat-e-'akbar' ke istiqlal ka huun mo'tarif ta-ba-marg us par rahe qaa.im jo dil men Thaan li tariq-e-ishq men mujh ko koi kamil nahin milta ga.e farhad o majnun ab kisi se dil nahin milta bhari hai anjuman lekin kisi se dil nahin milta hamin men aa gaya kuchh naqs ya kamil nahin milta purani raushni men aur na.i men farq itna hai use kashti nahin milti ise sahil nahin milta pahunchna daad ko mazlum ka mushkil hi hota hai kabhi qaazi nahin milte kabhi qatil nahin milta harifon par khazane hain khule yaan hijr-e-gesu hai vahan pe bil hai aur yaan saanp ka bhi bil nahin milta ye husn o ishq hi ka kaam hai shubah karen kis par mizaj un ka nahin milta hamara dil nahin milta chhupa hai siina o rukh dil-sitan hathon se karvaT men mujhe sote men bhi vo husn se ghafil nahin milta havas-o-hosh gum hain bahr-e-irfan-e-ilahi men yahi dariya hai jis men mauj ko sahil nahin milta kitab-e-dil mujhe kaafi hai 'akbar' dars-e-hikmat ko main spencer se mustaghni huun mujh se mil nahin milta tiri zulfon men dil uljha hua hai bala ke pech men aaya hua hai na kyunkar bu-e-khun naame se aa.e usi jallad ka likkha hua hai chale duniya se jis ki yaad men ham ghazab hai vo hamen bhula hua hai kahun kya haal agli ishraton ka vo tha ik khvab jo bhula hua hai jafa ho ya vafa ham sab men khush hain karen kya ab to dil aTka hua hai hui hai ishq hi se husn ki qadr hamin se aap ka shohra hua hai buton par rahti hai maa.il hamesha tabi.at ko khudaya kya hua hai pareshan rahte ho din raat 'akbar' ye kis ki zulf ka sauda hua hai ummid TuuTi hui hai meri jo dil mira tha vo mar chuka hai jo zindagani ko talkh kar de vo vaqt mujh par guzar chuka hai agarche siine men saans bhi hai nahin tabi.at men jaan baaqi ajal ko hai der ik nazar ki falak to kaam apna kar chuka hai gharib-khane ki ye udasi ye na-durusti nahin qadimi chahal pahal bhi kabhi yahan thi kabhi ye ghar bhi sanvar chuka hai ye siina jis men ye daagh men ab masarraton ka kabhi tha makhzan vo dil jo arman se bhara tha khushi se us men Thahar chuka hai gharib akbar ke gard kyuun men khayal vaa.iz se koi kah de use Darate ho maut se kya vo zindagi hi se Dar chuka hai unhen nigah hai apne jamal hi ki taraf nazar uTha ke nahin dekhte kisi ki taraf tavajjoh apni ho kya fann-e-sha.iri ki taraf nazar har ek ki jaati hai aib hi ki taraf likha hua hai jo rona mire muqaddar men khayal tak nahin jaata kabhi hansi ki taraf tumhara saaya bhi jo log dekh lete hain vo aankh uTha ke nahin dekhte pari ki taraf bala men phansta hai dil muft jaan jaati hai khuda kisi ko na le jaa.e us gali ki taraf kabhi jo hoti hai takrar ghair se ham se to dil se hote ho dar-parda tum usi ki taraf nigah paDti hai un par tamam mahfil ki vo aankh uTha ke nahin dekhte kisi ki taraf nigah us but-e-khud-bin ki hai mire dil par na aa.ine ki taraf hai na aarsi ki taraf qubul kijiye lillah tohfa-e-dil ko nazar na kijiye is ki shikastagi ki taraf yahi nazar hai jo ab qatil-e-zamana hui yahi nazar hai ki uThti na thi kisi ki taraf gharib-khana men lillah do-ghaDi baiTho bahut dinon men tum aa.e ho is gali ki taraf zara si der hi ho ja.egi to kya hoga ghaDi ghaDi na uThao nazar ghaDi ki taraf jo ghar men puchhe koi khauf kya hai kah dena chale ga.e the Tahalte hue kisi ki taraf hazar jalva-e-husn-e-butan ho ai 'akbar' tum apna dhyan laga.e raho usi ki taraf vo hava na rahi vo chaman na raha vo gali na rahi vo hasin na rahe vo falak na raha vo saman na raha vo makan na rahe vo makin na rahe vo gulon men gulon ki si bu na rahi vo azizon men lutf ki khu na rahi vo hasinon men rang-e-vafa na raha kahen aur ki kya vo hamin na rahe na vo aan rahi na umang rahi na vo rindi o zohd ki jang rahi su-e-qibla nigahon ke rukh na rahe aur dar pe naqsh-e-jabin na rahe na vo jaam rahe na vo mast rahe na fida.i-e-ahd-e-alast rahe vo tariqa-e-kar-e-jahan na raha vo mashaghil-e-raunaq-e-din na rahe hamen laakh zamana lubha.e to kya na.e rang jo charkh dikha.e to kya ye muhal hai ahl-e-vafa ke liye gham-e-millat o ulfat-e-din na rahe tire kucha-e-zulf men dil hai mira ab use main samajhta huun dam-e-bala ye ajiib sitam hai ajiib jafa ki yahan na rahe to kahin na rahe ye tumhare hi dam se hai bazm-e-tarab abhi jaao na tum na karo ye ghazab koi baiTh ke lutf uTha.ega kya ki jo raunaq-e-bazm tumhin na rahe jo thiin chashm-e-falak ki bhi nur-e-nazar vahi jin pe nisar the shams o qamar so ab aisi miTi hain vo anjuman.en ki nishan bhi un ke kahin na rahe vahi suraten rah ga.iin pesh-e-nazar jo zamane ko pheren idhar se udhar magar aise jamal-e-jahan-ara jo the raunaq-e-ru-e-zamin na rahe gham o ranj men 'akbar' agar hai ghira to samajh le ki ranj ko bhi hai fana kisi shai ko nahin hai jahan men baqa vo ziyada malul o hazin na rahe zid hai unhen puura mira arman na karenge munh se jo nahin nikli hai ab haan na karenge kyuun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete kahte hain ki vallah pareshan na karenge hai zehan men ik baat tumhare muta.alliq khalvat men jo puchhoge to pinhan na karenge vaa.iz to banate hain musalman ko kafir afsos ye kafir ko musalman na karenge kyuun shukr-guzari ka mujhe shauq hai itna sunta huun vo mujh par koi ehsan na karenge divana na samjhe hamen vo samjhe sharabi ab chaak kabhi jeb o gareban na karenge vo jante hain ghair mire ghar men hai mehman a.enge to mujh par koi ehsan na karenge alam-e-ab-o-khak-o-bad sirr-e-ayan hai tu ki main vo jo nazar se hai nihan us ka jahan hai tu ki main vo shab-e-dard-o-soz-o-gham kahte hain zindagi jise us ki sahar hai tu ki main us ki azaan hai tu ki main kis ki numud ke liye shaam o sahar hain garm-e-sair shana-e-rozgar par bar-e-giran hai tu ki main tu kaf-e-khak o be-basar main kaf-e-khak o khud-nigar kisht-e-vajud ke liye ab-e-ravan hai tu ki main aflak se aata hai nalon ka javab akhir karte hain khitab akhir uThte hain hijab akhir ahval-e-mohabbat men kuchh farq nahin aisa soz o tab-o-tab avval soz o tab-o-tab akhir main tujh ko batata huun taqdir-e-umam kya hai shamshir-o-sinan avval ta.us-o-raubab akhir mai-khana-e-europe ke dastur nirale hain laate hain surur avval dete hain sharab akhir kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri ho jaate hain sab daftar gharq-e-mai-e-nab akhir khalvat ki ghaDi guzri jalvat ki ghaDi aa.i chhuTne ko hai bijli se aghosh-e-sahab akhir tha zabt bahut mushkil is sail-e-ma.ani ka kah Daale qalandar ne asrar-e-kitab akhir agar kaj-rau hain anjum asman tera hai ya mera mujhe fikr-e-jahan kyuun ho jahan tera hai ya mera agar hangama-ha-e-shauq se hai la-makan khali khata kis ki hai ya rab la-makan tera hai ya mera use sub.h-e-azal inkar ki jur.at hui kyunkar mujhe malum kya vo raz-dan tera hai ya mera mohammad bhi tira jibril bhi qur.an bhi tera magar ye harf-e-shirin tarjuman tera hai ya mera isi kaukab ki tabani se hai tera jahan raushan zaval-e-adam-e-khaki ziyan tera hai ya mera anokhi vaz.a hai saare zamane se nirale hain ye ashiq kaun si basti ke ya-rab rahne vaale hain ilaj-e-dard men bhi dard ki lazzat pe marta huun jo the chhalon men kanTe nok-e-sozan se nikale hain phala-phula rahe ya-rab chaman meri umidon ka jigar ka khuun de de kar ye buuTe main ne paale hain rulati hai mujhe raton ko khamoshi sitaron ki nirala ishq hai mera nirale mere naale hain na puchho mujh se lazzat khanaman-barbad rahne ki nasheman saikDon main ne bana kar phunk Daale hain nahin beganagi achchhi rafiq-e-rah-e-manzil se Thahar ja ai sharar ham bhi to akhir miTne vaale hain umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai vaa.iz ko ye hazrat dekhne men sidhe-sadhe bhole bhale hain mire ash.ar ai 'iqbal' kyuun pyare na hon mujh ko mire TuuTe hue dil ke ye dard-angez naale hain apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahan samjha tha main be-hijabi se tiri TuuTa nigahon ka tilism ik rida-e-nil-gun ko asman samjha tha main karvan thak kar faza ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko ham-inan samjha tha main ishq ki ik jast ne tai kar diya qissa tamam is zamin o asman ko be-karan samjha tha main kah ga.iin raz-e-mohabbat parda-dari-ha-e-shauq thi fughan vo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main thi kisi darmanda rah-rau ki sada-e-dardnak jis ko avaz-e-rahil-e-karvan samjha tha main aql go astan se duur nahin us ki taqdir men huzur nahin dil-e-bina bhi kar khuda se talab aankh ka nuur dil ka nuur nahin ilm men bhi surur hai lekin ye vo jannat hai jis men huur nahin kya ghazab hai ki is zamane men ek bhi sahib-e-surur nahin ik junun hai ki ba-shu.ur bhi hai ik junun hai ki ba-shu.ur nahin na-suburi hai zindagi dil ki aah vo dil ki na-subur nahin be-huzuri hai teri maut ka raaz zinda ho tu to be-huzur nahin har guhar ne sadaf ko toD diya tu hi amada-e-zuhur nahin arini main bhi kah raha huun magar ye hadis-e-kalim-o-tur nahin asar kare na kare sun to le miri fariyad nahin hai daad ka talib ye banda-e-azad ye musht-e-khak ye sarsar ye vus.at-e-aflak karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-ijad Thahar saka na hava-e-chaman men khema-e-gul yahi hai fasl-e-bahari yahi hai bad-e-murad qusur-var gharib-ud-dayar huun lekin tira kharaba farishte na kar sake abad miri jafa-talabi ko dua.en deta hai vo dasht-e-sada vo tera jahan-e-be-buniyad khatar-pasand tabi.at ko sazgar nahin vo gulsitan ki jahan ghaat men na ho sayyad maqam-e-shauq tire qudsiyon ke bas ka nahin unhin ka kaam hai ye jin ke hausle hain ziyad DhunD raha hai farang aish-e-jahan ka davam va-e-tamanna-e-kham va-e-tamanna-e-kham pir-e-haram ne kaha sun ke meri ruedad pukhta hai teri fughan ab na ise dil men thaam tha areni go kalim main areni go nahin us ko taqaza rava mujh pe taqaza haram garche hai ifsha-e-raz ahl-e-nazar ki fughan ho nahin sakta kabhi sheva-e-rindana aam halqa-e-sufi men zikr be-nam o be-soz-o-saz main bhi raha tishna-kam tu bhi raha tishna-kam ishq tiri intiha ishq miri intiha tu bhi abhi na-tamam main bhi abhi na-tamam aah ki khoya gaya tujh se faqiri ka raaz varna hai mal-e-faqir saltanat-e-rum-o-sham digar-gun hai jahan taron ki gardish tez hai saaqi dil-e-har-zarra men ghaugha-e-rusta-khez hai saaqi mata-e-din-o-danish luT ga.i allah-valon ki ye kis kafir-ada ka ghamza-e-khun-rez hai saaqi vahi derina bimari vahi na-mohkami dil ki ilaaj is ka vahi ab-e-nashat-angez hai saaqi haram ke dil men soz-e-arzu paida nahin hota ki paida.i tiri ab tak hijab-amez hai saaqi na uTTha phir koi 'rumi' ajam ke lala-zaron se vahi ab-o-gil-e-iran vahi tabrez hai saaqi nahin hai na-umid 'iqbal' apni kisht-e-viran se zara nam ho to ye miTTi bahut zarkhez hai saaqi faqir-e-rah ko bakhshe ga.e asrar-e-sultani baha meri nava ki daulat-e-parvez hai saaqi dil soz se khali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isi khaak men pinhan ghafil tu nira sahib-e-idrak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkar o sukhan-saz hai namnak nahin hai kya suufi o mulla ko khabar mere junun ki un ka sar-e-daman bhi abhi chaak nahin hai kab tak rahe mahkumi-e-anjum men miri khaak ya main nahin ya gardish-e-aflak nahin hai bijli huun nazar koh o bayaban pe hai meri mere liye shayan khas-o-khashak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jan-baz ki miras momin nahin jo sahib-e-laulak nahin hai ejaaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana TuuTa hai asia men sehr-e-firangiyana tamir-e-ashiyan se main ne ye raaz paaya ahl-e-nava ke haq men bijli hai ashiyana ye bandagi khuda.i vo bandagi gada.i ya banda-e-khuda ban ya banda-e-zamana ghafil na ho khudi se kar apni pasbani shayad kisi haram ka tu bhi hai astana ai la ilaah ke varis baaqi nahin hai tujh men guftar-e-dilbarana kirdar-e-qahirana teri nigah se dil sinon men kanpte the khoya gaya hai tera jazb-e-qalandarana raz-e-haram se shayad 'iqbal' ba-khabar hai hain is ki guftugu ke andaz mahramana fitrat ko khirad ke ru-ba-ru kar taskhir-e-maqam-e-rang-o-bu kar tu apni khudi ko kho chuka hai khoi hui shai ki justuju kar taron ki faza hai be-karana tu bhi ye maqam-e-arzu kar uryan hain tire chaman ki huren chak-e-gul-o-lala ko rafu kar be-zauq nahin agarche fitrat jo us se na ho saka vo tu kar gesu-e-tabdar ko aur bhi tabdar kar hosh o khirad shikar kar qalb o nazar shikar kar ishq bhi ho hijab men husn bhi ho hijab men ya to khud ashkar ho ya mujhe ashkar kar tu hai muhit-e-be-karan main huun zara si aabju ya mujhe ham-kanar kar ya mujhe be-kanar kar main huun sadaf to tere haath mere guhar ki aabru main huun khazaf to tu mujhe gauhar-e-shahvar kar naghma-e-nau-bahar agar mere nasib men na ho us dam-e-nim-soz ko ta.irak-e-bahar kar bagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyuun kar-e-jahan daraz hai ab mira intizar kar roz-e-hisab jab mira pesh ho daftar-e-amal aap bhi sharmsar ho mujh ko bhi sharmsar kar gulzar-e-hast-e-bud na begana-var dekh hai dekhne ki chiiz ise baar baar dekh aaya hai tu jahan men misal-e-sharar dekh dam de na jaa.e hasti-e-na-pa.edar dekh maana ki teri diid ke qabil nahin huun main tu mera shauq dekh mira intizar dekh kholi hain zauq-e-did ne ankhen tiri agar har rahguzar men naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar dekh har shai musafir har chiiz raahi kya chand taare kya murgh o maahi tu mard-e-maidan tu mir-e-lashkar nuuri huzuri tere sipahi kuchh qadr apni tu ne na jaani ye be-savadi ye kam-nigahi duniya-e-dun ki kab tak ghulami ya rahebi kar ya padshahi pir-e-haram ko dekha hai main ne kirdar-e-be-soz guftar vaahi hazar khauf ho lekin zaban ho dil ki rafiq yahi raha hai azal se qalandaron ka tariq hujum kyuun hai ziyada sharab-khane men faqat ye baat ki pir-e-mughan hai mard-e-khaliq ilaj-e-zof-e-yaqin in se ho nahin sakta gharib agarche hain 'razi' ke nukta-ha-e-daqiq murid-e-sada to ro ro ke ho gaya taa.ib khuda kare ki mile shaikh ko bhi ye taufiq usi tilism-e-kuhan men asiir hai aadam baghal men us ki hain ab tak butan-e-ahd-e-atiq mire liye to hai iqrar-e-bil-lisan bhi bahut hazar shukr ki mulla hain sahib-e-tasdiq agar ho ishq to hai kufr bhi musalmani na ho to mard-e-musalman bhi kafir o zindiq ik danish-e-nurani ik danish-e-burhani hai danish-e-burhani hairat ki faravani is paikar-e-khaki men ik shai hai so vo teri mere liye mushkil hai is shai ki nigahbani ab kya jo fughan meri pahunchi hai sitaron tak tu ne hi sikha.i thi mujh ko ye ghazal-khvani ho naqsh agar batil takrar se kya hasil kya tujh ko khush aati hai aadam ki ye arzani mujh ko to sikha di hai afrang ne zindiqi is daur ke mulla hain kyuun nang-e-musalmani taqdir shikan quvvat baaqi hai abhi is men nadan jise kahte hain taqdir ka zindani tere bhi sanam-khane mere bhi sanam-khane donon ke sanam khaki donon ke sanam faani ishq se paida nava-e-zindagi men zer-o-bam ishq se miTTi ki tasviron men soz-e-dam-ba-dam aadmi ke reshe reshe men sama jaata hai ishq shakh-e-gul men jis tarah bad-e-sahar-gahi ka nam apne raziq ko na pahchane to muhtaj-e-muluk aur pahchane to hain tere gada daara o jam dil ki azadi shahanshahi shikam saman-e-maut faisla tera tire hathon men hai dil ya shikam ai musalman apne dil se puchh mulla se na puchh ho gaya allah ke bandon se kyuun khali haram jab ishq sikhata hai adab-e-khud-agahi khulte hain ghulamon par asrar-e-shahanshahi 'attar' ho 'rumi' ho 'razi' ho 'ghazali' ho kuchh haath nahin aata be-ah-e-sahar-gahi naumid na ho in se ai rahbar-e-farzana kam-kosh to hain lekin be-zauq nahin raahi ai ta.ir-e-lahauti us rizq se maut achchhi jis rizq se aati ho parvaz men kotahi daara o sikandar se vo mard-e-faqir aula ho jis ki faqiri men bu-e-asadul-lahai a.in-e-javan-mardan haq-goi o be-baki allah ke sheron ko aati nahin rubahi kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz men ki hazaron sajde taDap rahe hain miri jabin-e-niyaz men tarab-ashna-e-kharosh ho to nava hai mahram-e-gosh ho vo sarod kya ki chhupa hua ho sukut-e-parda-e-saz men tu bacha bacha ke na rakh ise tira aa.ina hai vo aa.ina ki shikasta ho to aziz-tar hai nigah-e-a.ina-saz men dam-e-tauf kirmak-e-sham.a ne ye kaha ki vo asar-e-kuhan na tiri hikayat-e-soz men na miri hadis-e-gudaz men na kahin jahan men amaan mili jo amaan mili to kahan mili mire jurm-e-khana-kharab ko tire afv-e-banda-navaz men na vo ishq men rahin garmiyan na vo husn men rahin shokhiyan na vo ghaznavi men taDap rahi na vo kham hai zulf-e-ayaz main main jo sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada tira dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz men khirad ke paas khabar ke siva kuchh aur nahin tira ilaaj nazar ke siva kuchh aur nahin har ik maqam se aage maqam hai tera hayat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin giran-baha hai to hifz-e-khudi se hai varna guhar men ab-e-guhar ke siva kuchh aur nahin ragon men gardish-e-khun hai agar to kya hasil hayat soz-e-jigar ke siva kuchh aur nahin urus-e-lala munasib nahin hai mujh se hijab ki main nasim-e-sahar ke siva kuchh aur nahin jise kasad samajhte hain tajiran-e-farang vo shai mata-e-hunar ke siva kuchh aur nahin baDa karim hai 'iqbal'-e-be-nava lekin ata-e-shola sharar ke siva kuchh aur nahin khird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai ki main is fikr men rahta huun meri intiha kya hai khudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle khuda bande se khud puchhe bata teri raza kya hai maqam-e-guftugu kya hai agar main kimiya-gar huun yahi soz-e-nafas hai aur meri kimiya kya hai nazar aa.iin mujhe taqdir ki gahra.iyan is men na puchh ai ham-nashin mujh se vo chashm-e-surma-sa kya hai agar hota vo majzub-e-farangi is zamane men to 'iqbal' us ko samjhata maqam-e-kibriya kya hai nava-e-sub.h-gahi ne jigar khuun kar diya mera khudaya jis khata ki ye saza hai vo khata kya hai khudi ho ilm se mohkam to ghairat-e-jibril agar ho ishq se mohkam to sur-e-israfil azab-e-danish-e-hazir se ba-khabar huun main ki main is aag men Daala gaya huun misl-e-khalil fareb-khurda-e-manzil hai karvan varna ziyada rahat-e-manzil se hai nashat-e-rahil nazar nahin to mire halqa-e-sukhan men na baiTh ki nukta-ha-e-khudi hain misal-e-tegh-e-asil mujhe vo dars-e-farng aaj yaad aate hain kahan huzur ki lazzat kahan hijab-e-dalil andheri shab hai juda apne qafile se hai tu tire liye hai mira shola-e-nava qindil gharib o saada o rangin hai dastan-e-haram nihayat is ki husain ibtida hai isma.il khudi vo bahr hai jis ka koi kinara nahin tu aabju ise samjha agar to chara nahin tilism-e-gumbad-e-gardun ko toD sakte hain zujaj ki ye imarat hai sang-e-khara nahin khudi men Dubte hain phir ubhar bhi aate hain magar ye hausla-e-mard-e-hech-kara nahin tire maqam ko anjum-shanas kya jaane ki khak-e-zinda hai tu taba-e-sitara nahin yahin bahisht bhi hai huur o jibra.il bhi hai tiri nigah men abhi shokhi-e-nazara nahin mire junun ne zamane ko khuub pahchana vo pairahan mujhe bakhsha ki paara paara nahin ghazab hai ain-e-karam men bakhil hai fitrat ki lal-e-nab men atish to hai sharara nahin ki haq se farishton ne 'iqbal' ki ghammazi gustakh hai karta hai fitrat ki hina-bandi khaki hai magar is ke andaz hain aflaki ruumi hai na shami hai kashi na samarqandi sikhla.i farishton ko aadam ki taDap us ne aadam ko sikhata hai adab-e-khudavandi kushada dast-e-karam jab vo be-niyaz kare niyaz-mand na kyuun ajizi pe naaz kare biTha ke arsh pe rakkha hai tu ne ai vaa.iz khuda vo kya hai jo bandon se ehtiraz kare miri nigah men vo rind hi nahin saaqi jo hoshiyari o masti men imtiyaz kare mudam gosh-ba-dil rah ye saaz hai aisa jo ho shikasta to paida nava-e-raz kare koi ye puchhe ki vaa.iz ka kya bigaDta hai jo be-amal pe bhi rahmat vo be-niyaz kare sukhan men soz ilahi kahan se aata hai ye chiiz vo hai ki patthar ko bhi gudaz kare tam.iz-e-lala-o-gul se hai nala-e-bulbul jahan men va na koi chashm-e-imtiyaz kare ghurur-e-zohd ne sikhla diya hai vaa.iz ko ki bandagan-e-khuda par zaban daraz kare hava ho aisi ki hindostan se ai 'iqbal' uDa ke mujh ko ghubar-e-rah-e-hijaz kare la phir ik baar vahi baada o jaam ai saaqi haath aa jaa.e mujhe mera maqam ai saaqi tiin sau saal se hain hind ke mai-khane band ab munasib hai tira faiz ho aam ai saaqi meri mina-e-ghazal men thi zara si baaqi shekh kahta hai ki hai ye bhi haram ai saaqi sher mardon se hua besha-e-tehqiq tahi rah ga.e suufi o mulla ke ghulam ai saaqi ishq ki tegh-e-jigar-dar uDa li kis ne ilm ke haath men khali hai niyam ai saaqi siina raushan ho to hai soz-e-sukhan ain-e-hayat ho na raushan to sukhan marg-e-davam ai saaqi tu miri raat ko mahtab se mahrum na rakh tire paimane men hai mah-e-tamam ai saaqi majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de nazzare ki havas ho to laila bhi chhoD de vaa.iz kamal-e-tark se milti hai yaan murad duniya jo chhoD di hai to uqba bhi chhoD de taqlid ki ravish se to behtar hai khud-kushi rasta bhi DhunD khizr ka sauda bhi chhoD de manind-e-khama teri zaban par hai harf-e-ghair begana shai pe nazish-e-beja bhi chhoD de lutf-e-kalam kya jo na ho dil men dard-e-ishq bismil nahin hai tu to taDapna bhi chhoD de shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal is baagh men qayam ka sauda bhi chhoD de hai ashiqi men rasm alag sab se baiThna but-khana bhi haram bhi kalisa bhi chhoD de sauda-gari nahin ye ibadat khuda ki hai ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhoD de achchha hai dil ke saath rahe pasban-e-aql lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de jiina vo kya jo ho nafas-e-ghair par madar shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhoD de shokhi si hai saval-e-mukarrar men ai kalim shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhoD de vaa.iz subut laa.e jo mai ke javaz men 'iqbal' ko ye zid hai ki piina bhi chhoD de mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi maqam-e-bandagi de kar na luun shan-e-khudavandi tire azad bandon ki na ye duniya na vo duniya yahan marne ki pabandi vahan jiine ki pabandi hijab iksir hai avara-e-ku-e-mohabbat ko miri atish ko bhaDkati hai teri der-paivandi guzar-auqat kar leta hai ye koh o bayaban men ki shahin ke liye zillat hai kar-e-ashiyan-bandi ye faizan-e-nazar tha ya ki maktab ki karamat thi sikha.e kis ne isma.il ko adab-e-farzandi ziyarat-gah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad meri ki khak-e-rah ko main ne bataya raz-e-alvandi miri mashshatgi ki kya zarurat husn-e-ma.ani ko ki fitrat khud-ba-khud karti hai laale ki hina-bandi meri nava-e-shauq se shor harim-e-zat men ghulghula-ha-e-al-aman but-kada-e-sifat men huur o farishta hain asiir mere takhaiyyulat men meri nigah se khalal teri tajalliyat men garche hai meri justuju dair o haram ki naqsha-band meri fughan se rustakhez ka.aba o somnat men gaah miri nigah-e-tez chiir ga.i dil-e-vajud gaah ulajh ke rah ga.i mere tavahhumat men tu ne ye kya ghazab kiya mujh ko bhi faash kar diya main hi to ek raaz tha sina-e-ka.enat men musalman ke lahu men hai saliqa dil-navazi ka muravvat husn-e-alam-gir hai mardan-e-ghazi ka shikayat hai mujhe ya rab khudavandan-e-maktab se sabaq shahin bachchon ko de rahe hain khak-bazi ka bahut muddat ke nakhchiron ka andaz-e-nigah badla ki main ne faash kar Daala tariqa shah-bazi ka qalandar juz do harf-e-la-ilah kuchh bhi nahin rakhta faqih-e-shahr qarun hai lughat-ha-e-hijazi ka hadis-e-bada-o-mina-o-jam aati nahin mujh ko na kar khara-shigafon se taqaza shisha-sazi ka kahan se tu ne ai 'iqbal' sikhi hai ye darveshi ki charcha padshahon men hai teri be-niyazi ka na aate hamen is men takrar kya thi magar va.ada karte hue aar kya thi tumhare payami ne sab raaz khola khata is men bande ki sarkar kya thi bhari bazm men apne ashiq ko taaDa tiri aankh masti men hushyar kya thi ta.ammul to tha un ko aane men qasid magar ye bata tarz-e-inkar kya thi khinche khud-bakhud janib-e-tur muusa kashish teri ai shauq-e-didar kya thi kahin zikr rahta hai 'iqbal' tera fusun tha koi teri guftar kya thi na takht-o-taj men ne lashkar-o-sipah men hai jo baat mard-e-qalandar ki bargah men hai sanam-kada hai jahan aur mard-e-haq hai khalil ye nukta vo hai ki poshida la-ilah men hai vahi jahan hai tira jis ko tu kare paida ye sang-o-khisht nahin jo tiri nigah men hai mah o sitara se aage maqam hai jis ka vo musht-e-khak abhi avargan-e-rah men hai khabar mili hai khudayan-e-bahr-o-bar se mujhe farang rahguzar-e-sail-e-be-panah men hai talash us ki fazaon men kar nasib apna jahan-e-taza miri ah-e-sub.h-gah men hai mire kadu ko ghanimat samajh ki bada-e-nab na madrase men hai baaqi na khanqah men hai na tu zamin ke liye hai na asman ke liye jahan hai tere liye tu nahin jahan ke liye ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke vo khar-o-khas ke liye hai ye nistan ke liye maqam-e-parvarish-e-ah-o-lala hai ye chaman na sair-e-gul ke liye hai na ashiyan ke liye rahega raavi o niil o furat men kab tak tira safina ki hai bahr-e-be-karan ke liye nishan-e-rah dikhate the jo sitaron ko taras ga.e hain kisi mard-e-rah-dan ke liye nigah buland sukhan dil-navaz jaan pur-soz yahi hai rakht-e-safar mir-e-karvan ke liye zara si baat thi andesha-e-ajam ne use baDha diya hai faqat zeb-e-dastan ke liye mire gulu men hai ik naghma jibra.il-ashob sambhal kar jise rakkha hai la-makan ke liye naala hai bulbul-e-shorida tira khaam abhi apne siine men ise aur zara thaam abhi pukhta hoti hai agar maslahat-andesh ho aql ishq ho maslahat-andesh to hai khaam abhi be-khatar kuud paDa atish-e-namrud men ishq aql hai mahv-e-tamasha-e-lab-e-bam abhi ishq farmuda-e-qasid se subuk-gam-e-amal aql samjhi hi nahin ma.ani-e-paigham abhi sheva-e-ishq hai azadi o dahr-ashobi tu hai zunnari-e-but-khana-e-ayyam abhi uzr-e-parhez pe kahta hai bigaD kar saaqi hai tire dil men vahi kavish-e-anjam abhi sa.i-e-paiham hai tarazu-e-kam-o-kaif-e-hayat teri mizan hai shumar-e-sahar-o-sham abhi abr-e-naisan ye tunuk-bakhshi-e-shabnam kab tak mere kohsar ke laale hain tahi-jam abhi bada-gardan-e-ajam vo arabi meri sharab mire saghar se jhijakte hain mai-asham abhi khabar 'iqbal' ki laa.i hai gulistan se nasim nau-giraftar phaDakta hai tah-e-dam abhi nigah-e-faqr men shan-e-sikandari kya hai khiraj ki jo gada ho vo qaisari kya hai buton se tujh ko umiden khuda se naumidi mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai falak ne un ko ata ki hai khvajgi ki jinhen khabar nahin ravish-e-banda-parvari kya hai faqat nigah se hota hai faisla dil ka na ho nigah men shokhi to dilbari kya hai isi khata se itab-e-muluk hai mujh par ki janta huun ma.al-e-sikandari kya hai kise nahin hai tamanna-e-sarvari lekin khudi ki maut ho jis men vo sarvari kya hai khush aa ga.i hai jahan ko qalandari meri vagarna sher mira kya hai sha.iri kya hai pareshan ho ke meri khaak akhir dil na ban jaa.e jo mushkil ab hai ya rab phir vahi mushkil na ban jaa.e na kar den mujh ko majbur-e-nava firdaus men huren mira soz-e-darun phir garmi-e-mahfil na ban jaa.e kabhi chhoDi hui manzil bhi yaad aati hai raahi ko khaTak si hai jo siine men gham-e-manzil na ban jaa.e banaya ishq ne dariya-e-na-paida-karan mujh ko ye meri khud-nigah-dari mira sahil na ban jaa.e kahin is alam-e-be-rang-o-bu men bhi talab meri vahi afsana-e-dumbala-e-mahmil na ban jaa.e uruj-e-adam-e-khaki se anjum sahme jaate hain ki ye TuuTa hua taara mah-e-kamil na ban jaa.e phir charagh-e-lala se raushan hue koh o daman mujh ko phir naghmon pe uksane laga murgh-e-chaman phuul hain sahra men ya pariyan qatar andar qatar uude uude niile niile piile piile pairahan barg-e-gul par rakh ga.i shabnam ka moti bad-e-sub.h aur chamkati hai us moti ko suraj ki kiran husn-e-be-parva ko apni be-naqabi ke liye hon agar shahron se ban pyare to shahr achchhe ki ban apne man men Duub kar pa ja suragh-e-zindagi tu agar mera nahin banta na ban apna to ban man ki duniya man ki duniya soz o masti jazb o shauq tan ki duniya tan ki duniya suud o sauda makr o fan man ki daulat haath aati hai to phir jaati nahin tan ki daulat chhanv hai aata hai dhan jaata hai dhan man ki duniya men na paaya main ne afrangi ka raaj man ki duniya men na dekhe main ne shaikh o barhaman paani paani kar ga.i mujko qalandar ki ye baat tu jhuka jab ghair ke aage na man tera na tan sakhtiyan karta huun dil par ghair se ghafil huun main haa.e kya achchhi kahi zalim huun main jahil huun main main jabhi tak tha ki teri jalva-paira.i na thi jo numud-e-haq se miT jaata hai vo batil huun main ilm ke dariya se nikle ghota-zan gauhar-ba-dast vaa.e mahrumi khazaf chain lab sahil huun main hai miri zillat hi kuchh meri sharafat ki dalil jis ki ghaflat ko malak rote hain vo ghafil huun main bazm-e-hasti apni ara.ish pe tu nazan na ho tu to ik tasvir hai mahfil ki aur mahfil huun main DhunDhta phirta huun main 'iqbal' apne-ap ko aap hi goya musafir aap hi manzil huun main sama sakta nahin pahna-e-fitrat men mira sauda ghalat tha ai junun shayad tira andaza-e-sahra khudi se is tilism-e-rang-o-bu ko toD sakte hain yahi tauhid thi jis ko na tu samjha na main samjha nigah paida kar ai ghafil tajalli ain-e-fitrat hai ki apni mauj se begana rah sakta nahin dariya raqabat ilm o irfan men ghalat-bini hai mimbar ki ki vo hallaj ki suuli ko samjha hai raqib apna khuda ke paak bandon ko hukumat men ghulami men zirah koi agar mahfuz rakhti hai to istighna na kar taqlid ai jibril mere jazb-o-masti ki tan-asan arshiyon ko zikr o tasbih o tavaf aula bahut dekhe hain main ne mashriq o maghrib ke mai-khane yahan saaqi nahin paida vahan be-zauq hai sahba na iran men rahe baaqi na turan men rahe baaqi vo bande faqr tha jin ka halak-e-qaisar-o-kisra yahi shaikh-e-haram hai jo chura kar bech khata hai galim-e-buzar o dalq-e-uves o chadar-e-zahra huzur-e-haq men israfil ne meri shikayat ki ye banda vaqt se pahle qayamat kar na de barpa nida aa.i ki ashob-e-qayamat se ye kya kam hai ' girafta chiniyan ehram o makki khufta dar bat.ha labalab shisha-e-tahzib-e-hazir hai mai-e-la se magar saaqi ke hathon men nahin paimana-e-illa daba rakkha hai is ko zakhma-var ki tez-dasti ne bahut niche suron men hai abhi europe ka vavaila isi dariya se uThti hai vo mauj-e-tund-jaulan bhi nahangon ke nasheman jis se hote hain tah-o-bala ghulami kya hai zauq-e-husn-o-zeba.i se mahrumi jise zeba kahen azad bande hai vahi zeba bharosa kar nahin sakte ghulamon ki basirat par ki duniya men faqat mardan-e-hur ki aankh hai biina vahi hai sahib-e-imroz jis ne apni himmat se zamane ke samundar se nikala gauhar-e-farda farangi shishagar ke fan se patthar ho ga.e paani miri iksir ne shishe ko bakhshi sakhti-e-khara rahe hain aur hain fir.aun meri ghaat men ab tak magar kya gham ki meri astin men hai yad-e-baiza vo chingari khas-o-khashak se kis tarah dab jaa.e jise haq ne kiya ho nistan ke vaste paida mohabbat kheshtan biini mohabbat kheshtan daari mohabbat astan-e-qaisar-o-kisra se be-parva ajab kya gar mah o parvin mire nakhchir ho jaa.en ki bar fitrak-e-sahib daulat-e-bastam sar-e-khud ra vo dana-e-subul khatmur-rusul maula-e-kul jis ne ghubar-e-rah ko bakhsha farogh-e-vadi-e-sina nigah-e-ishq o masti men vahi avval vahi akhir vahi qur.an vahi furqan vahi yasin vahi taaha 'sana.i' ke adab se main ne ghavvasi na ki varna abhi is bahr men baaqi hain lakhon lulu-e-lala sitaron se aage jahan aur bhi hain abhi ishq ke imtihan aur bhi hain tahi zindagi se nahin ye faza.en yahan saikDon karvan aur bhi hain qana.at na kar alam-e-rang-o-bu par chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain agar kho gaya ik nasheman to kya gham maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain tu shahin hai parvaz hai kaam tera tire samne asman aur bhi hain isi roz o shab men ulajh kar na rah ja ki tere zaman o makan aur bhi hain ga.e din ki tanha tha main anjuman men yahan ab mire raz-dan aur bhi hain tire ishq ki intiha chahta huun miri sadgi dekh kya chahta huun sitam ho ki ho vada-e-be-hijabi koi baat sabr-azma chahta huun ye jannat mubarak rahe zahidon ko ki main aap ka samna chahta huun zara sa to dil huun magar shokh itna vahi lan-tarani suna chahta huun koi dam ka mehman huun ai ahl-e-mahfil charagh-e-sahar huun bujha chahta huun bhari bazm men raaz ki baat kah di baDa be-adab huun saza chahta huun tujhe yaad kya nahin hai mire dil ka vo zamana vo adab-gah-e-mohabbat vo nigah ka taziyana ye butan-e-asr-e-hazir ki bane hain madrase men na ada-e-kafirana na tarash-e-azrana nahin is khuli faza men koi gosha-e-faraghat ye jahan ajab jahan hai na qafas na ashiyana rag-e-tak muntazir hai tiri barish-e-karam ki ki ajam ke mai-kadon men na rahi mai-e-mughana mire ham-safir ise bhi asar-e-bahar samjhe unhen kya khabar ki kya hai ye nava-e-ashiqana mire khaak o khuun se tu ne ye jahan kiya hai paida sila-e-shahid kya hai tab-o-tab-e-javedana tiri banda-parvari se mire din guzar rahe hain na gila hai doston ka na shikayat-e-zamana tu abhi rahguzar men hai qaid-e-maqam se guzar misr o hijaz se guzar paras o shaam se guzar jis ka amal hai be-gharaz us ki jaza kuchh aur hai huur o khiyam se guzar bada-o-jam se guzar garche hai dil-kusha bahut husn-e-farang ki bahar ta.erak-e-buland-bam dana-o-dam se guzar koh-shigaf teri zarb tujh se kushad-e-sharq-o-gharb tegh-e-hilal ki tarah aish-e-niyam se guzar tera imaam be-huzur teri namaz be-surur aisi namaz se guzar aise imaam se guzar vahi meri kam-nasibi vahi teri be-niyazi mire kaam kuchh na aaya ye kamal-e-nai-navazi main kahan huun tu kahan hai ye makan ki la-makan hai ye jahan mira jahan hai ki tiri karishma-sazi isi kashmakash men guzrin miri zindagi ki raten kabhi soz-o-saz-e-'rumi' kabhi pech-o-tab-e-'razi' vo fareb-khurda shahin ki pala ho kargason men use kya khabar ki kya hai rah-o-rasm-e-shahbazi na zaban koi ghazal ki na zaban se ba-khabar main koi dil-kusha sada ho ajami ho ya ki taazi nahin faqr o saltanat men koi imtiyaz aisa ye sipah ki tegh-bazi vo nigah ki tegh-bazi koi karvan se TuuTa koi bad-guman haram se ki amir-e-karvan men nahin khu-e-dil-navazi vo harf-e-raz ki mujh ko sikha gaya hai junun khuda mujhe nafas-e-jabra.il de to kahun sitara kya miri taqdir ki khabar dega vo khud farakhi-e-aflak men hai khvar o zubun hayat kya hai khayal o nazar ki majzubi khudi ki maut hai andesha-ha-e-guna-gun ajab maza hai mujhe lazzat-e-khudi de kar vo chahte hain ki main apne aap men na rahun zamir-e-pak o nigah-e-buland o masti-e-shauq na mal-o-daulat-e-qarun na fikr-e-aflatun sabaq mila hai ye meraj-e-mustafa se mujhe ki alam-e-bashariyat ki zad men hai gardun ye ka.enat abhi na-tamam hai shayad ki aa rahi hai damadam sada-e-kun-fayakun ilaaj atish-e-'rumi' ke soz men hai tira tiri khirad pe hai ghalib firangiyon ka fusun usi ke faiz se meri nigah hai raushan usi ke faiz se mere subu men hai jehun ya rab ye jahan-e-guzaran khuub hai lekin kyuun khvar hain mardan-e-safa-kesh o hunar-mand go is ki khuda.i men mahajan ka bhi hai haath duniya to samajhti hai farangi ko khudavand tu barg-e-gaya hai na vahi ahl-e-khirad ra o kisht-e-gul-o-lala ba-bakhshad ba-khare chand hazir hain kalisa men kabab o mai-e-gulgun masjid men dhara kya hai ba-juz mauiza o pand ahkam tire haq hain magar apne mufassir tavil se qur.an ko bana sakte hain pazand firdaus jo tera hai kisi ne nahin dekha afrang ka har qarya hai firdaus ki manind muddat se hai avara-e-aflak mira fikr kar de ise ab chand ke gharon men nazar-band fitrat ne mujhe bakhshe hain jauhar malakuti khaki huun magar khaak se rakhta nahin paivand darvesh-e-khuda-mast na sharqi hai na gharbi ghar mera na dilli na safahan na samarqand kahta huun vahi baat samajhta huun jise haq ne abla-e-masjid huun na tahzib ka farzand apne bhi khafa mujh se hain begane bhi na-khush main zahr-e-halahal ko kabhi kah na saka qand mushkil hai ik banda-e-haq-bin-o-haq-andesh khashak ke tode ko kahe koh-e-damavand huun atish-e-namrud ke sho.alon men bhi khamosh main banda-e-momin huun nahin dana-e-aspand pur-soz nazar-baz o niko-bin o kam aarzu azad o giraftar o tahi kiisa o khursand har haal men mera dil-e-be-qaid hai khurram kya chhinega ghunche se koi zauq-e-shakar-khand chup rah na saka hazrat-e-yazdan men bhi 'iqbal' karta koi is banda-e-gustakh ka munh band ye payam de ga.i hai mujhe bad-e-sub.h-gahi ki khudi ke arifon ka hai maqam padshahi tiri zindagi isi se tiri aabru isi se jo rahi khudi to shahi na rahi to ru-siyahi na diya nishan-e-manzil mujhe ai hakim tu ne mujhe kya gila ho tujh se tu na rah-nashin na raahi mire halqa-e-sukhan men abhi zer-e-tarbiyat hain vo gada ki jante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulahi ye muamle hain nazuk jo tiri raza ho tu kar ki mujhe to khush na aaya ye tariq-e-khanqahi tu huma ka hai shikari abhi ibtida hai teri nahin maslahat se khali ye jahan-e-murgh-o-mahi tu arab ho ya ajam ho tira la ilaah illa lughat-e-gharib jab tak tira dil na de gavahi zahir ki aankh se na tamasha kare koi ho dekhna to dida-e-dil va kare koi zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga sukut tha parda-dar jis ka vo raaz ab ashkar hoga guzar gaya ab vo daur saaqi ki chhup ke piite the piine vaale banega saara jahan mai-khana har koi bada-khvar hoga kabhi jo avara-e-junun the vo bastiyon men aa basenge barahna-pa.i vahi rahegi magar naya khar-zar hoga suna diya gosh muntazir ko hijaz ki khamushi ne akhir jo ahd sahra.iyon se bandha gaya tha par ustuvar hoga nikal ke sahra se jis ne ruuma ki saltanat ko ulaT diya tha suna hai ye qudsiyon se main ne vo sher phir hoshiyar hoga kiya mira tazkira jo saaqi ne bada-khvaron ki anjuman men to piir mai-khana sun ke kahne laga ki munh phaT hai khaar hoga dayar maghrib ke rahne vaalo khuda ki basti dukan nahin hai khara hai jise tum samajh rahe ho vo ab zar kam-ayar hoga tumhari tahzib apne khanjar se aap hi khud-kushi karegi jo shakh-e-nazuk pe ashiyana banega na-pa.edar hoga safina-e-barg-e-gul bana lega qafila mor-e-na-tavan ka hazar maujon ki ho kashakash magar ye dariya se paar hoga chaman men laala dikhata phirta hai daagh apna kali kali ko ye janta hai ki is dikhave se dil jalon men shumar hoga jo ek tha ai nigah tu ne hazar kar ke hamen dikhaya yahi agar kaifiyat hai teri to phir kise e'tibar hoga kaha jo qamri se main ne ik din yahan ke azad pagal hain to ghunche kahne lage hamare chaman ka ye razdar hoga khuda ke ashiq to hain hazaron banon men phirte hain maare maare main us ka banda banunga jis ko khuda ke bandon se pyaar hoga ye rasm barham fana hai ai dil gunah hai jumbish nazar bhi rahegi kya aabru hamari jo tu yahan be-qarar hoga main zulmat-e-shab men le ke niklunga apne darmanda karvan ko shah nishan hogi aah meri nafas mira sho.ala baar hoga nahin hai ghair az numud kuchh bhi jo mudda.a teri zindagi ka tu ik nafas men jahan se miTna tujhe misal sharar hoga na puchh iqbal ka Thikana abhi vahi kaifiyat hai us ki kahin sar-e-rah-guzar baiTha sitam-kash intizar hoga aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butan se ham sab kuchh kaha magar na khule razdan se ham ab bhagte hain saya-e-ishq-e-butan se ham kuchh dil se hain Dare hue kuchh asman se ham hanste hain us ke girya-e-be-ikhtiyar par bhule hain baat kah ke koi razdan se ham ab shauq se bigaD ke hi baten kiya karo kuchh pa ga.e hain aap ke tarz-e-bayan se ham jannat men to nahin agar ye zakhm-e-tegh-e-ishq badlenge tujh ko zindagi-e-javedan se ham ab vo agla sa iltifat nahin jis pe bhule the ham vo baat nahin mujh ko tum se e'timad-e-vafa tum ko mujh se par iltifat nahin ranj kya kya hain ek jaan ke saath zindagi maut hai hayat nahin yunhi guzre to sahl hai lekin fursat-e-gham ko bhi sabat nahin koi dil-soz ho to kiije bayan sarsari dil ki vardat nahin zarra zarra hai maz.har-e-khurshid jaag ai aankh din hai raat nahin qais ho kohkan ho ya 'hali' ashiqi kuchh kisi ki zaat nahin baat kuchh ham se ban na aa.i aaj bol kar ham ne munh ki khaa.i aaj chup par apni bharam the kya kya kuchh baat bigDi bani bana.i aaj shikva karne ki khu na thi apni par tabi.at hi kuchh bhar aa.i aaj bazm saaqi ne di ulaT saari khuub bhar bhar ke khum lunDha.i aaj ma.asiyat par hai der se ya rab nafs aur shara men laDa.i aaj ghalib aata hai nafs-e-dun ya shar.a dekhni hai tiri khuda.i aaj chor hai dil men kuchh na kuchh yaaro niind phir raat bhar na aa.i aaj zad se ulfat ki bach ke chalna tha muft 'hali' ne choT khaa.i aaj buri aur bhali sab guzar ja.egi ye kashti yunhi paar utar ja.egi milega na gulchin ko gul ka pata har ik pankhuDi yuun bikhar ja.egi rahenge na mallah ye din sada koi din men ganga utar ja.egi idhar ek ham aur zamana udhar ye baazi to so bisve har ja.egi banavaT ki shekhi nahin rahti shaikh ye izzat to ja.egi par ja.egi na puuri hui hain umiden na hon yunhi umr saari guzar ja.egi sunenge na 'hali' ki kab tak sada yahi ek din kaam kar ja.egi dhuum thi apni parsa.i ki ki bhi aur kis se ashna.i ki kyuun baDhate ho ikhtilat bahut ham ko taqat nahin juda.i ki munh kahan tak chhupaoge ham se tum ko aadat hai khud-numa.i ki laag men hain lagao ki baten sulh men chheD hai laDa.i ki milte ghairon se ho milo lekin ham se baten karo safa.i ki dil raha pa-e-band-e-ulfat-e-dam thi abas aarzu riha.i ki dil bhi pahlu men ho to yaan kis se rakhiye ummid dilruba.i ki shahr o dariya se baagh o sahra se bu nahin aati ashna.i ki na mila koi gharat-e-iman rah ga.i sharm parsa.i ki bakht-e-ham-dastani-e-shaida tu ne akhir ko na-rasa.i ki sohbat-e-gah-gahi-e-rashki tu ne bhi ham se bevafa.i ki maut ki tarah jis se Darte the saa.at aa pahunchi us juda.i ki zinda phirne ki hai havas 'hali' intiha hai ye be-haya.i ki dil ko dard-ashna kiya tu ne dard-e-dil ko dava kiya tu ne tab-e-insan ko di sirisht-e-vafa khaak ko kimiya kiya tu ne vasl-e-janan muhal Thahraya qatl-e-ashiq rava kiya tu ne tha na juz gham bisat-e-ashiq men gham ko rahat-faza kiya tu ne jaan thi ik vabal furqat men shauq ko jan-guza kiya tu ne thi mohabbat men nang minnat-e-ghair jazb-e-dil ko rasa kiya tu ne raah zahid ko jab kahin na mili dar-e-mai-khana va kiya tu ne qat.a hone hi jab laga paivand ghair ko ashna kiya tu ne thi jahan karvan ko deni raah ishq ko rahnuma kiya tu ne naav bhar kar jahan Duboni thi aql ko nakhuda kiya tu ne baDh ga.i jab pidar ko mehr-e-pisar us ko us se juda kiya tu ne jab hua mulk o maal rahzan-e-hosh badshah ko gada kiya tu ne jab mili kam-e-jan ko lazzat-e-dard dard ko be-dava kiya tu ne jab diya rah-rau ko zauq-e-talab sa.i ko na-rasa kiya tu ne parda-e-chashm the hijab bahut husn ko khud-numa kiya tu ne ishq ko tab-e-intizar na thi ghurfa ik dil men va kiya tu ne haram abad aur dair kharab jo kiya sab baja kiya tu ne sakht afsurda tab.a thi ahbab ham ko jaadu nava kiya tu ne phir jo dekha to kuchh na tha ya rab kaun puchhe ki kya kiya tu ne 'hali' uTTha hila ke mahfil ko akhir apna kaha kiya tu ne dil se khayal-e-dost bhulaya na ja.ega siine men daagh hai ki miTaya na ja.ega tum ko hazar sharm sahi mujh ko laakh zabt ulfat vo raaz hai ki chhupaya na ja.ega ai dil raza-e-ghair hai shart-e-raza-e-dost zinhar bar-e-ishq uThaya na ja.ega dekhi hain aisi un ki bahut mehrbaniyan ab ham se munh men maut ke jaaya na ja.ega mai tund o zarf-e-hausla-e-ahl-e-bazm tang saaqi se jaam bhar ke pilaya na ja.ega raazi hain ham ki dost se ho dushmani magar dushman ko ham se dost banaya na ja.ega kyuun chheDte ho zikr na milne ka raat ke puchhenge ham sabab to bataya na ja.ega bigDen na baat baat pe kyuun jante hain vo ham vo nahin ki ham ko manaya na ja.ega milna hai aap se to nahin hasr ghair par kis kis se ikhtilat baDhaya na ja.ega maqsud apna kuchh na khula lekin is qadar ya.ani vo DhunDte hain jo paaya na ja.ega jhagDon men ahl-e-din ke na 'hali' paDen bas aap qissa huzur se ye chukaya na ja.ega gham-e-furqat hi men marna ho to dushvar nahin shadi-e-vasl bhi ashiq ko saza-var nahin khub-rui ke liye zishti-e-khu bhi hai zarur sach to ye hai ki koi tujh sa tarah-dar nahin qaul dene men ta.ammul na qasam se inkar ham ko sachcha nazar aata koi iqrar nahin kal kharabat men ik goshe se aati thi sada dil men sab kuchh hai magar rukhsat-e-guftar nahin haq hua kis se ada us ki vafadari ka jis ke nazdik jafa ba.is-e-azar nahin dekhte hain ki pahunchti hai vahan kaun si raah ka.aba o dair se kuchh ham ko sarokar nahin honge qaa.il vo abhi matla-e-sani sun kar jo tajalli men ye kahte hain ki takrar nahin ghar hai vahshat-khez aur basti ujaaD ho ga.i ek ik ghaDi tujh bin pahaD aaj tak qasr-e-amal hai na-tamam bandh chuki hai bar-ha khul khul ke paaD hai pahunchna apna choTi tak muhal ai talab nikla bahut uncha pahaD khelna aata hai ham ko bhi shikar par nahin zahid koi TaTTi ki aaD dil nahin raushan to hain kis kaam ke sau shabistan men agar raushan hain jhaaD iid aur nauroz hai sab dil ke saath dil nahin hazir to duniya hai ujaaD khet raste par hai aur rah-rau savar kisht hai sarsabz aur nichi hai baaD baat vaa.iz ki koi pakDi ga.i in dinon kam-tar hai kuchh ham par lataD tum ne 'hali' khol kar nahaq zaban kar liya saari khuda.i se bigaD go javani men thi kaj-ra.i bahut par javani ham ko yaad aa.i bahut zer-e-burqa.a tu ne kya dikhla diya jam.a hain har su tamasha.i bahut haT pe is ki aur pis jaate hain dil raas hai kuchh us ko khud-ra.i bahut sarv ya gul aankh men jachte nahin dil pe hai naqsh us ki rana.i bahut chuur tha zakhmon men aur kahta tha dil rahat is taklif men paa.i bahut aa rahi hai chah-e-yusuf se sada dost yaan thoDe hain aur bhaa.i bahut vasl ke ho ho ke saman rah ga.e menh na barsa aur ghaTa chha.i bahut jan-nisari par vo bol uTThe miri hain fida.i kam tamasha.i bahut ham ne har adna ko aala kar diya khaksari apni kaam aa.i bahut kar diya chup vaqi.at-e-dahr ne thi kabhi ham men bhi goya.i bahut ghaT ga.iin khud talkhiyan ayyam ki ya ga.i kuchh baDh shakeba.i bahut ham na kahte the ki 'hali' chup raho rast-goi men hai rusva.i bahut hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan hain daur-e-jam-e-avval-e-shab men khudi se duur hoti hai aaj dekhiye ham ko sahar kahan ya rab is ikhtilat ka anjam ho ba-khair tha us ko ham se rabt magar is qadar kahan ik umr chahiye ki gavara ho nish-e-ishq rakkhi hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan bas ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-rah ka khat ka mire javab hai ai nama-bar kahan kaun o makan se hai dil-e-vahshi kanara-gir is khanuman-kharab ne DhunDa hai ghar kahan ham jis pe mar rahe hain vo hai baat hi kuchh aur aalam men tujh se laakh sahi tu magar kahan hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki dil chahta na ho to zaban men asar kahan 'hali' nashat-e-naghma-o-mai DhunDhte ho ab aa.e ho vaqt-e-sub.h rahe raat bhar kahan hai ye takiya tiri ataon par vahi israr hai khataon par rahen na-ashna zamane se haq hai tera ye ashnaon par rahravo ba-khabar raho ki guman rahzani ka hai rahnumaon par hai vo der ashna to aib hai kya marte hain ham inhin adaon par us ke kuche men hain vo be-par o baal uDte phirte hain jo havaon par shahsavaron pe band hai jo raah vaqf hai yaan barahna paanv par nahin mun.im ko us ki buund nasib menh barasta hai jo gadaon par nahin mahdud bakhshishen teri zahidon par na parsaon par haq se darkhvast afv ki 'hali' kiije kis munh se in khataon par haq vafa ke jo ham jatane lage aap kuchh kah ke muskurane lage tha yahan dil men tan-e-vasl-e-adu uzr un ki zaban pe aane lage ham ko jiina paDega furqat men vo agar himmat azmane lage Dar hai meri zaban na khul jaa.e ab vo baten bahut banane lage jaan bachti nazar nahin aati ghair ulfat bahut jatane lage tum ko karna paDega uzr-e-jafa ham agar dard-e-dil sunane lage sakht mushkil hai sheva-e-taslim ham bhi akhir ko ji churane lage ji men hai luun raza-e-pir-e-mughan qafile phir haram ko jaane lage sirr-e-batin ko faash kar ya rab ahl-e-zahir bahut satane lage vaqt-e-rukhsat tha sakht 'hali' par ham bhi baiThe the jab vo jaane lage haqiqat mahram-e-asrar se puchh maza angur ka mai-khvar se puchh vafa aghyar ki aghyar se sun miri ulfat dar o divar se puchh hamari ah-e-be-tasir ka haal kuchh apne dil se kuchh aghyar se puchh dilon men Dalna zauq-e-asiri kamand-e-gesu-e-khamdar se puchh dil-e-mahjur se sun lazzat-e-vasl nashat-e-afiyat bimar se puchh nahin juz girya-e-gham hasil-e-ishq hamari chashm-e-dariya-bar se puchh nahin ab-e-baqa juz jalva-e-dost kisi lab-tishna-e-didar se puchh fareb-e-vada-e-dildar ki qadr shahid-e-khanjar-e-inkar se puchh fughan-e-shauq ko maane nahin vasl ye nukta andalib-e-zar se puchh tasavvur men kiya karte hain jo ham vo tasvir-e-khayal-e-yar se puchh mata-e-be-baha hai sher-e-'hali' miri qimat miri guftar se puchh hashr tak yaan dil shakeba chahiye kab milen dilbar se dekha chahiye hai tajalli bhi naqab-e-ru-e-yar us ko kin ankhon se dekha chahiye ghair-mumkin hai na ho tasir-e-gham hal-e-dil phir us ko likkha chahiye hai dil-afgaron ki dildari zarur gar nahin ulfat madara chahiye hai kuchh ik baaqi khalish ummid ki ye bhi miT jaa.e to phir kya chahiye doston ki bhi na ho parva jise be-niyazi us ki dekha chahiye bha ga.e hain aap ke andaz o naaz kijiye ighmaz jitna chahiye shaikh hai in ki nigah jaadu bhari sohbat-e-rindan se bachna chahiye lag ga.i chup 'hali'-e-ranjur ko haal is ka kis se puchha chahiye ishq ko tark-e-junun se kya gharaz charkh-e-gardan ko sukun se kya gharaz dil men hai ai khizr gar sidaq-e-talab rah-rau ko rah-numon se kya gharaz hajiyo hai ham ko ghar vaale se kaam ghar ke mehrab o sutun se kya gharaz gunguna kar aap ro paDte hain jo un ko chang o arghanun se kya gharaz nek kahna nek jis ko dekhna ham ko taftish-e-darun se kya gharaz dost hain jab zakhm-e-dil se be-khabar un ko apne ashk-e-khun se kya gharaz ishq se hai mujtanib zahid abas sher ko said-e-zabun se kya gharaz kar chuka jab shaikh taskhir-e-qulub ab use duniya-e-dun se kya gharaz aa.e ho 'hali' pa.e-taslim yaan aap ko chun-o-chagun se kya gharaz jiite ji maut ke tum munh men na jaana hargiz dosto dil na lagana na lagana hargiz ishq bhi taak men baiTha hai nazar-bazon ki dekhna sher se ankhen na laDana hargiz haath malne na hon piiri men agar hasrat se to javani men na ye rog basana hargiz jitne raste the tire ho ga.e viran ai ishq aa ke viranon men ab ghar na basana hargiz kuuch sab kar ga.e dilli se tire qadr-shanas qadr yaan rah ke ab apni na ganvana hargiz tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheD na suna ja.ega ham se ye fasana hargiz DhunDta hai dil-e-shorida bahane mutrib dard-angez ghazal koi na gaana hargiz sohbaten agli musavvir hamen yaad a.engi koi dilchasp muraqqa na dikhana hargiz le ke daagh aa.ega siine pe bahut ai sayyah dekh is shahr ke khanDaron men na jaana hargiz chappe chappe pe hain yaan gauhar-e-yakta tah-e-khak dafn hoga kahin itna na khazana hargiz miT ga.e tere miTane ke nishan bhi ab to ai falak is se ziyada na miTana hargiz vo to bhule the hamen ham bhi unhen bhuul ga.e aisa badla hai na badlega zamana hargiz ham ko gar tu ne rulaya to rulaya ai charkh ham pe ghairon ko to zalim na hansana hargiz akhiri daur men bhi tujh ko qasam hai saaqi bhar ke ik jaam na pyason ko pilana hargiz bakht so.e hain bahut jaag ke ai daur-e-zaman na abhi niind ke maton ko jagana hargiz kabhi ai ilm o hunar ghar tha tumhara dilli ham ko bhule ho to ghar bhuul na jaana hargiz sha.iri mar chuki ab zinda na hogi yaaro yaad kar kar ke use ji na kuDhana hargiz 'ghalib' o 'shefta' o 'nayyar' o 'azurda' o 'zauq' ab dikha.ega ye shaklen na zamana hargiz 'momin' o 'alvi' o 'sahba.i' o 'mamnun' ke baad sher ka naam na lega koi daana hargiz kar diya mar ke yaganon ne yagana ham ko varna yaan koi na tha ham men yagana hargiz 'dagh' o 'majruh' ko sun lo ki phir is gulshan men na sunega koi bulbul ka tarana hargiz raat akhir hui aur bazm hui zer-o-zabar ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabana hargiz bazm-e-matam to nahin bazm-e-sukhan hai 'hali' yaan munasib nahin ro ro ke rulana hargiz junun kar-farma hua chahta hai qadam dasht paima hua chahta hai dam-e-girya kis ka tasavvur hai dil men ki ashk ashk dariya hua chahta hai khat aane lage shikva-amez un ke milap un se goya hua chahta hai bahut kaam lene the jis dil se ham ko vo sarf-e-tamanna hua chahta hai abhi lene paa.e nahin dam jahan men ajal ka taqaza hua chahta hai mujhe kal ke vaade pe karte hain rukhsat koi va.ada puura hua chahta hai fuzun tar hai kuchh in dinon zauq-e-isyan dar-e-rahmat ab va hua chahta hai qalaq gar yahi hai to raz-e-nihani koi din men rusva hua chahta hai vafa shart-e-ulfat hai lekin kahan tak dil apna bhi tujh sa hua chahta hai bahut haz uThata hai dil tujh se mil kar qalaq dekhiye kya hua chahta hai gham-e-rashk ko talkh samjhe the hamdam so vo bhi gavara hua chahta hai bahut chain se din guzarte hain 'hali' koi fitna barpa hua chahta hai kabk o qumri men hai jhagDa ki chaman kis ka hai kal bata degi khizan ye ki vatan kis ka hai faisla gardish-e-dauran ne kiya hai sau baar marv kis ka hai badakhshan o khutan kis ka hai dam se yusuf ke jab abad tha yaqub ka ghar charkh kahta tha ki ye bait-e-huzan kis ka hai mutma.in is se musalman na masihi na yahud dost kya janiye ye charkh-e-kuhan kis ka hai vaa.iz ik aib se tu paak hai ya zat-e-khuda varna be-aib zamane men chalan kis ka hai aaj kuchh aur dinon se hai siva istighraq azm-e-taskhir phir ai shekh-e-zaman kis ka hai aankh paDti hai har ik ahl-e-nazar ki tum par tum men ruup ai gul o nasrin o saman kis ka hai ishq udhar aql idhar dhun men chale hain teri rasta ab dekhiye donon men kaThin kis ka hai shaan dekhi nahin gar tu ne chaman men us ki valvala tujh men ye ai murgh-e-chaman kis ka hai hain fasahat men masal vaa.iz o 'hali' donon dekhna ye hai ki be-lag sukhan kis ka hai kah do koi saaqi se ki ham marte hain pyase gar mai nahin de zahr hi ka jaam bala se jo kuchh hai so hai us ke taghaful ki shikayat qasid se hai takrar na jhagDa hai saba se dallala ne ummid dila.i to hai lekin dete nahin kuchh dil ko tasalli ye dilase hai vasl to taqdir ke haath ai shah-e-khuban yaan hain to faqat teri mohabbat ke hain pyase pyase tire sar-gashta hain jo rah-e-talab men honTon ko vo karte nahin tar ab-e-baqa se dar guzre dava se to bharose pe dua ke dar guzren dua se bhi dua hai ye khuda se ik dard ho bas aaTh pahar dil men ki jis ko takhfif dava se ho na taskin dua se 'hali' dil-e-insan men hai gum daulat-e-kaunain sharminda hon kyuun ghair ke ehsan-o-ata se jab vaqt paDe dijiye dastak dar-e-dil par jhukiye fuqara se na jhamkiye umra se kar ke bimar di dava tu ne jaan se pahle dil liya tu ne rah-rav-e-tishna-lab na ghabrana ab liya chashma-e-baqa tu ne shaikh jab dil hi dair men na laga aa ke masjid se kya liya tu ne duur ho ai dil-e-ma.al andesh kho diya umr ka maza tu ne ek begana vaar kar ke nigah kya kiya chashm-e-ashna tu ne dil o diin kho ke aa.e the su-e-dair yaan bhi sab kuchh diya khuda tu ne khush hai ummid-e-khuld par 'hali' koi puchhe ki kya kiya tu ne khubiyan apne men go be-intiha paate hain ham par har ik khubi men daagh ik aib ka paate hain ham khauf ka koi nishan zahir nahin afa.al men go ki dil men muttasil khauf-e-khuda paate hain ham karte hain taa.at to kuchh khvahan numa.ish ke nahin par gunah chhup chhup ke karne men maza paate hain ham diida o dil ko khayanat se nahin rakh sakte baaz garche dast-o-pa ko aksar be-khata paate hain ham dil men dard-e-ishq ne muddat se kar rakkha hai ghar par use aluda-e-hirs-o-hava paate hain ham ho ke nadim jurm se phir jurm karte hain vahi jurm se go aap ko nadim sada paate hain ham hain fida un doston par jin men ho sidq o safa par bahut kam aap men sidq o safa paate hain ham go kisi ko aap se hone nahin dete khafa ik jahan se aap ko lekin khafa paate hain ham jante apne siva sab ko hain be-mehr o vafa apne men gar shamma-e-mehr-o-vafa paate hain ham bukhl se mansub karte hain zamane ko sada gar kabhi taufiq-e-isar o ata paate hain ham ho agar maqsad men nakami to kar sakte hain sabr dard-e-khud-kami ko lekin be-dava paate hain ham Thaharte jaate hain jitne chashm-e-alam men bhale haal nafs-e-dun ka utna hi bura paate hain ham jis qadar jhuk jhuk ke milte hain buzurg o khurd se kibr o naaz utna hi apne men siva paate hain ham go bhala.i karke ham-jinson se khush hota hai ji tah-nashin us men magar durd-e-riya paate hain ham hai rida-e-nek-nami dosh par apne magar daagh rusva.i ke kuchh zer-e-rida paate hain ham raah ke talib hain par be-rah paDte hain qadam dekhiye kya DhunDhte hain aur kya paate hain ham nuur ke ham ne gale dekhe hain ai 'hali' magar rang kuchh teri alapon men naya paate hain ham koi mahram nahin milta jahan men mujhe kahna hai kuchh apni zaban men qafas men ji nahin lagta kisi tarah laga do aag koi ashiyan men koi din bul-havas bhi shaad ho len dhara kya hai isharat-e-nihan men kahin anjam aa pahuncha vafa ka ghula jaata huun ab ke imtihan men naya hai lijiye jab naam us ka bahut vus.at hai meri dastan men dil-e-pur-dard se kuchh kaam lunga agar fursat mili mujh ko jahan men bahut ji khush hua 'hali' se mil kar abhi kuchh log baaqi hain jahan men main to main ghair ko marne se ab inkar nahin ik qayamat hai tire haath men talvar nahin kuchh pata manzil-e-maqsud ka paaya ham ne jab ye jaana ki hamen taqat-e-raftar nahin chashm-e-bad-dur bahut phirte hain aghyar ke saath ghairat-e-ishq se ab tak vo khabar-dar nahin ho chuka naaz uThane men hai go kaam tamam lillahil-hamd ki baham koi takrar nahin muddaton rashk ne aghyar se milne na diya dil ne akhir ye diya hukm ki kuchh aar nahin asl maqsud ka har chiiz men milta hai pata varna ham aur kisi shai ke talabgar nahin baat jo dil men chhupate nahin banti 'hali' sakht mushkil hai ki vo qabil-e-iz.har nahin ranj aur ranj bhi tanha.i ka vaqt pahuncha miri rusva.i ka umr shayad na kare aaj vafa kaTna hai shab-e-tanha.i ka tum ne kyuun vasl men pahlu badla kis ko da.ava hai shakeba.i ka ek din raah pe ja pahunche ham shauq tha badiya-paima.i ka us se nadan hi ban kar miliye kuchh ijara nahin dana.i ka saat pardon men nahin Thaharti aankh hausla kya hai tamasha.i ka darmiyan pa-e-nazar hai jab tak ham ko da.ava nahin bina.i ka kuchh to hai qadr tamasha.i ki hai jo ye shauq khud-ara.i ka us ko chhoDa to hai lekin ai dil mujh ko Dar hai tiri khud-ra.i ka bazm-e-dushman men na ji se utra puchhna kya tiri zeba.i ka yahi anjam tha ai fasl-e-khizan gul o bulbul ki shanasa.i ka madad ai jazba-e-taufiq ki yaan ho chuka kaam tavana.i ka mohtasib uzr bahut hain lekin izn ham ko nahin goya.i ka honge 'hali' se bahut avara ghar abhi duur hai rusva.i ka us ke jaate hi ye kya ho ga.i ghar ki surat na vo divar ki surat hai na dar ki surat kis se paiman-e-vafa bandh rahi hai bulbul kal na pahchan sakegi gul-e-tar ki surat hai gham-e-roz-e-juda.i na nashat-e-shab-e-vasl ho ga.i aur hi kuchh sham-o-sahar ki surat apni jebon se rahen saare namazi hushyar ik buzurg aate hain masjid men khizar ki surat dekhiye shaikh musavvir se khiche ya na khiche surat aur aap se be-aib bashar ki surat va.izo atish-e-dozakh se jahan ko tum ne ye Daraya hai ki khud ban ga.e Dar ki surat kya khabar zahid-e-qane ko ki kya chiiz hai hirs us ne dekhi hi nahin kisa-e-zar ki surat main bacha tir-e-havadis se nishana ban kar aaDe aa.i miri taslim-e-sipar ki surat shauq men us ke maza dard men us ke lazzat naseho us se nahin koi mafar ki surat hamla apne pe bhi ik bad-e-hazimat hai zarur rah ga.i hai yahi ik fat.h o zafar ki surat rahnumaon ke hue jaate hain ausan khata raah men kuchh nazar aati hai khatar ki surat yuun to aaya hai tabahi men ye beDa sau baar par Darati hai bahut aaj bhanvar ki surat un ko 'hali' bhi bulate hain ghar apne mehman dekhna aap ki aur aap ke ghar ki surat vaan agar jaa.en to le kar jaa.en kya munh use ham ja ke ye dikhla.en kya dil men hai baaqi vahi hirs-e-gunah phir kiye se apne ham pachhta.en kya aao len us ko hamin ja kar mana us ki be-parva.iyon par jaa.en kya dil ko masjid se na mandir se hai uns aise vahshi ko kahin bahla.en kya janta duniya ko hai ik khel tu khel qudrat ke tujhe dikhla.en kya umr ki manzil to juun tuun kaT ga.i marhale ab dekhiye pesh aa.en kya dil ko sab baton ki hai naseh khabar samjhe samjha.e ko bas samjha.en kya maan liije shaikh jo da.ava kare ik buzurg-e-din ko ham jhuTla.en kya ho chuke 'hali' ghazal-khvani ke din ragni be-vaqt ki ab gaa.en kya vasl ka us ke dil-e-zar tamanna.i hai na mulaqat hai jis se na shanasa.i hai qat.a ummid ne dil kar diye yaksu sad shukr shakl muddat men ye allah ne dikhla.i hai quvvat-e-dast-e-khuda.i hai shakeba.i men vaqt jab aa ke paDa hai yahi kaam aa.i hai Dar nahin ghair ka jo kuchh hai so apna Dar hai ham ne jab khaa.i hai apne hi se zak khaa.i hai nashe men chuur na hon jhanjh men makhmur na hon pand ye pir-e-kharabat ne farma.i hai nazar aati nahin ab dil men tamanna koi baad muddat ke tamanna miri bar aa.i hai baat sachchi kahi aur ungliyan uTThin sab ki sach men 'hali' koi rusva.i si rusva.i hai ze-hal-e-miskin makun taghaful dura.e nainan bana.e batiyan ki tab-e-hijran nadaram ai jaan na lehu kaahe laga.e chhatiyan shaban-e-hijran daraz chuun zulf o roz-e-vaslat chuun umr-e-kotah sakhi piya ko jo main na dekhun to kaise kaTun andheri ratiyan yakayak az dil do chashm jaadu ba-sad-farebam ba-burd taskin kise paDi hai jo ja sunave piyare pi ko hamari batiyan chuun sham-e-sozan chuun zarra hairan z mehr-e-an-mah bagashtam akhir na niind nainan na ang chainan na aap aave na bheje patiyan ba-haqq-e-an mah ki roz-e-mahshar ba-dad maara fareb 'khusrav' sapit man ke dura.e rakhun jo jaa.e pa.un piya ki khatiyan baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi jaisi ab hai tiri mahfil kabhi aisi to na thi le gaya chhin ke kaun aaj tira sabr o qarar be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi us ki ankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu ki tabi.at miri maa.il kabhi aisi to na thi aks-e-rukhsar ne kis ke hai tujhe chamkaya taab tujh men mah-e-kamil kabhi aisi to na thi ab ki jo rah-e-mohabbat men uTha.i taklif sakht hoti hamen manzil kabhi aisi to na thi pa-e-kuban koi zindan men naya hai majnun aati avaz-e-salasil kabhi aisi to na thi nigah-e-yar ko ab kyuun hai taghaful ai dil vo tire haal se ghafil kabhi aisi to na thi chashm-e-qatil miri dushman thi hamesha lekin jaisi ab ho ga.i qatil kabhi aisi to na thi kya sabab tu jo bigaDta hai 'zafar' se har baar khu tiri hur-shama.il kabhi aisi to na thi bhari hai dil men jo hasrat kahun to kis se kahun sune hai kaun musibat kahun to kis se kahun jo tu ho saaf to kuchh main bhi saaf tujh se kahun tire hai dil men kudurat kahun to kis se kahun na kohkan hai na majnun ki the mire hamdard main apna dard-e-mohabbat kahun to kis se kahun dil us ko aap diya aap hi pasheman huun ki sach hai apni nadamat kahun to kis se kahun kahun main jis se use hove sunte hi vahshat phir apna qissa-e-vahshat kahun to kis se kahun raha hai tu hi to gham-khvar ai dil-e-gham-ghin tire siva gham-e-furqat kahun to kis se kahun jo dost ho to kahun tujh se dosti ki baat tujhe to mujh se adavat kahun to kis se kahun na mujh ko kahne ki taqat kahun to kya ahval na us ko sunne ki fursat kahun to kis se kahun kisi ko dekhta itna nahin haqiqat men 'zafar' main apni haqiqat kahun to kis se kahun dekh dil ko mire o kafir-e-be-pir na toD ghar hai allah ka ye is ki to ta.amir na toD ghul sada vadi-e-vahshat men rakhunga barpa ai junun dekh mire paanv ki zanjir na toD dekh Tuk ghaur se a.ina-e-dil ko mere is men aata hai nazar alam-e-tasvir na toD taj-e-zar ke liye kyuun sham.a ka sar kaaTe hai rishta-e-ulfat-e-parvana ko gul-gir na toD apne bismil se ye kahta tha dam-e-naz.a vo shokh tha jo kuchh ahd so o ashiq-e-dil-gir na toD raqs-e-bismil ka tamasha mujhe dikhla koi dam dast o pa maar ke dam tu tah-e-shamshir na toD saham kar ai 'zafar' us shokh kaman-dar se kah khinch kar dekh mire siine se tu tiir na toD dekho insan khaak ka putla bana kya chiiz hai bolta hai is men kya vo bolta kya chiiz hai ru-ba-ru us zulf ke dam-e-bala kya chiiz hai us nigah ke samne tir-e-qaza kya chiiz hai yuun to hain saare butan gharat-gar-e-iman-o-din ek vo kafir sanam nam-e-khuda kya chiiz hai jis ne dil mera diya dam-e-mohabbat men phansa vo nahin malum muj ko naseha kya chiiz hai hove ik qatra jo zahrab-e-mohabbat ka nasib khizr phir to chashma-e-ab-e-baqa kya chiiz hai marg hi sehat hai us ki marg hi us ka ilaaj ishq ka bimar kya jaane dava kya chiiz hai dil mira baiTha hai le kar phir mujhi se vo nigar puchhta hai haath men mere bata kya chiiz hai khaak se paida hue hain dekh ranga-rang gul hai to ye nachiz lekin is men kya kya chiiz hai jis ki tujh ko justuju hai vo tujhi men hai 'zafar' DhunDta phir phir ke to phir ja-ba-ja kya chiiz hai galiyan tankhvah Thahri hai agar baT ja.egi ashiqon ke ghar miTha.i lab shakar baT ja.egi ru-ba-ru gar hoga yusuf aur tu aa ja.ega us ki janib se zulekha ki nazar baT ja.egi rahzanon men naz-o-ghamza ki ye jins-e-din-o-dil juun mata-e-burda akhir ham-digar baT ja.egi hoga kya gar bol uTThe ghair baton men miri phir tabi.at meri ai bedad gar baT ja.egi daulat-e-duniya nahin jaane ki hargiz tere saath baad tere sab yahin ai be-khabar baT ja.egi kar le ai dil jaan ko bhi ranj-o-gham men tu sharik ye jo mehnat tujh pe hai kuchh kuchh magar baT ja.egi muung chhati pe jo dalte hain kisi ki dekhna jutiyon men daal un ki ai 'zafar' baT ja.egi ga.i yak-ba-yak jo hava palaT nahin dil ko mere qarar hai karun us sitam ko main kya bayan mira gham se siina figar hai ye re.aya-e-hind tabah hui kahun kya jo in pe jafa hui jise dekha hakim-e-vaqt ne kaha ye bhi qabil-e-dar hai ye kisi ne zulm bhi hai suna ki di phansi logon ko be-gunah vahi kalma-goyon ki samt se abhi dil men un ke bukhar hai na tha shahr-e-dehli ye tha chaman kaho kis tarah ka tha yaan aman jo khitab tha vo miTa diya faqat ab to ujDa dayar hai yahi tang haal jo sab ka hai ye karishma qudrat-e-rab ka hai jo bahar thi so khizan hui jo khizan thi ab vo bahar hai shab-o-roz phuul men jo tule kaho khar-e-gham ko vo kya sahe mile tauq qaid men jab unhen kaha gul ke badle ye haar hai sabhi jaada matam-e-sakht hai kaho kaisi gardish-e-bakht hai na vo taaj hai na vo takht hai na vo shaah hai na dayar hai jo suluk karte the aur se vahi ab hain kitne zalil se vo hain tang charkh ke jaur se raha tan pe un ke na taar hai na vabal tan pe hai sar mira nahin jaan jaane ka Dar zara kaTe gham hii, nikle jo dam mira mujhe apni zindagi baar hai kya hai gham 'zafar' tujhe hashr ka jo khuda ne chaha to barmala hamen hai vasila rasul ka vo hamara hami-e-kar hai hai dil ko jo yaad aa.i falak-e-pir kisi ki ankhon ke tale phirti hai tasvir kisi ki girya bhi hai naala bhi hai aur ah-o-fughan bhi par dil men hui us ke na tasir kisi ki haath aa.e hai kya khaak tire khak-e-kaf-e-pa jab tak ki na qismat men ho iksir kisi ki yaaro vo hai bigDa hua baten na banao kuchh pesh nahin jaane ki taqrir kisi ki nazan na ho mun.im ki jahan tera mahal hai hovegi yahan pahle bhi ta.amir kisi ki meri girah-e-dil na khuli hai na khulegi jab tak na khule zulf-e-girah-gir kisi ki aata bhi agar hai to vo phir jaa.e hai ulTa jis vaqt ulaT jaa.e hai taqdir kisi ki is abru o mizhgan se 'zafar' tez ziyada khanjar na kisi ka hai na shamshir kisi ki jo dil se udhar jaa.e nazar dil ho giraftar mujrim ho koi aur ho taqsir kisi ki ham ne tiri khatir se dil-e-zar bhi chhoDa tu bhi na hua yaar aur ik yaar bhi chhoDa kya hoga rafugar se rafu mera gareban ai dast-e-junun tu ne nahin taar bhi chhoDa diin de ke gaya kufr ke bhi kaam se ashiq tasbih ke saath us ne to zunnar bhi chhoDa goshe men tiri chashm-e-siyah-mast ke dil ne ki jab se jagah khana-e-khummar bhi chhoDa is se hai gharibon ko tasalli ki ajal ne muflis ko jo maara to na zardar bhi chhoDa TeDhe na ho ham se rakho ikhlas to sidha tum pyaar se rukte ho to lo pyaar bhi chhoDa kya chhoDen asiran-e-mohabbat ko vo jis ne sadqe men na ik murgh-e-giraftar bhi chhoDa pahunchi miri rusva.i ki kyunkar khabar us ko us shokh ne to dekhna akhbar bhi chhoDa karta tha jo yaan aane ka jhuTa kabhi iqrar muddat se 'zafar' us ne vo iqrar bhi chhoDa ham ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte par jo sabab-e-ghum hai vo ham kah nahin sakte ham dekhte hain tum men khuda jaane buto kya is bhed ko allah ki qasam kah nahin sakte rusva-e-jahan karta hai ro ro ke hamen tu ham tujhe kuchh ai dida-e-nam kah nahin sakte kya puchhta hai ham se tu ai shokh sitamgar jo tu ne kiye ham pe sitam kah nahin sakte hai sabr jinhen talkh-kalami ko tumhari sharbat hi batate hain sam kah nahin sakte jab kahte hain kuchh baat rukavaT ki tire ham ruk jaata hai ye siine men dam kah nahin sakte allah re tira ro.ab ki ahval-e-dil apna de dete hain ham kar ke raqam kah nahin sakte tuba-e-bahishti hai tumhara qad-e-ra.ana ham kyunkar kahen sarv-e-iram kah nahin sakte jo ham pe shab-e-hijr men us mah-e-laqa ke guzre hain 'zafar' ranj o alam kah nahin sakte hava men phirte ho kya hirs aur hava ke liye ghurur chhoD do ai ghafilo khuda ke liye gira diya hai hamen kis ne chah-e-ulfat men ham aap Duube kisi apne ashna ke liye jahan men chahiye aivan o qasr shahon ko ye ek gumbad-e-gardun hai bas gada ke liye vo a.ina hai ki jis ko hai hajat-e-simab ik iztirab hai kaafi dil-e-safa ke liye tapish se dil ka ho kya jaane siine men kya haal jo tere tiir ka rauzan na ho hava ke liye tabib-e-ishq ki dukkan men DhunDte phirte ye dardmand-e-mohabbat tiri dava ke liye jo haath aa.e 'zafar' khak-pa-e-'fakhruddin' to main rakhun use ankhon ke tutiya ke liye hijr ke haath se ab khaak paDe jiine men dard ik aur uTha aah naya siine men khun-e-dil piine se jo kuchh hai halavat ham ko ye maza aur kisi ko nahin mai piine men dil ko kis shakl se apne na musaffa rakkhun jalva-gar yaar ki surat hai is a.ine men ashk o lakht-e-jigar ankhon men nahin hain mere hain bhare laal o guhar ishq ke ganjine men shakl-e-a.ina 'zafar' se to na rakh dil men khayal kuchh maza bhi hai bhala jaan miri lene men hote hote chashm se aaj ashk-bari rah ga.i aabru baare tiri abr-e-bahari rah ga.i aate aate is taraf un ki savari rah ga.i dil ki dil men arzu-e-jan-nisari rah ga.i ham ko khatra tha ki logon men tha charcha aur kuchh baat khat aane se tere par hamari rah ga.i TukDe TukDe ho ke uD ja.ega sab sang-e-mazar dil men ba.ad-az-marg kuchh gar be-qarari rah ga.i itna miliye khaak men jo khaak men DhunDe koi khaksari khaak ki gar khaksari rah ga.i aao gar aana hai kyuun gin gin ke rakhte ho qadam aur koi dam ki hai yaan dam-shumari rah ga.i ho gaya jis din se apne dil par us ko ikhtiyar ikhtiyar apna gaya be-ikhtiyari rah ga.i jab qadam us kafir-e-bad-kesh ki janib baDhe duur pahunche sau qadam parhez-gari rah ga.i khinchte hi tegh ada ke dam hua apna hava aah dil men arzu-e-zakhm-e-kari rah ga.i aur to gham-khvar saare kar chuke gham-khvargi ab faqat hai ek gham ki gham-gusari rah ga.i shikva ayyari ka yaron se baja hai ai 'zafar' is zamane men yahi hai rasm-e-yari rah ga.i ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai lek nadani se apni tu ne samjha sahl hai gar khule dil ki girah tujh se to ham janen tujhe ai saba ghunche ka uqda khol dena sahl hai hamdamo dil ke lagane men kaho lagta hai kya par chhuDana is ka mushkil hai lagana sahl hai garche mushkil hai bahut mera ilaj-e-dard-e-dil par jo tu chahe to ai rashk-e-masiha sahl hai hai bahut dushvar marna ye suna karte the ham par juda.i men tiri ham ne jo dekha sahl hai sham.a ne jal kar jalaya bazm men parvane ko bin jale apne jalana kya kisi ka sahl hai ishq ka rasta sarasar hai dam-e-shamshir par bul-havas is raah men rakhna qadam kya sahl hai ai 'zafar' kuchh ho sake to fikr kar uqba ka tu kar na duniya ka taraddud kar-e-duniya sahl hai itna na apne jaame se bahar nikal ke chal duniya hai chal-chalav ka rasta sambhal ke chal kam-zarf pur-ghurur zara apna zarf dekh manind josh-e-gham na ziyada ubal ke chal fursat hai ik sada ki yahan soz-e-dil ke saath us par sapand-var na itna uchhal ke chal ye ghol-vash hain in ko samajh tu na rahnuma saa.e se bach ke ahl-e-fareb-o-daghal ke chal auron ke bal pe bal na kar itna na chal nikal bal hai to bal ke bal pe tu kuchh apne bal ke chal insan ko kal ka putla banaya hai us ne aap aur aap hi vo kahta hai putle ko kal ke chal phir ankhen bhi to diin hain ki rakh dekh kar qadam kahta hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal hai turfa amn-gah nihan-khana-e-adam ankhon ke ru-ba-ru se tu logon ke Tal ke chal kya chal sakega ham se ki pahchante hain ham tu laakh apni chaal ko zalim badal ke chal hai sham.a sar ke bal jo mohabbat men garm ho parvana apne dil se ye kahta hai jal ke chal bulbul ke hosh nik.hat-e-gul ki tarah uDa gulshan men mere saath zara itr mal ke chal gar qasd su-e-dil hai tira ai nigah-e-yar do-char tiir paik se aage ajal ke chal jo imtihan-e-tab.a kare apna ai 'zafar' to kah do us ko taur pe tu is ghazal ke chal jab kabhi dariya men hote saya-afgan aap hain fils-e-mahi ko batate mah-e-raushan aap hain siite hain sozan se chak-e-sina kya ai charasaz khar-e-gham siine men apne misl-e-sozan aap hain pyaar se kar ke hama.il ghair ki gardan men haath marte tegh-e-sitam se mujh ko gardan aap hain khinch kar ankhon men apni surma-e-dumbala-dar karte paida sehr se nargis men sosan aap hain dekh kar sahra men mujh ko pahle ghabraya tha qais phir jo pahchana to bola hazrat-e-man aap hain ji dhaDakta hai kahin tar-e-rag-e-gul chubh na jaa.e sej par phulon ki karte qasd-e-khuftan aap hain kya maza hai tegh-e-qatil men ki aksar said-e-ishq aan kar us par ragaDte apni gardan aap hain mujh se tum kya puchhte ho kaise hain ham kya kahen ji hi jaane hai ki jaise mushfiq-e-man aap hain pur-ghurur o pur-takabbur pur-jafa o pur-sitam pur-fareb o pur-dagha pur-makr o pur-fan aap hain zulm-pesha zulm-sheva zulm-ran o zulm-dost dushman-e-dil dushman-e-jan dushman-e-tan aap hain yakka-taz o neza-baz o arbada-ju tund-khu tegh-zan dashna-guzar o navak-afgan aap hain tasma-kash taraz o gharat-gar taraj-saz kafir yaghma.i o qazzaq rahzan aap hain fitna-ju bedad-gar saffak o azlam kina-var garm-jang o garm-qatl o garm-kushtan aap hain bad-mizaj o bad-dimagh va bad-shi.ar o bad-suluk bad-tariq o bad-zaban bad-ahd o bad-zan aap hain be-muravvat bevafa na-mehrban na-ashna mere qatil mere hasid mere dushman aap hain ai 'zafar' kya pa-e-qatil ke hai bose ki havas yuun jo bismil ho ke sargarm-e-tapidan aap hain jab ki pahlu men hamare but-e-khud-kam na ho girye se sham-o-sahar kyuun ki hamen kaam na ho le gaya dil ka jo aram hamare ya rab us dil-aram ko mutlaq kabhi aram na ho jis ko samjhe lab-e-pan-khurda vo malida-misi marduman dekhiyo phuli vo kahin shaam na ho aaj tashrif gulistan men vo mai-kash laaya kaf-e-nargis pe dhara kyunki bhala jaam na ho kar mujhe qatl vahan ab ki na ho koi jahan ta miri jaan tu kahin khalq men badnam na ho dekh kar kholiyo tu kakul-e-pechan ki girah ki mira ta.ir-e-dil us ke tah-e-dam na ho bin tire ai but-e-khud-kam ye dil ko hai khatar tere ashiq ka tamam aah kahin kaam na ho aaj har ek jo yaaro nazar aata hai niDhal apni abru ki vo khinche hue samsam na ho hai mire shokh ki balida vo kafir ankhen jis ke ham chashm zara nargis-e-badam na ho sub.h hoti hi nahin aur nahin kaTti raat rukh pe khole vo kahin zulf-e-siyah-fam na ho ai 'zafar' charkh pe khurshid jo yuun kanpe hai jalva-gar aaj kahin yaar lab-e-bam na ho jigar ke TukDe hue jal ke dil kabab hua ye ishq jaan ko mere koi azaab hua kiya jo qatl mujhe tum ne khuub kaam kiya ki main azaab se chhuTa tumhen savab hua kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida gharaz ki roz naya ik mujhe khitab hua piyun na rashk se khuun kyunki dam-ba-dam apna ki saath ghair ke vo aaj ham-sharab hua tumhare lab ke lab-e-jam ne liye bose lab apne kaaTa kiya main na kamyab hua gali gali tiri khatir phira ba-chashm-e-pur-ab laga ke tujh se dil apna bahut kharab hua tiri gali men baha.e phire hai sail-e-sarishk hamara kasa-e-sar kya hua habab hua javab-e-khat ke na likhne se ye hua malum ki aaj se hamen ai nama-bar javab hua manga.i thi tiri tasvir dil ki taskin ko mujhe to dekhte hi aur iztirab hua sitam tumhare bahut aur din hisab ka ek mujhe hai soch ye hi kis tarah hisab hua 'zafar' badal ke radif aur tu ghazal vo suna ki jis ka tujh se har ik sher intikhab hua kafir tujhe allah ne surat to pari di par haif tire dil men mohabbat na zari di di tu ne mujhe saltanat-e-bahr-o-bar ai ishq honTon ko jo khushki miri ankhon ko tari di khal-e-lab-e-shirin ka diya bosa kab us ne ik chaaT lagane ko mire nishkari di kafir tire sauda-e-sar-e-zulf ne mujh ko kya kya na pareshani o ashufta-sari di mehnat se hai azmat ki zamane men nagin ko be-kavish-e-sina na kabhi namvari di sayyad ne di rukhsat-e-parvaz par afsos tu ne na ijazat mujhe be-bal-o-pari di kahta tira kuchh sokhta-jan lek ajal ne fursat na use misl-e-charagh-e-sahari di qassam-e-azal ne na rakha ham ko bhi mahrum garche na diya koi hunar be-hunari di us chashm men hai surme ka dumbala pur-ashob kyuun haath men badmast ke banduq bhari di dil de ke kiya ham ne tiri zulf ka sauda ik aap bala apne liye mol kharidi saaqi ne diya kya mujhe ik saghar-e-sarshar goya ki do aalam se 'zafar' be-khabari di karenge qasd ham jis dam tumhare ghar men avenge jo hogi umr bhar ki raah to dam bhar men avenge agar hathon se us shirin-ada ke zab.h honge ham to sharbat ke se ghunT ab-e-dam-e-khanjar men avenge yahi gar josh-e-girya hai to bah kar saath ashkon ke hazaron para-e-dil mere chashm-e-tar men avenge gar is qaid-e-bala se ab ki chhuTenge to phir hargiz na ham dam-e-fareb-e-shokh-e-gharat-gar men avenge na jaate garche mar jaate jo ham malum kar jaate ki itna tang ja kar kucha-e-dilbar men avenge gareban-chak lakhon haath se us mehr-e-tal.at ke ba-rang-e-sub.h-e-mahshar arsa-e-mahshar men avenge jo sargardani apni tere divane dikha.enge to phir kya kya bagule dasht ke chakkar men avenge 'zafar' apna karishma gar dikhaya chashm-e-saqi ne tamashe jam-e-jam ke sab nazar saghar men avenge khvah kar insaf zalim khvah kar bedad tu par jo fariyadi hain un ki sun to le fariyad tu dam-ba-dam bharte hain ham teri hava-khvahi ka dam kar na bad-khuon ke kahne se hamen barbad tu kya gunah kya jurm kya taqsir meri kya khata ban gaya jo is tarah haq men mire jallad tu qaid se teri kahan ja.enge ham be-bal-o-par kyuun qafas men tang karta hai hamen sayyad tu dil ko dil se raah hai to jis tarah se ham tujhe yaad karte hain kare yuun hi hamen bhi yaad tu dil tira faulad ho to aap ho a.ina-var saaf yak-bari sune meri agar rudad tu shaad o khurram ek aalam ko kiya us ne 'zafar' par sabab kya hai ki hai ranjida o nashad tu kya kahun dil ma.il-e-zulf-e-dota kyunkar hua ye bhala changa giraftar-e-bala kyunkar hua jin ko mehrab-e-ibadat ho kham-e-abru-e-yar un ka kaabe men kaho sajda ada kyunkar hua dida-e-hairan hamara tha tumhare zer-e-pa ham ko hairat hai ki paida naqsh-e-pa kyunkar hua nama-bar khat de ke us nau-khat ko tu ne kya kaha kya khata tujh se hui aur vo khafa kyunkar hua khaksari kya ajab khove agar dil ka ghubar khaak se dekho ki a.ina safa kyunkar hua jin ko yakta.i ka da.ava tha vo misl-e-a.ina un ko hairat hai ki paida dusra kyunkar hua tere danton ke tasavvur se na tha gar ab-dar jo baha aansu vo durr-e-be-baha kyunkar hua jo na hona tha hua ham par tumhare ishq men tum ne itna bhi na puchha kya hua kyunkar hua vo to hai na-ashna mash.hur aalam men 'zafar' par khuda jaane vo tujh se ashna kyunkar hua kya kuchh na kiya aur hain kya kuchh nahin karte kuchh karte hain aisa ba-khuda kuchh nahin karte apne maraz-e-gham ka hakim aur koi hai ham aur tabibon ki dava kuchh nahin karte malum nahin ham se hijab un ko hai kaisa auron se to vo sharm o haya kuchh nahin karte go karte hain zahir ko safa ahl-e-kudurat par dil ko nahin karte safa kuchh nahin karte vo dilbari ab tak miri kuchh karte hain lekin tasir tire naale dila kuchh nahin karte dil ham ne diya tha tujhe ummid-e-vafa par tum ham se nahin karte vafa kuchh nahin karte karte hain vo is tarah 'zafar' dil pe jafa.en zahir men ye jaano ki jafa kuchh nahin karte kyunkar na khaksar rahen ahl-e-kin se duur dekho zamin falak se falak hai zamin se duur parvana vasl-e-sham.a pe deta hai apni jaan kyunkar rahe dil us ke rukh-e-atishin se duur mazmun-e-vasl-o-hijr jo naame men hai raqam hai harf bhi kahin se mile aur kahin se duur go tir-e-be-guman hai mire paas par abhi jaa.e nikal ke sina-e-charkh-e-barin se duur vo kaun hai ki jaate nahin aap jis ke paas lekin hamesha bhagte ho tum hamin se duur hairan huun ki us ke muqabil ho a.ina jo pur-ghurur khinchta hai mah-e-mubin se duur yaan tak adu ka paas hai un ko ki bazm men vo baiThte bhi hain to mire ham-nashin se duur manzur ho jo diid tujhe dil ki aankh se pahunche tiri nazar nigah-e-dur-bin se duur duniya-e-dun ki de na mohabbat khuda 'zafar' insan ko phenk de hai ye iman o diin se duur kyunki ham duniya men aa.e kuchh sabab khulta nahin ik sabab kya bhed vaan ka sab ka sab khulta nahin puchhta hai haal bhi gar vo to maare sharm ke ghuncha-e-tasvir ke manind lab khulta nahin shahid-e-maqsud tak pahunchenge kyunkar dekhiye band hai bab-e-tamanna hai ghazab khulta nahin band hai jis khana-e-zindan men divana tera us ka darvaza pari-ru roz o shab khulta nahin dil hai ye ghuncha nahin hai is ka uqda ai saba kholne ka jab talak aave na Dhab khulta nahin ishq ne jin ko kiya khatir-girafta un ka dil laakh hove garche saman-e-tarab khulta nahin kis tarah malum hove us ke dil ka mudda.a mujh se baton men 'zafar' vo ghuncha-lab khulta nahin lagta nahin hai dil mira ujDe dayar men kis ki bani hai alam-e-na-pa.edar men in hasraton se kah do kahin aur ja basen itni jagah kahan hai dil-e-dagh-dar men kanTon ko mat nikal chaman se o baghban ye bhi gulon ke saath pale hain bahar men bulbul ko baghban se na sayyad se gila qismat men qaid likkhi thi fasl-e-bahar men kitna hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye do gaz zamin bhi na mili ku-e-yar men main huun aasi ki pur-khata kuchh huun tera banda huun ai khuda kuchh huun juzv o kul ko nahin samajhta main dil men thoDa sa janta kuchh huun tujh se ulfat nibahta huun main ba-vafa huun ki bevafa kuchh huun jab se na-ashna huun main sab se tab kahin us se ashna kuchh huun nashsha-e-ishq le uDa hai mujhe ab maze men uDa raha kuchh huun khvab mera hai ain bedari main to us men bhi dekhta kuchh huun garche kuchh bhi nahin huun main lekin us pe bhi kuchh na puchho kya kuchh huun samjhe vo apna khaksar mujhe khak-e-rah huun ki khak-e-pa kuchh huun chashm-e-altaf fakhr-e-din se huun ai 'zafar' kuchh se ho gaya kuchh huun mar ga.e ai vaah un ki naz-bardari men ham dil ke hathon se paDe kaisi giraftari men ham sab pe raushan hai hamari sozish-e-dil bazm men sham.a saan jalte hain apni garm-bazari men ham yaad men hai tere dam ki amad-o-shud pur-khayal be-khabar sab se hain is dam ki khabardari men ham jab hansaya gardish-e-gardun ne ham ko shakl-e-gul misl-e-shabnam hain hamesha girya o zaari men ham chashm o dil biina hai apne roz o shab ai marduman garche sote hain ba-zahir par hain bedari men ham dosh par rakht-e-safar bandhe hai kya ghuncha saba dekhte hain sab ko yaan jaise ki tayyari men ham kab talak be-did se ya rab rakhen chashm-e-vafa lag rahe hain aaj kal to dil ki gham-khvari men ham dekh kar a.ina kya kahta hai yaaro ab vo shokh maah se sad chand behtar hain ada-dari men ham ai 'zafar' likh tu ghazal bahr o qavafi pher kar khama-e-dur-rez se hain ab guhar-bari men ham mohabbat chahiye baham hamen bhi ho tumhen bhi ho khushi ho is men ya ho gham hamen bhi ho tumhen bhi ho ghanimat tum ise samjho ki is khum-khane men yaaro nasib ik-dam dil-e-khurram hamen bhi ho tumhen bhi ho dilao hazrat-e-dil tum na yad-e-khat-e-sabz us ka kahin aisa na ho ye sam hamen bhi ho tumhen bhi ho hamesha chahta hai dil ki mil kar kiije mai-noshi mayassar jam-e-mai-e-jam-jam hamen bhi ho tumhen bhi ho ham apna ishq chamka.en tum apna husn chamkao ki hairan dekh kar aalam hamen bhi ho tumhen bhi ho rahe hirs-o-hava daa.im azizo saath jab apne na kyunkar fikr-e-besh-o-kam hamen bhi ho tumhen bhi ho 'zafar' se kahta hai majnun kahin dard-e-dil mahzun jo gham se fursat ab ik dam hamen bhi ho tumhen bhi ho na daa.im gham hai ne ishrat kabhi yuun hai kabhi vuun hai tabaddul yaan hai har saa.at kabhi yuun hai kabhi vuun hai gareban-chak huun gaahe uData khaak huun gaahe liye phirti mujhe vahshat kabhi yuun hai kabhi vuun hai abhi hain vo mire hamdam abhi ho ja.enge dushman nahin ik vaz.a par sohbat kabhi yuun hai kabhi vuun hai jo shakl-e-shisha giryan huun to misl-e-jam khandan huun yahi hai yaan ki kaifiyyat kabhi yuun hai kabhi vuun hai kisi vaqt ashk hain jaari kisi vaqt aah aur zaari gharaz hal-e-gham-e-furqat kabhi yuun hai kabhi vuun hai koi din hai bahar-e-gul phir akhir hai khizan bilkul chaman hai manzil-e-ibrat kabhi yuun hai kabhi vuun hai 'zafar' ik baat par daa.im vo hove kis tarah qaa.im jo apni pherta niyyat kabhi yuun hai kabhi vuun hai na do dushnam ham ko itni bad-khui se kya hasil tumhen dena hi hoga bosa kham-rui se kya hasil dil-azari ne teri kar diya bilkul mujhe be-dil na kar ab meri dil-jui ki dil-jui se kya hasil na jab tak chaak ho dil phans kab dil ki nikalti hai jahan ho kaam khanjar ka vahan suui se kya hasil bura.i ya bhala.i go hai apne vaste lekin kisi ko kyuun kahen ham bad ki bad-gui se kya hasil na kar fikr-e-khizab ai shaikh tu piiri men jaane de javan hona nahin mumkin siyah-rui se kya hasil chaDha.e astin khanjar-ba-kaf vo yuun jo phirta hai use kya jaane hai us arbada-jui se kya hasil abas pamba na rakh dagh-e-dil-e-sozan pe tu mere ki angare pe hoga charagar ruui se kya hasil shamim-e-zulf ho us ki to ho farhat mire dil ko saba hovega mushk-chin ki khushbui se kya hasil na hove jab talak insan ko dil se mel-e-yak-janib 'zafar' logon ke dikhlane ko yaksui se kya hasil na durveshon ka khirqa chahiye na taj-e-shahana mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe divana kitabon men dhara hai kya bahut likh likh ke dho Dalin hamare dil pe naqsh-e-kal-hajr hai tera farmana ghanimat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan men diye ja saqi-e-paiman-shikan bhar bhar ke paimana na dekha vo kahin jalva jo dekha khana-e-dil men bahut masjid men sar maara bahut sa DhunDa but-khana kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsud ko pahunchun tariq-e-parsa.i hove ya ho rah-e-rindana ye saari amad-o-shud hai nafas ki amad-o-shud par isi tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana 'zafar' vo zahid-e-bedard ki hu-haq se behtar hai kare gar rind dard-e-dil se hav-hu-e-mastana na us ka bhed yaari se na ayyari se haath aaya khuda agah hai dil ki khabardari se haath aaya na hon jin ke Thikane hosh vo manzil ko kya pahunche ki rasta haath aaya jis ki hushyari se haath aaya hua haq men hamare kyuun sitamgar asman itna koi puchhe ki zalim kya sitamgari se haath aaya agarche mal-e-duniya haath bhi aaya harison ke to dekha ham ne kis kis zillat-o-khvari se haath aaya na kar zalim dil-azari jo ye dil manzur hai lena kisi ka dil jo haath aaya to dildari se haath aaya agarche khaksari kimiya ka sahl nuskha hai va-lekin haath aaya jis ke dushvari se haath aaya hui hargiz na tere chashm ke bimar ko sehhat na jab tak zahr tere khatt-e-zangari se haath aaya koi ye vahshi-e-ram-dida tere haath aaya tha par ai sayyad-vash dil ki giraftari se haath aaya 'zafar' jo do jahan men gauhar-e-maqsud tha apna janab-e-fakhr-e-din ki vo madad-gari se haath aaya nahin ishq men is ka to ranj hamen ki qarar o shakeb zara na raha gham-e-ishq to apna rafiq raha koi aur bala se raha na raha diya apni khudi ko jo ham ne uTha vo jo parda sa biich men tha na raha rahe parde men ab na vo parda-nashin koi dusra us ke siva na raha na thi haal ki jab hamen khabar rahe dekhte auron ke aib o hunar paDi apni bura.iyon par jo nazar to nigah men koi bura na raha tire rukh ke khayal men kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jaza tiri zulf ke dhyan men kaun si shab mire sar pe hujum-e-bala na raha hamen saghar-e-bada ke dene men ab kare der jo saaqi to haa.e ghazab ki ye ahd-e-nashat ye daur-e-tarab na rahega jahan men sada na raha ka.i roz men aaj vo mehr-liqa hua mere jo samne jalva-numa mujhe sabr o qarar zara na raha use pas-e-hijab-o-haya na raha tire khanjar o tegh ki ab-e-ravan hui jab ki sabil-e-sitam-zadgan ga.e kitne hi qafile khushk-zaban koi tishna-e-ab-e-baqa na raha mujhe saaf bata.e nigar agar to ye puchhun main ro ro ke khun-e-jigar male paanv se kis ke hain dida-e-tar kaf-e-pa pe jo rang-e-hina na raha use chaha tha main ne ki rok rakhun miri jaan bhi jaa.e to jaane na duun kiye laakh fareb karoD fusun na raha na raha na raha na raha lage yuun to hazaron hi tir-e-sitam ki taDapte rahe paDe khaak pe ham vale naaz o karishma ki tegh-e-do-dam lagi aisi ki tasma laga na raha 'zafar' aadmi us ko na janiyega vo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka jise aish men yad-e-khuda na rahi jise taish men khauf-e-khuda na raha nibah baat ka us hila-gar se kuchh na hua idhar se kya na hua par udhar se kuchh na hua javab-e-saf to laata agar na laata khat likha nasib ka jo nama-bar se kuchh na hua hamesha fitne hi barpa kiye mire sar par hua ye aur to us fitna-gar se kuchh na hua bala se girya-e-shab tu hi kuchh asar karta agarche ishq men ah-e-sahar se kuchh na hua jala jala ke kiya sham.a saan tamam mujhe bas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na hua rahin adu se vahi garm-joshiyan us ki is ah-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na hua uThaya ishq men kya kya na dard-e-sar main ne husul par mujhe us dard-e-sar se kuchh na hua shab-e-visal men bhi meri jaan ko aram azizo dard-e-juda.i ke Dar se kuchh na hua na dunga dil use main ye hamesha kahta tha vo aaj le hi gaya aur 'zafar' se kuchh na hua paan kha kar surma ki tahrir phir khinchi to kya jab mira khuun ho chuka shamshir phir khinchi to kya ai muhavvis jab ki zar tere nasibon men nahin tu ne mehnat bhi pai-e-iksir phir khinchi to kya gar khinche siine se navak ruuh tu qalib se khinch ai ajal jab khinch gaya vo tiir phir khinchi to kya khinchta tha paanv mera pahle hi zanjir se ai junun tu ne miri zanjir phir khinchi to kya daar hi par us ne khincha jab sar-e-bazar-e-ishq laash bhi meri pai-e-tashhir phir khinchi to kya khinch ab naala koi aisa ki ho us ko asar tu ne ai dil ah-e-pur-tasir phir khinchi to kya chahiye us ka tasavvur hi se naqsha khinchna dekh kar tasvir ko tasvir phir khinchi to kya khinch le avval hi se dil ki inan-e-ikhtiyar tu ne gar ai ashiq-e-dil-gir phir khinchi to kya kya hua aage uTha.e gar 'zafar' ehsan-e-aql aur agar ab minnat-e-tadbir phir khinchi to kya qarun uTha ke sar pe suna ganj le chala duniya se kya bakhil ba-juz ranj le chala minnat thi bosa-e-lab-e-shirin ki dil mira mujh ko su-e-mazar-e-shakar ganj le chala saaqi sambhalta hai to jaldi mujhe sambhal varna uDa ke paan nasha-e-banj le chala dauDa ke haath chhati pe ham un ki yuun phire jaise koi chor aa ke ho naranj le chala chausar ka lutf ye hai ki jis vaqt po paDe ham bar-chahar bole to bar-panj le chala jis dam 'zafar' ne paDh ke ghazal haath se rakhi ankhon pe rakh har ek sukhan-sanj le chala rukh jo zer-e-sumbul-e-pur-pech-o-tab aa ja.ega phir ke burj-e-sumbule men aftab aa ja.ega tera ehsan hoga qasid gar shitab aa ja.ega sabr mujh ko dekh kar khat ka javab aa ja.ega ho na betab itna gar us ka itaab aa ja.ega tu ghazab men ai dil-e-khana-kharab aa ja.ega is qadar rona nahin behtar bas ab ashkon ko rok varna tufan dekh ai chashm-e-pur-ab aa ja.ega pesh hovega agar tere gunahon ka hisab tang zalim arsa-e-roz-e-hisab aa ja.ega dekh kar dast-e-sitam men teri tegh-e-abdar mere har zakhm-e-jigar ke munh men aab aa ja.ega apni chashm-e-mast ki gardish na ai saaqi dikha dekh chakkar men abhi jam-e-sharab aa ja.ega khuub hoga haan jo siine se nikal ja.ega tu chain mujh ko ai dil-e-pur-iztirab aa ja.ega ai 'zafar' uTh ja.ega jab parda-e-sharm-o-hijab samne vo yaar mere be-hijab aa ja.ega sab rang men us gul ki mire shaan hai maujud ghafil tu zara dekh vo har aan hai maujud har taar ka daman ke mire kar ke tabarruk sar-basta har ik khar-e-bayaban hai maujud uryani-e-tan hai ye ba-az-khil.at-e-shahi ham ko ye tire ishq men saman hai maujud kis tarah lagave koi daman ko tire haath hone ko tu ab dast-o-gareban hai maujud leta hi raha raat tire rukh ki bala.en tu puchh le ye zulf-e-pareshan hai maujud tum chashm-e-haqiqat se agar aap ko dekho a.ina-e-haq men dil-e-insan hai maujud kahta hai 'zafar' hain ye sukhan aage sabhon ke jo koi yahan sahib-e-irfan hai maujud shane ki har zaban se sune koi laf-e-zulf chire hai siina raat ko ye mu-shigaf-e-zulf jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyah is tarah is sanam ke hai rukh par ghilaf-e-zulf barham hai is qadar jo mire dil se zulf-e-yar shamat-zada ne kya kiya aisa khilaf-e-zulf matlab na kufr o diin se na dair o haram se kaam karta hai dil tavaf-e-izar o tavaf-e-zulf naf-e-ghazal-e-chin hai ki hai nafa-e-tatar kyunkar kahun ki hai girah-e-zulf naf-e-zulf aapas men aaj dast-o-gareban hai roz o shab ai mehr-vash zari ka nahin mu-e-baf-e-zulf kahta hai koi jiim koi laam zulf ko kahta huun main 'zafar' ki musattah hai kaf-e-zulf shamshir-e-barhana maang ghazab balon ki mahak phir vaisi hi juuDe ki gundhavaT qahr-e-khuda balon ki mahak phir vaisi hi ankhen hain kaTora si vo sitam gardan hai surahi-dar ghazab aur usi men sharab-e-surkhi-e-pan rakhti hai jhalak phir vaisi hi har baat men us ki garmi hai har naaz men us ke shokhi hai qamat hai qayamat chaal pari chalne men phaDak phir vaisi hi gar rang bhabuka atish hai aur biini shola-e-sarkash hai to bijli si kaunde hai pari aariz ki chamak phir vaisi hi nau-khez kuchen do ghuncha hain hai narm shikam ik khirman-e-gul barik kamar jo shakh-e-gul rakhti hai lachak phir vaisi hi hai naaf koi girdab-e-bala aur gol surin ranen hain safa hai saaq bilorin sham-e-ziya paanv ki kafak phir vaisi hi mahram hai habab-e-ab-e-ravan suraj ki kiran hai us pe lipaT jaali ki kurti hai vo bala goTe ki dhanak phir vaisi hi vo gaa.e to aafat laa.e hai har taal men leve jaan nikal naach us ka uTha.e sau fitne ghungru ki jhanak phir vaisi hi har baat pe ham se vo jo 'zafar' karta hai lagavaT muddat se aur us ki chahat rakhte hain ham aaj talak phir vaisi hi tufta-janon ka ilaaj ai ahl-e-danish aur hai ishq ki atish bala hai us ki sozish aur hai kyuun na vahshat men chubhe har mu ba-shakl-e-nish-tez khar-e-gham ki tere divane ki kavish aur hai mutribo ba-saz aao tum hamari bazm men saz-o-saman se tumhari itni sazish aur hai thukta bhi dukhtar-e-raz par nahin mast-e-alast jo ki hai us fahisha par ghash vo fahish aur hai taab kya ham-tab hove us se khurshid-e-falak aftab-e-dagh-e-dil ki apne tabish aur hai sab miTa den dil se hain jitni ki us men khvahishen gar hamen malum ho kuchh us ki khvahish aur hai abr mat ham-chashm hona chashm-e-dariya-bar se teri barish aur hai aur us ki barish aur hai hai to gardish charkh ki bhi fitna-angezi men taaq teri chashm-e-fitna-za ki lek gardish aur hai but-parasti jis se hove haq-parasti ai 'zafar' kya kahun tujh se ki vo tarz-e-parastish aur hai TukDe nahin hain ansuon men dil ke chaar panch surkhab baiThe paani men hain mil ke chaar panch munh khole hain ye zakhm jo bismil ke chaar panch phir lenge bose khanjar-e-qatil ke chaar panch kahne hain matlab un se hamen dil ke chaar panch kya kahiye ek munh hain vahan mil ke chaar panch dariya men gir paDa jo mira ashk ek garm but-khane lab pe ho ga.e sahil ke chaar panch do-char lashe ab bhi paDe tere dar pe hain aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar panch rahen hain do majaz o haqiqat hai jin ka naam raste nahin hain ishq ki manzil ke chaar panch ranj o taab musibat o gham yaas o dard o daagh aah o fughan rafiq hain ye dil ke chaar panch do tiin jhaTke duun juun hi vahshat ke zor men zindan men TukDe hoven salasil ke chaar panch farhad o qais o vamiq o azra the chaar dost ab ham bhi aa mile to hue mil ke chaar panch naaz o ada o ghamza nigah panja-e-mizha maren hain ek dil ko ye pil pil ke chaar panch iima hai ye ki devenge nau din ke baad dil likh bheje khat men sher jo be-dil ke chaar panch hiire ke nau-ratan nahin tere hue hain jama ye chandni ke phuul magar khil ke chaar panch mina-e-nuh-falak hai kahan bada-e-nashat shishe hain ye to zahr-e-halahal ke chaar panch nakhun karen hain zakhmon ko do do mila ke ek the aaTh das so ho ga.e ab chhil ke chaar panch gar anjum-e-falak se bhi tadad kijiye niklen ziyada daagh mire dil ke chaar panch maren jo sar pe sil ko uTha kar qalaq se ham das panch TukDe sar ke hon aur sil ke chaar panch maan ai 'zafar' tu panj-tan o char-yar ko hain sadar-e-din ki yahi mahfil ke chaar panch vaan irada aaj us qatil ke dil men aur hai aur yahan kuchh aarzu bismil ke dil men aur hai vasl ki Thahrave zalim to kisi surat se aaj varna Thahri kuchh tire maa.il ke dil men aur hai hai hilal o badr men ik nuur par jo raushni dil men naqis ke hai vo kamil ke dil men aur hai pahle to milta hai dildari se kya kya dilruba bandhta mansube phir vo mil ke dil men aur hai hai mujhe bad-az-saval-e-bosa khvahish vasl ki ye tamanna ek is saa.il ke dil men aur hai go vo mahfil men na bola pa ga.e chitvan se ham aaj kuchh us raunaq-e-mahfil ke dil men aur hai yuun to hai vo hi dil-e-alam ke dil men ai 'zafar' us ka aalam mard-e-sahab dil ke dil men aur hai vaan rasa.i nahin to phir kya hai ye juda.i nahin to phir kya hai ho mulaqat to safa.i se aur safa.i nahin to phir kya hai dilruba ko hai dilruba.i shart dilruba.i nahin to phir kya hai gila hota hai ashna.i men ashna.i nahin to phir kya hai allah allah re un buton ka ghurur ye khuda.i nahin to phir kya hai maut aa.i to Tal nahin sakti aur aa.i nahin to phir kya hai magas-e-qab aghniya hona hai be-haya.i nahin to phir kya hai bosa-e-lab dil-e-shikasta ko momya.i nahin to phir kya hai nahin rone men gar 'zafar' tasir jag-hansa.i nahin to phir kya hai vaqif hain ham ki hazrat-e-gham aise shakhs hain aur phir ham un ke yaar hain ham aise shakhs hain divane tere dasht men rakkhenge jab qadam majnun bhi lega un ke qadam aise shakhs hain jin pe hon aise zulm o sitam ham nahin vo log hon roz balki lutf o karam aise shakhs hain yuun to bahut hain aur bhi khuban-e-dil-fareb par jaise pur-fan aap hain kam aise shakhs hain kya kya jafa-kashon pe hain un dilbaron ke zulm aison ke sahte aise sitam aise shakhs hain diin kya hai balki dijiye iman bhi unhen zahid ye but khuda ki qasam aise shakhs hain azurda huun adu ke jo kahne pe ai 'zafar' ne aise shakhs vo hain na ham aise shakhs hain vo sau sau aTkhaTon se ghar se bahar do qadam nikle bala se us ki gar us men kisi muztar ka dam nikle kahan aansu ke qatre khun-e-dil se hain baham nikle ye dil men jam.a the muddat se kuchh paikan-e-gham nikle mire mazmun-e-soz-e-dil se khat sab jal gaya mera qalam se harf jo nikle sharar hi yak-qalam nikle nikal ai charagar tu shauq se lekin sar-e-paikan udhar nikle jigar se tiir udhar qalib se dam nikle tasavvur se lab-e-la.alin ke tere ham agar ro den to jo lakht-e-jigar ankhon se nikle ik raqam nikle nahin Darte agar hon laakh zindan yaar zindan se junun ab to misal-e-nala-e-zanjir ham nikle jigar par daagh lab par dud-e-dil aur ashk daman men tiri mahfil se ham manind-e-sham.a sub.h-dam nikle agar hota zamana gesu-e-shab-rang ka tere miri shab-diz sauda ka ziyada-tar qadam nikle kaji jin ki tabi.at men hai kab hoti vo sidhi hai kaho shakh-e-gul-e-tasvir se kis tarah kham nikle shumar ik shab kiya ham ne jo apne dil ke daghon se to anjum charkh-e-hashtum ke bahut se un se kam nikle khuda ke vaste zahid uTha parda na kaabe ka kahin aisa na ho yaan bhi vahi kafir-sanam nikle tamanna hai ye dil men jab talak hai dam men dam apne 'zafar' munh se hamare naam us ka dam-ba-dam nikle ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota ya mira taaj gadayana banaya hota apna divana banaya mujhe hota tu ne kyuun khirad-mand banaya na banaya hota khaksari ke liye garche banaya tha mujhe kaash khak-e-dar-e-janana banaya hota nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko umr ka tang na paimana banaya hota dil-e-sad-chak banaya to bala se lekin zulf-e-mushkin ka tire shana banaya hota sufiyon ke jo na tha la.eq-e-sohbat to mujhe qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe to charagh-e-dar-e-mai-khana banaya hota shola-e-husn chaman men na dikhaya us ne varna bulbul ko bhi parvana banaya hota roz mamura-e-duniya men kharabi hai 'zafar' aisi basti ko to virana banaya hota yaan khaak ka bistar hai gale men kafni hai vaan haath men a.ina hai gul pairahani hai hathon se hamen ishq ke din raat nahin chain fariyad o fughan din ko hai shab nara-zani hai hushyar ho ghaflat se tu ghafil na ho ai dil apni to nazar men ye jagah be-vatani hai kuchh kah nahin sakta huun zaban se ki zara dekh kya jaa.e hai jis jaa.e na kuchh dam-zadani hai mizhgan pe mire lakht-e-jigar hi nahin yaaro is taar se vo rishta aqiq-e-yamani hai likh aur ghazal qafiye ko pher 'zafar' tu ab tab.a ki dariya ki tiri mauj-zani hai ye qissa vo nahin tum jis ko qissa-khvan se suno mire fasana-e-gham ko miri zaban se suno sunao dard-e-dil apna to dam-ba-dam fariyad misal-e-nai miri har ek ustukhvan se suno karo hazar sitam le ke zikr kya yak yaar shikayat apni tum is apne nim-jan se suno khuda ke vaste ai hamdamo na bolo tum payam laaya hai kya nama-bar vahan se suno tumhare ishq ne rusva kiya jahan men hamen hamara zikr na tum kyunki ik jahan se suno suno tum apni jo tegh-e-nigah ke ausaf jo tum ko sunna ho us shokh-e-dil-sitan se suno 'zafar' vo bosa to kya dega par koi dushnam jo tum ko sunna ho us shokh-e-dil-sitan se suno zulf jo rukh par tire ai mehr-e-tal.at khul ga.i ham ko apni tira-rozi ki haqiqat khul ga.i kya tamasha hai rag-e-laila men Duuba neshtar fasd-e-majnun ba.is-e-josh-e-mohabbat khul ga.i dil ka sauda ik nigah par hai tiri Thahra hua narkh tu kya puchhta hai ab to qimat khul ga.i a.ine ko naaz tha kya apne ru-e-saf par aankh hi par dekhte hi teri surat khul ga.i thi asiran-e-qafas ko aarzu parvaz ki khul ga.i khiDki qafas ki kya ki qismat khul ga.i tere aariz par hua akhir ghubar-e-khat numud khul ga.i a.ina-ru dil ki kudurat khul ga.i be-takalluf aa.e tum khole hue band-e-qaba ab girah dil ki hamare fil-haqiqat khul ga.i bandhi zahid ne tavakkul par kamar sau baar chust lekin akhir ba.is-e-sussti-e-himmat khul ga.i khulte khulte ruk ga.e vo un ko tu ne ai 'zafar' sach kaho kis aankh se dekha ki chahat khul ga.i aap ka e'tibar kaun kare roz ka intizar kaun kare zikr-e-mehr-o-vafa to ham karte par tumhen sharmsar kaun kare ho jo us chashm-e-mast se be-khud phir use hoshiyar kaun kare tum to ho jaan ik zamane ki jaan tum par nisar kaun kare afat-e-rozgar jab tum ho shikva-e-rozgar kaun kare apni tasbih rahne de zahid daana daana shumar kaun kare hijr men zahr kha ke mar ja.un maut ka intizar kaun kare aankh hai tark-e-zulf hai sayyad dekhen dil ka shikar kaun kare va.ada karte nahin ye kahte hain tujh ko ummid-var kaun kare 'dagh' ki shakl dekh kar bole aisi surat ko pyaar kaun kare aarzu hai vafa kare koi ji na chahe to kya kare koi gar maraz ho dava kare koi marne vaale ka kya kare koi koste hain jale hue kya kya apne haq men dua kare koi un se sab apni apni kahte hain mera matlab ada kare koi chaah se aap ko to nafrat hai mujh ko chahe khuda kare koi us gile ko gila nahin kahte gar maze ka gila kare koi ye mili daad ranj-e-furqat ki aur dil ka kaha kare koi tum sarapa ho surat-e-tasvir tum se phir baat kya kare koi kahte hain ham nahin khuda-e-karim kyuun hamari khata kare koi jis men lakhon baras ki huren hon aisi jannat ko kya kare koi is jafa par tumhen tamanna hai ki miri iltija kare koi munh lagate hi 'dagh' itraya lutf hai phir jafa kare koi ab vo ye kah rahe hain miri maan ja.iye allah teri shaan ke qurban ja.iye bigDe hue mizaj ko pahchan ja.iye sidhi tarah na maniyega maan ja.iye kis ka hai khauf rokne vaala hi kaun hai har roz kyuun na ja.iye mehman ja.iye mahfil men kis ne aap ko dil men chhupa liya itnon men kaun chor hai pahchan ja.iye hain tevri men bal to nigahen phiri hui jaate hain aise aane se ausan ja.iye do mushkilen hain ek jatane men shauq ke pahle to jaan ja.iye phir maan ja.iye insan ko hai khana-e-hasti men lutf kya mehman aa.iye to pasheman ja.iye go vada-e-visal ho jhuTa maza to hai kyuun kar na aise jhuuT ke qurban ja.iye rah jaa.e ba.ad-e-vasl bhi cheTak lagi hui kuchh rakhiye kuchh nikal ke arman ja.iye achchhi kahi ki ghair ke ghar tak zara chalo main aap ka nahin huun nigahban ja.iye aa.e hain aap ghair ke ghar se khaDe khaDe ye aur ko jata.iye ehsan, ja.iye donon se imtihan-e-vafa par ye kah diya manva.iye raqib ko ya maan ja.iye kya bad-gumaniyan hain unhen mujh ko hukm hai ghar men khuda ke bhi to na mehman ja.iye kya farz hai ki sab miri baten qubul hain sun sun ke kuchh na maniye kuchh maan ja.iye sauda.iyan-e-zulf men kuchh to laTak bhi ho jannat men ja.iye to pareshan ja.iye dil ko jo dekh lo to yahi pyaar se kaho qurban ja.iye tire qurban ja.iye dil ko jo dekh lo to yahi pyaar se kaho qurban ja.iye tire qurban ja.iye jaane na dunga aap ko be-faisla hue dil ke muqaddame ko abhi chhan ja.iye ye to baja ki aap ko duniya se kya gharaz jaati hai jis ki jaan use jaan ja.iye ghusse men haath se ye nishani na gir paDe daman men le ke mera gareban ja.iye ye mukhtasar javab mila arz-e-vasl par dil manta nahin ki tiri maan ja.iye vo azmuda-kar to hai gar vali nahin jo kuchh bata.e 'dagh' use maan ja.iye abhi hamari mohabbat kisi ko kya ma.alum kisi ke dil ki haqiqat kisi ko kya ma.alum yaqin to ye hai vo khat ka javab likkhenge magar navishta-e-qismat kisi ko kya ma.alum ba-zahir un ko haya-dar log samjhe hain haya men jo hai shararat kisi ko kya ma.alum qadam qadam pe tumhare hamare dil ki tarah basi hui hai qayamat kisi ko kya ma.alum ye ranj o aish hue hijr o vasl men ham ko kahan hai dozakh o jannat kisi ko kya ma.alum jo sakht baat sune dil to TuuT jaata hai is a.ine ki nazakat kisi ko kya ma.alum kiya karen vo sunane ko pyaar ki baten unhen hai mujh se adavat kisi ko kya ma.alum khuda kare na phanse dam-e-ishq men koi uTha.i hai jo musibat kisi ko kya ma.alum abhi to fitne hi barpa kiye hain aalam men uTha.enge vo qayamat kisi ko kya ma.alum janab-e-'dagh' ke mashrab ko ham se to puchho chhupe hue hain ye hazrat kisi ko kya ma.alum achchhi surat pe ghazab TuuT ke aana dil ka yaad aata hai hamen haa.e zamana dil ka tum bhi munh chuum lo be-sakhta pyaar aa jaa.e main suna.un jo kabhi dil se fasana dil ka nigah-e-yar ne ki khana-kharabi aisi na Thikana hai jigar ka na Thikana dil ka puuri mehndi bhi lagani nahin aati ab tak kyunkar aaya tujhe ghairon se lagana dil ka ghuncha-e-gul ko vo muTThi men liye aate the main ne puchha to kiya mujh se bahana dil ka in hasinon ka laDakpan hi rahe ya allah hosh aata hai to aata hai satana dil ka de khuda aur jagah siina o pahlu ke siva ki bure vaqt men ho jaa.e Thikana dil ka meri aghosh se kya hi vo taDap kar nikle un ka jaana tha ilahi ki ye jaana dil ka nigah-e-sharm ko be-tab kiya kaam kiya rang laaya tiri ankhon men samana dil ka ungliyan tar-e-gareban men ulajh jaati hain sakht dushvar hai hathon se dabana dil ka huur ki shakl ho tum nuur ke putle ho tum aur is par tumhen aata hai jalana dil ka chhoD kar us ko tiri bazm se kyunkar ja.un ik janaze ka uThana hai uThana dil ka be-dili ka jo kaha haal to farmate hain kar liya tu ne kahin aur Thikana dil ka ba.ad muddat ke ye ai 'dagh' samajh men aaya vahi daana hai kaha jis ne na maana dil ka ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota koi fitna ta-qayamat na phir ashkar hota tire dil pe kaash zalim mujhe ikhtiyar hota jo tumhari tarah tum se koi jhuTe va.ade karta tumhin munsifi se kah do tumhen e'tibar hota gham-e-ishq men maza tha jo use samajh ke khate ye vo zahr hai ki akhir mai-e-khush-gavar hota ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota na maza hai dushmani men na hai lutf dosti men koi ghair ghair hota koi yaar yaar hota tire va.ade par sitamgar abhi aur sabr karte agar apni zindagi ka hamen e'tibar hota ye vo dard-e-dil nahin hai ki ho charasaz koi agar ek baar miTta to hazar baar hota ga.e hosh tere zahid jo vo chashm-e-mast dekhi mujhe kya ulaT na dete jo na bada-khvar hota mujhe mante sab aisa ki adu bhi sajde karte dar-e-yar ka.aba banta jo mira mazar hota tumhen naaz ho na kyunkar ki liya hai 'dagh' ka dil ye raqam na haath lagti na ye iftikhar hota baaqi jahan men qais na farhad rah gaya afsana ashiqon ka faqat yaad rah gaya ye sakht-jan to qatl se nashad rah gaya khanjar chala to bazu-e-jallad rah gaya pabandiyon ne ishq ki bekas rakha mujhe main sau asiriyon men bhi azad rah gaya chashm-e-sanam ne yuun to bigaDe hazar ghar ik ka.aba chand roz ko abad rah gaya mahshar men ja-e-shikva kiya shukr yaar ka jo bhulna tha mujh ko vahi yaad rah gaya un ki to ban paDi ki lagi jaan muft haath teri girah men kya dil-e-nashad rah gaya pur-nur ho rahega ye zulmat-kada agar dil men buton ka shauq-e-khuda-dad rah gaya yuun aankh un ki kar ke ishara palaT ga.i goya ki lab se ho ke kuchh irshad rah gaya naseh ka ji chala tha hamari tarah magar ulfat ki dekh dekh ke uftad rah gaya hain tere dil men sab ke Thikane bure bhale main khanuman-kharab hi barbad rah gaya vo din ga.e ki thi mire siine men kuchh kharash ab dil kahan hai dil ka nishan yaad rah gaya surat ko teri dekh ke khinchti hai jan-e-khalq dil apna thaam thaam ke bahzad rah gaya ai 'dagh' dil hi dil men ghule zabt-e-ishq se afsos shauq-e-nal-o-fariyad rah gaya baat meri kabhi suni hi nahin jante vo buri bhali hi nahin dil-lagi un ki dil-lagi hi nahin ranj bhi hai faqat hansi hi nahin lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid haa.e kam-bakht tu ne pi hi nahin uD ga.i yuun vafa zamane se kabhi goya kisi men thi hi nahin jaan kya duun ki janta huun main tum ne ye chiiz le ke di hi nahin ham to dushman ko dost kar lete par karen kya tiri khushi hi nahin ham tiri aarzu pe jiite hain ye nahin hai to zindagi hi nahin dil-lagi dil-lagi nahin naseh tere dil ko abhi lagi hi nahin 'dagh' kyuun tum ko bevafa kahta vo shikayat ka aadmi hi nahin bhaven tanti hain khanjar haath men hai tan ke baiThe hain kisi se aaj bigDi hai ki vo yuun ban ke baiThe hain dilon par saikDon sikke tire joban ke baiThe hain kalejon par hazaron tiir is chitvan ke baiThe hain ilahi kyuun nahin uThti qayamat majra kya hai hamare samne pahlu men vo dushman ke baiThe hain ye gustakhi ye chheD achchhi nahin hai ai dil-e-nadan abhi phir ruuTh ja.enge abhi to man ke baiThe hain asar hai jazb-e-ulfat men to khinch kar aa hi ja.enge hamen parva nahin ham se agar vo tan ke baiThe hain subuk ho ja.enge gar ja.enge vo bazm-e-dushman men ki jab tak ghar men baiThe hain vo lakhon man ke baiThe hain fusun hai ya dua hai ya muamma khul nahin sakta vo kuchh paDhte hue aage mire madfan ke baiThe hain bahut roya huun main jab se ye main ne khvab dekha hai ki aap aansu bahate samne dushman ke baiThe hain khaDe hon zer-e-tuba vo na dam lene ko dam bhar bhi jo hasrat-mand tere saya-e-daman ke baiThe hain talash-e-manzil-e-maqsad ki gardish uTh nahin sakti kamar khole hue raste men ham rahzan ke baiThe hain ye josh-e-girya to dekho ki jab furqat men roya huun dar o divar ik pal men mire madfan ke baiThe hain nigah-e-shokh o chashm-e-shauq men dar-parda chhanti hai ki vo chilman men hain nazdik ham chilman ke baiThe hain ye uThna baiThna mahfil men un ka rang la.ega qayamat ban ke uTThenge bhabuka ban ke baiThe hain kisi ki shamat aa.egi kisi ki jaan ja.egi kisi ki taak men vo baam par ban-Than ke baiThe hain qasam de kar unhen ye puchh lo tum rang-Dhang us ke tumhari bazm men kuchh dost bhi dushman ke baiThe hain koi chhinTa paDe to 'dagh' kalkatte chale jaa.en azimabad men ham muntazir savan ke baiThe hain dekh kar joban tira kis kis ko hairani hui is javani par javani aap divani hui parde parde men mohabbat dushman-e-jani hui ye khuda ki maar kya ai shauq-e-pinhani hui dil ka sauda kar ke un se kya pashemani hui qadr us ki phir kahan jis shai ki arzani hui mere ghar us shokh ki do din se mehmani hui bekasi ki aaj kal kya khana-virani hui tark-e-rasm-o-rah par afsos hai donon taraf ham se nadani hui ya tum se nadani hui ibtida se intiha tak haal un se kah to duun fikr ye hai aur jo kah kar pashemani hui gham qayamat ka nahin vaa.iz mujhe ye fikr hai diin kab baaqi raha duniya agar faani hui tum na shab ko aaoge ye hai yaqin aaya hua tum na manoge miri ye baat hai maani hui mujh men dam jab tak raha mushkil men the timardar meri asani se sab yaron ki asani hui is ko kya kahte hain utna hi baDha shauq-e-visal jis qadar mash.hur un ki pak-damani hui bazm se uThne ki ghairat baiThne se dil ko rashk dekh kar ghairon ka majma.a kya pareshani hui dava-e-taskhir par ye us pari-vash ne kaha aap ka dil kya hua mohr-e-slemani hui khul ga.iin zulfen magar us shokh mast-e-naz ki jhumti bad-e-saba phirti hai mastani hui main sarapa sajde karta us ke dar par shauq se sar se pa tak kyuun na peshani hi peshani hui dil ki qalb-e-mahiyat ka ho use kyunkar yaqin kab hava miTTi hui hai aag kab paani hui aate hi kahte ho ab ghar ja.enge achchhi kahi ye masal puuri yahan man-mani ghar jaani hui arsa-e-mahshar men tujh ko DhunD la.un to sahi koi chhup sakti hai jo surat ho pahchani hui dekh kar qatil ka khali haath bhi ji Dar gaya us ki chin-e-astin bhi chin-e-peshani hui kha ke dhoka us but-e-kamsin ne daman men liye ashk-afshani bhi meri gauhar-afshani hui bekasi par meri apni tegh ki hasrat to dekh chashm-e-jauhar bhi ba-shakl-e-chashm-e-hairani hui bekasi par 'dagh' ki afsos aata hai hamen kis jagah kis vaqt us ki khana-virani hui dil chura kar nazar chura.i hai luT ga.e luT ga.e duha.i hai ek din mil ke phir nahin milte kis qayamat ki ye juda.i hai ai asar kar na intizar-e-dua mangna sakht be-haya.i hai main yahan huun vahan hai dil mera na-rasa.i ajab rasa.i hai is tarah ahl-e-naz naaz karen bandagi hai ki ye khuda.i hai paani pi pi ke tauba karta huun parsa.i si parsa.i hai va.ada karne ka ikhtiyar raha baat karne men kya bura.i hai kab nikalta hai ab jigar se tiir ye bhi kya teri ashna.i hai 'dagh' un se dimagh karte hain nahin malum kya sama.i hai dil-e-nakam ke hain kaam kharab kar liya ashiqi men naam kharab is kharabat ka yahi hai maza ki rahe aadmi mudam kharab dekh kar jins-e-dil vo kahte hain kyuun kare koi apne daam kharab abr-e-tar se saba hi achchhi thi meri miTTi hui tamam kharab vo bhi saaqi mujhe nahin deta vo jo TuuTa paDa hai jaam kharab kya mila ham ko zindagi ke siva vo bhi dushvar na-tamam kharab vaah kya munh se phuul jhaDte hain khub-ru ho ke ye kalam kharab chaal ki rahnuma-e-ishq ne bhi vo dikhaya jo tha maqam kharab 'dagh' hai bad-chalan to hone do sau men hota hai ik ghulam kharab dil gaya tum ne liya ham kya karen jaane vaali chiiz ka gham kya karen ham ne mar kar hijr men paa.i shifa aise achchhon ka vo matam kya karen apne hi gham se nahin milti najat is bina par fikr-e-alam kya karen ek saghar par hai apni zindagi rafta rafta is se bhi kam kya karen kar chuke sab apni apni hikmaten dam nikalta ho to hamdam kya karen dil ne sikha sheva-e-beganagi aise na-mahram ko mahram kya karen ma.arka hai aaj husn o ishq ka dekhiye vo kya karen ham kya karen a.ina hai aur vo hain dekhiye faisla donon ye baham kya karen aadmi hona bahut dushvar hai phir farishte hirs-e-adam kya karen tund-khu hai kab sune vo dil ki baat aur bhi barham ko barham kya karen Hyderabad aur langar yaad hai ab ke dilli men moharram kya karen kahte hain ahl-e-sifarish mujh se 'dagh' teri qismat hai buri ham kya karen dil ko kya ho gaya khuda jaane kyuun hai aisa udaas kya jaane apne gham men bhi us ko sarfa hai na khila jaane vo na kha jaane is tajahul ka kya Thikana hai jaan kar jo na mudda.a jaane kah diya main ne raz-e-dil apna us ko tum jaano ya khuda jaane kya gharaz kyuun idhar tavajjoh ho hal-e-dil aap ki bala jaane jante jante hi janega mujh men kya hai abhi vo kya jaane kya ham us bad-guman se baat karen jo sata.ish ko bhi gila jaane tum na paoge sada-dil mujh sa jo taghaful ko bhi haya jaane hai abas jurm-e-ishq par ilzam jab khata-var bhi khata jaane nahin kotah daman-e-ummid aage ab dast-e-na-rasa jaane jo ho achchha hazar achchhon ka vaa.iz us but ko tu bura jaane ki miri qadr misl-e-shah-e-dakan kisi navvab ne na raaja ne us se uTThegi kya musibat-e-ishq ibtida ko jo intiha jaane 'dagh' se kah do ab na ghabrao kaam apna bata hua jaane dil pareshan hua jaata hai aur saman hua jaata hai khidmat-e-pir-e-mughan kar zahid tu ab insan hua jaata hai maut se pahle mujhe qatl karo us ka ehsan hua jaata hai lazzat-e-ishq ilahi miT jaa.e dard arman hua jaata hai dam zara lo ki mira dam tum par abhi qurban hua jaata hai girya kya zabt karun ai naseh ashk paiman hua jaata hai bevafa.i se bhi rafta rafta vo miri jaan hua jaata hai arsa-e-hashr men vo aa pahunche saaf maidan hua jaata hai madad ai himmat-e-dushvar-pasand kaam asan hua jaata hai chha.i jaati hai ye vahshat kaisi ghar bayaban hua jaata hai shikva sun aankh mila kar zalim kyuun pasheman hua jaata hai atish-e-shauq bujhi jaati hai khaak arman hua jaata hai uzr jaane men na kar ai qasid tu bhi nadan hua jaata hai muztarib kyuun na hon arman dil men qaid mehman hua jaata hai 'dagh' khamosh na lag jaa.e nazar sher divan hua jaata hai falak deta hai jin ko aish un ko gham bhi hote hain jahan bajte hain naqqare vahin matam bhi hote hain gile shikve kahan tak honge aadhi raat to guzri pareshan tum bhi hote ho pareshan ham bhi hote hain jo rakkhe charagar kafur duuni aag lag jaa.e kahin ye zakhm-e-dil sharminda-e-marham bhi hote hain vo ankhen samri-fan hain vo lab isa-nafas dekho mujhi par sehr hote hain mujhi par dam bhi hote hain zamana dosti par in hasinon ki na itra.e ye alam-dost aksar dushman-e-alam bhi hote hain ba-zahir rahnuma hain aur dil men bad-gumani hai tire kuche men jo jaata hai aage ham bhi hote hain hamare ansuon ki abdari aur hi kuchh hai ki yuun hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhi hote hain khuda ke ghar men kya hai kaam zahid bada-khvaron ka jinhen milti nahin vo tishna-e-zamzam bhi hote hain hamare saath hi paida hua hai ishq ai naseh juda.i kis tarah se ho juda tavam bhi hote hain nahin ghaTti shab-e-furqat bhi aksar ham ne dekha hai jo baDh jaate hain had se vo hi ghaT kar kam bhi hote hain bacha.un pairahan kya charagar main dast-e-vahshat se kahin aise gareban daman-e-maryam bhi hote hain tabi.at ki kaji hargiz miTa.e se nahin miTti kabhi sidhe tumhare gesu-e-pur-kham bhi hote hain jo kahta huun ki marta huun to farmate hain mar jaao jo ghash aata hai to mujh par hazaron dam bhi hote hain kisi ka vada-e-didar to ai 'dagh' bar-haq hai magar ye dekhiye dil-shad us din ham bhi hote hain ghair ko munh laga ke dekh liya jhuuT sach aazma ke dekh liya un ke ghar 'dagh' ja ke dekh liya dil ke kahne men aa ke dekh liya kitni farhat-faza thi bu-e-vafa us ne dil ko jala ke dekh liya kabhi ghash men raha shab-e-va.ada kabhi gardan uTha ke dekh liya jins-e-dil hai ye vo nahin sauda har jagah se manga ke dekh liya log kahte hain chup lagi hai tujhe hal-e-dil bhi suna ke dekh liya jaao bhi kya karoge mehr-o-vafa bar-ha aazma ke dekh liya zakhm-e-dil men nahin hai qatra-e-khun khuub ham ne dikha ke dekh liya idhar a.ina hai udhar dil hai jis ko chaha uTha ke dekh liya un ko khalvat-sara men be-parda saaf maidan pa ke dekh liya us ne sub.h-e-shab-e-visal mujhe jaate jaate bhi aa ke dekh liya tum ko hai vasl-e-ghair se inkar aur jo ham ne aa ke dekh liya 'dagh' ne khuub ashiqi ka maza jal ke dekha jala ke dekh liya gham se kahin najat mile chain paa.en ham dil khuun men naha.e to ganga naha.en ham jannat men jaa.en ham ki jahannam men jaa.en ham mil jaa.e to kahin na kahin tujh ko paa.en ham jauf-e-falak men khaak bhi lazzat nahin rahi ji chahta hai teri jafa.en uTha.en ham Dar hai na bhuul jaa.e vo saffak roz-e-hashr duniya men likhte jaate hain apni khata.en ham mumkin hai ye ki va.ade par apne vo aa bhi jaa.e mushkil ye hai ki aap men us vaqt aa.en ham naraz ho khuda to karen bandagi se khush mashuq ruuTh jaa.e to kyunkar mana.en ham sar doston ka kaaT ke rakhte hain samne ghairon se puchhte hain qasam kis ki kha.en ham kitna tira mizaj khushamad-pasand hai kab tak karen khuda ke liye iltija.en ham lalach abas hai dil ka tumhen vaqt-e-vapsin ye maal vo nahin ki jise chhoD jaa.en ham saunpa tumhen khuda ko chale ham to na-murad kuchh paDh ke bakhshna jo kabhi yaad aa.en ham soz-e-darun se apne sharar ban ga.e hain ashk kyuun ah-e-sard ko na patinge laga.en ham ye jaan tum na loge agar aap ja.egi us bevafa ki khair kahan tak mana.en ham ham-sa.e jagte rahe nalon se raat bhar so.e hue nasib ko kyunkar jaga.en ham jalva dikha raha hai vo a.ina-e-jamal aati hai ham ko sharm ki kya munh dikha.en ham maano kaha jafa na karo tum vafa ke ba.ad aisa na ho ki pher len ulTi dua.en ham dushman se milte julte hain khatir se dosti kya fa.eda jo dost ko dushman bana.en ham tu bhulne ki chiiz nahin khuub yaad rakh ai 'dagh' kis tarah tujhe dil se bhula.en ham ghazab kiya tire va.ade pe e'tibar kiya tamam raat qayamat ka intizar kiya kisi tarah jo na us but ne e'tibar kiya miri vafa ne mujhe khuub sharmsar kiya hansa hansa ke shab-e-vasl ashk-bar kiya tasalliyan mujhe de de ke be-qarar kiya ye kis ne jalva hamare sar-e-mazar kiya ki dil se shor uTha haa.e be-qarar kiya suna hai tegh ko qatil ne ab-dar kiya agar ye sach hai to be-shubah ham pe vaar kiya na aa.e raah pe vo ijz be-shumar kiya shab-e-visal bhi main ne to intizar kiya tujhe to vada-e-didar ham se karna tha ye kya kiya ki jahan ko umid-var kiya ye dil ko taab kahan hai ki ho ma.al-andesh unhon ne va.ada kiya is ne e'tibar kiya kahan ka sabr ki dam par hai ban ga.i zalim ba tang aa.e to hal-e-dil ashkar kiya taDap phir ai dil-e-nadan ki ghair kahte hain akhir kuchh na bani sabr ikhtiyar kiya mile jo yaar ki shokhi se us ki bechaini tamam raat dil-e-muztarib ko pyaar kiya bhula bhula ke jataya hai un ko raz-e-nihan chhupa chhupa ke mohabbat ko ashkar kiya na us ke dil se miTaya ki saaf ho jaata saba ne khaak pareshan mira ghubar kiya ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh aata magar tumhare taghaful ne hoshyar kiya hamare siine men jo rah ga.i thi atish-e-hijr shab-e-visal bhi us ko na ham-kanar kiya raqib o sheva-e-ulfat khuda ki qudrat hai vo aur ishq bhala tum ne e'tibar kiya zaban-e-khar se nikli sada-e-bismillah junun ko jab sar-e-shorida par savar kiya tiri nigah ke tasavvur men ham ne ai qatil laga laga ke gale se chhuri ko pyaar kiya ghazab thi kasrat-e-mahfil ki main ne dhoke men hazar baar raqibon ko ham-kanar kiya hua hai koi magar us ka chahne vaala ki asman ne tira sheva ikhtiyar kiya na puchh dil ki haqiqat magar ye kahte hain vo be-qarar rahe jis ne be-qarar kiya jab un ko tarz-e-sitam aa ga.e to hosh aaya bura ho dil ka bure vaqt hoshyar kiya fasana-e-shab-e-gham un ko ik kahani thi kuchh e'tibar kiya kuchh na e'tibar kiya asiri dil-e-ashufta rang la ke rahi tamam turra-e-tarrar taar taar kiya kuchh aa ga.i davar-e-mahshar se hai ummid mujhe kuchh aap ne mire kahne ka e'tibar kiya kisi ke ishq-e-nihan men ye bad-gumani thi ki Darte Darte khuda par bhi ashkar kiya falak se taur qayamat ke ban na paDte the akhir ab tujhe ashob-e-rozgar kiya vo baat kar jo kabhi asman se ho na sake sitam kiya to baDa tu ne iftikhar kiya banega mehr-e-qayamat bhi ek khal-e-siyah jo chehra 'dagh'-e-siyah-ru ne ashkar kiya idhar dekh lena udhar dekh lena kan-ankhiyon se us ko magar dekh lena faqat nabz se haal zahir na hoga mira dil bhi ai charagar dekh lena kabhi zikr-e-didar aaya to bole qayamat se bhi pesh-tar dekh lena na dena khat-e-shauq ghabra ke pahle mahal mauqa ai nama-bar dekh lena kahin aise bigDe sanvarte bhi dekhe na a.enge vo raah par dekh lena taghaful men shokhi nirali ada thi ghazab tha vo munh pher kar dekh lena shab-e-va.ada apna yahi mashghala tha uTha kar nazar su-e-dar dekh lena bulaya jo ghairon ko davat men tum ne mujhe pesh-tar apne ghar dekh lena mohabbat ke bazar men aur kya hai koi dil dikha.e agar dekh lena mire samne ghair se bhi ishare idhar bhi udhar dekh kar dekh lena na ho nazuk itna bhi mashshata koi dahan dekh lena kamar dekh lena nahin rakhne dete jahan paanv ham ko usi astane pe sar dekh lena tamasha-e-alam ki fursat hai kis ko ghanimat hai bas ik nazar dekh lena diye jaate hain aaj kuchh likh ke tum ko use vaqt-e-fursat magar dekh lena hamin jaan denge hamin mar miTenge hamen tum kisi vaqt par dekh lena jalaya to hai 'dagh' ke dil ko tum ne magar is ka hoga asar dekh lena in ankhon ne kya kya tamasha na dekha haqiqat men jo dekhna tha na dekha tujhe dekh kar vo dui uTh ga.i hai ki apna bhi saani na dekha na dekha un ankhon ke qurban ja.un jinhon ne hazaron hijabon men parvana dekha na himmat na qismat na dil hai na ankhen na DhunDa na paaya na samjha na dekha marizan-e-ulfat ki kya be-kasi hai masiha ko bhi chara-farma na dekha bahut dard-mandon ko dekha hai tu ne ye siina ye dil ye kaleja na dekha vo kab dekh sakta hai us ki tajalli jis insan ne apna hi jalva na dekha bahut shor sunte the is anjuman ka yahan aa ke jo kuchh suna tha na dekha safa.i hai bagh-e-mohabbat men aisi ki bad-e-saba ne bhi tinka na dekha use dekh kar aur ko phir jo dekhe koi dekhne vaala aisa na dekha vo tha jalva-ara magar tu ne muusa na dekha na dekha na dekha na dekha gaya karvan chhoD kar mujh ko tanha zara mere aane ka rasta na dekha kahan naqsh-e-avval kahan naqsh-e-sani khuda ki khuda.i men tujh sa na dekha tiri yaad hai ya hai tera tasavvur kabhi 'dagh' ko ham ne tanha na dekha is ada se vo jafa karte hain koi jaane ki vafa karte hain yuun vafa ahd-e-vafa karte hain aap kya kahte hain kya karte hain ham ko chheDoge to pachhtaoge hansne valon se hansa karte hain nama-bar tujh ko saliqa hi nahin kaam baton men bana karte hain chaliye ashiq ka janaza uTTha aap baiThe hue kya karte hain ye batata nahin koi mujh ko dil jo aata hai to kya karte hain husn ka haq nahin rahta baaqi har ada men vo ada karte hain tiir akhir badal-e-kafir hai ham akhir aaj dua karte hain rote hain ghair ka rona pahron ye hansi mujh se hansa karte hain is liye dil ko laga rakkha hai is men mahbub raha karte hain tum miloge na vahan bhi ham se hashr se pahle gila karte hain jhank kar rauzan-e-dar se mujh ko kya vo shokhi se haya karte hain us ne ehsan jata kar ye kaha aap kis munh se gila karte hain roz lete hain naya dil dilbar nahin malum ye kya karte hain 'dagh' tu dekh to kya hota hai jabr par sabr kiya karte hain is nahin ka koi ilaaj nahin roz kahte hain aap aaj nahin kal jo tha aaj vo mizaj nahin is talavvun ka kuchh ilaaj nahin aa.ina dekhte hi itra.e phir ye kya hai agar mizaj nahin le ke dil rakh lo kaam aa.ega go abhi tum ko ehtiyaj nahin ho saken ham mizaj-dan kyunkar ham ko milta tira mizaj nahin chup lagi lal-e-jan-faza ko tire is masiha ka kuchh ilaaj nahin dil-e-be-mudda.a khuda ne diya ab kisi shai ki ehtiyaj nahin khoTe damon men ye bhi kya Thahra dirham-e-dagh ka rivaj nahin be-niyazi ki shaan kahti hai bandagi ki kuchh ehtiyaj nahin dil-lagi kijiye raqibon se is tarah ka mira mizaj nahin ishq hai padshah-e-alam-gir garche zahir men takht-o-taj nahin dard-e-furqat ki go dava hai visal is ke qabil bhi har mizaj nahin yaas ne kya bujha diya dil ko ki taDap kaisi ikhtilaj nahin ham to sirat-pasand ashiq hain khub-ru kya jo khush-mizaj nahin huur se puchhta huun jannat men is jagah kya buton ka raaj nahin sabr bhi dil ko 'dagh' de lenge abhi kuchh is ki ehtiyaj nahin jalve miri nigah men kaun-o-makan ke hain mujh se kahan chhupenge vo aise kahan ke hain khulte nahin hain raaz jo soz-e-nihan ke hain kya phuTne ke vaste chhale zaban ke hain karte hain qatl vo talab-e-maghfirat ke ba.ad jo the dua ke haath vahi imtihan ke hain jis roz kuchh sharik hui meri musht-e-khak us roz se zamin pe sitam asman ke hain baazu dikha.e tum ne laga kar hazar haath puure paDe to vo bhi bahut imtihan ke hain naseh ke samne kabhi sach bolta nahin meri zaban men rang tumhari zaban ke hain kaisa javab hazrat-e-dil dekhiye zara paigham-bar ke haath men TukDe zaban ke hain kya iztirab-e-shauq ne mujh ko khajil kiya vo puchhte hain kahiye irade kahan ke hain ashiq tire adam ko ga.e kis qadar tabah puchha har ek ne ye musafir kahan ke hain har-chand 'dagh' ek hi ayyar hai magar dushman bhi to chhaTe hue saare jahan ke hain jo ho sakta hai us se vo kisi se ho nahin sakta magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin sakta mohabbat men kare kya kuchh kisi se ho nahin sakta mira marna bhi to meri khushi se ho nahin sakta alag karna raqibon ka ilahi tujh ko asan hai mujhe mushkil ki meri bekasi se ho nahin sakta kiya hai vada-e-farda unhon ne dekhiye kya ho yahan sabr o tahammul aaj hi se ho nahin sakta ye mushtaq-e-shahadat kis jagah jaa.en kise DhunDen ki tera kaam qatil jab tujhi se ho nahin sakta laga kar tegh qissa paak kijiye dad-khvahon ka kisi ka faisla kar munsifi se ho nahin sakta mira dushman ba-zahir chaar din ko dost hai tera kisi ka ho rahe ye har kisi se ho nahin sakta pursish kahoge kya vahan jab yaan ye surat hai ada ik harf-e-vada nazuki se ho nahin sakta na kahiye go ki hal-e-dil magar rang-ashna hain ham ye zahir aap ki kya khamushi se ho nahin sakta kiya jo ham ne zalim kya karega ghair munh kya hai kare to sabr aisa aadmi se ho nahin sakta chaman men naaz bulbul ne kiya jo apni naale par chaTak kar ghuncha bola kya kisi se ho nahin sakta nahin gar tujh pe qaabu dil hai par kuchh zor ho apna karun kya ye bhi to na-taqati se ho nahin sakta na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqe ka pareshani men koi kaam ji se ho nahin sakta hua huun is qadar mahjub arz-e-mudda.a kar ke ki ab to uzr bhi sharmindagi se ho nahin sakta ghazab men jaan hai kya kiije badla ranj-e-furqat ka badi se kar nahin sakte khushi se ho nahin sakta maza jo iztirab-e-shauq se ashiq ko hai hasil vo taslim o raza o bandagi se ho nahin sakta khuda jab dost hai ai 'dagh' kya dushman se andesha hamara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin sakta kaabe ki hai havas kabhi ku-e-butan ki hai mujh ko khabar nahin miri miTTi kahan ki hai sun ke mira fasana unhen lutf aa gaya sunta huun ab ki roz talab qissa-khvan ki hai paigham-bar ki baat par aapas men ranj kya meri zaban ki hai na tumhari zaban ki hai kuchh tazgi ho lazzat-e-azar ke liye har dam mujhe talash na.e asman ki hai jan-bar bhi ho ga.e hain bahut mujh se nim-jan kya gham hai ai tabib jo puuri vahan ki hai hasrat baras rahi hai hamare mazar par kahte hain sab ye qabr kisi naujavan ki hai vaqt-e-khiram-e-naz dikha do juda juda ye chaal hashr ki ye ravish asman ki hai fursat kahan ki ham se kisi vaqt tu mile din ghair ka hai raat tire pasban ki hai qasid ki guftugu se tasalli ho kis tarah chhupti nahin vo baat jo teri zaban ki hai jaur-e-raqib o zulm-e-falak ka nahin khayal tashvish ek khatir-e-na-mehrban ki hai sun kar mira fasana-e-gham us ne ye kaha ho jaa.e jhuuT sach yahi khubi bayan ki hai daman sambhal bandh kamar astin chaDha khanjar nikal dil men agar imtihan ki hai har har nafas men dil se nikalne laga ghubar kya jaane gard-e-rah ye kis karvan ki hai kyunki na aate khuld se aadam zamin par mauzun vahin vo khuub hai jo sunte jahan ki hai taqdir se ye puchh raha huun ki ishq men tadbir koi bhi sitam-e-na-gahan ki hai urdu hai jis ka naam hamin jante hain 'dagh' hindostan men dhuum hamari zaban ki hai kahte hain jis ko huur vo insan tumhin to ho jaati hai jis pe jaan miri jaan tumhin to ho matlab ki kah rahe hain vo daana hamin to hain matlab ki puchhte ho vo nadan tumhin to ho aata hai bad-e-zulm tumhin ko to rahm bhi apne kiye se dil men pasheman tumhin to ho pachhtaoge bahut mire dil ko ujaaD kar is ghar men aur kaun hai mehman tumhin to ho ik roz rang la.engi ye mehrbaniyan ham jante the jaan ke khvahan tumhin to ho dildar o dil-fareb dil-azar o dil-sitan lakhon men ham kahenge ki haan haan tumhin to ho karte ho 'dagh' duur se but-khane ko salam apni tarah ke ek musalman tumhin to ho kaun sa ta.ir-e-gum-gashta use yaad aaya dekhta bhalta har shakh ko sayyad aaya mere qaabu men na pahron dil-e-nashad aaya vo mira bhulne vaala jo mujhe yaad aaya koi bhula hua andaz-e-sitam yaad aaya ki tabassum tujhe zalim dam-e-be-dad aaya laa.e hain log janaze ki tarah mahshar men kis musibat se tira kushta-e-bedad aaya jazb-e-vahshat tire qurban tira kya kahna khinch ke rag rag men mire nashtar-e-fassad aaya us ke jalve ko gharaz kaun-o-makan se kya tha daad lene ke liye husn-e-khuda-dad aaya bastiyon se yahi avaz chali aati hai jo kiya tu ne vo aage tire farhad aaya dil-e-viran se raqibon ne muraden pa.in kaam kis kis ke mira khirman-e-barbad aaya ishq ke aate hi munh par mire phuli hai basant ho gaya zard ye shagird jab ustad aaya ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna jab mire haath koi khama-e-faulad aaya iid hai qatl mira ahl-e-tamasha ke liye sab gale milne lage jab ki vo jallad aaya chain karte hain vahan ranj uThane vaale kaam uqba men hamara dil-e-nashad aaya di shab-e-vasl mo.azzin ne azaan pichhli raat haa.e kam-bakht ko kis vaqt khuda yaad aaya mere naale ne suna.i hai khari kis kis ko munh farishton pe ye gustakh ye azad aaya gham-e-javed ne di mujh ko mubarakbadi jab suna ye ki unhen sheva-e-bedad aaya main tamanna-e-shahadat ka maza bhuul gaya aaj is shauq se arman se jallad aaya shadiyana jo diya naala o shevan ne diya jab mulaqat ko nashad ki nashad aaya lijiye suniye ab afsana-e-furqat mujh se aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya aap ki bazm men sab kuchh hai magar 'dagh' nahin ham ko vo khana-kharab aaj bahut yaad aaya khatir se ya lihaz se main maan to gaya jhuTi qasam se aap ka iman to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulTi shikayaten huiin ehsan to gaya Darta huun dekh kar dil-e-be-arzu ko main sunsan ghar ye kyuun na ho mehman to gaya kya aa.e rahat aa.i jo kunj-e-mazar men vo valvala vo shauq vo arman to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na puchh iman ki to ye hai ki iman to gaya ifsha-e-raz-e-ishq men go zillaten huiin lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se khush na hua par hazar shukr mujh ko vo mere naam se pahchan to gaya bazm-e-adu men surat-e-parvana dil mira go rashk se jala tire qurban to gaya hosh o havas o taab o tavan 'dagh' ja chuke ab ham bhi jaane vaale hain saman to gaya le chala jaan miri ruuTh ke jaana tera aise aane se to behtar tha na aana tera apne dil ko bhi bata.un na Thikana tera sab ne jaana jo pata ek ne jaana tera tu jo ai zulf pareshan raha karti hai kis ke ujDe hue dil men hai Thikana tera aarzu hi na rahi sub.h-e-vatan ki mujh ko sham-e-ghurbat hai ajab vaqt suhana tera ye samajh kar tujhe ai maut laga rakkha hai kaam aata hai bure vaqt men aana tera ai dil-e-shefta men aag lagane vaale rang laaya hai ye lakhe ka jamana tera tu khuda to nahin ai naseh-e-nadan mera kya khata ki jo kaha main ne na maana tera ranj kya vasl-e-adu ka jo ta.alluq hi nahin mujh ko vallah hansata hai rulana tera ka.aba o dair men ya chashm-o-dil-e-ashiq men inhin do-char gharon men hai Thikana tera tark-e-adat se mujhe niind nahin aane ki kahin nicha na ho ai gor sirhana tera main jo kahta huun uTha.e hain bahut ranj-e-firaq vo ye kahte hain baDa dil hai tavana tera bazm-e-dushman se tujhe kaun uTha sakta hai ik qayamat ka uThana hai uThana tera apni ankhon men abhi kaund ga.i bijli si ham na samjhe ki ye aana hai ki jaana tera yuun to kya aa.ega tu fart-e-nazakat se yahan sakht dushvar hai dhoke men bhi aana tera 'dagh' ko yuun vo miTate hain ye farmate hain tu badal Daal hua naam purana tera lutf vo ishq men paa.e hain ki ji janta hai ranj bhi aise uTha.e hain ki ji janta hai jo zamane ke sitam hain vo zamana jaane tu ne dil itne sata.e hain ki ji janta hai tum nahin jante ab tak ye tumhare andaz vo mire dil men sama.e hain ki ji janta hai inhin qadmon ne tumhare inhin qadmon ki qasam khaak men itne mila.e hain ki ji janta hai dosti men tiri dar-parda hamare dushman is qadar apne para.e hain ki ji janta hai maze ishq ke kuchh vahi jante hain ki jo maut ko zindagi jante hain shab-e-vasl liin un ki itni bala.en ki hamdam mire haath hi jante hain na ho dil to kya lutf-e-azar-o-rahat barabar khushi na-khushi jante hain jo hai mere dil men unhin ko khabar hai jo main janta huun vahi jante hain paDa huun sar-e-bazm main dam chura.e magar vo ise be-khudi jante hain kahan qadr-e-ham-jins ham-jins ko hai farishton ko bhi aadmi jante hain kahun hal-e-dil to kahen us se hasil sabhi ko khabar hai sabhi jante hain vo nadan anjan bhole hain aise ki sab sheva-e-dushmani jante hain nahin jante is ka anjam kya hai vo marna mera dil-lagi jante hain samajhta hai tu 'dagh' ko rind zahid magar rind us ko vali jante hain milate ho usi ko khaak men jo dil se milta hai miri jaan chahne vaala baDi mushkil se milta hai kahin hai iid ki shadi kahin matam hai maqtal men koi qatil se milta hai koi bismil se milta hai pas-e-parda bhi laila haath rakh leti hai ankhon par ghubar-e-na-tavan-e-qais jab mahmil se milta hai bhare hain tujh men vo lakhon hunar ai majma-e-khubi mulaqati tira goya bhari mahfil se milta hai mujhe aata hai kya kya rashk vaqt-e-zab.h us se bhi gala jis dam lipaT kar khanjar-e-qatil se milta hai ba-zahir ba-adab yuun hazrat-e-naseh se milta huun murid-e-khas jaise murshid-e-kamil se milta hai misal-e-ganj-e-qarun ahl-e-hajat se nahin chhupta jo hota hai sakhi khud DhunD kar saa.il se milta hai javab is baat ka us shokh ko kya de sake koi jo dil le kar kahe kam-bakht tu kis dil se milta hai chhupa.e se koi chhupti hai apne dil ki betabi ki har tar-e-nafas apna rag-e-bismil se milta hai adam ki jo haqiqat hai vo puchho ahl-e-hasti se musafir ko to manzil ka pata manzil se milta hai ghazab hai 'dagh' ke dil se tumhara dil nahin milta tumhara chand sa chehra mah-e-kamil se milta hai na-rava kahiye na-saza kahiye kahiye kahiye mujhe bura kahiye tujh ko bad-ahd o bevafa kahiye aise jhuTe ko aur kya kahiye dard dil ka na kahiye ya kahiye jab vo puchhe mizaj kya kahiye phir na rukiye jo mudda.a kahiye ek ke ba.ad dusra kahiye aap ab mera munh na khulva.en ye na kahiye ki mudda.a kahiye vo mujhe qatl kar ke kahte hain manta hi na tha ye kya kahiye dil men rakhne ki baat hai gham-e-ishq is ko hargiz na barmala kahiye tujh ko achchha kaha hai kis kis ne kahne valon ko aur kya kahiye vo bhi sun lenge ye kabhi na kabhi hal-e-dil sab se ja-ba-ja kahiye mujh ko kahiye bura na ghair ke saath jo ho kahna juda juda kahiye intiha ishq ki khuda jaane dam-e-akhir ko ibtida kahiye mere matlab se kya gharaz matlab aap apna to mudda.a kahiye aisi kashti ka Dubna achchha ki jo dushman ko nakhuda kahiye sabr furqat men aa hi jaata hai par use der-ashna kahiye aa ga.i aap ko masiha.i marne valon ko marhaba kahiye aap ka khair-khvah mere siva hai koi aur dusra kahiye haath rakh kar vo apne kanon par mujh se kahte hain majra kahiye hosh jaate rahe raqibon ke 'dagh' ko aur ba-vafa kahiye phire raah se vo yahan aate aate ajal mar rahi tu kahan aate aate na jaana ki duniya se jaata hai koi bahut der ki mehrban aate aate suna hai ki aata hai sar nama-bar ka kahan rah gaya armughan aate aate yaqin hai ki ho jaa.e akhir ko sachchi mire munh men teri zaban aate aate sunane ke qabil jo thi baat un ko vahi rah ga.i darmiyan aate aate mujhe yaad karne se ye mudda.a tha nikal jaa.e dam hichkiyan aate aate abhi sin hi kya hai jo bebakiyan hon unhen a.engi shokhiyan aate aate kaleja mire munh ko aa.ega ik din yunhi lab par ah-o-fughan aate aate chale aate hain dil men arman lakhon makan bhar gaya mehman aate aate natija na nikla thake sab payami vahan jaate jaate yahan aate aate tumhara hi mushtaq-e-didar hoga gaya jaan se ik javan aate aate tiri aankh phirte hi kaisa phira hai miri raah par asman aate aate paDa hai baDa pech phir dil-lagi men tabi.at ruki hai jahan aate aate mire ashiyan ke to the chaar tinke chaman uD gaya andhiyan aate aate kisi ne kuchh un ko ubhara to hota na aate na aate yahan aate aate qayamat bhi aati thi hamrah us ke magar rah ga.i ham-inan aate aate bana hai hamesha ye dil baagh o sahra bahar aate aate khizan aate aate nahin khel ai 'dagh' yaron se kah do ki aati hai urdu zaban aate aate ranj ki jab guftugu hone lagi aap se tum tum se tu hone lagi chahiye paigham-bar donon taraf lutf kya jab du-ba-du hone lagi meri rusva.i ki naubat aa ga.i un ki shohrat ku-ba-ku hone lagi hai tiri tasvir kitni be-hijab har kisi ke ru-ba-ru hone lagi ghair ke hote bhala ai sham-e-vasl kyuun hamare ru-ba-ru hone lagi na-ummidi baDh ga.i hai is qadar aarzu ki aarzu hone lagi ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamari justuju hone lagi 'dagh' itra.e hue phirte hain aaj shayad un ki aabru hone lagi saaf kab imtihan lete hain vo to dam de ke jaan lete hain yuun hai manzur khana-virani mol mera makan lete hain tum taghaful karo raqibon se janne vaale jaan lete hain phir na aana agar koi bheje nama-bar se zaban lete hain ab bhi gir paD ke zof se naale satvan asman lete hain tere khanjar se bhi to ai qatil nok ki nau-javan lete hain apne bismil ka sar hai zaanu par kis mohabbat se jaan lete hain ye suna hai mire liye talvar ik mire mehrban lete hain ye na kah ham se tere munh men khaak is men teri zaban lete hain kaun jaata hai us gali men jise duur se pasban lete hain manzil-e-shauq tai nahin hoti Thekiyan na-tavan lete hain kar guzarte hain ho buri ki bhali dil men jo kuchh vo Thaan lete hain vo jhagaDte hain jab raqibon se biich men mujh ko saan lete hain zid har ik baat par nahin achchhi dost ki dost maan lete hain musta.id ho ke ye kaho to sahi aa.iye imtihan lete hain 'dagh' bhi hai ajiib sehr-bayan baat jis ki vo maan lete hain saaz ye kina-saz kya janen naaz vaale niyaz kya janen sham.a-ru aap go hue lekin lutf-e-soz-o-gudaz kya janen kab kisi dar ki jab.ha-sa.i ki shaikh sahab namaz kya janen jo rah-e-ishq men qadam rakkhen vo nasheb-o-faraz kya janen puchhiye mai-kashon se lutf-e-sharab ye maza pak-baz kya janen bale chitvan tiri ghazab ri nigah kya karenge ye naaz kya janen jin ko apni khabar nahin ab tak vo mire dil ka raaz kya janen hazrat-e-khizr jab shahid na hon lutf-e-umr-e-daraz kya janen jo guzarte hain 'dagh' par sadme aap banda-navaz kya janen sab log jidhar vo hain udhar dekh rahe hain ham dekhne valon ki nazar dekh rahe hain tevar tire ai rashk-e-qamar dekh rahe hain ham shaam se asar-e-sahar dekh rahe hain mera dil-e-gum-gashta jo DhunDa nahin milta vo apna dahan apni kamar dekh rahe hain koi to nikal aa.ega sarbaz-e-mohabbat dil dekh rahe hain vo jigar dekh rahe hain hai majma-e-aghyar ki hangama-e-mahshar kya sair mire dida-e-tar dekh rahe hain ab ai nigah-e-shauq na rah jaa.e tamanna is vaqt udhar se vo idhar dekh rahe hain har-chand ki har roz ki ranjish hai qayamat ham koi din us ko bhi magar dekh rahe hain aamad hai kisi ki ki gaya koi idhar se kyuun sab taraf-e-rahguzar dekh rahe hain takrar tajalli ne tire jalve men kyuun ki hairat-zada sab ahl-e-nazar dekh rahe hain nairang hai ek ek tira diid ke qabil ham ai falak-e-shobada-gar dekh rahe hain kab tak hai tumhara sukhan-e-talkh gavara is zahr men kitna hai asar dekh rahe hain kuchh dekh rahe hain dil-e-bismil ka taDapna kuchh ghaur se qatil ka hunar dekh rahe hain ab tak to jo qismat ne dikhaya vahi dekha a.inda ho kya nafa o zarar dekh rahe hain pahle to suna karte the ashiq ki musibat ab aankh se vo aaTh pahar dekh rahe hain kyuun kufr hai didar-e-sanam hazrat-e-va.iz allah dikhata hai bashar dekh rahe hain khat ghair ka paDhte the jo Toka to vo bole akhbar ka parcha hai khabar dekh rahe hain paDh paDh ke vo dam karte hain kuchh haath par apne hans hans ke mire zakhm-e-jigar dekh rahe hain main 'dagh' huun marta huun idhar dekhiye mujh ko munh pher ke ye aap kidhar dekh rahe hain sabaq aisa paDha diya tu ne dil se sab kuchh bhala diya tu ne ham nikamme hue zamane ke kaam aisa sikha diya tu ne kuchh ta.alluq raha na duniya se shaghl aisa bata diya tu ne kis khushi ki khabar suna ke mujhe gham ka putla bana diya tu ne kya bata.un ki kya liya main ne kya kahun main ki kya diya tu ne be-talab jo mila mila mujh ko be-gharaz jo diya diya tu ne umr-e-javed khizr ko bakhshi ab-e-haivan pila diya tu ne nar-e-namrud ko kiya gulzar dost ko yuun bacha diya tu ne dast-e-musa men faiz bakhshish hai nur-o-lauh-o-asa diya tu ne sub.h mauj nasim gulshan ko nafas-e-jan-faza diya tu ne shab-e-tira men sham.a raushan ko nuur khurshid ka diya tu ne naghma bulbul ko rang-o-bu gul ko dil-kash-o-khushnuma diya tu ne kahin mushtaq se hijab hua kahin parda uTha diya tu ne tha mira munh na qabil-e-labbaik ka.aba mujh ko dikha diya tu ne jis qadar main ne tujh se khvahish ki is se mujh ko siva diya tu ne rahbar-e-khizr-o-hadi-e-ilyas mujh ko vo rahnuma diya tu ne miT ga.e dil se naqsh-e-batil sab naqsha apna jama diya tu ne hai yahi raah manzil-e-maqsud khuub raste laga diya tu ne mujh gunahgar ko jo bakhsh diya to jahannum ko kya diya tu ne 'dagh' ko kaun dene vaala tha jo diya ai khuda diya tu ne tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain tujhe har bahane se ham dekhte hain hamari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazren nahin jin ko ham dekhte hain zamane ke kya kya sitam dekhte hain hamin jante hain jo ham dekhte hain phire but-kade se to ai ahl-e-ka.aba phir aa kar tumhare qadam dekhte hain hamen chashm-e-bina dikhati hai sab kuchh vo andhe hain jo jam-e-jam dekhte hain na ima-e-khvahish na iz.har-e-matlab mire munh ko ahl-e-karam dekhte hain kabhi toDte hain vo khanjar ko apne kabhi nabz-e-bismil men dam dekhte hain ghanimat hai chashm-e-taghaful bhi un ki bahut dekhte hain jo kam dekhte hain gharaz kya ki samjhen mire khat ka mazmun vo unvan o tarz-e-raqam dekhte hain salamat rahe dil bura hai ki achchha hazaron men ye ek dam dekhte hain raha kaun mahfil men ab aane vaala vo charon taraf dam-ba-dam dekhte hain udhar sharm haa.il idhar khauf maane na vo dekhte hain na ham dekhte hain unhen kyuun na ho dilruba.i se nafrat ki har dil men vo gham alam dekhte hain nigahban se bhi kya hui bad-gumani ab us ko tire saath kam dekhte hain hamen 'dagh' kya kam hai ye sarfarazi ki shah-e-dakan ke qadam dekhte hain teri surat ko dekhta huun main us ki qudrat ko dekhta huun main jab hui sub.h aa ga.e naseh unhin hazrat ko dekhta huun main vo musibat suni nahin jaati jis musibat ko dekhta huun main dekhne aa.e hain jo meri nabz un ki surat ko dekhta huun main maut mujh ko dikha.i deti hai jab tabi.at ko dekhta huun main shab-e-furqat uTha uTha kar sar sub.h-e-ishrat ko dekhta huun main duur baiTha hua sar-e-mahfil rang-e-sohbat ko dekhta huun main har musibat hai be-maza shab-e-gham aafat aafat ko dekhta huun main na mohabbat ko jante ho tum na muravvat ko dekhta huun main koi dushman ko yuun na dekhega jaise qismat ko dekhta huun main hashr men 'dagh' koi dost nahin saari khilqat ko dekhta huun main tum a.ina hi na har baar dekhte jaao miri taraf bhi to sarkar dekhte jaao na jaao hal-e-dil-e-zar dekhte jaao ki ji na chahe to na-char dekhte jaao bahar-e-umr men bagh-e-jahan ki sair karo khila hua hai ye gulzar dekhte jaao yahi to chashm-e-haqiqat nigar ka surma hai niza-e-kafir-o-din-dar dekhte jaao uThao aankh na sharmao ye to mahfil hai ghazab se janib-e-aghyar dekhte jaao nahin hai jins-e-vafa ki tumhen jo qadr na ho banenge kitne kharidar dekhte jaao tumhen gharaz jo karo rahm pa.emalon par tum apni shokhi-e-raftar dekhte jaao qasam bhi khaa.i thi qur.an bhi uThaya tha phir aaj hai vahi inkar dekhte jaao ye shamat aa.i ki us ki gali men dil ne kaha khula hai rauzan-e-divar dekhte jaao hua hai kya abhi hangama aur kuchh hoga fughan men hashr ke asar dekhte jaao shab-e-visal adu ki yahi nishani hai nishan-e-bosa-e-rukhsar dekhte jaao tumhari aankh mire dil se le sabab be-vaj.h hui hai laDne ko tayyar dekhte jaao idhar ko aa hi ga.e ab to hazrat-e-zahid yahin hai khana-e-khummar dekhte jaao raqib barsar-e-parkhash ham se hota hai baDhegi muft men takrar dekhte jaao nahin hain jurm-e-mohabbat men sab ke sab mulzim khata muaaf khata-var dekhte jaao dikha rahi hai tamasha falak ki nairangi naya hai sho.abada har baar dekhte jaao bana diya miri chahat ne ghairat-e-yusuf tum apni garmi-e-bazar dekhte jaao na jaao band kiye aankh rah-ravan-e-adam idhar udhar bhi khabar-dar dekhte jaao suni-suna.i pe hargiz kabhi amal na karo hamare haal ke akhbar dekhte jaao koi na koi har ik sher men hai baat zarur janab-e-'dagh' ke ash.ar dekhte jaao tumhare khat men naya ik salam kis ka tha na tha raqib to akhir vo naam kis ka tha vo qatl kar ke mujhe har kisi se puchhte hain ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha vafa karenge nibahenge baat manenge tumhen bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha raha na dil men vo bedard aur dard raha muqim kaun hua hai maqam kis ka tha na puchh-gachh thi kisi ki vahan na av-bhagat tumhari bazm men kal ehtimam kis ka tha tamam bazm jise sun ke rah ga.i mushtaq kaho vo tazkira-e-na-tamam kis ka tha hamare khat ke to purze kiye paDha bhi nahin suna jo tu ne ba-dil vo payam kis ka tha uTha.i kyuun na qayamat adu ke kuche men lihaz aap ko vaqt-e-khiram kis ka tha guzar gaya vo zamana kahun to kis se kahun khayal dil ko mire sub.h o shaam kis ka tha hamen to hazrat-e-va.iz ki zid ne pilva.i yahan irada-e-sharb-e-mudam kis ka tha agarche dekhne vaale tire hazaron the tabah-hal bahut zer-e-bam kis ka tha vo kaun tha ki tumhen jis ne bevafa jaana khayal-e-kham ye sauda-e-kham kis ka tha inhin sifat se hota hai aadmi mash.hur jo lutf aam vo karte ye naam kis ka tha har ik se kahte hain kya 'dagh' bevafa nikla ye puchhe un se koi vo ghulam kis ka tha un ke ik jan-nisar ham bhi hain hain jahan sau hazar ham bhi hain tum bhi bechain ham bhi hain bechain tum bhi ho be-qarar ham bhi hain ai falak kah to kya irada hai aish ke khvast-gar ham bhi hain khinch la.ega jazb-e-dil un ko hama tan intizar ham bhi hain bazm-e-dushman men le chala hai dil kaise be-ikhtiyar ham bhi hain shahr khali kiye dukan kaisi ek hi bada-khvar ham bhi hain sharm samjhe tire taghaful ko vaah kya hoshiyar ham bhi hain haath ham se milao ai muusa ashiq-e-ru-e-yar ham bhi hain khvahish-e-bada-e-tuhur nahin kaise parhez-gar ham bhi hain tum agar apni guun ke ho ma.ashuq apne matlab ke yaar ham bhi hain jis ne chaha phansa liya ham ko dilbaron ke shikar ham bhi hain aa.i mai-khane se ye kis ki sada laao yaron ke yaar ham bhi hain le hi to legi dil nigah tiri har tarah hoshiyar ham bhi hain idhar aa kar bhi fatiha paDh lo aaj zer-e-mazar ham bhi hain ghair ka haal puchhiye ham se us ke jalse ke yaar ham bhi hain kaun sa dil hai jis men 'dagh' nahin ishq men yadgar ham bhi hain uzr aane men bhi hai aur bulate bhi nahin ba.is-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin muntazir hain dam-e-rukhsat ki ye mar jaa.e to jaa.en phir ye ehsan ki ham chhoD ke jaate bhi nahin sar uThao to sahi aankh milao to sahi nashsha-e-mai bhi nahin niind ke maate bhi nahin kya kaha phir to kaho ham nahin sunte teri nahin sunte to ham aison ko sunate bhi nahin khuub parda hai ki chilman se lage baiThe hain saaf chhupte bhi nahin samne aate bhi nahin mujh se laghar tiri ankhon men khaTakte to rahe tujh se nazuk miri nazron men samate bhi nahin dekhte hi mujhe mahfil men ye irshad hua kaun baiTha hai use log uThate bhi nahin ho chuka qat.a ta.alluq to jafa.en kyuun hon jin ko matlab nahin rahta vo satate bhi nahin ziist se tang ho ai 'dagh' to jiite kyuun ho jaan pyari bhi nahin jaan se jaate bhi nahin uzr un ki zaban se nikla tiir goya kaman se nikla vo chhalava is aan se nikla al-aman har zaban se nikla khar-e-hasrat bayan se nikla dil ka kanTa zaban se nikla fitna-gar kya makan se nikla asman asman se nikla aa gaya ghash nigah dekhte hi mudda.a kab zaban se nikla kha ga.e the vafa ka dhoka ham jhuuT sach imtihan se nikla dil men rahne na duun tira shikva dil men aaya zaban se nikla vahm aate hain dekhiye kya ho vo akela makan se nikla tum baraste rahe sar-e-mahfil kuchh bhi meri zaban se nikla sach to ye hai mo.amla dil ka bahar apne guman se nikla us ko aayat hadis kya samjhen jo tumhari zaban se nikla paD gaya jo zaban se teri harf phir na apne makan se nikla dekh kar ru-e-yar salle-ala be-tahasha zaban se nikla lo qayamat ab aa.i vo kafir ban-bana kar makan se nikla mar ga.e ham magar tira arman dil se nikla na jaan se nikla rah-rav-e-rah-e-ishq the lakhon aage main karvan se nikla samjho patthar ki tum lakir use jo hamari zaban se nikla bazm se tum ko le ke ja.enge kaam kab phul-pan se nikla kya muravvat hai navak-e-dil-doz pahle hargiz na jaan se nikla tere divanon ka bhi lashkar aaj kis tajammul se shaan se nikla muD ke dekha to main ne kab dekha duur jab pasban se nikla vo hile lab tumhare vaade par vo tumhari zaban se nikla us ki banki ada ne jab maara dam mira aan taan se nikla mere aansu ki us ne ki tarif khuub moti ye kaan se nikla ham khaDe tum se baten karte the ghair kyuun darmiyan se nikla zikr ahl-e-vafa ka jab aaya 'dagh' un ki zaban se nikla vo zamana nazar nahin aata kuchh Thikana nazar nahin aata jaan jaati dikha.i deti hai un ka aana nazar nahin aata ishq dar-parda phunkta hai aag ye jalana nazar nahin aata ik zamana miri nazar men raha ik zamana nazar nahin aata dil ne is bazm men biTha to diya uTh ke jaana nazar nahin aata rahiye mushtaq-e-jalva-e-didar ham ne maana nazar nahin aata le chalo mujh ko rah-ravan-e-adam yaan Thikana nazar nahin aata dil pe baiTha kahan se tir-e-nigah ye nishana nazar nahin aata tum milaoge khaak men ham ko dil milana nazar nahin aata aap hi dekhte hain ham ko to dil ka aana nazar nahin aata dil-e-pur-arzu luTa ai 'dagh' vo khazana nazar nahin aata ye baat baat men kya nazuki nikalti hai dabi dabi tire lab se hansi nikalti hai Thahar Thahar ke jala dil ko ek baar na phunk ki is men bu-e-mohabbat abhi nikalti hai baja.e shikva bhi deta huun main dua us ko miri zaban se karun kya yahi nikalti hai khushi men ham ne ye shokhi kabhi nahin dekhi dam-e-itab jo rangat tiri nikalti hai hazar baar jo manga karo to kya hasil dua vahi hai jo dil se kabhi nikalti hai ada se teri magar khinch rahin hain talvaren nigah nigah se chhuri par chhuri nikalti hai muhit-e-ishq men hai kya umiid o biim mujhe ki Duub Duub ke kashti miri nikalti hai jhalak rahi hai sar-e-shakh-e-mizha khuun ki buund shajar men pahle samar se kali nikalti hai shab-e-firaq jo khole hain ham ne zakhm-e-jigar ye intizar hai kab chandni nikalti hai samajh to lijiye kahne to dijiye matlab bayan se pahle hi mujh par chhuri nikalti hai ye dil ki aag hai ya dil ke nuur ka hai zuhur nafas nafas men mire raushni nikalti hai kaha jo main ne ki mar ja.unga to kahte hain hamare za.iche men zindagi nikalti hai samajhne vaale samajhte hain pech ki taqrir ki kuchh na kuchh tiri baton men fi nikalti hai dam-e-akhir tasavvur hai kis pari-vash ka ki meri ruuh bhi ban kar pari nikalti hai sanam-kade men bhi hai husn ik khuda.i ka ki jo nikalti hai surat pari nikalti hai mire nikale na niklegi aarzu meri jo tum nikalna chaho abhi nikalti hai gham-e-firaq men ho 'dagh' is qadar betab zara se ranj men jaan aap ki nikalti hai zahid na kah buri ki ye mastane aadmi hain tujh ko lipaT paDenge divane aadmi hain ghairon ki dosti par kyuun e'tibar kiije ye dushmani karenge begane aadmi hain jo aadmi pe guzri vo ik siva tumhare kya ji laga ke sunte afsane aadmi hain kya jur.aten jo ham ko darban tumhara Toke kah do ki ye to jane-pahchane aadmi hain mai buund bhar pila kar kya hans raha hai saaqi bhar bhar ke piite akhir paimane aadmi hain tum ne hamare dil men ghar kar liya to kya hai abad karte akhir virane aadmi hain naseh se koi kah de kiije kalam aisa hazrat ko ta ki koi ye jaane aadmi hain jab davar-e-qayamat puchhega tum pe rakh kar kah denge saaf ham to begane aadmi hain main vo bashar ki mujh se har aadmi ko nafrat tum sham.a vo ki tum par parvane aadmi hain mahfil bhari hui hai sauda.iyon se us ki us ghairat-e-pari par divane aadmi hain shabash 'dagh' tujh ko kya tegh-e-ishq khaa.i ji karte hain vahi jo mardane aadmi hain char-su hai baDi vahshat ka saman kisi aaseb ka saaya hai yahan koi avaz si hai marsiyan-khvan shahr ka shahr bana goristan ek makhluq jo basti hai yahan jis pe insan ka guzarta hai guman khud to sakit hai misal-e-tasvir jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan koi chehra nahin juz zer-e-naqab na koi jism hai juz be-dil-o-jan ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqiq kodani sheva-e-danish-mandan sha.ir-e-qaum pe ban aa.i hai kizb kaise ho tasavvuf men nihan lab hain masruf-e-qasida-goi aur ankhon men hai zillat uryan sabz khat aqibat-o-din ke asiir parsa khush-tan-o-nau-khez javan ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shi.ar yas-o-hasrat se hui hai hairan kis se ab arzu-e-vasl karen is kharabe men koi mard kahan jo mujh men chhupa mera gala ghonT raha hai ya vo koi iblis hai ya mera khuda hai jab sar men nahin ishq to chehre pe chamak hai ye nakhl khizan aa.i to shadab hua hai kya mera ziyan hai jo muqabil tire aa ja.un ye amr to ma.alum ki tu mujh se baDa hai main banda-o-nachar ki sairab na ho pa.un ai zahir-o-maujud mira jism dua hai haan us ke ta.aqub se mire dil men hai inkar vo shakhs kisi ko na milega na mila hai kyuun nur-e-abad dil men guzar kar nahin paata siine ki siyahi se naya harf likha hai kabhi dhanak si utarti thi un nigahon men vo shokh rang bhi dhime paDe havaon men main tez-gam chali ja rahi thi us ki samt kashish ajiib thi us dasht ki sadaon men vo ik sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai na Duub jaa.e kahin tund-rau havaon men sukut-e-sham hai aur main huun gosh-bar-avaz ki ek va.ade ka afsun sa hai fazaon men miri tarah yunhi gum-karda-rah chhoDegi tum apni baanh na dena hava ki banhon men nuqush paanv ke likhte hain manzil-e-na-yaft mira safar to hai tahrir meri rahon men patthar se visal mangti huun main adamiyon se kaT ga.i huun shayad pa.un suragh-e-ulfat muTThi men khak-bhar rahi huun har lams hai jab tapish se aari kisi aanch se yuun pighal rahi huun vo khvahish-e-bosa bhi nahin ab hairat se honT kaTti huun ik tiflak-e-justuju huun shayad main apne badan se khelti huun ab tab.a kisi pe kyuun ho raghib insanon ko barat chuki huun ye kis ke ansuon ne us naqsh ko miTaya jo mere lauh-e-dil par tu ne kabhi banaya tha dil jab us pe maa.il tha shauq sakht mushkil targhib ne use bhi asan kar dikhaya ik gard-bad men tu ojhal hua nazar se is dasht-e-be-samar se juz khaak kuchh na paaya ai chob-e-khushk-e-sahra vo bad-e-shauq kya thi meri tarah barahna jis ne tujhe banaya phir ham hain nim-shab hai andesha-e-abas hai vo vahima ki jis se tera yaqin aaya ye pairahan jo miri ruuh ka utar na saka to nakh-ba-nakh kahin paivast resha-e-dil tha mujhe ma.al-e-safar ka malal kyun-kar ho ki jab safar hi mira faslon ka dhoka tha main jab firaq ki raton men us ke saath rahi vo phir visal ke lamhon men kyuun akela tha vo vaste ki tira darmiyan bhi kyuun aa.e khuda ke saath mira jism kyuun na ho tanha sarab huun main tiri pyaas kya bujha.ungi is ishtiyaq se tishna zaban qarib na la sarab huun ki badan ki yahi shahadat hai har ek uzv men bahta hai ret ka dariya jo mere lab pe hai shayad vahi sadaqat hai jo mere dil men hai us harf-e-ra.egan pe na ja jise main toD chuki huun vo raushni ka tilism shua-e-nur-e-azal ke siva kuchh aur na tha aa.e kuchh abr kuchh sharab aa.e is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e bam-e-mina se mahtab utre dast-e-saqi men aftab aa.e har rag-e-khun men phir charaghan ho samne phir vo be-naqab aa.e umr ke har varaq pe dil ki nazar teri mehr-o-vafa ke baab aa.e kar raha tha gham-e-jahan ka hisab aaj tum yaad be-hisab aa.e na ga.i tere gham ki sardari dil men yuun roz inqalab aa.e jal uThe bazm-e-ghair ke dar-o-bam jab bhi ham khanuman-kharab aa.e is tarah apni khamushi gunji goya har samt se javab aa.e 'faiz' thi raah sar-ba-sar manzil ham jahan pahunche kamyab aa.e aaj yuun mauj-dar-mauj gham tham gaya is tarah gham-zadon ko qarar aa gaya jaise khush-bu-e-zulf-e-bahar aa ga.i jaise paigham-e-didar-e-yar aa gaya jis ki did-o-talab vahm samjhe the ham ru-ba-ru phir sar-e-rahguzar aa gaya sub.h-e-farda ko phir dil tarasne laga umr-e-rafta tira e'tibar aa gaya rut badalne lagi rang-e-dil dekhna rang-e-gulshan se ab haal khulta nahin zakhm chhalka koi ya koi gul khila ashk umDe ki abr-e-bahar aa gaya khun-e-ushshaq se jaam bharne lage dil sulagne lage daagh jalne lage mahfil-e-dard phir rang par aa ga.i phir shab-e-arzu par nikhar aa gaya sarfaroshi ke andaz badle ga.e davat-e-qatl par maqtal-e-shahr men Daal kar koi gardan men tauq aa gaya laad kar koi kandhe pe daar aa gaya 'faiz' kya janiye yaar kis aas par muntazir hain ki la.ega koi khabar mai-kashon par hua mohtasib mehrban dil-figaron pe qatil ko pyaar aa gaya ''aap ki yaad aati rahi raat bhar'' chandni dil dukhati rahi raat bhar gaah jalti hui gaah bujhti hui sham-e-gham jhilmilati rahi raat bhar koi khushbu badalti rahi pairahan koi tasvir gaati rahi raat bhar phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale koi qissa sunati rahi raat bhar jo na aaya use koi zanjir-e-dar har sada par bulati rahi raat bhar ek ummid se dil bahalta raha ik tamanna satati rahi raat bhar ab jo koi puchhe bhi to us se kya sharh-e-halat karen dil Thahre to dard suna.en dard thame to baat karen shaam hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifan raushan ki ghar ko aag laga.en ham bhi raushan apni raat karen qatl-e-dil-o-jan apne sar hai apna lahu apni gardan pe mohr-ba-lab baiThe hain kis ka shikva kis ke saath karen hijr men shab bhar dard-o-talab ke chand sitare saath rahe sub.h ki virani men yaaro kaise basar auqat karen ab ke baras dastur-e-sitam men kya kya baab izad hue jo qatil the maqtul hue jo said the ab sayyad hue pahle bhi khizan men baagh ujDe par yuun nahin jaise ab ke baras saare buuTe patta patta ravish ravish barbad hue pahle bhi tavaf-e-sham-e-vafa thi rasm mohabbat valon ki ham tum se pahle bhi yahan 'mansur' hue 'farhad' hue ik gul ke murjhane par kya gulshan men kohram macha ik chehra kumhla jaane se kitne dil nashad hue 'faiz' na ham 'yusuf' na koi 'yaqub' jo ham ko yaad kare apni kya kan.an men rahe ya misr men ja abad hue ab vahi harf-e-junun sab ki zaban Thahri hai jo bhi chal nikli hai vo baat kahan Thahri hai aaj tak shaikh ke ikram men jo shai thi haram ab vahi dushman-e-din rahat-e-jan Thahri hai hai khabar garm ki phirta hai gurezan naseh guftugu aaj sar-e-ku-e-butan Thahri hai hai vahi ariz-e-laila vahi shirin ka dahan nigah-e-shauq ghaDi bhar ko jahan Thahri hai vasl ki shab thi to kis darja subuk guzri thi hijr ki shab hai to kya sakht giran Thahri hai bikhri ik baar to haath aa.i hai kab mauj-e-shamim dil se nikli hai to kab lab pe fughan Thahri hai dast-e-sayyad bhi aajiz hai kaf-e-gul-chin bhi bu-e-gul Thahri na bulbul ki zaban Thahri hai aate aate yunhi dam bhar ko ruki hogi bahar jaate jaate yunhi pal bhar ko khizan Thahri hai ham ne jo tarz-e-fughan ki hai qafas men ijad 'faiz' gulshan men vahi tarz-e-bayan Thahri hai baat bas se nikal chali hai dil ki halat sambhal chali hai ab junun had se baDh chala hai ab tabi.at bahal chali hai ashk khunab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yunhi bujh rahi hain sham.en ya shab-e-hijr Tal chali hai laakh paigham ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaro dard ki raat Dhal chali hai chand nikle kisi janib tiri zeba.i ka rang badle kisi surat shab-e-tanha.i ka daulat-e-lab se phir ai khusrav-e-shirin-dahanan aaj arzan ho koi harf shanasa.i ka garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan tazkira chheDe tiri pairahan-ara.i ka sehn-e-gulshan men kabhi ai shah-e-shamshad-qadan phir nazar aa.e saliqa tiri ra.ana.i ka ek baar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan koi va.ada koi iqrar masiha.i ka diida o dil ko sambhalo ki sar-e-sham-e-firaq saz-o-saman baham pahuncha hai rusva.i ka chashm-e-maigun zara idhar kar de dast-e-qudrat ko be-asar kar de tez hai aaj dard-e-dil saaqi talkhi-e-mai ko tez-tar kar de josh-e-vahshat hai tishna-kam abhi chak-e-daman ko ta jigar kar de meri qismat se khelne vaale mujh ko qismat se be-khabar kar de luT rahi hai miri mata-e-niyaz kaash vo is taraf nazar kar de 'faiz' takmil-e-arzu malum ho sake to yunhi basar kar de darbar men ab satvat-e-shahi ki alamat darban ka asa hai ki musannif ka qalam hai avara hai phir koh-e-nida par jo basharat tamhid-e-masarrat hai ki tul-e-shab-e-gham hai jis dhajji ko galiyon men liye phirte hain tiflan ye mera gareban hai ki lashkar ka alam hai jis nuur se hai shahr ki divar darakhshan ye khun-e-shahidan hai ki zar-khana-e-jam hai halqa kiye baiThe raho ik sham.a ko yaaro kuchh raushni baaqi to hai har-chand ki kam hai dil men ab yuun tire bhule hue gham aate hain jaise bichhDe hue kaabe men sanam aate hain ek ik kar ke hue jaate hain taare raushan meri manzil ki taraf tere qadam aate hain raqs-e-mai tez karo saaz ki lai tez karo su-e-mai-khana safiran-e-haram aate hain kuchh hamin ko nahin ehsan uThane ka dimagh vo to jab aate hain ma.il-ba-karam aate hain aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho dil bhi kam dukhta hai vo yaad bhi kam aate hain donon jahan teri mohabbat men haar ke vo ja raha hai koi shab-e-gham guzar ke viran hai mai-kada khum-o-saghar udaas hain tum kya ga.e ki ruuTh ga.e din bahar ke ik fursat-e-gunah mili vo bhi chaar din dekhe hain ham ne hausle parvardigar ke duniya ne teri yaad se begana kar diya tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgar ke bhule se muskura to diye the vo aaj 'faiz' mat puchh valvale dil-e-na-karda-kar ke garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saya-e-tar to dekho aise nadan bhi na the jaan se guzarne vaale naseho pand-garo rahguzar to dekho vo to vo hai tumhen ho ja.egi ulfat mujh se ik nazar tum mire mahbub-e-nazar to dekho vo jo ab chaak gareban bhi nahin karte hain dekhne vaalo kabhi un ka jigar to dekho daman-e-dard ko gulzar bana rakkha hai aao ik din dil-e-pur-khun ka hunar to dekho sub.h ki tarah jhamakta hai shab-e-gham ka ufuq 'faiz' tabindagi-e-dida-e-tar to dekho go sab ko baham saghar o baada to nahin tha ye shahr udaas itna ziyada to nahin tha galiyon men phira karte the do chaar divane har shakhs ka sad chaak labada to nahin tha manzil ko na pahchane rah-e-ishq ka raahi nadan hi sahi aisa bhi saada to nahin tha thak kar yunhi pal bhar ke liye aankh lagi thi so kar hi na uTThen ye irada to nahin tha vaa.iz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat farq in men koi itna ziyada to nahin tha gulon men rang bhare bad-e-nau-bahar chale chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho kahin to bahr-e-khuda aaj zikr-e-yar chale kabhi to sub.h tire kunj-e-lab se ho aghaz kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale baDa hai dard ka rishta ye dil gharib sahi tumhare naam pe a.enge gham-gusar chale jo ham pe guzri so guzri magar shab-e-hijran hamare ashk tiri aqibat sanvar chale huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab girah men le ke gareban ka taar taar chale maqam 'faiz' koi raah men jacha hi nahin jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale hairan hai jabin aaj kidhar sajda rava hai sar par hain khudavand sar-e-arsh khuda hai kab tak ise sinchoge tamanna-e-samar men ye sabr ka pauda to na phula na phala hai milta hai khiraj us ko tiri nan-e-javin se har badshah-e-vaqt tire dar ka gada hai har ek uqubat se hai talkhi men sava-tar vo rang jo na-karda gunahon ki saza hai ehsan liye kitne masiha-nafason ke kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai ham musafir yunhi masruf-e-safar ja.enge be-nishan ho ga.e jab shahr to ghar ja.enge kis qadar hoga yahan mehr-o-vafa ka matam ham tiri yaad se jis roz utar ja.enge jauhari band kiye jaate hain bazar-e-sukhan ham kise bechne almas-o-guhar ja.enge nemat-e-zist ka ye qarz chukega kaise laakh ghabra ke ye kahte rahen mar ja.enge shayad apna bhi koi bait hudi-khvan ban kar saath ja.ega mire yaar jidhar ja.enge 'faiz' aate hain rah-e-ishq men jo sakht maqam aane valon se kaho ham to guzar ja.enge ham ne sab sher men sanvare the ham se jitne sukhan tumhare the rang-o-khushbu ke husn-o-khubi ke tum se the jitne isti.are the tere qaul-o-qarar se pahle apne kuchh aur bhi sahare the jab vo la.al-o-gohar hisab kiye jo tire gham ne dil pe vaare the mere daman men aa gire saare jitne tasht-e-falak men taare the umr-e-javed ki dua karte 'faiz' itne vo kab hamare the ham par tumhari chaah ka ilzam hi to hai dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai karte hain jis pe ta.an koi jurm to nahin shauq-e-fuzul o ulfat-e-nakam hi to hai dil mudda.i ke harf-e-malamat se shaad hai ai jan-e-jan ye harf tira naam hi to hai dil na-umid to nahin nakam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai dast-e-falak men gardish-e-taqdir to nahin dast-e-falak men gardish-e-ayyam hi to hai akhir to ek roz karegi nazar vafa vo yar-e-khush-khisal sar-e-bam hi to hai bhigi hai raat 'faiz' ghazal ibtida karo vaqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai hamin se apni nava ham-kalam hoti rahi ye tegh apne lahu men niyam hoti rahi muqabil-e-saf-e-a.ada jise kiya aghaz vo jang apne hi dil men tamam hoti rahi koi masiha na ifa-e-ahd ko pahuncha bahut talash pas-e-qatl-e-am hoti rahi ye barhaman ka karam vo ata-e-shaikh-e-haram kabhi hayat kabhi mai haram hoti rahi jo kuchh bhi ban na paDa 'faiz' luT ke yaron se to rahzanon se dua-o-salam hoti rahi har haqiqat majaz ho jaa.e kafiron ki namaz ho jaa.e dil rahin-e-niyaz ho jaa.e bekasi karsaz ho jaa.e minnat-e-chara-saz kaun kare dard jab jan-navaz ho jaa.e ishq dil men rahe to rusva ho lab pe aa.e to raaz ho jaa.e lutf ka intizar karta huun jaur ta hadd-e-naz ho jaa.e umr be-sud kaT rahi hai 'faiz' kaash ifsha-e-raz ho jaa.e himmat-e-iltija nahin baaqi zabt ka hausla nahin baaqi ik tiri diid chhin ga.i mujh se varna duniya men kya nahin baaqi apni mashq-e-sitam se haath na khinch main nahin ya vafa nahin baaqi teri chashm-e-alam-navaz ki khair dil men koi gila nahin baaqi ho chuka khatm ahd-e-hijr-o-visal zindagi men maza nahin baaqi ishq minnat-e-kash-e-qarar nahin husn majbur-e-intizar nahin teri ranjish ki intiha ma.alum hasraton ka miri shumar nahin apni nazren bikher de saaqi mai ba-andaza-e-khumar nahin zer-e-lab hai abhi tabassum-e-dost muntashir jalva-e-bahar nahin apni takmil kar raha huun main varna tujh se to mujh ko pyaar nahin chara-e-intizar kaun kare teri nafrat bhi ustuvar nahin 'faiz' zinda rahen vo hain to sahi kya hua gar vafa-shi.ar nahin kab tak dil ki khair mana.en kab tak rah dikhlaoge kab tak chain ki mohlat doge kab tak yaad na aaoge biita diid ummid ka mausam khaak uDti hai ankhon men kab bhejoge dard ka badal kab barkha barsaoge ahd-e-vafa ya tark-e-mohabbat jo chaho so aap karo apne bas ki baat hi kya hai ham se kya manvaoge kis ne vasl ka suraj dekha kis par hijr ki raat Dhali gesuon vaale kaun the kya the un ko kya jatlaoge 'faiz' dilon ke bhaag men hai ghar bharna bhi luT jaana thi tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraoge kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi sunte the vo a.enge sunte the sahar hogi kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga kis din tiri shunva.i ai dida-e-tar hogi kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana kab sub.h-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi vaa.iz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai ab shahr men yaron ki kis tarah basar hogi kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-janana kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi kab yaad men tera saath nahin kab haat men tera haat nahin sad-shukr ki apni raton men ab hijr ki koi raat nahin mushkil hain agar halat vahan dil bech aa.en jaan de aa.en dil vaalo kucha-e-janan men kya aise bhi halat nahin jis dhaj se koi maqtal men gaya vo shaan salamat rahti hai ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin maidan-e-vafa darbar nahin yaan nam-o-nasab ki puchh kahan ashiq to kisi ka naam nahin kuchh ishq kisi ki zaat nahin gar baazi ishq ki baazi hai jo chaho laga do Dar kaisa gar jiit ga.e to kya kahna haare bhi to baazi maat nahin kabhi kabhi yaad men ubharte hain naqsh-e-mazi miTe miTe se vo azma.ish dil o nazar ki vo qurbaten si vo fasle se kabhi kabhi aarzu ke sahra men aa ke rukte hain qafile se vo saari baten lagav ki si vo saare unvan visal ke se nigah o dil ko qarar kaisa nashat o gham men kami kahan ki vo jab mile hain to un se har baar ki hai ulfat na.e sire se bahut giran hai ye aish-e-tanha kahin subuk-tar kahin gavara vo dard-e-pinhan ki saari duniya rafiq thi jis ke vaste se tumhin kaho rind o mohtasib men hai aaj shab kaun farq aisa ye aa ke baiThe hain mai-kade men vo uTh ke aa.e hain mai-kade se kuchh mohtasibon ki khalvat men kuchh vaa.iz ke ghar jaati hai ham bada-kashon ke hisse ki ab jaam men kam-tar jaati hai yuun arz-o-talab se kam ai dil patthar dil paani hote hain tum laakh raza ki khu Daalo kab khu-e-sitamgar jaati hai bedad-garon ki basti hai yaan daad kahan khairat kahan sar phoDti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jaati hai haan jaan ke ziyan ki ham ko bhi tashvish hai lekin kya kiije har rah jo udhar ko jaati hai maqtal se guzar kar jaati hai ab kucha-e-dil-bar ka rah-rau rahzan bhi bane to baat bane pahre se adu Talte hi nahin aur raat barabar jaati hai ham ahl-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-sub.h-e-vatan yadon se mo.attar aati hai ashkon se munavvar jaati hai kuchh pahle in ankhon aage kya kya na nazara guzre tha kya raushan ho jaati thi gali jab yaar hamara guzre tha the kitne achchhe log ki jin ko apne gham se fursat thi sab puchhen the ahval jo koi dard ka maara guzre tha ab ke khizan aisi Thahri vo saare zamane bhuul ga.e jab mausam-e-gul har phere men aa aa ke dobara guzre tha thi yaron ki bohtat to ham aghyar se bhi bezar na the jab mil baiThe to dushman ka bhi saath gavara guzre tha ab to haath sujha.i na deve lekin ab se pahle to aankh uThte hi ek nazar men aalam saara guzre tha na ab raqib na naseh na gham-gusar koi tum ashna the to thiin ashna.iyan kya kya juda the ham to mayassar thiin qurbaten kitni baham hue to paDi hain juda.iyan kya kya pahunch ke dar pe tire kitne mo'tabar Thahre agarche rah men huiin jag-hansa.iyan kya kya ham aise sada-dilon ki niyaz-mandi se buton ne ki hain jahan men khuda.iyan kya kya sitam pe khush kabhi lutf-o-karam se ranjida sikha.in tum ne hamen kaj-ada.iyan kya kya na ganvao navak-e-nim-kash dil-e-reza-reza ganva diya jo bache hain sang sameT lo tan-e-dagh-dagh luTa diya mire chara-gar ko naved ho saf-e-dushmanan ko khabar karo jo vo qarz rakhte the jaan par vo hisab aaj chuka diya karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qatilon ko guman na ho ki ghurur-e-ishq ka bankpan pas-e-marg ham ne bhula diya udhar ek harf ki kushtani yahan laakh uzr tha guftani jo kaha to sun ke uDa diya jo likha to paDh ke miTa diya jo ruke to koh-e-giran the ham jo chale to jaan se guzar ga.e rah-e-yar ham ne qadam qadam tujhe yadgar bana diya nahin nigah men manzil to justuju hi sahi nahin visal mayassar to aarzu hi sahi na tan men khuun faraham na ashk ankhon men namaz-e-shauq to vajib hai be-vazu hi sahi kisi tarah to jame bazm mai-kade vaalo nahin jo bada-o-saghar to hav-hu hi sahi gar intizar kaThin hai to jab talak ai dil kisi ke vada-e-farda ki guftugu hi sahi dayar-e-ghair men mahram agar nahin koi to 'faiz' zikr-e-vatan apne ru-ba-ru hi sahi nasib azmane ke din aa rahe hain qarib un ke aane ke din aa rahe hain jo dil se kaha hai jo dil se suna hai sab un ko sunane ke din aa rahe hain abhi se dil o jaan sar-e-rah rakh do ki luTne luTane ke din aa rahe hain Tapakne lagi un nigahon se masti nigahen churane ke din aa rahe hain saba phir hamen puchhti phir rahi hai chaman ko sajane ke din aa rahe hain chalo 'faiz' phir se kahin dil laga.en suna hai Thikane ke din aa rahe hain phir harif-e-bahar ho baiThe jaane kis kis ko aaj ro baiThe thi magar itni ra.egan bhi na thi aaj kuchh zindagi se kho baiThe tere dar tak pahunch ke lauT aa.e ishq ki aabru Dubo baiThe saari duniya se duur ho jaa.e jo zara tere paas ho baiThe na ga.i teri be-rukhi na ga.i ham tiri aarzu bhi kho baiThe 'faiz' hota rahe jo hona hai sher likhte raha karo baiThe qarz-e-nigah-e-yar ada kar chuke hain ham sab kuchh nisar-e-rah-e-vafa kar chuke hain ham kuchh imtihan-e-dast-e-jafa kar chuke hain ham kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain ham ab ehtiyat ki koi surat nahin rahi qatil se rasm-o-rah siva kar chuke hain ham dekhen hai kaun kaun zarurat nahin rahi ku-e-sitam men sab ko khafa kar chuke hain ham ab apna ikhtiyar hai chahe jahan chalen rahbar se apni raah juda kar chuke hain ham un ki nazar men kya karen phika hai ab bhi rang jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain ham kuchh apne dil ki khu ka bhi shukrana chahiye sau baar un ki khu ka gila kar chuke hain ham raz-e-ulfat chhupa ke dekh liya dil bahut kuchh jala ke dekh liya aur kya dekhne ko baaqi hai aap se dil laga ke dekh liya vo mire ho ke bhi mire na hue un ko apna bana ke dekh liya aaj un ki nazar men kuchh ham ne sab ki nazren bacha ke dekh liya 'faiz' takmil-e-gham bhi ho na saki ishq ko aazma ke dekh liya rang pairahan ka khushbu zulf lahrane ka naam mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair gulsitan ki baat rangin hai na mai-khane ka naam phir nazar men phuul mahke dil men phir sham.en jalin phir tasavvur ne liya us bazm men jaane ka naam dilbari Thahra zaban-e-khalq khulvane ka naam ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka naam ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin in dinon badnam hai har ek divane ka naam mohtasib ki khair uncha hai usi ke faiz se rind ka saaqi ka mai ka khum ka paimane ka naam ham se kahte hain chaman vaale ghariban-e-chaman tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka naam 'faiz' un ko hai taqaza-e-vafa ham se jinhen ashna ke naam se pyara hai begane ka naam sab qatl ho ke tere muqabil se aa.e hain ham log surkh-ru hain ki manzil se aa.e hain sham-e-nazar khayal ke anjum jigar ke daagh jitne charagh hain tiri mahfil se aa.e hain uTh kar to aa ga.e hain tiri bazm se magar kuchh dil hi janta hai ki kis dil se aa.e hain har ik qadam ajal tha har ik gaam zindagi ham ghuum phir ke kucha-e-qatil se aa.e hain bad-e-khizan ka shukr karo 'faiz' jis ke haath naame kisi bahar-e-shima.il se aa.e hain sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten ye sukhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab varaq tiri yaad ke koi lamha sub.h-e-visal ka koi sham-e-hijr ki muddaten jo tumhari maan len naseha to rahega daman-e-dil men kya na kisi adu ki adavaten na kisi sanam ki muravvaten chalo aao tum ko dikha.en ham jo bacha hai maqtal-e-shahr men ye mazar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbaten miri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane katib-e-vaqt ne kisi apne kal men bhi bhuul kar kahin likh rakhi hon masarraten sham-e-firaq ab na puchh aa.i aur aa ke Tal ga.i dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal ga.i bazm-e-khayal men tire husn ki sham.a jal ga.i dard ka chand bujh gaya hijr ki raat Dhal ga.i jab tujhe yaad kar liya sub.h mahak mahak uThi jab tira gham jaga liya raat machal machal ga.i dil se to har mo.amla kar ke chale the saaf ham kahne men un ke samne baat badal badal ga.i akhir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kya hue rah ga.i kis jagah saba sub.h kidhar nikal ga.i shaikh sahab se rasm-o-rah na ki shukr hai zindagi tabah na ki tujh ko dekha to ser-chashm hue tujh ko chaha to aur chaah na ki tere dast-e-sitam ka ijz nahin dil hi kafir tha jis ne aah na ki the shab-e-hijr kaam aur bahut ham ne fikr-e-dil-e-tabah na ki kaun qatil bacha hai shahr men 'faiz' jis se yaron ne rasm-o-rah na ki tire gham ko jaan ki talash thi tire jan-nisar chale ga.e tiri rah men karte the sar talab sar-e-rahguzar chale ga.e tiri kaj-ada.i se haar ke shab-e-intizar chali ga.i mire zabt-e-hal se ruuTh kar mire gham-gusar chale ga.e na saval-e-vasl na arz-e-gham na hikayaten na shikayaten tire ahd men dil-e-zar ke sabhi ikhtiyar chale ga.e ye hamin the jin ke libas par sar-e-rah siyahi likhi ga.i yahi daagh the jo saja ke ham sar-e-bazm-e-yar chale ga.e na raha junun-e-rukh-e-vafa ye rasan ye daar karoge kya jinhen jurm-e-ishq pe naaz tha vo gunahgar chale ga.e tiri umiid tira intizar jab se hai na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam gila hai jo bhi kisi se tire sabab se hai hua hai jab se dil-e-na-subur be-qabu kalam tujh se nazar ko baDe adab se hai agar sharar hai to bhaDke jo phuul hai to khile tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai kahan ga.e shab-e-furqat ke jagne vaale sitara-e-sahari ham-kalam kab se hai tum aa.e ho na shab-e-intizar guzri hai talash men hai sahar baar baar guzri hai junun men jitni bhi guzri ba-kar guzri hai agarche dil pe kharabi hazar guzri hai hui hai hazrat-e-naseh se guftugu jis shab vo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai vo baat saare fasane men jis ka zikr na tha vo baat un ko bahut na-gavar guzri hai na gul khile hain na un se mile na mai pi hai ajiib rang men ab ke bahar guzri hai chaman pe gharat-e-gul-chin se jaane kya guzri qafas se aaj saba be-qarar guzri hai tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain kisi bahane tumhen yaad karne lagte hain hadis-e-yar ke unvan nikharne lagte hain to har harim men gesu sanvarne lagte hain har ajnabi hamen mahram dikha.i deta hai jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain saba se karte hain ghurbat-nasib zikr-e-vatan to chashm-e-sub.h men aansu ubharne lagte hain vo jab bhi karte hain is nutq o lab ki bakhiya-gari faza men aur bhi naghme bikharne lagte hain dar-e-qafas pe andhere ki mohr lagti hai to 'faiz' dil men sitare utarne lagte hain vafa-e-vada nahin vada-e-digar bhi nahin vo mujh se ruThe to the lekin is qadar bhi nahin baras rahi hai harim-e-havas men daulat-e-husn gada-e-ishq ke kaase men ik nazar bhi nahin na jaane kis liye ummid-var baiTha huun ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin nigah-e-shauq sar-e-bazm be-hijab na ho vo be-khabar hi sahi itne be-khabar bhi nahin ye ahd-e-tark-e-mohabbat hai kis liye akhir sukun-e-qalb udhar bhi nahin idhar bhi nahin vo buton ne Daale hain vasvase ki dilon se khauf-e-khuda gaya vo paDi hain roz qayamaten ki khayal-e-roz-e-jaza gaya jo nafas tha khar-e-gulu bana jo uThe the haath lahu hue vo nashat-e-ah-e-sahr ga.i vo vaqar-e-dast-e-dua gaya na vo rang fasl-e-bahar ka na ravish vo abr-e-bahar ki jis ada se yaar the ashna vo mizaj-e-bad-e-saba gaya jo talab pe ahd-e-vafa kiya to vo abru-e-vafa ga.i sar-e-am jab hue mudda.i to savab-e-sidq-o-safa gaya abhi badban ko tah rakho abhi muztarib hai rukh-e-hava kisi raste men hai muntazir vo sukun jo aa ke chala gaya ye jafa-e-gham ka chara vo najat-e-dil ka aalam tira husn dast-e-isa tiri yaad ru-e-maryam dil o jaan fida-e-rahe kabhi aa ke dekh hamdam sar-e-ku-e-dil-figaran shab-e-arzu ka aalam tiri diid se siva hai tire shauq men baharan vo chaman jahan giri hai tire gesuon ki shabnam ye ajab qayamaten hain tire rahguzar men guzaran na hua ki mar miTen ham na hua ki ji uThen ham lo suni ga.i hamari yuun phire hain din ki phir se vahi gosha-e-qafas hai vahi fasl-e-gul ka matam ye kis khalish ne phir is dil men ashiyana kiya phir aaj kis ne sukhan ham se gha.ebana kiya gham-e-jahan ho rukh-e-yar ho ki dast-e-adu suluk jis se kiya ham ne ashiqana kiya the khak-e-rah bhi ham log qahr-e-tufan bhi saha to kya na saha aur kiya to kya na kiya khusha ki aaj har ik mudda.i ke lab par hai vo raaz jis ne hamen randa-e-zamana kiya vo hila-gar jo vafa-ju bhi hai jafa-khu bhi kiya bhi 'faiz' to kis but se dostana kiya yuun saja chand ki jhalka tire andaz ka rang yuun faza mahki ki badla mire hamraz ka rang saya-e-chashm men hairan rukh-e-raushan ka jamal surkhi-e-lab men pareshan tiri avaz ka rang be-piye huun ki agar lutf karo akhir-e-shab shisha-e-mai men Dhale sub.h ke aghaz ka rang chang o nai rang pe the apne lahu ke dam se dil ne lai badli to maddham hua har saaz ka rang ik sukhan aur ki phir rang-e-takallum tera harf-e-sada ko inayat kare e.ajaz ka rang aa.i hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan uf le ga.i hai mujh ko mohabbat kahan kahan betabi-o-sukun ki huiin manzilen tamam bahla.en tujh se chhuT ke tabi.at kahan kahan furqat ho ya visal vahi iztirab hai tera asar hai ai gham-e-furqat kahan kahan har jumbish-e-nigah men sad-kaif be-khudi bharti phiregi husn ki niyyat kahan kahan rah-e-talab men chhoD diya dil ka saath bhi phirte liye hue ye musibat kahan kahan dil ke ufaq tak ab to hain parchha.iyan tiri le jaa.e ab to dekh ye vahshat kahan kahan ai nargis-e-siyah bata de tire nisar kis kis ko hai ye hosh ye ghaflat kahan kahan nairang-e-ishq ki hai koi intiha ki ye ye gham kahan kahan ye masarrat kahan kahan beganagi par us ki zamane se ehtiraz dar-parda us ada ki shikayat kahan kahan farq aa gaya tha daur-e-hayat-o-mamat men aa.i hai aaj yaad vo surat kahan kahan jaise fana baqa men bhi koi kami si ho mujh ko paDi hai teri zarurat kahan kahan duniya se ai dal itni tabi.at bhari na thi tere liye uTha.i nadamat kahan kahan ab imtiyaz-e-ishq-o-havas bhi nahin raha hoti hai teri chashm-e-inayat kahan kahan har gaam par tariq-e-mohabbat men maut thi is raah men khule dar-e-rahmat kahan kahan hosh-o-junun bhi ab to bas ik baat hain 'firaq' hoti hai us nazar ki shararat kahan kahan aaj bhi qafila-e-ishq ravan hai ki jo tha vahi miil aur vahi sang-e-nishan hai ki jo tha phir tira gham vahi rusva-e-jahan hai ki jo tha phir fasana ba-hadis-e-digran hai ki jo tha manzilen gard ke manind uDi jaati hain vahi andaz-e-jahan-e-guzaran hai ki jo tha zulmat o nuur men kuchh bhi na mohabbat ko mila aaj tak ek dhundalke ka saman hai ki jo tha yuun to is daur men be-kaif si hai bazm-e-hayat ek hangama sar-e-ritl-e-giran hai ki jo tha laakh kar jaur-o-sitam laakh kar ehsan-o-karam tujh pe ai dost vahi vahm-o-guman hai ki jo tha aaj phir ishq do-alam se juda hota hai astinon men liye kaun-o-makan hai ki jo tha ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut vahi kam kam asr-e-soz-e-nihan hai ki jo tha nazar aa jaate hain tum ko to bahut nazuk baal dil mira kya vahi ai shisha-giran hai ki jo tha jaan de baiThe the ik baar havas vaale bhi phir vahi marhala-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha aaj bhi said-gah-e-ishq men husan-e-saffak liye abru ki lachakti si kaman hai ki jo tha phir tiri chashm-e-sukhan-sanj ne chheDi koi baat vahi jaadu hai vahi husn-e-bayan hai ki jo tha raat bhar husn par aa.e bhi ga.e sau sau rang shaam se ishq abhi tak nigaran hai ki jo tha jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsan-o-karam tujh pe ai dost vahi vahm-o-guman hai ki jo tha aankh jhapki ki idhar khatm hua roz-e-visal phir bhi is din pe qayamat ka guman hai ki jo tha qurb hi kam hai na duuri hi ziyada lekin aaj vo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha tira-bakhti nahin jaati dil-e-sozan ki 'firaq' sham.a ke sar pe vahi aaj dhuan hai ki jo tha ankhon men jo baat ho ga.i hai ik sharh-e-hayat ho ga.i hai jab dil ki vafat ho ga.i hai har chiiz ki raat ho ga.i hai gham se chhuT kar ye gham hai mujh ko kyuun gham se najat ho ga.i hai muddat se khabar mili na dil ki shayad koi baat ho ga.i hai jis shai pe nazar paDi hai teri tasvir-e-hayat ho ga.i hai ab ho mujhe dekhiye kahan sub.h un zulfon men raat ho ga.i hai dil men tujh se thi jo shikayat ab gham ke nikat ho ga.i hai iqrar-e-gunah-e-ishq sun lo mujh se ik baat ho ga.i hai jo chiiz bhi mujh ko haath aa.i teri saughat ho ga.i hai kya janiye maut pahle kya thi ab meri hayat ho ga.i hai ghaTte ghaTte tiri inayat meri auqat ho ga.i hai us chashm-e-siyah ki yaad yaksar sham-e-zulmat ho ga.i hai is daur men zindagi bashar ki bimar ki raat ho ga.i hai jiiti hui bazi-e-mohabbat khela huun to maat ho ga.i hai miTne lagin zindagi ki qadren jab gham se najat ho ga.i hai vo chahen to vaqt bhi badal jaa.e jab aa.e hain raat ho ga.i hai duniya hai kitni be-Thikana ashiq ki barat ho ga.i hai pahle vo nigah ik kiran thi ab barq-sifat ho ga.i hai jis chiiz ko chhu diya hai tu ne ik barg-e-nabat ho ga.i hai ikka-dukka sada-e-zanjir zindan men raat ho ga.i hai ek ek sifat 'firaq' us ki dekha hai to zaat ho ga.i hai ab aksar chup chup se rahen hain yunhi kabhu lab kholen hain pahle 'firaq' ko dekha hota ab to bahut kam bolen hain din men ham ko dekhne vaalo apne apne hain auqat jaao na tum in khushk ankhon par ham raton ko ro len hain fitrat meri ishq-o-mohabbat qismat meri tanha.i kahne ki naubat hi na aa.i ham bhi kisu ke ho len hain khunuk siyah mahke hue saa.e phail jaa.en hain jal-thal par kin jatanon se meri ghazlen raat ka juuDa kholen hain baagh men vo khvab-avar aalam mauj-e-saba ke isharon par Daali Daali nauras patte sahj sahj jab Dolen hain uf vo labon par mauj-e-tabassum jaise karvaTen len kaunde haa.e vo alam-e-jumbish-e-mizhgan jab fitne par taulen hain naqsh-o-nigar-e-ghazal men jo tum ye shadabi paao ho ham ashkon men ka.enat ke nok-e-qalam ko Dubo len hain in raton ko harim-e-naz ka ik aalam hue hai nadim khalvat men vo narm ungliyan band-e-qaba jab kholen hain gham ka fasana sunne vaalo akhir-e-shab aram karo kal ye kahani phir chheDenge ham bhi zara ab so len hain ham log ab to ajnabi se hain kuchh to batao hal-e-'firaq' ab to tumhin ko pyaar karen hain ab to tumhin se bolen hain ab daur-e-asman hai na daur-e-hayat hai ai dard-e-hijr tu hi bata kitni raat hai har ka.enat se ye alag ka.enat hai hairat-sara-e-ishq men din hai na raat hai jiina jo aa gaya to ajal bhi hayat hai aur yuun to umr-e-khizr bhi kya be-sabat hai kyuun intiha-e-hosh ko kahte hain be-khudi khurshid hi ki akhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-saman bana diya vo dil qarar paa.e muqaddar ki baat hai ye mushagafiyan hain giran tab-e-ishq par kis ko dimagh-e-kavish-e-zat-o-sifat hai toDa hai la-makan ki hadon ko bhi ishq ne zindan-e-aql teri to kya ka.enat hai gardun sharar-e-barq-e-dil-e-be-qarar dekh jin se ye teri taron bhari raat raat hai gum ho ke har jagah hain za-khud raftagan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karamat zaat hai hasti ba-juz fana-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis liye ye fikr-e-qarar-o-sabat hai us jan-e-dosti ka khulus-e-nihan na puchh jis ka sitam bhi ghairat-e-sad-iltifat hai yuun to hazar dard se rote hain bad-nasib tum dil dukhao vaqt-e-musibat to baat hai unvan ghaflaton ke hain qurbat ho ya visal bas fursat-e-hayat 'firaq' ek raat hai apne gham ka mujhe kahan gham hai ai ki teri khushi muqaddam hai aag men jo paDa vo aag hua husn-e-soz-e-nihan mujassam hai us ke shaitan ko kahan taufiq ishq karna gunah-e-adam hai dil ke dhaDkon men zor-e-zarb-e-kalim kis qadar is habab men dam hai hai vahi ishq zinda-o-javed jise ab-e-hayat bhi sam hai is men Thahrav ya sukun kahan zindagi inqalab-e-paiham hai ik taDap mauj-e-tah-nashin ki tarah zindagi ki bina-e-mohkam hai rahti duniya men ishq ki duniya na.e unvan se munazzam hai uThne vaali hai bazm maazi ki raushni kam hai zindagi kam hai ye bhi nazm-e-hayat hai koi zindagi zindagi ka matam hai ik muamma hai zindagi ai dost ye bhi teri ada-e-mub.ham hai ai mohabbat tu ik azaab sahi zindagi be tire jahannam hai ik talatum sa rang-o-nik.hat ka paikar-e-naz men dama-dam hai phirne ko hai rasili nim-nigah ahu-e-naz ma.il-e-ram hai ruup ke jot zer-e-pairahan gulsitan par rida-e-shabnam hai mere siine se lag ke so jaao palken bhari hain raat bhi kam hai aah ye mehrbaniyan teri shadmani ki aankh pur-nam hai narm o doshiza kis qadr hai nigah har nazar dastan-e-maryam hai mehr-o-mah shola-ha-e-saz-e-jamal jis ki jhankar itni maddham hai jaise uchhle junun ki pahli shaam is ada se vo zulf barham hai yuun bhi dil men nahin vo pahli umang aur teri nigah bhi kam hai aur kyuun chheDti hai gardish-e-charkh vo nazar phir ga.i ye kya kam hai ru-kash-e-sad-harim-e-dil hai faza vo jahan hain ajiib aalam hai diye jaati hai lau sada-e-'firaq' haan vahi soz-o-saz kam kam hai bahsen chhiDi hui hain hayat-o-mamat ki sau baat ban ga.i hai 'firaq' ek baat ki saz-nava-e-dard hijabat-e-dahr men kitni dukhi hui hain ragen ka.enat ki rakh li jinhon ne kashmakash-e-zindagi ki laaj be-dardiyan na puchhiye un se hayat ki yuun fart-e-be-khudi se mohabbat men jaan de tujh ko bhi kuchh khabar na ho is vardat ki hai ishq us tabassum-e-jan-bakhsh ka shahid ranginiyan liye hai jo sub.h-e-hayat ki chheDa hai dard-e-ishq ne tar-e-rag-e-adam surat pakaD chali hain nava.en hayat ki sham-e-abad ko jalva-e-sub.h-e-bahar de rudad chheD zindagi-e-be-sabat ki us bazm-e-be-khudi men vajud-e-adam kahan chalti nahin hai saans hayat-o-mamat ki sau dard ik tabassum-e-pinhan men band hain tasvir huun 'firaq' nashat-e-hayat ki bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain tujhe ai zindagi ham duur se pahchan lete hain miri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain jise kahti hai duniya kamyabi vaa.e na-dani use kin qimaton par kamyab insan lete hain nigah-e-bada-gun yuun to tiri baton ka kya kahna tiri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain tabi.at apni ghabrati hai jab sunsan raton men ham aise men tiri yadon ki chadar taan lete hain khud apna faisla bhi ishq men kaafi nahin hota use bhi kaise kar guzren jo dil men Thaan lete hain hayat-e-ishq ka ik ik nafas jam-e-shahadat hai vo jan-e-naz-bardaran koi asan lete hain ham-ahangi men bhi ik chashni hai ikhtilafon ki miri baten ba-unvan-e-digar vo maan lete hain tiri maqbuliyat ki vaj.h vahid teri ramziyyat ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar janen khuda-e-do-jahan ko de ke ham insan lete hain jise surat batate hain pata deti hai sirat ka ibarat dekh kar jis tarah ma.ani jaan lete hain tujhe ghaTa na hone denge karobar-e-ulfat men ham apne sar tira ai dost har ehsan lete hain hamari har nazar tujh se na.i saugandh khati hai to teri har nazar se ham naya paiman lete hain rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-vaqt-e-akhir hai tira ai maut ham ye dusra ehsan lete hain zamana vardat-e-qalb sunne ko tarasta hai isi se to sar ankhon par mira divan lete hain 'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir kabhi ham jaan lete hain kabhi pahchan lete hain bastiyan DhunDh rahi hain unhen viranon men vahshaten baDh ga.iin had se tire divanon men nigah-e-naz na divanon na farzanon men jankar ek vahi hai magar an-janon men bazm-e-mai be-khud-o-be-tab na kyuun ho saaqi mauj-e-bada hai ki dard uThta hai paimanon men main to main chaunk uThi hai ye faza-e-khamosh ye sada kab ki suni aati hai phir kanon men sair kar ujDe dilon ki jo tabi.at hai udaas ji bahal jaate hain akasr inhin viranon men vus.aten bhi hain nihan tangi-e-dil men ghafil ji bahal jaate hain aksar inhin maidanon men jaan iman-e-junun silsila jumban-e-junun kuchh kashish-ha-e-nihan jazb hain viranon men khanda-e-sub.h-e-azal tirgi-e-sham-e-abad donon aalam hain chhalakte hue paimanon men dekh jab alam-e-hu ko to naya aalam hai bastiyan bhi nazar aane lagin viranon men jis jagah baiTh ga.e aag laga kar uTThe garmiyan hain kuchh abhi sokhta-samanon men vahshaten bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naz damanon men hai ye aalam na garebanon men ek rangini-e-zahir hai gulistan men agar ek shadabi-e-pinhan hai bayabanon men jauhar-e-ghuncha-o-gul men hai ik andaz-e-junun kuchh bayaban nazar aa.e hain garebanon men ab vo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhi na rahe ab vo asar-e-junun bhi nahin divanon men ab vo saaqi ki bhi ankhen na rahin rindon men ab vo saghar bhi chhalakte nahin mai-khanon men ab vo ik soz-e-nihani bhi dilon men na raha ab vo jalve bhi nahin ishq ke kashanon men ab na vo raat jab ummiden bhi kuchh thiin tujh se ab na vo baat gham-e-hijr ke afsanon men ab tira kaam hai bas ahl-e-vafa ka paana ab tira naam hai bas ishq ke gham-khanon men ta-ba-kai vada-e-mauhum ki tafsil 'firaq' shab-e-furqat kahin kaTti hai in afsanon men be-Thikane hai dil-e-gham-ghin Thikane ki kaho sham-e-hijran dosto kuchh is ke aane ki kaho haan na puchh ik giraftar-e-qafas ki zindagi ham-safiran-e-chaman kuchh ashiyane ki kaho uD gaya hai manzil-e-dushvar men gham ka samand gesu-e-pur-pech-o-kham ke taziyane ki kaho baat banti aur baton se nazar aati nahin is nigah-e-naz ki baten banane ki kaho dastan vo thi jise dil bujhte bujhte kah gaya sham-e-bazm-e-zindagi ke jhilmilane ki kaho kuchh dil-e-marhum ki baten karo ai ahl-e-ilm jis se virane the abad us divane ki kaho dastan-e-zindagi bhi kis qadar dilchasp hai jo azal se chhiD gaya hai us fasane ki kaho ye fusun-e-nim-e-shab ye khvab-saman khamushi samri fan aankh ke jaadu jagane ki kaho koi kya kha.ega yuun sachchi qasam jhuTi qasam us nigah-e-naz ki saugandh khane ki kaho shaam hi se gosh-bar-avaz hai bazm-e-sukhan kuchh 'firaq' apni sunao kuchh zamane ki kaho chhalak ke kam na ho aisi koi sharab nahin nigah-e-nargis-e-ra.ana tira javab nahin zamin jaag rahi hai ki inqalab hai kal vo raat hai koi zarra bhi mahv-e-khvab nahin hayat-e-dard hui ja rahi hai kya hoga ab is nazar ki dua.en bhi mustajab nahin zamin us ki falak us ka ka.enat us ki kuchh aisa ishq tira khanuman-kharab nahin abhi kuchh aur ho insan ka lahu paani abhi hayat ke chehre par ab-o-tab nahin jahan ke baab men tar damanon ka qaul ye hai ye mauj marta dariya koi sarab nahin dikha to deti hai behtar hayat ke sapne kharab ho ke bhi ye zindagi kharab nahin chheD ai dil ye kisi shokh ke rukhsaron se khelna aah dahakte hue angaron se ham shab-e-hijr men jab soti hai saari duniya zikr karte hain tira chhiTke hue taron se ashk bhar laa.e kisi ne jo tira naam liya aur kya hijr men hota tire bimaron se chheD naghma koi go dil ki shikasta hain ragen ham nikalenge sada TuuTe hue taron se ham ko teri hai zarurat na ise bhuul ai dost tere iqraron se matlab hai na inkaron se ham hain vo bekas-o-be-yar ki baiThe baiThe apna dukh-dard kaha karte hain divaron se ahl-e-duniya se ye kahte hain mire nala-e-dil ham sada denge gham-e-hijr ke minaron se ishq hamdardi-e-alam ka ravadar nahin ho ga.i bhuul 'firaq' aap ke gham-khvaron se daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahara nikla hausla kuchh na hamara na tumhara nikla tera naam aate hi sakte ka tha aalam mujh par jaane kis tarah ye mazkur dobara nikla hosh jaata hai jigar jaata hai dal jaata hai parde hi parde men kya tera ishara nikla hai tire kashf-o-karamat ki duniya qaa.il tujh se ai dil na magar kaam hamara nikla kitne saffak sar-e-qatl-gah-e-alam the lakhon men bas vahi allah ka pyara nikla ibrat-angez hai kya us ki javan-margi bhi haa.e vo dil jo hamara na tumhara nikla ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain rashk-e-khurshid-e-qayamat ye sharara nikla sar-ba-sar be-sar-o-saman jise samjhe the vo dil rashk-e-jamshed-o-kai-o-khusrau-o-dara nikla rone vaale hue chup hijr ki duniya badli sham.a be-nur hui sub.h ka taara nikla ungliyan uTThin 'firaq'-e-vatan-avara par aaj jis samt se vo dard ka maara nikla dete hain jam-e-shahadat mujhe ma.alum na tha hai ye a.in-e-mohabbat mujhe ma.alum na tha matlab-e-chashm-e-muravvat mujhe ma.alum na tha tujh ko mujh se thi shikayat mujhe ma.alum na tha chashm-e-khamosh ki babat mujhe ma.alum na tha ye bhi hai harf-o-hikayat mujhe ma.alum na tha ishq bas men hai mashiyyat ke aqida tha mira us ke bas men hai mashiyyat mujhe ma.alum na tha haft-khvan jis ne kiye tai sar-e-rah-e-taslim TuuT jaati hai vo himmat mujhe ma.alum na tha aaj har qatra-e-mai ban gaya ik chingari thi ye saaqi ki shararat mujhe ma.alum na tha nigah-e-mast ne talvar uTha li sar-e-bazm yuun badal jaati hai niyyat mujhe ma.alum na tha gham-e-hasti se jo bezar raha main ik umr tujh se bhi thi use nisbat mujhe ma.alum na tha ishq bhi ahl-e-tariqat men hai aisa tha khayal ishq hai pir-e-tariqat mujhe ma.alum na tha puchh mat sharh-e-karam-ha-e-azizan hamdam un men itni thi sharafat mujhe ma.alum na tha jab se dekha hai tujhe mujh se hai meri an-ban husn ka rang-e-siyasat mujhe ma.alum na tha shakl insan ki ho chaal bhi insan ki ho yuun bhi aati hai qayamat mujhe ma.alum na tha sar-e-mamura-e-alam ye dil-e-khana-kharab miT gaya teri badaulat mujhe ma.alum na tha parda-e-arz-e-vafa men bhi raha huun karta tujh se main apni hi ghibat mujhe ma.alum na tha naqd-e-jan kya hai zamane men mohabbat hamdam nahin milti kisi qimat mujhe ma.alum na tha ho gaya aaj rafiqon se gale mil ke juda apna khud ishq-e-sadaqat mujhe ma.alum na tha dard dil kya hai khula aaj tire laDne par tujh se itni thi mohabbat mujhe ma.alum na tha dam nikal jaa.e magar dil na laga.e koi ishq ki ye thi vasiyyat mujhe ma.alum na tha husn valon ko bahut sahal samajh rakkha tha tujh pe aa.egi tabi.at mujhe ma.alum na tha kitni khallaq hai ye nisti-e-ishq 'firaq' us se hasti hai ibarat mujhe ma.alum na tha didar men ik turfa didar nazar aaya har baar chhupa koi har baar nazar aaya chhalon ko bayaban bhi gulzar nazar aaya jab chheD par amada har khaar nazar aaya sub.h-e-shab-e-hijran ki vo chak-garebani ik alam-e-nairangi har taar nazar aaya ho sabr ki betabi ummid ki mayusi nairang-e-mohabbat bhi be-kar nazar aaya jab chashm-e-siyah teri thi chha.i hui dil par is mulk ka har khitta tatar nazar aaya tu ne bhi to dekhi thi vo jaati hui duniya kya akhri lamhon men bimar nazar aaya ghash kha ke gire muusa allah-ri mayusi halka sa vo parda bhi divar nazar aaya zarra ho ki qatra ho khum-khana-e-hasti men makhmur nazar aaya sarshar nazar aaya kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne aur yuun to hua jo kuchh be-kar nazar aaya ai ishq qasam tujh ko ma.amura-e-alam ki koi gham-e-furqat men gham-khvar nazar aaya shab kaT ga.i furqat ki dekha na 'firaq' akhir tul-e-gham-e-hijran bhi be-kar nazar aaya 'firaq' ik na.i surat nikal to sakti hai ba-qaul us aankh ke duniya badal to sakti hai tire khayal ko kuchh chup si lag ga.i varna kahaniyon se shab-e-gham bahal to sakti hai urus-e-dahr chale kha ke Thokaren lekin qadam qadam pe javani ubal to sakti hai palaT paDe na kahin us nigah ka jaadu ki Duub kar ye chhuri kuchh uchhal to sakti hai bujhe hue nahin itne bujhe hue dil bhi fasurdagi men tabi.at machal to sakti hai agar tu chahe to gham vaale shadman ho jaa.en nigah-e-yar ye hasrat nikal to sakti hai ab itni band nahin gham-kadon ki bhi rahen hava-e-kucha-e-mahbub chal to sakti hai kaDe hain kos bahut manzil-e-mohabbat ke mile na chhanv magar dhuup Dhal to sakti hai hayat lau tah-e-daman-e-marg de uTThi hava ki raah men ye sham.a jal to sakti hai kuchh aur maslahat-e-jazb-e-ishq hai varna kisi se chhuT ke tabi.at sambhal to sakti hai azal se soi hai taqdir-e-ishq maut ki niind agar jaga.iye karvaT badal to sakti hai gham-e-zamana-o-soz-e-nihan ki aanch to de agar na TuuTe ye zanjir gal to sakti hai sharik-e-sharm-o-haya kuchh hai bad-gumani-e-husn nazar uTha ye jhijak si nikal to sakti hai kabhi vo mil na sakegi main ye nahin kahta vo aankh aankh men paD kar badal to sakti hai badalta jaa.e gham-e-rozgar ka markaz ye chaal gardish-e-ayyam chal to sakti hai vo be-niyaz sahi dil mata-e-hech sahi magar kisi ki javani machal to sakti hai tiri nigah sahara na de to baat hai aur ki girte girte bhi duniya sambhal to sakti hai ye zor-o-shor salamat tiri javani bhi ba-qaul ishq ke sanche men Dhal to sakti hai suna hai barf ke TukDe hain dil hasinon ke kuchh aanch pa ke ye chandi pighal to sakti hai hansi hansi men lahu thukte hain dil vaale ye sar-zamin magar la.al ugal to sakti hai jo tu ne tark-e-mohabbat ko ahl-e-dil se kaha hazar narm ho ye baat khal to sakti hai are vo maut ho ya zindagi mohabbat par na kuchh sahi kaf-e-afsos mal to sakti hai hain jis ke bal pe khaDe sarkashon ko vo dharti agar kuchal nahin sakti nigal to sakti hai hui hai garm lahu pi ke ishq ki talvar yuun hi jila.e ja ye shakh phal to sakti hai guzar rahi hai dabe paanv ishq ki devi subuk-ravi se jahan ko masal to sakti hai hayat se nigah-e-vapsin hai kuchh manus mire khayal se ankhon men pal to sakti hai na bhulna ye hai takhir husn ki takhir 'firaq' aa.i hui maut Tal to sakti hai gham tira jalva-gah-e-kaun-o-makan hai ki jo tha ya.ani insan vahi sho.ala-ba-jan hai ki jo tha phir vahi rang-e-takallum nigah-e-naz men hai vahi andaz vahi husn-e-bayan hai ki jo tha kab hai inkar tire lutf-o-karam se lekin tu vahi dushman-e-dil dushman-e-jan hai ki jo tha ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut vahi kam kam asr-e-soz-e-nihan hai ki jo tha qurb hi kam hai na duuri hi ziyada lekin aaj vo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha nazar aa jaate hain tum ko to bahut nazuk baal dil mira kya vahi ai shisha-giran hai ki jo tha jaan de baiThe the ik baar havas vaale bhi phir vahi marhala-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha husn ko khinch to leta hai abhi tak lekin vo asar jazb-e-mohabbat men kahan hai ki jo tha aaj bhi said-gah-e-ishq men husan-e-saffak liye abru ki lachakti si kaman hai ki jo tha phir tiri chashm-e-sukhan-sanj ne chheDi koi baat vahi jaadu hai vahi husn-e-bayan hai ki jo tha phir sar-e-mai-kada-e-ishq hai ik barish-e-nur chhalke jamon se charaghan ka saman hai ki jo tha phir vahi khair-nigahi hai tire jalvon se vahi aalam tira ai barq-e-daman hai ki jo tha aaj bhi aag dabi hai dil-e-insan men 'firaq' aaj bhi sinon se uThta vo dhuan hai ki jo tha haath aa.e to vahi daman-e-janan ho jaa.e chhuT jaa.e to vahi apna gareban ho jaa.e ishq ab bhi hai vo mahram-e-be-gana-numa husn yuun laakh chhupe laakh numayan ho jaa.e hosh-o-ghaflat se bahut duur hai kaifiyyat-e-ishq us ki har be-khabari manzil-e-irfan ho jaa.e yaad aati hai jab apni to taDap jaata huun meri hasti tira bhula hava paiman ho jaa.e aankh vo hai jo tiri jalva-gah-e-naz bane dil vahi hai jo sarapa tira arman ho jaa.e pak-bazan-e-mohabbat men jo bebaki hai husn gar us ko samajh le to pasheman ho jaa.e sahl ho kar hui dushvar mohabbat teri use mushkil jo bana len to kuchh asan ho jaa.e ishq phir ishq hai jis ruup men jis bhes men ho ishrat-e-vasl bane ya gham-e-hijran ho jaa.e kuchh mudava bhi ho majruh dilon ka ai dost marham-e-zakhm tira jaur-pasheman ho jaa.e ye bhi sach hai koi ulfat men pareshan kyuun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshan ho jaa.e ishq ko arz-e-tamanna men bhi lakhon pas-o-pesh husn ke vaste inkar bhi asan ho jaa.e jhilmilati hai sar-e-bazm-e-jahan sham-e-khudi jo ye bujh jaa.e charagh-e-rah-e-irfan ho jaa.e sar-e-shorida diya dasht-o-bayaban bhi diye ye miri khubi-e-qismat ki vo zindan ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai 'firaq' kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi asan ho jaa.e har naala tire dard se ab aur hi kuchh hai har naghma sar-e-bazm-e-tarab aur hi kuchh hai arbab-e-vafa jaan bhi dene ko hain tayar hasti ka magar husn-e-talab aur hi kuchh hai ye kaam na le nala-o-faryad-o-fughan se aflak ulaT dene ka Dhab aur hi kuchh hai ik silsila-e-raz hai jiina ki ho marna jab aur hi kuchh tha magar ab aur hi kuchh hai kuchh mehr-e-qayamat hai na kuchh nar-e-jahannam hoshyar ki vo qahr-o-ghazab aur hi kuchh hai maz.hab ki kharabi hai na akhlaq ki pasti duniya ke masa.ib ka sabab aur hi kuchh hai behuda-sari sajde men hai jaan khapana a.in-e-mohabbat men adab aur hi kuchh hai kya husn ke andaz-e-taghaful ki shikayat paiman-e-vafa ishq ka jab aur hi kuchh hai duniya ko jaga de jo adam ko bhi sula de sunte hain ki vo roz vo shab aur hi kuchh hai ankhon ne 'firaq' aaj na puchho jo dikhaya jo kuchh nazar aata hai vo sab aur hi kuchh hai hijr-o-visal-e-yar ka parda uTha diya khud baDh ke ishq ne mujhe mera pata diya gard-o-ghubar-e-hasti-e-fani uDa diya ai kimiya-e-ishq mujhe kya bana diya vo samne hai aur nazar se chhupa diya ai ishq-e-be-hijab mujhe kya dikha diya vo shan-e-khamushi ki baharen hain muntazir vo rang-e-guftugu ki gulistan bana diya dam le rahi thiin husn ki jab sehr-kariyan in vaqfa-ha-e-kufr ko iman bana diya ma.alum kuchh mujhi ko hain un ki ravaniyan jin qatra-ha-e-ashk ko dariya bana daya ik barq-e-be-qarar thi tamkin-e-husn bhi jis vaqt ishq ko gham-e-sabr-azma diya saaqi mujhe bhi yaad hain vo tishna-kamiyan jin ko harif-e-saghar-o-mina bana diya ma.alum hai haqiqat-e-gham-ha-e-rozgar duniya ko tere dard ne duniya bana diya ai shokhi-e-nigah-e-karam muddaton ke ba.ad khvab-e-giran-e-gham se mujhe kyuun jaga diya kuchh shorishen taghaful-e-pinhan men thiin jinhen hangama-zar-e-hashr-e-tamanna bana diya baDhta hi ja raha hai jamal-e-nazar-fareb husn-e-nazar ko husn-e-khud-ara bana diya phir dekhna nigah laDi kis se ishq ki gar husn ne hijab-e-taghaful uTha diya jab khuun ho chuka dil-e-hasti-e-etibar kuchh dard bach rahe jinhen insan bana diya gum-karda-e-vafur-e-gham-e-intizar huun tu kya chhupa ki mujh ko mujhi se chhupa diya raat ab harif-e-sub.h-e-qayamat hi kyuun na ho jo kuchh bhi ho us aankh ko ab to jaga diya ab main huun aur lutf-o-karam ke takallufat ye kyuun hijab-e-ranjish-e-be-ja bana diya thi yuun to sham-e-hijr magar pichhli raat ko vo dard uTha 'firaq' ki main muskura diya ik roz hue the kuchh isharat khafi se ashiq hain ham us nargis-e-rana ke jabhi se karne ko hain duur aaj to tau ye rog hi ji se ab rakkhenge ham pyaar na tum se na kisi se ahbab se rakhta huun kuchh ummid-e-sharafat rahte hain khafa mujh se bahut log isi se kahta huun use main to khususiyyat-e-pinhan kuchh tum ko shikayat hai kasi se to mujhi se ash.ar nahin hain ye miri ruuh ki hai pyaas jaari hue sar-chashme miri tishna-labi se aansu ko mire khel tamasha na samajhna kaT jaata hai patthar isi hiire ki kani se yad-e-lab-e-janan hai charagh-e-dil-e-ranjur raushan hai ye ghar aaj usi la.al-e-yamani se aflak ki mehrab hai aa.i hui angDa.i be-kaif kuchh afaq ki a.aza-shikani se kuchh zer-e-lab alfaz khanakte hain faza men gunji hui hai bazm tiri kam-sukhani se aaj anjuman-e-ishq nahin anjuman-e-ishq kis darja kami bazm men hai teri kami se is vadi-e-viran men hai sar-chashma-e-dil bhi hasti miri sairab hai ankhon ki nami se khud mujh ko bhi ta-der khabar ho nahin paa.i aaj aa.i tiri yaad is ahista-ravi se vo DhunDhne nikli hai tiri nik.hat-e-gesu ik roz mila tha main nasim-e-sahari se sab kuchh vo dila de mujhe sab kuchh vo bana de ai dost nahin duur tiri kam-nigahi se mi.ad-e-davam-o-abad ik niind hai us ki ham muntahi-e-jalva-e-janan hain abhi se ik dil ke siva paas hamare nahin kuchh bhi jo kaam ho le lete hain ham log isi se ma.alum hua aur hai ik alam-e-asrar a.ina-e-hasti ki pareshan-nazari se is se to kahin baiTh rahe toD ke ab paaon mil jaa.e najat ishq ko is dar-ba-dari se rahta huun 'firaq' is liye varafta ki duniya kuchh hosh men aa jaa.e miri be-khabari se jahan-e-ghuncha-e-dil ka faqat chaTakna tha usi ki bu-e-pareshan vajud-e-duniya tha ye kah ke kal koi be-ikhtiyar rota tha vo ik nigah sahi kyuun kisi ko dekha tha tanaben kucha-e-qatil ki khinchti jaati thiin shahid-e-tegh-e-ada men bhi zor kitna tha bas ik jhalak nazar aa.i uDe kalim ke hosh bas ik nigah hui khaak tur-e-sina tha har ik ke haath faqat ghaflaten thiin hosh-numa ki apne aap se begana-var jiina tha yahi hua ki fareb-e-umid-o-yas miTe vo pa ga.e tire hathon hamen jo paana tha chaman men ghuncha-e-gul khilkhila ke murjha.e yahi vo the jinhen hans hans ke jaan dena tha nigah-e-mehr men jis ki hain sad payam-e-fana usi ka alam-e-ijad-o-naz beja tha jahan tu jalva-numa tha larazti thi duniya tire jamal se kaisa jalal paida tha hayat-o-marg ke kuchh raaz khul ga.e honge fasana-e-shab-e-gham varna dosto kya tha shab-e-adam ka fasana gudaz sham-e-hayat siva.e kaif-e-fana mera majra kya tha kuchh aisi baat na thi tera duur ho jaana ye aur baat ki rah rah ke dard uThta tha na puchh sud-o-ziyan karobar-e-ulfat ke vagarna yuun to na paana tha kuchh na khota tha lagavTen vo tire husn-e-be-niyaz ki aah main teri bazm se jab na-umid uTTha tha tujhe ham ai dil-e-dard-ashna kahan DhunDen ham apne hosh men kab the koi jab uTTha tha adam ka raaz sada-e-shikast saz-e-hayat hijab-e-zist bhi kitna latif parda tha ye iztirab-o-sukun bhi thi ik fareb-e-hayat ki apne haal se begana-var jiina tha kahan pe chuuk hui tere be-qararon se zamana dusri karvaT badalne vaala tha ye koi yaad hai ye bhi hai koi mahviyyat tire khayal men tujh ko bhi bhuul jaana tha kahan ki choT ubhar aa.i husn-e-taban men dam-e-nazara vo rukh dard sa chamakta tha na puchh ramz-o-kinayat chashm-e-saqi ke bas ek hashr-e-khamosh anjuman men barpa tha chaman chaman thi gul-e-dagh-e-ishq se hasti usi ki nik.hat-e-barbad ka zamana tha vo tha mira dil-e-khun-gashta jis ke miTne se bahar-e-bagha-e-jinan thi vajud-e-duniya tha qasam hai bada-kasho chashm-e-mast-e-saqi ki batao haath se kya jam-e-mai sambhalta tha visal us se main chahun kahan ye dil mera ye ro raha huun ki kyuun us ko main ne dekha tha umiid yaas bani yaas phir umiid bani us ik nazar men fareb-e-nigah kitna tha ye soz-o-saz-e-nihan tha vo soz-o-saz-e-ayan visal-o-hijr men bas farq tha to itna tha shikast-e-saz-e-chaman thi bahar-e-lala-o-gul khizan machalti thi ghuncha jahan chaTakta tha har ek saans hai tajdid-e-yad-e-ayyami guzar gaya vo zamana jise guzarna tha na koi va.ada na koi yaqin na koi umiid magar hamen to tira intizar karna tha kisi ke sabr ne be-sabr diya sab ko 'firaq' naza.a men karvaT koi badalta tha jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai mehrban bhi koi ho ja.ega jaldi kya hai kho diya tum ko to ham puchhte phirte hain yahi jis ki taqdir bigaD jaa.e vo karta kya hai dil ka ik kaam jo hota nahin ik muddat se tum zara haath laga do to hua rakkha hai nigah-e-shokh men aur dil men hain choTen kya kya aaj tak ham na samajh paa.e ki jhagDa kya hai ishq se tauba bhi hai husn se shikve bhi hazar kahiye to hazrat-e-dil aap ka mansha kya hai zinat-e-dosh tira nama-e-a.amal na ho teri dastar se vaa.iz ye laTakta kya hai haan abhi vaqt ka a.ina dikha.e kya kya dekhte jaao zamana abhi dekha kya hai na yagane hain na begane tiri mahfil men na koi ghair yahan hai na koi apna hai nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm kuchh to is jam-e-laba-lab se abhi chhalka hai rat-din phirti hai palkon ke jo saa.e saa.e dil mira us nigah-e-naz ka divana hai ham juda.i se bhi kuchh kaam to le hi lenge be-niyazana ta.alluq hi chhuTa achchha hai un se baDh-chaDh ke to ai dost hain yaden in ki naz-o-andaz-o-ada men tiri rakkha kya hai aisi baton se badalti hai kahin fitrat-e-husn jaan bhi de de agar koi to kya hota hai tiri ankhon ko bhi inkar tiri zulf ko bhi kis ne ye ishq ko divana bana rakkha hai dil tira jaan tiri aah tiri ashk tire jo hai ai dost vo tera hai hamara kya hai dar-e-daulat pe dua.en si suni hain main ne dekhiye aaj faqiron ka kidhar phera hai tujh ko ho ja.enge shaitan ke darshan vaa.iz Daal kar munh ko gareban men kabhi dekha hai ham kahe dete hain chalon men na aao un ki sarvat-o-jah ke ishvon se bacho dhoka hai yahi gar aankh men rah jaa.e to hai chingari qatra-e-ashk jo bah jaa.e to ik dariya hai zulf-e-shab-gun ke siva nargis-e-jadu ke siva dil ko kuchh aur balaon ne bhi aa ghera hai lab-e-ejaz ki saugand ye jhankar thi kya teri khamoshi ke manind abhi kuchh TuuTa hai daar par gaah nazar gaah su-e-shahr-e-nigar kuchh sunen ham bhi to ai ishq irada kya hai aa ki ghurbat-kada-e-dahr men ji bahla.en ai dil us jalva-gah-e-naz men kya rakkha hai zakhm hi zakhm huun main sub.h ki manind 'firaq' raat bhar hijr ki lazzat se maza luuTa hai junun-e-kargar hai aur main huun hayat-e-be-khabar hai aur main huun miTa kar dil nigah-e-avvalin se taqaza-e-digar hai aur main huun kahan main aa gaya ai zor-e-parvaz vabal-e-bal-o-par hai aur main huun nigah-e-avvalin se ho ke barbad taqaza-e-digar hai aur main huun mubarakbad ayyam-e-asiri gham-e-divar-o-dar hai aur main huun tiri jam.iyyaten hain aur tu hai hayat-e-muntashar hai aur main huun koi ho sust-paiman bhi to yuun ho ye sham-e-be-sahar hai aur main huun nigah-e-be-mahaba tere sadqe ka.i TukDe jigar hai aur main huun Thikana hai kuchh is uzr-e-sitam ka tiri nichi nazar hai aur main huun 'firaq' ik ek hasrat miT rahi hai ye matam raat bhar hai aur main huun kami na ki tire vahshi ne khaak uDane men junun ka naam uchhalta raha zamane men 'firaq' dauD ga.i ruuh si zamane men kahan ka dard bhara tha mire fasane men junun se bhuul hui dil pe choT khane men 'firaq' der abhi thi bahar aane men vo koi rang hai jo uD na jaa.e ai gul-e-tar vo koi bu hai jo rusva na ho zamane men vo astin hai koi jo lahu na de nikle vo koi hasan hai jhijhke jo rang laane men ye gul khile hain ki choTen jigar ki ubhri hain nihan bahar thi bulbul tire tarane men bayan-e-sham.a hai hasil yahi hai jalne ka fana ki kaifiyaten dekh jhilmilane men kasi ki halat-e-dil sun ke uTh ga.iin ankhen ki jaan paD ga.i hasrat bhare fasane men usi ki sharh hai ye uThte dard ka aalam jo dastan thi nihan tere aankh uThane men gharaz ki kaaT diye zindagi ke din ai dost vo teri yaad men hon ya tujhe bhulane men hamin hain gul hamin bulbul hamin hava-e-chaman 'firaq' khvab ye dekha hai qaid-khane men kisi ka yuun to hua kaun umr bhar phir bhi ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi hazar baar zamana idhar se guzra hai na.i na.i si hai kuchh teri rahguzar phir bhi kahun ye kaise idhar dekh ya na dekh udhar ki dard dard hai phir bhi nazar nazar phir bhi khusha ishara-e-paiham zahe sukut-e-nazar daraz ho ke fasana hai mukhtasar phir bhi jhapak rahi hain zaman o makan ki bhi ankhen magar hai qafila amada-e-safar phir bhi shab-e-firaq se aage hai aaj meri nazar ki kaT hi ja.egi ye sham-e-be-sahar phir bhi kahin yahi to nahin kashif-e-hayat-o-mamat ye husn o ishq ba-zahir hain be-khabar phir bhi palaT rahe hain gharib-ul-vatan palaTna tha vo kucha ru-kash-e-jannat ho ghar hai ghar phir bhi luTa hua chaman-e-ishq hai nigahon ko dikha gaya vahi kya kya gul o samar phir bhi kharab ho ke bhi socha kiye tire mahjur yahi ki teri nazar hai tiri nazar phir bhi ho be-niyaz-e-asar bhi kabhi tiri miTTi vo kimiya hi sahi rah ga.i kasar phir bhi lipaT gaya tira divana garche manzil se uDi uDi si hai ye khak-e-rahguzar phir bhi tiri nigah se bachne men umr guzri hai utar gaya rag-e-jan men ye neshtar phir bhi gham-e-firaq ke kushton ka hashr kya hoga ye sham-e-hijr to ho ja.egi sahar phir bhi fana bhi ho ke giran-bari-e-hayat na puchh uTha.e uTh nahin sakta ye dard-e-sar phir bhi sitam ke rang hain har iltifat-e-pinhan men karam-numa hain tire jaur sar-ba-sar phir bhi khata-muaf tira afv bhi hai misl-e-saza tiri saza men hai ik shan-e-dar-guzar phir bhi agarche be-khudi-e-ishq ko zamana hua 'firaq' karti rahi kaam vo nazar phir bhi koi paigham-e-mohabbat lab-e-ejaz to de maut ki aankh bhi khul ja.egi avaz to de maqsad-e-ishq ham-ahangi-e-juzv-o-kul hai dard hi dard sahi dil bu-e-dam-saz to de chashm-e-makhmur ke unvan-e-nazar kuchh to khulen dil-e-ranjur dhaDakne ka kuchh andaz to de ik zara ho nasha-e-husn men andaz-e-khumar ik jhalak ishq ke anjam ki aghaz to de jo chhupa.e na chhupe aur bata.e na bane dil-e-ashiq ko in ankhon se koi raaz to de muntazir itni kabhi thi na faza-e-afaq chheDne hi ko huun pur-dard ghazal saaz to de ham asiran-e-qafas aag laga sakte hain fursat-e-naghma kabhi hasrat-e-parvaz to de ishq ik baar mashiyyat ko badal sakta hai indiya apna magar kuchh nigah-e-naz to de qurb o didar to ma.alum kisi ka phir bhi kuchh pata sa falak-e-tafraqa-pardaz to de manzilen gard ki manind uDi jaati hain ablaq-e-dahr kuchh andaz-e-tag-o-taz to de kaan se ham to 'firaq' aankh ka lete hain kaam aaj chhup kar koi avaz par avaz to de kuchh ishare the jinhen duniya samajh baiThe the ham us nigah-e-ashna ko kya samajh baiThe the ham rafta rafta ghair apni hi nazar men ho ga.e vah-ri ghaflat tujhe apna samajh baiThe the ham hosh ki taufiq bhi kab ahl-e-dil ko ho saki ishq men apne ko divana samajh baiThe the ham parda-e-azurdagi men thi vo jan-e-iltifat jis ada ko ranjish-e-beja samajh baiThe the ham kya kahen ulfat men raz-e-be-hisi kyunkar khula har nazar ko teri dard-afza samajh baiThe the ham be-niyazi ko tiri paaya sarasar soz o dard tujh ko ik duniya se begana samajh baiThe the ham inqalab-e-pai-ba-pai har gardish o har daur men is zamin o asman ko kya samajh baiThe the ham bhuul baiThi vo nigah-e-naz ahd-e-dosti us ko bhi apni tabi.at ka samajh baiThe the ham saaf alag ham ko junun-e-ashiqi ne kar diya khud ko tere dard ka parda samajh baiThe the ham kaan bajte hain mohabbat ke sukut-e-naz ko dastan ka khatm ho jaana samajh baiThe the ham baton baton men payam-e-marg bhi aa hi gaya un nigahon ko hayat-afza samajh baiThe the ham ab nahin tab-e-sipas-e-husn is dil ko jise be-qrar-e-shikva-e-beja samajh baiThe the ham ek duniya dard ki tasvir nikli ishq ko koh-kan aur qais ka qissa samajh baiThe the ham rafta rafta ishq manus-e-jahan hota chala khud ko tere hijr men tanha samajh baiThe the ham husn ko ik husn hi samjhe nahin aur ai 'firaq' mehrban na-mehrban kya kya samajh baiThe the ham kuchh na kuchh ishq ki tasir ka iqrar to hai us ka ilzam-e-taghaful pe kuchh inkar to hai har fareb-e-gham-e-duniya se khabar-dar to hai tera divana kisi kaam men hushyar to hai dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaq-e-jamal khair didar na ho hasrat-e-didar to hai ma.arke sar hon usi barq-e-nazar se ai husn ye chamakti hui chalti hui talvar to hai sar paTakne ko paTakta hai magar ruk ruk kar tere vahshi ko khayal-e-dar-o-divar to hai ishq ka shikva-e-beja bhi na be-kar gaya na sahi jaur magar jaur ka iqrar to hai tujh se himmat to paDi ishq ko kuchh kahne ki khair shikva na sahi shukr ka iz.har to hai is men bhi rabta-e-khas ki milti hai jhalak khair iqrar-e-mohabbat na ho inkar to hai kyuun jhapak jaati hai rah rah ke tiri barq-e-nigah ye jhijak kis liye ik kushta-e-didar to hai ka.i unvan hain mamnun-e-karam karne ke ishq men kuchh na sahi zindagi be-kar to hai sahar-o-sham sar-e-anjuman-e-naz na ho jalva-e-husn to hai ishq-e-siyahkar to hai chaunk uThte hain 'firaq' aate hi us shokh ka naam kuchh sarasimgi-e-ishq ka iqrar to hai mai-kade men aaj ik duniya ko izn-e-am tha daur-e-jam-e-be-khudi begana-e-ayyam tha ruuh larzan aankh mahv-e-did dil nakam tha ishq ka aghaz bhi sha.ista-e-anjam tha rafta rafta ishq ko tasvir-e-gham kar hi diya husn bhi kitna kharab-e-gardish-e-ayyam tha gham-kade men dahr ke yuun to andhera tha magar ishq ka dagh-e-siyah-bakhti charagh-e-sham tha teri duzdida-nigahi yuun to na-mahsus thi haan magar daftar ka daftar husn ka paigham tha shaaq ahl-e-shauq par thiin us ki ismat-dariyan sach hai lekin husn dar-parda bahut bad-nam tha mahv the gulzar-e-ranga-rang ke naqsh-o-nigar vahshaten thi dil ke sannaTe the dasht-e-sham tha be-khata tha husn har jaur-o-jafa ke ba.ad bhi ishq ke sar ta-abad ilzam hi ilzam tha yuun gareban-chak duniya men nahin hota koi har khula gulshan shahid-e-gardish-e-ayyam tha dekh husn-e-sharmagin dar-parda kya laaya hai rang ishq rusva-e-jahan badnam hi badnam tha raunaq-e-bazm-e-jahan tha go dil-e-gham-ghin 'firaq' sard tha afsurda tha mahrum tha nakam tha mujh ko maara hai har ik dard o dava se pahle di saza ishq ne har jurm-o-khata se pahle atish-e-ishq bhaDakti hai hava se pahle honT julte hain mohabbat men dua se pahle fitne barpa hue har ghuncha-e-sar-basta se khul gaya raz-e-chaman chak-e-qaba se pahle chaal hai bada-e-hasti ka chhalakta hua jaam ham kahan the tire naqsh-e-kaf-e-pa se pahle ab kami kya hai tire be-sar-o-samanon ko kuchh na tha teri qasam tark-e-vafa se pahle ishq-e-bebak ko da.ave the bahut khalvat men kho diya saara bharam sharm-o-haya se pahle khud-bakhud chaak hue pairahan-e-lala-o-gul chal ga.i kaun hava bad-e-saba se pahle ham-safar rah-e-adam men na ho taron-bhari raat ham pahunch ja.enge is abla-pa se pahle parda-e-sharm men sad-barq-e-tabassum ke nisar hosh jaate rahe nairang-e-haya se pahle maut ke naam se Darte the ham ai shauq-e-hayat tu ne to maar hi Daala tha qaza se pahle be-takalluf bhi tira husn-e-khud-ara tha kabhi ik ada aur bhi thi husn-e-ada se pahle ghaflaten hasti-e-fani ki bata dengi tujhe jo mira haal tha ehsas-e-fana se pahle ham unhen pa ke 'firaq' aur bhi kuchh kho.e ga.e ye takalluf to na the ahd-e-vafa se pahle narm faza ki karvaTen dil ko dukha ke rah ga.iin ThanDi hava.en bhi tiri yaad dila ke rah ga.iin shaam bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udaas udaas dil ko ka.i kahaniyan yaad si aa ke rah ga.iin mujh ko kharab kar ga.iin nim-nigahiyan tiri mujh se hayat o maut bhi ankhen chura ke rah ga.iin husn-e-nazar-fareb men kis ko kalam tha magar teri ada.en aaj to dil men sama ke rah ga.iin tab kahin kuchh pata chala sidq-o-khulus-e-husn ka jab vo nigahen ishq se baten bana ke rah ga.iin tere khiram-e-naz se aaj vahan chaman khile faslen bahar ki jahan khaak uDa ke rah ga.iin puchh na un nigahon ki turfa karishma-saziyan fitne sula ke rah ga.iin fitne jaga ke rah ga.iin taron ki aankh bhi bhar aa.i meri sada-e-dard par un ki nigahen bhi tira naam bata ke rah ga.iin uf ye zamin ki gardishen aah ye gham ki Thokaren ye bhi to bakht-e-khufta ke shane hila ke rah ga.iin aur to ahl-e-dard kaun sambhalta bhala haan teri shadmaniyan un ko rula ke rah ga.iin yaad kuchh aa.iin is tarah bhuli hui kahaniyan kho.e hue dilon men aaj dard uTha ke rah ga.iin saz-e-nashat-e-zindagi aaj laraz laraz uTha kis ki nigahen ishq ka dard suna ke rah ga.iin tum nahin aa.e aur raat rah ga.i raah dekhti taron ki mahfilen bhi aaj ankhen bichha ke rah ga.iin jhuum ke phir chalin hava.en vajd men aa.iin phir faza.en phir tiri yaad ki ghaTa.en sinon pe chha ke rah ga.iin qalb o nigah ki ye iid uf ye ma.al-e-qurb-o-did charkh ki gardishen tujhe mujh se chhupa ke rah ga.iin phir hain vahi udasiyan phir vahi suuni ka.enat ahl-e-tarab ki mahfilen rang jama ke rah ga.iin kaun sukun de saka gham-zadagan-e-ishq ko bhigti raten bhi 'firaq' aag laga ke rah ga.iin nigah-e-naz ne parde uTha.e hain kya kya hijab ahl-e-mohabbat ko aa.e hain kya kya jahan men thi bas ik afvah tere jalvon ki charagh-e-dair-o-haram jhilmila.e hain kya kya do-char barq-e-tajalli se rahne valon ne fareb narm-nigahi ke khaa.e hain kya kya dilon pe karte hue aaj aati jaati choT tiri nigah ne pahlu bacha.e hain kya kya nisar nargis-e-mai-gun ki aaj paimane labon tak aa.e hue tharthara.e hain kya kya vo ik zara si jhalak barq-e-kam-nigahi ki jigar ke zakhm-e-nihan muskura.e hain kya kya charagh-e-tur jale a.ina-dar-a.ina hijab barq-e-ada ne uTha.e hain kya kya ba-qadr-e-zauq-e-nazar did-e-husn kya ho magar nigah-e-shauq men jalve sama.e hain kya kya kahin charagh kahin gul kahin dil-e-barbad khiram-e-naz ne fitne uTha.e hain kya kya taghaful aur baDha us ghazal-e-ra.ana ka fusun-e-gham ne bhi jaadu jaga.e hain kya kya hazar fitna-e-bedar khvab-e-rangin men chaman men ghuncha-e-gul-rang laa.e hain kya kya tire khulus-e-nihan ka to aah kya kahna suluk uchaTTe bhi dil men sama.e hain kya kya nazar bacha ke tire ishva-ha-e-pinhan ne dilon men dard-e-mohabbat uTha.e hain kya kya payam-e-husn payam-e-junun payam-e-fana tiri nigah ne fasane suna.e hain kya kya tamam husn ke jalve tamam mahrumi bharam nigah ne apne ganva.e hain kya kya 'firaq' rah-e-vafa men subuk-ravi teri baDe-baDon ke qadam Dagmaga.e hain kya kya raat bhi niind bhi kahani bhi haa.e kya chiiz hai javani bhi ek paigham-e-zindagani bhi ashiqi marg-e-na-gahani bhi is ada ka tiri javab nahin mehrbani bhi sargirani bhi dil ko apne bhi gham the duniya men kuchh bala.en thiin asmani bhi mansab-e-dil khushi luTana hai gham-e-pinhan ki pasbani bhi dil ko sho.alon se karti hai sairab zindagi aag bhi hai paani bhi shad-kamon ko ye nahin taufiq dil-e-gham-ghin ki shadmani bhi laakh husn-e-yaqin se baDh kar hai un nigahon ki bad-gumani bhi tangna-e-dil-e-malul men hai bahr-e-hasti ki be-karani bhi ishq-e-nakam ki hai parchha.in shadmani bhi kamrani bhi dekh dil ke nigar-khane men zakhm-e-pinhan ki hai nishani bhi khalq kya kya mujhe nahin kahti kuchh sunun main tiri zabani bhi aa.e tarikh-e-ishq men sau baar maut ke daur-e-darmiyani bhi apni ma.asumiyat ke parde men ho ga.i vo nazar siyani bhi din ko suraj-mukhi hai vo nau-gul raat ko hai vo rat-rani bhi dil-e-bad-nam tere baare men log kahte hain ik kahani bhi vaz.a karte koi na.i duniya ki ye duniya hui purani bhi dil ko adab-e-bandagi bhi na aa.e kar ga.e log hukmarani bhi jaur-e-kam-kam ka shukriya bas hai aap ki itni mehrbani bhi dil men ik huuk bhi uThi ai dost yaad aa.i tiri javani bhi sar se pa tak supurdagi ki ada ek andaz-e-turkamani bhi paas rahna kisi ka raat ki raat mehmani bhi mezbani bhi ho na aks-e-jabin-e-naz ki hai dil men ik nur-e-kahkashani bhi zindagi ain did-e-yar 'firaq' zindagi hijr ki kahani bhi ras men Duuba hua lahrata badan kya kahna karvaTen leti hui sub.h-e-chaman kya kahna nigah-e-naz men ye pichhle pahar rang-e-khumar niind men Duubi hui chandr-kiran kya kahna bagh-e-jannat pe ghaTa jaise baras ke khul jaa.e ye suhani tiri khushbu-e-badan kya kahna Thahri Thahri si nigahon men ye vahshat ki kiran chaunke chaunke se ye ahu-e-khutan kya kahna ruup sangit ne dhara hai badan ka ye rachav tujh pe lahlut hai be-sakhta-pan kya kahna jaise lahra.e koi sho.ala-kamar ki ye lachak sar-ba-sar atish-e-sayyal badan kya kahna jis tarah jalva-e-firdos havaon se chhine pairahan men tire rangini-e-tan kya kahna jalva-o-parde ka ye rang dam-e-nazzara jis tarah adh-khule ghunghaT men dulhan kya kahna dam-e-taqrir khil uThte hain gulistan kya kya yuun to ik ghuncha-e-nauras hai dahan kya kahna dil ke a.ine men is tarah utarti hai nigah jaise paani men lachak jaa.e kiran kya kahna lahlahata hua ye qad ye lahakta joban zulf so mahki hui raton ka ban kya kahna tu mohabbat ka sitara to javani ka suhag husn lau deta hai la.al-e-yaman kya kahna teri avaz savera tiri baten taDka ankhen khul jaati hain ejaz-e-sukhan kya kahna zulf-e-shab-gun ki chamak paikar-e-simin ki damak dip-mala hai sar-e-gang-o-jaman kya kahna nilgun shabnami kapDon men badan ki ye jot jaise chhanti ho sitaron ki kiran kya kahna ruki ruki si shab-e-marg khatm par aa.i vo pau phaTi vo na.i zindagi nazar aa.i ye moD vo hai ki parchha.iyan bhi dengi na saath musafiron se kaho us ki rahguzar aa.i faza tabassum-e-sub.h-e-bahar thi lekin pahunch ke manzil-e-janan pe aankh bhar aa.i kahin zaman-o-makan men hai naam ko bhi sukun magar ye baat mohabbat ki baat par aa.i kisi ki bazm-e-tarab men hayat baTti thi umid-varon men kal maut bhi nazar aa.i kahan har ek se insaniyat ka baar uTha ki ye bala bhi tire ashiqon ke sar aa.i dilon men aaj tiri yaad muddaton ke ba.ad ba-chehra-e-mutabassim ba-chashm-e-tar aa.i naya nahin hai mujhe marg-e-na-gahan ka payam hazar rang se apni mujhe khabar aa.i faza ko jaise koi raag chirta jaa.e tiri nigah dilon men yunhi utar aa.i zara visal ke ba.ad aa.ina to dekh ai dost tire jamal ki doshizgi nikhar aa.i tira hi aks sarishk-e-gham-e-zamana men tha nigah men tiri tasvir si utar aa.i ajab nahin ki chaman-dar-chaman bane har phuul kali kali ki saba ja ke god bhar aa.i shab-e-'firaq' uThe dil men aur bhi kuchh dard kahun ye kaise tiri yaad rat-bhar aa.i samajhta huun ki tu mujh se juda hai shab-e-furqat mujhe kya ho gaya hai tira gham kya hai bas ye janta huun ki meri zindagi mujh se khafa hai kabhi khush kar ga.i mujh ko tiri yaad kabhi ankhon men aansu aa gaya hai hijabon ko samajh baiTha main jalva nigahon ko baDa dhoka hua hai bahut duur ab hai dil se yaad teri mohabbat ka zamana aa raha hai na ji khush kar saka tera karam bhi mohabbat ko baDa dhoka raha hai kabhi taDpa gaya hai dil tira gham kabhi dil ko sahara de gaya hai shikayat teri dil se karte karte achanak pyaar tujh par aa gaya hai jise chaunka ke tu ne pher li aankh vo tera dard ab tak jagta hai jahan hai maujzan rangini-e-husn vahin dil ka kanval lahra raha hai gulabi hoti jaati hain faza.en koi is rang se sharma raha hai mohabbat tujh se thi qabl-az-mohabbat kuchh aisa yaad mujh ko aa raha hai juda aghaz se anjam se duur mohabbat ik musalsal majra hai khuda-hafiz magar ab zindagi men faqat apna sahara rah gaya hai mohabbat men 'firaq' itna na gham kar zamane men yahi hota raha hai sar men sauda bhi nahin dil men tamanna bhi nahin lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin dil ki ginti na yaganon men na beganon men lekin us jalva-gah-e-naz se uThta bhi nahin mehrbani ko mohabbat nahin kahte ai dost aah ab mujh se tiri ranjish-e-beja bhi nahin ek muddat se tiri yaad bhi aa.i na hamen aur ham bhuul ga.e hon tujhe aisa bhi nahin aaj ghaflat bhi un ankhon men hai pahle se siva aaj hi khatir-e-bimar shakeba bhi nahin baat ye hai ki sukun-e-dil-e-vahshi ka maqam kunj-e-zindan bhi nahin vus.at-e-sahra bhi nahin are sayyad hamin gul hain hamin bulbul hain tu ne kuchh aah suna bhi nahin dekha bhi nahin aah ye majma-e-ahbab ye bazm-e-khamosh aaj mahfil men 'firaq'-e-sukhan-ara bhi nahin ye bhi sach hai ki mohabbat pe nahin main majbur ye bhi sach hai ki tira husn kuchh aisa bhi nahin yuun to hangame uThate nahin divana-e-ishq magar ai dost kuchh aison ka Thikana bhi nahin fitrat-e-husn to ma.alum hai tujh ko hamdam chara hi kya hai ba-juz sabr so hota bhi nahin munh se ham apne bura to nahin kahte ki 'firaq' hai tira dost magar aadmi achchha bhi nahin sham-e-gham kuchh us nigah-e-naz ki baten karo be-khudi baDhti chali hai raaz ki baten karo ye sukut-e-naz ye dil ki ragon ka TuTna khamushi men kuchh shikast-e-saz ki baten karo nik.hat-e-zulf-e-pareshan dastan-e-sham-e-gham sub.h hone tak isi andaz ki baten karo har rag-e-dil vajd men aati rahe dukhti rahe yunhi us ke ja-o-beja naaz ki baten karo jau adam ki jaan hai jo hai payam-e-zindagi us sukut-e-raz us avaz ki baten karo ishq rusva ho chala be-kaif sa bezar sa aaj us ki nargas-e-ghammaz ki baten karo naam bhi lena hai jis ka ik jahan-e-rang-o-bu dosto us nau-bahar-e-naz ki baten karo kis liye uzr-e-taghaful kis liye ilzam-e-ishq aaj charkh-e-tafraqa-parvaz ki baten karo kuchh qafas ki tiliyon se chhan raha hai nuur sa kuchh faza kuchh hasrat-e-parvaz ki baten karo jo hayat-e-javidan hai jo hai marg-e-na-gahan aaj kuchh us naaz us andaz ki baten karo ishq-e-be-parva bhi ab kuchh na-shakeba ho chala shokhi-e-husn-e-karishma-saz ki baten karo jis ki furqat ne palaT di ishq ki kaaya 'firaq' aaj us isa-nafas dam-saz ki baten karo sitaron se ulajhta ja raha huun shab-e-furqat bahut ghabra raha huun tire gham ko bhi kuchh bahla raha huun jahan ko bhi samajhta ja raha huun yaqin ye hai haqiqat khul rahi hai guman ye hai ki dhoke kha raha huun agar mumkin ho le le apni aahaT khabar do husn ko main aa raha huun haden husn-o-mohabbat ki mila kar qayamat par qayamat Dha raha huun khabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat tire hathon men luTta ja raha huun asar bhi le raha huun teri chup ka tujhe qaa.il bhi karta ja raha huun bharam tere sitam ka khul chuka hai main tujh se aaj kyuun sharma raha huun unhin men raaz hain gul-bariyon ke main jo chingariyan barsa raha huun jo un ma.asum ankhon ne diye the vo dhoke aaj tak main kha raha huun tire pahlu men kyuun hota hai mahsus ki tujh se duur hota ja raha huun had-e-jor-o-karam se baDh chala husn nigah-e-yar ko yaad aa raha huun jo uljhi thi kabhi aadam ke hathon vo gutthi aaj tak suljha raha huun mohabbat ab mohabbat ho chali hai tujhe kuchh bhulta sa ja raha huun ajal bhi jin ko sun kar jhumti hai vo naghme zindagi ke ga raha huun ye sannaTa hai mere paanv ki chaap 'firaq' apni kuchh aahaT pa raha huun tez ehsas-e-khudi darkar hai zindagi ko zindagi darkar hai jo chaDha jaa.e khumistan-e-jahan haan vahi lab-tishnagi darkar hai devtaon ka khuda se hoga kaam aadmi ko aadmi darkar hai sau gulistan jis udasi par nisar mujh ko vo afsurdagi darkar hai sha.eri hai sar-basar tahzib-e-qalb us ko gham sha.istagi darkar hai sho.ala men laata hai jo soz-o-gudaz vo khulus-e-batni darkar hai khubi-e-lafz-o-bayan se kuchh siva sha.eri ko sahiri darkar hai qadir-e-mutlaq ko bhi insan ki sunte hain be-chargi darkar hai aur honge talib-e-mad.h-e-jahan mujh ko bas teri khushi darkar hai aql men yuun to nahin koi kami ik zara divangi darkar hai hosh valon ko bhi meri raa.e men ek guuna be-khudi darkar hai khatra-e-bisyar-dani ki qasam ilm men bhi kuchh kami darkar hai dosto kaafi nahin chashm-e-khirad ishq ko bhi raushni darkar hai meri ghazlon men haqa.eq hain faqat aap ko to sha.eri darkar hai tere paas aaya huun kahne ek baat mujh ko teri dosti darkar hai main jafaon ka na karta yuun gila aaj teri na-khushi darkar hai us ki zulf arasta-pairasta ik zara si barhami darkar hai zinda-dil tha taza-dam tha hijr men aaj mujh ko be-dili darkar hai halqa halqa gesu-e-shab rang-e-yar mujh ko teri abtari darkar hai aql ne kal mere kanon men kaha mujh ko teri zindagi darkar hai tez-rau tahzib-e-alam ko 'firaq' ik zara ahistagi darkar hai tumhen kyunkar bata.en zindagi ko kya samajhte hain samajh lo saans lena khud-kushi karna samajhte hain kisi badmast ko raz-ashna sab ka samajhte hain nigah-e-yar tujh ko kya bata.en kya samajhte hain bas itne par hamen sab log divana samajhte hain ki is duniya ko ham ik dusri duniya samajhte hain kahan ka vasl tanha.i ne shayad bhes badla hai tire dam bhar ke mil jaane ko ham bhi kya samajhte hain umidon men bhi un ki ek shan-e-be-niyazi hai har asani ko jo dushvar ho jaana samajhte hain yahi zid hai to khair ankhen uThate hain ham us janib magar ai dil ham is men jaan ka khaTka samajhte hain kahin hon tere divane Thahar jaa.en to zindan hai jidhar ko munh uTha kar chal paDe sahra samajhte hain jahan ki fitrat-e-begana men jo kaif-e-gham bhar den vahi jiina samajhte hain vahi marna samajhte hain hamara zikr kya ham ko to hosh aaya mohabbat men magar ham qais ka divana ho jaana samajhte hain na shokhi shokh hai itni na purkar itni purkari na jaane log teri sadgi ko kya samajhte hain bhula diin ek muddat ki jafa.en us ne ye kah kar tujhe apna samajhte the tujhe apna samajhte hain ye kah kar abla-pa raundte jaate hain kanTon ko jise talvon men kar len jazb use sahra samajhte hain ye hasti nisti sab mauj-khezi hai mohabbat ki na ham qatra samajhte hain na ham dariya samajhte hain 'firaq' is gardish-e-ayyam se kab kaam nikla hai sahar hone ko bhi ham raat kaT jaana samajhte hain tuur tha ka.aba tha dil tha jalva-zar-e-yar tha ishq sab kuchh tha magar phir alam-e-asrar tha nashsha-e-sad-jam kaif-e-intizar-e-yar tha hijr men Thahra hua dil saghar-e-sarshar tha alvida.a ai bazm-e-anjum hijr ki shab al-firaq ta-ba-daur-e-zindagani intizar-e-yar tha ek ada se be-niyaz-e-qurb-o-duri kar diya mavra-e-vasl-o-hijran husn ka iqrar tha jauhar-e-a.ina-e-alam bane aansu mire yuun to sach ye hai ki rona ishq men bekar tha shokhi-e-raftar vaj.h-e-hasti-e-barbad thi zindagi kya thi ghubar-e-rahguzar-e-yar tha ulfat-e-derina ka jab zikr isharon men kiya muskura kar mujh se puchha tum ko kis se pyaar tha dil-dukhe ro.e hain shayad is jagah ai ku-e-dost khaak ka itna chamak jaana zara dushvar tha zarra zarra aa.ina tha khud-numa.i ka 'firaq' sar-ba-sar sahra-e-alam jalva-zar-e-yar tha vaqt-e-ghurub aaj karamat ho ga.i zulfon ko us ne khol diya raat ho ga.i kal tak to us men aisi karamat na thi koi vo aankh aaj qibla-e-hajat ho ga.i ai soz-e-ishq tu ne mujhe kya bana diya meri har ek saans munajat ho ga.i ochhi nigah Daal ke ik samt rakh diya dil kya diya gharib ki saughat ho ga.i kuchh yaad aa ga.i thi vo zulf-e-shikan-shikan hasti tamam chashma-e-zulmat ho ga.i ahl-e-vatan se duur juda.i men yaar ki sabr aa gaya 'firaq' karamat ho ga.i vo chup-chap aansu bahane ki raten vo ik shakhs ke yaad aane ki raten shab-e-mah ki vo ThanDi anchen vo shabnam tire husn ke rasmasane ki raten javani ki doshizgi ka tabassum gul-e-zar ke vo khilane ki raten phuvaren si naghmon ki paDti hon jaise kuchh us lab ke sunne-sunane ki raten mujhe yaad hai teri har sub.h-e-rukhsat mujhe yaad hain tere aane ki raten pur-asrar si meri arz-e-tamanna vo kuchh zer-e-lab muskurane ki raten sar-e-sham se ratjaga ke vo saman vo pichhle pahar niind aane ki raten sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-janan na jaane vo thiin kis zamane ki raten sar-e-mai-kada tishnagi ki vo qasmen vo saaqi se baten banane ki raten ham-aghoshiyan shahid-e-mehrban ki zamane ke gham bhuul jaane ki raten 'firaq' apni qismat men shayad nahin the Thikane ke din ya Thikane ki raten ye narm narm hava jhilmila rahe hain charagh tire khayal ki khushbu se bas rahe hain dimagh dilon ko tere tabassum ki yaad yuun aa.i ki jagmaga uThen jis tarah mandiron men charagh jhalakti hai khinchi shamshir men na.i duniya hayat o maut ke milte nahin hain aaj dimagh harif-e-sina-e-majruh o atish-e-gham-e-ishq na gul ki chak-garebaniyan na laale ke daagh vo jin ke haal men lau de uThe gham-e-farda vahi hain anjuman-e-zindagi ke chashm-o-charag tamam sho.ala-e-gul hai tamam mauj-e-bahar ki ta-had-e-nigah-e-shauq lahlahate hain baagh na.i zamin naya asman na.i duniya suna to hai ki mohabbat ko in dinon hai faragh jo tohmaten na uThin ik jahan se un ke samet gunahgar-e-mohabbat nikal ga.e be-dagh jo chhup ke taron ki ankhon se paanv dharta hai usi ke naqsh-e-kaf-e-pa se jal uThe hain charagh jahan-e-raz hui ja rahi hai aankh tiri kuchh is tarah vo dilon ka laga rahi hai suragh zamana kuud paDa aag men yahi kah kar ki khuun chaaT ke ho ja.egi ye aag bhi baagh nigahen matl.a-e-nau par hain ek aalam ki ki mil raha hai kisi phuTti kiran ka suragh dilon men dagh-e-mohabbat ka ab ye aalam hai ki jaise niind men Duube hon pichhli raat charagh 'firaq' bazm-e-charaghan hai mahfil-e-rindan saje hain pighli hui aag se chhalakte ayagh ye nik.haton ki narm-ravi ye hava ye raat yaad aa rahe hain ishq ko TuuTe ta.alluqat mayusiyon ki god men dam toDta hai ishq ab bhi koi bana le to bigDi nahin hai baat kuchh aur bhi to ho in isharat ke siva ye sab to ai nigah-e-karam baat baat baat ik umr kaT ga.i hai tire intizar men aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat ham ahl-e-intizar ke aahaT pe kaan the ThanDi hava thi gham tha tira Dhal chali thi raat yuun to bachi bachi si uThi vo nigah-e-naz duniya-e-dil men ho hi ga.i koi vardat jin ka suragh pa na saki gham ki ruuh bhi nadan hue hain ishq men aise bhi sanehat har sa.i o har amal men mohabbat ka haath hai ta.amir-e-zindagi ke samajh kuchh muharrikat us ja tiri nigah mujhe le ga.i jahan leti ho jaise saans ye be-jan ka.enat kya niind aa.e us ko jise jagna na aa.e jo din ko din kare vo kare raat ko bhi raat dariya ke madd-o-jazr bhi paani ke khel hain hasti hi ke karishme hain kya maut kya hayat ahl-e-raza men shan-e-baghavat bhi ho zara itni bhi zindagi na ho paband-e-rasmiyat ham ahl-e-gham ne rang-e-zamana badal diya koshish to ki sabhi ne magar ban paDe ki baat paida kare zamin na.i asman naya itna to le koi asar-e-daur-ka.enat sha.ir huun gahri niind men hain jo haqiqaten chaunka rahe hain un ko bhi mere tavahhumat mujh ko to gham ne fursat-e-gham bhi na di 'firaq' de fursat-e-hayat na jaise gham-e-hayat zamin badli falak badla mazaq-e-zindagi badla tamaddun ke qadim aqdar badle aadmi badla khuda-o-ahrman badle vo iman-e-dui badla hudud-e-khair-o-shar badle mazaq-e-kafiri badla na.e insan ka jab daur-e-khud-na-agahi badla rumuz-e-be-khudi badle taqaza-e-khudi badla badalte ja rahe hain ham bhi duniya ko badalne men nahin badli abhi duniya to duniya ko abhi badla na.i manzil ke mir-e-karvan bhi aur hote hain purane khizr-e-rah badle vo tarz-e-rahbari badla kabhi socha bhi hai ai nazm-e-kohna ke khuda-vando tumhara hashr kya hoga jo ye aalam kabhi badla udhar pichhle se ahl-e-mal-o-zar par raat bhari hai idhar bedari-e-jamhur ka andaz bhi badla zahe soz-e-gham-e-adam khusha saz-e-dil-e-adam isi ik sham.a ki lau ne jahan-e-tirgi badla na.e mansur hain sadiyon purane shekh-o-qazi hain na fatve kufr ke badle na uzr-e-dar hi badla bata.e to bata.e us ko teri shokhi-e-pinhan tiri chashm-e-tavajjoh hai ki tarz-e-be-rukhi badla ba-faiz-e-adam-e-khaki zamin sona ugalti hai usi zarre ne daur-e-mehr-o-mah-o-mushtari badla sitare jagte hain raat laT chhaTka.e soti hai dabe paanv kisi ne aa ke khvab-e-zindagi badla 'firaq' ham-nava-e-'mir'-o-'ghalib' ab na.e naghme vo bazm-e-zindagi badli vo rang-e-sha.iri badla zer-o-bam se saz-e-khilqat ke jahan banta gaya ye zamin banti ga.i ye asman banta gaya dastan-e-jaur-e-behad khuun se likhta raha qatra qatra ashk-e-gham ka be-karan banta gaya ishq-e-tanha se huiin abad kitni manzilen ik musafir karvan-dar-karvan banta gaya main tire jis gham ko apna janta tha vo bhi to zeb-e-unvan-e-hadis-e-digaran banta gaya baat nikle baat se jaise vo tha tera bayan naam tera dastan-dar-dastan banta gaya ham ko hai ma.alum sab rudad-e-ilm-o-falsafa haan har iman-o-yaqin vahm-o-guman banta gaya main kitab-e-dil men apna hal-e-gham likhta raha har varaq ik bab-e-tarikh-e-jahan banta gaya bas usi ki tarjumani hai mire ash.ar men jo sukut-e-raz rangin dastan banta gaya main ne saunpa tha tujhe ik kaam saari umr men vo bigaDta hi gaya ai dil kahan banta gaya vardat-e-dil ko dil hi men jagah dete rahe har hisab-e-gham hisab-e-dostan banta gaya meri ghuTTi men paDi thi ho ke hal urdu zaban jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya vaqt ke hathon yahan kya kya khazane luT ga.e ek tera gham ki ganj-e-sha.igan banta gaya sar-zamin-e-hind par aqvam-e-alam ke 'firaq' qafile baste ga.e hindostan banta gaya zindagi dard ki kahani hai chashm-e-anjum men bhi to paani hai be-niyazana sun liya gham-e-dil mehrbani hai mehrbani hai vo bhala meri baat kya maane us ne apni bhi baat maani hai shola-e-dil hai ye ki sho.ala-saz ya tira shola-e-javani hai vo kabhi rang vo kabhi khushbu gaah gul gaah rat-rani hai ban ke ma.asum sab ko taaD ga.i aankh us ki baDi siyani hai ap-biti kaho ki jag-biti har kahani miri kahani hai donon aalam hain jis ke zer-e-nagin dil usi gham ki rajdhani hai ham to khush hain tiri jafa par bhi be-sabab teri sargirani hai sar-ba-sar ye faraz-e-mahr-o-qamar teri uThti hui javani hai aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq go kahani bahut purani hai zabt kiije to dil hai angara aur agar roiye to paani hai hai Thikana ye dar hi us ka bhi dil bhi tera hi astani hai un se aise men jo na ho jaa.e nau-javani hai nau-javani hai dil mira aur ye gham-e-duniya kya tire gham ki pasbani hai gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran daur-e-aflak ki bhi paani hai ai lab-e-naz kya hain vo asrar khamushi jin ki tarjumani hai mai-kadon ke bhi hosh uDne lage kya tiri aankh ki javani hai khud-kushi par hai aaj amada are duniya baDi divani hai koi iz.har-e-na-khushi bhi nahin bad-gumani si bad-gumani hai mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq zindagi hijr ki kahani hai bahr-e-hasti bhi jis men kho jaa.e buund men bhi vo be-karani hai mil ga.e khaak men tire ushshaq ye bhi ik amr-e-asmani hai zindagi intizar hai tera ham ne ik baat aaj jaani hai kyuun na ho gham se hi qimash us ka husn tasvir-e-shadmani hai suuni duniya men ab to main huun aur matam-e-ishq-e-an-jahani hai kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab raat hai niind hai kahani hai ankhon men jal raha hai pa bujhta nahin dhuan uThta to hai ghaTa sa barasta nahin dhuan palkon ke Dhanpne se bhi rukta nahin dhuan kitni unDelin ankhen pa bujhta nahin dhuan ankhon se ansuon ke marasim purane hain mehman ye ghar men aa.en to chubhta nahin dhuan chulhe nahin jala.e ki basti hi jal ga.i kuchh roz ho ga.e hain ab uThta nahin dhuan kaali lakiren khinch raha hai fazaon men baura gaya hai munh se kyuun khulta nahin dhuan ankhon ke pochhne se laga aag ka pata yuun chehra pher lene se chhupta nahin dhuan chingari ik aTak si ga.i mere siine men thoDa sa aa ke phunk do uDta nahin dhuan aisa khamosh to manzar na fana ka hota meri tasvir bhi girti to chhanaka hota yuun bhi ik baar to hota ki samundar bahta koi ehsas to dariya ki ana ka hota saans mausam ki bhi kuchh der ko chalne lagti koi jhonka tiri palkon ki hava ka hota kanch ke paar tire haath nazar aate hain kaash khushbu ki tarah rang hina ka hota kyuun miri shakl pahan leta hai chhupne ke liye ek chehra koi apna bhi khuda ka hota be-sabab muskura raha hai chand koi sazish chhupa raha hai chand jaane kis ki gali se nikla hai jhenpa jhenpa sa aa raha hai chand kitna ghaza lagaya hai munh par dhuul hi dhuul uDa raha hai chand kaisa baiTha hai chhup ke patton men baghban ko sata raha hai chand sidha-sada ufuq se nikla tha sar pe ab chaDhta ja raha hai chand chhu ke dekha to garm tha matha dhuup men khelta raha hai chand biite rishte talash karti hai khushbu ghunche talash karti hai jab guzarti hai us gali se saba khat ke purze talash karti hai apne maazi ki justuju men bahar piile patte talash karti hai ek ummid baar baar aa kar apne TukDe talash karti hai buDhi pagDanDi shahr tak aa kar apne beTe talash karti hai dard halka hai saans bhari hai jiye jaane ki rasm jaari hai aap ke ba.ad har ghaDi ham ne aap ke saath hi guzari hai raat ko chandni to oDha do din ki chadar abhi utari hai shakh par koi qahqaha to khile kaisi chup si chaman pe taari hai kal ka har vaqi.a tumhara tha aaj ki dastan hamari hai dikha.i dete hain dhund men jaise saa.e koi magar bulane se vaqt lauTe na aa.e koi mire mohalle ka asman suuna ho gaya hai bulandiyon pe ab aa ke peche laDa.e koi vo zard patte jo peD se TuuT kar gire the kahan ga.e bahte paniyon men bula.e koi za.iif bargad ke haath men ra.asha aa gaya hai jaTa.en ankhon pe gir rahi hain uTha.e koi mazar pe khol kar gareban dua.en mangen jo aa.e ab ke to lauT kar phir na jaa.e koi din kuchh aise guzarta hai koi jaise ehsan utarta hai koi dil men kuchh yuun sambhalta huun gham jaise zevar sambhalta hai koi aa.ina dekh kar tasalli hui ham ko is ghar men janta hai koi peD par pak gaya hai phal shayad phir se patthar uchhalta hai koi der se gunjte hain sannaTe jaise ham ko pukarta hai koi ek parvaz dikha.i di hai teri avaz suna.i di hai sirf ik safha palaT kar us ne saari baton ki safa.i di hai phir vahin lauT ke jaana hoga yaar ne kaisi riha.i di hai jis ki ankhon men kaTi thiin sadiyan us ne sadiyon ki juda.i di hai zindagi par bhi koi zor nahin dil ne har chiiz para.i di hai aag men kya kya jala hai shab bhar kitni khush-rang dikha.i di hai garm lashen girin fasilon se asman bhar gaya hai chilon se suuli chaDhne lagi hai khamoshi log aa.e hain sun ke milon se kaan men aise utri sargoshi barf phisli ho jaise Tilon se guunj kar aise lauTti hai sada koi puchhe hazaron milon se pyaas bharti rahi mire andar aankh haTti nahin thi jhilon se log kandhe badal badal ke chale ghaaT pahunche baDe vasilon se gulon ko sunna zara tum sada.en bheji hain gulon ke haath bahut si dua.en bheji hain jo aftab kabhi bhi ghurub hota nahin hamara dil hai usi ki shua.en bheji hain agar jala.e tumhen bhi shifa mile shayad ik aise dard ki tum ko shua.en bheji hain tumhari khushk si ankhen bhali nahin lagtin vo saari chizen jo tum ko rula.en, bheji hain siyah rang chamakti hui kanari hai pahan lo achchhi lagengi ghaTa.en bheji hain tumhare khvab se har shab lipaT ke sote hain saza.en bhej do ham ne khata.en bheji hain akela patta hava men bahut buland uDa zamin se paanv uThao hava.en bheji hain haath chhuTen bhi to rishte nahin chhoDa karte vaqt ki shakh se lamhe nahin toDa karte jis ki avaz men silvaT ho nigahon men shikan aisi tasvir ke TukDe nahin joDa karte lag ke sahil se jo bahta hai use bahne do aise dariya ka kabhi rukh nahin moDa karte jagne par bhi nahin aankh se girtin kirchen is tarah khvabon se ankhen nahin phoDa karte shahd jiine ka mila karta hai thoDa thoDa jaane valon ke liye dil nahin thoDa karte ja ke kohsar se sar maaro ki avaz to ho khasta divaron se matha nahin phoDa karte ham to kitnon ko mah-jabin kahte aap hain is liye nahin kahte chand hota na asman pe agar ham kise aap sa hasin kahte aap ke paanv phir kahan paDte ham zamin ko agar zamin kahte aap ne auron se kaha sab kuchh ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte aap ke ba.ad aap hi kahiye vaqt ko kaise ham-nashin kahte vo bhi vahid hai main bhi vahid huun kis sabab se ham afrin kahte har ek gham nichoD ke har ik baras jiye do din ki zindagi men hazaron baras jiye sadiyon pe ikhtiyar nahin tha hamara dost do chaar lamhe bas men the do chaar bas jiye sahra ke us taraf se ga.e saare karvan sun sun ke ham to sirf sada-e-jaras jiye honTon men le ke raat ke anchal ka ik sira ankhon pe rakh ke chand ke honTon ka mas jiye mahdud hain dua.en mire ikhtiyar men har saans pur-sukun ho tu sau baras jiye hava ke siing na pakDo khadeD deti hai zamin se peDon ke Tanke udheD deti hai main chup karata huun har shab umaDti barish ko magar ye roz ga.i baat chheD deti hai zamin sa dusra koi sakhi kahan hoga zara sa biij uTha le to peD deti hai rundhe gale ki duaon se bhi nahin khulta dar-e-hayat jise maut bheD deti hai jab bhi ankhon men ashk bhar aa.e log kuchh Dubte nazar aa.e apna mehvar badal chuki thi zamin ham khala se jo lauT kar aa.e chand jitne bhi gum hue shab ke sab ke ilzam mere sar aa.e chand lamhe jo lauT kar aa.e raat ke akhiri pahar aa.e ek goli ga.i thi su-e-falak ik parinde ke bal-o-par aa.e kuchh charaghon ki saans TuuT ga.i kuchh ba-mushkil dam-e-sahar aa.e mujh ko apna pata-Thikana mile vo bhi ik baar mere ghar aa.e jab bhi ye dil udaas hota hai jaane kaun as-pas hota hai ankhen pahchanti hain ankhon ko dard chehra-shanas hota hai go barasti nahin sada ankhen abr to barah-mas hota hai chhal peDon ki sakht hai lekin niche nakhun ke maas hota hai zakhm kahte hain dil ka gahna hai dard dil ka libas hota hai Das hi leta hai sab ko ishq kabhi saanp mauqa.a-shanas hota hai sirf itna karam kiya kiije aap ko jitna raas hota hai kanch ke pichhe chand bhi tha aur kanch ke uupar kaa.i bhi tinon the ham vo bhi the aur main bhi tha tanha.i bhi yadon ki bauchharon se jab palken bhigne lagti hain sondhi sondhi lagti hai tab maazi ki rusva.i bhi do do shaklen dikhti hain is bahke se a.ine men mere saath chala aaya hai aap ka ik sauda.i bhi kitni jaldi maili karta hai poshaken roz falak sub.h hi raat utari thi aur shaam ko shab pahna.i bhi khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi thi un ki baat suni bhi ham ne apni baat suna.i bhi kal sahil par leTe leTe kitni saari baten kiin aap ka hunkara na aaya chand ne baat kara.i bhi kahin to gard uDe ya kahin ghubar dikhe kahin se aata hua koi shahsavar dikhe khafa thi shakh se shayad ki jab hava guzri zamin pe girte hue phuul be-shumar dikhe ravan hain phir bhi ruke hain vahin pe sadiyon se baDe udaas lage jab bhi abshar dikhe kabhi to chaunk ke dekhe koi hamari taraf kisi ki aankh men ham ko bhi intizar dikhe koi tilismi sifat thi jo is hujum men vo hue jo aankh se ojhal to baar baar dikhe khuli kitab ke safhe ulaTte rahte hain hava chale na chale din palaTte rahte hain bas ek vahshat-e-manzil hai aur kuchh bhi nahin ki chand siDhiyan chaDhte utarte rahte hain mujhe to roz kasauTi pe dard kasta hai ki jaan se jism ke bakhiye udhaDte rahte hain kabhi ruka nahin koi maqam-e-sahra men ki Tiile panv-tale se sarakte rahte hain ye roTiyan hain ye sikke hain aur da.ere hain ye ek duuje ko din bhar pakaDte rahte hain bhare hain raat ke reze kuchh aise ankhon men ujala ho to ham ankhen jhapakte rahte hain khushbu jaise log mile afsane men ek purana khat khola anjane men shaam ke saa.e balishton se naape hain chand ne kitni der laga di aane men raat guzarte shayad thoDa vaqt lage dhuup unDelo thoDi si paimane men jaane kis ka zikr hai is afsane men dard maze leta hai jo dohrane men dil par dastak dene kaun aa nikla hai kis ki aahaT sunta huun virane men ham is moD se uTh kar agle moD chale un ko shayad umr lagegi aane men koi aTka hua hai pal shayad vaqt men paD gaya hai bal shayad lab pe aa.i miri ghazal shayad vo akele hain aj-kal shayad dil agar hai to dard bhi hoga is ka koi nahin hai hal shayad jante hain savab-e-rahm-o-karam un se hota nahin amal shayad aa rahi hai jo chaap qadmon ki khil rahe hain kahin kanval shayad raakh ko bhi kured kar dekho abhi jalta ho koi pal shayad chand Duube to chand hi nikle aap ke paas hoga hal shayad koi khamosh zakhm lagti hai zindagi ek nazm lagti hai bazm-e-yaran men rahta huun tanha aur tanha.i bazm lagti hai apne saa.e pe paanv rakhta huun chhanv chhalon ko narm lagti hai chand ki nabz dekhna uTh kar raat ki saans garm lagti hai ye rivayat ki dard mahke rahen dil ki derina rasm lagti hai mujhe andhere men be-shak biTha diya hota magar charagh ki surat jala diya hota na raushni koi aati mire ta.aqub men jo apne-ap ko main ne bujha diya hota ye dard jism ke ya-rab bahut shadid lage mujhe salib pe do pal sula diya hota ye shukr hai ki mire paas tera gham to raha vagarna zindagi ne to rula diya hota os paDi thi raat bahut aur kohra tha garma.ish par saili si khamoshi men avaz suni farma.ish par fasle hain bhi aur nahin bhi naapa taula kuchh bhi nahin log ba-zid rahte hain phir bhi rishton ki paima.ish par munh moDa aur dekha kitni duur khaDe the ham donon aap laDe the ham se bas ik karvaT ki gunja.ish par kaghaz ka ik chand laga kar raat andheri khiDki par dil men kitne khush the apni furqat ki ara.ish par dil ka hujra kitni baar ujDa bhi aur basaya bhi saari umr kahan Thahra hai koi ek riha.ish par dhuup aur chhanv baanT ke tum ne angan men divar chuni kya itna asan hai zinda rahna is asa.ish par shayad tiin nujumi meri maut pe aa kar pahunchenge aisa hi ik baar hua tha iisa ki paida.ish par peD ke patton men halchal hai khabar-dar se hain shaam se tez hava chalne ke asar se hain nakhuda dekh raha hai ki main girdab men huun aur jo pul pe khaDe log hain akhbar se hain chaDhte sailab men sahil ne to munh Dhanp liya log paani ka kafan lene ko tayyar se hain kal tavarikh men dafna.e ga.e the jo log un ke saa.e abhi darvazon pe bedar se hain vaqt ke tiir to siine pe sambhale ham ne aur jo niil paDe hain tiri guftar se hain ruuh se chhile hue jism jahan bikte hain ham ko bhi bech de ham bhi usi bazar se hain jab se vo ahl-e-siyasat men hue hain shamil kuchh adu ke hain to kuchh mere taraf-dar se hain phuul ne Tahni se uDne ki koshish ki ik taa.ir ka dil rakhne ki koshish ki kal phir chand ka khanjar ghonp ke siine men raat ne meri jaan lene ki koshish ki koi na koi rahbar rasta kaaT gaya jab bhi apni rah chalne ki koshish ki kitni lambi khamoshi se guzra huun un se kitna kuchh kahne ki koshish ki ek hi khvab ne saari raat jagaya hai main ne har karvaT sone ki koshish ki ek sitara jaldi jaldi Duub gaya main ne jab taare ginne ki koshish ki naam mira tha aur pata apne ghar ka us ne mujh ko khat likhne ki koshish ki ek dhuen ka marghola sa nikla hai miTTi men jab dil bone ki koshish ki phulon ki tarah lab khol kabhi khushbu ki zaban men bol kabhi alfaz parakhta rahta hai avaz hamari tol kabhi anmol nahin lekin phir bhi puchh to muft ka mol kabhi khiDki men kaTi hain sab raten kuchh chauras thiin kuchh gol kabhi ye dil bhi dost zamin ki tarah ho jaata hai Danva-Dol kabhi ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale qarar de ke tire dar se be-qarar chale uTha.e phirte the ehsan jism ka jaan par chale jahan se to ye pairahan utaar chale na jaane kaun si miTTi vatan ki miTTi thi nazar men dhuul jigar men liye ghubar chale sahar na aa.i ka.i baar niind se jaage thi raat raat ki ye zindagi guzar chale mili hai sham.a se ye rasm-e-ashiqi ham ko gunah haath pe le kar gunahgar chale sabr har baar ikhtiyar kiya ham se hota nahin hazar kiya adatan tum ne kar diye va.ade adatan ham ne e'tibar kiya ham ne aksar tumhari rahon men ruk kar apna hi intizar kiya phir na mangenge zindagi ya-rab ye gunah ham ne ek baar kiya sahma sahma Dara sa rahta hai jaane kyuun ji bhara sa rahta hai kaa.i si jam ga.i hai ankhon par saara manzar hara sa rahta hai ek pal dekh luun to uThta huun jal gaya ghar zara sa rahta hai sar men jumbish khayal ki bhi nahin zanuon par dhara sa rahta hai shaam se aaj saans bhari hai be-qarari si be-qarari hai aap ke ba.ad har ghaDi ham ne aap ke saath hi guzari hai raat ko de do chandni ki rida din ki chadar abhi utari hai shakh par koi qahqaha to khile kaisi chup si chaman men taari hai kal ka har vaqi.a tumhara tha aaj ki dastan hamari hai shaam se aankh men nami si hai aaj phir aap ki kami si hai dafn kar do hamen ki saans aa.e nabz kuchh der se thami si hai kaun pathra gaya hai ankhon men barf palkon pe kyuun jami si hai vaqt rahta nahin kahin Tik kar aadat is ki bhi aadmi si hai aa.iye raste alag kar len ye zarurat bhi bahami si hai tinka tinka kanTe toDe saari raat kaTa.i ki kyuun itni lambi hoti hai chandni raat juda.i ki niind men koi apne-ap se baten karta rahta hai kal-kun.en men gunjti hai avaz kisi sauda.i ki siine men dil ki aahaT jaise koi jasus chale har saa.e ka pichha karna aadat hai harja.i ki ankhon aur kanon men kuchh sannaTe se bhar jaate hain kya tum ne uDti dekhi hai ret kabhi tanha.i ki taron ki raushan faslen aur chand ki ek daranti thi saahu ne girvi rakh li thi meri raat kaTa.i ki tujh ko dekha hai jo dariya ne idhar aate hue kuchh bhanvar Duub ga.e paani men chakrate hue ham ne to raat ko danton se pakaD kar rakkha chhina-jhapTi men ufuq khulta gaya jaate hue main na hunga to khizan kaise kaTegi teri shokh patte ne kaha shakh se murjhate hue hasraten apni bilaktin na yatimon ki tarah ham ko avaz hi de lete zara jaate hue si liye honT vo pakiza nigahen sun kar maili ho jaati hai avaz bhi dohrate hue vo khat ke purze uDa raha tha havaon ka rukh dikha raha tha bata.un kaise vo bahta dariya jab aa raha tha to ja raha tha kuchh aur bhi ho gaya numayan main apna likkha miTa raha tha dhuan dhuan ho ga.i thiin ankhen charagh ko jab bujha raha tha munDer se jhuk ke chand kal bhi paDosiyon ko jaga raha tha usi ka iman badal gaya hai kabhi jo mera khuda raha tha vo ek din ek ajnabi ko miri kahani suna raha tha vo umr kam kar raha tha meri main saal apne baDha raha tha khuda ki shayad raza ho is men tumhara jo faisla raha tha zikr aa.e to mire lab se dua.en niklen sham.a jalti hai to lazim hai shua.en niklen vaqt ki zarb se kaT jaate hain sab ke siine chand ka chhalka utar jaa.e to qashen niklen dafn ho jaa.en ki zarkhez zamin lagti hai kal isi miTTi se shayad miri shakhen niklen chand ummiden nichoDi thiin to aahen Tapkin dil ko pighla.en to ho sakta hai sansen niklen ghaar ke munh pe rakha rahne do sang-e-khurshid ghaar men haath na Daalo kahin raten niklen zikr hota hai jahan bhi mire afsane ka ek darvaza sa khulta hai kutub-khane ka ek sannaTa dabe-panv gaya ho jaise dil se ik khauf sa guzra hai bichhaD jaane ka bulbula phir se chala paani men ghote khane na samajhne ka use vaqt na samjhane ka main ne alfaz to bijon ki tarah chhanT diye aisa miTha tira andaz tha farmane ka kis ko roke koi raste men kahan baat kare na to aane ki khabar hai na pata jaane ka zindagi yuun hui basar tanha qafila saath aur safar tanha apne saa.e se chaunk jaate hain umr guzri hai is qadar tanha raat bhar baten karte hain taare raat kaaTe koi kidhar tanha Dubne vaale paar ja utre naqsh-e-pa apne chhoD kar tanha din guzarta nahin hai logon men raat hoti nahin basar tanha ham ne darvaze tak to dekha tha phir na jaane ga.e kidhar tanha aag hai phaili hui kaali ghaTaon ki jagah bad-dua.en hain labon par ab duaon ki jagah intikhab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zagh-o-zaghan ko khushnavaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote para-para jism-o-jan rahzan hote agar un rahnumaon ki jagah luT ga.i is daur men ahl-e-qalam ki aabru bik rahe hain ab sahafi be-savaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaan se guzarne ka maza ghair hote kaash 'jalib' ashnaon ki jagah ab teri zarurat bhi bahut kam hai miri jaan ab shauq ka kuchh aur hi aalam hai miri jaan ab tazkira-e-khanda-e-gul baar hai ji par jaan vaqf-e-gham-e-giriya-e-shabnam hai miri jaan rukh par tire bikhri hui ye zulf-e-siyah-tab tasvir-e-pareshani-e-alam hai miri jaan ye kya ki tujhe bhi hai zamane se shikayat ye kya ki tiri aankh bhi pur-nam hai miri jaan ham sada-dilon par ye shab-e-gham ka tasallut mayus na ho aur koi dam hai miri jaan ye teri tavajjoh ka hai ejaaz ki mujh se har shakhs tire shahr ka barham hai miri jaan ai nuz.hat-e-mahtab tira gham hai miri ziist ai nazish-e-khurshid tira gham hai miri jaan afsos tumhen car ke shishe ka hua hai parva nahin ik maan ka jo dil TuuT gaya hai hota hai asar tum pe kahan nala-e-gham ka barham jo hui bazm-e-tarab is ka gila hai fir.aun bhi namrud bhi guzre hain jahan men rahta hai yahan kaun yahan kaun raha hai tum zulm kahan tak tah-e-aflak karoge ye baat na bhulo ki hamara bhi khuda hai azadi-e-insan ke vahin phuul khilenge jis ja pe zahir aaj tira khuun gira hai ta-chand rahegi ye shab-e-gham ki siyahi rasta koi suraj ka kahin rok saka hai tu aaj ka sha.ir hai to kar meri tarah baat jaise mire honTon pe mire dil ki sada hai apnon ne vo ranj diye hain begane yaad aate hain dekh ke us basti ki halat virane yaad aate hain us nagri men qadam qadam pe sar ko jhukana paDta hai us nagri men qadam qadam par but-khane yaad aate hain ankhen pur-nam ho jaati hain ghurbat ke sahraon men jab us rim-jhim ki vaadi ke afsane yaad aate hain aise aise dard mile hain na.e dayaron men ham ko bichhDe hue kuchh log purane yarane yaad aate hain jin ke karan aaj hamare haal pe duniya hasti hai kitne zalim chehre jaane pahchane yaad aate hain yuun na luTi thi galiyon daulat apne ashkon ki rote hain to ham ko apne gham-khane yaad aate hain koi to parcham le kar nikle apne gareban ka 'jalib' charon janib sannaTa hai divane yaad aate hain aur sab bhuul ga.e harf-e-sadaqat likhna rah gaya kaam hamara hi baghavat likhna laakh kahte rahen zulmat ko na zulmat likhna ham ne sikha nahin pyare ba-ijazat likhna na sile ki na sata.ish ki tamanna ham ko haq men logon ke hamari to hai aadat likhna ham ne jo bhuul ke bhi shah ka qasida na likha shayad aaya isi khubi ki badaulat likhna is se baDh kar miri tahsin bhala kya hogi paDh ke na-khush hain mira sahab-e-sarvat likhna dahr ke gham se hua rabt to ham bhuul ga.e sarv qamat ko javani ko qayamat likhna kuchh bhi kahte hain kahin shah ke musahib 'jalib' rang rakhna yahi apna isi surat likhna baten to kuchh aisi hain ki khud se bhi na ki jaa.en socha hai khamoshi se har ik zahr ko pi jaa.en apna to nahin koi vahan puchhne vaala us bazm men jaana hai jinhen ab to vahi jaa.en ab tujh se hamen koi ta.alluq nahin rakhna achchha ho ki dil se tiri yaden bhi chali jaa.en ik umr uTha.e hain sitam ghair ke ham ne apnon ki to ik pal bhi jafa.en na sahi jaa.en 'jalib' gham-e-dauran ho ki yad-e-rukh-e-janan tanha mujhe rahne den mire dil se sabhi jaa.en baDe bane the 'jalib' sahab piTe saDak ke biich goli khaa.i laThi khaa.i gire saDak ke biich kabhi gireban chaak hua aur kabhi hua dil khuun hamen to yunhi mile sukhan ke sile saDak ke biich jism pe jo zakhmon ke nishan hain apne tamghe hain mili hai aisi daad vafa ki kise saDak ke biich bahut raushan hai sham-e-gham hamari kisi ki yaad hai hamdam hamari ghalat hai la-ta.alluq hain chaman se tumhare phuul aur shabnam hamari ye palkon par na.e aansu nahin hain azal se aankh hai pur-nam hamari har ik lab par tabassum dekhne ki tamanna kab hui hai kam hamari kahi hai ham ne khud se bhi bahut kam na puchho dastan-e-gham hamari baTe rahoge to apna yunhi bahega lahu hue na ek to manzil na ban sakega lahu ho kis ghamanD men ai lakht lakht dida-varo tumhen bhi qatil-e-mehnat-kashan kahega lahu isi tarah se agar tum ana-parast rahe khud apna rah-numa aap hi banega lahu suno tumhare gareban bhi nahin mahfuz Daro tumhara bhi ik din hisab lega lahu agar na ahd kiya ham ne ek hone ka ghanim sab ka yunhi bechta rahega lahu kabhi kabhi mire bachche bhi mujh se puchhte hain kahan tak aur tu khushk apna hi karega lahu sada kaha yahi main ne qarib-tar hai vo duur ki jis men koi hamara na pi sakega lahu bhula bhi de use jo baat ho ga.i pyare na.e charagh jala raat ho ga.i pyare tiri nigah-e-pasheman ko kaise dekhunga kabhi jo tujh se mulaqat ho ga.i pyare na teri yaad na duniya ka gham na apna khayal ajiib surat-e-halat ho ga.i pyare udaas udaas hain sham.en bujhe bujhe saghar ye kaisi sham-e-kharabat ho ga.i pyare vafa ka naam na lega koi zamane men ham ahl-e-dil ko agar maat ho ga.i pyare tumhen to naaz bahut doston pe tha 'jalib' alag-thalag se ho kya baat ho ga.i pyare chuur tha zakhmon se dil zakhmi jigar bhi ho gaya us ko rote the ki suuna ye nagar bhi ho gaya log usi surat pareshan hain jidhar bhi dekhiye aur vo kahte hain koh-e-gham to sar bhi ho gaya bam-o-dar par hai musallat aaj bhi sham-e-alam yuun to in galiyon se khurshid-e-sahar bhi ho gaya us sitamgar ki haqiqat ham pe zahir ho ga.i khatm khush-fahmi ki manzil ka safar bhi ho gaya darakht suukh ga.e ruk ga.e nadi naale ye kis nagar ko ravana hue hain ghar vaale kahaniyan jo sunate the ahd-e-rafta ki nishan vo gardish-e-ayyam ne miTa Daale main shahr shahr phira huun isi tamanna men kisi ko apna kahun koi mujh ko apna le sada na de kisi mahtab ko andheron men laga na de ye zamana zaban par taale koi kiran hai yahan to koi kiran hai vahan dil o nigah ne kis darja rog hain paale hamin pe un ki nazar hai hamin pe un ka karam ye aur baat yahan aur bhi hain dil vaale kuchh aur tujh pe khulengi haqiqaten 'jalib' jo ho sake to kisi ka fareb bhi kha le dil-e-pur-shauq ko pahlu men daba.e rakkha tujh se bhi ham ne tira pyaar chhupa.e rakkha chhoD is baat ko ai dost ki tujh se pahle ham ne kis kis ko khayalon men basa.e rakkha ghair mumkin thi zamane ke ghamon se fursat phir bhi ham ne tira gham dil men basa.e rakkha phuul ko phuul na kahte so use kya kahte kya hua ghair ne collar pe saja.e rakkha jaane kis haal men hain kaun se shahron men hain vo zindagi apni jinhen ham ne bana.e rakkha haa.e kya log the vo log pari-chehra log ham ne jin ke liye duniya ko bhula.e rakkha ab milen bhi to na pahchan saken ham un ko jin ko ik umr khayalon men basa.e rakkha dil ki baat labon par la kar ab tak ham dukh sahte hain ham ne suna tha is basti men dil vaale bhi rahte hain biit gaya savan ka mahina mausam ne nazren badlin lekin in pyasi ankhon se ab tak aansu bahte hain ek hamen avara kahna koi baDa ilzam nahin duniya vaale dil valon ko aur bahut kuchh kahte hain jin ki khatir shahr bhi chhoDa jin ke liye badnam hue aaj vahi ham se begane begane se rahte hain vo jo abhi is rahguzar se chak-gareban guzra tha us avara divane ko 'jalib' 'jalib' kahte hain dil par jo zakhm hain vo dikha.en kisi ko kya apna sharik-e-dard bana.en kisi ko kya har shakhs apne apne ghamon men hai mubtala zindan men apne saath rula.en kisi ko kya bichhDe hue vo yaar vo chhoDe hue dayar rah rah ke ham ko yaad jo aa.en kisi ko kya rone ko apne haal pe tanha.i hai bahut us anjuman men khud pe hansa.en kisi ko kya vo baat chheD jis men jhalakta ho sab ka gham yaden kisi ki tujh ko sata.en kisi ko kya so.e hue hain log to honge sukun se ham jagne ka rog laga.en kisi ko kya 'jalib' na aa.ega koi ahval puchhne den shahr-e-be-hisan men sada.en kisi ko kya dil vaalo kyuun dil si daulat yuun be-kar luTate ho kyuun is andhiyari basti men pyaar ki jot jagate ho tum aisa nadan jahan men koi nahin hai koi nahin phir in galiyon men jaate ho pag pag Thokar khate ho sundar kaliyo komal phulo ye to batao ye to kaho akhir tum men kya jaadu hai kyuun man men bas jaate ho ye mausam rim-jhim ka mausam ye barkha ye mast faza aise men aao to janen aise men kab aate ho ham se ruuTh ke jaane vaalo itna bhed bata jaao kyuun nit raato ko sapnon men aate ho man jaate ho chand-sitaron ke jhurmuT men phulon ki muskahaT men tum chhup-chhup kar hanste ho tum ruup ka maan baDhate ho chalte phirte raushan raste tariki men Duub ga.e so jaao ab 'jalib' tum bhi kyuun ankhen sulgate ho dushmanon ne jo dushmani ki hai doston ne bhi kya kami ki hai khamushi par hain log zer-e-itab aur ham ne to baat bhi ki hai mutma.in hai zamir to apna baat saari zamir hi ki hai apni to dastan hai bas itni gham uTha.e hain sha.eri ki hai ab nazar men nahin hai ek hi phuul fikr ham ko kali kali ki hai pa sakenge na umr bhar jis ko justuju aaj bhi usi ki hai jab mah-o-mahr bujh ga.e 'jalib' ham ne ashkon se raushni ki hai 'faiz' aur 'faiz' ka gham bhulne vaala hai kahin maut ye tera sitam bhulne vaala hai kahin ham se jis vaqt ne vo shah-e-sukhan chhin liya ham ko vo vaqt-e-alam bhulne vaala hai kahin tire ashk aur bhi chamka.engi yaden us ki ham ko vo dida-e-nam bhulne vaala hai kahin kabhi zindan men kabhi duur vatan se ai dost jo kiya us ne raqam bhulne vaala hai kahin akhiri baar use dekh na paa.e 'jalib' ye muqaddar ka sitam bhulne vaala hai kahin ham ne dil se tujhe sada maana tu baDa tha tujhe baDa maana 'mir'-o-'ghalib' ke ba.ad 'anis' ke ba.ad tujh ko maana baDa baja maana tu ki divana-e-sadaqat tha tu ne bande ko kab khuda maana tujh ko parva na thi zamane ki tu ne dil hi ka har kaha maana tujh ko khud pe tha e'timad itna khud hi ko to na rahnuma maana ki na shab ki kabhi pazira.i sub.h ko la.eq-e-sana maana hans diya sat.h-e-zehn-e-alam par jab kisi baat ka bura maana yuun to sha.ir the aur bhi ai 'josh' ham ne tujh sa na dusra maana hujum dekh ke rasta nahin badalte ham kisi ke Dar se taqaza nahin badalte ham hazar zer-e-qadam rasta ho kharon ka jo chal paDen to irada nahin badalte ham isi liye to nahin mo'tabar zamane men ki rang-e-surat-e-duniya nahin badalte ham hava ko dekh ke 'jalib' misal-e-ham-asran baja ye zom hamara nahin badalte ham ik shakhs ba-zamir mira yaar 'mus.hafi' meri tarah vafa ka parastar 'mus.hafi' rahta tha kaj-kulah amiron ke darmiyan yaksar liye hue mira kirdar 'mus.hafi' dete hain daad ghair ko kab ahl-e-lucknow kab daad ka tha un se talabgar 'mus.hafi' na-qadri-e-jahan se ka.i baar aa ke tang ik umr sher se raha bezar 'mus.hafi' darbar men tha baar kahan us gharib ko barson misal-e-'mir' phira khvar 'mus.hafi' main ne bhi us gali men guzari hai ro ke umr milta hai us gali men kise pyaar 'mus.hafi' is shahr-e-kharabi men gham-e-ishq ke maare zinda hain yahi baat baDi baat hai pyare ye hansta hua chand ye pur-nur sitare tabinda o pa.inda hain zarron ke sahare hasrat hai koi ghuncha hamen pyaar se dekhe arman hai koi phuul hamen dil se pukare har sub.h miri sub.h pe roti rahi shabnam har raat miri raat pe hanste rahe taare kuchh aur bhi hain kaam hamen ai gham-e-janan kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanvare jagne vaalo ta-ba-sahar khamosh raho kal kya hoga kis ko khabar khamosh raho kis ne sahar ke paanv men zanjiren Dalin ho ja.egi raat basar khamosh raho shayad chup rahne men izzat rah jaa.e chup hi bhali ai ahl-e-nazar khamosh raho qadam qadam par pahre hain in rahon men dar-o-rasan ka hai ye nagar khamosh raho yuun bhi kahan be-tabi-e-dil kam hoti hai yuun bhi kahan aram magar khamosh raho sher ki baten khatm huiin is aalam men kaisa 'josh' aur kis ka 'jigar' khamosh raho jhuTi khabren ghaDne vaale jhuTe sher sunane vaale logo sabr ki apne kiye ki jald saza hain paane vaale dard ankhon se bahta hai aur chehra sab kuchh kahta hai ye mat likkho vo mat likkho aa.e baDe samjhane vaale khud kaTenge apni mushkil khud pa.enge apni manzil rahzanon se bhi bad-tar hain rah-numa kahlane vaale un se pyaar kiya hai ham ne un ki raah men ham baiThe hain na-mumkin hai jin ka milna aur nahin jo aane vaale un par bhi hansti thi duniya avazen kasti thi duniya 'jalib' apni hi surat the ishq men jaan se jaane vaale jivan mujh se main jivan se sharmata huun mujh se aage jaane vaalo men aata huun jin ki yadon se raushan hain meri ankhen dil kahta hai un ko bhi main yaad aata huun sur se sanson ka naata hai toDun kaise tum jalte ho kyuun jiita huun kyuun gaata huun tum apne daman men sitare baiTh kar Tanko aur main na.e baran lafzon ko pahnata huun jin khvabon ko dekh ke main ne jiina sikha un ke aage har daulat ko Thukrata huun zahr ugalte hain jab mil kar duniya vaale miThe bolon ki vaadi men kho jaata huun 'jalib' mere sher samajh men aa jaate hain isi liye kam-rutba sha.er kahlata huun kabhi to mehrban ho kar bula len ye mahvash ham faqiron ki dua len na jaane phir ye rut aa.e na aa.e javan phulon ki kuchh khushbu chura len bahut ro.e zamane ke liye ham zara apne liye aansu baha len ham un ko bhulne vaale nahin hain samajhte hain gham-e-dauran ki chalen hamari bhi sambhal ja.egi halat vo pahle apni zulfen to sambhalen nikalne ko hai vo mahtab ghar se sitaron se kaho nazren jhuka len ham apne raste par chal rahe hain janab-e-shaikh apna rasta len zamana to yunhi ruTha rahega chalo 'jalib' unhen chal kar mana len kahin aah ban ke lab par tira naam aa na jaa.e tujhe bevafa kahun main vo maqam aa na jaa.e zara zulf ko sambhalo mira dil dhaDak raha hai koi aur ta.ir-e-dil tah-e-dam aa na jaa.e jise sun ke TuuT jaa.e mira aarzu bhara dil tiri anjuman se mujh ko vo payam aa na jaa.e vo jo manzilon pe la kar kisi ham-safar ko luTen unhin rahzanon men tera kahin naam aa na jaa.e isi fikr men hain ghaltan ye nizam-e-zar ke bande jo tamam-e-zindagi hai vo nizam aa na jaa.e ye mah o nujum hans len mire ansuon pe 'jalib' mira mahtab jab tak lab-e-bam aa na jaa.e kam purana bahut naya tha firaq ik ajab ramz-ashna tha firaq duur vo kab hua nigahon se dhaDkanon men basa hua hai firaq sham-e-gham ke sulagte sahra men ik umanDti hui ghaTa tha firaq amn tha pyaar tha mohabbat tha rang tha nuur tha nava tha firaq fasle nafraton ke miT jaa.en pyaar hi pyaar sochta tha firaq ham se ranj-o-alam ke maron ko kis mohabbat se dekhta tha firaq ishq insaniyat se tha us ko har ta.assub se mavara tha firaq kaun bata.e kaun sujha.e kaun se des sidhar ga.e un ka rasta takte takte nain hamare haar ga.e kanTon ke dukh sahne men taskin bhi thi aram bhi tha hansne vaale bhole-bhale phuul chaman ke maar ga.e ek lagan ki baat hai jivan ek lagan hi jivan hai puchh na kya khoya kya paaya kya jiite kya haar ga.e aane vaali barkha dekhen kya dikhla.e ankhon ko ye barkha barsate din to bin piritam be-kar ga.e jab bhi lauTe pyaar se lauTe phuul na pa kar gulshan men bhanvre amrit ras ki dhun men pal pal sau sau baar ga.e ham se puchho sahil vaalo kya biiti dukhiyaron par khevan-hare biich bhanvar men chhoD ke jab us paar ga.e khuub azadi-e-sahafat hai nazm likhne pe bhi qayamat hai da.ava jamhuriyat ka hai har-an ye hukumat bhi kya hukumat hai dhandli dhons ki hai paidavar sab ko ma.alum ye haqiqat hai khauf ke zehn-o-dil pe saa.e hain kis ki izzat yahan salamat hai kabhi jamhuriyat yahan aa.e yahi 'jalib' hamari hasrat hai kuchh log khayalon se chale jaa.en to so.en biite hue din raat na yaad aa.en to so.en chehre jo kabhi ham ko dikha.i nahin denge aa aa ke tasavvur men na taDpa.en to so.en barsat ki rut ke vo tarab-rez manazir siine men na ik aag si bhaDka.en to so.en sub.hon ke muqaddar ko jagate hue mukhDe anchal jo nigahon men na lahra.en to so.en mahsus ye hota hai abhi jaag rahe hain lahore ke sab yaar bhi so jaa.en to so.en log giton ka nagar yaad aaya aaj pardes men ghar yaad aaya jab chale aa.e chaman-zar se ham iltifat-e-gul-e-tar yaad aaya teri begana-nigahi sar-e-sham ye sitam ta-ba-sahar yaad aaya ham zamane ka sitam bhuul ga.e jab tira lutf-e-nazar yaad aaya to bhi masrur tha is shab sar-e-bazm apne sheron ka asar yaad aaya phir hua dard-e-tamanna bedar phir dil-e-khak-basar yaad aaya ham jise bhuul chuke the 'jalib' phir vahi rahguzar yaad aaya 'mir'-o-'ghalib' bane 'yagana' bane aadmi ai khuda khuda na bane maut ki dastaras men kab se hain zindagi ka koi bahana bane apna shayad yahi tha jurm ai dost ba-vafa ban ke be-vafa na bane ham pe ik e'tiraz ye bhi hai be-nava ho ke be-nava na bane ye bhi apna qusur kya kam hai kisi qatil ke ham-nava na bane kya gila sang-dil zamane ka ashna hi jab ashna na bane chhoD kar us gali ko ai 'jalib' ik haqiqat se ham fasana bane na Dagmaga.e kabhi ham vafa ke raste men charagh ham ne jala.e hava ke raste men kise laga.e gale aur kahan kahan Thahre hazar ghuncha-o-gul hain saba ke raste men khuda ka naam koi le to chaunk uThte hain mile hain ham ko vo rahbar khuda ke raste men kahin salasil-e-tasbih aur kahin zunnar bichhe hain daam bahut mudda.a ke raste men abhi vo manzil-e-fikr-o-nazar nahin aa.i hai aadmi abhi jurm o saza ke raste men hain aaj bhi vahi dar-o-rasan vahi zindan har ik nigah-e-rumuz-ashna ke raste men ye nafraton ki fasilen jahalaton ke hisar na rah sakenge hamari sada ke raste men miTa sake na koi sail-e-inqalab jinhen vo naqsh chhoDe hain ham ne vafa ke raste men zamana ek sa 'jalib' sada nahin rahta chalenge ham bhi kabhi sar uTha ke raste men phir dil se aa rahi hai sada us gali men chal shayad mile ghazal ka pata us gali men chal kab se nahin hua hai koi sher kaam ka ye sher ki nahin hai faza us gali men chal vo baam o dar vo log vo rusva.iyon ke zakhm hain sab ke sab aziiz juda us gali men chal us phuul ke baghair bahut ji udaas hai mujh ko bhi saath le ke saba us gali men chal duniya to chahti hai yunhi fasle rahen duniya ke mashvaron pe na ja us gali men chal be-nur o be-asar hai yahan ki sada-e-saz tha us sukut men bhi maza us gali men chal 'jalib' pukarti hain vo shola-nava.iyan ye sard rut ye sard hava us gali men chal phir kabhi lauT kar na a.enge ham tira shahr chhoD ja.enge dur-uftada bastiyon men kahin teri yadon se lau laga.enge sham-e-mah-o-nujum gul kar ke ansuon ke diye jala.enge akhiri baar ik ghazal sun lo akhiri baar ham suna.enge surat-e-mauja-e-hava 'jalib' saari duniya ki khaak uDa.enge sher hota hai ab mahinon men zindagi Dhal ga.i mashinon men pyaar ki raushni nahin milti un makanon men un makinon men dekh kar dosti ka haath baDhao saanp hote hain astinon men qahr ki aankh se na dekh in ko dil dhaDakte hain abginon men asmanon ki khair ho yarab ik naya azm hai zaminon men vo mohabbat nahin rahi 'jalib' ham-safiron men ham-nashinon men sher se sha.iri se Darte hain kam-nazar raushni se Darte hain log Darte hain dushmani se tiri ham tiri dosti se Darte hain dahr men ah-e-be-kasan ke siva aur ham kab kisi se Darte hain ham ko ghairon se Dar nahin lagta apne ahbab hi se Darte hain davar-e-hashr bakhsh de shayad haan magar maulvi se Darte hain ruThta hai to ruuTh jaa.e jahan un ki ham be-rukhi se Darte hain har qadam par hai mohtasib 'jalib' ab to ham chandni se Darte hain tire mathe pe jab tak bal raha hai ujala aankh se ojhal raha hai samate kya nazar men chand taare tasavvur men tira anchal raha hai tiri shan-e-taghaful ko khabar kya koi tere liye be-kal raha hai shikayat hai gham-e-dauran ko mujh se ki dil men kyuun tira gham pal raha hai ta.ajjub hai sitam ki andhiyon men charagh-e-dil abhi tak jal raha hai lahu ro.engi maghrib ki faza.en baDi tezi se suraj Dhal raha hai zamana thak gaya 'jalib' hi tanha vafa ke raste par chal raha hai tum se pahle vo jo ik shakhs yahan takht-nashin tha us ko bhi apne khuda hone pe itna hi yaqin tha koi Thahra ho jo logon ke muqabil to batao vo kahan hain ki jinhen naaz bahut apne ta.iin tha aaj so.e hain tah-e-khak na jaane yahan kitne koi shola koi shabnam koi mahtab-jabin tha ab vo phirte hain isi shahr men tanha liye dil ko ik zamane men mizaj un ka sar-e-arsh-e-barin tha chhoDna ghar ka hamen yaad hai 'jalib' nahin bhule tha vatan zehn men apne koi zindan to nahin tha us ne jab hans ke namaskar kiya mujh ko insan se autar kiya dasht-e-ghurbat men dil-e-viran ne yaad jamuna ko ka.i baar kiya pyaar ki baat na puchho yaaro ham ne kis kis se nahin pyaar kiya kitni khvabida tamannaon ko us ki avaz ne bedar kiya ham pujari hain buton ke 'jalib' ham ne ka.abe men bhi iqrar kiya us ra.unat se vo jiite hain ki marna hi nahin takht par baiThe hain yuun jaise utarna hi nahin yuun mah-o-anjum ki vaadi men uDe phirte hain vo khaak ke zarron pe jaise paanv dharna hi nahin un ka da.ava hai ki suraj bhi unhi ka hai ghulam shab jo ham par aa.i hai us ko guzarna hi nahin kya ilaaj us ka agar ho mudda.a un ka yahi ehtimam rang-o-bu gulshan men karna hi nahin zulm se hain barsar-e-paikar azadi-pasand un pahaDon men jahan par koi jharna hi nahin dil bhi un ke hain siyah khurak-e-zindan ki tarah un se apna gham bayan ab ham ko karna hi nahin intiha kar len sitam ki log abhi hain khvab men jaag uTThe jab log to un ko Thaharna hi nahin vahi halat hain faqiron ke din phire hain faqat vaziron ke apna halqa hai halqa-e-zanjir aur halqe hain sab amiron ke har bilaval hai des ka maqruz paanv nange hain benaziron ke vahi ahl-e-vafa ki surat-e-hal vaare nyare hain be-zamiron ke sazishen hain vahi khilaf-e-avam mashvare hain vahi mushiron ke beDiyan samraj ki hain vahi vahi din-rat hain asiron ke vatan ko kuchh nahin khatra nizam-e-zar hai khatre men haqiqat men jo rahzan hai vahi rahbar hai khatre men jo baiTha hai saf-e-matam bichha.e marg-e-zulmat par vo nauhagar hai khatre men vo danish-var hai khatre men agar tashvish lahaq hai to sultanon ko lahaq hai na tera ghar hai khatre men na mera ghar hai khatre men jahan 'iqbal' bhi nazr-e-khat-e-tansikh ho 'jalib' vahan tujh ko shikayat hai tira jauhar hai khatre men vo dekhne mujhe aana to chahta hoga magar zamane ki baton se Dar gaya hoga use tha shauq bahut mujh ko achchha rakhne ka ye shauq auron ko shayad bura laga hoga kabhi na hadd-e-adab se baDhe the diida o dil vo mujh se kis liye kisi baat par khafa hoga mujhe guman hai ye bhi yaqin ki had tak kisi se bhi na vo meri tarah mila hoga kabhi kabhi to sitaron ki chhanv men vo bhi mire khayal men kuchh der jagta hoga vo us ka saada o ma.asum valehana-pan kisi bhi jug men koi devta bhi kya hoga nahin vo aaya to 'jalib' gila na kar us ka na-jane kya use darpesh mas.ala hoga ye aur baat teri gali men na aa.en ham lekin ye kya ki shahr tira chhoD jaa.en ham muddat hui hai ku-e-butan ki taraf ga.e avargi se dil ko kahan tak bacha.en ham shayad ba-qaid-e-zist ye saa.at na aa sake tum dastan-e-shauq suno aur suna.en ham be-nur ho chuki hai bahut shahr ki faza tarik raston men kahin kho na jaa.en ham us ke baghair aaj bahut ji udaas hai 'jalib' chalo kahin se use DhunDh laa.en ham ye jo shab ke aivanon men ik halchal ik hashr bapa hai ye jo andhera simaT raha hai ye jo ujala phail raha hai ye jo har dukh sahne vaala dukh ka mudava jaan gaya hai mazlumon majburon ka gham ye jo mire sheron men Dhala hai ye jo mahak gulshan gulshan hai ye jo chamak aalam aalam hai marxism hai marxism hai marxism hai marxism hai ye soch kar na ma.il-e-fariyad ham hue abad kab hue the ki barbad ham hue hota hai shad-kam yahan kaun ba-zamir nashad ham hue to bahut shaad ham hue parvez ke jalal se Takra.e ham bhi hain ye aur baat hai ki na farhad ham hue kuchh aaise bha ga.e hamen duniya ke dard-o-gham ku-e-butan men bhuli hui yaad ham hue 'jalib' tamam umr hamen ye guman raha us zulf ke khayal se azad ham hue yuun vo zulmat se raha dast-o-gareban yaaro us se larzan the bahut shab ke nigahban yaaro us ne har-gam diya hausla-e-taza hamen vo na ik pal bhi raha ham se gurezan yaaro us ne maani na kabhi tirgi-e-shab se shikast dil andheron men raha us ka farozan yaaro us ko har haal men jiine ki ada aati thi vo na halat se hota tha pareshan yaaro us ne batil se na ta-zist kiya samjhauta dahr men us sa kahan sahab-e-iman yaaro us ko thi kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat us sa hindu na koi us sa musalman yaaro us ne sulatani-e-jamhur ke naghme likkhe ruuh shahon ki rahi us se pareshan yaaro apne ash.ar ki sham.on se ujala kar ke kar gaya shab ka safar kitna vo asan yaaro us ke giton se zamane ko sanvaren yaaro ruh-e-'sahir' ko agar karna hai shadan yaaro zarre hi sahi koh se Takra to ga.e ham dil le ke sar-e-arsa-e-gham aa to ga.e ham ab naam rahe ya na rahe ishq men apna rudad-e-vafa daar pe dohra to ga.e ham kahte the jo ab koi nahin jaan se guzarta lo jaan se guzar kar unhen jhuTla to ga.e ham jaan apni ganva kar kabhi ghar apna jala kar dil un ka har ik taur se bahla to ga.e ham kuchh aur hi aalam tha pas-e-chehra-e-yaran rahta jo yunhi raaz use pa to ga.e ham ab soch rahe hain ki ye mumkin hi nahin hai phir un se na milne ki qasam kha to ga.e ham uTThen ki na uTThen ye raza un ki hai 'jalib' logon ko sar-e-dar nazar aa to ga.e ham aa.e kya kya yaad nazar jab paDti in dalanon par us ka kaghaz chipka dena ghar ke raushan-danon par aaj bhi jaise shane par tum haath mire rakh deti ho chalte chalte ruk jaata huun saari ki dukanon par barkha ki to baat hi chhoDo chanchal hai purva.i bhi jaane kis ka sabz dupaTTa phenk ga.i hai dhanon par shahr ke tapte fuTpathon par gaanv ke mausam saath chalen buDhe bargad haath sa rakh den mere jalte shanon par saste damon le to aate lekin dil tha bhar aaya jaane kis ka naam khuda tha pital ke gul-danon par us ka kya man-bhed bata.un us ka kya andaz kahun baat bhi meri sunna chahe haath bhi rakkhe kanon par aur bhi siina kasne lagta aur kamar bal kha jaati jab bhi us ke paanv phisalne lagte the Dhalvanon par sher to un par likkhe lekin auron se mansub kiye un ko kya kya ghussa aaya nazmon ke unvanon par yaaro apne ishq ke qisse yuun bhi kam mash.hur nahin kal to shayad novel likkhe jaa.en in rumanon par aahaT si koi aa.e to lagta hai ki tum ho saaya koi lahra.e to lagta hai ki tum ho jab shakh koi haath lagate hi chaman men sharma.e lachak jaa.e to lagta hai ki tum ho sandal se mahakti hui pur-kaif hava ka jhonka koi Takra.e to lagta hai ki tum ho oDhe hue taron ki chamakti hui chadar naddi koi bal khaa.e to lagta hai ki tum ho jab raat ga.e koi kiran mere barabar chup-chap si so jaa.e to lagta hai ki tum ho aaj muddat men vo yaad aa.e hain dar o divar pe kuchh saa.e hain abginon se na Takra paa.e kohsaron se to Takra.e hain zindagi tere havadis ham ko kuchh na kuchh raah pe le aa.e hain sang-rezon se khazaf-paron se kitne hiire kabhi chun laa.e hain itne mayus to halat nahin log kis vaste ghabra.e hain un ki janib na kisi ne dekha jo hamen dekh ke sharma.e hain ankhen chura ke ham se bahar aa.e ye nahin hisse men apne sirf ghubar aa.e ye nahin ku-e-gham-e-hayat men sab umr kaaT di thoDa sa vaqt vaan bhi guzar aa.e ye nahin khud ishq qurb-e-jism bhi hai qurb-e-jan ke saath ham duur hi se un ko pukar aa.e ye nahin ankhon men dil khule hon to mausam ki qaid kya fasl-e-bahar hi men bahar aa.e ye nahin ab kya karen ki husn jahan hai aziiz hai tere siva kisi pe na pyaar aa.e ye nahin va.adon ko khun-e-dil se likho tab to baat hai kaghaz pe qismaton ko sanvar aa.e ye nahin kuchh roz aur kal ki muravvat men kaaT len dil ko yaqin-e-va.ada-e-yar aa.e ye nahin achchha hai un se koi taqaza kiya na jaa.e apni nazar men aap ko rusva kiya na jaa.e ham hain tira khayal hai tera jamal hai ik pal bhi apne aap ko tanha kiya na jaa.e uThne ko uTh to jaa.en tiri anjuman se ham par teri anjuman ko bhi suuna kiya na jaa.e un ki ravish juda hai hamari ravish juda ham se to baat baat pe jhagDa kiya na jaa.e har-chand e'tibar men dhoke bhi hain magar ye to nahin kisi pe bharosa kiya na jaa.e lahja bana ke baat karen un ke samne ham se to is tarah ka tamasha kiya na jaa.e in.aam ho khitab ho vaise mile kahan jab tak sifarishon ko ikaTTha kiya na jaa.e is vaqt ham se puchh na gham rozgar ke ham se har ek ghunT ko kaDva kiya na jaa.e ai dard-e-ishq tujh se mukarne laga huun main mujh ko sambhal had se guzarne laga huun main pahle haqiqaton hi se matlab tha aur ab ek aadh baat farz bhi karne laga huun main har aan TuTte ye aqidon ke silsile lagta hai jaise aaj bikharne laga huun main ai chashm-e-yar mera sudharna muhal tha tera kamal hai ki sudharne laga huun main ye mehr-o-mah arz-o-sama mujh men kho ga.e ik ka.enat ban ke ubharne laga huun main itnon ka pyaar mujh se sambhala na ja.ega logo tumhare pyaar se Darne laga huun main dilli kahan ga.iin tire kuchon ki raunaqen galiyon se sar jhuka ke guzarne laga huun main ash.ar mire yuun to zamane ke liye hain kuchh sher faqat un ko sunane ke liye hain ab ye bhi nahin Thiik ki har dard miTa den kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain socho to baDi chiiz hai tahzib badan ki varna ye faqat aag bujhane ke liye hain ankhon men jo bhar loge to kanTon se chubhenge ye khvab to palkon pe sajane ke liye hain dekhun tire hathon ko to lagta hai tire haath mandir men faqat diip jalane ke liye hain ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben ik shakhs ki yadon ko bhulane ke liye hain bahut dil kar ke honTon ki shagufta tazgi di hai chaman manga tha par us ne ba-mushkil ik kali di hai mire khalvat-kade ke raat din yunhi nahin sanvre kisi ne dhuup bakhshi hai kisi ne chandni di hai nazar ko sabz maidanon ne kya kya vus.aten bakhshin pighalte absharon ne hamen dariya-dili di hai mohabbat na-rava taqsim ki qaa.el nahin phir bhi miri ankhon ko aansu tere honTon ko hansi di hai miri avargi bhi ik karishma hai zamane men har ik darvesh ne mujh ko dua-e-khair hi di hai kahan mumkin tha koi kaam ham jaise divanon se tumhin ne giit likhva.e tumhin ne sha.iri di hai chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat ga.e kaun deta hai ye galiyon men sada raat ga.e ye haqa.eq ki chaTanon se tarashi duniya oDh leti hai tilismon ki rida raat ga.e chubh ke rah jaati hai siine men badan ki khushbu khol deta hai koi band-e-qaba raat ga.e aao ham jism ki sham.on se ujala kar len chand nikla bhi to niklega zara raat ga.e tu na ab aa.e to kya aaj talak aati hai siDhiyon se tire qadmon ki sada raat ga.e diida o dil men koi husn bikharta hi raha laakh pardon men chhupa koi sanvarta hi raha raushni kam na hui vaqt ke tufanon men dil ke dariya men koi chand utarta hi raha raste bhar koi aahaT thi ki aati hi rahi koi saaya mire baazu se guzarta hi raha miT gaya par tiri banhon ne sameTa na mujhe shahr dar shahr main galiyon men bikharta hi raha lamha lamha rahe ankhon men andhere lekin koi suraj mire siine men ubharta hi raha dil ko har lamha bachate rahe jazbat se ham itne majbur rahe hain kabhi halat se ham nashsha-e-mai se kahin pyaas bujhi hai dil ki tishnagi aur baDha laa.e kharajat se ham aaj to mil ke bhi jaise na mile hon tujh se chaunk uThte the kabhi teri mulaqat se ham ishq men aaj bhi hai nim-nigahi ka chalan pyaar karte hain usi husn-e-rivayat se ham markaz-e-dida-e-khuban-e-jahan hain bhi to kya ek nisbat bhi to rakhte hain tiri zaat se ham ham ne kaaTi hain tiri yaad men raten aksar dil se guzri hain sitaron ki baraten aksar aur to kaun hai jo mujh ko tasalli deta haath rakh deti hain dil par tiri baten aksar husn sha.ista-e-tahzib-e-alam hai shayad gham-zada lagti hain kyuun chandni raten aksar haal kahna hai kisi se to mukhatab hai koi kitni dilchasp hua karti hain baten aksar ishq rahzan na sahi ishq ke hathon phir bhi ham ne luTti hui dekhi hain baraten aksar ham se ik baar bhi jiita hai na jitega koi vo to ham jaan ke kha lete hain maten aksar un se puchho kabhi chehre bhi paDhe hain tum ne jo kitabon ki kiya karte hain baten aksar ham ne un tund-havaon men jala.e hain charagh jin havaon ne ulaT di hain bisaten aksar ham se bhaga na karo duur ghazalon ki tarah ham ne chaha hai tumhen chahne valon ki tarah khud-ba-khud niind si ankhon men ghuli jaati hai mahki mahki hai shab-e-gham tire balon ki tarah tere bin raat ke hathon pe ye taron ke ayagh khub-surat hain magar zahr ke pyalon ki tarah aur kya is se ziyada koi narmi bartun dil ke zakhmon ko chhua hai tire galon ki tarah gungunate hue aur aa kabhi un sinon men teri khatir jo mahakte hain shivalon ki tarah teri zulfen tiri ankhen tire abru tire lab ab bhi mash.hur hain duniya men misalon ki tarah ham se mayus na ho ai shab-e-dauran ki abhi dil men kuchh dard chamakte hain ujalon ki tarah mujh se nazren to milao ki hazaron chehre meri ankhon men sulagte hain savalon ki tarah aur to mujh ko mila kya miri mehnat ka sila chand sikke hain mire haath men chhalon ki tarah justuju ne kisi manzil pe Thaharne na diya ham bhaTakte rahe avara khayalon ki tarah zindagi jis ko tira pyaar mila vo jaane ham to nakam rahe chahne valon ki tarah har ek ruuh men ik gham chhupa lage hai mujhe ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe pasand-e-khatir-e-ahl-e-vafa hai muddat se ye dil ka daagh jo khud bhi bhala lage hai mujhe jo ansuon men kabhi raat bhiig jaati hai bahut qarib vo avaz-e-pa lage hai mujhe main so bhi ja.un to kya meri band ankhon men tamam raat koi jhankta lage hai mujhe main jab bhi us ke khayalon men kho sa jaata huun vo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhe main sochta tha ki lauTunga ajnabi ki tarah ye mera gaanv to pahchanta lage hai mujhe na jaane vaqt ki raftar kya dikhati hai kabhi kabhi to baDa khauf sa lage hai mujhe bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka vajud har ek fard koi saneha lage hai mujhe ab ek aadh qadam ka hisab kya rakhiye abhi talak to vahi fasla lage hai mujhe hikayat-e-gham-e-dil kuchh kashish to rakhti hai zamana ghaur se sunta hua lage hai mujhe har ek shakhs pareshan-o-darba-dar sa lage ye shahr mujh ko to yaaro koi bhanvar sa lage ab us ke tarz-e-tajahul ko kya kahe koi vo be-khabar to nahin phir bhi be-khabar sa lage har ek gham ko khushi ki tarah baratna hai ye daur vo hai ki jiina bhi ik hunar sa lage nashat-e-sohbat-e-rindan bahut ghanimat hai ki lamha lamha pur-ashob-o-pur-khatar sa lage kise khabar hai ki duniya ka hashr kya hoga kabhi kabhi to mujhe aadmi se Dar sa lage vo tund vaqt ki rau hai ki paanv Tik na saken har aadmi koi ukhDa hua shajar sa lage jahan-e-nau ke mukammal singar ki khatir sadi sadi ka zamana bhi mukhtasar sa lage hausla kho na diya teri nahin se ham ne kitni shiknon ko chuna teri jabin se ham ne vo bhi kya din the ki divana bane phirte the sun liya tha tire baare men kahin se ham ne jis jagah pahle-pahal naam tira aata hai dastan apni suna.i hai vahin se ham ne yuun to ehsan hasinon ke uTha.e hain bahut pyaar lekin jo kiya hai to tumhin se ham ne kuchh samajh kar hi khuda tujh ko kaha hai varna kaun si baat kahi itne yaqin se ham ne jab lagen zakhm to qatil ko dua di jaa.e hai yahi rasm to ye rasm uTha di jaa.e dil ka vo haal hua hai gham-e-dauran ke tale jaise ik laash chaTanon men daba di jaa.e inhin gul-rang darichon se sahar jhankegi kyuun na khilte hue zakhmon ko dua di jaa.e kam nahin nashshe men jaaDe ki gulabi raten aur agar teri javani bhi mila di jaa.e ham se puchho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kya chand lafzon men koi aag chhupa di jaa.e jism ki har baat hai avargi ye mat kaho ham bhi kar sakte hain aisi sha.eri ye mat kaho us nazar ki us badan ki gungunahaT to suno ek si hoti hai har ik ragni ye mat kaho ham se divanon ke bin duniya sanvarti kis tarah aql ke aage hai kya divangi ye mat kaho kaT saki hain aaj tak sone ki zanjiren kahan ham bhi ab azad hain yaaro abhi ye mat kaho paanv itne tez hain uThte nazar aate nahin aaj thak kar rah gaya hai aadmi ye mat kaho jitne va.ade kal the utne aaj bhi maujud hain un ke va.adon men hui hai kuchh kami ye mat kaho dil men apne dard ki chhiTki hui hai chandni har taraf phaili hui hai tirgi ye mat kaho khud-ba-khud mai hai ki shishe men bhari aave hai kis bala ki tumhen jadu-nazari aave hai dil men dar aave hai har sub.h koi yaad aise juun dabe-panv nasim-e-sahari aave hai aur bhi zakhm hue jaate hain gahre dil ke ham to samjhe the tumhen charagari aave hai ek qatra bhi lahu jab na rahe siine men tab kahin ishq men kuchh be-jigari aave hai chak-e-daman-o-gireban ke bhi adab hain kuchh har divane ko kahan jama-dari aave hai shajar-e-ishq to mange hai lahu ke aansu tab kahin ja ke koi shakh hari aave hai tu kabhi raag kabhi rang kabhi khushbu hai kaisi kaisi na tujhe ishva-gari aave hai ap-apne ko bhulana koi asan nahin baDi mushkil se miyan be-khabari aave hai ai mire shahr-e-nigaran tira kya haal hua chappe chappe pe mire aankh bhari aave hai sahibo husn ki pahchan koi khel nahin dil lahu ho to kahin dida-vari aave hai laakh avara sahi shahron ke fuTpathon pe ham laash ye kis ki liye phirte hain in hathon pe ham ab unhin baton ko sunte hain to aati hai hansi be-tarah iman le aa.e the jin baton pe ham koi bhi mausam ho dil ki aag kam hoti nahin muft ka ilzam rakh dete barsaton pe ham zulf se chhanti hui us ke badan ki tabishen hans diya karte the aksar chandni raton pe ham ab unhen pahchante bhi sharm aati hai hamen fakhr karte the kabhi jin ki mulaqaton pe ham log kahte hain ki tu ab bhi khafa hai mujh se teri ankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se haa.e us vaqt ko kosun ki dua duun yaaro jis ne har dard mira chhin liya hai mujh se dil ka ye haal ki dhaDke hi chala jaata hai aisa lagta hai koi jurm hua hai mujh se kho gaya aaj kahan rizq ka dene vaala koi roTi jo khaDa maang raha hai mujh se ab mire qatl ki tadbir to karni hogi kaun sa raaz hai tera jo chhupa hai mujh se maana ki rang rang tira pairahan bhi hai par is men kuchh karishma-e-aks-e-badan bhi hai aql-e-ma.ash o hikmat-e-duniya ke bavajud ham ko aziiz ishq ka divana-pan bhi hai mutrib bhi tu nadim bhi tu saqiya bhi tu tu jan-e-anjuman hi nahin anjuman bhi hai baazu chhua jo tu ne to us din khula ye raaz tu sirf rang-o-bu hi nahin hai badan bhi hai ye daur kis tarah se kaTega pahaD sa yaaro batao ham men koi kohkan bhi hai mai-kashi ab miri aadat ke siva kuchh bhi nahin ye bhi ik talkh haqiqat ke siva kuchh bhi nahin fitna-e-aql ke juuya miri duniya se guzar meri duniya men mohabbat ke siva kuchh bhi nahin dil men vo shorish-e-jazbat kahan tere baghair ek khamosh qayamat ke siva kuchh bhi nahin mujh ko khud apni javani ki qasam hai ki ye ishq ik javani ki shararat ke siva kuchh bhi nahin mauj-e-gul mauj-e-saba mauj-e-sahar lagti hai sar se pa tak vo saman hai ki nazar lagti hai ham ne har gaam pe sajdon ke jala.e hain charagh ab hamen teri gali rahguzar lagti hai lamhe lamhe men basi hai tiri yadon ki mahak aaj ki raat to khushbu ka safar lagti hai jal gaya apna nasheman to koi baat nahin dekhna ye hai ki ab aag kidhar lagti hai saari duniya men gharibon ka lahu bahta hai har zamin mujh ko mire khuun se tar lagti hai koi asuda nahin ahl-e-siyasat ke siva ye sadi dushman-e-arbab-e-hunar lagti hai vaqi.a shahr men kal to koi aisa na hua ye to akhbar ke daftar ki khabar lagti hai lucknow kya tiri galiyon ka muqaddar tha yahi har gali aaj tiri khak-basar lagti hai muddat hui us jan-e-haya ne ham se ye iqrar kiya jitne bhi badnam hue ham utna us ne pyaar kiya pahle bhi khush-chashmon men ham chaukanna se rahte the teri soi ankhon ne to aur hamen hoshiyar kiya jaate jaate koi ham se achchhe rahna kah to gaya puchhe lekin puchhne vaale kis ne ye bimar kiya qatra qatra sirf hua hai ishq men apne dil ka lahu shakl dikha.i tab us ne jab ankhon ko khun-bar kiya ham par kitni baar paDe ye daure bhi tanha.i ke jo bhi ham se milne aaya milne se inkar kiya ishq men kya nuqsan nafa hai ham ko kya samjhate ho ham ne saari umr hi yaaro dil ka karobar kiya mahfil par jab niind si chha.i sab ke sab khamosh hue ham ne tab kuchh sher sunaya logon ko bedar kiya ab tum socho ab tum jaano jo chaho ab rang bharo ham ne to ik naqsha khincha ik khaka tayyar kiya desh se jab pardesh sidhare ham par ye bhi vaqt paDa nazmen chhoDi ghazlen chhoDi giton ka bevpar kiya mujhe ma.alum hai main saari duniya ki amanat huun magar vo lamha jab main sirf apna ho sa jaata huun main tum se duur rahta huun to mere saath rahti ho tumhare paas aata huun to tanha ho sa jaata huun main chahe sach hi bolun har tarah se apne baare men magar tum muskurati ho to jhuTa ho sa jaata huun tire gul-rang honTon se dahakti zindagi pi kar main pyasa aur pyasa aur pyasa ho sa jaata huun tujhe banhon men bhar lene ki khvahish yuun ubharti hai ki main apni nazar men aap rusva ho sa jaata huun ranj-o-gham mange hai andoh-o-bala mange hai dil vo mujrim hai ki khud apni saza mange hai chup hai har zakhm-e-gulu chup hai shahidon ka lahu dast-e-qatil hai jo mehnat ka sila mange hai tu bhi ik daulat-e-nayab hai par kya kahiye zindagi aur bhi kuchh tere siva mange hai khoi khoi ye nigahen ye khamida palken haath uTha.e koi jis tarah dua mange hai raas ab aa.egi ashkon ki na aahon ki faza aaj ka pyaar na.i ab-o-hava mange hai bansuri ka koi naghma na sahi chikh sahi har sukut-e-shab-e-gham koi sada mange hai laakh munkir sahi par zauq-e-parastish mera aaj bhi koi sanam koi khuda mange hai saans vaise hi zamane ki ruki jaati hai vo badan aur bhi kuchh tang qaba mange hai dil har ik haal se begana hua jaata hai ab tavajjoh na taghaful na ada mange hai sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi tum aa.e to is raat ki auqat banegi un se yahi kah aa.en ki ab ham na milenge akhir koi taqrib-e-mulaqat banegi ai navak-e-gham dil men hai ik buund lahu ki kuchh aur to kya ham se mudarat banegi ye ham se na hoga ki kisi ek ko chahen ai ishq hamari na tire saat banegi ye kya hai ki baDhte chalo baDhte chalo aage jab baiTh ke sochenge to kuchh baat banegi sub.h ke dard ko raton ki jalan ko bhulen kis ke ghar jaa.en ki is va.ada-shikan ko bhulen aaj tak choT daba.e nahin dabti dil ki kis tarah us sanam-e-sang-badan ko bhulen ab siva is ke mudava-e-gham-e-dil kya hai itni pi jaa.en ki har ranj-o-mehan ko bhulen aur tahzib-e-gham-e-ishq nibha den kuchh din akhiri vaqt men kya apne chalan ko bhulen tamam umr azabon ka silsila to raha ye kam nahin hamen jiine ka hausla to raha guzar hi aa.e kisi tarah tere divane qadam qadam pe koi sakht marhala to raha chalo na ishq hi jiita na aql haar saki tamam vaqt maze ka muqabla to raha main teri zaat men gum ho saka na tu mujh men bahut qarib the ham phir bhi fasla to raha ye aur baat ki har chheD la-ubali thi tiri nazar ka dilon se mo.amla to raha tulu-e-sub.h hai nazren uTha ke dekh zara shikast-e-zulmat-e-shab muskura ke dekh zara gham-e-bahar o gham-e-yar hi nahin sab kuchh gham-e-jahan se bhi dil ko laga ke dekh zara bahar kaun si saughat le ke aa.i hai hamare zakhm-e-tamanna tu aa ke dekh zara har ek samt se ik aftab ubhrega charagh-e-dair-o-haram to bujha ke dekh zara vajud-e-ishq ki tarikh ka pata to chale varaq ulaT ke tu arz o sama ke dekh zara mile to tu hi mile aur kuchh qubul nahin jahan men hausle ahl-e-vafa ke dekh zara tiri nazar se hai rishta mire gireban ka kidhar hai meri taraf muskura ke dekh zara tum pe kya biit ga.i kuchh to batao yaaro main koi ghair nahin huun ki chhupao yaaro in andheron se nikalne ki koi raah karo khun-e-dil se koi mish.al hi jalao yaaro ek bhi khvab na ho jin men vo ankhen kya hain ik na ik khvab to ankhon men basao yaaro bojh duniya ka uTha.unga akela kab tak ho sake tum se to kuchh haath baTao yaaro zindagi yuun to na banhon men chali aa.egi gham-e-dauran ke zara naaz uThao yaaro umr-bhar qatl hua huun main tumhari khatir akhiri vaqt to suuli na chaDhao yaaro aur kuchh der tumhen dekh ke ji luun Thahro meri balin se abhi uTh ke na jaao yaaro tumhare jashn ko jashn-e-farozan ham nahin kahte lahu ki garm bundon ko charaghan ham nahin kahte agar had se guzar jaa.e dava to ban nahin jaata kisi bhi dard ko duniya ka darman ham nahin kahte nazar ki intiha koi na dil ki intiha koi kisi bhi husn ko husn-e-faravan ham nahin kahte kisi ashiq ke shane par bikhar jaa.e to kya kahna magar is zulf ko zulf-e-pareshan ham nahin kahte na bu-e-gul mahakti hai na shakh-e-gul lachakti hai abhi apne gulistan ko gulistan ham nahin kahte baharon se junun ko har tarah nisbat sahi lekin shaguft-e-gul ko ashiq ka gareban ham nahin kahte hazaron saal biite hain hazaron saal bitenge badal ja.egi kal taqdir-e-insan ham nahin kahte tu is qadar mujhe apne qarib lagta hai tujhe alag se jo sochun ajiib lagta hai jise na husn se matlab na ishq se sarokar vo shakhs mujh ko bahut bad-nasib lagta hai hudud-e-zat se bahar nikal ke dekh zara na koi ghair na koi raqib lagta hai ye dosti ye marasim ye chahaten ye khulus kabhi kabhi mujhe sab kuchh ajiib lagta hai ufuq pe duur chamakta hua koi taara mujhe charagh-e-dayar-e-habib lagta hai ufuq agarche pighalta dikha.i paDta hai mujhe to duur savera dikha.i paDta hai hamare shahr men be-chehra log baste hain kabhi kabhi koi chehra dikha.i paDta hai chalo ki apni mohabbat sabhi ko baanT aa.en har ek pyaar ka bhuka dikha.i paDta hai jo apni zaat se ik anjuman kaha jaa.e vo shakhs tak mujhe tanha dikha.i paDta hai na koi khvab na koi khalish na koi khumar ye aadmi to adhura dikha.i paDta hai lachak rahi hain shuaon ki siDhiyan paiham falak se koi utarta dikha.i paDta hai chamakti ret pe ye ghusl-e-aftab tira badan tamam sunahra dikha.i paDta hai vo ham se aaj bhi daman-kashan chale hai miyan kisi pe zor hamara kahan chale hai miyan jahan bhi thak ke koi karvan Thaharta hai vahin se ek naya karvan chale hai miyan jo ek samt guman hai to ek samt yaqin ye zindagi to yunhi darmiyan chale hai miyan badalte rahte hain bas naam aur to kya hai hazaron saal se ik dastan chale hai miyan har ik qadam hai na.i azma.ishon ka hujum tamam umr koi imtihan chale hai miyan vahin pe ghumte rahna to koi baat nahin zamin chale hai to aage kahan chale hai miyan vo ek lamha-e-hairat ki lafz saath na den nahin chale hai na aise men haan chale hai miyan vo log hi har daur men mahbub rahe hain jo ishq men talib nahin matlub rahe hain tufan ki avaz to aati nahin lekin lagta hai safine se kahin Duub rahe hain un ko na pukaro gham-e-dauran ke laqab se jo dard kisi naam se mansub rahe hain ham bhi tiri surat ke parastar hain lekin kuchh aur bhi chehre hamen marghub rahe hain alfaz men iz.har-e-mohabbat ke tariqe khud ishq ki nazron men bhi mayub rahe hain is ahd-e-basirat men bhi naqqad hamare har ek baDe naam se mar.ub rahe hain itna bhi na ghabrao na.i tarz-e-ada se har daur men badle hue uslub rahe hain zamin hogi kisi qatil ka daman ham na kahte the akarat ja.ega khun-e-shahidan ham na kahte the ilaj-e-chak-e-pairahan hua to is tarah hoga siya ja.ega kanTon se gareban ham na kahte the tarane kuchh diye lafzon men khud ko qaid kar lenge ajab andaz se phailega zindan ham na kahte the koi itna na hoga laash bhi le ja ke dafna de inhin saDkon pe mar ja.ega insan ham na kahte the nazar lipTi hai sholon men lahu tapta hai ankhon men uTha hi chahta hai koi tufan ham na kahte the chhalakte jaam men bhigi hui ankhen utar aa.iin sata.egi kisi din yad-e-yaran ham na kahte the na.i tahzib kaise lucknow ko raas aa.egi ujaD ja.ega ye shahr-e-ghazalan ham na kahte the zara si baat pe har rasm toD aaya tha dil-e-tabah ne bhi kya mizaj paaya tha guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah abhi to main use pahchan bhi na paaya tha muaaf kar na saki meri zindagi mujh ko vo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha shagufta phuul simaT kar kali bane jaise kuchh is kamal se tu ne badan churaya tha pata nahin ki mire ba.ad un pe kya guzri main chand khvab zamane men chhoD aaya tha zindagi tujh ko bhulaya hai bahut din ham ne vaqt khvabon men ganvaya hai bahut din ham ne ab ye neki bhi hamen jurm nazar aati hai sab ke aibon ko chhupaya hai bahut din ham ne tum bhi is dil ko dukha lo to koi baat nahin apna dil aap dukhaya hai bahut din ham ne muddaton tark-e-tamanna pe lahu roya hai ishq ka qarz chukaya hai bahut din ham ne kya pata ho bhi sake is ki talafi ki nahin sha.eri tujh ko ganvaya hai bahut din ham ne zindagi ye to nahin tujh ko sanvara hi na ho kuchh na kuchh ham ne tira qarz utara hi na ho dil ko chhu jaati hai yuun raat ki avaz kabhi chaunk uThta huun kahin tu ne pukara hi na ho kabhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakir sochta huun tire anchal ka kinara hi na ho zindagi ek khalish de ke na rah ja mujh ko dard vo de jo kisi tarah gavara hi na ho sharm aati hai ki us shahr men ham hain ki jahan na mile bhiik to lakhon ka guzara hi na ho zulfen siina naaf kamar ek nadi men kitne bhanvar sadiyon sadiyon mera safar manzil manzil rahguzar kitna mushkil kitna kaThin jiine se jiine ka hunar gaanv men aa kar shahr base gaanv bichare jaa.en kidhar phunkne vaale socha bhi phailegi ye aag kidhar laakh tarah se naam tira baiTha likkhun kaghaz par chhoTe chhoTe zehn ke log ham se un ki baat na kar peT pe patthar bandh na le haath men sajte hain patthar raat ke pichhe raat chale khvab hua har khvab-e-sahar shab bhar to avara phire lauT chalen ab apne ghar aadmi vaqt par gaya hoga vaqt pahle guzar gaya hoga vo hamari taraf na dekh ke bhi koi ehsan dhar gaya hoga khud se mayus ho ke baiTha huun aaj har shakhs mar gaya hoga shaam tere dayar men akhir koi to apne ghar gaya hoga marham-e-hijr tha ajab iksir ab to har zakhm bhar gaya hoga aaj lab-e-guhar-fishan aap ne va nahin kiya tazkira-e-khajista-e-ab-o-hava nahin kiya kaise kahen ki tujh ko bhi ham se hai vasta koi tu ne to ham se aaj tak koi gila nahin kiya jaane tiri nahin ke saath kitne hi jabr the ki the main ne tire lihaz men tera kaha nahin kiya mujh ko ye hosh hi na tha tu mire bazuon men hai ya.ani tujhe abhi talak main ne riha nahin kiya tu bhi kisi ke baab men ahd-shikan ho ghaliban main ne bhi ek shakhs ka qarz ada nahin kiya haan vo nigah-e-naz bhi ab nahin majra-talab ham ne bhi ab ki fasl men shor bapa nahin kiya akhiri baar aah kar li hai main ne khud se nibah kar li hai apne sar ik bala to leni thi main ne vo zulf apne sar li hai din bhala kis tarah guzaroge vasl ki shab bhi ab guzar li hai jan-nisaron pe vaar kya karna main ne bas haath men sipar li hai jo bhi mango udhar dunga main us gali men dukan kar li hai mera kashkol kab se khali tha main ne is men sharab bhar li hai aur to kuchh nahin kiya main ne apni halat tabah kar li hai shaikh aaya tha mohtasib ko liye main ne bhi un ki vo khabar li hai aap apna ghubar the ham to yaad the yadgar the ham to pardagi ham se kyuun rakha parda tere hi parda-dar the ham to vaqt ki dhuup men tumhare liye shajar-e-saya-dar the ham to uDe jaate hain dhuul ke manind andhiyon par savar the ham to ham ne kyuun khud pe e.atibar kiya sakht be-e'tibar the ham to sharm hai apni baar baari ki be-sabab baar baar the ham to kyuun hamen kar diya gaya majbur khud hi be-ikhtiyar the ham to tum ne kaise bhula diya ham ko tum se hi musta.ar the ham to khush na aaya hamen jiye jaana lamhe lamhe pe baar the ham to sah bhi lete hamare ta.anon ko jan-e-man jan-nisar the ham to khud ko dauran-e-hal men apne be-tarah nagavar the ham to tum ne ham ko bhi kar diya barbad nadir-e-rozgar the ham to ham ko yaron ne yaad bhi na rakha 'jaun' yaron ke yaar the ham to ab kisi se mira hisab nahin meri ankhon men koi khvab nahin khuun ke ghunT pi raha huun main ye mira khuun hai sharab nahin main sharabi huun meri aas na chhin tu miri aas hai sarab nahin noch phenke labon se main ne saval taqat-e-shokhi-e-javab nahin ab to punjab bhi nahin punjab aur khud jaisa ab do-ab nahin gham abad ka nahin hai aan ka hai aur is ka koi hisab nahin budash ik ru hai ek ru ya.ani is ki fitrat men inqalab nahin ab vo ghar ik virana tha bas virana zinda tha sab ankhen dam toD chuki thiin aur main tanha zinda tha saari gali sunsan paDi thi bad-e-fana ke pahre men hijr ke dalan aur angan men bas ik saaya zinda tha vo jo kabutar us mukhe men rahte the kis des uDe ek ka naam navazinda tha aur ik ka bazinda tha vo dopahr apni rukhsat ki aisa-vaisa dhoka thi apne andar apni laash uTha.e main jhuTa zinda tha thiin vo ghar raten bhi kahani va.ade aur phir din ginna aana tha jaane vaale ko jaane vaala zinda tha dastak dene vaale bhi the dastak sunne vaale bhi tha abad mohalla saara har darvaza zinda tha piile patton ko sah-pahr ki vahshat pursa deti thi angan men ik aundhe ghaDe par bas ik kavva zinda tha abhi farman aaya hai vahan se ki haT ja.un main apne darmiyan se yahan jo hai tanaffus hi men gum hai parinde uD rahe hain shakh-e-jan se daricha baaz hai yadon ka aur main hava sunta huun peDon ki zaban se zamana tha vo dil ki zindagi ka tiri furqat ke din la.un kahan se tha ab tak ma.arka bahar ka darpesh abhi to ghar bhi jaana hai yahan se fulan se thi ghazal behtar fulan ki fulan ke zakhm achchhe the fulan se khabar kya duun main shahr-e-raftagan ki koi lauTe bhi shahr-e-raftagan se yahi anjam kya tujh ko havas tha koi puchhe to mir-e-dastan se abhi ik shor sa uTha hai kahin koi khamosh ho gaya hai kahin hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh is se pahle bhi ho chuka hai kahin tujh ko kya ho gaya ki chizon ko kahin rakhta hai DhunDhta hai kahin jo yahan se kahin na jaata tha vo yahan se chala gaya hai kahin aaj shamshan ki si bu hai yahan kya koi jism jal raha hai kahin ham kisi ke nahin jahan ke siva aisi vo khaas baat kya hai kahin tu mujhe DhunD main tujhe DhunDun koi ham men se rah gaya hai kahin kitni vahshat hai darmiyan-e-hujum jis ko dekho gaya hua hai kahin main to ab shahr men kahin bhi nahin kya mira naam bhi likha hai kahin isi kamre se koi ho ke vida.a isi kamre men chhup gaya hai kahin mil ke har shakhs se hua mahsus mujh se ye shakhs mil chuka hai kahin ai subah main ab kahan raha huun khvabon hi men sarf ho chuka huun sab mere baghair mutma.in hon main sab ke baghair ji raha huun kya hai jo badal ga.i hai duniya main bhi to bahut badal gaya huun go apne hazar naam rakh luun par apne siva main aur kya huun main jurm ka e'tiraf kar ke kuchh aur hai jo chhupa gaya huun main aur faqat usi ki khvahish akhlaq men jhuuT bolta huun ik shakhs jo mujh se vaqt le kar aaj aa na saka to khush hua huun har shakhs se be-niyaz ho ja phir sab se ye kah ki main khuda huun charke to tujhe diye hain main ne par khuun bhi main hi thukta huun roya huun to apne doston men par tujh se to hans ke hi mila huun ai shakhs main teri justuju se bezar nahin huun thak gaya huun main sham-e-sahar ka naghma-gar tha ab thak ke karahne laga huun kal par hi rakho vafa ki baten main aaj bahut bojha hua huun koi bhi nahin hai mujh se nadim bas tai ye hua ki main bura huun aish-e-ummid hi se khatra hai dil ko ab dil-dahi se khatra hai hai kuchh aisa ki us ki jalvat men hamen apni kami se khatra hai jis ke aghosh ka huun divana us ke aghosh hi se khatra hai yaad ki dhuup to hai roz ki baat haan mujhe chandni se khatra hai hai ajab kuchh mo.amla darpesh aql ko agahi se khatra hai shahr-e-ghaddar jaan le ki tujhe ek amrohvi se khatra hai hai ajab taur halat-e-girya ki mizha ko nami se khatra hai haal khush lucknow ka dilli ka bas unhen 'mus.hafi' se khatra hai asmanon men hai khuda tanha aur har aadmi se khatra hai main kahun kis tarah ye baat us se tujh ko janam mujhi se khatra hai aaj bhi ai kanar-e-ban mujhe teri ik sanvli se khatra hai un labon ka lahu na pi ja.un apni tishna-labi se khatra hai 'jaun' hi to hai 'jaun' ke darpai 'mir' ko 'mir' hi se khatra hai ab nahin koi baat khatre ki ab sabhi ko sabhi se khatra hai apna khaka lagta huun ek tamasha lagta huun a.inon ko zang laga ab main kaisa lagta huun ab main koi shakhs nahin us ka saaya lagta huun saare rishte tishna hain kya main dariya lagta huun us se gale mil kar khud ko tanha tanha lagta huun khud ko main sab ankhon men dhundla dhundla lagta huun main har lamha is ghar se jaane vaala lagta huun kya hue vo sab log ki main suuna suuna lagta huun maslahat is men kya hai meri TuuTa phuTa lagta huun kya tum ko is haal men bhi main duniya ka lagta huun kab ka rogi huun vaise shahr-e-masiha lagta huun mera taalu tar kar do sach-much pyasa lagta huun mujh se kama lo kuchh paise zinda murda lagta huun main ne sahe hain makr apne ab bechara lagta huun apne sab yaar kaam kar rahe hain aur ham hain ki naam kar rahe hain tegh-bazi ka shauq apni jagah aap to qatl-e-am kar rahe hain dad-o-tahsin ka ye shor hai kyuun ham to khud se kalam kar rahe hain ham hain masruf-e-intizam magar jaane kya intizam kar rahe hain hai vo bechargi ka haal ki ham har kisi ko salam kar rahe hain ek qattala chahiye ham ko ham ye e.alan-e-am kar rahe hain kya bhala saghar-e-sifal ki ham naf-pyale ko jaam kar rahe hain ham to aa.e the arz-e-matlab ko aur vo ehtiram kar rahe hain na uThe aah ka dhuan bhi ki vo ku-e-dil men khiram kar rahe hain us ke honTon pe rakh ke honT apne baat hi ham tamam kar rahe hain ham ajab hain ki us ke kuche men be-sabab dhum-dham kar rahe hain baDa ehsan ham farma rahe hain ki un ke khat unhen lauTa rahe hain nahin tark-e-mohabbat par vo raazi qayamat hai ki ham samjha rahe hain yaqin ka rasta tai karne vaale bahut tezi se vapas aa rahe hain ye mat bhulo ki ye lamhat ham ko bichhaDne ke liye milva rahe hain ta.ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se abhi kuchh log dhoka kha rahe hain tumhen chahenge jab chhin jaogi tum abhi ham tum ko arzan pa rahe hain kisi surat unhen nafrat ho ham se ham apne aib khud ginva rahe hain vo pagal mast hai apni vafa men miri ankhon men aansu aa rahe hain dalilon se use qaa.il kiya tha dalilen de ke ab pachhta rahe hain tiri banhon se hijrat karne vaale na.e mahaul men ghabra rahe hain ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-raham tire aansu mujhe rulva rahe hain ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko ham apna jaan kar Thukra rahe hain vafa ki yadgaren tak na hongi miri jaan bas koi din ja rahe hain bahut dil ko kushada kar liya kya zamane bhar se va.ada kar liya kya to kya sach-much juda.i mujh se kar li to khud apne ko aadha kar liya kya hunar-mandi se apni dil ka safha miri jaan tum ne saada kar liya kya jo yaksar jaan hai us ke badan se kaho kuchh istifada kar liya kya bahut katra rahe ho mughbachon se gunah-e-tark-e-bada kar liya kya yahan ke log kab ke ja chuke hain safar jada-ba-jada kar liya kya uThaya ik qadam tu ne na us tak bahut apne ko manda kar liya kya tum apni kaj-kulahi haar baiThin badan ko be-libada kar liya kya bahut nazdik aati ja rahi ho bichhaDne ka irada kar liya kya be-dili kya yunhi din guzar ja.enge sirf zinda rahe ham to mar ja.enge raqs hai rang par rang ham-raqs hain sab bichhaD ja.enge sab bikhar ja.enge ye kharabatiyan-e-khirad-bakhta sub.h hote hi sab kaam par ja.enge kitni dilkash ho tum kitna dil-ju huun main kya sitam hai ki ham log mar ja.enge hai ghanimat ki asrar-e-hasti se ham be-khabar aa.e hain be-khabar ja.enge be-qarari si be-qarari hai vasl hai aur firaq taari hai jo guzari na ja saki ham se ham ne vo zindagi guzari hai nighare kya hue ki logon par apna saaya bhi ab to bhari hai bin tumhare kabhi nahin aa.i kya miri niind bhi tumhari hai aap men kaise aa.uun main tujh bin saans jo chal rahi hai aari hai us se kahiyo ki dil ki galiyon men raat din teri intizari hai hijr ho ya visal ho kuchh ho ham hain aur us ki yadgari hai ik mahak samt-e-dil se aa.i thi main ye samjha tiri savari hai hadson ka hisab hai apna varna har aan sab ki baari hai khush rahe tu ki zindagi apni umr bhar ki umid-vari hai chalo bad-e-bahari ja rahi hai piya-ji ki savari ja rahi hai shumal-e-javedan-e-sabz-e-jan se tamanna ki amari ja rahi hai fughan ai dushman-e-dar-e-dil-o-jan miri halat sudhari ja rahi hai hai pahlu men Take ki ik hasina tiri furqat guzari ja rahi hai jo in rozon mira gham hai vo ye hai ki gham se burdbari ja rahi hai hai siine men ajab ik hashr barpa ki dil se be-qarari ja rahi hai main paiham haar kar ye sochta huun vo kya shai hai jo haari ja rahi hai dil us ke ru-ba-ru hai aur gum-sum koi arzi guzari ja rahi hai vo sayyad bachcha ho aur shaikh ke saath miyan izzat hamari ja rahi hai hai barpa har gali men shor-e-naghma miri fariyad maari ja rahi hai vo yaad ab ho rahi hai dil se rukhsat miyan pyaron ki pyari ja rahi hai daregha teri nazdiki miyan-jan tiri duuri pe vaari ja rahi hai bahut bad-hal hain basti tire log to phir tu kyuun sanvari ja rahi hai tiri marham-nigahi ai masiha kharash-e-dil pe vaari ja rahi hai kharabe men ajab tha shor barpa dilon se intizari ja rahi hai dil jo hai aag laga duun us ko aur phir khud hi hava duun us ko jo bhi hai us ko ganva baiTha hai main bhala kaise ganva duun us ko tujh guman par jo imarat ki thi sochta huun ki main Dha duun us ko jism men aag laga duun us ke aur phir khud hi bujha duun us ko hijr ki nazr to deni hai use sochta huun ki bhula duun us ko jo nahin hai mire dil ki duniya kyuun na main 'jaun' miTa duun us ko dil ki taklif kam nahin karte ab koi shikva ham nahin karte jan-e-jan tujh ko ab tiri khatir yaad ham koi dam nahin karte dusri haar ki havas hai so ham sar-e-taslim kham nahin karte vo bhi paDhta nahin hai ab dil se ham bhi naale ko nam nahin karte jurm men ham kami karen bhi to kyuun tum saza bhi to kam nahin karte dil ne vafa ke naam par kar-e-vafa nahin kiya khud ko halak kar liya khud ko fida nahin kiya khira-saran-e-shauq ka koi nahin hai jumba-dar shahr men is giroh ne kis ko khafa nahin kiya jo bhi ho tum pe mo'tariz us ko yahi javab do aap bahut sharif hain aap ne kya nahin kiya nisbat ilm hai bahut hakim-e-vaqt ko aziiz us ne to kar-e-jahl bhi be-ulama nahin kiya jis ko bhi shaikh o shaah ne hukm-e-khuda diya qarar ham ne nahin kya vo kaam haan ba-khuda nahin kiya ek hi muzhda sub.h laati hai dhuup angan men phail jaati hai rang-e-mausam hai aur bad-e-saba shahr kuchon men khaak uDati hai farsh par kaghaz uDte phirte hain mez par gard jamti jaati hai sochta huun ki us ki yaad akhir ab kise raat bhar jagati hai main bhi izn-e-nava-gari chahun be-dili bhi to lab hilati hai so ga.e peD jaag uThi khushbu zindagi khvab kyuun dikhati hai us sarapa vafa ki furqat men khvahish-e-ghair kyuun satati hai aap apne se ham-sukhan rahna ham-nashin saans phuul jaati hai kya sitam hai ki ab tiri surat ghaur karne pe yaad aati hai kaun is ghar ki dekh-bhal kare roz ik chiiz TuuT jaati hai gaahe gaahe bas ab yahi ho kya tum se mil kar bahut khushi ho kya mil rahi ho baDe tapak ke saath mujh ko yaksar bhula chuki ho kya yaad hain ab bhi apne khvab tumhen mujh se mil kar udaas bhi ho kya bas mujhe yunhi ik khayal aaya sochti ho to sochti ho kya ab miri koi zindagi hi nahin ab bhi tum meri zindagi ho kya kya kaha ishq javedani hai! akhiri baar mil rahi ho kya haan faza yaan ki soi soi si hai to bahut tez raushni ho kya mere sab tanz be-asar hi rahe tum bahut duur ja chuki ho kya dil men ab soz-e-intizar nahin sham-e-ummid bujh ga.i ho kya is samundar pe tishna-kam huun main baan tum ab bhi bah rahi ho kya ghar se ham ghar talak ga.e honge apne hi aap tak ga.e honge ham jo ab aadmi hain pahle kabhi jaam honge chhalak ga.e honge vo bhi ab ham se thak gaya hoga ham bhi ab us se thak ga.e honge shab jo ham se hua muaaf karo nahin pi thi bahak ga.e honge kitne hi log hirs-e-shohrat men daar par khud laTak ga.e honge shukr hai is nigah-e-kam ka miyan pahle hi ham khaTak ga.e honge ham to apni talash men akasr az sama-ta-samak ga.e honge us ka lashkar jahan-tahan ya.ani ham bhi bas be-kumak ga.e honge 'jaun' allah aur ye aalam biich men ham aTak ga.e honge halat-e-hal ke sabab halat-e-hal hi ga.i shauq men kuchh nahin gaya shauq ki zindagi ga.i tera firaq jan-e-jan aish tha kya mire liye ya.ani tire firaq men khuub sharab pi ga.i tere visal ke liye apne kamal ke liye halat-e-dil ki thi kharab aur kharab ki ga.i us ki umid-e-naz ka ham se ye maan tha ki aap umr guzar dijiye umr guzar di ga.i ek hi hadsa to hai aur vo ye ki aaj tak baat nahin kahi ga.i baat nahin suni ga.i ba.ad bhi tere jan-e-jan dil men raha ajab saman yaad rahi tiri yahan phir tiri yaad bhi ga.i us ke badan ko di numud ham ne sukhan men aur phir us ke badan ke vaste ek qaba bhi si ga.i mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam naf-piyale ki tire yaad ajab sahi ga.i kahni hai mujh ko ek baat aap se ya.ani aap se aap ke shahr-e-vasl men lazzat-e-hijr bhi ga.i sehn-e-khayal-e-yar men ki na basar shab-e-firaq jab se vo chandna gaya jab se vo chandni ga.i ham ji rahe hain koi bahana kiye baghair us ke baghair us ki tamanna kiye baghair ambar us ka parda-e-hurmat bana miyan divar tak nahin giri parda kiye baghair yaran vo jo hai mera masiha-e-jan-o-dil be-had aziiz hai mujhe achchha kiye baghair main bistar-e-khayal pe leTa huun us ke paas sub.h-e-azal se koi taqaza kiye baghair us ka hai jo bhi kuchh hai mira aur main magar vo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair ye zindagi jo hai use ma.ana bhi chahiye va.ada hamen qubul hai iifa kiye baghair ai qatilon ke shahr bas itni hi arz hai main huun na qatl koi tamasha kiye baghair murshid ke jhuuT ki to saza be-hisab hai tum chhoDiyo na shahr ko sahra kiye baghair un anganon men kitna sukun o surur tha ara.ish-e-nazar tiri parva kiye baghair yaran khusha ye roz o shab-e-dil ki ab hamen sab kuchh hai khush-gavar gavara kiye baghair girya-kunan ki fard men apna nahin hai naam ham girya-kun azal ke hain girya kiye baghair akhir hain kaun log jo bakhshe hi ja.enge tarikh ke haram se tauba kiye baghair vo sunni bachcha kaun tha jis ki jafa ne 'jaun' shii.a bana diya hamen shii.a kiye baghair ab tum kabhi na aaoge ya.ani kabhi kabhi rukhsat karo mujhe koi va.ada kiye baghair ham to jaise vahan ke the hi nahin be-aman the amaan ke the hi nahin ham ki hain teri dastan yaksar ham tiri dastan ke the hi nahin un ko andhi men hi bikharna tha baal o par ashiyan ke the hi nahin ab hamara makan kis ka hai ham to apne makan ke the hi nahin ho tiri khak-e-astan pe salam ham tire astan ke the hi nahin ham ne ranjish men ye nahin socha kuchh sukhan to zaban ke the hi nahin dil ne Daala tha darmiyan jin ko log vo darmiyan ke the hi nahin us gali ne ye sun ke sabr kiya jaane vaale yahan ke the hi nahin har dhaDkan haijani thi har khamoshi tufani thi phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki asani thi jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main jis din us ka khat aaya hai us din bhi virani thi jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rifaqat hi to nahin tab main ne har shakhs ki surat mushkil se pahchani thi jis din vo milne aa.i hai us din ki rudad ye hai us ka blouse naranji tha us ki saari dhani thi uljhan si hone lagti thi mujh ko akasr aur vo yuun mera mizaj-e-ishq tha shahri us ki vafa dahqani thi ab to us ke baare men tum jo chaho vo kah Daalo vo angDa.i mere kamre tak to baDi ruhani thi naam pe ham qurban the us ke lekin phir ye taur hua us ko dekh ke ruk jaana bhi sab se baDi qurbani thi mujh se bichhaD kar bhi vo laDki kitni khush khush rahti hai us laDki ne mujh se bichhaD kar mar jaane ki Thani thi ishq ki halat kuchh bhi nahin thi baat baDhane ka fan tha lamhe la-fani Thahre the qatron ki tughyani thi jis ko khud main ne bhi apni ruuh ka irfan samjha tha vo to shayad mere pyase honTon ki shaitani thi tha darbar-e-kalan bhi us ka naubat-khana us ka tha thi mere dil ki jo raani amrohe ki raani thi iza-dahi ki daad jo paata raha huun main har naz-afrin ko satata raha huun main ai khush-khiram paanv ke chhale to gin zara tujh ko kahan kahan na phirata raha huun main ik husn-e-be-misal ki tamsil ke liye parchha.iyon pe rang girata raha huun main kya mil gaya zamir-e-hunar bech kar mujhe itna ki sirf kaam chalata raha huun main ruhon ke parda-posh gunahon se be-khabar jismon ki nekiyan hi ginata raha huun main tujh ko khabar nahin ki tira karb dekh kar akasr tira mazaq uData raha huun main shayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqin sab ko dilata raha huun main ik satr bhi kabhi na likhi main ne tere naam pagal tujhi ko yaad bhi aata raha huun main jis din se e'timad men aaya tira shabab us din se tujh pe zulm hi Dhata raha huun main apna misaliya mujhe ab tak na mil saka zarron ko aftab banata raha huun main bedar kar ke tere badan ki khud-agahi tere badan ki umr ghaTata raha huun main kal dopahar ajiib si ik be-dili rahi bas tiliyan jala ke bujhata raha huun main ik hunar hai jo kar gaya huun main sab ke dil se utar gaya huun main kaise apni hansi ko zabt karun sun raha huun ki ghar gaya huun main kya bata.un ki mar nahin paata jite-ji jab se mar gaya huun main ab hai bas apna samna dar-pesh har kisi se guzar gaya huun main vahi naz-o-ada vahi ghamze sar-ba-sar aap par gaya huun main ajab ilzam huun zamane ka ki yahan sab ke sar gaya huun main kabhi khud tak pahunch nahin paaya jab ki vaan umr bhar gaya huun main tum se janan mila huun jis din se be-tarah khud se Dar gaya huun main ku-e-janan men sog barpa hai ki achanak sudhar gaya huun main ji hi ji men vo jal rahi hogi chandni men Tahal rahi hogi chand ne taan li hai chadar-e-abr ab vo kapDe badal rahi hogi so ga.i hogi vo shafaq-andam sabz qindil jal rahi hogi surkh aur sabz vadiyon ki taraf vo mire saath chal rahi hogi chaDhte chaDhte kisi pahaDi par ab vo karvaT badal rahi hogi peD ki chhal se ragaD kha kar vo tane se phisal rahi hogi nil-gun jhiil naaf tak pahne sandalin jism mal rahi hogi ho ke vo khvab-e-aish se bedar kitni hi der shal rahi hogi jo hua 'jaun' vo hua bhi nahin ya.ani jo kuchh bhi tha vo tha bhi nahin bas gaya jab vo shahr-e-dil men mire phir main is shahr men raha bhi nahin ik ajab taur haal hai ki jo hai ya.ani main bhi nahin khuda bhi nahin lamhon se ab muamla kya ho dil pe ab kuchh guzar raha bhi nahin janiye main chala gaya huun kahan main to khud se kahin gaya bhi nahin tu mire dil men aan ke bas ja aur tu mere paas aa bhi nahin juz guman aur tha hi kya mera faqat ik mera naam tha mera nik.hat-e-pairahan se us gul ki silsila be-saba raha mera mujh ko khvahish hi DhunDne ki na thi mujh men khoya raha khuda mera thuuk de khuun jaan le vo agar alam-e-tark-e-mudda.a mera jab tujhe meri chaah thi janan bas vahi vaqt tha kaDa mera koi mujh tak pahunch nahin paata itna asan hai pata mera aa chuka pesh vo muravvat se ab chalun kaam ho chuka mera aaj main khud se ho gaya mayus aaj ik yaar mar gaya mera kaam ki baat main ne ki hi nahin ye mira taur-e-zindagi hi nahin ai umiid ai umid-e-nau-maidan mujh se mayyat tiri uThi hi nahin main jo tha us gali ka mast-e-khiram us gali men miri chali hi nahin ye suna hai ki mere kuuch ke ba.ad us ki khushbu kahin basi hi nahin thi jo ik fakhta udaas udaas sub.h vo shakh se uDi hi nahin mujh men ab mera ji nahin lagta aur sitam ye ki mera ji hi nahin vo jo rahti thi dil-mohalle men phir vo laDki mujhe mili hi nahin ja.iye aur khaak uDa.iye aap ab vo ghar kya ki vo gali hi nahin haa.e vo shauq jo nahin tha kabhi haa.e vo zindagi jo thi hi nahin khuub hai shauq ka ye pahlu bhi main bhi barbad ho gaya tu bhi husn-e-maghmum tamkanat men tiri farq aaya na yak-sar-e-mu bhi ye na socha tha zer-e-saya-e-zulf ki bichhaD ja.egi ye khush-bu bhi husn kahta tha chheDne vaale chheDna hi to bas nahin chhu bhi haa.e vo us ka mauj-khez badan main to pyasa raha lab-e-ju bhi yaad aate hain mo.ajize apne aur us ke badan ka jaadu bhi yasmin us ki khaas mahram-e-raz yaad aaya karegi ab tu bhi yaad se us ki hai mira parhez ai saba ab na aa.iyo tu bhi hain yahi 'jaun-elia' jo kabhi sakht maghrur bhi the bad-khu bhi kis se iz.har-e-mudda.a kiije aap milte nahin hain kya kiije ho na paaya ye faisla ab tak aap kiije to kya kiya kiije aap the jis ke chara-gar vo javan sakht bimar hai dua kiije ek hi fan to ham ne sikha hai jis se miliye use khafa kiije hai taqaza miri tabi.at ka har kisi ko charagh-pa kiije hai to baare ye alam-e-asbab be-sabab chikhne laga kiije aaj ham kya gila karen us se gila-e-tangi-e-qaba kiije nutq haivan par garan hai abhi guftugu kam se kam kiya kiije hazrat-e-zulf-e-ghaliya-afshan naam apna saba saba kiije zindagi ka ajab mo.amla hai ek lamhe men faisla kiije mujh ko aadat hai ruuTh jaane ki aap mujh ko mana liya kiije milte rahiye isi tapak ke saath bevafa.i ki intiha kiije kohkan ko hai khud-kushi khvahish shah-bano se iltija kiije mujh se kahti thiin vo sharab ankhen aap vo zahar mat piya kiije rang har rang men hai dad-talab khuun thukun to vah-va kiije kitne aish se rahte honge kitne itrate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhate honge shaam hue khush-bash yahan ke mere paas aa jaate hain mere bujhne ka nazzara karne aa jaate honge vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane valon se kya matlab aate hain aate honge us ki yaad ki bad-e-saba men aur to kya hota hoga yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate honge yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka vo jo simaTte honge un men vo to mar jaate honge mera saans ukhaDte hi sab bain karenge ro.enge ya.ani mere ba.ad bhi ya.ani saans liye jaate honge naya ik rishta paida kyuun karen ham bichhaDna hai to jhagDa kyuun karen ham khamoshi se ada ho rasm-e-duri koi hangama barpa kyuun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain vafa-dari ka da.ava kyuun karen ham vafa ikhlas qurbani mohabbat ab in lafzon ka pichha kyuun karen ham hamari hi tamanna kyuun karo tum tumhari hi tamanna kyuun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr iifa kyuun karen ham nahin duniya ko jab parva hamari to phir duniya ki parva kyuun karen ham ye basti hai musalmanon ki basti yahan kar-e-masiha kyuun karen ham ruuh pyasi kahan se aati hai ye udasi kahan se aati hai hai vo yak-sar supurdagi to bhala bad-havasi kahan se aati hai vo ham-aghosh hai to phir dil men na-shanasi kahan se aati hai ek zindan-e-be-dili aur shaam ye saba si kahan se aati hai tu hai pahlu men phir tiri khushbu ho ke baasi kahan se aati hai dil hai shab-sokhta siva.e ummid tu nida si kahan se aati hai main huun tujh men aur aas huun teri to nirasi kahan se aati hai saare rishte tabah kar aaya dil-e-barbad apne ghar aaya akhirash khuun thukne se miyan baat men teri kya asar aaya tha khabar men ziyan dil o jaan ka har taraf se main be-khabar aaya ab yahan hosh men kabhi apne nahin a.unga main agar aaya main raha umr bhar juda khud se yaad main khud ko umr bhar aaya vo jo dil naam ka tha ek nafar aaj main is se bhi mukar aaya muddaton ba.ad ghar gaya tha main jaate hi main vahan se Dar aaya sar hi ab phoDiye nadamat men niind aane lagi hai furqat men hain dalilen tire khilaf magar sochta huun tiri himayat men ruuh ne ishq ka fareb diya jism ko jism ki adavat men ab faqat adaton ki varzish hai ruuh shamil nahin shikayat men ishq ko darmiyan na laao ki main chikhta huun badan ki usrat men ye kuchh asan to nahin hai ki ham ruThte ab bhi hain muravvat men vo jo ta.amir hone vaali thi lag ga.i aag us imarat men zindagi kis tarah basar hogi dil nahin lag raha mohabbat men hasil-e-kun hai ye jahan-e-kharab yahi mumkin tha itni ujlat men phir banaya khuda ne aadam ko apni surat pe aisi surat men aur phir aadmi ne ghaur kiya chhipkili ki latif san.at men ai khuda jo kahin nahin maujud kya likha hai hamari qismat men sharmindagi hai ham ko bahut ham mile tumhen tum sar-ba-sar khushi the magar gham mile tumhen main apne aap men na mila is ka gham nahin gham to ye hai ki tum bhi bahut kam mile tumhen hai jo hamara ek hisab us hisab se aati hai ham ko sharm ki paiham mile tumhen tum ko jahan-e-shauq-o-tamanna men kya mila ham bhi mile to darham o barham mile tumhen ab apne taur hi men nahin tum so kaash ki khud men khud apna taur koi dam mile tumhen is shahr-e-hila-ju men jo mahram mile mujhe fariyad jan-e-jan vahi mahram mile tumhen deta huun tum ko khushki-e-mizhgan ki main dua matlab ye hai ki daman-e-pur-nam mile tumhen main un men aaj tak kabhi paaya nahin gaya janan jo mere shauq ke aalam mile tumhen tum ne hamare dil men bahut din safar kiya sharminda hain ki us men bahut kham mile tumhen yuun ho ki aur hi koi havva mile mujhe ho yuun ki aur hi koi aadam mile tumhen siina dahak raha ho to kya chup rahe koi kyuun chikh chikh kar na gala chhil le koi sabit hua sukun-e-dil-o-jan kahin nahin rishton men DhunDhta hai to DhunDa kare koi tark-e-ta.alluqat koi mas.ala nahin ye to vo rasta hai ki bas chal paDe koi divar janta tha jise main vo dhuul thi ab mujh ko e'timad ki davat na de koi main khud ye chahta huun ki halat huun kharab mere khilaf zahr ugalta phire koi ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuchh qubul hai ye bhi qubul hai ki tujhe chhin le koi haan Thiik hai main apni ana ka mariz huun akhir mire mizaj men kyuun dakhl de koi ik shakhs kar raha hai abhi tak vafa ka zikr kaash us zaban-daraz ka munh noch le koi tang aghosh men abad karunga tujh ko huun bahut shaad ki nashad karunga tujh ko fikr-e-ijad men gum huun mujhe ghafil na samajh apne andaz par ijad karunga tujh ko nashsha hai raah ki duuri ka ki hamrah hai tu jaane kis shahr men abad karunga tujh ko meri banhon men bahakne ki saza bhi sun le ab bahut der men azad karunga tujh ko main ki rahta huun ba-sad-naz gurezan tujh se tu na hoga to bahut yaad karunga tujh ko Thiik hai khud ko ham badalte hain shukriya mashvarat ka chalte hain ho raha huun main kis tarah barbad dekhne vaale haath malte hain hai vo jaan ab har ek mahfil ki ham bhi ab ghar se kam nikalte hain kya takalluf karen ye kahne men jo bhi khush hai ham us se jalte hain hai use duur ka safar dar-pesh ham sambhale nahin sambhalte hain tum bano rang tum bano khushbu ham to apne sukhan men Dhalte hain main usi tarah to bahalta huun aur sab jis tarah bahalte hain hai ajab faisle ka sahra bhi chal na paDiye to paanv jalte hain tumhara hijr mana luun agar ijazat ho main dil kisi se laga luun agar ijazat ho tumhare ba.ad bhala kya hain va.ada-o-paiman bas apna vaqt ganva luun agar ijazat ho tumhare hijr ki shab-ha-e-kar men janan koi charagh jala luun agar ijazat ho junun vahi hai vahi main magar hai shahr naya yahan bhi shor macha luun agar ijazat ho kise hai khvahish-e-marham-gari magar phir bhi main apne zakhm dikha luun agar ijazat ho tumhari yaad men jiine ki aarzu hai abhi kuchh apna haal sambhalun agar ijazat ho tu bhi chup hai main bhi chup huun ye kaisi tanha.i hai tere saath tiri yaad aa.i kya tu sach-much aa.i hai shayad vo din pahla din tha palken bojhal hone ka mujh ko dekhte hi jab us ki angDa.i sharma.i hai us din pahli baar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsas jab us ke malbus ki khushbu ghar pahunchane aa.i hai husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai ham ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahuncha.i hai ham ko aur to kuchh nahin sujha albatta us ke dil men soz-e-raqabat paida kar ke us ki niind uDaa.i hai ham donon mil kar bhi dilon ki tanha.i men bhaTkenge pagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl bana.i hai ishq-e-pechan ki sandal par jaane kis din bel chaDhe kyari men paani Thahra hai divaron par kaa.i hai husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne naam ishq ka pesha husn-parasti ishq baDa harja.i hai aaj bahut din ba.ad main apne kamre tak aa nikla tha juun hi darvaza khola hai us ki khushbu aa.i hai ek to itna habs hai phir main sansen roke baiTha huun virani ne jhaDu de ke ghar men dhuul uDaa.i hai umr guzregi imtihan men kya daagh hi denge mujh ko daan men kya meri har baat be-asar hi rahi naqs hai kuchh mire bayan men kya mujh ko to koi Tokta bhi nahin yahi hota hai khandan men kya apni mahrumiyan chhupate hain ham gharibon ki an-ban men kya khud ko jaana juda zamane se aa gaya tha mire guman men kya shaam hi se dukan-e-did hai band nahin nuqsan tak dukan men kya ai mire sub.h-o-sham-e-dil ki shafaq tu nahati hai ab bhi baan men kya bolte kyuun nahin mire haq men aable paD ga.e zaban men kya khamushi kah rahi hai kaan men kya aa raha hai mire guman men kya dil ki aate hain jis ko dhyan bahut khud bhi aata hai apne dhyan men kya vo mile to ye puchhna hai mujhe ab bhi huun main tiri amaan men kya yuun jo takta hai asman ko tu koi rahta hai asman men kya hai nasim-e-bahar gard-alud khaak uDti hai us makan men kya ye mujhe chain kyuun nahin paDta ek hi shakhs tha jahan men kya us ke pahlu se lag ke chalte hain ham kahin Talne se Talte hain band hai mai-kadon ke darvaze ham to bas yunhi chal nikalte hain main usi tarah to bahalta huun aur sab jis tarah bahalte hain vo hai jaan ab har ek mahfil ki ham bhi ab ghar se kam nikalte hain kya takalluf karen ye kahne men jo bhi khush hai ham us se jalte hain hai use duur ka safar dar-pesh ham sambhale nahin sambhalte hain shaam furqat ki lahlha uThi vo hava hai ki zakhm bharte hain hai ajab faisle ka sahra bhi chal na paDiye to paanv jalte hain ho raha huun main kis tarah barbad dekhne vaale haath malte hain tum bano rang tum bano khushbu ham to apne sukhan men Dhalte hain zabt kar ke hansi ko bhuul gaya main to us zakhm hi ko bhuul gaya zat-dar-zat ham-safar rah kar ajnabi ajnabi ko bhuul gaya sub.h tak vaj.h-e-jan-kani thi jo baat main use shaam hi ko bhuul gaya ahd-e-vabastagi guzar ke main vaj.h-e-vabastagi ko bhuul gaya sab dalilen to mujh ko yaad rahin bahs kya thi usi ko bhuul gaya kyuun na ho naaz is zehanat par ek main har kisi ko bhuul gaya sab se pur-amn vaqi.a ye hai aadmi aadmi ko bhuul gaya qahqaha marte hi divana har gham-e-zindagi ko bhuul gaya khvab-ha-khvab jis ko chaha tha rang-ha-rang usi ko bhuul gaya kya qayamat hui agar ik shakhs apni khush-qismati ko bhuul gaya soch kar us ki khalvat-anjumani vaan main apni kami ko bhuul gaya sab bure mujh ko yaad rahte hain jo bhala tha usi ko bhuul gaya un se va.ada to kar liya lekin apni kam-fursati ko bhuul gaya bastiyo ab to rasta de do ab to main us gali ko bhuul gaya us ne goya mujhi ko yaad rakha main bhi goya usi ko bhuul gaya ya.ani tum vo ho vaqa.i? had hai main to sach-much sabhi ko bhuul gaya akhiri but khuda na kyuun Thahre but-shikan but-gari ko bhuul gaya ab to har baat yaad rahti hai ghaliban main kisi ko bhuul gaya us ki khushiyon se jalne vaala 'jaun' apni iza-dahi ko bhuul gaya zindagi kya hai ik kahani hai ye kahani nahin sunani hai hai khuda bhi ajiib ya.ani jo na zamini na asmani hai hai mire shauq-e-vasl ko ye gila us ka pahlu sara-e-fani hai apni tamir-e-jan-o-dil ke liye apni buniyad ham ko Dhani hai ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal yaan ki har baat na-gahani hai chaliye ai jan-e-sham aaj tumhen sham.a ik qabr par jalani hai rang ki apni baat hai varna akhirash khuun bhi to paani hai ik abas ka vajud hai jis se zindagi ko murad paani hai shaam hai aur sahn men dil ke ik ajab huzn-e-asmani hai aaj main ne apna phir sauda kiya aur phir main duur se dekha kiya zindagi-bhar mere kaam aa.e usuul ek ik kar ke unhen becha kiya bandh ga.i thi dil men kuchh ummid si khair tum ne jo kiya achchha kiya kuchh kami apni vafaon men bhi thi tum se kya kahte ki tum ne kya kiya kya bata.un kaun tha jis ne mujhe is bhari duniya men hai tanha kiya abhi zamir men thoDi si jaan baaqi hai abhi hamara koi imtihan baaqi hai hamare ghar ko to ujDe hue zamana hua magar suna hai abhi vo makan baaqi hai hamari un se jo thi guftugu vo khatm hui magar sukut sa kuchh darmiyan baaqi hai hamare zehn ki basti men aag aisi lagi ki jo tha khaak hua ik dukan baaqi hai vo zakhm bhar gaya arsa hua magar ab tak zara sa dard zara sa nishan baaqi hai zara si baat jo phaili to dastan bani vo baat khatm hui dastan baaqi hai ab aaya tiir chalane ka fan to kya aaya hamare haath men khali kaman baaqi hai ba-zahir kya hai jo hasil nahin hai magar ye to miri manzil nahin hai ye tuuda ret ka hai beach dariya ye bah ja.ega ye sahil nahin hai bahut asan hai pahchan us ki agar dukhta nahin to dil nahin hai musafir vo ajab hai karvan men ki jo hamrah hai shamil nahin hai bas ik maqtul hi maqtul kab hai bas ik qatil hi to qatil nahin hai kabhi to raat ko tum raat kah do ye kaam itna bhi ab mushkil nahin hai bahana DhunDte rahte hain koi rone ka hamen ye shauq hai kya astin bhigone ka agar palak pe hai moti to ye nahin kaafi hunar bhi chahiye alfaz men pirone ka jo fasl khvab ki tayyar hai to ye jaano ki vaqt aa gaya phir dard koi bone ka ye zindagi bhi ajab karobar hai ki mujhe khushi hai paane ki koi na ranj khone ka hai paash paash magar phir bhi muskurata hai vo chehra jaise ho TuuTe hue khilaune ka dard apnata hai para.e kaun kaun sunta hai aur suna.e kaun kaun dohra.e phir vahi baten gham abhi soya hai jaga.e kaun ab sukun hai to bhulne men hai lekin us shakhs ko bhula.e kaun vo jo apne hain kya vo apne hain kaun dukh jhele azma.e kaun aaj phir dil hai kuchh udaas udaas dekhiye aaj yaad aa.e kaun dard ke phuul bhi khilte hain bikhar jaate hain zakhm kaise bhi hon kuchh roz men bhar jaate hain rasta roke khaDi hai yahi uljhan kab se koi puchhe to kahen kya ki kidhar jaate hain chhat ki kaDiyon se utarte hain mire khvab magar meri divaron se Takra ke bikhar jaate hain narm alfaz bhali baten mohazzab lahje pahli barish hi men ye rang utar jaate hain us dariche men bhi ab koi nahin aur ham bhi sar jhuka.e hue chup-chap guzar jaate hain dard kuchh din to mehman Thahre ham ba-zid hain ki mezban Thahre sirf tanha.i sirf virani ye nazar jab uThe jahan Thahre kaun se zakhm par paDav kiya dard ke qafile kahan Thahre kaise dil men khushi basa luun main kaise muTThi men ye dhuan Thahre thi kahin maslahat kahin jur.at ham kahin in ke darmiyan Thahre dast-bardar agar aap ghazab se ho jaa.en har sitam bhuul ke ham aap ke ab se ho jaa.en chaudhvin shab hai to khiDki ke gira do parde kaun jaane ki vo naraz hi shab se ho jaa.en ek khushbu ki tarah phailte hain mahfil men aise alfaz ada jo tire lab se ho jaa.en na koi ishq hai baaqi na koi parcham hai log divane bhala kis ke sabab se ho jaa.en bandh lo haath ki phailen na kisi ke aage si lo ye lab ki kahin vo na talab se ho jaa.en baat to chheD mire dil koi qissa to suna kya ajab un ke bhi jazbat ajab se ho jaa.en dil ka har dard kho gaya jaise main to patthar ka ho gaya jaise daagh baaqi nahin ki naqsh kahun koi divar dho gaya jaise jagta zehn gham ki dhuup men tha chhanv paate hi so gaya jaise dekhne vaala tha kal us ka tapak phir se vo ghair ho gaya jaise kuchh bichhaDne ke bhi tariqe hain khair jaane do jo gaya jaise dil men mahak rahe hain kisi aarzu ke phuul palkon pe khilne vaale hain shayad lahu ke phuul ab tak hai koi baat mujhe yaad harf harf ab tak main chun raha huun kisi guftugu ke phuul kaliyan chaTak rahi thiin ki avaz thi koi ab tak sama.aton men hain ik khush-gulu ke phuul mere lahu ka rang hai har nok-e-khar par sahra men har taraf hain miri justuju ke phuul divane kal jo log the phulon ke ishq men ab un ke damanon men bhare hain rafu ke phuul dukh ke jangal men phirte hain kab se maare maare log jo hota hai sah lete hain kaise hain bechare log jivan jivan ham ne jag men khel yahi hote dekha dhire dhire jiiti duniya dhire dhire haare log vaqt singhasan par baiTha hai apne raag sunata hai sangat dene ko paate hain sanson ke uktare log neki ik din kaam aati hai ham ko kya samjhate ho ham ne be-bas marte dekhe kaise pyare pyare log is nagri men kyuun milti hai roTi sapnon ke badle jin ki nagri hai vo janen ham Thahre banjare log gham hote hain jahan zehanat hoti hai duniya men har shai ki qimat hoti hai akasr vo kahte hain vo bas mere hain akasr kyuun kahte hain hairat hoti hai tab ham donon vaqt chura kar laate the ab milte hain jab bhi fursat hoti hai apni mahbuba men apni maan dekhen bin maan ke laDkon ki fitrat hoti hai ik kashti men ek qadam hi rakhte hain kuchh logon ki aisi aadat hoti hai ham ne DhunDen bhi to DhunDen hain sahare kaise in sarabon pe koi umr guzare kaise haath ko haath nahin sujhe vo tariki thi aa ga.e haath men kya jaane sitare kaise har taraf shor usi naam ka hai duniya men koi us ko jo pukare to pukare kaise dil bujha jitne the arman sabhi khaak hue raakh men phir ye chamakte hain sharare kaise na to dam leti hai tu aur na hava thamti hai zindagi zulf tiri koi sanvare kaise ham to bachpan men bhi akele the sirf dil ki gali men khele the ik taraf morche the palkon ke ik taraf ansuon ke rele the thiin saji hasraten dukanon par zindagi ke ajiib mele the khud-kushi kya dukhon ka hal banti maut ke apne sau jhamele the zehn o dil aaj bhuke marte hain un dinon ham ne faaqe jhele the hamare dil men ab talkhi nahin hai magar vo baat pahle si nahin hai mujhe mayus bhi karti nahin hai yahi aadat tiri achchhi nahin hai bahut se fa.ede hain maslahat men magar dil ki to ye marzi nahin hai har ik ki dastan sunte hain jaise kabhi ham ne mohabbat ki nahin hai hai ik darvaze bin divar-e-duniya mafar gham se yahan koi nahin hai hamare shauq ki ye intiha thi qadam rakkha ki manzil rasta thi bichhaD ke Daar se ban ban phira vo hiran ko apni kasturi saza thi kabhi jo khvab tha vo pa liya hai magar jo kho ga.i vo chiiz kya thi main bachpan men khilaune toDta tha mire anjam ki vo ibtida thi mohabbat mar ga.i mujh ko bhi gham hai mire achchhe dinon ki ashna thi jise chhu luun main vo ho jaa.e sona tujhe dekha to jaana bad-dua thi mariz-e-khvab ko to ab shifa hai magar duniya baDi kaDvi dava thi jab a.ina koi dekho ik ajnabi dekho kahan pe laa.i hai tum ko ye zindagi dekho mohabbaton men kahan apne vaste fursat jise bhi chahe vo chahe miri khushi dekho jo ho sake to ziyada hi chahna mujh ko kabhi jo meri mohabbat men kuchh kami dekho jo duur jaa.e to gham hai jo paas aa.e to dard na jaane kya hai vo kambakht aadmi dekho ujala to nahin kah sakte is ko ham lekin zara si kam to hui hai ye tirgi dekho jidhar jaate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta ghalat baton ko khamoshi se sunna haami bhar lena bahut hain fa.ede is men magar achchha nahin lagta mujhe dushman se bhi khuddari ki ummid rahti hai kisi ka bhi ho sar qadmon men sar achchha nahin lagta bulandi par unhen miTTi ki khushbu tak nahin aati ye vo shakhen hain jin ko ab shajar achchha nahin lagta ye kyuun baaqi rahe atish-zano ye bhi jala Daalo ki sab be-ghar hon aur mera ho ghar achchha nahin lagta jiina mushkil hai ki asan zara dekh to lo log lagte hain pareshan zara dekh to lo phir muqarrir koi sargarm sar-e-mimbar hai kis ke hai qatl ka saman zara dekh to lo ye naya shahar to hai khuub basaya tum ne kyuun purana hua viran zara dekh to lo in charaghon ke tale aise andhere kyuun hai tum bhi rah jaoge hairan zara dekh to lo tum ye kahte ho ki main ghair huun phir bhi shayad nikal aa.e koi pahchan zara dekh to lo ye sata.ish ki tamanna ye sile ki parvah kahan laa.e hain ye arman zara dekh to lo jism damakta, zulf ghaneri, rangin lab, ankhen jaadu sang-e-marmar, uuda badal, surkh shafaq, hairan aahu bhikshu-dani, pyasa pani, dariya sagar, jal gagar gulshan khushbu, koyal kuku, masti daru, main aur tu banbi nagin, chhaya angan, ghunghru chhan-chhan, aasha man ankhen kajal, parbat badal, vo zulfen aur ye baazu raten mahki, sansen dahki, nazren bahki, rut lahki sapn salona, prem khilauna, phuul bichhauna, vo pahlu tum se duri, ye majburi, zakhm-e-kari, bedari, tanha raten, sapne katen, khud se baten, meri khu kabhi kabhi main ye sochta huun ki mujh ko teri talash kyuun hai ki jab hain saare hi taar TuuTe to saaz men irti.ash kyuun hai koi agar puchhta ye ham se batate ham gar to kya batate bhala ho sab ka ki ye na puchha ki dil pe aisi kharash kyuun hai uTha ke hathon se tum ne chhoDa chalo na danista tum ne toDa ab ulTa ham se to ye na puchho ki shisha ye paash paash kyuun hai ajab do-rahe pe zindagi hai kabhi havas dil ko khinchti hai kabhi ye sharmindagi hai dil men ki itni fikr-e-ma.ash kyuun hai na fikr koi na justuju hai na khvab koi na aarzu hai ye shakhs to kab ka mar chuka hai to be-kafan phir ye laash kyuun hai kal jahan divar thi hai aaj ik dar dekhiye kya sama.i thi bhala divane ke sar dekhiye pur-sukun lagti hai kitni jhiil ke paani pe bat pairon ki be-tabiyan paani ke andar dekhiye chhoD kar jis ko ga.e the aap koi aur tha ab main koi aur huun vapas to aa kar dekhiye zehn-e-insani idhar afaq ki vus.at udhar ek manzar hai yahan andar ki bahar dekhiye aql ye kahti duniya milti hai bazar men dil magar ye kahta hai kuchh aur behtar dekhiye khula hai dar pa tira intizar jaata raha khulus to hai magar e'tibar jaata raha kisi ki aankh men masti to aaj bhi hai vahi magar kabhi jo hamen tha khumar jaata raha kabhi jo siine men ik aag thi vo sard hui kabhi nigah men jo tha sharar jaata raha ajab sa chain tha ham ko ki jab the ham bechain qarar aaya to jaise qarar jaata raha kabhi to meri bhi sunva.i hogi mahfil men main ye umiid liye baar baar jaata raha khvab ke gaanv men pale hain ham paani chhalni men le chale hain ham chhachh phunken ki apne bachpan men duudh se kis tarah jale hain ham khud hain apne safar ki dushvari apne pairon ke aable hain ham tu to mat kah hamen bura duniya tu ne Dhala hai aur Dhale hain ham kyuun hain kab tak hain kis ki khatir hain baDe sanjida mas.ale hain ham kin lafzon men itni kaDvi itni kasili baat likhun sher ki main tahzib bana huun ya apne halat likhun gham nahin likkhun kya main gham ko jashn likhun kya matam ko jo dekhe hain main ne janaze kya un ko barat likhun kaise likhun main chand ke qisse kaise likhun main phuul ki baat ret uDaa.e garm hava to kaise main barsat likhun kis kis ki ankhon men dekhe main ne zahr bujhe khanjar khud se bhi jo main ne chhupa.e kaise vo sadmat likhun takht ki khvahish luuT ki lalach kamzoron par zulm ka shauq lekin un ka farmana hai main in ko jazbat likhun qatil bhi maqtul bhi donon naam khuda ka lete the koi khuda hai to vo kahan tha meri kya auqat likhun apni apni tariki ko log ujala kahte hain tariki ke naam likhun to qaumen firqe zaat likhun jaane ye kaisa daur hai jis men jur.at bhi to mushkil hai din ho agar to us ko likhun din raat agar ho raat likhun kis liye kiije bazm-ara.i pur-sukun ho ga.i hai tanha.i phir khamoshi ne saaz chheDa hai phir khayalat ne li angDa.i yuun sukun-ashna hue lamhe buund men jaise aa.e gahra.i ik se ik vaqi.a hua lekin na ga.i tere gham ki yakta.i koi shikva na gham na koi yaad baiThe baiThe bas aankh bhar aa.i Dhalki shanon se har yaqin ki qaba zindagi le rahi hai angDa.i main kab se kitna huun tanha tujhe pata bhi nahin tira to koi khuda hai mira khuda bhi nahin kabhi ye lagta hai ab khatm ho gaya sab kuchh kabhi ye lagta hai ab tak to kuchh hua bhi nahin kabhi to baat ki us ne kabhi raha khamosh kabhi to hans ke mila aur kabhi mila bhi nahin kabhi jo talkh-kalami thi vo bhi khatm hui kabhi gila tha hamen un se ab gila bhi nahin vo chikh ubhri baDi der gunji Duub ga.i har ek sunta tha lekin koi hila bhi nahin main khud bhi sochta huun ye kya mera haal hai jis ka javab chahiye vo kya saval hai ghar se chala to dil ke siva paas kuchh na tha kya mujh se kho gaya hai mujhe kya malal hai asudgi se dal ke sabhi daagh dhul ga.e lekin vo kaise jaa.e jo shishe men baal hai be-dast-o-pa huun aaj to ilzam kis ko duun kal main ne hi buna tha ye mera hi jaal hai phir koi khvab dekhun koi aarzu karun ab ai dil-e-tabah tira kya khayal hai main pa saka na kabhi is khalish se chhuTkara vo mujh se jiit bhi sakta tha jaane kyuun haara baras ke khul ga.e aansu nithar ga.i hai faza chamak raha hai sar-e-sham dard ka taara kisi ki aankh se Tapka tha ik amanat hai miri hatheli pe rakkha hua ye angara jo par sameTe to ik shakh bhi nahin paa.i khule the par to mira asman tha saara vo saanp chhoD de Dasna ye main bhi kahta huun magar na chhoDenge log us ko gar na phunkara mere dil men utar gaya suraj tirgi men nikhar gaya suraj dars de kar hamen ujale ka khud andhere ke ghar gaya suraj ham se va.ada tha ik savere ka haa.e kaisa makr gaya suraj chandni aks chand a.ina a.ine men sanvar gaya suraj Dubte vaqt zard tha utna log samjhe ki mar gaya suraj misal is ki kahan hai koi zamane men ki saare khone ke gham paa.e ham ne paane men vo shakl pighli to har shai men Dhal ga.i jaise ajiib baat hui hai use bhulane men jo muntazir na mila vo to ham hain sharminda ki ham ne der laga di palaT ke aane men latif tha vo takhayyul se khvab se nazuk ganva diya use ham ne hi azmane men samajh liya tha kabhi ik sarab ko dariya par ik sukun tha ham ko fareb khane men jhuka darakht hava se to andhiyon ne kaha ziyada farq nahin jhukne TuuT jaane men mujh ko yaqin hai sach kahti thiin jo bhi ammi kahti thiin jab mere bachpan ke din the chand men pariyan rahti thiin ek ye din jab apnon ne bhi ham se naata toD liya ek vo din jab peD ki shakhen bojh hamara sahti thiin ek ye din jab saari saDken ruThi ruThi lagti hain ek vo din jab aao khelen saari galiyan kahti thiin ek ye din jab jaagi raten divaron ko takti hain ek vo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thiin ek ye din jab zehn men saari ayyari ki baten hain ek vo din jab dil men bholi-bhali baten rahti thiin ek ye din jab lakhon gham aur kaal paDa hai aansu ka ek vo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thiin ek ye ghar jis ghar men mera saz-o-saman rahta hai ek vo ghar jis ghar men meri buDhi naani rahti thiin na khushi de to kuchh dilasa de dost jaise ho mujh ko bahla de agahi se mili hai tanha.i aa miri jaan mujh ko dhoka de ab to takmil ki bhi shart nahin zindagi ab to ik tamanna de ai safar itna ra.egan to na ja na ho manzil kahin to pahuncha de tark karna hai gar ta.alluq to khud na ja tu kisi se kahla de nigal ga.e sab ki sab samundar zamin bachi ab kahin nahin hai bachate ham apni jaan jis men vo kashti bhi ab kahin nahin hai bahut dinon ba.ad paa.i fursat to main ne khud ko palaT ke dekha magar main pahchanta tha jis ko vo aadmi ab kahin nahin hai guzar gaya vaqt dil pe likh kar na jaane kaisi ajiib baten varaq palaTta huun main jo dil ke to sadgi ab kahin nahin hai vo aag barsi hai dopahar men ki saare manzar jhulas ga.e hain yahan savere jo tazgi thi vo tazgi ab kahin nahin hai tum apne qasbon men ja ke dekho vahan bhi ab shahr hi base hain ki DhunDhte ho jo zindagi tum vo zindagi ab kahin nahin hai phirte hain kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ik dusre ke ham-safar main aur miri avargi na-ashna har rah-guzar na-mehrban har ik nazar jaa.en to ab jaa.en kidhar main aur miri avargi ham bhi kabhi abad the aise kahan barbad the be-fikr the azad the masrur the dil-shad the vo chaal aisi chal gaya ham bujh ga.e dil jal gaya nikle jala ke apna ghar main aur miri avargi jiina bahut asan tha ik shakhs ka ehsan tha ham ko bhi ik arman tha jo khvab ka saman tha ab khvab hai nai aarzu arman hai nai justuju yuun bhi chalo khush hain magar main aur miri avargi vo mah-vash vo mah-ru vo mah-kam-e-hu-ba-hu thiin jis ki baten ku-ba-ku us se ajab thi guftugu phir yuun hua vo kho ga.i to mujh ko zid si ho ga.i la.enge us ko DhunD kar main aur miri avargi ye dil hi tha jo sah gaya vo baat aisi kah gaya kahne ko phir kya rah gaya ashkon ka dariya bah gaya jab kah ke vo dilbar gaya tere liye main mar gaya rote hain us ko raat bhar main aur miri avargi ab gham uTha.en kis liye aansu baha.en kis liye ye dil jala.en kis liye yuun jaan ganva.en kis liye pesha na ho jis ka sitam DhunDenge ab aisa sanam honge kahin to kargar main aur miri avargi asar hain sab khoT ke imkan hain sab choT ke ghar band hain sab goT ke ab khatm hain sab ToTke qismat ka sab ye pher hai andher hai andher hai aise hue hain be-asar main aur miri avargi jab hamdam-o-hamraz tha tab aur hi andaz tha ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha ab mujh se ho to ho bhi kya hai saath vo to vo bhi kya ik be-hunar ik be-samar main aur miri avargi pyaas ki kaise laa.e taab koi nahin dariya to ho sarab koi zakhm-e-dil men jahan mahakta hai isi kyari men tha gulab koi raat bajti thi duur shahna.i roya pi kar bahut sharab koi dil ko ghere hain rozgar ke gham raddi men kho ga.i kitab koi kaun sa zakhm kis ne bakhsha hai is ka rakkhe kahan hisab koi phir main sunne laga huun is dil ki aane vaala hai phir azaab koi shab ki dahliz par shafaq hai lahu phir hua qatl aftab koi saari hairat hai miri saari ada us ki hai be-gunahi hai miri aur saza us ki hai mere alfaz men jo rang hai vo us ka hai mere ehsas men jo hai vo faza us ki hai sher mere hain magar in men mohabbat us ki phuul mere hain magar bad-e-saba us ki hai ik mohabbat ki ye tasvir hai do rangon men shauq sab mera hai aur saari haya us ki hai ham ne kya us se mohabbat ki ijazat li thi dil-shikan hi sahi par baat baja us ki hai ek mere hi siva sab ko pukare hai koi main ne pahle hi kaha tha ye sada us ki hai khuun se sinchi hai main ne jo zamin mar mar ke vo zamin ek sitam-gar ne kaha us ki hai us ne hi is ko ujaDa hai ise luuTa hai ye zamin us ki agar hai bhi to kya us ki hai sach ye hai be-kar hamen gham hota hai jo chaha tha duniya men kam hota hai Dhalta suraj phaila jangal rasta gum ham se puchho kaisa aalam hota hai ghairon ko kab fursat hai dukh dene ki jab hota hai koi hamdam hota hai zakhm to ham ne in ankhon se dekhe hain logon se sunte hain marham hota hai zehn ki shakhon par ash.ar aa jaate hain jab teri yadon ka mausam hota hai shahr ke dukan-daro karobar-e-ulfat men suud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge dil ke daam kitne hain khvab kitne mahnge hain aur naqd-e-jan kya hai tum na jaan paoge koi kaise milta hai phuul kaise khilta hai aankh kaise jhukti hai saans kaise rukti hai kaise rah nikalti hai kaise baat chalti hai shauq ki zaban kya hai tum na jaan paoge vasl ka sukun kya hai hijr ka junun kya hai husn ka fusun kya hai ishq ka darun kya hai tum mariz-e-dana.i maslahat ke shaida.i rah-e-gum-rahan kya hai tum na jaan paoge zakhm kaise phalte hain daagh kaise jalte hain dard kaise hota hai koi kaise rota hai ashk kya hai naale kya dasht kya hai chhale kya aah kya fughan kya hai tum na jaan paoge na-murad dil kaise sub.h-o-sham karte hain kaise zinda rahte hain aur kaise marte hain tum ko kab nazar aa.i gham-zadon ki tanha.i ziist be-aman kya hai tum na jaan paoge janta huun main tum ko zauq-e-sha.eri bhi hai shakhsiyat sajane men ik ye mahri bhi hai phir bhi harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyan kya hai tum na jaan paoge shukr hai khairiyat se huun sahab aap se aur kya kahun sahab ab samajhne laga huun sud-o-ziyan ab kahan mujh men vo junun sahab zillat-e-zist ya shikast-e-zamir ye sahun main ki vo sahun sahab ham tumhen yaad karte ro lete do-ghaDi milta jo sukun sahab shaam bhi Dhal rahi hai ghar bhi hai duur kitni der aur main rukun sahab ab jhukunga to TuuT ja.unga kaise ab aur main jhukun sahab kuchh rivayat ki gavahi par kitna jurmana main bharun sahab sukhi Tahni tanha chiDiya phika chand ankhon ke sahra men ek nami ka chand us mathe ko chume kitne din biite jis mathe ki khatir tha ik Tiika chand pahle tu lagti thi kitni begana kitna mub.ham hota hai pahli ka chand kam ho kaise in khushiyon se tera gham lahron men kab bahta hai naddi ka chand aao ab ham is ke bhi TukDe kar len Dhaka ravalpinDi aur dilli ka chand vo Dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahi hai zamin suraj ki ungliyon se phisal rahi hai jo mujh ko zinda jala rahe hain vo be-khabar hain ki meri zanjir dhire dhire pighal rahi hai main qatl to ho gaya tumhari gali men lekin mire lahu se tumhari divar gal rahi hai na jalne paate the jis ke chulhe bhi har savere suna hai kal raat se vo basti bhi jal rahi hai main janta huun ki khamushi men hi maslahat hai magar yahi maslahat mire dil ko khal rahi hai kabhi to insan zindagi ki karega izzat ye ek ummid aaj bhi dil men pal rahi hai vo zamana guzar gaya kab ka tha jo divana mar gaya kab ka DhunDhta tha jo ik na.i duniya luuT ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariya tak paar akele utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahi jaane apna to zakhm bhar gaya kab ka khvab-dar-khvab tha jo shiraza ab kahan hai bikhar gaya kab ka yaad use bhi ek adhura afsana to hoga kal raste men us ne ham ko pahchana to hoga Dar ham ko bhi lagta hai raste ke sannaTe se lekin ek safar par ai dil ab jaana to hoga kuchh baton ke matlab hain aur kuchh matlab ki baten jo ye farq samajh lega vo divana to hoga dil ki baten nahin hai to dilchasp hi kuchh baten hon zinda rahna hai to dil ko bahlana to hoga jiit ke bhi vo sharminda hai haar ke bhi ham nazan kam se kam vo dil hi dil men ye maana to hoga yahi halat ibtida se rahe log ham se khafa khafa se rahe in charaghon men tel hi kam tha kyuun gila ham ko phir hava se rahe bahs shatranj sher mausiqi tum nahin the to ye dilase rahe zindagi ki sharab mangte ho ham ko dekho ki pi ke pyase rahe us ke bandon ko dekh kar kahiye ham ko ummid kya khuda se rahe yaqin ka agar koi bhi silsila nahin raha to shukr kijiye ki ab koi gila nahin raha na hijr hai na vasl hai ab is ko koi kya kahe ki phuul shakh par to hai magar khila nahin raha khazana tum na paa.e to gharib jaise ho ga.e palak pe ab koi bhi moti jhilmila nahin raha badal ga.i hai zindagi badal ga.e hain log bhi khulus ka jo tha kabhi vo ab sila nahin raha jo dushmani bakhil se hui to itni khair hai ki zahr us ke paas hai magar pila nahin raha lahu men jazb ho saka na ilm to ye haal hai koi saval zehn ko jo de jala nahin raha ye duniya tum ko raas aa.e to kahna na sar patthar se Takra.e to kahna ye gul kaghaz hain ye zevar hain pital samajh men jab ye aa jaa.e to kahna bahut khush ho ki us ne kuchh kaha hai na kah kar vo mukar jaa.e to kahna badal jaoge tum gham sun ke mere kabhi dil gham se ghabra.e to kahna dhuan jo kuchh gharon se uTh raha hai na puure shahar par chha.e to kahna ye mujh se puchhte hain charagar kyuun ki tu zinda to hai ab tak magar kyuun jo rasta chhoD ke main ja raha huun usi raste pe jaati hai nazar kyuun thakan se chuur paas aaya tha us ke gira sote men mujh par ye shajar kyuun suna.enge kabhi fursat men tum ko ki ham barson rahe hain dar-ba-dar kyuun yahan bhi sab hain begana hi mujh se kahun main kya ki yaad aaya hai ghar kyuun main khush rahta agar samjha na hota ye duniya hai to main huun dida-var kyuun ye tasalli hai ki hain nashad sab main akela hi nahin barbad sab sab ki khatir hain yahan sab ajnabi aur kahne ko hain ghar abad sab bhuul ke sab ranjishen sab ek hain main bata.un sab ko hoga yaad sab sab ko da.ava-e-vafa sab ko yaqin is adakari men hain ustad sab shahr ke hakim ka ye farman hai qaid men kahla.enge azad sab chaar lafzon men kaho jo bhi kaho us ko kab fursat sune fariyad sab talkhiyan kaise na huun ash.ar men ham pe jo guzri hamen hai yaad sab zara mausam to badla hai magar peDon ki shakhon par na.e patton ke aane men abhi kuchh din lagenge bahut se zard chehron par ghubar-e-gham hai kam be-shak par un ko muskurane men abhi kuchh din lagenge kabhi ham ko yaqin tha zo.am tha duniya hamari jo mukhalif hai to ho jaa.e magar tum mehrban ho hamen ye baat vaise yaad to ab kya hai lekin haan ise yaksar bhulane men abhi kuchh din lagenge jahan itne masa.ib hon jahan itni pareshani kisi ka bevafa hona hai koi saneha kya bahut ma.aqul hai ye baat lekin is haqiqat tak dil-e-nadan ko laane men abhi kuchh din lagenge koi TuuTe hue shishe liye afsurda-o-maghmum kab tak yuun guzare be-talab be-arzu din to in khvabon ki kirchen ham ne palkon se jhaTak diin par na.e arman sajane men abhi kuchh din lagenge tavahhum ki siyah shab ko kiran se chaak kar ke agahi har ek angan men naya suraj utare magar afsos ye sach hai vo shab thi aur ye suraj hai ye sab ko maan jaane men abhi kuchh din lagenge purani manzilon ka shauq to kis ko hai baaqi ab na.i hain manzilen hain sab ke dil men jin ke arman bana lena na.i manzil na tha mushkil magar ai dil na.e raste banane men abhi kuchh din lagenge andhere Dhal ga.e raushan hue manzar zamin jaagi falak jaaga to jaise jaag uTThi zindagani magar kuchh yad-e-mazi oDh ke so.e hue logon ko lagta hai jagane men abhi kuchh din lagenge aadmi aadmi se milta hai dil magar kam kisi se milta hai bhuul jaata huun main sitam us ke vo kuchh is sadgi se milta hai aaj kya baat hai ki phulon ka rang teri hansi se milta hai silsila fitna-e-qayamat ka teri khush-qamati se milta hai mil ke bhi jo kabhi nahin milta TuuT kar dil usi se milta hai karobar-e-jahan sanvarte hain hosh jab be-khudi se milta hai ruuh ko bhi maza mohabbat ka dil ki ham-sa.egi se milta hai aaj kya haal hai yarab sar-e-mahfil mera ki nikale liye jaata hai koi dil mera soz-e-gham dekh na barbad ho hasil mera dil ki tasvir hai har a.ina-e-dil mera sub.h tak hijr men kya janiye kya hota hai shaam hi se mire qaabu men nahin dil mera mil ga.i ishq men iza-talabi se rahat gham hai ab jaan miri dard hai ab dil mera paaya jaata hai tiri shokhi-e-raftar ka rang kaash pahlu men dhaDakta hi rahe dil mera haa.e us mard ki qismat jo hua dil ka sharik haa.e us dil ka muqaddar jo bana dil mera kuchh khaTakta to hai pahlu men mire rah rah kar ab khuda jaane tiri yaad hai ya dil mera ankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha aaya jo mere samne mera ghurur tha tarik misl-e-ah jo ankhon ka nuur tha kya sub.h hi se sham-e-bala ka zuhur tha vo the na mujh se duur na main un se duur tha aata na tha nazar to nazar ka qusur tha har vaqt ik khumar tha har dam surur tha botal baghal men thi ki dil-e-na-subur tha koi to dardmand-e-dil-e-na-subur tha maana ki tum na the koi tum sa zarur tha lagte hi Thes TuuT gaya saz-e-arzu milte hi aankh shisha-e-dil chuur chuur tha aisa kahan bahar men ranginiyon ka josh shamil kisi ka khun-e-tamanna zarur tha saaqi ki chashm-e-mast ka kya kijiye bayan itna surur tha ki mujhe bhi surur tha palTi jo raste hi se ai ah-e-na-murad ye to bata ki bab-e-asar kitni duur tha jis dil ko tum ne lutf se apna bana liya us dil men ik chhupa hua nashtar zarur tha us chashm-e-mai-farosh se koi na bach saka sab ko ba-qadr-e-hausla-e-dil surur tha dekha tha kal 'jigar' ko sar-e-rah-e-mai-kada is darja pi gaya tha ki nashshe men chuur tha ankhon men bas ke dil men sama kar chale ga.e khvabida zindagi thi jaga kar chale ga.e husn-e-azal ki shaan dikha kar chale ga.e ik vaqi.a sa yaad dila kar chale ga.e chehre tak astin vo la kar chale ga.e kya raaz tha ki jis ko chhupa kar chale ga.e rag rag men is tarah vo sama kar chale ga.e jaise mujhi ko mujh se chura kar chale ga.e meri hayat-e-ishq ko de kar junun-e-shauq mujh ko tamam hosh bana kar chale ga.e samjha ke pastiyan mire auj-e-kamal ki apni bulandiyan vo dikha kar chale ga.e apne farogh-e-husn ki dikhla ke vus.aten mere hudud-e-shauq baDha kar chale ga.e har shai ko meri khatir-e-nashad ke liye a.ina-e-jamal bana kar chale ga.e aa.e the dil ki pyaas bujhane ke vaste ik aag si vo aur laga kar chale ga.e aa.e the chashm-e-shauq ki hasrat nikalne sar-ta-qadam nigah bana kar chale ga.e ab karobar-e-ishq se fursat mujhe kahan kaunain ka vo dard baDha kar chale ga.e shukr-e-karam ke saath ye shikva bhi ho qubul apna sa kyuun na mujh ko bana kar chale ga.e lab tharthara ke rah ga.e lekin vo ai 'jigar' jaate hue nigah mila kar chale ga.e aaya na raas nala-e-dil ka asar mujhe ab tum mile to kuchh nahin apni khabar mujhe dil le ke mujh se dete ho dagh-e-jigar mujhe ye baat bhulne ki nahin umr bhar mujhe har-su dikha.i dete hain vo jalva-gar mujhe kya kya fareb deti hai meri nazar mujhe milti nahin hai lazzat-e-dard-e-jigar mujhe bhuli hui na ho nigah-e-fitnagar mujhe Daala hai be-khudi ne ajab raah par mujhe ankhen hain aur kuchh nahin aata nazar mujhe karna hai aaj hazrat-e-naseh se samna mil jaa.e do ghaDi ko tumhari nazar mujhe mastana kar raha huun rah-e-ashiqi ko tai le jaa.e jazb-e-shauq mira ab jidhar mujhe Darta huun jalva-e-rukh-e-janan ko dekh kar apna bana na le kahin meri nazar mujhe yaksan hai husn-o-ishq ki sar-mastiyon ka rang un ki khabar unhen hai na meri khabar mujhe marna hai un ke paanv pe rakh kar sar-e-niyaz karna hai aaj qissa-e-gham mukhtasar mujhe siine se dil aziiz hai dil se ho tum aziiz sab se magar aziiz hai teri nazar mujhe main duur huun to ru-e-sukhan mujh se kis liye tum paas ho to kyuun nahin aate nazar mujhe kya janiye qafas men rahe kya mo.amla ab tak to hain aziiz mire bal-o-par mujhe ab to ye bhi nahin raha ehsas dard hota hai ya nahin hota ishq jab tak na kar chuke rusva aadmi kaam ka nahin hota TuuT paDta hai daf.atan jo ishq besh-tar der-pa nahin hota vo bhi hota hai ek vaqt ki jab ma-siva ma-siva nahin hota haa.e kya ho gaya tabi.at ko gham bhi rahat-faza nahin hota dil hamara hai ya tumhara hai ham se ye faisla nahin hota jis pe teri nazar nahin hoti us ki janib khuda nahin hota main ki be-zar umr bhar ke liye dil ki dam-bhar juda nahin hota vo hamare qarib hote hain jab hamara pata nahin hota dil ko kya kya sukun hota hai jab koi aasra nahin hota ho ke ik baar samna un se phir kabhi samna nahin hota agar na zohra-jabinon ke darmiyan guzre to phir ye kaise kaTe zindagi kahan guzre jo tere aariz o gesu ke darmiyan guzre kabhi kabhi vahi lamhe bala-e-jan guzre mujhe ye vahm raha muddaton ki jur.at-e-shauq kahin na khatir-e-masum par giran guzre har ik maqam-e-mohabbat bahut hi dilkash tha magar ham ahl-e-mohabbat kashan kashan guzre junun ke sakht marahil bhi teri yaad ke saath hasin hasin nazar aa.e javan javan guzre miri nazar se tiri justuju ke sadqe men ye ik jahan hi nahin sainkaDon jahan guzre hujum-e-jalva men parvaz-e-shauq kya kahna ki jaise ruuh sitaron ke darmiyan guzre khata-muaf zamane se bad-guman ho kar tiri vafa pe bhi kya kya hamen guman guzre mujhe tha shikva-e-hijran ki ye hua mahsus mire qarib se ho kar vo na-gahan guzre rah-e-vafa men ik aisa maqam bhi aaya ki ham khud apni taraf se bhi bad-guman guzre khulus jis men ho shamil vo daur-e-ishq-o-havas na ra.egan kabhi guzra na ra.egan guzre usi ko kahte hain jannat usi ko dozakh bhi vo zindagi jo hasinon ke darmiyan guzre bahut hasin manazir bhi husn-e-fitrat ke na jaane aaj tabi.at pe kyuun giran guzre vo jin ke saa.e se bhi bijliyan larazti thiin miri nazar se kuchh aise bhi ashiyan guzre mira to farz chaman-bandi-e-jahan hai faqat miri bala se bahar aa.e ya khizan guzre kahan ka husn ki khud ishq ko khabar na hui rah-e-talab men kuchh aise bhi imtihan guzre bhari bahar men taraji-e-chaman mat puchh khuda kare na phir ankhon se vo saman guzre koi na dekh saka jin ko vo dilon ke siva muamlat kuchh aise bhi darmiyan guzre kabhi kabhi to isi ek musht-e-khak ke gird tavaf karte hue haft asman guzre bahut hasin sahi sohbaten gulon ki magar vo zindagi hai jo kanTon ke darmiyan guzre abhi se tujh ko bahut nagavar hain hamdam vo hadsat jo ab tak ravan-davan guzre jinhen ki dida-e-sha.ir hi dekh sakta hai vo inqilab tire samne kahan guzre bahut aziiz hai mujh ko unhen kya yaad 'jigar' vo hadsat-e-mohabbat jo na-gahan guzre ai husn-e-yar sharm ye kya inqalab hai tujh se ziyada dard tira kamyab hai ashiq ki be-dili ka taghaful nahin javab us ka bas ek josh-e-mohabbat javab hai teri inayaten ki nahin nazr-e-jan qubul teri navazishen ki zamana kharab hai ai husn apni hausla-afza.iyan to dekh maana ki chashm-e-shauq bahut be-hijab hai main ishq-e-be-niyaz huun tum husn-e-be-panah mera javab hai na tumhara javab hai mai-khana hai usi ka ye duniya usi ki hai jis tishna-lab ke haath men jam-e-sharab hai us se dil-e-tabah ki rudad kya kahun jo ye na sun sake ki zamana kharab hai ai mohtasib na phenk mire mohtasib na phenk zalim sharab hai are zalim sharab hai apne hudud se na baDhe koi ishq men jo zarra jis jagah hai vahin aftab hai vo laakh samne hon magar is ka kya ilaaj dil manta nahin ki nazar kamyab hai meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar phir bhi tira shabab tira hi shabab hai manus-e-e'tibar-e-karam kyuun kiya mujhe ab har khata-e-shauq isi ka javab hai main us ka a.ina huun vo hai mera a.ina meri nazar se us ki nazar kamyab hai tanha.i-e-firaq ke qurban ja.iye main huun khayal-e-yar hai chashm-e-pur-ab hai sarmaya-e-firaq 'jigar' aah kuchh na puchh ab jaan hai so apne liye khud azaab hai allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin ye tu ne kaha kya ai nadan fayyazi-e-qudrat aam nahin tu fikr o nazar to paida kar kya chiiz hai jo in.aam nahin ya-rab ye maqam-e-ishq hai kya go dida-o-dil nakam nahin taskin hai aur taskin nahin aram hai aur aram nahin kyuun mast-e-sharab-e-aish-o-tarab taklif-e-tavajjoh farma.en avaz-e-shikast-e-dil hi to hai avaz-e-shikast-e-jam nahin aana hai jo bazm-e-janan men pindar-e-khudi ko toD ke aa ai hosh-o-khirad ke divane yaan hosh-o-khirad ka kaam nahin zahid ne kuchh is andaz se pi saaqi ki nigahen paDne lagin mai-kash yahi ab tak samjhe the sha.ista daur-e-jam nahin ishq aur gavara khud kar le be-shart shikast-e-fash apni dil ki bhi kuchh un ke sazish hai tanha ye nazar ka kaam nahin sab jis ko asiri kahte hain vo to hai amiri hi lekin vo kaun si azadi hai yahan jo aap khud apna daam nahin barabar se bach kar guzar jaane vaale ye naale nahin be-asar jaane vaale nahin jante kuchh ki jaana kahan hai chale ja rahe hain magar jaane vaale mire dil ki betabiyan bhi liye ja dabe paanv munh pher kar jaane vaale tire ik ishare pe sakit khaDe hain nahin kah ke sab se guzar jaane vaale mohabbat men ham to jiye hain jiyenge vo honge koi aur mar jaane vaale be-kaif dil hai aur jiye ja raha huun main khali hai shisha aur piye ja raha huun main paiham jo aah aah kiye ja raha huun main daulat hai gham zakat diye ja raha huun main majburi-e-kamal-e-mohabbat to dekhna jiina nahin qubul jiye ja raha huun main vo dil kahan hai ab ki jise pyaar kijiye majburiyan hain saath diye ja raha huun main rukhsat hui shabab ke hamrah zindagi kahne ki baat hai ki jiye ja raha huun main pahle sharab ziist thi ab ziist hai sharab koi pila raha hai piye ja raha huun main dastan-e-gham-e-dil un ko suna.i na ga.i baat bigDi thi kuchh aisi ki bana.i na ga.i sab ko ham bhuul ga.e josh-e-junun men lekin ik tiri yaad thi aisi jo bhula.i na ga.i ishq par kuchh na chala dida-e-tar ka qaabu us ne jo aag laga di vo bujha.i na ga.i paD gaya husn-e-rukh-e-yar ka partav jis par khaak men mil ke bhi is dil ki safa.i na ga.i kya uTha.egi saba khaak miri us dar se ye qayamat to khud un se bhi uTha.i na ga.i dil gaya raunaq-e-hayat ga.i gham gaya saari ka.enat ga.i dil dhaDakte hi phir ga.i vo nazar lab tak aa.i na thi ki baat ga.i din ka kya zikr tira-bakhton men ek raat aa.i ek raat ga.i teri baton se aaj to vaa.iz vo jo thi khvahish-e-najat ga.i un ke bahla.e bhi na bahla dil ra.egan sa.i-e-iltifat ga.i marg-e-ashiq to kuchh nahin lekin ik masiha-nafas ki baat ga.i ab junun aap hai gareban-gir ab vo rasm-e-takallufat ga.i ham ne bhi vaz-e-gham badal Daali jab se vo tarz-e-iltifat ga.i tark-e-ulfat bahut baja naseh lekin us tak agar ye baat ga.i haan maze luuT le javani ke phir na aa.egi ye jo raat ga.i haan ye sarshariyan javani ki aankh jhapki hi thi ki raat ga.i jalva-e-zat ai ma.az-allah tab-e-a.ina-e-sifat ga.i nahin milta mizaj-e-dil ham se ghaliban duur tak ye baat ga.i qaid-e-hasti se kab najat 'jigar' maut aa.i agar hayat ga.i dil ko sukun ruuh ko aram aa gaya maut aa ga.i ki dost ka paigham aa gaya jab koi zikr-e-gardish-e-ayyam aa gaya be-ikhtiyar lab pe tira naam aa gaya gham men bhi hai surur vo hangam aa gaya shayad ki daur-e-bada-e-gulfam aa gaya divangi ho aql ho ummid ho ki yaas apna vahi hai vaqt pe jo kaam aa gaya dil ke muamlat men naseh shikast kya sau baar husn par bhi ye ilzam aa gaya sayyad shadman hai magar ye to soch le main aa gaya ki saaya tah-e-dam aa gaya dil ko na puchh marka-e-husn-o-ishq men kya janiye gharib kahan kaam aa gaya ye kya maqam-e-ishq hai zalim ki in dinon aksar tire baghair bhi aram aa gaya ahbab mujh se qat-e-ta.alluq karen 'jigar' ab aftab-e-zist lab-e-bam aa gaya dil men kisi ke raah kiye ja raha huun main kitna hasin gunah kiye ja raha huun main duniya-e-dil tabah kiye ja raha huun main sarf-e-nigah-o-ah kiye ja raha huun main fard-e-amal siyah kiye ja raha huun main rahmat ko be-panah kiye ja raha huun main aisi bhi ik nigah kiye ja raha huun main zarron ko mehr-o-mah kiye ja raha huun main mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chand khud husn ko gavah kiye ja raha huun main daftar hai ek mani-e-be-lafz-o-saut ka saada si jo nigah kiye ja raha huun main aage qadam baDha.en jinhen sujhta nahin raushan charagh-e-rah kiye ja raha huun main masumi-e-jamal ko bhi jin pe rashk hai aise bhi kuchh gunah kiye ja raha huun main tanqid-e-husn maslahat-e-khas-e-ishq hai ye jurm gaah gaah kiye ja raha huun main uThti nahin hai aankh magar us ke ru-ba-ru nadida ik nigah kiye ja raha huun main gulshan-parast huun mujhe gul hi nahin aziiz kanTon se bhi nibah kiye ja raha huun main yuun zindagi guzar raha huun tire baghair jaise koi gunah kiye ja raha huun main mujh se ada hua hai 'jigar' justuju ka haq har zarre ko gavah kiye ja raha huun main duniya ke sitam yaad na apni hi vafa yaad ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad main shikva ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad shayad ki mire bhulne vaale ne kiya yaad chheDa tha jise pahle-pahal teri nazar ne ab tak hai vo ik naghma-e-be-saz-o-sada yaad jab koi hasin hota hai sargarm-e-navazish us vaqt vo kuchh aur bhi aate hain siva yaad kya janiye kya ho gaya arbab-e-junun ko marne ki ada yaad na jiine ki ada yaad muddat hui ik hadsa-e-ishq ko lekin ab tak hai tire dil ke dhaDakne ki sada yaad haan haan tujhe kya kaam miri shiddat-e-gham se haan haan nahin mujh ko tire daman ki hava yaad main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha kyuun aa ga.i aise men tiri laghzish-e-pa yaad kya lutf ki main apna pata aap bata.un kiije koi bhuli hui khaas apni ada yaad fikr-e-manzil hai na hosh-e-jada-e-manzil mujhe ja raha huun jis taraf le ja raha hai dil mujhe ab zaban bhi de ada-e-shukr ke qabil mujhe dard bakhsha hai agar tu ne baja.e-dil mujhe yuun taDap kar dil ne taDpaya sar-e-mahfil mujhe us ko qatil kahne vaale kah uThe qatil mujhe ab kidhar ja.un bata ai jazba-e-kamil mujhe har taraf se aaj aati hai sada-e-dil mujhe rok sakti ho to baDh kar rok le manzil mujhe har taraf se aaj aati hai sada-e-dil mujhe jaan di ki hashr tak main huun miri tanha.iyan haan mubarak fursat-e-nazzara-e-qatil mujhe har ishare par hai phir bhi gardan-e-taslim kham janta huun saaf dhoke de raha hai dil mujhe ja bhi ai naseh kahan ka suud aur kaisa ziyan ishq ne samjha diya hai ishq ka hasil mujhe main azal se sub.h-e-mahshar tak farozan hi raha husn samjha tha charagh-e-kushta-e-mahfil mujhe khun-e-dil rag rag men jam kar rah gaya is vahm se baDh ke siine se na lipTa le mira qatil mujhe kaisa qatra kaisa dariya kis ka tufan kis ki mauj tu jo chahe to Dubo de khushki-e-sahil mujhe phunk de ai ghairat-e-soz-e-mohabbat phunk de ab samajhti hain vo nazren rahm ke qabil mujhe toD kar baiTha huun rah-e-shauq men pa-e-talab dekhna hai jazba-e-be-tabi-e-manzil mujhe ai hujum-e-na-umidi shad-bash-o-zinda-bash tu ne sab se kar diya begana-o-ghafil mujhe dard-e-mahrumi sahi ehsas-e-nakami sahi us ne samjha to bahar-surat kisi qabil mujhe ye bhi kya manzar hai baDhte hain na rukte hain qadam tak raha huun duur se manzil ko main manzil mujhe ham ko miTa sake ye zamane men dam nahin ham se zamana khud hai zamane se ham nahin be-fa.eda alam nahin be-kar gham nahin taufiq de khuda to ye nemat bhi kam nahin meri zaban pe shikva-e-ahl-e-sitam nahin mujh ko jaga diya yahi ehsan kam nahin ya rab hujum-e-dard ko de aur vus.aten daman to kya abhi miri ankhen bhi nam nahin shikva to ek chheD hai lekin haqiqatan tera sitam bhi teri inayat se kam nahin ab ishq us maqam pe hai justuju-navard saaya nahin jahan koi naqsh-e-qadam nahin milta hai kyuun maza sitam-e-rozgar men tera karam bhi khud jo sharik-e-sitam nahin marg-e-'jigar' pe kyuun tiri ankhen hain ashk-rez ik saneha sahi magar itna aham nahin ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai ye kis ka tasavvur hai ye kis ka fasana hai jo ashk hai ankhon men tasbih ka daana hai dil sang-e-malamat ka har-chand nishana hai dil phir bhi mira dil hai dil hi to zamana hai ham ishq ke maron ka itna hi fasana hai rone ko nahin koi hansne ko zamana hai vo aur vafa-dushman manenge na maana hai sab dil ki shararat hai ankhon ka bahana hai sha.ir huun main sha.ir huun mera hi zamana hai fitrat mira a.ina qudrat mira shana hai jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai apni hi musibat hai apna hi fasana hai kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai ham khak-nashinon ki Thokar men zamana hai aghaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai ashkon ki hukumat hai aahon ka zamana hai ankhon men nami si hai chup chup se vo baiThe hain nazuk si nigahon men nazuk sa fasana hai ham dard-ba-dil nalan vo dast-ba-dil hairan ai ishq to kya zalim tera hi zamana hai ya vo the khafa ham se ya ham hain khafa un se kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai ai ishq-e-junun-pesha haan ishq-e-junun-pesha aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai thoDi si ijazat bhi ai bazm-gah-e-hasti aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulana hai ye ishq nahin asan itna hi samajh liije ik aag ka dariya hai aur Duub ke jaana hai khud husn-o-shabab un ka kya kam hai raqib apna jab dekhiye ab vo hain a.ina hai shana hai tasvir ke do rukh hain jaan aur gham-e-janan ik naqsh chhupana hai ik naqsh dikhana hai ye husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apna jiine ki tamanna hai marne ka zamana hai mujh ko isi dhun men hai har lahza basar karna ab aa.e vo ab aa.e lazim unhen aana hai khuddari-o-mahrumi mahrumi-o-khuddari ab dil ko khuda rakkhe ab dil ka zamana hai ashkon ke tabassum men aahon ke tarannum men ma.asum mohabbat ka ma.asum fasana hai aansu to bahut se hain ankhon men 'jigar' lekin bandh jaa.e so moti hai rah jaa.e so daana hai ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin be-karan hota nahin be-intiha hota nahin qatra jab tak baDh ke qulzum-ashna hota nahin us se baDh kar dost koi dusra hota nahin sab juda ho jaa.en lekin gham juda hota nahin zindagi ik hadsa hai aur kaisa hadsa maut se bhi khatm jis ka silsila hota nahin kaun ye naseh ko samjha.e ba-tarz-e-dil-nashin ishq sadiq ho to gham bhi be-maza hota nahin dard se mamur hoti ja rahi hai ka.enat ik dil-e-insan magar dard-ashna hota nahin mere arz-e-gham pe vo kahna kisi ka haa.e haa.e shikva-e-gham sheva-e-ahl-e-vafa hota nahin us maqam-e-qarb tak ab ishq pahuncha hi jahan dida-o-dil ka bhi aksar vasta hota nahin har qadam ke saath manzil lekin is ka kya ilaaj ishq hi kam-bakht manzil-ashna hota nahin allah allah ye kamal aur irtibat-e-husn-o-ishq fasle hon laakh dil se dil juda hota nahin kya qayamat hai ki is daur-e-taraqqi men 'jigar' aadmi se aadmi ka haq ada hota nahin ishq ko be-naqab hona tha aap apna javab hona tha mast-e-jam-e-sharab hona tha be-khud-e-iztirab hona tha teri ankhon ka kuchh qusur nahin haan mujhi ko kharab hona tha aao mil jaao muskura ke gale ho chuka jo itaab hona tha kucha-e-ishq men nikal aaya jis ko khana-kharab hona tha mast-e-jam-e-sharab khaak hote gharq-e-jam-e-sharab hona tha dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang us ko saada kitab hona tha ham ne nakamiyon ko DhunD liya akhirash kamyab hona tha haa.e vo lamha-e-sukun ki jise mahshar-e-iztirab hona tha nigah-e-yar khud taDap uThti shart-e-avval kharab hona tha kyuun na hota sitam bhi be-payan karam-e-be-hisab hona tha kyuun nazar hairaton men Duub ga.i mauj-e-sad-iztirab hona tha ho chuka roz-e-avvalin hi 'jigar' jis ko jitna kharab hona tha ishq men la-javab hain ham log mahtab aftab hain ham log garche ahl-e-sharab hain ham log ye na samjho kharab hain ham log shaam se aa ga.e jo piine par sub.h tak aftab hain ham log ham ko dava-e-ishq-bazi hai mustahiqq-e-azab hain ham log naaz karti hai khana-virani aise khana-kharab hain ham log ham nahin jante khizan kya hai kushtagan-e-shabab hain ham log tu hamara javab hai tanha aur tera javab hain ham log tu hai dariya-e-husn-o-mahbubi shakl-e-mauj-o-habab hain ham log go sarapa hijab hain phir bhi tere rukh ki naqab hain ham log khuub ham jante hain apni qadr tere na-kamyab hain ham log ham se ghaflat na ho to phir kya ho rah-rav-e-mulk-e-khvab hain ham log janta bhi hai us ko tu vaa.iz jis ke mast-o-kharab hain ham log ham pe nazil hua sahifa-e-ishq sahiban-e-kitab hain ham log har haqiqat se jo guzar jaa.en vo sadaqat-ma.ab hain ham log jab mili aankh hosh kho baiThe kitne hazir-javab hain ham log ham se puchho 'jigar' ki sar-masti mahram-e-an-janab hain ham log jehl-e-khirad ne din ye dikha.e ghaT ga.e insan baDh ga.e saa.e haa.e vo kyunkar dil bahla.e gham bhi jis ko raas na aa.e zid par ishq agar aa jaa.e paani chhiDke aag laga.e dil pe kuchh aisa vaqt paDa hai bhage lekin raah na paa.e kaisa majaz aur kaisi haqiqat apne hi jalve apne hi saa.e jhuTi hai har ek masarrat ruuh agar taskin na paa.e kar-e-zamana jitna jitna banta jaa.e bigaDta jaa.e zabt-e-mohabbat shart-e-mohabbat ji hai ki zalim umDa aa.e husn vahi hai husn jo zalim haath laga.e haath na aa.e naghma vahi hai naghma ki jis ko ruuh sune aur ruuh suna.e rah-e-junun asan hui hai zulf o mizha ke saa.e saa.e jo ab bhi na taklif farma.iyega to bas haath malte hi rah ja.iyega nigahon se chhup kar kahan ja.iyega jahan ja.iyega hamen pa.iyega mira jab bura haal sun pa.iyega khiraman khiraman chale a.iyega miTa kar hamen aap pachhta.iyega kami koi mahsus farma.iyega nahin khel naseh junun ki haqiqat samajh lijiyega to samjha.iyega hamen bhi ye ab dekhna hai ki ham par kahan tak tavajjoh na farma.iyega sitam ishq men aap asan na samjhen taDap ja.iyega jo taDpa.iyega ye dil hai ise dil hi bas rahne diije karam kijiyega to pachhta.iyega kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat na farma.iyega to farma.iyega bhulana hamara mubarak mubarak magar shart ye hai na yaad a.iyega hamen bhi na ab chain aa.ega jab tak in ankhon men aansu na bhar la.iyega tira jazba-e-shauq hai be-haqiqat zara phir to irshad farma.iyega hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharma.iyega ye maana ki de kar hamen ranj-e-furqat mudava-e-furqat na farma.iyega mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin kahan tak tabi.at ko behla.iyega na hoga hamara hi aghosh khali kuchh apna bhi pahlu tahi pa.iyega junun ki 'jigar' koi had bhi hai akhir kahan tak kisi par sitam Dha.iyega jo tufanon men palte ja rahe hain vahi duniya badalte ja rahe hain nikharta aa raha hai rang-e-gulshan khas o khashak jalte ja rahe hain vahin main khaak uDti dekhta huun jahan chashme ubalte ja rahe hain charagh-e-dair-o-kaba allah allah hava ki zid pe jalte ja rahe hain shabab o husn men bahas aa paDi hai na.e pahlu nikalte ja rahe hain kaam akhir jazba-e-be-ikhtiyar aa hi gaya dil kuchh is surat se taDpa un ko pyaar aa hi gaya jab nigahen uTh ga.iin allah-ri meraj-shauq dekhta kya huun vo jan-e-intizar aa hi gaya haa.e ye husn-e-tasavvur ka fareb-e-rang-o-bu main ye samjha jaise vo jan-e-bahar aa hi gaya haan saza de ai khuda-e-ishq ai taufiq-e-gham phir zaban-e-be-adab par zikr yaar aa hi gaya is tarah khush huun kisi ke vada-e-farda pe main dar-haqiqat jaise mujh ko e'tibar aa hi gaya haa.e kafir-dil ki ye kafir junun-angeziyan tum ko pyaar aa.e na aa.e mujh ko pyaar aa hi gaya dard ne karvaT hi badli thi ki dil ki aaD se daf.atan parda uTha aur parda-dar aa hi gaya dil ne ik naala kiya aaj is tarah divana-var baal bikhra.e koi msatana-var aa hi gaya jaan hi de di 'jigar' ne aaj pa-e-yar par umr bhar ki be-qarari ko qarar aa hi gaya kabhi shakh o sabza o barg par kabhi ghuncha o gul o khaar par main chaman men chahe jahan rahun mira haq hai fasl-e-bahar par mujhe den na ghaiz men dhamkiyan giren laakh baar ye bijliyan miri saltanat ye hi ashiyan miri milkiyat ye hi chaar par jinhen kahiye ishq ki vus.aten jo hain khaas husn ki azmaten ye usi ke qalb se puchhiye jise fakhr ho gham-e-yar par mire ashk-e-khun ki bahar hai ki muraqqa-e-gham-e-yar hai miri sha.iri bhi nisar hai miri chashm-e-sehr-nigar par ajab inqilab-e-zamana hai mira mukhtasar sa fasana hai yahi ab jo baar hai dosh par yahi sar tha zanu-e-yar par ye kamal-e-ishq ki sazishen ye jamal-e-husn ki nazishen ye inayaten ye navazishen miri ek musht-e-ghubar par miri samt se use ai saba ye payam-e-akhir-e-gham suna abhi dekhna ho to dekh ja ki khizan hai apni bahar par ye fareb-e-jalva hai sar-ba-sar mujhe Dar ye hai dil-e-be-khabar kahin jam na jaa.e tiri nazar inhin chand naqsh o nigar par main rahin-e-dard sahi magar mujhe aur chahiye kya 'jigar' gham-e-yar hai mira shefta main farefta gham-e-yar par kasrat men bhi vahdat ka tamasha nazar aaya jis rang men dekha tujhe yakta nazar aaya jab us rukh-e-pur-nur ka jalva nazar aaya ka.aba nazar aaya na kalisa nazar aaya ye husn ye shokhi ye karishma ye ada.en duniya nazar aa.i mujhe to kya nazar aaya ik sarkhushi-e-ishq hai ik be-khudi-e-shauq ankhon ko khuda jaane miri kya nazar aaya jab dekh na sakte the to dariya bhi tha qatra jab aankh khuli qatra bhi dariya nazar aaya qurban tiri shan-e-inayat ke dil o jaan is kam-nigahi par mujhe kya kya nazar aaya har rang tire rang men Duuba hua nikla har naqsh tira naqsh-e-kaf-e-pa nazar aaya ankhon ne dikha di jo tire gham ki haqiqat aalam mujhe saara tah-o-bala nazar aaya har jalve ko dekha tire jalvon se munavvar har bazm men tu anjuman-ara nazar aaya kiya ta.ajjub ki miri ruh-e-ravan tak pahunche pahle koi mire naghmon ki zaban tak pahunche jab har ik shorish-e-gham zabt-e-fughan tak pahunche phir khuda jaane ye hangama kahan tak pahunche aankh tak dil se na aa.e na zaban tak pahunche baat jis ki hai usi afat-e-jan tak pahunche tu jahan par tha bahut pahle vahin aaj bhi hai dekh rindan-e-khush-anfas kahan tak pahunche jo zamane ko bura kahte hain khud hain vo bure kaash ye baat tire gosh-e-giran tak pahunche baDh ke rindon ne qadam hazrat-e-va.iz ke liye girte paDte jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche tu mire hal-e-pareshan pe bahut tanz na kar apne gesu bhi zara dekh kahan tak pahunche un ka jo farz hai vo ahl-e-siyasat janen mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche ishq ki choT dikhane men kahin aati hai kuchh ishare the ki jo lafz-o-bayan tak pahunche jalve betab the jo parda-e-fitrat men 'jigar' khud taDap kar miri chashm-e-nigaran tak pahunche koi ye kah de gulshan gulshan laakh bala.en ek nasheman qatil rahbar qatil rahzan dil sa dost na dil sa dushman phuul khile hain gulshan gulshan lekin apna apna daman ishq hai pyare khel nahin hai ishq hai kare-shisha-o-ahan khair mizaj-e-husn ki ya-rab tez bahut hai dil ki dhaDkan aa ki na jaane tujh bin kab se ruuh hai lasha jism hai madfan aaj na jaane raaz ye kya hai hijr ki raat aur itni raushan umren bitin sadiyan guzrin hai vahi ab tak ishq ka bachpan tujh sa hasin aur khun-e-mohabbat vahm hai shayad surkhi-e-daman barq-e-havadis allah allah jhuum rahi hai shakh-e-nasheman tu ne sulajh kar gesu-e-janan aur baDha di shauq ki uljhan rahmat hogi talib-e-isyan rashk karegi paki-e-daman dil ki mujassam a.ina-saman aur vo zalim a.ina-dushman baiThe ham har bazm men lekin jhaaD ke uTThe apna daman hasti-e-sha.er allah allah husn ki manzil ishq ka maskan rangin fitrat saada tabi.at farsh-nashin aur arsh-nasheman kaam adhura aur azadi naam baDe aur thoDe darshan sham.a hai lekin dhundli dhu.dli saaya hai lekin raushan raushan kanTon ka bhi haq hai kuchh akhir kaun chhuDa.e apna daman chalti phirti chhanv hai pyare kis ka sahra kaisa gulshan kuchh is ada se aaj vo pahlu-nashin rahe jab tak hamare paas rahe ham nahin rahe iman-o-kufr aur na duniya-o-din rahe ai ishq-e-shad-bash ki tanha hamin rahe aalam jab ek haal pe qaa.em nahin rahe kya khaak e'tibar-e-nigah-e-yaqin rahe meri zaban pe shikva-e-dard-afrin rahe shayad mire havas Thikane nahin rahe jab tak ilahi jism men jan-e-hazin rahe nazren miri javan rahen dil hasin rahe ya-rab kisi ke raz-e-mohabbat ki khair ho dast-e-junun rahe na rahe astin rahe ta-chand josh-e-ishq men dil ki hifazaten meri bala se ab vo jununi kahin rahe ja aur koi zabt ki duniya talash kar ai ishq ham to ab tire qabil nahin rahe mujh ko nahin qubul do-alam ki vus.aten qismat men ku-e-yar ki do-gaz zamin rahe ai ishq-e-nala-kash tiri ghairat ko kya hua hai hai araq araq vo tan-e-naznin rahe dard-o-gham-e-firaq ke ye sakht marhale hairan huun main ki phir bhi tum itne hasin rahe allah-re chashm-e-yar ki mojiz-bayaniyan har ik ko hai guman ki mukhatib hamin rahe zalim uTha tu parda-e-vahm-o-guman-o-fikr kya samne vo marhala-ha-e-yaqin rahe zat-o-sifat-e-husn ka aalam nazar men hai mahdud-e-sajda kya mira zauq-e-jabin rahe kis dard se kisi ne kaha aaj bazm men achchha ye hai vo nang-e-mohabbat yahin rahe sar-dadgan-e-ishq-o-mohabbat ki kya kami qatil ki tegh tez khuda ki zamin rahe is ishq ki talafi-e-mafat dekhna rone ki hasraten hain jab aansu nahin rahe kya barabar ka mohabbat men asar hota hai dil idhar hota hai zalim na udhar hota hai ham ne kya kuchh na kiya dida-e-dil ki khatir log kahte hain duaon men asar hota hai dil to yuun dil se milaya ki na rakkha mera ab nazar ke liye kya hukm-e-nazar hota hai main gunahgar-e-junun main ne ye maana lekin kuchh udhar se bhi taqaza-e-nazar hota hai kaun dekhe use betab-e-mohabbat ai dil tu vo naale hi na kar jin men asar hota hai lakhon men intikhab ke qabil bana diya jis dil ko tum ne dekh liya dil bana diya har-chand kar diya mujhe barbad ishq ne lekin unhen to shefta-e-dil bana diya pahle kahan ye naaz the ye ishva o ada dil ko dua.en do tumhen qatil bana diya mohabbat men ye kya maqam aa rahe hain ki manzil pe hain aur chale ja rahe hain ye kah kah ke ham dil ko bahla rahe hain vo ab chal chuke hain vo ab aa rahe hain vo az-khud hi nadim hue ja rahe hain khuda jaane kya kya khayal aa rahe hain hamare hi dil se maze un ke puchho vo dhoke jo danista ham kha rahe hain jafa karne valon ko kya ho gaya hai vafa kar ke bhi ham to sharma rahe hain vo aalam hai ab yaaro aghyar kaise hamin apne dushman hue ja rahe hain mizaj-e-girami ki ho khair ya-rab ka.i din se aksar vo yaad aa rahe hain nazar mila ke mire paas aa ke luuT liya nazar haTi thi ki phir muskura ke luuT liya shikast-e-husn ka jalva dikha ke luuT liya nigah nichi kiye sar jhuka ke luuT liya duha.i hai mire allah ki duha.i hai kisi ne mujh se bhi mujh ko chhupa ke luuT liya salam us pe ki jis ne uTha ke parda-e-dil mujhi men rah ke mujhi men sama ke luuT liya unhin ke dil se koi us ki azmaten puchhe vo ek dil jise sab kuchh luTa ke luuT liya yahan to khud tiri hasti hai ishq ko darkar vo aur honge jinhen muskura ke luuT liya khusha vo jaan jise di ga.i amanat-e-ishq rahe vo dil jise apna bana ke luuT liya nigah Daal di jis par hasin ankhon ne use bhi husn-e-mujassam bana ke luuT liya baDe vo aa.e dil o jaan ke luTne vaale nazar se chheD diya gudguda ke luuT liya raha kharab-e-mohabbat hi vo jise tu ne khud apna dard-e-mohabbat dikha ke luuT liya koi ye luuT to dekhe ki us ne jab chaha tamam hasti-e-dil ko jaga ke luuT liya karishma-sazi-e-husn-e-azal are tauba mira hi a.ina mujh ko dikha ke luuT liya na luTte ham magar un mast ankhDiyon ne 'jigar' nazar bachate hue DabDaba ke luuT liya sab pe tu mehrban hai pyare kuchh hamara bhi dhyan hai pyare aa ki tujh bin bahut dinon se ye dil ek suuna makan hai pyare tu jahan naaz se qadam rakh de vo zamin asman hai pyare mukhtasar hai ye shauq ki rudad har nafas dastan hai pyare apne ji men zara to kar insaf kab se na-mehrban hai pyare sabr TuuTe hue dilon ka na le tu yunhi dhaan paan hai pyare ham se jo ho saka so kar guzre ab tira imtihan hai pyare mujh men tujh men to koi farq nahin ishq kyuun darmiyan hai pyare kya kahe hal-e-dil gharib 'jigar' TuuTi phuTi zaban hai pyare sabhi andaz-e-husn pyare hain ham magar sadgi ke maare hain us ki raton ka intiqam na puchh jis ne hans hans ke din guzare hain ai saharon ki zindagi vaalo kitne insan be-sahare hain lala-o-gul se tujh ko kya nisbat na-mukammal se isti.are hain ham to ab Duub kar hi ubhrenge vo rahen shaad jo kinare hain shab-e-furqat bhi jagmaga uTThi ashk-e-gham hain ki mah-pare hain atish-e-ishq vo jahannam hai jis men firdaus ke nazare hain vo hamin hain ki jin ke hathon ne gesu-e-zindagi sanvare hain husn ki be-niyaziyon pe na ja be-ishare bhi kuchh ishare hain sha.er-e-fitrat huun jab bhi fikr farmata huun main ruuh ban kar zarre zarre men sama jaata huun main aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrata huun main jaise har shai men kisi shai ki kami paata huun main jis qadar afsana-e-hasti ko dohrata huun main aur bhi be-gana-e-hasti hua jaata huun main jab makan-o-la-makan sab se guzar jaata huun main allah allah tujh ko khud apni jagah paata huun main teri surat ka jo a.ina use paata huun main apne dil par aap kya kya naaz farmata huun main yak-ba-yak ghabra ke jitni duur haT aata huun main aur bhi us shokh ko nazdik-tar paata huun main meri hasti shauq-e-paiham meri fitrat iztirab koi manzil ho magar guzra chala jaata huun main ha.e-ri majburiyan tark-e-mohabbat ke liye mujh ko samjhate hain vo aur un ko samjhata huun main meri himmat dekhna meri tabi.at dekhna jo sulajh jaati hai gutthi phir se uljhata huun main husn ko kya dushmani hai ishq ko kya bair hai apne hi qadmon ki khud hi Thokaren khata huun main teri mahfil tere jalve phir taqaza kya zarur le uTha jaata huun zalim le chala jaata huun main ta-kuja ye parda-dari-ha-e-ishq-o-laf-e-husn haan sambhal jaa.en do-alam hosh men aata huun main meri khatir ab vo taklif-e-tajalli kyuun karen apni gard-e-shauq men khud hi chhupa jaata huun main dil mujassam sher-o-naghma vo sarapa rang-o-bu kya faza.en hain ki jin men hal hua jaata huun main ta-kuja zabt-e-mohabbat ta-kuja dard-e-firaq rahm kar mujh par ki tera raaz kahlata huun main vah-re shauq-e-shahadat ku-e-qatil ki taraf gungunata raqs karta jhumta jaata huun main ya vo surat khud jahan-e-rang-o-bu mahkum tha ya ye aalam apne saa.e se daba jaata huun main dekhna is ishq ki ye turfa-kari dekhna vo jafa karte hain mujh par aur sharmata huun main ek dil hai aur tufan-e-havadis ai 'jigar' ek shisha hai ki har patthar se Takrata huun main shab-e-firaq hai aur niind aa.i jaati hai kuchh is men un ki tavajjoh bhi paa.i jaati hai ye umr-e-ishq yunhi kya ganva.i jaati hai hayat zinda haqiqat bana.i jaati hai bana bana ke jo duniya miTa.i jaati hai zarur koi kami hai ki paa.i jaati hai hamin pe ishq ki tohmat laga.i jaati hai magar ye sharm jo chehre pe chha.i jaati hai khuda kare ki haqiqat men zindagi ban jaa.e vo zindagi jo zaban tak hi paa.i jaati hai gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid yahin kahin tiri jannat bhi paa.i jaati hai na soz-e-ishq na barq-e-jamal par ilzam dilon men aag khushi se laga.i jaati hai kuchh aise bhi to hain rindan-e-pak-baz 'jigar' ki jin ko be-mai-o-saghar pila.i jaati hai sharma ga.e laja ga.e daman chhuDa ga.e ai ishq marhaba vo yahan tak to aa ga.e dil par hazar tarah ke auham chha ga.e ye tum ne kya kiya miri duniya men aa ga.e sab kuchh luTa ke rah-e-mohabbat men ahl-e-dil khush hain ki jaise daulat-e-kaunain pa ga.e sehn-e-chaman ko apni baharon pe naaz tha vo aa ga.e to saari baharon pe chha ga.e aql o junun men sab ki thiin rahen juda juda hir-phir ke lekin ek hi manzil pe aa ga.e ab kya karun main fitrat-e-nakam-e-ishq ko jitne the hadsat mujhe raas aa ga.e tabi.at in dinon begana-e-gham hoti jaati hai mire hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai sahar hone ko hai bedar shabnam hoti jaati hai khushi minjumala-o-asbab-e-matam hoti jaati hai qayamat kya ye ai husn-e-do-alam hoti jaati hai ki mahfil to vahi hai dil-kashi kam hoti jaati hai vahi mai-khana-o-sahba vahi saghar vahi shisha magar avaz-e-nosha-nosh maddham hoti jaati hai vahi hain shahid-o-saqi magar dil bujhta jaata hai vahi hai sham.a lekin raushni kam hoti jaati hai vahi shorish hai lekin jaise mauj-e-tah-nashin koi vahi dil hai magar avaz maddham hoti jaati hai vahi hai zindagi lekin 'jigar' ye haal hai apna ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai tire jamal-e-haqiqat ki taab hi na hui hazar baar nigah ki magar kabhi na hui tiri khushi se agar gham men bhi khushi na hui vo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui kahan vo shokh mulaqat khud se bhi na hui bas ek baar hui aur phir kabhi na hui vo ham hain ahl-e-mohabbat ki jaan se dil se bahut bukhar uThe aankh shabnami na hui Thahar Thahar dil-e-betab pyaar to kar luun ab us ke ba.ad mulaqat phir hui na hui mire khayal se bhi aah mujh ko buad raha hazar tarah se chaha barabari na hui ham apni rindi-o-ta.at pe khaak naaz karen qubul-e-hazrat-e-sultan hui hui na hui koi baDhe na baDhe ham to jaan dete hain phir aisi chashm-e-tavajjoh hui hui na hui tamam harf-o-hikayat tamam dida-o-dil is ehtimam pe bhi sharh-e-ashiqi na hui fasurda-khatiri-e-ishq ai ma.az-allah khayal-e-yar se bhi kuchh shaguftagi na hui tiri nigah-e-karam ko bhi aazma dekha aziyyaton men na honi thi kuchh kami na hui kisi ki mast-nigahi ne haath thaam liya sharik-e-hal jahan meri be-khudi na hui saba ye un se hamara payam kah dena ga.e ho jab se yahan sub.h o shaam hi na hui vo kuchh sahi na sahi phir bhi zahid-e-nadan baDe-baDon se mohabbat men kafiri na hui idhar se bhi hai siva kuchh udhar ki majburi ki ham ne aah to ki un se aah bhi na hui khayal-e-yar salamat tujhe khuda rakkhe tire baghair kabhi ghar men raushni na hui ga.e the ham bhi 'jigar' jalva-gah-e-janan men vo puchhte hi rahe ham se baat bhi na hui tujhi se ibtida hai tu hi ik din intiha hoga sada-e-saz hogi aur na saz-e-be-sada hoga hamen ma.alum hai ham se suno mahshar men kya hoga sab us ko dekhte honge vo ham ko dekhta hoga sar-e-mahshar ham aise asiyon ka aur kya hoga dar-e-jannat na va hoga dar-e-rahmat to va hoga jahannam ho ki jannat jo bhi hoga faisla hoga ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga azal ho ya abad donon asir-e-zulf-e-hazrat hain jidhar nazren uThaoge yahi ik silsila hoga ye nisbat ishq ki be-rang laa.e rah nahin sakti jo mahbub-e-khuda ka hai vo mahbub-e-khuda hoga isi ummid par ham taliban-e-dard jiite hain khosha dard de ki tera aur dard-e-la-dava hoga nigah-e-qahr par bhi jan-o-dil sab kho.e baiTha hai nigah-e-mehr ashiq par agar hogi to kya hoga siyana bhej dega ham ko mahshar se jahannam men magar jo dil pe guzregi vo dil hi janta hoga samajhta kya hai tu divangan-e-ishq ko zahid ye ho ja.enge jis janib usi janib khuda hoga 'jigar' ka haath hoga hashr men aur daman-e-hazrat shikayat ho ki shikva jo bhi hoga barmala hoga us ki nazron men intikhab hua dil ajab husn se kharab hua ishq ka sehr kamyab hua main tira tu mira javab hua har nafas mauj-e-iztirab hua zindagi kya hui azaab hua jazba-e-shauq kamyab hua aaj mujh se unhen hijab hua main banun kis liye na mast-e-sharab kyuun mujassam koi shabab hua nigah-e-naz le khabar varna dard mahbub-e-iztirab hua meri barbadiyan durust magar tu bata kya tujhe savab hua ain qurbat bhi ain furqat bhi haa.e vo qatra jo habab hua mastiyan har taraf hain avara kaun gharat-gar-e-sharab hua dil ko chhuna na ai nasim-e-karam ab ye dil rau-kash-e-habab hua ishq-e-be-imtiyaz ke hathon husn khud bhi shikast-yab hua jab vo aa.e to pesh-tar sab se meri ankhon ko izn-e-khvab hua dil ki har chiiz jagmaga uTThi aaj shayad vo be-naqab hua daur-e-hangama-e-nashat na puchh ab vo sab kuchh khayal o khvab hua tu ne jis ashk par nazar Daali josh kha kar vahi sharab hua sitam-e-khas-e-yar ki hai qasam karam-e-yar be-hisab hua use hal-o-qal se vasta na gharaz maqam-o-qayam se jise koi nisbat-e-khas ho tire husn-e-barq-khiram se mujhe de rahe hain tasalliyan vo har ek taaza payam se kabhi aa ke manzar-e-am par kabhi haT ke manzar-e-am se kyuun kiya raha jo muqabla khatrat-e-gam-ba-gam se sar-e-bam-e-ishq-e-tamam tak rah-e-shauq-e-nim-tamam se na gharaz kisi se na vasta mujhe kaam apne hi kaam se tire zikr se tiri fikr se tiri yaad se tire naam se mire saqiya mire saqiya tujhe marhaba tujhe marhaba tu pila.e ja tu pila.e ja isi chashm-e-jam-ba-jam se tiri sub.h-e-aish hai kya bala tujhe ai falak jo ho hausla kabhi kar le aa ke muqabla gham-e-hijr-e-yar ki shaam se mujhe yuun na khaak men tu mila main agarche huun tira naqsh-e-pa tire jalve ki hai baqa mire shauq-e-nam-ba-nam se tiri chashm-e-mast ko kya kahun ki nazar nazar hai fusun fusun ye tamam hosh ye sab junun isi ek gardish-e-jam se ye kitab-e-dil ki hain ayaten main bata.un kya jo hain nisbaten mire sajda-ha-e-davam ko tire naqsh-ha-e-khiram se mujhe chahiye vahi saqiya jo baras chale jo chhalak chale tire husn-e-shisha-ba-dast se tiri chashm-e-bada-ba-jam se jo uTha hai dard uTha kare koi khaak us se gila kare jise zid ho husn ke zikr se jise chiDh ho ishq ke naam se vahin chashm-e-hur phaDak ga.i abhi pi na thi ki bahak ga.i kabhi yak-ba-yak jo chhalak ga.i kisi rind-e-mast ke jaam se tu hazar uzr kare magar hamen rashk hai aur hi kuchh 'jigar' tiri iztirab-e-nigah se tire ehtiyat-e-kalam se vo ada-e-dilbari ho ki nava-e-ashiqana jo dilon ko fat.h kar le vahi fateh-e-zamana ye tira jamal-e-kamil ye shabab ka zamana dil-e-dushmanan salamat dil-e-dostan nishana kabhi husn ki tabi.at na badal saka zamana vahi naz-e-be-niyazi vahi shan-e-khusravana main huun us maqam par ab ki firaq o vasl kaise mira ishq bhi kahani tira husn bhi fasana miri zindagi to guzri tire hijr ke sahare miri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana tire ishq ki karamat ye agar nahin to kya hai kabhi be-adab na guzra mire paas se zamana tiri duuri o huzuri ka ye hai ajiib aalam abhi zindagi haqiqat abhi zindagi fasana mire ham-safir bulbul mira tera saath hi kya main zamir-e-dasht-o-dariya tu asir-e-ashiyana main vo saaf hi na kah duun jo hai farq mujh men tujh men tira dard dard-e-tanha mira gham gham-e-zamana tire dil ke TuTne par hai kisi ko naaz kya kya tujhe ai 'jigar' mubarak ye shikast-e-fatehana vo jo ruThen yuun manana chahiye zindagi se ruuTh jaana chahiye himmat-e-qatil baDhana chahiye zer-e-khanjar muskurana chahiye zindagi hai naam johd o jang ka maut kya hai bhuul jaana chahiye hai inhin dhokon se dil ki zindagi jo hasin dhoka ho khana chahiye lazzaten hain dushman-e-auj-e-kamal kulfaton se ji lagana chahiye un se milne ko to kya kahiye 'jigar' khud se milne ko zamana chahiye yadash-ba-khair jab vo tasavvur men aa gaya sher o shabab o husn ka dariya baha gaya jab ishq apne markaz-e-asli pe aa gaya khud ban gaya hasin do aalam pe chha gaya jo dil ka raaz tha use kuchh dil hi pa gaya vo kar sake bayan na hamin se kaha gaya naseh fasana apna hansi men uDa gaya khush-fikr tha ki saaf ye pahlu bacha gaya apna zamana aap banate hain ahl-e-dil ham vo nahin ki jin ko zamana bana gaya dil ban gaya nigah nigah ban ga.i zaban aaj ik sukut-e-shauq qayamat hi Dha gaya mera kamal-e-sher bas itna hai ai 'jigar' vo mujh pe chha ga.e main zamane pe chha gaya ye hai mai-kada yahan rind hain yahan sab ka saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahan parsa.i haram hai jo zara si pi ke bahak gaya use mai-kade se nikal do yahan tang-nazar ka guzar nahin yahan ahl-e-zarf ka kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath men jaam hai magar is pe koi kare bhi kya ye to mai-kade ka nizam hai ye janab-e-shaikh ka falsafa hai ajiib saare jahan se jo vahan piyo to halal hai jo yahan piyo to haram hai isi ka.enat men ai 'jigar' koi inqalab uThega phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvahishon ka ghulam hai ye misra.a kaash naqsh-e-har-dar-o-divar ho jaa.e jise jiina ho marne ke liye tayyar ho jaa.e vahi mai-khvar hai jo is tarah mai-khvar ho jaa.e ki shisha toD de aur be-piye sarshar ho jaa.e dil-e-insan agar sha.ista-e-asrar ho jaa.e lab-e-khamosh-fitrat hi lab-e-guftar ho jaa.e har ik be-kar si hasti ba-ru-e-kar ho jaa.e junun ki ruh-e-khvabida agar bedar ho jaa.e suna hai hashr men har aankh use be-parda dekhegi mujhe Dar hai na tauhin-e-jamal-e-yar ho jaa.e harim-e-naz men us ki rasa.i ho to kyunkar ho ki jo asuda zer-e-saya-e-divar ho jaa.e ma.az-allah us ki vardat-e-gham ma.az-allah chaman jis ka vatan ho aur chaman-be-zar ho jaa.e yahi hai zindagi to zindagi se khud-kushi achchhi ki insan alam-e-insaniyat par baar ho jaa.e ik aisi shaan paida kar ki batil tharthara uTThe nazar talvar ban jaa.e nafas jhankar ho jaa.e ye roz o shab ye sub.h o shaam ye basti ye virana sabhi bedar hain insan agar bedar ho jaa.e aaj socha to aansu bhar aa.e muddaten ho ga.iin muskura.e har qadam par udhar muD ke dekha un ki mahfil se ham uTh to aa.e rah ga.i zindagi dard ban ke dard dil men chhupa.e chhupa.e dil ki nazuk ragen TuTti hain yaad itna bhi koi na aa.e haath aa kar laga gaya koi mera chhappar uTha gaya koi lag gaya ik mashin men main bhi shahr men le ke aa gaya koi main khaDa tha ki piiTh par meri ishtihar ik laga gaya koi ye sadi dhuup ko tarasti hai jaise suraj ko kha gaya koi aisi mahnga.i hai ki chehra bhi bech ke apna kha gaya koi ab vo arman hain na vo sapne sab kabutar uDa gaya koi vo ga.e jab se aisa lagta hai chhoTa moTa khuda gaya koi mera bachpan bhi saath le aaya gaanv se jab bhi aa gaya koi itna to zindagi men kisi ke khalal paDe hansne se ho sukun na rone se kal paDe jis tarah hans raha huun main pi pi ke garm ashk yuun dusra hanse to kaleja nikal paDe ik tum ki tum ko fikr-e-nasheb-o-faraz hai ik ham ki chal paDe to bahar-hal chal paDe saaqi sabhi ko hai gham-e-tishna-labi magar mai hai usi ki naam pe jis ke ubal paDe muddat ke ba.ad us ne jo ki lutf ki nigah ji khush to ho gaya magar aansu nikal paDe jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin daba daba sa sahi dil men pyaar hai ki nahin tu apne dil ki javan dhaDkanon ko gin ke bata miri tarah tira dil be-qarar hai ki nahin vo pal ki jis men mohabbat javan hoti hai us ek pal ka tujhe intizar hai ki nahin tiri umiid pe Thukra raha huun duniya ko tujhe bhi apne pe ye e'tibar hai ki nahin jo vo mire na rahe main bhi kab kisi ka raha bichhaD ke un se saliqa na zindagi ka raha labon se uD gaya jugnu ki tarah naam us ka sahara ab mire ghar men na raushni ka raha guzarne ko to hazaron hi qafile guzre zamin pe naqsh-e-qadam bas kisi kisi ka raha kahin se lauT ke ham laDkhaDa.e hain kya kya sitare zer-e-qadam raat aa.e hain kya kya nasheb-e-hasti se afsos ham ubhar na sake faraz-e-dar se paigham aa.e hain kya kya jab us ne haar ke khanjar zamin pe phenk diya tamam zakhm-e-jigar muskura.e hain kya kya chhaTa jahan se us avaz ka ghana badal vahin se dhuup ne talve jala.e hain kya kya uTha ke sar mujhe itna to dekh lene de ki qatl-gah men divane aa.e hain kya kya kahin andhere se manus ho na jaa.e adab charagh tez hava ne bujha.e hain kya kya khar-o-khas to uThen rasta to chale main agar thak gaya qafila to chale chand suraj buzurgon ke naqsh-e-qadam khair bujhne do un ko hava to chale hakim-e-shahr ye bhi koi shahr hai masjiden band hain mai-kada to chale us ko maz.hab kaho ya siyasat kaho khud-kushi ka hunar tum sikha to chale itni lashen main kaise uTha pa.unga aap inTon ki hurmat bacha to chale belche laao kholo zamin ki tahen main kahan dafn huun kuchh pata to chale ki hai koi hasin khata har khata ke saath thoDa sa pyaar bhi mujhe de do saza ke saath gar Dubna hi apna muqaddar hai to suno Dubenge ham zarur magar nakhuda ke saath manzil se vo bhi duur tha aur ham bhi duur the ham ne bhi dhuul uDaa.i bahut rahnuma ke saath raqs-e-saba ke jashn men ham tum bhi nachte ai kaash tum bhi aa ga.e hote saba ke saath ikkisvin sadi ki taraf ham chale to hain fitne bhi jaag uTThe hain avaz-e-pa ke saath aisa laga gharibi ki rekha se huun buland puchha kisi ne haal kuchh aisi ada ke saath kya jaane kis ki pyaas bujhane kidhar ga.iin is sar pe jhuum ke jo ghaTa.en guzar ga.iin divana puchhta hai ye lahron se baar baar kuchh bastiyan yahan thiin batao kidhar ga.iin ab jis taraf se chahe guzar jaa.e karvan viraniyan to sab mire dil men utar ga.iin paimana TuTne ka koi gham nahin mujhe gham hai to ye ki chandni raten bikhar ga.iin paaya bhi un ko kho bhi diya chup bhi ho rahe ik mukhtasar si raat men sadiyan guzar ga.iin laa.i phir ik laghzish-e-mastana tere shahr men phir banengi masjiden mai-khana tere shahr men aaj phir TuTengi tere ghar ki nazuk khiDkiyan aaj phir dekha gaya divana tere shahr men jurm hai teri gali se sar jhuka kar lauTna kufr hai pathrav se ghabrana tere shahr men shah-name likkhe hain khanDarat ki har iinT par har jagah hai dafn ik afsana tere shahr men kuchh kanizen jo harim-e-naz men hain baryab mangti hain jaan o dil nazrana tere shahr men nangi saDkon par bhaTak kar dekh jab marti hai raat rengta hai har taraf virana tere shahr men main DhunDta huun jise vo jahan nahin milta na.i zamin naya asman nahin milta na.i zamin naya asman bhi mil jaa.e na.e bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta vo tegh mil ga.i jis se hua hai qatl mira kisi ke haath ka us par nishan nahin milta vo mera gaanv hai vo mere gaanv ke chulhe ki jin men shole to shole dhuan nahin milta jo ik khuda nahin milta to itna matam kyuun yahan to koi mira ham-zaban nahin milta khaDa huun kab se main chehron ke ek jangal men tumhare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta patthar ke khuda vahan bhi paa.e ham chand se aaj lauT aa.e divaren to har taraf khaDi hain kya ho ga.e mehrban saa.e jangal ki hava.en aa rahi hain kaghaz ka ye shahr uD na jaa.e laila ne naya janam liya hai hai qais koi jo dil laga.e hai aaj zamin ka ghusl-e-sehhat jis dil men ho jitna khuun laa.e sahra sahra lahu ke kheme phir pyase lab-e-furat aa.e shor yunhi na parindon ne machaya hoga koi jangal ki taraf shahr se aaya hoga peD ke kaTne valon ko ye malum to tha jism jal ja.enge jab sar pe na saaya hoga bani-e-jashn-e-baharan ne ye socha bhi nahin kis ne kanTon ko lahu apna pilaya hoga bijli ke taar pe baiTha hua hansta panchhi sochta hai ki vo jangal to paraya hoga apne jangal se jo ghabra ke uDe the pyase har sarab un ko samundar nazar aaya hoga suna karo miri jaan in se un se afsane sab ajnabi hain yahan kaun kis ko pahchane yahan se jald guzar jaao qafile vaalo hain meri pyaas ke phunke hue ye virane mire junun-e-parastish se tang aa ga.e log suna hai band kiye ja rahe hain but-khane jahan se pichhle pahar koi tishna-kam uTha vahin pe toDe hain yaron ne aaj paimane bahar aa.e to mera salam kah dena mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne hua hai hukm ki 'kaifi' ko sangsar karo masih baiThe hain chhup ke kahan khuda jaane tum itna jo muskura rahe ho kya gham hai jis ko chhupa rahe ho ankhon men nami hansi labon par kya haal hai kya dikha rahe ho ban ja.enge zahr piite piite ye ashk jo piite ja rahe ho jin zakhmon ko vaqt bhar chala hai tum kyuun unhen chheDe ja rahe ho rekhaon ka khel hai muqaddar rekhaon se maat kha rahe ho vo bhi sarahne lage arbab-e-fan ke ba.ad dad-e-sukhan mili mujhe tark-e-sukhan ke ba.ad divana-var chand se aage nikal ga.e Thahra na dil kahin bhi tiri anjuman ke ba.ad honTon ko si ke dekhiye pachhta.iyega aap hangame jaag uThte hain aksar ghuTan ke ba.ad ghurbat ki ThanDi chhanv men yaad aa.i us ki dhuup qadr-e-vatan hui hamen tark-e-vatan ke ba.ad elan-e-haq men khatra-e-dar-o-rasan to hai lekin saval ye hai ki dar-o-rasan ke ba.ad insan ki khvahishon ki koi intiha nahin do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke ba.ad ibtida se ham za.iif o na-tavan paida hue uD gaya jab rang rukh se ustukhvan paida hue khaksari ne dikha.in rif.aton par rif.aten is zamin se vaah kya kya asman paida hue ilm khaliq ka khazana hai miyan-e-kaf-o-nun ek kun kahne se ye kaun-o-makan paida hue zabt dekho sab ki sun li aur kuchh apni kahi is zaban-dani par aise be-zaban paida hue shor-bakhti aa.i hisse men unhin ke va nasib talkh-kami ke liye shirin-zaban paida hue ehtiyat-e-jism kya anjam ko socho 'anis' khaak hone ko ye musht-e-ustukhvan paida hue ishare kya nigah-e-naz-e-dil-ruba ke chale sitam ke tiir chale nimche qaza ke chale gunah ka bojh jo gardan pe ham uTha ke chale khuda ke aage khajalat se sar jhuka ke chale talab se aar hai allah se faqiron ko kahin jo ho gaya phera sada suna ke chale pukare kahti thi hasrat se na.ash ashiq ki sanam kidhar ko hamen khaak men mila ke chale misal-e-mahi-e-be-ab maujen taDpa kiin habab phuuT ke ro.e jo tum naha ke chale maqam yuun hua is kar-gah-e-duniya men ki jaise din ko musafir sara men aa ke chale kisi ka dil na kiya ham ne pa.emal kabhi chale jo raah to chyunTi ko bhi bacha ke chale mila jinhen unhen uftadgi se auj mila unhin ne khaa.i hai Thokar jo sar uTha ke chale 'anis' dam ka bharosa nahin Thahar jaao charagh le ke kahan samne hava ke chale khud naved-e-zindagi laa.i qaza mere liye sham-e-kushta huun fana men hai baqa mere liye zindagi men to na ik dam khush kiya hans bol kar aaj kyuun rote hain mere ashna mere liye kunj-e-uzlat men misal-e-asiya huun gosha-gir rizq pahunchata hai ghar baiThe khuda mere liye tu sarapa ajr ai zahid main sar-ta-pa gunah bagh-e-jannat teri khatir karbala mere liye naam raushan kar ke kyunkar bujh na jaata misl-e-sham.a na-muvafiq thi zamane ki hava mere liye har nafas a.ina-e-dil se ye aati hai sada khaak tu ho ja to hasil ho jila mere liye khaak se hai khaak ko ulfat taDapta huun 'anis' karbala ke vaste main karbala mere liye koi aniis koi ashna nahin rakhte kisi ki aas baghair az khuda nahin rakhte kisi ko kya ho dilon ki shikastagi ki khabar ki TuTne men ye shishe sada nahin rakhte faqir dost jo ho ham ko sarfaraz kare kuchh aur farsh ba-juz boriya nahin rakhte musafiro shab-e-avval bahut hai tiira o taar charagh-e-qabr abhi se jala nahin rakhte vo log kaun se hain ai khuda-e-kaun-o-makan sukhan se kaan ko jo ashna nahin rakhte musafiran-e-adam ka pata mile kyunkar vo yuun ga.e ki kahin naqsh-e-pa nahin rakhte tap-e-darun gham-e-furqat varam-e-payada-ravi maraz to itne hain aur kuchh dava nahin rakhte khulega haal unhen jab ki aankh band hui jo log ulfat-e-mushkil-kusha nahin rakhte jahan ki lazzat o khvahish se hai bashar ka khamir vo kaun hain ki jo hirs-o-hava nahin rakhte 'anis' bech ke jaan apni hind se niklo jo tosha-e-safar-e-karbala nahin rakhte mira raz-e-dil ashkara nahin vo dariya huun jis ka kinara nahin vo gul huun juda sab se hai jis ka rang vo bu huun ki jo ashkara nahin vo paani huun shirin nahin jis men shor vo atish huun jis men sharara nahin bahut zal-e-duniya ne diin baziyan main vo naujavan huun jo haara nahin jahannam se ham be-qararon ko kya jo atish pe Thahre vo paara nahin faqiron ki majlis hai sab se juda amiron ka yaan tak guzara nahin sikandar ki khatir bhi hai sadd-e-bab jo daara bhi ho to madara nahin kisi ne tiri tarah se ai 'anis' urus-e-sukhan ko sanvara nahin numud o buud ko aaqil habab samjhe hain vo jagte hain jo duniya ko khvab samjhe hain kabhi bura nahin jaana kisi ko apne siva har ek zarre ko ham aftab samjhe hain ajab nahin hai jo shishon men bhar ke le jaa.en in ansuon ko farishte gulab samjhe hain zamana ek tarah par kabhi nahin rahta isi ko ahl-e-jahan inqilab samjhe hain unhin ko dar-e-baqa ki hai pukhtagi ka khayal jo be-sabati-e-dahr-e-kharab samjhe hain shabab kho ke bhi ghaflat vahi hai piron ko sahar ki niind ko bhi shab ka khvab samjhe hain lahad men aa.en nakirain aa.en bismillah har ik saval ka ham bhi javab samjhe hain agar ghurur hai aada ko apni kasrat par to is hayat ko ham bhi habab samjhe hain na kuchh khabar hai hadison ki in safihon ko na ye ma.ani-e-ummul-kitab samjhe hain kabhi shaqi mutamatta na honge duniya se jise ye aab use ham sarab samjhe hain muzil-e-aql hai duniya ki daulat ai mun.im usi ke nashshe ko suufi sharab samjhe hain hararaten hain ma.al-e-halavat-e-duniya vo zahr hai jise ham shahd-e-nab samjhe hain 'anis' makhmal o diiba se kya faqiron ko isi zamin ko ham farsh-e-khvab samjhe hain sada hai fikr-e-taraqqi buland-binon ko ham asman se laa.e hain in zaminon ko paDhen durud na kyuun dekh kar hasinon ko khayal-e-san.at-e-sane hai pak-binon ko kamal-e-faqr bhi shayan hai pak-binon ko ye khaak takht hai ham boriya-nashinon ko lahad men so.e hain chhoDa hai shah-nashinon ko qaza kahan se kahan le ga.i makinon ko ye jhurriyan nahin hathon pe zo.af-e-piri ne chuna hai jama-e-asli ki astinon ko laga raha huun mazamin-e-nau ke phir ambar khabar karo mire khirman ke khosha-chinon ko bhala taraddud-e-beja se un men kya hasil uTha chuke hain zamindar jin zaminon ko unhin ko aaj nahin baiThne ki ja milti muaaf karte the jo log kal zaminon ko ye za.iron ko milin sarfaraziyan varna kahan nasib ki chumen malak jabinon ko sajaya ham ne mazamin ke taaza phulon se basa diya hai in ujDi hui zaminon ko lahad bhi dekhiye in men nasib ho ki na ho ki khaak chhan ke paaya hai jin zaminon ko zaval-e-taqat o mu-e-sapid o zof-e-basar inhin se paa.e bashar maut ke qarinon ko nahin khabar unhen miTTi men apne milne ki zamin men gaaD ke baiThe hain jo dafinon ko khabar nahin unhen kya badobast-e-pukhta ki jo ghasb karne lage ghair ki zaminon ko jahan se uTh ga.e jo log phir nahin milte kahan se DhunD ke ab laa.en ham-nashinon ko nazar men phirti hai vo tirgi o tanha.i lahad ki khaak hai surma ma.al-bainon ko khayal-e-khatir-e-ahbab chahiye har dam 'anis' Thes na lag jaa.e abginon ko shahid-e-ishq hue qais namvar ki tarah jahan men aib bhi ham ne kiye hunar ki tarah kuchh aaj shaam se chehra hai faq sahar ki tarah Dhala hi jaata huun furqat men dopahar ki tarah siyah-bakhton ko yuun baagh se nikal ai charkh ki chaar phuul to daman men hon sipar ki tarah tamam khalq hai khvahan-e-abru ai rab chhupa mujhe sadaf-e-qabr men guhar ki tarah tujhi ko dekhunga jab tak hain barqarar ankhen miri nazar na phiregi tiri nazar ki tarah hamari qabr pe kya ehtiyaj-e-ambar-o-ud sulag raha hai har ik ustukhvan agar ki tarah nahif-o-zar hain kya zor baghban se chale jahan biTha diya bas rah ga.e shajar ki tarah tumhare halqa-ba-goshon men ek ham bhi hain paDa rahe ye sukhan kaan men guhar ki tarah 'anis' yuun hua hal-e-javani-o-piri baDhe the nakhl ki surat gire samar ki tarah vajd ho bulbul-e-tasvir ko jis ki bu se us se gul-rang ka da.ava kare phir kis ru se sham.a ke rone pe bas saaf hansi aati hai atish-e-dil kahin kam hoti hai chaar aansu se ek din vo tha ki takiya tha kisi ka baazu ab sar uThta hi nahin apne sar-e-zanu se naza.a men huun miri mushkil karo asan yaron kholo taaviz-e-shifa jald mire baazu se shokhi-e-chashm ka tu kis ki hai divana 'anis' ankhen malta hai jo yuun naqsh-e-kaf-e-ahu se aa jaa.en ham nazar jo koi dam bahut hai yaan mohlat hamen bisan-e-sharar kam bahut hai yaan yak lahza sina-kubi se fursat hamen nahin ya.ani ki dil ke jaane ka matam bahut hai yaan hasil hai kya siva.e tara.i ke dahr men uTh asman tale se ki shabnam bahut hai yaan ma.il-ba-ghair hona tujh abru ka aib hai thi zor ye kaman vale kham-cham bahut hai yaan ham rah-ravan-e-rah-e-fana der rah chuke vaqfa bisan-e-sub.h koi dam bahut hai yaan is but-kade men ma.ani ka kis se karen saval aadam nahin hai surat-e-adam bahut hai yaan aalam men log milne ki gon ab nahin rahe har-chand aisa vaisa to aalam bahut hai yaan vaisa chaman se saada nikalta nahin koi rangini ek aur kham-o-cham bahut hai yaan ejaz-e-isvi se nahin bahas ishq men teri hi baat jaan mujassam bahut hai yaan mere halak karne ka gham hai abas tumhen tum shaad zindagani karo gham bahut hai yaan dil mat laga rukh-e-araq-alud yaar se a.ine ko uTha ki zamin nam bahut hai yaan shayad ki kaam sub.h tak apna khinche na 'mir' ahval aaj shaam se darham bahut hai yaan aa.e hain 'mir' kafir ho kar khuda ke ghar men peshani par hai qashqa zunnar hai kamar men nazuk badan hai kitna vo shokh-chashm dilbar jaan us ke tan ke aage aati nahin nazar men siine men tiir us ke TuuTe hain be-nihayat surakh paD ga.e hain saare mire jigar men a.inda shaam ko ham roya kuDha karenge mutlaq asar na dekha nalidan-e-sahar men be-sudh paDa rahun huun us mast-e-naz bin main aata hai hosh mujh ko ab to pahr pahr men sirat se guftugu hai kya mo'tabar hai surat hai ek sukhi lakDi jo bu na ho agar men ham-saya-e-mughan men muddat se huun chunanche ik shira-khane ki hai divar mere ghar men ab sub.h o shaam shayad girye pe rang aave rahta hai kuchh jhamakta khunab chashm-e-tar men aalam men ab-o-gil ke kyunkar nibah hoga asbab gir paDa hai saara mira safar men aah jis vaqt sar uThati hai arsh par barchhiyan chalati hai naz-bardaar-e-lab hai jaan jab se tere khat ki khabar ko paati hai ai shab-e-hijr raast kah tujh ko baat kuchh sub.h ki bhi aati hai chashm-e-bad-dur-chasm-e-tar ai 'mir' ankhen tufan ko dikhati hai aam hukm-e-sharab karta huun mohtasib ko kabab karta huun Tuk to rah ai bina-e-hasti tu tujh ko kaisa kharab karta huun bahs karta huun ho ke abjad-khvan kis qadar be-hisab karta huun koi bujhti hai ye bhaDak men abas tishnagi par itaab karta huun sar talak ab-e-tegh men huun gharq ab ta.iin aab aab karta huun ji men phirta hai 'mir' vo mere jagta huun ki khvab karta huun aao kabhu to paas hamare bhi naaz se karna suluk khuub hai ahl-e-niyaz se phirte ho kya darakhton ke saa.e men duur duur kar lo muvafaqat kisu be-barg-o-saz se hijran men us ke zindagi karna bhala na tha kotahi jo na hove ye umr-e-daraz se manind-e-sub.ha uqde na dil ke kabhu khule ji apna kyuun ki uchTe na roze namaz se karta hai chhed chhed hamara jigar tamam vo dekhna tira mizha-e-nim-baz se dil par ho ikhtiyar to hargiz na kariye ishq parhez kariye is maraz-e-jan-gudaz se aage bichha ke nata ko laate the tegh o tasht karte the yaani khuun to ik imtiyaz se maane hon kyuun ki girya-e-khunin ke ishq men hai rabt-e-khas chashm ko ifsha-e-raz se shayad sharab-khane men shab ko rahe the 'mir' khele tha ek mughbacha mohr-e-namaz se arzuen hazar rakhte hain to bhi ham dil ko maar rakhte hain barq kam-hausla hai ham bhi to dil ko be-qarar rakhte hain ghair hi maurid-e-inayat hai ham bhi to tum se pyaar rakhte hain na nigah ne payam ne vaada naam ko ham bhi yaar rakhte hain ham se khush-zamzama kahan yuun to lab o lahja hazar rakhte hain choTTe dil ke hain butan mash.hur bas yahi e'tibar rakhte hain phir bhi karte hain 'mir' sahab ishq hain javan ikhtiyar rakhte hain ab jo ik hasrat-e-javani hai umr-e-rafta ki ye nishani hai rashk-e-yusuf hai aah vaqt-e-aziz umr ik bar-e-karvani hai girya har vaqt ka nahin be-hech dil men koi gham-e-nihani hai ham qafas-zad qaidi hain varna ta chaman ek par-fishani hai us ki shamshir tez hai hamdam mar rahenge jo zindagani hai gham-o-ranj-o-alam niko yaan se sab tumhari hi mehrbani hai khaak thi maujzan jahan men aur ham ko dhoka ye tha ki paani hai yaan hue 'mir' tum barabar khaak vaan vahi naaz o sargirani hai ashk ankhon men kab nahin aata lohu aata hai jab nahin aata hosh jaata nahin raha lekin jab vo aata hai tab nahin aata sabr tha ek monis-e-hijran so vo muddat se ab nahin aata dil se rukhsat hui koi khvahish girya kuchh be-sabab nahin aata ishq ko hausla hai shart arna baat ka kis ko Dhab nahin aata ji men kya kya hai apne ai hamdam par sukhan ta-ba-lab nahin aata duur baiTha ghubar-e-'mir' us se ishq bin ye adab nahin aata ba-rang-e-bu-e-gul us baagh ke ham ashna hote ki hamrah-e-saba Tuk sair karte phir hava hote sarapa aarzu hone ne banda kar diya ham ko vagarna ham khuda the gar dil-e-be-mudda.a hote falak ai kaash ham ko khaak hi rakhta ki is men ham ghubar-e-rah hote ya kasu ki khak-e-pa hote ilahi kaise hote hain jinhen hai bandagi khvahish hamen to sharm daman-gir hoti hai khuda hote tu hai kis nahiye se ai dayar-e-ishq kya janun tire bashindagan ham kaash saare bevafa hote ab aise hain ki sane.a ke mizaj uupar baham pahunche jo khatir-khvah apne ham hue hote to kya hote kahin jo kuchh malamat gar baja hai 'mir' kya janen unhen ma.alum tab hota ki vaise se juda hote bar-ha gor-e-dil jhanka laaya ab ke shart-e-vafa baja laaya qadr rakhti na thi mata-e-dil saare aalam men main dikha laaya dil ki yak qatra khuun nahin hai besh ek aalam ke sar bala laaya sab pe jis baar ne girani ki us ko ye na-tavan uTha laaya dil mujhe us gali men le ja kar aur bhi khaak men mila laaya ibtida hi men mar ga.e sab yaar ishq ki kaun intiha laaya ab to jaate hain but-kade se 'mir' phir milenge agar khuda laaya baare duniya men raho gham-zada ya shaad raho aisa kuchh kar ke chalo yaan ki bahut yaad raho ishq-peche ki tarah husn-e-giraftari hai lutf kya sarv ki manind gar azad raho ham ko divangi shahron hi men khush aati hai dasht men qais raho koh men farhad raho vo garan khvab jo hai naaz ka apne so hai daad be-dad raho shab ko ki fariyad raho 'mir' ham mil ke bahut khush hue tum se pyare is kharabe men miri jaan tum abad raho baten hamari yaad rahen phir baten aisi na suniyega paDhte kisu ko suniyega to der talak sar dhuniyega sa.i o talash bahut si rahegi is andaz ke kahne ki sohbat men ulma fuzla ki ja kar paDhiye ginyega dil ki tasalli jab ki hogi guft o shunud se logon ki aag phunkegi gham ki badan men us men jaliye bhuniyega garm ash.ar 'mir' daruna daghon se ye bhar denge zard-ru shahr men phiriyega galiyon men ne gul chuniyega bani thi kuchh ik us se muddat ke baad so phir bigDi pahli hi sohbat ke baad juda.i ke halat main kya kahun qayamat thi ek ek saa.at ke baad mua kohkan be-sutun khod kar ye rahat hui aisi mehnat ke baad laga aag paani ko dauDe hai tu ye garmi tiri is shararat ke baad kahe ko hamare kab un ne suna koi baat maani so minnat ke baad sukhan ki na taklif ham se karo lahu Tapke hai ab shikayat ke baad nazar 'mir' ne kaisi hasrat se ki bahut ro.e ham us ki rukhsat ke baad chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki baharan hai paat hare hain phuul khile hain kam-kam bad-o-baran hai rang hava se yuun Tapke hai jaise sharab chuvate hain aage ho mai-khane ke niklo ahd-e-bada-gusaran hai ishq ke maidan-daron men bhi marne ka hai vasf bahut ya.ani musibat aisi uThana kar-e-kar-guzaran hai dil hai daagh jigar hai TukDe aansu saare khuun hue lohu paani ek kare ye ishq-e-lala-azaran hai kohkan o majnun ki khatir dasht-o-koh men ham na ga.e ishq men ham ko 'mir' nihayat pas-e-izzat-daran hai chaman men gul ne jo kal dava-e-jamal kiya jamal-e-yar ne munh us ka khuub laal kiya falak ne aah tiri rah men ham ko paida kar ba-rang-e-sabza-e-nurasta pa.emal kiya rahi thi dam ki kashakash gale men kuchh baaqi so us ki tegh ne jhagDa hi infisal kiya miri ab ankhen nahin khultin zo.af se hamdam na kah ki niind men hai tu ye kya khayal kiya bahar-e-rafta phir aa.i tire tamashe ko chaman ko yumn-e-qadam ne tire nihal kiya javab-nama siyahi ka apni hai vo zulf kisu ne hashr ko ham se agar saval kiya laga na dil ko kahin kya suna nahin tu ne jo kuchh ki 'mir' ka is ashiqi ne haal kiya dekh to dil ki jaan se uThta hai ye dhuan sa kahan se uThta hai gor kis diljale ki hai ye falak shola ik sub.h yaan se uThta hai khana-e-dil se zinhar na ja koi aise makan se uThta hai naala sar khinchta hai jab mera shor ik asman se uThta hai laDti hai us ki chashm-e-shokh jahan ek ashob vaan se uThta hai sudh le ghar ki bhi shola-e-avaz duud kuchh ashiyan se uThta hai baiThne kaun de hai phir us ko jo tire astan se uThta hai yuun uThe aah us gali se ham jaise koi jahan se uThta hai ishq ik 'mir' bhari patthar hai kab ye tujh na-tavan se uThta hai faqirana aa.e sada kar chale ki myaan khush raho ham dua kar chale jo tujh bin na jiine ko kahte the ham so is ahd ko ab vafa kar chale shifa apni taqdir hi men na thi ki maqdur tak to dava kar chale paDe aise asbab payan-e-kar ki na-char yuun ji jala kar chale vo kya chiiz hai aah jis ke liye har ik chiiz se dil uTha kar chale koi na-umidana karte nigah so tum ham se munh bhi chhupa kar chale bahut aarzu thi gali ki tiri so yaan se lahu men naha kar chale dikha.i diye yuun ki be-khud kiya hamen aap se bhi juda kar chale jabin sajda karte hi karte ga.i haq-e-bandagi ham ada kar chale parastish ki yaan tak ki ai but tujhe nazar men sabhon ki khuda kar chale jhaDe phuul jis rang gulbun se yuun chaman men jahan ke ham aa kar chale na dekha gham-e-dostan shukr hai hamin daagh apna dikha kar chale ga.i umr dar-band-e-fikr-e-ghazal so is fan ko aisa baDa kar chale kahen kya jo puchhe koi ham se 'mir' jahan men tum aa.e the kya kar chale gham raha jab tak ki dam men dam raha dil ke jaane ka nihayat gham raha husn tha tera bahut alam-fareb khat ke aane par bhi ik aalam raha dil na pahuncha gosha-e-daman talak qatra-e-khun tha mizha par jam raha sunte hain laila ke kheme ko siyah us men majnun ka magar matam raha jama-e-ehram-e-zahid par na ja tha haram men lek na-mahram raha zulfen kholin to tu Tuk aaya nazar umr bhar yaan kam-e-dil barham raha us ke lab se talkh ham sunte rahe apne haq men ab-e-haivan sam raha mere rone ki haqiqat jis men thi ek muddat tak vo kaghaz nam raha sub.h-e-piri shaam hone aa.i 'mir' tu na cheta yaan bahut din kam raha ham aap hi ko apna maqsud jante hain apne siva.e kis ko maujud jante hain ijz-o-niyaz apna apni taraf hai saara is musht-e-khak ko ham masjud jante hain surat-pazir ham bin hargiz nahin ve maane ahl-e-nazar hamin ko ma.abud jante hain ishq un ki aql ko hai jo ma-siva hamare nachiz jante hain na-bud jante hain apni hi sair karne ham jalva-gar hue the is ramz ko va-lekin madud jante hain yarab kase hai naaqa har ghuncha is chaman ka rah-e-vafa ko ham to masdud jante hain ye zulm-e-be-nihayat dushvar-tar ki khuban bad-vaz.iyon ko apni mahmud jante hain kya jaane daab sohbat az khvesh raftagan ka majlis men shaikh-sahib kuchh kuud jante hain mar kar bhi haath aave to 'mir' muft hai vo ji ke ziyan ko bhi ham suud jante hain hamare aage tira jab kisu ne naam liya dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liya qasam jo kha.iye to tala-e-zulekha ki aziz-e-misr ka bhi sahab ik ghulam liya kharab rahte the masjid ke aage mai-khane nigah-e-mast ne saaqi ki intiqam liya vo kaj-ravish na mila raste men mujh se kabhi na sidhi tarah se un ne mira salam liya maza dikhavenge be-rahmi ka tiri sayyad gar iztirab-e-asiri ne zer-e-dam liya mire saliqe se meri nibhi mohabbat men tamam umr main nakamiyon se kaam liya agarche gosha-guzin huun main sha.iron men 'mir' pa mere shor ne ru-e-zamin tamam liya hasti apni habab ki si hai ye numa.ish sarab ki si hai nazuki us ke lab ki kya kahiye pankhuDi ik gulab ki si hai chashm-e-dil khol is bhi aalam par yaan ki auqat khvab ki si hai baar baar us ke dar pe jaata huun halat ab iztirab ki si hai nuqta-e-khal se tira abru bait ik intikhab ki si hai main jo bola kaha ki ye avaz usi khana-kharab ki si hai atish-e-gham men dil bhuna shayad der se bu kabab ki si hai dekhiye abr ki tarah ab ke meri chashm-e-pur-ab ki si hai 'mir' un nim-baz ankhon men saari masti sharab ki si hai is ahd men ilahi mohabbat ko kya hua chhoDa vafa ko un ne muravvat ko kya hua ummid-var-e-vada-e-didar mar chale aate hi aate yaaro qayamat ko kya hua kab tak tazallum aah bhala marg ke ta.iin kuchh pesh aaya vaqi.a rahmat ko kya hua us ke ga.e par aise ga.e dil se ham-nashin malum bhi hua na ki taqat ko kya hua bakhshish ne mujh ko abr-e-karam ki kiya khajil ai chashm josh-e-ashk-e-nadamat ko kya hua jaata hai yaar tegh-ba-kaf ghair ki taraf ai kushta-e-sitam tiri ghairat ko kya hua thi sab-e-ashiqi ki badayat hi 'mir' par kya janiye ki hal-e-nihayat ko kya hua ishq hamare khayal paDa hai khvab ga.i aram gaya ji ka jaana Thahar raha hai sub.h gaya ya shaam gaya ishq kiya so diin gaya iman gaya islam gaya dil ne aisa kaam kiya kuchh jis se main nakam gaya kis kis apni kal ko rove hijran men bekal us ka khvab ga.i hai taab ga.i hai chain gaya aram gaya aaya yaan se jaana hi to ji ka chhupana kya hasil aaj gaya ya kal javega sub.h gaya ya shaam gaya haa.e javani kya kya kahiye shor saron men rakhte the ab kya hai vo ahd gaya vo mausam vo hangam gaya gaali jhiDki khashm-o-khushunat ye to sar-e-dast aksar hain lutf gaya ehsan gaya in.aam gaya ikram gaya likhna kahna tark hua tha aapas men to muddat se ab jo qarar kiya hai dil se khat bhi gaya paigham gaya nala-e-'mir' savad men ham tak doshin shab se nahin aaya shayad shahr se us zalim ke ashiq vo badnam gaya ishq men zillat hui khiffat hui tohmat hui akhir akhir jaan di yaron ne ye sohbat hui aks us be-did ka to muttasil paDta tha sub.h din chaDhe kya janun a.ine ki kya surat hui lauh-e-sina par miri sau neza-e-khatti lage khastagi is dil-shikasta ki isi babat hui kholte hi ankhen phir yaan mundni ham ko paDin diid kya koi kare vo kis qadar mohlat hui paanv mera kalba-e-ahzan men ab rahta nahin rafta rafta us taraf jaane ki mujh ko lat hui mar gaya avara ho kar main to jaise gard-bad par jise ye vaqi.a pahuncha use vahshat hui shaad o khush-tale koi hoga kisu ko chaah kar main to kulfat men raha jab se mujhe ulfat hui dil ka jaana aaj kal taaza hua ho to kahun guzre us bhi sanehe ko ham-nashin muddat hui shauq-e-dil ham na-tavanon ka likha jaata hai kab ab talak aap hi pahunchne ki agar taqat hui kya kaf-e-dast ek maidan tha bayaban ishq ka jaan se jab us men guzre tab hamen rahat hui yuun to ham ajiz-tarin-e-khalq-e-alam hain vale dekhiyo qudrat khuda ki gar hamen qudrat hui gosh zad chaT-paT hi marna ishq men apne hua kis ko is bimari-e-jankah se fursat hui be-zaban jo kahte hain mujh ko so chup rah ja.enge marke men hashr ke gar baat ki rukhsat hui ham na kahte the ki naqsh us ka nahin naqqash sahl chand saara lag gaya tab nim-rukh surat hui is ghazal par shaam se to sufiyon ko vajd tha phir nahin malum kuchh majlis ki kya halat hui kam kisu ko 'mir' ki mayyat ki haath aa.i namaz na.ash par us be-sar-o-pa ki bala kasrat hui jab naam tira lijiye tab chashm bhar aave is zindagi karne ko kahan se jigar aave talvar ka bhi maara khuda rakkhe hai zalim ye to ho koi gor-e-ghariban men dar aave mai-khana vo manzar hai ki har sub.h jahan shaikh divar pe khurshid ka masti se sar aave kya janen ve murghan-e-giraftar-e-chaman ko jin tak ki ba-sad-naz nasim-e-sahar aave tu sub.h qadam-ranja kare Tuk to hai varna kis vaste ashiq ki shab-e-gham basar aave har su sar-e-taslim rakhe said-e-haram hain vo said-fagan tegh-ba-kaf ta kidhar aave divaron se sar marte phirne ka gaya vaqt ab tu hi magar aap kabhu dar se dar aave vaa.iz nahin kaifiyyat-e-mai-khana se agah yak jur.a badal varna ye mindil dhar aave sanna.a hain sab khvar azaan jumla huun main bhi hai aib baDa us men jise kuchh hunar aave ai vo ki tu baiTha hai sar-e-rah pe zinhar kahiyo jo kabhu 'mir' bala-kash idhar aave mat dasht-e-mohabbat men qadam rakh ki khizar ko har gaam pe is rah men safar se hazar aave jab rone baiThta huun tab kya kasar rahe hai rumal do do din tak juun abr tar rahe hai ah-e-sahar ki meri barchhi ke vasvase se khurshid ke munh uupar aksar sipar rahe hai aagah to rahiye us ki tarz-e-rah-o-ravish se aane men us ke lekin kis ko khabar rahe hai un rozon itni ghaflat achchhi nahin idhar se ab iztirab ham ko do do pahr rahe hai ab-e-hayat ki si saari ravish hai us ki par jab vo uTh chale hai ek aadh mar rahe hai talvar ab laga hai be-Dol paas rakhne khuun aaj kal kisu ka vo shokh kar rahe hai dar se kabhu jo aate dekha hai main ne us ko tab se udhar hi aksar meri nazar rahe hai akhir kahan talak ham ik roz ho chukenge barson se va.ada-e-shab har sub.h par rahe hai 'mir' ab bahar aa.i sahra men chal junun kar koi bhi fasl-e-gul men nadan ghar rahe hai jite-ji kucha-e-dildar se jaaya na gaya us ki divar ka sar se mire saaya na gaya kav-kave mizha-e-yar o dil-e-zar-o-nazar guth ga.e aise shitabi ki chhuDaya na gaya vo to kal der talak dekhta idhar ko raha ham se hi hal-e-tabah apna dikhaya na gaya garm-rau rah-e-fana ka nahin ho sakta patang us se to sham.a-namat sar bhi kaTaya na gaya pas-e-namus-e-mohabbat tha ki farhad ke paas be-sutun samne se apne uThaya na gaya khaak tak kucha-e-dildar ki chhani ham ne justuju ki pe dil-e-gum-shuda paaya na gaya atish-e-tez juda.i men yakayak us bin dil jala yuun ki tanik ji bhi jalaya na gaya mah ne aa samne shab yaad dilaya tha use phir vo ta sub.h mire ji se bhulaya na gaya zer-e-shamshir-e-sitam 'mir' taDapna kaisa sar bhi taslim-e-mohabbat men hilaya na gaya ji men aata hai ki kuchh aur bhi mauzun kiije dard-e-dil ek ghazal men to sunaya na gaya jin jin ko tha ye ishq ka azar mar ga.e aksar hamare saath ke bimar mar ga.e hota nahin hai us lab-e-nau-khat pe koi sabz iisa o khizr kya sabhi yak-bar mar ga.e yuun kanon-kan gul ne na jaana chaman men aah sar ko paTak ke ham pas-e-divar mar ga.e sad karvan vafa hai koi puchhta nahin goya mata-e-dil ke kharidar mar ga.e majnun na dasht men hai na farhad koh men tha jin se lutf-e-zindagi ve yaar mar ga.e gar zindagi yahi hai jo karte hain ham asiir to ve hi ji ga.e jo giraftar mar ga.e afsos ve shahid ki jo qatl-gah men lagte hi us ke haath ki talvar mar ga.e tujh se do-char hone ki hasrat ke mubtila jab ji hue vabal to na-char mar ga.e ghabra na 'mir' ishq men us sahal-e-zist par jab bas chala na kuchh to mire yaar mar ga.e jin ke liye apne to yuun jaan nikalte hain is raah men ve jaise anjan nikalte hain kya tir-e-sitam us ke siine men bhi TuuTe the jis zakhm ko chirun huun paikan nikalte hain mat sahl hamen jaano phirta hai falak barson tab khaak ke parde se insan nikalte hain kis ka hai qimash aisa gudaD bhare hain saare dekho na jo logon ke divan nikalte hain gah lohu Tapakta hai gah lakht-e-dil ankhon se ya TukDe jigar hi ke har aan nikalte hain kariye to gila kis se jaisi thi hamen khvahish ab vaise hi ye apne arman nikalte hain jagah se bhi jaate ho munh se bhi khashin ho kar ve harf nahin hain jo shayan nikalte hain so kaahe ko apni tu jogi ki si pheri hai barson men kabhu idhar ham aan nikalte hain un a.ina-ruyon ke kya 'mir' bhi ashiq hain jab ghar se nikalte hain hairan nikalte hain jis sar ko ghurur aaj hai yaan taj-vari ka kal us pe yahin shor hai phir nauhagari ka sharminda tire rukh se hai rukhsar pari ka chalta nahin kuchh aage tire kabk-e-dari ka afaq ki manzil se gaya kaun salamat asbab luTa raah men yaan har safari ka zindan men bhi shorish na ga.i apne junun ki ab sang mudava hai is ashufta-sari ka har zakhm-e-jigar davar-e-mahshar se hamara insaf-talab hai tiri bedad-gari ka apni to jahan aankh laDi phir vahin dekho a.ine ko lapka hai pareshan-nazari ka sad mausam-e-gul ham ko tah-e-bal hi guzre maqdur na dekha kabhu be-bal-o-pari ka is rang se jhamke hai palak par ki kahe tu TukDa hai mira ashk aqiq-e-jigari ka kal sair kiya ham ne samundar ko bhi ja kar tha dast-e-nigar panja-e-mizhgan ki tari ka le saans bhi ahista ki nazuk hai bahut kaam afaq ki is kargah-e-shishagari ka Tuk 'mir'-e-jigar-sokhta ki jald khabar le kya yaar bharosa hai charagh-e-sahari ka jo is shor se 'mir' rota rahega to ham-saya kaahe ko sota rahega main vo rone vaala jahan se chala huun jise abr har saal rota rahega mujhe kaam rone se aksar hai naseh tu kab tak mire munh ko dhota rahega bas ai girya ankhen tiri kya nahin hain kahan tak jahan ko Dubota rahega mire dil ne vo naala paida kiya hai jaras ke bhi jo hosh khota rahega tu yuun galiyan ghair ko shauq se de hamen kuchh kahega to hota rahega bas ai 'mir' mizhgan se ponchh ansuon ko tu kab tak ye moti pirota rahega kuchh mauj-e-hava pechan ai 'mir' nazar aa.i shayad ki bahar aa.i zanjir nazar aa.i dilli ke na the kuche auraq-e-musavvar the jo shakl nazar aa.i tasvir nazar aa.i maghrur bahut the ham aansu ki sarayat par so sub.h ke hone ko tasir nazar aa.i gul-bar kare haiga asbab-e-safar shayad ghunche ki tarah bulbul dil-gir nazar aa.i us ki to dil-azari be-hech hi thi yaaro kuchh tum ko hamari bhi taqsir nazar aa.i kya haqiqat kahun ki kya hai ishq haq-shanason ke haan khuda hai ishq dil laga ho to ji jahan se uTha maut ka naam pyaar ka hai ishq aur tadbir ko nahin kuchh dakhl ishq ke dard ki dava hai ishq kya Dubaya muhit men gham ke ham ne jaana tha ashna hai ishq ishq se ja nahin koi khali dil se le arsh tak bhara hai ishq kohkan kya pahaD kaTega parde men zor-azma hai ishq ishq hai ishq karne valon ko kaisa kaisa baham kiya hai ishq kaun maqsad ko ishq bin pahuncha aarzu ishq mudda.a hai ishq 'mir' marna paDe hai khuban par ishq mat kar ki bad bala hai ishq kya kahun tum se main ki kya hai ishq jaan ka rog hai bala hai ishq ishq hi ishq hai jahan dekho saare aalam men bhar raha hai ishq ishq hai tarz o taur ishq ke ta.iin kahin banda kahin khuda hai ishq ishq ma.ashuq ishq ashiq hai ya.ani apna hi mubtala hai ishq gar parastish khuda ki sabit ki kisu surat men ho bhala hai ishq dilkash aisa kahan hai dushman-e-jan mudda.i hai pa mudda.a hai ishq hai hamare bhi taur ka ashiq jis kisi ko kahin hua hai ishq koi khvahan nahin mohabbat ka tu kahe jins-e-na-rava hai ishq 'mir'-ji zard hote jaate ho kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq lazzat se nahin khali janon ka khapa jaana kab khizr o masiha ne marne ka maza jaana ham jah-o-hasham yaan ka kya kahiye ki kya jaana khatim ko sulaiman ki angushtar-e-pa jaana ye bhi hai ada koi khurshid namat pyare munh sub.h dikha jaana phir shaam chhupa jaana kab bandagi meri si banda karega koi jaane hai khuda us ko main tujh ko khuda jaana tha naaz bahut ham ko danist par apni bhi akhir vo bura nikla ham jis ko bhala jaana gardan-kashi kya hasil manind bagule ki is dasht men sar gaaDe juun sail chala jaana is girya-e-khunin ka ho zabt to behtar hai achchha nahin chehre par lohu ka baha jaana ye naqsh dilon par se jaane ka nahin us ko ashiq ke huquq aa kar nahaq bhi miTa jaana Dhab dekhne ka idhar aisa hi tumhara tha jaate to ho par ham se Tuk aankh mila jaana us sham.a ki majlis men jaana hamen phir vaan se ik zakhm-e-zaban taaza har roz uTha jaana ai shor-e-qayamat ham sote hi na rah javen is raah se nikle to ham ko bhi jaga jaana kya paani ke mol aa kar malik ne guhar becha hai sakht giran sasta yusuf ka bika jaana hai meri tiri nisbat ruuh aur jasad ki si kab aap se main tujh ko ai jaan juda jaana jaati hai guzar ji par us vaqt qayamat si yaad aave hai jab tera yak-bargi aa jaana barson se mire us ki rahti hai yahi sohbat tegh us ko uThana to sar mujh ko jhuka jaana kab 'mir' basar aa.e tum vaise farebi se dil ko to laga baiThe lekin na laga jaana ham hue tum hue ki 'mir' hue us ki zulfon ke sab asiir hue jin ki khatir ki ustukhvan-shikni so ham un ke nishan-e-tir hue nahin aate kaso ki ankhon men ho ke ashiq bahut haqir hue aage ye be-ada.iyan kab thiin in dinon tum bahut sharir hue apne rote hi rote sahra ke goshe goshe men ab-gir hue aisi hasti adam men dakhil hai nai javan ham na tifl-e-shir hue ek dam thi numud buud apni ya safedi ki ya akhir hue ya.ani manind-e-sub.h duniya men ham jo paida hue sau piir hue mat mil ahl-e-duval ke laDkon se 'mir'-ji un se mil faqir hue rah-e-dur-e-ishq men rota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya qafile men sub.h ke ik shor hai ya.ani ghafil ham chale sota hai kya sabz hoti hi nahin ye sarzamin tukhm-e-khvahish dil men tu bota hai kya ye nishan-e-ishq hain jaate nahin daagh chhati ke abas dhota hai kya ghairat-e-yusuf hai ye vaqt-e-aziz 'mir' us ko ra.egan khota hai kya aage jamal-e-yar ke ma.azur ho gaya gul ik chaman men dida-e-be-nur ho gaya ik chashm-e-muntazar hai ki dekhe hai kab se raah jon zakhm teri duuri men nasur ho gaya qismat to dekh shaikh ko jab lahar aa.i tab darvaza shira khane ka ma.amur ho gaya pahuncha qarib marg ke vo said-e-na-qubul jo teri said-e-gah se Tak duur ho gaya dekha ye nav-nosh ki nish-e-firaq se siina tamam khana-e-zambur ho gaya is mah-e-chardah ka chhape ishq kyunke aah ab to tamam shahr men mash.hur ho gaya shayad kaso ke dil ko lagi us gali men choT meri baghal men shisha-e-dil chuur ho gaya lasha mira tasalli na zer-e-zamin hua jab tak na aan kar vo sar-e-gor ho gaya dekha jo main ne yaar to vo 'mir' hi nahin tere gham-e-firaq men ranjur ho gaya ah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya us baav ne hamen to diya sa bujha diya samjhi na baad sub.h ki aa kar uTha diya is fitna-e-zamana ko nahaq jaga diya poshida raz-e-ishq chala jaa.e tha sau aaj be-taqati ne dil ki vo parda uTha diya us mauj-khez dahr men ham ko qaza ne aah paani ke bulbule ki tarah se miTa diya thi laag us ki tegh ko ham se sau ishq ne donon ko ma.arke men gale se mila diya sab shor-e-ma-o-man ko liye sar men mar ga.e yaron ko is fasane ne akhir sula diya avargan-e-ishq ka puchha jo main nishan musht-e-ghubar le ke saba ne uDa diya ajza badan ke jitne the paani ho bah ga.e akhir gudaz ishq ne ham ko baha diya kya kuchh na tha azal men na taala jo the durust ham ko dil-shikasta qaza ne dila diya goya muhasba mujhe dena tha ishq ka us taur dil si chiiz ko main ne laga diya muddat rahegi yaad tire chehre ki jhalak jalve ko jis ne maah ke ji se bhula diya ham ne to sadgi se kya ji ka bhi ziyan dil jo diya tha so to diya sar juda diya boi kabab sokhta aa.i dimagh men shayad jigar bhi atish-e-gham ne jila diya taklif dard-e-dil ki abas ham-nashin ne ki dard-e-sukhan ne mere sabhon ko rula diya un ne to tegh khinchi thi par ji chala ke 'mir' ham ne bhi ek dam men tamasha dikha diya aa.e hain 'mir' munh ko bana.e khafa se aaj shayad bigaD ga.i hai kuchh us bevafa se aaj vashud hui na dil ko faqiron ke bhi mile khulti nahin girah ye kasu ki dua se aaj jiine men ikhtiyar nahin varna ham-nashin ham chahte hain maut to apni khuda se aaj saaqi Tuk ek mausam-e-gul ki taraf bhi dekh Tapka paDe hai rang chaman men hava se aaj tha ji men us se miliye to kya kya na kahiye 'mir' par kuchh kaha gaya na gham-e-dil haya se aaj avegi meri qabr se avaz mere ba.ad ubhrenge ishq-e-dil se tire raaz mere ba.ad jiina mira to tujh ko ghanimat hai na-samajh khinga kaun phir ye tire naaz mere ba.ad sham-e-mazar aur ye soz-e-jigar mira har shab karenge zindagi na-saz mere ba.ad hasrat hai is ke dekhne ki dil men be-qayas aghlab ki meri ankhen rahen baaz mere ba.ad karta huun main jo naale sar-anjam baagh men munh dekho phir karenge ham avaz mere ba.ad bin gul mua hi main to pa tu ja ke lauTiyo sehn-e-chaman men ai par-e-parvaz mere ba.ad baiTha huun 'mir' marne ko apne men musta.id paida na honge mujh se bhi janbaz mere ba.ad munh taka hi kare hai jis tis ka hairati hai ye a.ina kis ka shaam se kuchh bujha sa rahta huun dil hua hai charagh muflis ka the bure mughbachon ke tevar lek shaikh mai-khane se bhala khiska daagh ankhon se khil rahe hain sab haath dasta hua hai nargis ka bahr kam-zarf hai basan-e-habab kasa-lais ab hua hai tu jis ka faiz ai abr chashm-e-tar se uTha aaj daman vasi.a hai is ka taab kis ko jo hal-e-'mir' sune haal hi aur kuchh hai majlis ka patta patta buuTa buuTa haal hamara jaane hai jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ko baale tak us ko falak chashm-mah-o-khur ki putli ka taara jaane hai aage us mutakabbir ke ham khuda khuda kiya karte hain kab maujud khuda ko vo maghrur-e-khud-ara jaane hai ashiq sa to saada koi aur na hoga duniya men ji ke ziyan ko ishq men us ke apna vaara jaane hai charagari bimari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin varna dilbar-e-nadan bhi is dard ka chara jaane hai kya hi shikar-farebi par maghrur hai vo sayyad bacha taa.ir uDte hava men saare apne asara jaane hai mehr o vafa o lutf-o-inayat ek se vaqif in men nahin aur to sab kuchh tanz o kinaya ramz o ishara jaane hai kya kya fitne sar par us ke laata hai mashuq apna jis be-dil be-tab-o-tavan ko ishq ka maara jaane hai rakhnon se divar-e-chaman ke munh ko le hai chhupa yaani in surakhon ke Tuk rahne ko sau ka nazara jaane hai tishna-e-khun hai apna kitna 'mir' bhi nadan talkhi-kash dum-dar ab-e-tegh ko us ke ab-e-gavara jaane hai sher ke parde men main ne gham sunaya hai bahut marsiye ne dil ke mere bhi rulaya hai bahut be-sabab aata nahin ab dam-ba-dam ashiq ko ghash dard khincha hai nihayat ranj uThaya hai bahut vaadi o kohsar men rota huun DaDhen maar maar dilbaran-e-shahr ne mujh ko sataya hai bahut va nahin hota kisu se dil girafta ishq ka zahiran ghamgin use rahna khush aaya hai bahut 'mir' gum-gashta ka milna ittifaqi amr hai jab kabhu paaya hai khvahish-mand paaya hai bahut tha musta.ar husn se us ke jo nuur tha khurshid men bhi us hi ka zarra zuhur tha hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha paida har ek naale se shor-e-nushur tha pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke ta.iin malum ab hua ki bahut main bhi duur tha atish buland dil ki na thi varna ai kalim yak sho.ala barq-e-khiraman-e-sad-koh-e-tur tha majlis men raat ek tire partave baghair kya sham.a kya patang har ik be-huzur tha us fasl men ki gul ka gareban bhi hai hava divana ho gaya so bahut zi-shu.ur tha mun.im ke paas qaqum o sanjab tha to kya us rind ki bhi raat guzar ga.i jo uur tha ham khaak men mile to mile lekin ai sip.har us shokh ko bhi raah pe laana zarur tha kal paanv ek kasa-e-sar par jo aa gaya yaksar vo ustukhvan shikaston se chuur tha kahne laga ki dekh ke chal raah be-khabar main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghurur tha tha vo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin men 'mir' samjhe na ham to fahm ka apni qusur tha ulTi ho ga.iin sab tadbiren kuchh na dava ne kaam kiya dekha is bimari-e-dil ne akhir kaam tamam kiya ahd-e-javani ro ro kaaTa piiri men liin ankhen muund ya.ani raat bahut the jaage sub.h hui aram kiya harf nahin jan-bakhshi men us ki khubi apni qismat ki ham se jo pahle kah bheja so marne ka paigham kiya nahaq ham majburon par ye tohmat hai mukhtari ki chahte hain so aap karen hain ham ko abas badnam kiya saare rind aubash jahan ke tujh se sujud men rahte hain banke TeDhe tirchhe tikhe sab ka tujh ko imaam kiya sarzad ham se be-adabi to vahshat men bhi kam hi hui koson us ki or ga.e par sajda har har gaam kiya kis ka ka.aba kaisa qibla kaun haram hai kya ehram kuche ke us ke bashindon ne sab ko yahin se salam kiya shaikh jo hai masjid men nanga raat ko tha mai-khane men jubba khirqa kurta Topi masti men in.aam kiya kaash ab burqa munh se uTha de varna phir kya hasil hai aankh munde par un ne go didar ko apne aam kiya yaan ke sapid o siyah men ham ko dakhl jo hai so itna hai raat ko ro ro sub.h kiya ya din ko juun tuun shaam kiya sub.h chaman men us ko kahin taklif-e-hava le aa.i thi rukh se gul ko mol liya qamat se sarv ghulam kiya sa.ad-e-simin donon us ke haath men la kar chhoD diye bhule us ke qaul-o-qasam par haa.e khayal-e-kham kiya kaam hue hain saare zaa.e.a har saa.at ki samajat se istighna ki chauguni un ne juun juun main ibram kiya aise ahu-e-ram-khurda ki vahshat khoni mushkil thi sehr kiya e.ajaz kiya jin logon ne tujh ko raam kiya 'mir' ke din-o-maz.hab ko ab puchhte kya ho un ne to qashqa khincha dair men baiTha kab ka tark islam kiya umr bhar ham rahe sharabi se dil-e-pur-khun ki ik gulabi se ji Dhaha jaa.e hai sahar se aah raat guzregi kis kharabi se khilna kam kam kali ne sikha hai us ki ankhon ki nim-khvabi se burqa uThte hi chand sa nikla daagh huun us ki be-hijabi se kaam the ishq men bahut par 'mir' ham hi farigh hue shitabi se us ka khayal chashm se shab khvab le gaya qasme ki ishq ji se mire taab le gaya kin nindon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-nak mizhgan to khol shahr ko sailab le gaya aave jo mastaba men to sun lo ki raah se vaa.iz ko ek jam-e-mai-e-nab le gaya ne dil raha baja hai na sabr o havas o hosh aaya jo sail-e-ishq sab asbab le gaya mere huzur sham.a ne girya jo sar kiya roya main is qadar ki mujhe aab le gaya ahval us shikar zubun ka hai jaa.e rahm jis na-tavan ko muft na qassab le gaya munh ki jhalak se yaar ke behosh ho ga.e shab ham ko 'mir' partav-e-mahtab le gaya yaaro mujhe muaaf rakho main nashe men huun ab do to jaam khali hi do main nashe men huun ek ek qurt daur men yuun hi mujhe bhi do jam-e-sharab pur na karo main nashe men huun masti se darhami hai miri guftugu ke biich jo chaho tum bhi mujh ko kaho main nashe men huun ya hathon haath lo mujhe manind-e-jam-e-mai ya thoDi duur saath chalo main nashe men huun ma.azur huun jo paanv mira be-tarah paDe tum sargiran to mujh se na ho main nashe men huun bhagi namaz-e-juma to jaati nahin hai kuchh chalta huun main bhi Tuk to raho main nashe men huun nazuk-mizaj aap qayamat hain 'mir' ji juun shisha mere munh na lago main nashe men huun zakhm jhele daagh bhi khaa.e bahut dil laga kar ham to pachhta.e bahut jab na tab jagah se tum jaaya kiye ham to apni or se aa.e bahut dair se su-e-haram aaya na Tuk ham mizaj apna idhar laa.e bahut phuul gul shams o qamar saare hi the par hamen in men tumhin bhaa.e bahut gar buka is shor se shab ko hai to rovenge sone ko ham-sa.e bahut vo jo nikla sub.h jaise aftab rashk se gul phuul murjha.e bahut 'mir' se puchha jo main ashiq ho tum ho ke kuchh chupke se sharma.e bahut aa ki miri jaan ko qarar nahin hai taqat-e-bedad-e-intizar nahin hai dete hain jannat hayat-e-dahr ke badle nashsha ba-andaza-e-khumar nahin hai girya nikale hai teri bazm se mujh ko haa.e ki rone pe ikhtiyar nahin hai ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir khaak men ushshaq ki ghubar nahin hai dil se uTha lutf-e-jalva-ha-e-ma.ani ghair-e-gul a.ina-e-bahar nahin hai qatl ka mere kiya hai ahd to baare vaa.e agar ahd ustuvar nahin hai tu ne qasam mai-kashi ki khaa.i hai 'ghalib' teri qasam ka kuchh e'tibar nahin hai aabru kya khaak us gul ki ki gulshan men nahin hai gareban nang-e-pairahan jo daman men nahin zof se ai girya kuchh baaqi mire tan men nahin rang ho kar uD gaya jo khuun ki daman men nahin ho ga.e hain jama ajza-e-nigah-e-aftab zarre us ke ghar ki divaron ke rauzan men nahin kya kahun tariki-e-zindan-e-gham andher hai pamba nur-e-sub.h se kam jis ke rauzan men nahin raunaq-e-hasti hai ishq-e-khana viran saaz se anjuman be-shama hai gar barq khirman men nahin zakhm silvane se mujh par chara-jui ka hai taan ghair samjha hai ki lazzat zakhm-e-sozan men nahin bas-ki hain ham ik bahar-e-naz ke maare hue jalva-e-gul ke siva gard apne madfan men nahin qatra qatra ik hayula hai na.e nasur ka khuun bhi zauq-e-dard se farigh mire tan men nahin le ga.i saaqi ki nakhvat qulzum-ashami miri mauj-e-mai ki aaj rag miina ki gardan men nahin ho fishar-e-zof men kya na-tavani ki numud qad ke jhukne ki bhi gunja.ish mire tan men nahin thi vatan men shaan kya 'ghalib' ki ho ghurbat men qadr be-takalluf huun vo musht-e-khas ki gulkhan men nahin aah ko chahiye ik umr asar hote tak kaun jiita hai tiri zulf ke sar hote tak dam-e-har-mauj men hai halqa-e-sad-kam-e-nahang dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak ashiqi sabr-talab aur tamanna betab dil ka kya rang karun khun-e-jigar hote tak ta-qayamat shab-e-furqat men guzar ja.egi umr saat din ham pe bhi bhari hain sahar hote tak ham ne maana ki taghaful na karoge lekin khaak ho ja.enge ham tum ko khabar hote tak partav-e-khur se hai shabnam ko fana ki ta.alim main bhi huun ek inayat ki nazar hote tak yak nazar besh nahin fursat-e-hasti ghafil garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak gham-e-hasti ka 'asad' kis se ho juz marg ilaaj sham.a har rang men jalti hai sahar hote tak a.ina dekh apna sa munh le ke rah ga.e sahab ko dil na dene pe kitna ghurur tha qasid ko apne haath se gardan na mariye us ki khata nahin hai ye mera qusur tha zof-e-junun ko vaqt-e-tapish dar bhi duur tha ik ghar men mukhtasar bayaban zarur tha ai va.e-ghaflat-e-nigah-e-shauq varna yaan har paara sang lakht-e-dil-e-koh-e-tur tha dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke naam se vo dil hai ye ki jis ka takhallus subur tha har rang men jala 'asad'-e-fitna-intizar parvana-e-tajalli-e-sham-e-zuhur tha shayad ki mar gaya tire rukhsar dekh kar paimana raat maah ka labrez-e-nur tha jannat hai teri tegh ke kushton ki muntazir jauhar savad-e-jalva-e-mizhgan-e-hur tha a.ina kyuun na duun ki tamasha kahen jise aisa kahan se la.un ki tujh sa kahen jise hasrat ne la rakha tiri bazm-e-khayal men gul-dasta-e-nigah suvaida kahen jise phunka hai kis ne gosh-e-mohabbat men ai khuda afsun-e-intizar tamanna kahen jise sar par hujum-e-dard-e-gharibi se Daliye vo ek musht-e-khak ki sahra kahen jise hai chashm-e-tar men hasrat-e-didar se nihan shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise darkar hai shaguftan-e-gul-ha-e-aish ko sub.h-e-bahar pumba-e-mina kahen jise 'ghalib' bura na maan jo vaa.iz bura kahe aisa bhi koi hai ki sab achchha kahen jise ya rab hamen to khvab men bhi mat dikha.iyo ye mahshar-e-khayal ki duniya kahen jise hai intizar se sharar abad rustakhez mizhgan-e-koh-kan rag-e-khara kahen jise kis fursat-e-visal pe hai gul ko andalib zakhm-e-firaq khanda-e-be-ja kahen jise amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost dud-e-sham-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost ai dil-e-na-aqibat-andesh zabt-e-shauq kar kaun la sakta hai tab-e-jalva-e-didar-e-dost khana-viran-sazi-e-hairat tamasha kijiye surat-e-naqsh-e-qadam huun rafta-e-raftar-e-dost ishq men bedad-e-rashk-e-ghair ne maara mujhe kushta-e-dushman huun akhir garche tha bimar-e-dost chashm-e-ma raushan ki us bedard ka dil shaad hai dida-e-pur-khun hamara saghar-e-sarshar-e-dost ghair yuun karta hai meri pursish us ke hijr men be-takalluf dost ho jaise koi gham-khvar-e-dost taaki main janun ki hai us ki rasa.i vaan talak mujh ko deta hai payam-e-vada-e-didar-e-dost jab ki main karta huun apna shikva-e-zof-e-dimagh sar kare hai vo hadis-e-zulf-e-ambar-bar-e-dost chupke chupke mujh ko rote dekh paata hai agar hans ke karta hai bayan-e-shokhi-e-guftar-e-dost mehrbani-ha-e-dushman ki shikayat kijiye ta bayan kiije sipas-e-lazzat-e-azar-e-dost ye ghazal apni mujhe ji se pasand aati hai aap hai radif-e-sher men 'ghalib' zi-bas takrar-e-dost chashm-e-band-e-khalq juz timsal-e-khud-bini nahin aa.ina hai qalib-e-khisht-e-dar-o-divar-e-dost barq-e-khirman-zar gauhar hai nigah-e-tez yaan ashk ho jaate hain khushk az-garmi-e-raftar-e-dost hai sava neze pe us ke qamat-e-nau-khez se aftab-e-sub.h-e-mahshar hai gul-e-dastar-e-dost ai adu-e-maslahat chand ba-zabt afsurda rah kardani hai jam.a tab-e-shokhi-e-didar-e-dost laghzishat-e-mastana o josh-e-tamasha hai 'asad' atish-e-mai se bahar-e-garmi-e-bazar-e-dost amad-e-sailab-e-tufan-e-sada-e-ab hai naqsh-e-pa jo kaan men rakhta hai ungli jaada se bazm-e-mai vahshat-kada hai kis ki chashm-e-mast ka shishe men nabz-e-pari pinhan hai mauj-e-bada se dekhta huun vahshat-e-shauq-e-kharosh-amada se fal-e-rusva.i sirishk-e-sar-ba-sahra-dada se daam gar sabze men pinhan kijiye ta.us ho josh-e-nairang-e-bahar arz-e-sahra-dada se khema-e-laila siyah o khana-e-majnun kharab josh-e-virani hai ishq-e-dagh-e-bairun-dada se bazm-e-hasti vo tamasha hai ki jis ko ham 'asad' dekhte hain chashm-e-az-khvab-e-adam-nakushada se afsos ki dandan ka kiya rizq falak ne jin logon ki thi dar-khur-e-aqd-e-guhar angusht kaafi hai nishani tira chhalle ka na dena khali mujhe dikhla ke ba-vaqt-e-safar angusht likhta huun 'asad' sozish-e-dil se sukhan-e-garm ta rakh na sake koi mire harf par angusht ajab nashat se jallad ke chale hain ham aage ki apne saa.e se sar paanv se hai do qadam aage qaza ne tha mujhe chaha kharab-e-bada-e-ulfat faqat kharab likha bas na chal saka qalam aage gham-e-zamana ne jhaDi nashat-e-ishq ki masti vagarna ham bhi uThate the lazzat-e-alam aage khuda ke vaste daad us junun-e-shauq ki dena ki us ke dar pe pahunchte hain nama-bar se ham aage ye umr bhar jo pareshaniyan uTha.i hain ham ne tumhare aa.iyo ai turrah-ha-e-kham-ba-kham aage dil o jigar men pur-afshan jo ek mauja-e-khun hai ham apne zom men samjhe hue the us ko dam aage qasam janaze pe aane ki mere khate hain 'ghalib' hamesha khate the jo meri jaan ki qasam aage arz-e-naz-e-shokhi-e-dandan bara.e-khanda hai dava-e-jamiyat-e-ahbab ja-e-khanda hai hai adam men ghuncha mahv-e-ibrat-e-anjam-e-gul yak-jahan zaanu ta.ammul dar-qafa-e-khanda hai kulfat-e-afsurdagi ko aish-e-betabi haram varna dandan dar dil afshurdan bina-e-khanda hai shorish-e-batin ke hain ahbab munkir varna yaan dil muhit-e-girya o lab ashna-e-khanda hai khud-faroshi-ha-e-hasti bas-ki ja-e-khanda hai har shikast-e-qimat-e-dil men sada-e-khanda hai naqsh-e-ibrat dar nazar ya naqd-e-ishrat dar bisat do-jahan vus.at ba-qadr-e-yak-fa.za-e-khanda hai ja-e-istihza hai ishrat-koshi-e-hasti 'asad' sub.h o shabnam fursat-e-nashv-o-numa-e-khanda hai arz-e-niyaz-e-ishq ke qabil nahin raha jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha jaata huun dagh-e-hasrat-e-hasti liye hue huun sham-e-kushta dar-khur-e-mahfil nahin raha marne ki ai dil aur hi tadbir kar ki main shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahin raha bar-ru-e-shash-jahat dar-e-a.ina baaz hai yaan imtiyaz-e-naqis-o-kamil nahin raha va kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn ghair-az-nigah ab koi haa.il nahin raha go main raha rahin-e-sitam-ha-e-rozgar lekin tire khayal se ghafil nahin raha dil se hava-e-kisht-e-vafa miT ga.i ki vaan hasil siva.e hasrat-e-hasil nahin raha bedad-e-ishq se nahin Darta magar 'asad' jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha har-chand main huun tuti-e-shirin-sukhan vale a.ina aah mere muqabil nahin raha jan-dad-gan ka hausla fursat-gudaz hai yaan arsa-e-tapidan-e-bismil nahin raha huun qatra-zan ba-vadi-e-hasrat shabana roz juz tar-e-ashk jada-e-manzil nahin raha ai aah meri khatir-e-vabasta ke siva duniya men koi uqda-e-mushkil nahin raha andaz-e-nala yaad hain sab mujh ko par 'asad' jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahin raha 'asad' ham vo junun-jaulan gada-e-be-sar-o-pa hain ki hai sar-panja-e-mizhgan-e-ahu pusht-khar apna az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aa.ina tuuti ko shash-jihat se muqabil hai aa.ina hairat hujum-e-lazzat-e-ghaltani-e-tapish simab-e-balish o kamar-e-dil hai aa.ina ghaflat ba-bal-e-jauhar-e-shamshir par-fishan yaan pusht-e-chashm-e-shokhi-e-qatil hai aa.ina hairat-nigah-e-barq-e-tamasha bahar-e-shokh dar-parda-e-hava par-e-bismil hai aa.ina yaan rah ga.e hain nakhun-e-tadbir TuuT kar jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aa.ina ham-zanu-e-ta.ammul o ham-jalva-gah-e-gul a.ina-band khalvat-o-mahfil hai aa.ina dil kar-gah-e-fikr o 'asad' be-nava-e-dil yaan sang-e-astana-e-'bedil' hai aa.ina ba-nala hasil-e-dil-bastagi faraham kar mata-e-khana-e-zanjir juz sada ma.alum ba-qadr-e-hausla-e-ishq jalva-rezi hai vagarna khana-e-a.ina ki faza ma.alum 'asad' farefta-e-intikhab-e-tarz-e-jafa vagarna dilbari-e-vada-e-vafa ma.alum baagh pa kar khafaqani ye Darata hai mujhe saya-e-shakh-e-gul af.i nazar aata hai mujhe jauhar-e-tegh ba-sar-chashma-e-digar malum huun main vo sabza ki zahrab ugata hai mujhe mudda.a mahv-e-tamasha-e-shikast-e-dil hai a.ina-khana men koi liye jaata hai mujhe naala sarmaya-e-yak-alam o aalam kaf-e-khak asman baiza-e-quamri nazar aata hai mujhe zindagi men to vo mahfil se uTha dete the dekhun ab mar ga.e par kaun uThata hai mujhe baagh tujh bin gul-e-nargis se Darata hai mujhe chahun gar sair-e-chaman aankh dikhata hai mujhe shor-e-timsal hai kis rashk-e-chaman ka ya rab aa.ina baiza-e-bulbul nazar aata hai mujhe hairat-e-a.ina anjam-e-junun huun jyuun sham.a kis qadar dagh-e-jigar shola uThata hai mujhe main huun aur hairat-e-javed magar zauq-e-khayal ba-fusun-e-nigah-e-naz satata hai mujhe hairat-e-fikr-e-sukhan saz-e-salamat hai 'asad' dil pas-e-zanu-e-a.ina biThata hai mujhe bazicha-e-atfal hai duniya mire aage hota hai shab-o-roz tamasha mire aage ik khel hai aurang-e-sulaiman mire nazdik ik baat hai ejaz-e-masiha mire aage juz naam nahin surat-e-alam mujhe manzur juz vahm nahin hasti-e-ashiya mire aage hota hai nihan gard men sahra mire hote ghista hai jabin khaak pe dariya mire aage mat puchh ki kya haal hai mera tire pichhe tu dekh ki kya rang hai tera mire aage sach kahte ho khud-bin o khud-ara huun na kyuun huun baiTha hai but-e-a.ina-sima mire aage phir dekhiye andaz-e-gul-afshani-e-guftar rakh de koi paimana-e-sahba mire aage nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra kyunkar kahun lo naam na un ka mire aage iman mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr ka.aba mire pichhe hai kalisa mire aage ashiq huun pa mashuq-farebi hai mira kaam majnun ko bura kahti hai laila mire aage khush hote hain par vasl men yuun mar nahin jaate aa.i shab-e-hijran ki tamanna mire aage hai maujzan ik qulzum-e-khun kaash yahi ho aata hai abhi dekhiye kya kya mire aage go haath ko jumbish nahin ankhon men to dam hai rahne do abhi saghar-o-mina mire aage ham-pesha o ham-mashrab o hamraz hai mera 'ghalib' ko bura kyuun kaho achchha mire aage bahut sahi gham-e-giti sharab kam kya hai ghulam-e-saqi-e-kausar huun mujh ko gham kya hai tumhari tarz-o-ravish jante hain ham kya hai raqib par hai agar lutf to sitam kya hai sukhan men khama-e-ghalib ki atish-afshani yaqin hai ham ko bhi lekin ab us men dam kya hai kaTe to shab kahen kaaTe to saanp kahlave koi batao ki vo zulf-e-kham-ba-kham kya hai likha kare koi ahkam-e-tala-e-maulud kise khabar hai ki vaan jumbish-e-qalam kya hai na hashr-o-nashr ka qaa.el na kesh o millat ka khuda ke vaste aise ki phir qasam kya hai vo dad-o-did garan-maya shart hai hamdam vagarna mehr-e-sulaiman-o-jam-e-jam kya hai bala se hain jo ye pesh-e-nazar dar-o-divar nigah-e-shauq ko hain bal-o-par dar-o-divar vufur-e-ashk ne kashane ka kiya ye rang ki ho ga.e mire divar-o-dar dar-o-divar nahin hai saaya ki sun kar naved-e-maqdam-e-yar ga.e hain chand qadam pesh-tar dar-o-divar hui hai kis qadar arzani-e-mai-e-jalva ki mast hai tire kuche men har dar-o-divar jo hai tujhe sar-e-sauda-e-intizar to aa ki hain dukan-e-mata-e-nazar dar-o-divar hujum-e-girya ka saman kab kiya main ne ki gir paDe na mire paanv par dar-o-divar vo aa raha mire ham-sa.e men to saa.e se hue fida dar-o-divar par dar-o-divar nazar men khaTke hai bin tere ghar ki abadi hamesha rote hain ham dekh kar dar-o-divar na puchh be-khudi-e-aish-e-maqdam-e-sailab ki nachte hain paDe sar-ba-sar dar-o-divar na kah kisi se ki 'ghalib' nahin zamane men harif-e-raz-e-mohabbat magar dar-o-divar barshikal-e-girya-e-ashiq hai dekha chahiye khil ga.i manind-e-gul sau ja se divar-e-chaman ulfat-e-gul se ghalat hai dava-e-varastagi sarv hai ba-vasf-e-azadi giraftar-e-chaman saaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzar-e-chaman janashin-e-jauhar-e-a.ina hai khar-e-chaman hai nazakat bas ki fasl-e-gul men me.amar-e-chaman qalib-e-gul men Dhali hai khisht-e-divar-e-chaman teri ara.ish ka istiqbal karti hai bahar jauhar-e-a.ina hai yaan naqsh-e-ehzar-e-chaman bas ki paa.i yaar ki rangin-ada.i se shikast hai kulah-e-naz-e-gul bar taq-e-divar-e-chaman vaqt hai gar bulbul-e-miskin zulekha.i kare yusuf-e-gul jalva-farma hai ba-bazar-e-chaman vahshat-afza girya-ha mauquf-e-fasl-e-gul 'asad' chashm-e-dariya-rez hai mizab-e-sarkar-e-chaman bas-ki dushvar hai har kaam ka asan hona aadmi ko bhi mayassar nahin insan hona girya chahe hai kharabi mire kashane ki dar o divar se Tapke hai bayaban hona va-e-divangi-e-shauq ki har dam mujh ko aap jaana udhar aur aap hi hairan hona jalva az-bas-ki taqaza-e-nigah karta hai jauhar-e-a.ina bhi chahe hai mizhgan hona ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamanna mat puchh id-e-nazzara hai shamshir ka uryan hona le ga.e khaak men ham dagh-e-tamanna-e-nashat tu ho aur aap ba-sad-rang-e-gulistan hona ishrat-e-para-e-dil zakhm-e-tamanna khana lazzat-e-rish-e-jigar gharq-e-namak-dan hona ki mire qatl ke ba.ad us ne jafa se tauba haa.e us zud-pashiman ka pasheman hona haif us chaar girah kapDe ki qismat 'ghalib' jis ki qismat men ho ashiq ka gareban hona bazm-e-shahanshah men ash.ar ka daftar khula rakhiyo ya rab ye dar-e-ganjina-e-gauhar khula shab hui phir anjum-e-rakhshanda ka manzar khula is takalluf se ki goya but-kade ka dar khula garche huun divana par kyuun dost ka kha.un fareb astin men dashna pinhan haath men nashtar khula go na samjhun us ki baten go na pa.un us ka bhed par ye kya kam hai ki mujh se vo pari-paikar khula hai khayal-e-husn men husn-e-amal ka sa khayal khuld ka ik dar hai meri gor ke andar khula munh na khulne par hai vo aalam ki dekha hi nahin zulf se baDh kar naqab us shokh ke munh par khula dar pe rahne ko kaha aur kah ke kaisa phir gaya jitne arse men mira lipTa hua bistar khula kyuun andheri hai shab-e-gham hai balaon ka nuzul aaj udhar hi ko rahega dida-e-akhtar khula kya rahun ghurbat men khush jab ho havadis ka ye haal naama laata hai vatan se nama-bar aksar khula us ki ummat men huun main mere rahen kyuun kaam band vaste jis shah ke 'ghalib' gumbad-e-be-dar khula be-e'tidaliyon se subuk sab men ham hue jitne ziyada ho ga.e utne hi kam hue pinhan tha daam sakht qarib ashiyan ke uDne na paa.e the ki giraftar ham hue hasti hamari apni fana par dalil hai yaan tak miTe ki aap ham apni qasam hue sakhti kashan-e-ishq ki puchhe hai kya khabar vo log rafta rafta sarapa alam hue teri vafa se kya ho talafi ki dahr men tere siva bhi ham pe bahut se sitam hue likhte rahe junun ki hikayat-e-khun-chakan har-chand is men haath hamare qalam hue allah re teri tundi-e-khu jis ke biim se ajza-e-nala dil men mire rizq-e-ham hue ahl-e-havas ki fat.h hai tark-e-nabard-e-ishq jo paanv uTh ga.e vahi un ke alam hue naale adam men chand hamare supurd the jo vaan na khinch sake so vo yaan aa ke dam hue chhoDi 'asad' na ham ne gada.i men dil-lagi saa.il hue to ashiq-e-ahl-e-karam hue bim-e-raqib se nahin karte vida-e-hosh majbur yaan talak hue ai ikhtiyar haif jalta hai dil ki kyuun na ham ik baar jal ga.e ai na-tamami-e-nafas-e-shola-bar haif bisat-e-ijz men tha ek dil yak qatra khuun vo bhi so rahta hai ba-andaz-e-chakidan sar-nigun vo bhi rahe us shokh se azurda ham chande takalluf se takalluf bartaraf tha ek andaz-e-junun vo bhi khayal-e-marg kab taskin dil-e-azurda ko bakhshe mire dam-e-tamanna men hai ik said-e-zabun vo bhi na karta kaash naala mujh ko kya malum tha hamdam ki hoga ba.is-e-afza.ish-e-dard-e-darun vo bhi na itna burrish-e-tegh-e-jafa par naaz farmao mire dariya-e-be-tabi men hai ik mauj-e-khun vo bhi mai-e-ishrat ki khvahish saqi-e-gardun se kya kiije liye baiTha hai ik do chaar jam-e-vazh-gun vo bhi mire dil men hai 'ghalib' shauq-e-vasl o shikva-e-hijran khuda vo din kare jo us se main ye bhi kahun vo bhi mujhe ma.alum hai jo tu ne mere haq men socha hai kahin ho jaa.e jald ai gardish-e-gardun-e-dun vo bhi nazar rahat pe meri kar na va.ada shab ke aane ka ki meri khvab-bandi ke liye hoga fusun vo bhi chahiye achchhon ko jitna chahiye ye agar chahen to phir kya chahiye sohbat-e-rindan se vajib hai hazar ja-e-mai apne ko khincha chahiye chahne ko tere kya samjha tha dil baare ab is se bhi samjha chahiye chaak mat kar jaib be-ayyam-e-gul kuchh udhar ka bhi ishara chahiye dosti ka parda hai beganagi munh chhupana ham se chhoDa chahiye dushmani ne meri khoya ghair ko kis qadar dushman hai dekha chahiye apni rusva.i men kya chalti hai sa.i yaar hi hangama-ara chahiye munhasir marne pe ho jis ki umiid na-umidi us ki dekha chahiye ghafil in mah-tal.aton ke vaste chahne vaala bhi achchha chahiye chahte hain khub-ruyon ko 'asad' aap ki surat to dekha chahiye chaak ki khvahish agar vahshat ba-uryani kare sub.h ke manind zakhm-e-dil garebani kare jalve ka tere vo aalam hai ki gar kiije khayal dida-e-dil ko ziyarat-gah-e-hairani kare hai shikastan se bhi dil naumid ya rab kab talak abgina koh par arz-e-giran-jani kare mai-kada gar chashm-e-mast-e-naz se paave shikast mu-e-shisha dida-e-saghar ki mizhgani kare khatt-e-ariz se likha hai zulf ko ulfat ne ahd yak-qalam manzur hai jo kuchh pareshani kare chashm-e-khuban khamushi men bhi nava-pardaz hai surma to kahve ki dud-e-sho.ala-e-avaz hai paikar-e-ushshaq saz-e-tala-e-na-saz hai naala goya gardish-e-saiyyara ki avaz hai dast-gah-e-dida-e-khun-bar-e-majnun dekhna yak-bayaban jalva-e-gul farsh-e-pa-andaz hai chashm-e-khuban mai-farosh-e-nashshah-zar-e-naz hai surma goya mauj-e-dud-e-shola-e-avaz hai hai sarir-e-khama rezish-ha-e-istiqbal-e-naz naama khud paigham ko bal-o-par-e-parvaz hai sar-navisht-e-iztirab-anjami-e-ulfat na puchh nal-e-khama khar-khar-e-khatir-e-aghaz hai shokhi-e-iz.har ghair-az-vahshat-e-majnun nahin laila-e-mani 'asad' mahmil-nashin-e-raz hai naghma hai kanon men us ke nala-e-murgh-e-asir rishta-e-pa yaan nava-saman-e-band-e-saz hai sharm hai tarz-e-talash-e-intikhab-e-yak-nigah iztirab-e-chashm barpa dokhta-ghammaz hai daa.im paDa hua tire dar par nahin huun main khaak aisi zindagi pe ki patthar nahin huun main kyuun gardish-e-mudam se ghabra na jaa.e dil insan huun piyala o saghar nahin huun main ya-rab zamana mujh ko miTata hai kis liye lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahin huun main had chahiye saza men uqubat ke vaste akhir gunahgar huun kafar nahin huun main kis vaste aziiz nahin jante mujhe la.al o zamurrad o zar o gauhar nahin huun main rakhte ho tum qadam miri ankhon se kyuun daregh rutbe men mahr-o-mah se kam-tar nahin huun main karte ho mujh ko man.a-e-qadam-bos kis liye kya asman ke bhi barabar nahin huun main 'ghalib' vazifa-khvar ho do shaah ko dua vo din ga.e ki kahte the naukar nahin huun main dahr men naqsh-e-vafa vaj.h-e-tasalli na hua hai ye vo lafz ki sharminda-e-ma.ani na hua sabza-e-khat se tira kakul-e-sarkash na daba ye zamurrad bhi harif-e-dam-e-af.i na hua main ne chaha tha ki andoh-e-vafa se chhuTun vo sitamgar mire marne pe bhi raazi na hua dil guzargah-e-khayal-e-mai-o-saghar hi sahi gar nafas jada-e-sar-manzil-e-taqvi na hua huun tire va.ada na karne men bhi raazi ki kabhi gosh minnat-kash-e-gulbang-e-tasalli na hua kis se mahrumi-e-qismat ki shikayat kiije ham ne chaha tha ki mar jaa.en so vo bhi na hua mar gaya sadma-e-yak-jumbish-e-lab se 'ghalib' na-tavani se harif-e-dam-e-isi na hua na hui ham se raqam hairat-e-khatt-e-rukh-e-yar safha-e.a.ina jaulan-gah-e-tuti na hua vus.at-e-rahmat-e-haq dekh ki bakhsha jaave mujh sa kafir ki jo mamnun-e-ma.asi na hua dar-khur-e-qahr-o-ghazab jab koi ham sa na hua phir ghalat kya hai ki ham sa koi paida na hua bandagi men bhi vo azada o khud-bin hain ki ham ulTe phir aa.e dar-e-ka.aba agar va na hua sab ko maqbul hai da.ava tiri yakta.i ka ru-ba-ru koi but-e-a.ina-sima na hua kam nahin nazish-e-hamnami-e-chashm-e-khuban tera bimar bura kya hai gar achchha na hua siine ka daagh hai vo naala ki lab tak na gaya khaak ka rizq hai vo qatra ki dariya na hua naam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila kaam men mere hai jo fitna ki barpa na hua har-bun-e-mu se dam-e-zikr na Tapke khuun naab hamza ka qissa hua ishq ka charcha na hua qatra men dajla dikha.i na de aur juzv men kul khel laDkon ka hua dida-e-bina na hua thi khabar garm ki 'ghalib' ke uDenge purze dekhne ham bhi ga.e the pa tamasha na hua dard minnat-kash-e-dava na hua main na achchha hua bura na hua jam.a karte ho kyuun raqibon ko ik tamasha hua gila na hua ham kahan qismat azmane jaa.en tu hi jab khanjar-azma na hua kitne shirin hain tere lab ki raqib galiyan kha ke be-maza na hua hai khabar garm un ke aane ki aaj hi ghar men boriya na hua kya vo namrud ki khuda.i thi bandagi men mira bhala na hua jaan di di hui usi ki thi haq to yuun hai ki haq ada na hua zakhm gar dab gaya lahu na thama kaam gar ruk gaya rava na hua rahzani hai ki dil-sitani hai le ke dil dil-sitan ravana hua kuchh to paDhiye ki log kahte hain aaj 'ghalib' ghazal-sara na hua dard se mere hai tujh ko be-qarari haa.e haa.e kya hui zalim tiri ghaflat-shi.ari haa.e haa.e tere dil men gar na tha ashob-e-gham ka hausla tu ne phir kyuun ki thi meri gham-gusari haa.e haa.e kyuun miri gham-khvargi ka tujh ko aaya tha khayal dushmani apni thi meri dost-dari haa.e haa.e umr bhar ka tu ne paiman-e-vafa bandha to kya umr ko bhi to nahin hai pa.edari haa.e haa.e zahr lagti hai mujhe ab-o-hava-e-zindagi ya.ani tujh se thi ise na-sazgari haa.e haa.e gul-fishani-ha-e-naz-e-jalva ko kya ho gaya khaak par hoti hai teri lala-kari haa.e haa.e sharm-e-rusva.i se ja chhupna naqab-e-khak men khatm hai ulfat ki tujh par parda-dari haa.e haa.e khaak men namus-e-paiman-e-mohabbat mil ga.i uTh ga.i duniya se rah-o-rasm-e-yari haa.e haa.e haath hi tegh-azma ka kaam se jaata raha dil pe ik lagne na paaya zakhm-e-kari haa.e haa.e kis tarah kaaTe koi shab-ha-e-tar-e-barshigal hai nazar khu-karda-e-akhtar-shumari haa.e haa.e gosh mahjur-e-payam o chashm-e-mahrum-e-jamal ek dil tis par ye na-ummid-vari haa.e haa.e ishq ne pakDa na tha 'ghalib' abhi vahshat ka rang rah gaya tha dil men jo kuchh zauq-e-khvari haa.e haa.e dekh kar dar-parda garm-e-daman-afshani mujhe kar ga.i vabasta-e-tan meri uryani mujhe ban gaya tegh-e-nigah-e-yar ka sang-e-fasan marhaba main kya mubarak hai giran-jani mujhe kyuun na ho be-iltifati us ki khatir jam.a hai janta hai mahv-e-pursish-ha-e-pinhani mujhe mere gham-khane ki qismat jab raqam hone lagi likh diya min-jumla-e-asbab-e-virani mujhe bad-guman hota hai vo kafir na hota kaash ke is qadar zauq-e-nava-e-murgh-e-bustani mujhe vaa.e vaan bhi shor-e-mahshar ne na dam lene diya le gaya tha gor men zauq-e-tan-asani mujhe va.ada aane ka vafa kiije ye kya andaz hai tum ne kyuun saunpi hai mere ghar ki darbani mujhe haan nashat-e-amad-e-fasl-e-bahari vaah vaah phir hua hai taaza sauda-e-ghazal-khvani mujhe di mire bhaa.i ko haq ne az-sar-e-nau zindagi mirza yusuf hai 'ghalib' yusuf-e-sani mujhe dekhna qismat ki aap apne pe rashk aa jaa.e hai main use dekhun bhala kab mujh se dekha jaa.e hai haath dho dil se yahi garmi gar andeshe men hai abgina tundi-e-sahba se pighla jaa.e hai ghair ko ya rab vo kyunkar mana-e-gustakhi kare gar haya bhi us ko aati hai to sharma jaa.e hai shauq ko ye lat ki har dam naala khinche ja.iye dil ki vo halat ki dam lene se ghabra jaa.e hai duur chashm-e-bad tiri bazm-e-tarab se vaah vaah naghma ho jaata hai vaan gar naala mera jaa.e hai garche hai tarz-e-taghaful parda-dar-e-raz-e-ishq par ham aise kho.e jaate hain ki vo pa jaa.e hai us ki bazm-ara.iyan sun kar dil-e-ranjur yaan misl-e-naqsh-e-mudda.a-e-ghair baiTha jaa.e hai ho ke ashiq vo pari-rukh aur nazuk ban gaya rang khulta jaa.e hai jitna ki uDta jaa.e hai naqsh ko us ke musavvir par bhi kya kya naaz hain khinchta hai jis qadar utna hi khinchta jaa.e hai saaya mera mujh se misl-e-dud bhage hai 'asad' paas mujh atish-ba-jan ke kis se Thahra jaa.e hai dhamki men mar gaya jo na bab-e-nabard tha ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard tha tha zindagi men marg ka khaTka laga hua uDne se pesh-tar bhi mira rang zard tha talif nuskha-ha-e-vafa kar raha tha main majmua-e-khayal abhi fard fard tha dil ta jigar ki sahil-e-dariya-e-khun hai ab is rahguzar men jalva-e-gul aage gard tha jaati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki dil bhi agar gaya to vahi dil ka dard tha ahbab charasazi-e-vahshat na kar sake zindan men bhi khayal bayaban-navard tha ye lash-e-be-kafan 'asad'-e-khasta-jan ki hai haq maghfirat kare ajab azad mard tha dhota huun jab main piine ko us sim-tan ke paanv rakhta hai zid se khinch ke bahar lagan ke paanv di sadgi se jaan paDun kohkan ke paanv haihat kyuun na TuuT ga.e pir-zan ke paanv bhage the ham bahut so usi ki saza hai ye ho kar asiir dabte hain rahzan ke paanv marham ki justuju men phira huun jo duur duur tan se siva figar hain is khasta-tan ke paanv allah-re zauq-e-dasht-navardi ki ba.ad-e-marg hilte hain khud-ba-khud mire andar kafan ke paanv hai josh-e-gul bahar men yaan tak ki har taraf uDte hue ulajhte hain murgh-e-chaman ke paanv shab ko kisi ke khvab men aaya na ho kahin dukhte hain aaj us but-e-nazuk-badan ke paanv 'ghalib' mire kalam men kyunkar maza na ho piita huun dhoke khusrav-e-shirin-sukhan ke paanv divangi se dosh pe zunnar bhi nahin ya.ani hamare jeb men ik taar bhi nahin dil ko niyaz-e-hasrat-e-didar kar chuke dekha to ham men taqat-e-didar bhi nahin milna tira agar nahin asan to sahl hai dushvar to yahi hai ki dushvar bhi nahin be-ishq umr kaT nahin sakti hai aur yaan taqat ba-qadr-e-lazzat-e-azar bhi nahin shoridgi ke haath se hai sar vabal-e-dosh sahra men ai khuda koi divar bhi nahin gunja.ish-e-adavat-e-aghyar yak taraf yaan dil men zo.af se havas-e-yar bhi nahin Dar nala-ha-e-zar se mere khuda ko maan akhir nava-e-murgh-e-giraftar bhi nahin dil men hai yaar ki saf-e-mizhgan se ru-kashi halanki taqat-e-khalish-e-khar bhi nahin is sadgi pe kaun na mar jaa.e ai khuda laDte hain aur haath men talvar bhi nahin dekha 'asad' ko khalvat-o-jalvat men bar-ha divana gar nahin hai to hushyar bhi nahin dil-e-nadan tujhe hua kya hai akhir is dard ki dava kya hai ham hain mushtaq aur vo be-zar ya ilahi ye majra kya hai main bhi munh men zaban rakhta huun kaash puchho ki mudda.a kya hai jab ki tujh bin nahin koi maujud phir ye hangama ai khuda kya hai ye pari-chehra log kaise hain ghamza o ishva o ada kya hai shikan-e-zulf-e-ambarin kyuun hai nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai sabza o gul kahan se aa.e hain abr kya chiiz hai hava kya hai ham ko un se vafa ki hai ummid jo nahin jante vafa kya hai haan bhala kar tira bhala hoga aur darvesh ki sada kya hai jaan tum par nisar karta huun main nahin janta dua kya hai main ne maana ki kuchh nahin 'ghalib' muft haath aa.e to bura kya hai dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aa.e kyuun ro.enge ham hazar baar koi hamen sata.e kyuun dair nahin haram nahin dar nahin astan nahin baiThe hain rahguzar pe ham ghair hamen uTha.e kyuun jab vo jamal-e-dil-faroz surat-e-mehr-e-nim-roz aap hi ho nazzara-soz parde men munh chhupa.e kyuun dashna-e-ghamza jan-sitan navak-e-naz be-panah tera hi aks-e-rukh sahi samne tere aa.e kyuun qaid-e-hayat o band-e-gham asl men donon ek hain maut se pahle aadmi gham se najat paa.e kyuun husn aur us pe husn-e-zan rah ga.i bul-havas ki sharm apne pe e'timad hai ghair ko azma.e kyuun vaan vo ghurur-e-izz-o-naz yaan ye hijab-e-pas-e-vaza.a raah men ham milen kahan bazm men vo bula.e kyuun haan vo nahin khuda-parast jaao vo bevafa sahi jis ko ho diin o dil aziiz us ki gali men jaa.e kyuun 'ghalib'-e-khasta ke baghair kaun se kaam band hain roiye zaar zaar kya kijiye haa.e haa.e kyuun dil laga kar lag gaya un ko bhi tanha baiThna baare apni bekasi ki ham ne paa.i daad yaan hain zaval-amada ajza afrinash ke tamam mahr-e-gardun hai charagh-e-rahguzar-e-bad yaan hai tarahhum-afrin ara.ish-e-be-dad yaan ashk-e-chashm-e-dam hai har dana-e-sayyad yaan hai gudaz-e-mom andaz-e-chakidan-ha-e-khun nish-e-zambur-e-asal hai nashtar-e-fassad yaan na-gavara hai hamen ehsan-e-sahab-daulatan hai zar-e-gul bhi nazar men jauhar-e-faulad yaan jumbish-e-dil se hue hain uqda-ha-e-kar va kam-tarin mazdur-e-sangin-dast hai farhad yaan qatra-ha-e-khun-e-bismil zeb-e-daman hain 'asad' hai tamasha kardani gul-chini-e-jallad yaan dil mira soz-e-nihan se be-muhaba jal gaya atish-e-khamosh ki manind goya jal gaya dil men zauq-e-vasl o yad-e-yar tak baaqi nahin aag is ghar men lagi aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare huun varna ghafil bar-ha meri ah-e-atishin se bal-e-anqa jal gaya arz kiije jauhar-e-andesha ki garmi kahan kuchh khayal aaya tha vahshat ka ki sahra jal gaya dil nahin tujh ko dikhata varna daghon ki bahar is charaghan ka karun kya kar-farma jal gaya main huun aur afsurdagi ki aarzu 'ghalib' ki dil dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya khanman-e-ashiqan dukan-e-atish-baz hai sho.ala-ru jab ho ga.e garm-e-tamasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-atish-e-dagh-e-tamanna jal gaya hai 'asad' begana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya duud mera sumbulistan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-atish-e-gul se sarapa jal gaya sham.a-ruyan ki sar-angusht-e-hina.i dekh kar ghuncha-e-gul par-fishan parvana-asa jal gaya dil se tiri nigah jigar tak utar ga.i donon ko ik ada men raza-mand kar ga.i shaq ho gaya hai siina khusha lazzat-e-faragh taklif-e-parda-dari-e-zakhm-e-jigar ga.i vo bada-e-shabana ki sarmastiyan kahan uThiye bas ab ki lazzat-e-khvab-e-sahar ga.i uDti phire hai khaak miri ku-e-yar men baare ab ai hava havas-e-bal-o-par ga.i dekho to dil-farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar ga.i har bul-havas ne husn-parasti shi.ar ki ab abru-e-sheva-e-ahl-e-nazar ga.i nazzare ne bhi kaam kiya vaan naqab ka masti se har nigah tire rukh par bikhar ga.i farda o di ka tafraqa yak baar miT gaya kal tum ga.e ki ham pe qayamat guzar ga.i maara zamane ne asadullah khaan tumhen vo valvale kahan vo javani kidhar ga.i diya hai dil agar us ko bashar hai kya kahiye hua raqib to ho nama-bar hai kya kahiye ye zid ki aaj na aave aur aa.e bin na rahe qaza se shikva hamen kis qadar hai kya kahiye rahe hai yuun gah-o-be-gah ki ku-e-dost ko ab agar na kahiye ki dushman ka ghar hai kya kahiye zahe karishma ki yuun de rakkha hai ham ko fareb ki bin kahe hi unhen sab khabar hai kya kahiye samajh ke karte hain bazar men vo pursish-e-hal ki ye kahe ki sar-e-rahguzar hai kya kahiye tumhen nahin hai sar-e-rishta-e-vafa ka khayal hamare haath men kuchh hai magar hai kya kahiye unhen saval pe zom-e-junun hai kyuun laDiye hamen javab se qat-e-nazar hai kya kahiye hasad saza-e-kamal-e-sukhan hai kya kijiye sitam baha-e-mata-e-hunar hai kya kahiye kaha hai kis ne ki 'ghalib' bura nahin lekin siva.e is ke ki ashufta-sar hai kya kahiye donon jahan de ke vo samjhe ye khush raha yaan aa paDi ye sharm ki takrar kya karen thak thak ke har maqam pe do chaar rah ga.e tera pata na paa.en to na-char kya karen kya sham.a ke nahin hain hava-khvah bazm men ho gham hi jan-gudaz to gham-khvar kya karen dost gham-khvari men meri sa.i farmavenge kya zakhm ke bharte talak nakhun na baDh javenge kya be-niyazi had se guzri banda-parvar kab talak ham kahenge hal-e-dil aur aap farmavenge kya hazrat-e-naseh gar aaven diida o dil farsh-e-rah koi mujh ko ye to samjha do ki samajhavenge kya aaj vaan tegh o kafan bandhe hue jaata huun main uzr mere qatl karne men vo ab lavenge kya gar kiya naseh ne ham ko qaid achchha yuun sahi ye junun-e-ishq ke andaz chhuT javenge kya khana-zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kyuun hain giraftar-e-vafa zindan se ghabaravenge kya hai ab is mamure men qaht-e-gham-e-ulfat 'asad' ham ne ye maana ki dilli men rahen khavenge kya ek ek qatre ka mujhe dena paDa hisab khun-e-jigar vadi.at-e-mizhgan-e-yar tha ab main huun aur matam-e-yak-shahr-arazu toDa jo tu ne aa.ina timsal-dar tha galiyon men meri na.ash ko khinche phiro ki main jan-dada-e-hava-e-sar-e-rahguzar tha mauj-e-sarab-e-dasht-e-vafa ka na puchh haal har zarra misl-e-jauhar-e-tegh ab-dar tha kam jante the ham bhi gham-e-ishq ko par ab dekha to kam hue pa gham-e-rozgar tha kis ka junun-e-did tamanna-shikar tha a.ina-khana vadi-e-jauhar-ghubar tha kis ka khayal a.ina-e-intizar tha har barg-e-gul ke parde men dil be-qarar tha juun ghuncha-o-gul afat-e-fal-e-nazar na puchh paikan se tere jalva-e-zakhm ashkar tha dekhi vafa-e-fursat-e-ranj-o-nashat-e-dahr khamyaza yak-darazi-e-umr-e-khumar tha sub.h-e-qayamat ek dum-e-gurg thi 'asad' jis dasht men vo shokh-e-do-alam shikar tha ek ja harf-e-vafa likkha tha so bhi miT gaya zahiran kaghaz tire khat ka ghalat-bar-dar hai ji jale zauq-e-fana ki na-tamami par na kyuun ham nahin jalte nafas har chand atish-bar hai aag se paani men bujhte vaqt uThti hai sada har koi darmandagi men naale se na-char hai hai vahi bad-masti-e-har-zarra ka khud uzr-khvah jis ke jalve se zamin ta asman sarshar hai mujh se mat kah tu hamen kahta tha apni zindagi zindagi se bhi mira ji in dinon be-zar hai aankh ki tasvir sar-name pe khinchi hai ki ta tujh pe khul jaave ki is ko hasrat-e-didar hai farigh mujhe na jaan ki manind-e-sub.h-o-mehr hai dagh-e-ishq zinat-e-jeb-e-kafan hunuz hai naz-e-muflisan zar-e-az-dast-rafta par huun gul-farosh-e-shokhi-e-dagh-e-kohan hunuz mai-khana-e-jigar men yahan khaak bhi nahin khamyaza khinche hai but-e-be-dad-fan hunuz juun jaada sar-ba-ku-e-tamanna-e-be-dili zanjir-e-pa hai rishta-e-hubbul-vatan hunuz fariyad ki koi lai nahin hai naala paband-e-nai nahin hai kyuun bote hain baghban tonbe gar baagh gada-e-mai nahin hai har-chand har ek shai men tu hai par tujh si koi shai nahin hai haan kha.iyo mat fareb-e-hasti har-chand kahen ki hai nahin hai shadi se guzar ki gham na hove urdi jo na ho to dai nahin hai kyuun radd-e-qadah kare hai zahid mai hai ye magas ki qai nahin hai hasti hai na kuchh adam hai 'ghalib' akhir tu kya hai ai nahin hai ghafil ba-vahm-e-naz khud-ara hai varna yaan be-shana-e-saba nahin turra gayah ka bazm-e-qadah se aish-e-tamanna na rakh ki rang said-e-ze-dam-e-jasta hai us dam-gah ka rahmat agar qubul kare kya ba.iid hai sharmindagi se uzr na karna gunah ka maqtal ko kis nashat se jaata huun main ki hai pur-gul khayal-e-zakhm se daman nigah ka jaan dar-hava-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad' parvana hai vakil tire dad-khvah ka uzlat-guzin-e-bazm hain vamandagan-e-did mina-e-mai hai aabla pa-e-nigah ka har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadam kya biim ahl-e-dard ko sakhti-e-rah ka ta.us-e-dar-rikab hai har zarra aah ka ya-rab nafas ghubar hai kis jalva-gah ka jeb-e-niyaz-e-ishq nishan-dar-e-naz hai a.ina huun shikastan-e-tarf-e-kulah ka ga.i vo baat ki ho guftugu to kyunkar ho kahe se kuchh na hua phir kaho to kyunkar ho hamare zehn men us fikr ka hai naam visal ki gar na ho to kahan jaa.en ho to kyunkar ho adab hai aur yahi kashmakash to kya kiije haya hai aur yahi gu-magu to kyunkar ho tumhin kaho ki guzara sanam-paraston ka buton ki ho agar aisi hi khu to kyunkar ho ulajhte ho tum agar dekhte ho a.ina jo tum se shahr men hon ek do to kyunkar ho jise nasib ho roz-e-siyah mera sa vo shakhs din na kahe raat ko to kyunkar ho hamen phir un se ummid aur unhen hamari qadr hamari baat hi puchhen na vo to kyunkar ho ghalat na tha hamen khat par guman tasalli ka na maane dida-e-didar jo to kyunkar ho batao us mizha ko dekh kar ki mujh ko qarar vo niish ho rag-e-jan men faro to kyunkar ho mujhe junun nahin 'ghalib' vale ba-qaul-e-huzur firaq-e-yar men taskin ho to kyunkar ho ghair len mahfil men bose jaam ke ham rahen yuun tishna-lab paigham ke khastagi ka tum se kya shikva ki ye hathkanDe hain charkh-e-nili-fam ke khat likhenge garche matlab kuchh na ho ham to ashiq hain tumhare naam ke raat pi zamzam pe mai aur sub.h-dam dho.e dhabbe jama-e-ehram ke dil ko ankhon ne phansaya kya magar ye bhi halqe hain tumhare daam ke shaah ke hai ghusl-e-sehhat ki khabar dekhiye kab din phiren hammam ke ishq ne 'ghalib' nikamma kar diya varna ham bhi aadmi the kaam ke gham-e-duniya se gar paa.i bhi fursat sar uThane ki falak ka dekhna taqrib tere yaad aane ki khulega kis tarah mazmun mire maktub ka ya-rab qasam khaa.i hai us kafir ne kaghaz ke jalane ki lipaTna parniyan men shola-e-atish ka pinhan hai vale mushkil hai hikmat dil men soz-e-gham chhupane ki unhen manzur apne zakhmiyon ka dekh aana tha uThe the sair-e-gul ko dekhna shokhi bahane ki hamari sadgi thi iltifat-e-naz par marna tira aana na tha zalim magar tamhid jaane ki lakad kub-e-havadis ka tahammul kar nahin sakti miri taqat ki zamin thi buton ki naaz uThane ki kahun kya khubi-e-auza-e-abna-e-zaman 'ghalib' badi ki us ne jis se ham ne ki thi bar-ha neki gham khane men buuda dil-e-nakam bahut hai ye ranj ki kam hai mai-e-gulfam bahut hai kahte hue saaqi se haya aati hai varna hai yuun ki mujhe durd-e-tah-e-jam bahut hai ne tiir kaman men hai na sayyad kamin men goshe men qafas ke mujhe aram bahut hai kya zohd ko manun ki na ho garche riya.i padash-e-amal ki tama-e-kham bahut hai hain ahl-e-khirad kis ravish-e-khas pe nazan pabastagi-e-rasm-o-rah-e-am bahut hai zamzam hi pe chhoDo mujhe kya tauf-e-haram se aluda-ba-mai jama-e-ehram bahut hai hai qahr gar ab bhi na bane baat ki un ko inkar nahin aur mujhe ibram bahut hai khuun ho ke jigar aankh se Tapka nahin ai marg rahne de mujhe yaan ki abhi kaam bahut hai hoga koi aisa bhi ki 'ghalib' ko na jaane sha.ir to vo achchha hai pa badnam bahut hai gham nahin hota hai azadon ko besh az-yak-nafas barq se karte hain raushan sham-e-matam-khana ham mahfilen barham kare hai ganjifa-baz-e-khayal hain varaq-gardani-e-nairang-e-yak-but-khana ham bavajud-e-yak-jahan hangama paida.i nahin hain charaghan-e-shabistan-e-dil-e-parvana ham zo.af se hai ne qana.at se ye tark-e-justuju hain vabal-e-takiya-gah-e-himmat-e-mardana ham da.im-ul-habs is men hain lakhon tamanna.en 'asad' jante hain sina-e-pur-khun ko zindan-khana ham bas-ki hain bad-mast-e-ba-shikan ba-shikan-e-mai-khana ham mu-e-shisha ko samajhte hain khat-e-paimana ham bas-ki har-yak-mu-e-zulf-afshan se hai tar-e-shua.a panja-e-khurshid ko samjhe hain dast-e-shana ham mashq-e-az-khud-raftagi se hain ba-gulzar-e-khayal ashna tabir-e-khvab-e-sabza-e-begana ham fart-e-be-khvabi se hain shab-ha-e-hijr-e-yar men juun zaban-e-sham.a dagh-e-garmi-e-afsana ham sham-e-gham men soz-e-ishq-e-atish-e-rukhsar se par-fashan-e-sokhtan hain surat-e-parvana ham hasrat-e-arz-e-tamanna yaan se samjha chahiye do-jahan hashr-e-zaban-e-khushk hain juun shana ham kashti-e-alam ba-tufan-e-taghaful de ki hain alam-e-ab-e-gudaz-e-jauhar-e-afsana ham vahshat-e-be-rabti-e-pech-o-kham-e-hasti na puchh nang-e-balidan hain juun mu-e-sar-e-divana ham gar khamushi se fa.eda ikhfa-e-hal hai khush huun ki meri baat samajhni muhal hai kis ko suna.un hasrat-e-iz.har ka gila dil fard-e-jama-o-kharch zaban-ha-e-lal hai kis parde men hai a.ina-pardaz ai khuda rahmat ki uzr-khvah-e-lab-e-be-saval hai hai hai khuda-na-khvasta vo aur dushmani ai shauq-e-munfa.il ye tujhe kya khayal hai mushkin libas-e-kaba ali ke qadam se jaan naf-e-zamin hai na ki naf-e-ghazal hai vahshat pe meri arsa-e-afaq tang tha dariya zamin ko araq-e-infi.al hai hasti ke mat fareb men aa ja.iyo 'asad' aalam tamam halqa-e-dam-e-khayal hai pahlu-tahi na kar gham-o-andoh se 'asad' dil vaqf-e-dard kar ki faqiron ka maal hai gar na andoh-e-shab-e-furqat bayan ho ja.ega be-takalluf dagh-e-mah mohr-e-dahan ho ja.ega zohra gar aisa hi sham-e-hijr men hota hai aab partav-e-mahtab sail-e-khanuman ho ja.ega le to luun sote men us ke paanv ka bosa magar aisi baton se vo kafir bad-guman ho ja.ega dil ko ham sarf-e-vafa samjhe the kya ma.alum tha ya.ani ye pahle hi nazr-e-imtihan ho ja.ega sab ke dil men hai jagah teri jo tu raazi hua mujh pe goya ik zamana mehrban ho ja.ega gar nigah-e-garm farmati rahi talim-e-zabt sho.ala khas men jaise khuun rag men nihan ho ja.ega baagh men mujh ko na le ja varna mere haal par har gul-e-tar ek chashm-e-khun-fishan ho ja.ega vaa.e! gar mera tira insaf mahshar men na ho ab talak to ye tavaqqo.a hai ki vaan ho ja.ega fa.eda kya soch akhir tu bhi daana hai 'asad' dosti nadan ki hai ji ka ziyan ho ja.ega gar tujh ko hai yaqin-e-ijabat dua na maang ya.ani baghair-e-yak-dil-e-be-mudda.a na maang aata hai dagh-e-hasrat-e-dil ka shumar yaad mujh se mire gunah ka hisab ai khuda na maang ai aarzu shahid-e-vafa khun-baha na maang juz bahr-e-dast-o-bazu-e-qatil dua na maang barham hai bazm-e-ghuncha ba-yak-junbish-e-nashat kashana bas-ki tang hai ghafil hava na maang main duur gard-e-arz-e-rusum-e-niyaz huun dushman samajh vale nigah-e-ashna na maang yak-bakht auj nazr-e-subuk-bari-e-'asad' sar par vabal-e-saya-e-bal-e-huma na maang gustakhi-e-visal hai mashshata-e-niyaz ya.ani dua ba-juz kham-e-zulf-e-dota na maang iisa tilism husn taghaful hai zinhar juz pusht chashm nuskha arz dava na maang digar o dil khunin nafas garm-e-fariyad rakha shakl-e-nihali ne mujhe tab amaan hijr men di bard-e-layali ne mujhe nisyah-o-naqd-e-do-alam ki haqiqat malum le liya mujh se miri himmat-e-ali ne mujhe kasrat-ara.i-e-vahdat hai parastari-e-vahm kar diya kafir in asnam-e-khayali ne mujhe havas-e-gul ke tasavvur men bhi khaTka na raha ajab aram diya be-par-o-bali ne mujhe zindagi men bhi raha zauq-e-fana ka maara nashsha bakhsha ghazab us saghar-e-khali ne mujhe bas-ki thi fasl-e-khizan-e-chamanistan-e-sukhan rang-e-shohrat na diya taza-khayali ne mujhe jalva-e-khur se fana hoti hai shabnam 'ghalib' kho diya satvat-e-asma-e-jalali ne mujhe ghar hamara jo na rote bhi to viran hota bahr gar bahr na hota to bayaban hota tangi-e-dil ka gila kya ye vo kafir-dil hai ki agar tang na hota to pareshan hota baad yak-umr-e-var.a baar to deta baare kaash rizvan hi dar-e-yar ka darban hota ghar jab bana liya tire dar par kahe baghair janega ab bhi tu na mira ghar kahe baghair kahte hain jab rahi na mujhe taqat-e-sukhan janun kisi ke dil ki main kyunkar kahe baghair kaam us se aa paDa hai ki jis ka jahan men leve na koi naam sitamgar kahe baghair ji men hi kuchh nahin hai hamare vagarna ham sar jaa.e ya rahe na rahen par kahe baghair chhoDunga main na us but-e-kafir ka pujna chhoDe na khalq go mujhe kafar kahe baghair maqsad hai naz-o-ghamza vale guftugu men kaam chalta nahin hai dashna-o-khanjar kahe baghair har chand ho mushahida-e-haq ki guftugu banti nahin hai bada-o-saghar kahe baghair bahra huun main to chahiye duuna ho iltifat sunta nahin huun baat mukarrar kahe baghair 'ghalib' na kar huzur men tu baar baar arz zahir hai tera haal sab un par kahe baghair ghar men tha kya ki tira gham use gharat karta vo jo rakhte the ham ik hasrat-e-tamir so hai gila hai shauq ko dil men bhi tangi-e-ja ka guhar men mahv hua iztirab dariya ka ye janta huun ki tu aur pasukh-e-maktub magar sitam-zada huun zauq-e-khama-farsa ka hina-e-pa-e-khizan hai bahar agar hai yahi davam-e-kulfat-e-khatir hai aish duniya ka gham-e-firaq men taklif-e-sair-e-bagh na do mujhe dimagh nahin khanda-ha-e-beja ka hanuz mahrami-e-husn ko tarasta huun kare hai har-bun-e-mu kaam chashm-e-bina ka dil us ko pahle hi naz-o-ada se de baiThe hamen dimagh kahan husn ke taqaza ka na kah ki girya ba-miqdar-e-hasrat-e-dil hai miri nigah men hai jam-o-kharch dariya ka falak ko dekh ke karta huun us ko yaad 'asad' jafa men us ki hai andaz kar-farma ka mira shumul har ik dil ke pech-o-tab men hai main mudda.a huun tapish-nama-e-tamanna ka mili na vus.at-e-jaulan yak junun ham ko adam ko le ga.e dil men ghubar sahra ka gulshan ko tiri sohbat az-bas-ki khush aa.i hai har ghunche ka gul hona aghosh-kusha.i hai vaan kangar-e-istighna har-dam hai bulandi par yaan naale ko aur ulTa dava-e-rasa.i hai az-bas-ki sikhata hai gham zabt ke andaze jo daagh nazar aaya ik chasm-numa.i hai gulshan men bandobast ba-rang-e-digar hai aaj qumri ka tauq halqa-e-bairun-e-dar hai aaj aata hai ek para-e-dil har fughan ke saath tar-e-nafas kamand-e-shikar-e-asar hai aaj ai afiyat kinara kar ai intizam chal sailab-e-girya darpai-e-divar-o-dar hai aaj ma.azuli-e-tapish hui ifrat-e-intizar chashm-e-kushada halqa-e-bairun-e-dar hai aaj hairat-farosh-e-sad-nigarani hai iztirar sar-rishta chak-e-jeb ka tar-e-nazar hai aaj huun dagh-e-nim-rangi-e-sham-e-visal-e-yar nur-e-charagh-e-bazm se josh-e-sahar hai aaj karti hai ajizi-e-safar sokhtan tamam pairahan-e-khasak men ghubar-e-sharar hai aaj ta-sub.h hai ba-manzil-e-maqsad rasidani dud-e-charagh-e-khana ghubar-e-safar hai aaj dur-uftada-e-chaman-e-fikr hai 'asad' murgh-e-khayal bulbul-e-be-bal-o-par hai aaj ghuncha-e-na-shagufta ko duur se mat dikha ki yuun bose ko puchhta huun main munh se mujhe bata ki yuun pursish-e-tarz-e-dilbari kijiye kya ki bin kahe us ke har ek ishare se nikle hai ye ada ki yuun raat ke vaqt mai piye saath raqib ko liye aa.e vo yaan khuda kare par na kare khuda ki yuun ghair se raat kya bani ye jo kaha to dekhiye samne aan baiThna aur ye dekhna ki yuun bazm men us ke ru-ba-ru kyuun na khamosh baiThiye us ki to khamushi men bhi hai yahi mudda.a ki yuun main ne kaha ki bazm-e-naz chahiye ghair se tahi sun ke sitam-zarif ne mujh ko uTha diya ki yuun mujh se kaha jo yaar ne jaate hain hosh kis tarah dekh ke meri be-khudi chalne lagi hava ki yuun kab mujhe ku-e-yar men rahne ki vaz.a yaad thi a.ina-dar ban ga.i hairat-e-naqsh-e-pa ki yuun gar tire dil men ho khayal vasl men shauq ka zaval mauj muhit-e-ab men maare hai dast-o-pa ki yuun jo ye kahe ki rekhta kyunke ho rashk-e-farsi gufta-e-'ghalib' ek baar paDh ke use suna ki yuun hasil se haath dho baiTh ai arzu-khirami dil josh-e-girya men hai Duubi hui asami us sham.a ki tarah se jis ko koi bujha de main bhi jale-huon men huun dagh-e-na-tamami karte ho shikva kis ka tum aur bevafa.i sar piTte hain apna ham aur nek-nami sad-rang-e-gul katarna dar-parda qatl karna tegh-e-ada nahin hai paband-e-be-niyami tarf-e-sukhan nahin hai mujh se khuda-na-karda hai nama-bar ko us se dava-e-ham-kalami taqat fasana-e-bad andesha sho.ala-ijad ai gham hunuz atish ai dil hunuz khami har chand umr guzri azurdagi men lekin hai sharh-e-shauq ko bhi juun shikva na-tamami hai yaas men 'asad' ko saaqi se bhi faraghat dariya se khushk guzre maston ki tishna-kami hai armidagi men nikohish baja mujhe sub.h-e-vatan hai khanda-e-dandan-numa mujhe DhunDe hai us mughanni-e-atish-nafas ko ji jis ki sada ho jalva-e-barq-e-fana mujhe mastana tai karun huun rah-e-vadi-e-khayal ta baz-gasht se na rahe mudda.a mujhe karta hai bas-ki baagh men tu be-hijabiyan aane lagi hai nik.hat-e-gul se haya mujhe khulta kisi pe kyuun mire dil ka mo.amla sheron ke intikhab ne rusva kiya mujhe vaan rang-ha ba-parda-e-tadbir hain hunuz yaan shola-e-charagh hai barg-e-hina mujhe parvaz-ha niyaz-e-tamasha-e-husn-e-dost bal-e-kushada hai nigah-e-ashna mujhe az-khud-guzashtagi men khamoshi pe harf hai mauj-e-ghubar-e-surma hui hai sada mujhe ta chand past fitrati-e-tab-e-arzu ya rab mile bulandi-e-dast-e-dua mujhe main ne junun se ki jo 'asad' iltimas-e-rang khun-e-jigar men ek hi ghota diya mujhe hai pech-tab rishta-e-sham-e-sahar-gahi khajlat gudazi-e-nafas-e-na-rasa mujhe yaan ab-o-dana mausam-e-gul men haram hai zunnar-e-va-gusista hai mauj-e-saba mujhe yakbar imtihan-e-havas bhi zarur hai ai josh-e-ishq bada-e-mard-azma mujhe hai bas-ki har ik un ke ishare men nishan aur karte hain mohabbat to guzarta hai guman aur ya-rab vo na samjhe hain na samjhenge miri baat de aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur abru se hai kya us nigah-e-naz ko paivand hai tiir muqarrar magar is ki hai kaman aur tum shahr men ho to hamen kya gham jab uThenge le a.enge bazar se ja kar dil o jaan aur har chand subuk-dast hue but-shikani men ham hain to abhi raah men hai sang-e-giran aur hai khun-e-jigar josh men dil khol ke rota hote jo ka.i dida-e-khun-naba-fishan aur marta huun is avaz pe har chand sar uD jaa.e jallad ko lekin vo kahe jaa.en ki haan aur logon ko hai khurshid-e-jahan-tab ka dhoka har roz dikhata huun main ik dagh-e-nihan aur leta na agar dil tumhen deta koi dam chain karta jo na marta koi din ah-o-fughan aur paate nahin jab raah to chaDh jaate hain naale rukti hai miri tab.a to hoti hai ravan aur hain aur bhi duniya men sukhan-var bahut achchhe kahte hain ki 'ghalib' ka hai andaz-e-bayan aur hai bazm-e-butan men sukhan azurda-labon se tang aa.e hain ham aise khushamad-talabon se hai daur-e-qadah vaj.h-e-pareshani-e-sahba yak-bar laga do khum-e-mai mere labon se rindan-e-dar-e-mai-kada gustakh hain zahid zinhar na hona taraf in be-adabon se bedad-e-vafa dekh ki jaati rahi akhir har-chand miri jaan ko tha rabt labon se kya puchhe hai bar-khud ghalati-ha-e-azizan khvari ko bhi ik aar hai a.ali-nasabon se go tum ko raza-jui-e-aghyar hai lekin jaati hai mulaqat kab aise sababon se mat puchh 'asad' va.ada-e-kam-fursati-e-zist do din bhi jo kaaTe tu qayamat ta.abon se hai kis qadar halak-e-fareb-e-vafa-e-gul bulbul ke karobar pe hain khanda-ha-e-gul azadi-e-nasim mubarak ki har taraf TuuTe paDe hain halqa-e-dam-e-hava-e-gul jo tha so mauj-e-rang ke dhoke men mar gaya ai vaa.e nala-e-lab-e-khunin-nava-e-gul khush-hal us harif-e-siyah-mast ka ki jo rakhta ho misl-e-saya-e-gul sar-ba-pa-e-gul ijad karti hai use tere liye bahar mera raqib hai nafas-e-itr-sa-e-gul sharminda rakhte hain mujhe bad-e-bahar se mina-e-be-sharab o dil-e-be-hava-e-gul satvat se tere jalva-e-husn-e-ghuyur ki khuun hai miri nigah men rang-e-ada-e-gul tere hi jalve ka hai ye dhoka ki aaj tak be-ikhtiyar dauDe hai gul dar-qafa-e-gul 'ghalib' mujhe hai us se ham-aghoshi aarzu jis ka khayal hai gul-e-jeb-e-qaba-e-gul divanagan ka chara farogh-e-bahar hai hai shakh-e-gul men panja-e-khuban baja.e gul mizhgan talak rasa.i-e-lakht-e-jigar kahan ai vaa.e gar nigah na ho ashna-e-gul hai sabza-zar har dar-o-divar-e-gham-kada jis ki bahar ye ho phir us ki khizan na puchh na-char bekasi ki bhi hasrat uTha.iye dushvari-e-rah-o-sitam-e-ham-rahan na puchh juz dil suragh-e-dard ba-dil-khuftagan na puchh a.ina arz kar khat-o-khal-e-bayan na puchh hindostan saya-e-gul pa-e-takht tha jah-o-jalal-e-ahd-e-visal-e-butan na puchh ghaflat-mata-e-kaffa-e-mizan-e-adl huun ya rab hisab-e-sakhti-e-khvab-e-giran na puchh har dagh-e-taza yak-dil-e-dagh intizar hai arz-e-faza-e-sina-e-dard imtihan na puchh kahta tha kal vo mahram-e-raz apne se ki aah dard-e-juda.i-e-'asad'-ullah-khan na puchh parvaz-e-yak-tap-e-gham-e-taskhir-e-nala hai garmi-e-nabz-e-nabz-e-khar-o-khas-e-ashiyan na puchh tu mashq-e-baz kar dil-e-parvana hai bahar betabi-e-tajalli-e-atish-ba-jan na puchh hai vasl hijr alam-e-tamkin-o-zabt men mashuq-e-shokh o ashiq-e-divana chahiye us lab se mil hi ja.ega bosa kabhi to haan shauq-e-fuzul o jur.at-e-rindana chahiye ashiq naqab-e-jalva-e-janana chahiye fanus-e-sham.a ko par-e-parvana chahiye hairan huun dil ko ro.uun ki piTun jigar ko main maqdur ho to saath rakhun nauhagar ko main chhoDa na rashk ne ki tire ghar ka naam luun har ik se puchhta huun ki ja.un kidhar ko main jaana paDa raqib ke dar par hazar baar ai kaash janta na tire rah-guzar ko main hai kya jo kas ke bandhiye meri bala Dare kya janta nahin huun tumhari kamar ko main lo vo bhi kahte hain ki ye be-nang-o-nam hai ye janta agar to luTata na ghar ko main chalta huun thoDi duur har ik tez-rau ke saath pahchanta nahin huun abhi rahbar ko main khvahish ko ahmaqon ne parastish diya qarar kya pujta huun us but-e-bedad-gar ko main phir be-khudi men bhuul gaya rah-e-ku-e-yar jaata vagarna ek din apni khabar ko main apne pe kar raha huun qayas ahl-e-dahr ka samjha huun dil-pazir mata-e-hunar ko main 'ghalib' khuda kare ki savar-e-samand-e-naz dekhun ali bahadur-e-ali-guhar ko main ham par jafa se tark-e-vafa ka guman nahin ik chheD hai vagarna murad imtihan nahin kis munh se shukr kijiye is lutf-e-khas ka pursish hai aur pa-e-sukhan darmiyan nahin ham ko sitam aziiz sitamgar ko ham aziiz na-mehrban nahin hai agar mehrban nahin bosa nahin na dijiye dushnam hi sahi akhir zaban to rakhte ho tum gar dahan nahin har-chand jan-gudazi-e-qahr-o-itab hai har-chand pusht-e-garmi-e-tab-o-tavan nahin jaan mutrib-e-tarana-e-hal-mim-mazid hai lab parda-sanj-e-zamzama-e-al-aman nahin khanjar se chiir siina agar dil na ho do-nim dil men chhuri chubho mizha gar khun-chakan nahin hai nang-e-sina dil agar atish-kada na ho hai ar-e-dil nafas agar azar-fishan nahin nuqsan nahin junun men bala se ho ghar kharab sau gaz zamin ke badle bayaban giran nahin kahte ho kya likha hai tiri sarnavisht men goya jabin pe sajda-e-but ka nishan nahin paata huun us se daad kuchh apne kalam ki ruhul-qudus agarche mira ham-zaban nahin jaan hai baha-e-bosa vale kyuun kahe abhi 'ghalib' ko janta hai ki vo nim-jan nahin jis ja ki pa-e-sail-e-bala darmiyan nahin divanagan ko vaan havas-e-khanman nahin gul ghunchagi men gharqa-e-dariya-e-rang hai ai agahi fareb-e-tamasha kahan nahin kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubul barg-e-hina magar mizha-e-khun-fishan nahin har rang-e-gardish aa.ina ijad-e-dard hai ashk-e-sahab juz ba-vida-e-khizan nahin juz ijz kya karun ba-tamanna-e-be-khudi taqat harif-e-sakhti-e-khvab-e-giran nahin ibrat se puchh dard-e-pareshani-e-nigah ye gard-e-vahm juz basar-e-imtihan nahin barq-e-ba-jan-e-hausla atish-fagan 'asad' ai dil-fasurda taqat-e-zabt-e-fughan nahin ham rashk ko apne bhi gavara nahin karte marte hain vale un ki tamanna nahin karte dar-parda unhen ghair se hai rabt-e-nihani zahir ka ye parda hai ki parda nahin karte ye ba.is-e-naumidi-e-arbab-e-havas hai 'ghalib' ko bura kahte hain achchha nahin karte ham se khul jaao ba-vaqt-e-mai-parasti ek din varna ham chheDenge rakh kar uzr-e-masti ek din gharra-e-auj-e-bina-e-alam-e-imkan na ho is bulandi ke nasibon men hai pasti ek din qarz ki piite the mai lekin samajhte the ki haan rang lavegi hamari faqa-masti ek din naghma-ha-e-gham ko bhi ai dil ghanimat janiye be-sada ho ja.ega ye saz-e-hasti ek din dhaul-dhappa us sarapa-naz ka sheva nahin ham hi kar baiThe the 'ghalib' pesh-dasti ek din har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai tumhin kaho ki ye andaz-e-guftugu kya hai na sho.ale men ye karishma na barq men ye ada koi batao ki vo shokh-e-tund-khu kya hai ye rashk hai ki vo hota hai ham-sukhan tum se vagarna khauf-e-bad-amozi-e-adu kya hai chipak raha hai badan par lahu se pairahan hamare jaib ko ab hajat-e-rafu kya hai jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai ragon men dauDte phirne ke ham nahin qaa.il jab aankh hi se na Tapka to phir lahu kya hai vo chiiz jis ke liye ham ko ho bahisht aziiz siva.e bada-e-gulfam-e-mushk-bu kya hai piyun sharab agar khum bhi dekh luun do-char ye shisha o qadah o kuuza o subu kya hai rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi to kis umiid pe kahiye ki aarzu kya hai hua hai shah ka musahib phire hai itrata vagarna shahr men 'ghalib' ki aabru kya hai har qadam duri-e-manzil hai numayan mujh se meri raftar se bhage hai bayaban mujh se dars-e-unvan-e-tamasha ba-taghaful khush-tar hai nigah rishta-e-shiraza-e-mizhgan mujh se vahshat-e-atish-e-dil se shab-e-tanha.i men surat-e-dud raha saaya gurezan mujh se gham-e-ushshaq na ho sadgi-amoz-e-butan kis qadar khana-e-a.ina hai viran mujh se asar-e-abla se jada-e-sahra-e-junun surat-e-rishta-e-gauhar hai charaghan mujh se be-khudi bistar-e-tamhid-e-faraghat ho jo pur hai saa.e ki tarah mera shabistan mujh se shauq-e-didar men gar tu mujhe gardan maare ho nigah misl-e-gul-e-shama pareshan mujh se bekasi-ha-e-shab-e-hijr ki vahshat hai hai saaya khurshid-e-qayamat men hai pinhan mujh se gardish-e-saghar-e-sad-jalva-e-rangin tujh se a.ina-dari-e-yak-dida-e-hairan mujh se nigah-e-garm se ek aag Tapakti hai 'asad' hai charaghan khas-o-khashak-e-gulistan mujh se bastan-e-ahd-e-mohabbat hama na-dani tha chashm-e-nakushuda raha uqda-e-paiman mujh se atish-afrozi-e-yak-shola-e-ima tujh se chashmak-ara.i-e-sad-shahr charaghan mujh se harif-e-matlab-e-mushkil nahin fusun-e-niyaz dua qubul ho ya rab ki umr-e-khizr daraz na ho ba-harzah bayaban-navard-e-vahm-e-vajud hanuz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visal jalva tamasha hai par dimagh kahan ki diije a.ina-e-intizar ko pardaz har ek zarra-e-ashiq hai aftab-parast ga.i na khaak hue par hava-e-jalva-e-naz na puchh vus.at-e-mai-khana-e-junun 'ghalib' jahan ye kasa-e-gardun hai ek khak-andaz fareb-e-san.at-e-ijad ka tamasha dekh nigah aks-farosh o khayal a.ina-saz zi-bas-ki jalva-e-sayyad hairat-ara hai uDi hai safha-e-khatir se surat-e-parvaz hujum-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki shisha nazuk o sahba-e-abgina-gudaz 'asad' se tark-e-vafa ka guman vo ma.ani hai ki khinchiye par-e-ta.ir se surat-e-parvaz hanuz ai asar-e-did nang-e-rusva.i nigah fitna-khiram o dar-e-do-alam baaz hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho ki chashm-e-tang shayad kasrat-e-nazzara se va ho ba-qadr-e-hasrat-e-dil chahiye zauq-e-ma.asi bhi bharun yak-gosha-e-daman gar ab-e-haft-dariya ho agar vo sarv-qad garm-e-khiram-e-naz aa jaave kaf-e-har-khak-e-gulshan shakl-e-qamri nala-farsa ho baham balidan-e-sang-o-gul-e-sahra ye chahe hai ki tar-e-jada bhi kohsar ko zunnar-e-mina ho harif-e-vahshat-e-naz-e-nasim-e-ishq jab aa.uun ki misl-e-ghuncha saz-e-yak-gulistan dil muhayya ho baja.e daana khirman yak-bayaban baiza-e-qumri mira hasil vo nuskha hai ki jis se khaak paida ho kare kya saz-e-binish vo shahid-e-dard-agahi jise mu-e-dimagh-e-be-khudi khvab-e-zulekha ho dil-e-jun-sham.a bahr-e-davat-e-nazzara laya.ani nigah labrez-e-ashk o siina ma.amur-e-tamanna ho na dekhen ru-e-yak-dil sard ghair-az sham-e-kafuri khudaya is qadar bazm-e-'asad' garm-e-tamasha ho havas ko hai nashat-e-kar kya kya na ho marna to jiine ka maza kya tajahul-peshgi se mudda.a kya kahan tak ai sarapa naaz kya kya navazish-ha-e-beja dekhta huun shikayat-ha-e-rangin ka gila kya nigah-e-be-mahaba chahta huun taghaful-ha-e-tamkin-azma kya farogh-e-shola-e-khas yak-nafas hai havas ko pas-e-namus-e-vafa kya nafas mauj-e-muhit-e-be-khudi hai taghaful-ha-e-saqi ka gila kya dimagh-e-itr-e-pairahan nahin hai gham-e-avargi-ha-e-saba kya dil-e-har-qatra hai saz-e-anal-bahar ham us ke hain hamara puchhna kya muhaba kya hai main zamin idhar dekh shahidan-e-nigah ka khun-baha kya sun ai gharat-gar-e-jins-e-vafa sun shikast-e-shisha-e-dil ki sada kya kiya kis ne jigar-dari ka da.ava shakeb-e-khatir-e-ashiq bhala kya ye qatil vada-e-sabr-azma kyuun ye kafir fitna-e-taqat-ruba kya bala-e-jan hai 'ghalib' us ki har baat ibarat kya isharat kya ada kya hazaron khvahishen aisi ki har khvahish pe dam nikle bahut nikle mire arman lekin phir bhi kam nikle Dare kyuun mera qatil kya rahega us ki gardan par vo khuun jo chashm-e-tar se umr bhar yuun dam-ba-dam nikle nikalna khuld se aadam ka sunte aa.e hain lekin bahut be-abru ho kar tire kuche se ham nikle bharam khul jaa.e zalim tere qamat ki darazi ka agar is turra-e-pur-pech-o-kham ka pech-o-kham nikle magar likhva.e koi us ko khat to ham se likhva.e hui sub.h aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle hui is daur men mansub mujh se bada-ashami phir aaya vo zamana jo jahan men jam-e-jam nikle hui jin se tavaqqo khastagi ki daad paane ki vo ham se bhi ziyada khasta-e-tegh-e-sitam nikle mohabbat men nahin hai farq jiine aur marne ka usi ko dekh kar jiite hain jis kafir pe dam nikle kahan mai-khane ka darvaza 'ghalib' aur kahan vaa.iz par itna jante hain kal vo jaata tha ki ham nikle ho ga.i hai ghair ki shirin-bayani kargar ishq ka us ko guman ham be-zabanon par nahin zabt se matlab ba-juz varastagi digar nahin daman-e-timsal ab-e-a.ina se tar nahin ba.is-e-iza hai barham-khurdan-e-bazm-e-surur lakht lakht-e-shisha-e-ba-shkasta juz nishtar nahin dil ko iz.har-e-sukhan andaz-e-fat.h-ul-bab hai yaan sarir-e-khama ghair-az-istikak-e-dar nahin hui takhir to kuchh ba.is-e-takhir bhi tha aap aate the magar koi inan-gir bhi tha tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gila us men kuchh sha.iba-e-khubi-e-taqdir bhi tha tu mujhe bhuul gaya ho to pata batla duun kabhi fitrak men tere koi nakhchir bhi tha qaid men hai tire vahshi ko vahi zulf ki yaad haan kuchh ik ranj-e-giran-bari-e-zanjir bhi tha bijli ik kaund ga.i ankhon ke aage to kya baat karte ki main lab-tishna-e-taqrir bhi tha yusuf us ko kahun aur kuchh na kahe khair hui gar bigaD baiThe to main la.iq-e-tazir bhi tha dekh kar ghair ko ho kyuun na kaleja ThanDa naala karta tha vale talib-e-tasir bhi tha peshe men aib nahin rakhiye na farhad ko naam ham hi ashufta-saron men vo javan-mir bhi tha ham the marne ko khaDe paas na aaya na sahi akhir us shokh ke tarkash men koi tiir bhi tha pakDe jaate hain farishton ke likhe par na-haq aadmi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha rekhte ke tumhin ustad nahin ho 'ghalib' kahte hain agle zamane men koi 'mir' bhi tha hujum-e-gham se yaan tak sar-niguni mujh ko hasil hai ki tar-e-daman o tar-e-nazar men farq mushkil hai rafu-e-zakhm se matlab hai lazzat zakhm-e-sozan ki samajhiyo mat ki pas-e-dard se divana ghafil hai vo gul jis gulsitan men jalva-farma.i kare 'ghalib' chaTakna ghuncha-e-gul ka sada-e-khanda-e-dil hai hua hai mane-e-ashiq-navazi naz-e-khud-bini takalluf-bar-taraf a.ina-e-tam.iz haa.el hai ba-sail-e-ashk lakht-e-dil hai daman-gir mizhgan ka ghariq-e-bahr juya-e-khas-o-khashak-e-sahil hai baha hai yaan tak ashkon men ghubar-e-kulfat-e-khatir ki chashm-e-tar men har ik para-e-dil pa-e-dar-gil hai nikalti hai tapish men bismilon ki barq ki shokhi gharaz ab tak khayal-e-garmi-e-raftar qatil hai hujum-e-nala hairat ajiz-e-arz yak-afghan hai khamoshi resha-e-sad-nistan se khas-ba-dandan hai takalluf-bar-taraf hai jan-sitan-tar lutf-e-bad-khuyan nigah-e-be-hijab-e-naz tegh-e-tez-e-uryan hai hui ye kasrat-e-gham se talaf kaifiyat-e-shadi ki sub.h-e-id mujh ko bad-tar az-chak-e-gareban hai dil o diin naqd la saaqi se gar sauda kiya chahe ki us bazar men saghar mata-e-dast-gardan hai gham aghosh-e-bala men parvarish deta hai ashiq ko charagh-e-raushan apna qulzum-e-sarsar ka marjan hai takalluf saz-e-rusva.i hai ghafil sharm-e-rana.i dil-e-khun-gashta dar dast-e-hina-aluda uryan hai 'asad' jam.iyat-e-dil dar-kinar-e-be-khudi khush-tar do-alam agahi saman-e-yak-khvab-e-pareshan hai husn-e-be-parva kharidar-e-mata-e-jalva hai aa.ina zanu-e-fikr-e-ikhtira-e-jalva hai ta-kuja ai agahi rang-e-tamasha bakhtan chashm-e-va-gardida aghosh-e-vida-e-jalva hai husn-e-mah garche ba-hangam-e-kamal achchha hai us se mera mah-e-khurshid-jamal achchha hai bosa dete nahin aur dil pe hai har lahza nigah ji men kahte hain ki muft aa.e to maal achchha hai aur bazar se le aa.e agar TuuT gaya saghar-e-jam se mira jam-e-sifal achchha hai be-talab den to maza us men siva milta hai vo gada jis ko na ho khu-e-saval achchha hai un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq vo samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai dekhiye paate hain ushshaq buton se kya faiz ik barhaman ne kaha hai ki ye saal achchha hai ham-sukhan tesha ne farhad ko shirin se kiya jis tarah ka ki kisi men ho kamal achchha hai qatra dariya men jo mil jaa.e to dariya ho jaa.e kaam achchha hai vo jis ka ki ma.aal achchha hai khizr-sultan ko rakhe khaliq-e-akbar sarsabz shaah ke baagh men ye taaza nihal achchha hai ham ko ma.alum hai jannat ki haqiqat lekin dil ke khush rakhne ko 'ghalib' ye khayal achchha hai husn ghamze ki kashakash se chhuTa mere ba.ad baare aram se hain ahl-e-jafa mere ba.ad mansab-e-sheftagi ke koi qabil na raha hui mazuli-e-andaz-o-ada mere ba.ad sham.a bujhti hai to us men se dhuan uThta hai sho.ala-e-ishq siyah-posh hua mere ba.ad khuun hai dil khaak men ahval-e-butan par ya.ani un ke nakhun hue mohataj-e-hina mere ba.ad dar-khur-e-arz nahin jauhar-e-bedad ko ja nigah-e-naz hai surme se khafa mere ba.ad hai junun ahl-e-junun ke liye aghosh-e-vida.a chaak hota hai gareban se juda mere ba.ad kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq hai mukarrar lab-e-saqi pe sala mere ba.ad gham se marta huun ki itna nahin duniya men koi ki kare taziyat-e-mehr-o-vafa mere ba.ad aa.e hai bekasi-e-ishq pe rona 'ghalib' kis ke ghar ja.ega sailab-e-bala mere ba.ad thi nigah meri nihan-khana-e-dil ki naqqab be-khatar jiite hain arbab-e-riya mere ba.ad tha main guldasta-e-ahbab ki bandish ki giyah mutafarriq hue mere rufaqa mere ba.ad huun main bhi tamasha.i-e-nairang-e-tamanna matlab nahin kuchh is se ki matlab hi bar aave huzur-e-shah men ahl-e-sukhan ki azma.ish hai chaman men khush-navayan-e-chaman ki azma.ish hai qad o gesu men qais o kohkan ki azma.ish hai jahan ham hain vahan dar-o-rasan ki azma.ish hai karenge kohkan ke hausle ka imtihan akhir abhi us khasta ke nerve tan ki azma.ish hai nasim-e-misr ko kya pir-e-kan.an ki hava-khvahi use yusuf ki bu-e-pairahan ki azma.ish hai vo aaya bazm men dekho na kahiyo phir ki ghafil the shakeb-o-sabr-e-ahl-e-anjuman ki azma.ish hai rahe dil hi men tiir achchha jigar ke paar ho behtar gharaz shust-e-but-e-navak-fagan ki azma.ish hai nahin kuchh sub.ha-o-zunnar ke phande men gira.i vafadari men shaikh o barhaman ki azma.ish hai paDa rah ai dil-e-vabasta betabi se kya hasil magar phir tab-e-zulf-e-pur-shikan ki azma.ish hai rag-o-pai men jab utre zahr-e-gham tab dekhiye kya ho abhi to talkhi-e-kam-o-dahan ki azma.ish hai vo avenge mire ghar va.ada kaisa dekhna 'ghalib' na.e fitnon men ab charkh-e-kuhan ki azma.ish hai ibn-e-mariyam hua kare koi mere dukh ki dava kare koi shar.a o aa.iin par madar sahi aise qatil ka kya kare koi chaal jaise kaDi kaman ka tiir dil men aise ke ja kare koi baat par vaan zaban kaTti hai vo kahen aur suna kare koi bak raha huun junun men kya kya kuchh kuchh na samjhe khuda kare koi na suno gar bura kahe koi na kaho gar bura kare koi rok lo gar ghalat chale koi bakhsh do gar khata kare koi kaun hai jo nahin hai hajat-mand kis ki hajat rava kare koi kya kiya khizr ne sikandar se ab kise rahnuma kare koi jab tavaqqo.a hi uTh ga.i 'ghalib' kyuun kisi ka gila kare koi ishq mujh ko nahin vahshat hi sahi meri vahshat tiri shohrat hi sahi qat.a kiije na ta.alluq ham se kuchh nahin hai to adavat hi sahi mere hone men hai kya rusva.i ai vo majlis nahin khalvat hi sahi ham bhi dushman to nahin hain apne ghair ko tujh se mohabbat hi sahi apni hasti hi se ho jo kuchh ho agahi gar nahin ghaflat hi sahi umr har-chand ki hai barq-e-khiram dil ke khuun karne ki fursat hi sahi ham koi tark-e-vafa karte hain na sahi ishq musibat hi sahi kuchh to de ai falak-e-na-insaf aah o fariyad ki rukhsat hi sahi ham bhi taslim ki khu Dalenge be-niyazi tiri aadat hi sahi yaar se chheD chali jaa.e 'asad' gar nahin vasl to hasrat hi sahi ishq tasir se naumed nahin jan-sapari shajar-e-bed nahin saltanat dast-ba-dast aa.i hai jam-e-mai khatam-e-jamshed nahin hai tajalli tiri saman-e-vajud zarra be-partav-e-khurshed nahin raz-e-mashuq na rusva ho jaa.e varna mar jaane men kuchh bhed nahin gardish-e-rang-e-tarab se Dar hai gham-e-mahrumi-e-javed nahin kahte hain jiite hain ummed pe log ham ko jiine ki bhi ummed nahin ishrat-e-qatra hai dariya men fana ho jaana dard ka had se guzarna hai dava ho jaana tujh se qismat men miri surat-e-qufl-e-abjad tha likha baat ke bante hi juda ho jaana dil hua kasmakash-e-chara-e-zehmat men tamam miT gaya ghisne men is uqde ka va ho jaana ab jafa se bhi hain mahrum ham allah allah is qadar dushman-e-arbab-e-vafa ho jaana zo.af se girya mubaddal ba-dam-e-sard hua bavar aaya hamen paani ka hava ho jaana dil se miTna tiri angusht-e-hina.i ka khayal ho gaya gosht se nakhun ka juda ho jaana hai mujhe abr-e-bahari ka baras kar khulna rote rote gham-e-furqat men fana ho jaana gar nahin nik.hat-e-gul ko tire kuche ki havas kyuun hai gard-e-rah-e-jaulan-e-saba ho jaana bakhshe hai jalva-e-gul zauq-e-tamasha 'ghalib' chashm ko chahiye har rang men va ho jaana ta ki tujh par khule ejaz-e-hava-e-saiqal dekh barsat men sabz aa.ine ka ho jaana jada-e-rah khur ko vaqt-e-sham hai tar-e-shua.a charkh va karta hai mah-e-nau se aghosh-e-vida.a sham.a se hai bazm-e-angusht-e-tahayyur dar dahan sho.ala-e-avaz-e-khuban par ba-hangam-e-sima.a juun par-e-ta.us jauhar takhta mashq-e-rang hai bas-ki hai vo qibla-e-a.ina mahv-e-ikhtira.a ranjish-e-hairat-sarishtan sina-safi peshkash jauhar-e-a.ina hai yaan gard-e-maidan-e-naza.a chaar su-e-dahr men bazar-e-ghaflat garm hai aql ke nuqsan se uThta hai khayal-e-intifa.a ashna 'ghalib' nahin hain dard-e-dil ke ashna varna kis ko mere afsane ki tab-e-istima.a jab ba-taqrib-e-safar yaar ne mahmil bandha tapish-e-shauq ne har zarre pe ik dil bandha ahl-e-binash ne ba-hairat-kada-e-shokhi-e-naz jauhar-e-a.ina ko tuti-e-bismil bandha yaas o ummid ne yak-arbada maidan manga ijz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-sa.il bandha na bandhe tishnagi-e-zauq ke mazmun 'ghalib' garche dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha istilahat-e-asiran-e-taghaful mat puchh jo girah aap na kholi use mushkil bandha yaar ne tishnagi-e-shauq ke mazmun chahe ham ne dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha tapish-e-a.ina parvaz-e-tamanna laa.i nama-e-shauq ba-hal-e-dil-e-bismil bandha diida ta-dil hai yak-a.ina charaghan kis ne khalvat-e-naz pe pairaya-e-mahfil bandha na-umidi ne ba-taqrib-e-mazamin-e-khumar kucha-e-mauj ko khamyaza-e-sahil bandha mutrib-e-dil ne mire tar-e-nafas se 'ghalib' saaz par rishta pa.e naghma-e-'bedil' bandha jab tak dahan-e-zakhm na paida kare koi mushkil ki tujh se rah-e-sukhan va kare koi aalam ghubar-e-vahshat-e-majnun hai sar-ba-sar kab tak khayal-e-turra-e-laila kare koi afsurdagi nahin tarab-insha-e-iltifat haan dard ban ke dil men magar ja kare koi rone se ai nadim malamat na kar mujhe akhir kabhi to uqda-e-dil va kare koi chak-e-jigar se jab rah-e-pursish na va hui kya fa.eda ki jaib ko rusva kare koi lakht-e-jigar se hai rag-e-har-khar shakh-e-gul ta chand bagh-bani-e-sahra kare koi nakami-e-nigah hai barq-e-nazara-soz tu vo nahin ki tujh ko tamasha kare koi har sang o khisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast nuqsan nahin junun se jo sauda kare koi sar bar hui na vada-e-sabr-azma se umr fursat kahan ki teri tamanna kare koi hai vahshat-e-tabi.at-e-ijad yas-khez ye dard vo nahin ki na paida kare koi bekari-e-junun ko hai sar piTne ka shughl jab haath TuuT jaa.en to phir kya kare koi husn-e-farogh-e-shamma-e-sukhan duur hai 'asad' pahle Dil-e-gudakhta paida kare koi vahshat kahan ki be-khudi insha kare koi hasti ko lafz-e-m.ani-e-anqa kare koi jo kuchh hai mahv-e-shokhi-e-abru-e-yar hai ankhon ko rakh ke taaq pe dekha kare koi arz-e-sarishk par hai faza-e-zamana tang sahra kahan ki davat-e-dariya kare koi vo shokh apne husn pe maghrur hai 'asad' dikhla ke us ko aa.ina toDa kare koi jahan tera naqsh-e-qadam dekhte hain khayaban khayaban iram dekhte hain dil-ashuftagan khal-e-kunj-e-dahan ke suvaida men sair-e-adam dekhte hain tire sarv-qamat se ik qadd-e-adam qayamat ke fitne ko kam dekhte hain tamasha ki ai mahv-e-a.ina-dari tujhe kis tamanna se ham dekhte hain suragh-e-taf-e-nala le dagh-e-dil se ki shab-rau ka naqsh-e-qadam dekhte hain bana kar faqiron ka ham bhes 'ghalib' tamasha-e-ahl-e-karam dekhte hain kisu ko za-khud rasta kam dekhte hain ki aahu ko paband-e-ram dekhte hain khat-e-lakht-e-dil yak-qalam dekhte hain mizha ko javahar raqam dekhte hain jarahat-tohfa almas-armughan dagh-e-jigar hadiya mubarakbad 'asad' gham-khvar-e-jan-e-dardmand aaya junun garm intizar o naala betabi kamand aaya suvaida ta ba-lab zanjiri duud sipand aaya mah akhtar fashan ki bahr istiqbal ankhon se tamasha kishvar a.ina men a.ina band aaya taghaful bad-gumani balki meri sakht jaani se nigah be hijab naaz ko biim gazand aaya faza khanda gul tang o zauq aish be parda faraghat gaah aghosh vida.a dil pasand aaya adam hai khair khvah jalva ko zindan betabi khiram naaz barq khirman sa.i sipand aaya jaur se baaz aa.e par baaz aa.en kya kahte hain ham tujh ko munh dikhla.en kya raat din gardish men hain saat asman ho rahega kuchh na kuchh ghabra.en kya laag ho to us ko ham samjhen lagao jab na ho kuchh bhi to dhoka kha.en kya ho liye kyuun nama-bar ke saath saath ya rab apne khat ko ham pahuncha.en kya mauj-e-khun sar se guzar hi kyuun na jaa.e astan-e-yar se uTh jaa.en kya umr bhar dekha kiya marne ki raah mar ga.e par dekhiye dikhla.en kya puchhte hain vo ki 'ghalib' kaun hai koi batlao ki ham batla.en kya jis bazm men tu naaz se guftar men aave jaan kalbad-e-surat-e-divar men aave saa.e ki tarah saath phiren sarv o sanobar tu is qad-e-dilkash se jo gulzar men aave tab naz-e-giran ma.igi-e-ashk baja hai jab lakht-e-jigar dida-e-khun-bar men aave de mujh ko shikayat ki ijazat ki sitamgar kuchh tujh ko maza bhi mire azar men aave us chashm-e-fusun-gar ka agar paa.e ishara tuuti ki tarah a.ina guftar men aave kanTon ki zaban suukh ga.i pyaas se ya rab ik abla-pa vadi-e-pur-khar men aave mar ja.un na kyuun rashk se jab vo tan-e-nazuk aghosh-e-kham-e-halqa-e-zunnar men aave gharat-gari-e-namush na ho gar havas-e-zar kyuun shahid-e-gul baagh se bazar men aave tab chak-e-gareban ka maza hai dil-e-nalan jab ik nafas uljha hua har taar men aave atish-kada hai siina mira raz-e-nihan se ai vaa.e agar mariz-e-iz.har men aave ganjina-e-ma.ani ka tilism us ko samajhiye jo lafz ki 'ghalib' mire ash.ar men aave jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai naafa dimagh-e-ahu-e-dasht-e-tatar hai kis ka suragh jalva hai hairat ko ai khuda a.ina farsh-e-shash-jahat-e-intizar hai hai zarra zarra tangi-e-ja se ghubar-e-shauq gar daam ye hai vus.at-e-sahra shikar hai dil mudda.i o diida bana mudda.a-alaih nazzare ka muqaddama phir ru-ba-kar hai chhiDke hai shabnam a.ina-e-barg-e-gul par aab ai andalib vaqt-e-vada-e-bahar hai pach aa paDi hai vada-e-dil-dar ki mujhe vo aa.e ya na aa.e pe yaan intizar hai be-parda su-e-vadi-e-majnun guzar na kar har zarra ke naqab men dil be-qarar hai ai andalib yak kaf-e-khas bahr-e-ashyan tufan-e-amad amad-e-fasl-e-bahar hai dil mat ganva khabar na sahi sair hi sahi ai be-dimagh a.ina timsal-dar hai ghaflat kafil-e-umr o 'asad' zamin-e-nashat ai marg-e-na-gahan tujhe kya intizar hai jis zakhm ki ho sakti ho tadbir rafu ki likh dijiyo ya rab use qismat men adu ki achchha hai sar-angusht-e-hina.i ka tasavvur dil men nazar aati to hai ik buund lahu ki kyuun Darte ho ushshaq ki be-hauslagi se yaan to koi sunta nahin fariyad kisu ki dashne ne kabhi munh na lagaya ho jigar ko khanjar ne kabhi baat na puchhi ho gulu ki sad-haif vo nakam ki ik umr se 'ghalib' hasrat men rahe ek but-e-arbada-ju ki go zindagi-e-zahid-e-be-chara abas hai itna hai ki rahti to hai tadbir vazu ki jo na naqd-e-dagh-e-dil ki kare shola pasbani to fasurdagi nihan hai ba-kamin-e-be-zabani mujhe us se kya tavaqqo ba-zamana-e-javani kabhi kudki men jis ne na suni miri kahani yuun hi dukh kisi ko dena nahin khuub varna kahta ki mire adu ko ya rab mile meri zindagani junun ki dast-giri kis se ho gar ho na uryani gareban-chak ka haq ho gaya hai meri gardan par ba-rang-e-kaghaz-e-atish-zada nairang-e-betabi hazar a.ina dil bandhe hai bal-e-yak-tapidan par falak se ham ko aish-e-rafta ka kya kya taqaza hai mata-e-burda ko samjhe hue hain qarz rahzan par ham aur vo be-sabab ranj-ashna dushman ki rakhta hai shua-e-mehr se tohmat nigah ki chashm-e-rauzan par fana ko saunp gar mushtaq hai apni haqiqat ka farogh-e-tala-e-khashak hai mauquf gulkhan par 'asad' bismil hai kis andaz ka qatil se kahta hai ki mashq-e-naz kar khun-e-do-alam meri gardan par fusun-e-yak-dili hai lazzat-e-bedad dushman par ki vajd-e-barq juun parvana bal-afshan hai khirman par takalluf khar-khar-e-iltimas-e-be-qarari hai ki rishta bandhta hai pairahan angusht-e-sozan par ye kya vahshat hai ai divane pesh-az-marg vavaila rakkhi be-ja bina-e-khana-e-zanjir-e-shevan par junun tohmat-kash-e-taskin na ho gar shadmani ki namak-pash-e-kharash-e-dil hai lazzat zindagani ki kashakash-ha-e-hasti se kare kya sa.i-e-azadi hui zanjir mauj-e-ab ko fursat ravani ki pas-az-murdan bhi divana ziyarat-gah-e-tiflan hai sharar-e-sang ne turbat pe meri gul-fishani ki juz qais aur koi na aaya ba-ru-e-kar sahra magar ba-tangi-e-chashm-e-hasud tha ashuftagi ne naqsh-e-suvaida kiya durust zahir hua ki daagh ka sarmaya duud tha tha khvab men khayal ko tujh se muamla jab aankh khul ga.i na ziyan tha na suud tha leta huun maktab-e-gham-e-dil men sabaq hanuz lekin yahi ki raft gaya aur buud tha Dhanpa kafan ne dagh-e-uyub-e-barahnagi main varna har libas men nang-e-vajud tha teshe baghair mar na saka kohkan 'asad' sargashta-e-khumar-e-rusum-o-quyud tha aalam jahan ba-arz-e-bisat-e-vajud tha juun sub.h chak-e-jeb mujhe tar-o-pud tha bazi-khur-e-fareb hai ahl-e-nazar ka zauq hangama garm-e-hairat-e-bud-o-nabud tha aalam tilism-e-shahr-e-khamoshi hai sar-basar ya main gharib-e-kishvar-e-guft-o-shunud tha tangi rafiq-e-rah thi adam ya vajud tha mera safar ba-tala-e-chashm-e-hasud tha tu yak-jahan qamash-e-havas jam.a kar ki main hairat-mata-e-alam-e-nuqsan-o-sud tha gardish-muhit-e-zulm raha jis qadar falak main pa.emal-e-ghamza-e-chashm-e-kabud tha puchha tha garche yaar ne ahval-e-dil magar kis ko dimagh-e-minnat-e-guft-o-shunud tha khur shabnam-ashna na hua varna main 'asad' sar-ta-qadam guzarish-e-zauq-e-sujud tha kaabe men ja raha to na do ta.ana kya kahen bhula huun haqq-e-sohbat-e-ahl-e-kunisht ko taa.at men ta rahe na mai-o-angbin ki laag dozakh men Daal do koi le kar bahisht ko huun munharif na kyuun rah-o-rasm-e-savab se TeDha laga hai qat qalam-e-sarnavisht ko 'ghalib' kuchh apni sa.i se lahna nahin mujhe khirman jale agar na malakh khaa.e kisht ko kar-gah-e-hasti men laala dagh-saman hai barq-e-khirman-e-rahat khun-e-garm-e-dahqan hai ghuncha ta shaguftan-ha barg-e-afiyat malum ba-vajud-e-dil-jam.i khvab-e-gul pareshan hai ham se ranj-e-betabi kis tarah uThaya jaa.e daagh pusht-e-dast-e-ijz sho.ala khas-ba-dandan hai ishq ke taghaful se harzah-gard hai aalam ru-e-shash-jihat-afaq pusht-e-chashm-e-zindan hai kab vo sunta hai kahani meri aur phir vo bhi zabani meri khalish-e-ghamza-e-khun-rez na puchh dekh khunaba-fishani meri kya bayan kar ke mira ro.enge yaar magar ashufta-bayani meri huun za-khud rafta-e-baida-e-khayal bhuul jaana hai nishani meri mutaqabil hai muqabil mera ruk gaya dekh ravani meri qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta huun sakht arzan hai girani meri gard-bad-e-rah-e-betabi huun sarsar-e-shauq hai baani meri dahan us ka jo na malum hua khul ga.i hech madani meri kar diya zo.af ne aajiz 'ghalib' nang-e-piri hai javani meri kabhi neki bhi us ke ji men gar aa jaa.e hai mujh se jafa.en kar ke apni yaad sharma jaa.e hai mujh se khudaya jazba-e-dil ki magar tasir ulTi hai ki jitna khinchta huun aur khinchta jaa.e hai mujh se vo bad-khu aur meri dastan-e-ishq tulani ibarat mukhtasar qasid bhi ghabra jaa.e hai mujh se udhar vo bad-gumani hai idhar ye na-tavani hai na puchha jaa.e hai us se na bola jaa.e hai mujh se sambhalne de mujhe ai na-ummidi kya qayamat hai ki daman-e-khayal-e-yar chhuTa jaa.e hai mujh se takalluf bartaraf nazzargi men bhi sahi lekin vo dekha jaa.e kab ye zulm dekha jaa.e hai mujh se hue hain paanv hi pahle nabard-e-ishq men zakhmi na bhaga jaa.e hai mujh se na Thahra jaa.e hai mujh se qayamat hai ki hove mudda.i ka ham-safar 'ghalib' vo kafir jo khuda ko bhi na saunpa jaa.e hai mujh se kahte ho na denge ham dil agar paDa paaya dil kahan ki gum kiije ham ne mudda.a paaya ishq se tabi.at ne ziist ka maza paaya dard ki dava paa.i dard-e-be-dava paaya dost-dar-e-dushman hai e'timad-e-dil ma.alum aah be-asar dekhi naala na-rasa paaya sadgi o purkari be-khudi o hushyari husn ko taghaful men jur.at-azma paaya ghuncha phir laga khilne aaj ham ne apna dil khuun kiya hua dekha gum kiya hua paaya hal-e-dil nahin ma.alum lekin is qadar ya.ani ham ne bar-ha DhunDa tum ne bar-ha paaya shor-e-pand-e-naseh ne zakhm par namak chhiDka aap se koi puchhe tum ne kya maza paaya hai kahan tamanna ka dusra qadam ya rab ham ne dasht-e-imkan ko ek naqsh-e-pa paaya be-dimagh-e-khajlat huun rashk-e-imtihan ta-kai ek bekasi tujh ko alam-ashna paaya khak-bazi-e-ummid kar-khana-e-tifli yaas ko do-alam se lab-ba-khanda va paaya kyuun na vahshat-e-ghalib baj-khvah-e-taskin ho kushta-e-taghaful ko khasm-e-khun-baha paaya fikr-e-nala men goya halqa huun ze-sar-ta-pa uzv uzv juun zanjir yak-dil-e-sada paaya shab nazara-parvar tha khvab men khayal us ka sub.h mauja-e-gul ko naqsh-e-boriya paaya jis qadar jigar khuun ho kucha dadan-e-gul hai zakhm-e-tegh-e-qatil ko turfa dil-kusha paaya hai makin ki pa-dari nam-e-sahib-e-khana ham se tere kuche ne naqsh-e-mudda.a paaya ne 'asad' jafa-sa.il ne sitam junun-ma.il tujh ko jis qadar DhunDa ulfat-azma paaya kahte to ho tum sab ki but-e-ghaliya-mu aa.e yak martaba ghabra ke kaho koi ki vo aa.e huun kashmakash-e-naz.a men haan jazb-e-mohabbat kuchh kah na sakun par vo mire puchhne ko aa.e hai sa.iqa o sho.ala o simab ka aalam aana hi samajh men miri aata nahin go aa.e zahir hai ki ghabra ke na bhagenge nakirain haan munh se magar bada-e-doshina ki bu aa.e jallad se Darte hain na vaa.iz se jhagaDte ham samjhe hue hain use jis bhes men jo aa.e haan ahl-e-talab kaun sune tana-e-na-yafat dekha ki vo milta nahin apne hi ko kho aa.e apna nahin ye sheva ki aram se baiThen us dar pe nahin baar to ka.abe hi ko ho aa.e ki ham-nafason ne asar-e-girya men taqrir achchhe rahe aap is se magar mujh ko Dubo aa.e us anjuman-e-naz ki kya baat hai 'ghalib' ham bhi ga.e vaan aur tiri taqdir ko ro aa.e kahun jo haal to kahte ho mudda.a kahiye tumhin kaho ki jo tum yuun kaho to kya kahiye na kahiyo ta.an se phir tum ki ham sitamgar hain mujhe to khu hai ki jo kuchh kaho baja kahiye vo neshtar sahi par dil men jab utar jaave nigah-e-naz ko phir kyuun na ashna kahiye nahin zariya-e-rahat jarahat-e-paikan vo zakhm-e-tegh hai jis ko ki dil-kusha kahiye jo mudda.i bane us ke na mudda.i baniye jo na-saza kahe us ko na na-saza kahiye kahin haqiqat-e-jan-kahi-e-maraz likhiye kahin musibat-e-na-sazi-e-dava kahiye kabhi shikayat-e-ranj-e-giran-nashin kiije kabhi hikayat-e-sabr-e-gurez-pa kahiye rahe na jaan to qatil ko khun-baha diije kaTe zaban to khanjar ko marhaba kahiye nahin nigar ko ulfat na ho nigar to hai ravani-e-ravish o masti-e-ada kahiye nahin bahar ko fursat na ho bahar to hai taravat-e-chaman o khubi-e-hava kahiye safina jab ki kinare pe aa laga 'ghalib' khuda se kya sitam-o-jaur-e-na-khuda kahiye kal ke liye kar aaj na khissat sharab men ye su-e-zan hai saqi-e-kausar ke baab men hain aaj kyuun zalil ki kal tak na thi pasand gustakhi-e-farishta hamari janab men jaan kyuun nikalne lagti hai tan se dam-e-sama gar vo sada sama.i hai chang o rabab men rau men hai rakhsh-e-umr kahan dekhiye thame ne haath baag par hai na pa hai rikab men utna hi mujh ko apni haqiqat se bod hai jitna ki vahm-e-ghair se huun pech-o-tab men asl-e-shuhud-o-shahid-o-mash.hud ek hai hairan huun phir mushahida hai kis hisab men hai mushtamil numud-e-suvar par vajud-e-bahar yaan kya dhara hai qatra o mauj-o-habab men sharm ik ada-e-naz hai apne hi se sahi hain kitne be-hijab ki hain yuun hijab men ara.ish-e-jamal se farigh nahin hunuz pesh-e-nazar hai aa.ina daa.im naqab men hai ghaib-e-ghaib jis ko samajhte hain ham shuhud hain khvab men hunuz jo jaage hain khvab men 'ghalib' nadim-e-dost se aati hai bu-e-dost mashghul-e-haq huun bandagi-e-bu-turab men kare hai baada tire lab se kasb-e-rang-e-farogh khat-e-piyala sarasar nigah-e-gul-chin hai kabhi to is dil-e-shorida ki bhi daad mile ki ek umr se hasrat-parast-e-balin hai baja hai gar na sune nala-ha-e-bulbul-e-zar ki gosh-e-gul nam-e-shabnam se pamba-agin hai 'asad' hai naza.a men chal bevafa bara-e-khuda maqam-e-tark-e-hijab o vida-e-tamkin hai khamoshiyon men tamasha ada nikalti hai nigah dil se tire surma-sa nikalti hai fashar-e-tangi-e-khalvat se banti hai shabnam saba jo ghunche ke parde men ja nikalti hai na puchh sina-e-ashiq se ab-e-tegh-e-nigah ki zakhm-e-rauzan-e-dar se hava nikalti hai ba-rang-e-shisha huun yak-gosha-e-dil-e-khali kabhi pari miri khalvat men aa nikalti hai khatar hai rishta-e-ulfat rag-e-gardan na ho jaave ghurur-e-dosti aafat hai tu dushman na ho jaave samajh is fasl men kotahi-e-nashv-o-numa 'ghalib' agar gul sarv ke qamat pe pairahan na ho jaave ki vafa ham se to ghair is ko jafa kahte hain hoti aa.i hai ki achchhon ko bura kahte hain aaj ham apni pareshani-e-khatir un se kahne jaate to hain par dekhiye kya kahte hain agle vaqton ke hain ye log inhen kuchh na kaho jo mai o naghma ko andoh-ruba kahte hain dil men aa jaa.e hai hoti hai jo fursat ghash se aur phir kaun se naale ko rasa kahte hain hai par-e-sarhad-e-idrak se apna masjud qible ko ahl-e-nazar qibla-numa kahte hain pa-e-afgar pe jab se tujhe rahm aaya hai khar-e-rah ko tire ham mehr-e-giya kahte hain ik sharar dil men hai us se koi ghabra.ega kya aag matlub hai ham ko jo hava kahte hain dekhiye laati hai us shokh ki nakhvat kya rang us ki har baat pe ham nam-e-khuda kahte hain 'vahshat' o 'shefta' ab marsiya kahven shayad mar gaya 'ghalib'-e-ashufta-nava kahte hain kisi ko de ke dil koi nava-sanj-e-fughan kyuun ho na ho jab dil hi siine men to phir munh men zaban kyuun ho vo apni khu na chhoDenge ham apni vaz.a kyuun chhoDen subuk-sar ban ke kya puchhen ki ham se sargiran kyuun ho kiya gham-khvar ne rusva lage aag is mohabbat ko na laave taab jo gham ki vo mera raz-dan kyuun ho vafa kaisi kahan ka ishq jab sar phoDna Thahra to phir ai sang-dil tera hi sang-e-astan kyuun ho qafas men mujh se rudad-e-chaman kahte na Dar hamdam giri hai jis pe kal bijli vo mera ashiyan kyuun ho ye kah sakte ho ham dil men nahin hain par ye batlao ki jab dil men tumhin tum ho to ankhon se nihan kyuun ho ghalat hai jazb-e-dil ka shikva dekho jurm kis ka hai na khincho gar tum apne ko kashakash darmiyan kyuun ho ye fitna aadmi ki khana-virani ko kya kam hai hue tum dost jis ke dushman us ka asman kyuun ho yahi hai azmana to satana kis ko kahte hain adu ke ho liye jab tum to mera imtihan kyuun ho kaha tum ne ki kyuun ho ghair ke milne men rusva.i baja kahte ho sach kahte ho phir kahiyo ki haan kyuun ho nikala chahta hai kaam kya ta.anon se tu 'ghalib' tire be-mehr kahne se vo tujh par mehrban kyuun ho koh ke hon bar-e-khatir gar sada ho ja.iye be-takalluf ai sharar-e-jasta kya ho ja.iye baiza-asa nang-e-bal-o-par hai ye kunj-e-qafas az-sar-e-nau zindagi ho gar riha ho ja.iye vus.at-e-mashrab niyaz-e-kulfat-e-vahshat 'asad' yak-bayaban saya-e-bal-e-huma ho ja.iye koi din gar zindagani aur hai apne ji men ham ne Thani aur hai atish-e-dozakh men ye garmi kahan soz-e-gham-ha-e-nihani aur hai bar-ha dekhi hain un ki ranjishen par kuchh ab ke sargirani aur hai de ke khat munh dekhta hai nama-bar kuchh to paigham-e-zabani aur hai qata-e-emar hai aksar nujum vo bala-e-asmani aur hai ho chukin 'ghalib' bala.en sab tamam ek marg-e-na-gahani aur hai koi ummid bar nahin aati koi surat nazar nahin aati maut ka ek din muayyan hai niind kyuun raat bhar nahin aati aage aati thi hal-e-dil pe hansi ab kisi baat par nahin aati janta huun savab-e-ta.at-o-zohd par tabi.at idhar nahin aati hai kuchh aisi hi baat jo chup huun varna kya baat kar nahin aati kyuun na chikhun ki yaad karte hain meri avaz gar nahin aati dagh-e-dil gar nazar nahin aata bu bhi ai charagar nahin aati ham vahan hain jahan se ham ko bhi kuchh hamari khabar nahin aati marte hain aarzu men marne ki maut aati hai par nahin aati kaaba kis munh se jaoge 'ghalib' sharm tum ko magar nahin aati kya tang ham sitam-zadagan ka jahan hai jis men ki ek baiza-e-mor asman hai hai ka.enat ko harakat tere zauq se partav se aftab ke zarre men jaan hai halanki hai ye sili-e-khara se laala rang ghafil ko mere shishe pe mai ka guman hai ki us ne garm sina-e-ahl-e-havas men ja aave na kyuun pasand ki ThanDa makan hai kya khuub tum ne ghair ko bosa nahin diya bas chup raho hamare bhi munh men zaban hai baiTha hai jo ki saya-e-divar-e-yar men farman-rava-e-kishvar-e-hindustan hai hasti ka e'tibar bhi gham ne miTa diya kis se kahun ki daagh jigar ka nishan hai hai baare e'timad-e-vafa-dari is qadar 'ghalib' ham is men khush hain ki na-mehrban hai dehli ke rahne vaalo 'asad' ko satao mat be-chara chand roz ka yaan mehman hai kyuun jal gaya na tab-e-rukh-e-yar dekh kar jalta huun apni taqat-e-didar dekh kar atish-parast kahte hain ahl-e-jahan mujhe sargarm-e-nala-ha-e-sharar-bar dekh kar kya abru-e-ishq jahan aam ho jafa rukta huun tum ko be-sabab azar dekh kar aata hai mere qatl ko par josh-e-rashk se marta huun us ke haath men talvar dekh kar sabit hua hai gardan-e-mina pe khun-e-khalq larze hai mauj-e-mai tiri raftar dekh kar va-hasrata ki yaar ne khincha sitam se haath ham ko haris-e-lazzat-e-azar dekh kar bik jaate hain ham aap mata-e-sukhan ke saath lekin ayar-e-taba.a-e-kharidar dekh kar zunnar bandh sub.ha-e-sad-dana toD Daal rah-rau chale hai raah ko hamvar dekh kar in ablon se paanv ke ghabra gaya tha main ji khush hua hai raah ko pur-khar dekh kar kya bad-guman hai mujh se ki a.ine men mire tuuti ka aks samjhe hai zangar dekh kar girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par dete hain baada zarf-e-qadah-khvar dekh kar sar phoDna vo 'ghalib'-e-shorida haal ka yaad aa gaya mujhe tiri divar dekh kar kyuun na ho chashm-e-butan mahv-e-taghaful kyuun na ho ya.ani us bimar ko nazzare se parhez hai marte marte dekhne ki aarzu rah ja.egi vaa.e nakami ki us kafir ka khanjar tez hai ariz-e-gul dekh ru-e-yar yaad aaya 'asad' joshish-e-fasl-e-bahari ishtiyaq-angez hai kyunkar us but se rakhun jaan aziiz kya nahin hai mujhe iman aziiz dil se nikla pe na nikla dil se hai tire tiir ka paikan aziiz taab laa.e hi banegi 'ghalib' vaqi.a sakht hai aur jaan aziiz laghar itna huun ki gar tu bazm men ja de mujhe mera zimma dekh kar gar koi batla de mujhe kya ta.ajjub hai jo us ko dekh kar aa jaa.e rahm vaan talak koi kisi hiile se pahuncha de mujhe munh na dikhlave na dikhla par ba-andaz-e-itab khol kar parda zara ankhen hi dikhla de mujhe yaan talak meri giraftari se vo khush hai ki main zulf gar ban ja.un to shane men uljha de mujhe lazim tha ki dekho mira rasta koi din aur tanha ga.e kyuun ab raho tanha koi din aur miT ja.ega sar gar tira patthar na ghisega huun dar pe tire nasiya-farsa koi din aur aa.e ho kal aur aaj hi kahte ho ki ja.un maana ki hamesha nahin achchha koi din aur jaate hue kahte ho qayamat ko milenge kya khuub qayamat ka hai goya koi din aur haan ai falak-e-pir javan tha abhi aarif kya tera bigaDta jo na marta koi din aur tum mah-e-shab-e-char-dahum the mire ghar ke phir kyuun na raha ghar ka vo naqsha koi din aur tum kaun se the aise khare dad-o-sitad ke karta malak-ul-maut taqaza koi din aur mujh se tumhen nafrat sahi nayyar se laDa.i bachchon ka bhi dekha na tamasha koi din aur guzri na ba-har-hal ye muddat khush o na-khush karna tha javan-marg guzara koi din aur nadan ho jo kahte ho ki kyuun jiite hain 'ghalib' qismat men hai marne ki tamanna koi din aur lab-e-isa ki jumbish karti hai gahvara-jumbani qayamat kushta-e-la.al-e-butan ka khvab-e-sangin hai bayaban-e-fana hai bad-e-sahra-e-talab 'ghalib' pasina tausan-e-himmat to sail-e-khana-e-zin hai lab-e-khushk dar-tishnagi-murdagan ka ziyarat-kada huun dil-azurdagan ka hama na-umidi hama bad-gumani main dil huun fareb-e-vafa-khurdagan ka shaguftan kamin-gah-e-taqrib-jui tasavvur huun be-mojib azurdagan ka gharib-e-sitam-didah-e-baz-gashtan sukhan huun sukhan bar lab-avurdagan ka sarapa yak-a.ina-dar-e-shikastan irada huun yak-alam-afsurdagan ka ba-surat takalluf ba-ma.ani ta.assuf 'asad' main tabassum huun pazhmurdagan ka larazta hai mira dil zahmat-e-mehr-e-darakhshan par main huun vo qatra-e-shabnam ki ho khar-e-bayaban par na chhoDi hazrat-e-yusuf ne yaan bhi khana-ara.i safedi dida-e-yaqub ki phirti hai zindan par fana talim-e-dars-e-be-khudi huun us zamane se ki majnun laam alif likhta tha divar-e-dabistan par faraghat kis qadar rahti mujhe tashvish-e-marham se baham gar sulh karte para-ha-e-dil namak-dan par nahin iqlim-e-ulfat men koi tumar-e-naz aisa ki pusht-e-chashm se jis ki na hove mohr unvan par mujhe ab dekh kar abr-e-shafaq-aluda yaad aaya ki furqat men tiri atish barasti thi gulistan par ba-juz parvaz-e-shauq-e-naz kya baaqi raha hoga qayamat ik hava-e-tund hai khak-e-shahidan par na laD naseh se 'ghalib' kya hua gar us ne shiddat ki hamara bhi to akhir zor chalta hai gareban par dil-e-khunin-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaghni ilahi yak qayamat khavar aa TuuTe badakhshan par 'asad' ai be-tahammul arbada be-ja hai naseh se ki akhir be-kason ka zor chalta hai gareban par latafat be-kasafat jalva paida kar nahin sakti chaman zangar hai a.ina-e-bad-e-bahari ka harif-e-joshish-e-dariya nahin khuddari-e-sahil jahan saaqi ho tu batil hai da.ava hoshiyari ka bahar-e-rang-e-khun-e-gul hai saman ashk-bari ka junun-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahari ka bara-e-hall-e-mushkil huun zi-pa uftada-e-hasrat bandha hai uqda-e-khatir se paiman khaksari ka ba-vaqt-e-sar-niguni hai tasavvur intizaristan nigah ko ablon se shaghl hai akhtar-shumari ka 'asad' saghar-kash-e-taslim ho gardish se gardun ki ki nang-e-fahm-e-mastan hai gila bad-rozg-ari ka lo ham mariz-e-ishq ke bimar-dar hain achchha agar na ho to masiha ka kya ilaaj luun vaam bakht-e-khufta se yak-khvab-e-khush vale 'ghalib' ye khauf hai ki kahan se ada karun khush vahshate ki arz-e-junun-e-fana karun juun gard-e-rah jama-e-hasti qaba karun aa ai bahar-e-naz ki tere khiram se dastar gird-e-shakh-e-gul-e-naqsh-e-pa karun khush uftadgi ki ba-sahra-e-intizar juun jaada gard-e-rah se nigah surma-sa karun sabr aur ye ada ki dil aave asir-e-chak dard aur ye kamin ki rah-e-nala va karun vo be-dimagh-e-minnat-e-iqbal huun ki main vahshat ba-dagh-e-saya-e-bal-e-huma karun vo iltimas-e-lazzat-e-be-dad huun ki main tegh-e-sitam ko pusht-e-kham-e-iltija karun vo raz-e-nala huun ki ba-sharh-e-nigah-e-ajz afshan ghubar-e-surma se fard-e-sada karun mana-e-dasht-navardi koi tadbir nahin ek chakkar hai mire paanv men zanjir nahin shauq us dasht men dauDaye hai mujh ko ki jahan jaada ghair az nigah-e-dida-e-tasvir nahin hasrat-e-lazzat-e-azar rahi jaati hai jada-e-rah-e-vafa juz dam-e-shamshir nahin ranj-e-naumidi-e-javed gavara rahiyo khush huun gar nala-zabuni kash-e-tasir nahin sar khujata hai jahan zakhm-e-sar achchha ho jaa.e lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqrir nahin jab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi de koi taqsir ba-juz khajlat-e-taqsir nahin 'ghalib' apna ye aqida hai ba-qaul-e-'nasikh' aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin 'mir' ke sher ka ahval kahun kya 'ghalib' jis ka divan kam-az-gulshan-e-kashmir nahin a.ina daam ko parde men chhupata hai abas ki pari-zad-e-nazar qabil-e-taskhir nahin misl-e-gul zakhm hai mera bhi sinan se tavvam tera tarkash hi kuchh abistani-e-tir nahin mahram nahin hai tu hi nava-ha-e-raz ka yaan varna jo hijab hai parda hai saaz ka rang-e-shikasta sub.h-e-bahar-e-nazara hai ye vaqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naz ka tu aur su-e-ghair nazar-ha-e-tez tez main aur dukh tiri mizha-ha-e-daraz ka sarfa hai zabt-e-ah men mera vagarna men to.ama huun ek hi nafas-e-jan-gudaz ka hain bas-ki josh-e-bada se shishe uchhal rahe har gosha-e-bisat hai sar shisha-baz ka kavish ka dil kare hai taqaza ki hai hunuz nakhun pe qarz is girah-e-nim-baz ka taraj-e-kavish-e-gham-e-hijran hua 'asad' siina ki tha dafina gohar-ha-e-raz ka main aur bazm-e-mai se yuun tishna-kam aa.uun gar main ne ki thi tauba saaqi ko kya hua tha hai ek tiir jis men donon chhide paDe hain vo din ga.e ki apna dil se jigar juda tha darmandagi men 'ghalib' kuchh ban paDe to janun jab rishta be-girah tha nakhun girah-kusha tha main unhen chheDun aur kuchh na kahen chal nikalte jo mai piye hote qahr ho ya bala ho jo kuchh ho kaash ke tum mire liye hote meri qismat men gham gar itna tha dil bhi ya-rab ka.i diye hote aa hi jaata vo raah par 'ghalib' koi din aur bhi jiye hote manzur thi ye shakl tajalli ko nuur ki qismat khuli tire qad-o-rukh se zuhur ki ik khun-chakan kafan men karoDon banao hain paDti hai aankh tere shahidon pe huur ki vaa.iz na tum piyo na kisi ko pila sako kya baat hai tumhari sharab-e-tahur ki laDta hai mujh se hashr men qatil ki kyuun uTha goya abhi suni nahin avaz suur ki aamad bahar ki hai jo bulbul hai naghma-sanj uDti si ik khabar hai zabani tuyur ki go vaan nahin pa vaan ke nikale hue to hain ka.abe se in buton ko bhi nisbat hai duur ki kya farz hai ki sab ko mile ek sa javab aao na ham bhi sair karen koh-e-tur ki garmi sahi kalam men lekin na is qadar ki jis se baat us ne shikayat zarur ki 'ghalib' gar is safar men mujhe saath le chalen haj ka savab nazr karunga huzur ki masjid ke zer-e-saya kharabat chahiye bhaun paas aankh qibla-e-hajat chahiye ashiq hue hain aap bhi ek aur shakhs par akhir sitam ki kuchh to mukafat chahiye de daad ai falak dil-e-hasrat-parast ki haan kuchh na kuchh talafi-e-mafat chahiye sikhe hain mah-rukhon ke liye ham musavvari taqrib kuchh to bahr-e-mulaqat chahiye mai se gharaz nashat hai kis ru-siyah ko ik-guna be-khudi mujhe din raat chahiye nashv-o-numa hai asl se 'ghalib' furua ko khamoshi hi se nikle hai jo baat chahiye hai rang-e-lala-o-gul-o-nasrin juda juda har rang men bahar ka isbat chahiye sar pa-e-khum pe chahiye hangam-e-be-khudi ru su-e-qibla vaqt-e-munajat chahiye ya.ani ba-hasb-e-gardish-e-paimana-e-sifat aarif hamesha mast-e-mai-e-zat chahiye masti ba-zauq-e-ghaflat-e-saqi halak hai mauj-e-sharab yak-mizha-e-khvab-nak hai juz zakhm-e-tegh-e-naz nahin dil men aarzu jeb-e-khayal bhi tire hathon se chaak hai josh-e-junun se kuchh nazar aata nahin 'asad' sahra hamari aankh men yak-musht-e-khak hai mat mardumak-e-dida men samjho ye nigahen hain jam.a suvaida-e-dil-e-chashm men aahen kis dil pe hai azm-e-saf-e-mizhgan-e-khud-ara a.ine ke payab se utri hain sipahen dair-o-haram a.ina-e-takrar-e-tamanna vamandagi-e-shauq tarashe hai panahen juun mardumak-e-chashm se hon jam.a nigahen khvabida ba-hairat-kada-e-dagh hain aahen phir halqa-e-kakul men paDin diid ki rahen juun duud faraham huiin rauzan men nigahen paaya sar-e-har-zarra jigar-gosha-e-vahshat hain daagh se ma.amur shaqa.iq ki kulahen ye matl.a 'asad' jauhar-e-afsun-e-sukhan ho gar arz-e-tapak-e-jigar-e-sokhta chahen hairat-kash-e-yak-jalva-e-ma.ani hain nigahen khinchun huun suvaida-e-dil-e-chashm se aa.hen maze jahan ke apni nazar men khaak nahin siva.e khun-e-jigar so jigar men khaak nahin magar ghubar hue par hava uDa le jaa.e vagarna taab o tavan bal-o-par men khaak nahin ye kis bahisht-shama.il ki aamad aamad hai ki ghair-e-jalva-e-gul rahguzar men khaak nahin bhala use na sahi kuchh mujhi ko rahm aata asar mire nafas-e-be-asar men khaak nahin khayal-e-jalva-e-gul se kharab hain mai-kash sharab-khane ke divar-o-dar men khaak nahin hua huun ishq ki gharat-gari se sharminda siva.e hasrat-e-tamir ghar men khaak nahin hamare sher hain ab sirf dil-lagi ke 'asad' khula ki fa.eda arz-e-hunar men khaak nahin mehrban ho ke bula lo mujhe chaho jis vaqt main gaya vaqt nahin huun ki phir aa bhi na sakun zo.af men tana-e-aghyar ka shikva kya hai baat kuchh sar to nahin hai ki uTha bhi na sakun zahr milta hi nahin mujh ko sitamgar varna kya qasam hai tire milne ki ki kha bhi na sakun is qadar zabt kahan hai kabhi aa bhi na sakun sitam itna to na kiije ki uTha bhi na sakun lag ga.i aag agar ghar ko to andesha kya sho.ala-e-dil to nahin hai ki bujha bhi na sakun tum na aaoge to marne ki hain sau tadbiren maut kuchh tum to nahin ho ki bula bhi na sakun hans ke bulva.iye miT ja.ega sab dil ka gila kya tasavvur hai tumhara ki miTa bhi na sakun milti hai khu-e-yar se naar iltihab men kafir huun gar na milti ho rahat azaab men kab se huun kya bata.un jahan-e-kharab men shab-ha-e-hijr ko bhi rakhun gar hisab men ta phir na intizar men niind aa.e umr bhar aane ka ahd kar ga.e aa.e jo khvab men qasid ke aate aate khat ik aur likh rakhun main janta huun jo vo likhenge javab men mujh tak kab un ki bazm men aata tha daur-e-jam saaqi ne kuchh mila na diya ho sharab men jo munkir-e-vafa ho fareb us pe kya chale kyuun bad-guman huun dost se dushman ke baab men main muztarib huun vasl men khauf-e-raqib se Daala hai tum ko vahm ne kis pech-o-tab men main aur hazz-e-vasl khuda-saz baat hai jaan nazr deni bhuul gaya iztirab men hai tevri chaDhi hui andar naqab ke hai ik shikan paDi hui tarf-e-naqab men lakhon lagao ek churana nigah ka lakhon banav ek bigaDna itaab men vo naala dil men khas ke barabar jagah na paa.e jis naala se shigaf paDe aftab men vo sehr mudd.a-talabi men na kaam aa.e jis sehr se safina ravan ho sarab men 'ghalib' chhuTi sharab par ab bhi kabhi kabhi piita huun roz-e-abr o shab-e-mahtab men miri hasti faza-e-hairat abad-e-tamanna hai jise kahte hain naala vo usi aalam ka anqa hai khizan kya fasl-e-gul kahte hain kis ko koi mausam ho vahi ham hain qafas hai aur matam bal-o-par ka hai vafa-e-dilbaran hai ittifaqi varna ai hamdam asar fariyad-e-dil-ha-e-hazin ka kis ne dekha hai na laa.i shokhi-e-andesha tab-e-ranj-e-naumidi kaf-e-afsos milna ahd-e-tajdid-e-tamanna hai na sove ablon men gar sirishk-e-dida-e-nam se ba-jaulan-gah-e-naumidi nigah-e-ajizan pa hai ba-sakhti-ha-e-qaid-e-zindagi malum azadi sharar bhi said-e-dam-e-rishta-e-rag-ha-e-khara hai taghaful-mashrabi se na-tamami bas-ki paida hai nigah-e-naz chashm-e-yar men zunnar-e-mina hai tasarruf vahshiyon men hai tasavvur-ha-e-majnun ka savad-e-chashm-e-ahu aks-e-khal-e-ru-e-laila hai mohabbat tarz-e-paivand-e-nihal-e-dosti jaane davidan resha saan muft-e-rag-e-khvab-e-zulekha hai kiya yak-sar gudaz-e-dil niyaz-e-joshish-e-hasrat suvaida nuskha-e-tah-bandi-e-dagh-e-tamanna hai hujum-e-rezish-e-khun ke sabab rang uD nahin sakta hina-e-panja-e-saiyyad murgh-e-rishta bar-pa hai asar soz-e-mohabbat ka qayamat be-muhaba hai ki rag se sang men tukhm-e-sharar ka resha paida hai nihan hai gauhar-e-maqsud jeb-e-khud-shanasi men ki yaan ghavvas hai timsal aur a.ina dariya hai azizo zikr-e-vasl-e-ghair se mujh ko na bahlao ki yaan afsun-e-khvab afsana-e-khvab-e-zulaikha hai tasavvur bahr-e-taskin-e-tapidan-ha-e-tifl-e-dil ba-bagh-e-rang-ha-e-rafta gul-chin-e-tamasha hai ba-sa.i-e-ghair hai qat-e-libas-e-khana-virani ki naz-e-jada-e-rah rishta-e-daman-e-sahra hai muddat hui hai yaar ko mehman kiye hue josh-e-qadah se bazm charaghan kiye hue karta huun jam.a phir jigar-e-lakht-lakht ko arsa hua hai davat-e-mizhgan kiye hue phir vaz-e-ehtiyat se rukne laga hai dam barson hue hain chaak gareban kiye hue phir garm-nala-ha-e-sharar-bar hai nafas muddat hui hai sair-e-charaghan kiye hue phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chala hai ishq saman-e-sad-hazar namak-dan kiye hue phir bhar raha huun khama-e-mizhgan ba-khun-e-dil saz-e-chaman tarazi-e-daman kiye hue baham-digar hue hain dil o diida phir raqib nazzara o khayal ka saman kiye hue dil phir tavaf-e-ku-e-malamat ko jaa.e hai pindar ka sanam-kada viran kiye hue phir shauq kar raha hai kharidar ki talab arz-e-mata-e-aql-o-dil-o-jan kiye hue dauDe hai phir har ek gul-o-lala par khayal sad-gulistan nigah ka saman kiye hue phir chahta huun nama-e-dildar kholna jaan nazr-e-dil-farebi-e-unvan kiye hue mange hai phir kisi ko lab-e-bam par havas zulf-e-siyah rukh pe pareshan kiye hue chahe hai phir kisi ko muqabil men aarzu surme se tez dashna-e-mizhgan kiye hue ik nau-bahar-e-naz ko taake hai phir nigah chehra farogh-e-mai se gulistan kiye hue phir ji men hai ki dar pe kisi ke paDe rahen sar zer-bar-e-minnat-e-darban kiye hue ji DhunDta hai phir vahi fursat ki raat din baiThe rahen tasavvur-e-janan kiye hue 'ghalib' hamen na chheD ki phir josh-e-ashk se baiThe hain ham tahayya-e-tufan kiye hue mujh ko dayar-e-ghair men maara vatan se duur rakh li mire khuda ne miri bekasi ki sharm vo halqa-ha-e-zulf kamin men hain ya khuda rakh liijo mere dava-e-varastagi ki sharm mund ga.iin kholte hi kholte ankhen 'ghalib' yaar laa.e miri balin pe use par kis vaqt muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aata hai dam-e-khali qafas-e-murgh-e-giraftar ke paas jigar-e-tishna-e-azar tasalli na hua ju-e-khun ham ne baha.i bun-e-har khaar ke paas mund ga.iin kholte hi kholte ankhen hai hai khuub vaqt aa.e tum is ashiq-e-bimar ke paas main bhi ruk ruk ke na marta jo zaban ke badle dashna ik tez sa hota mire gham-khvar ke paas dahan-e-sher men ja baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khuban-e-dil-azar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu karta hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastar ke paas mar gaya phoD ke sar 'ghalib'-e-vahshi hai hai baiThna us ka vo aa kar tiri divar ke paas na gul-e-naghma huun na parda-e-saz main huun apni shikast ki avaz tu aur ara.ish-e-kham-e-kakul main aur andesha-ha-e-dur-daraz laf-e-tamkin fareb-e-sada-dili ham hain aur raz-ha-e-sina-gudaz huun giraftar-e-ulfat-e-sayyad varna baaqi hai taqat-e-parvaz vo bhi din ho ki us sitamgar se naaz khinchun baja.e hasrat-e-naz nahin dil men mire vo qatra-e-khun jis se mizhgan hui na ho gul-baz ai tira ghamza yak-qalam-angez ai tira zulm sar-ba-sar andaz tu hua jalva-gar mubarak ho rezish-e-sajda-e-jabin-e-niyaz mujh ko puchha to kuchh ghazab na hua main gharib aur tu gharib-navaz 'asad'-ullah khaan tamam hua ai daregha vo rind-e-shahid-baz na hoga yak-bayaban mandgi se zauq kam mera habab-e-mauja-e-raftar hai naqsh-e-qadam mera mohabbat thi chaman se lekin ab ye be-dimaghi hai ki mauj-e-bu-e-gul se naak men aata hai dam mera rah-e-khvabida thi gardan-kash-e-yak-dars-e-agahi zamin ko saili-e-ustad hai naqsh-e-qadam mera suragh-avara-e-arz-e-do-alam shor-e-mahshar huun par-afshan hai ghubar aan su-e-sahra-e-adam mera hava-e-sub.h yak-alam gareban chaki-e-gul hai dahan-e-zakhm paida kar agar khata hai gham mera na ho vahshat-kash-e-dars-e-sarab-e-satr-e-agahi main gard-e-rah huun be-mudda.a hai pech-o-kham mera 'asad' vahshat-parast-e-gosha-e-tanha.i-e-dil hai ba-rang-e-mauj-e-mai khamyaza-e-saghar hai ram mera na hui gar mire marne se tasalli na sahi imtihan aur bhi baaqi ho to ye bhi na sahi khaar khar-e-alam-e-hasrat-e-didar to hai shauq gul-chin-e-gulistan-e-tasalli na sahi mai-parastan khum-e-mai munh se laga.e hi bane ek din gar na hua bazm men saaqi na sahi nafas-e-qais ki hai chashm-o-charagh-e-sahra gar nahin sham-e-siyah-khana-e-laili na sahi ek hangame pe mauquf hai ghar ki raunaq nauha-e-gham hi sahi naghma-e-shadi na sahi na sata.ish ki tamanna na sile ki parva gar nahin hain mire ash.ar men ma.ani na sahi ishrat-e-sohbat-e-khuban hi ghanimat samjho na hui 'ghalib' agar umr-e-tabi.i na sahi na leve gar khas-e-jauhar taravat sabza-e-khat se laga.e khana-e-a.ina men ru-e-nigar atish farogh-e-husn se hoti hai hall-e-mushkil-e-ashiq na nikle sham.a ke pa se nikale gar na khaar atish sharar hai rang ba.ad iz.har-e-tab-e-jalva-e-tamkin kare hai sang par khurshid ab-e-ru-e-kar atish panave be-gudaz-e-mom rabt-e-paikar-ara.i nikale kya nihal-e-sham.a be-tukhm-e-sharar atish khayal-e-dud tha sar-josh-e-sauda-e-ghalat-fahmi agar rakhti na khakistar-nashini ka ghubar atish hava-e-par-fishani barq-e-khirman-ha-e-khatir hai ba-bal-e-sho.ala-e-betab hai parvana-zar atish nahin barq-o-sharar juz vahshat-e-zabt-e-tapidan-ha bila gardan-e-be-parva kharami-ha-e-yar atish dhuen se aag ke ik abr-e-dariya-bar ho paida 'asad' haidar-paraston se agar hove do-char atish na puchh nuskha-e-marham jarahat-e-dil ka ki us men reza-e-almas juzv-e-azam hai bahut dinon men taghaful ne tere paida ki vo ik nigah ki ba-zahir nigah se kam hai na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota Duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota hua jab gham se yuun be-his to gham kya sar ke kaTne ka na hota gar juda tan se to zaanu par dhara hota hui muddat ki 'ghalib' mar gaya par yaad aata hai vo har ik baat par kahna ki yuun hota to kya hota naala juz husn-e-talab ai sitam-ijad nahin hai taqaza-e-jafa shikva-e-bedad nahin ishq-o-mazduri-e-ishrat-gah-e-khusruv kya khuub ham ko taslim niko-nami-e-farhad nahin kam nahin vo bhi kharabi men pa vus.at malum dasht men hai mujhe vo aish ki ghar yaad nahin ahl-e-binash ko hai tufan-e-havadis maktab lutma-e-mauj kam-az saili-e-ustad nahin vaa.e mahrumi-e-taslim-o-bada hal-e-vafa janta hai ki hamen taqat-e-faryad nahin rang-e-tamkin-e-gul-o-lala pareshan kyuun hai gar charaghan-e-sar-e-rah-guzar-e-bad nahin sabad-e-gul ke tale band kare hai gulchin muzhda ai murgh ki gulzar men sayyad nahin nafi se karti hai isbat taravish goya di hai ja-e-dahn us ko dam-e-ijad nahin kam nahin jalvagari men tire kuche se bahisht yahi naqsha hai vale is qadar abad nahin karte kis munh se ho ghurbat ki shikayat 'ghalib' tum ko be-mehri-e-yaran-e-vatan yaad nahin nafas na anjuman-e-arzu se bahar khinch agar sharab nahin intizar-e-saghar khinch kamal-e-garmi-e-sa.i-e-talash-e-did na puchh ba-rang-e-khar mire aa.ine se jauhar khinch tujhe bahana-e-rahat hai intizar ai dil kiya hai kis ne ishara ki naz-e-bistar khinch tiri taraf hai ba-hasrat nazara-e-nargis ba-kori-e-dil-o-chashm-e-raqib saghar khinch ba-nim-ghamza ada kar haq-e-vadi.at-e-naz niyam-e-parda-e-zakhm-e-jigar se khanjar khinch mire qadah men hai sahba-e-atish-e-pinhan ba-ru-e-sufra kabab-e-dil-e-samandar khinch na kah ki taqat-e-rusva.i-e-visal nahin agar yahi araq-e-fitna hai mukarrar khinch junun-e-a.ina mushtaq-e-yak-tamasha hai hamare safhe pe bal-e-pari se mistar khinch khumar-e-minnat-e-saqi agar yahi hai 'asad' Dil-e-gudakhta ke mai-kade men saghar khinch nahin hai zakhm koi bakhiye ke dar-khur mire tan men hua hai tar-e-ashk-e-yas rishta chashm-e-sozan men hui hai mane-e-zauq-e-tamasha khana-virani kaf-e-sailab baaqi hai ba-rang-e-pumba rauzan men vadi.at-khana-e-bedad-e-kavish-ha-e-mizhgan huun nagin-e-nam-e-shahid hai mire har qatra-e-khun tan men bayan kis se ho zulmat-gustari mere shabistan ki shab-e-mah ho jo rakh duun pamba divaron ke rauzan men nikohish mana-e-be-rabti-e-shor-e-junun aa.i hua hai khanda-e-ahbab bakhiya jeb-o-daman men hue us mehr-vash ke jalva-e-timsal ke aage par-afshan jauhar a.ine men misl-e-zarra rauzan men na janun nek huun ya bad huun par sohbat-mukhalif hai jo gul huun to huun gulkhan men jo khas huun to huun gulshan men hazaron dil diye josh-e-junun-e-ishq ne mujh ko siyah ho kar suvaida ho gaya har qatra-e-khun tan men 'asad' zindani-e-tasir-e-ulfat-ha-e-khuban huun kham-e-dast-e-navazish ho gaya hai tauq gardan men fuzun ki doston ne hirs-e-qatil zauq-e-kushtan men ho.e hain bakhiya-ha-e-zakhm jauhar tegh-e-dushman men tamasha kardani hai lutf-e-zakhm-e-intizar ai dil suvaida dagh-e-marham mardumuk hai chashm-e-sozan men dil-o-din-o-khirad taraj-e-naz-e-jalva-paira.i hua hai jauhar-e-a.ina khel-e-mor khirman men nikohish mane-e-divangi-ha-e-junun aa.i lagaya khanda-e-naseh ne bakhiya jeb-o-daman men nahin ki mujh ko qayamat ka e'tiqad nahin shab-e-firaq se roz-e-jaza ziyad nahin koi kahe ki shab-e-mah men kya bura.i hai bala se aaj agar din ko abr o baad nahin jo aa.uun samne un ke to marhaba na kahen jo ja.un vaan se kahin ko to khair-bad nahin kabhi jo yaad bhi aata huun main to kahte hain ki aaj bazm men kuchh fitna-o-fasad nahin alava iid ke milti hai aur din bhi sharab gada-e-kucha-e-mai-khana na-murad nahin jahan men ho gham-e-shadi baham hamen kya kaam diya hai ham ko khuda ne vo dil ki shaad nahin tum un ke va.ade ka zikr un se kyuun karo 'ghalib' ye kya ki tum kaho aur vo kahen ki yaad nahin naqsh-e-naz-e-but-e-tannaz ba-aghosh-e-raqib pa-e-ta.us pa.e-khama-e-mani mange tu vo bad-khu ki tahayyur ko tamasha jaane gham vo afsana ki ashufta-bayani mange vo tap-e-ishq-e-tamanna hai ki phir surat-e-sham.a sho.ala ta-nabz-e-jigar resha-davani mange tishna-e-khun-e-tamasha jo vo paani mange aa.ina rukhsat-e-andaz-e-ravani mange rang ne gul se dam-e-arz-e-pareshani-e-bazm barg-e-gul reza-e-mina ki nishani mange zulf tahrir-e-pareshan-e-taqaza hai magar shana-san mu-ba-zaban khama-e-mani mange amad-e-khat se na kar khanda-e-shirin ki mabad chashm-e-mor a.ina-e-dil nigarani mange huun giraftar-e-kamin-gah-e-taghaful ki jahan khvab sayyad se parvaz-e-girani mange chashm parvaz o nafas khufta magar zo.af-e-umid shahpar-e-kah pa.e-muzhda-risani mange vahshat-e-shor-e-tamasha hai ki juun nik.hat-e-gul namak-e-zakhm-e-jigar bal-fishani mange gar mile hazrat-e-'bedil' ka khat-e-lauh-e-mazar 'asad' a.in-e-parvaz-e-ma.ani mange rang ne gul se dam-e-arz-e-pareshani-e-bazm barg-e-gul reza-e-mina ki nishani mange naqsh fariyadi hai kis ki shokhi-e-tahrir ka kaghzi hai pairahan har paikar-e-tasvir ka kaav kav-e-sakht-jani ha.e-tanha.i na puchh sub.h karna shaam ka laana hai ju-e-shir ka jazba-e-be-ikhtiyar-e-shauq dekha chahiye sina-e-shamshir se bahar hai dam shamshir ka agahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichha.e mudda.a anqa hai apne alam-e-taqrir ka bas-ki huun 'ghalib' asiri men bhi atish zer-e-pa mu-e-atish diida hai halqa miri zanjir ka atishin-pa huun gudaz-e-vahshat-e-zindan na puchh mu-e-atish diida hai har halqa yaan zanjir ka shokhi-e-nairang said-e-vahshat-e-ta.us hai dam-e-sabza men hai parvaz-e-chaman taskhir ka lazzat-e-ijad-e-naz afsun-e-arz-e-zauq-e-qatl na.al atish men hai tegh-e-yar se nakhchir ka khisht pusht-e-dast-e-ijz o qalib aghosh-e-vida.a pur hua hai sail se paimana kis ta.amir ka vahshat-e-khvab-e-adam shor-e-tamasha hai 'asad' jo maza jauhar nahin a.ina-e-ta.abir ka nashsha-ha shadab-e-rang o saz-ha mast-e-tarab shisha-e-mai sarv-e-sabz-e-ju-e-bar-e-naghma hai ham-nashin mat kah ki barham kar na bazm-e-aish-e-dost vaan to mere naale ko bhi e'tibar-e-naghma hai naved-e-amn hai bedad-e-dost jaan ke liye rahi na tarz-e-sitam koi asman ke liye bala se gar mizha-e-yar tishna-e-khun hai rakhun kuchh apni bhi mizhgan-e-khun fishan ke liye vo zinda ham hain ki hain ru-shanas-e-khalq ai khizr na tum ki chor bane umr-e-javedan ke liye raha bala men bhi main mubtala-e-afat-e-rashk bala-e-jan hai ada teri ik jahan ke liye falak na duur rakh us se mujhe ki main hi nahin daraz-dasti-e-qatil ke imtihan ke liye misal ye miri koshish ki hai ki murgh-e-asir kare qafas men faraham khas ashiyan ke liye gada samajh ke vo chup tha miri jo shamat aa.i uTha aur uTh ke qadam main ne pasban ke liye ba-qadr-e-shauq nahin zarf-e-tangna-e-ghazal kuchh aur chahiye vus.at mire bayan ke liye diya hai khalq ko bhi ta use nazar na lage bana hai aish tajammul husain khaan ke liye zaban pe bar-e-khudaya ye kis ka naam aaya ki mere nutq ne bose miri zaban ke liye nasir-e-daulat-o-din aur muin-e-millat-o-mulk bana hai charkh-e-barin jis ke astan ke liye zamana ahd men us ke hai mahv-e-ara.ish banenge aur sitare ab asman ke liye varaq tamam hua aur mad.h baaqi hai safina chahiye is bahr-e-be-karan ke liye ada-e-khas se 'ghalib' hua hai nukta-sara sala-e-am hai yaran-e-nukta-dan ke liye nikohish hai saza fariyadi-e-be-dad-e-dilbar ki mabada khanda-e-dandan-numa ho sub.h mahshar ki rag-e-laila ko khak-e-dasht-e-majnun reshgi bakhshe agar bove baja-e-dana dahqan nok nishtar ki par-e-parvana shayad badban-e-kashti-e-mai tha hui majlis ki garmi se ravani daur-e-saghar ki karun be-dad-e-zauq-e-par-fishani arz kya qudrat ki taqat uD ga.i uDne se pahle mere shahpar ki kahan tak ro.uun us ke kheme ke pichhe qayamat hai miri qismat men ya-rab kya na thi divar patthar ki ba-juz divangi hota na anjam-e-khud-ara.i agar paida na karta aa.ina zanjir jauhar ki ghurur-e-lutf-e-saqi nashsha-e-be-baki-e-mastan nam-e-daman-e-isyan hai taravat mauj-e-kausar ki mira dil mangte hain ariyat ahl-e-havas shayad ye jaana chahte hain aaj davat men samundar ki 'asad' juz ab-e-bakhshidan ze-dariya khizr ko kya tha Dubota chashma-e-haivan men gar kashti sikandar ki nukta-chin hai gham-e-dil us ko suna.e na bane kya bane baat jahan baat bana.e na bane main bulata to huun us ko magar ai jazba-e-dil us pe ban jaa.e kuchh aisi ki bin aa.e na bane khel samjha hai kahin chhoD na de bhuul na jaa.e kaash yuun bhi ho ki bin mere sata.e na bane ghair phirta hai liye yuun tire khat ko ki agar koi puchhe ki ye kya hai to chhupa.e na bane is nazakat ka bura ho vo bhale hain to kya haath aaven to unhen haath laga.e na bane kah sake kaun ki ye jalvagari kis ki hai parda chhoDa hai vo us ne ki uTha.e na bane maut ki raah na dekhun ki bin aa.e na rahe tum ko chahun ki na aao to bula.e na bane bojh vo sar se gira hai ki uTha.e na uThe kaam vo aan paDa hai ki bana.e na bane ishq par zor nahin hai ye vo atish 'ghalib' ki laga.e na lage aur bujha.e na bane ohde se mad.h-e-naz ke bahar na aa saka gar ik ada ho to use apni qaza kahun halqe hain chashm-ha-e-kushada ba-su-e-dil har tar-e-zulf ko nigah-e-surma-sa kahun main aur sad-hazar nava-e-jigar-kharash tu aur ek vo na-shunidan ki kya kahun zalim mire guman se mujhe munfa.il na chaah hai hai khuda-na-karda tujhe bevafa kahun pa-ba-daman ho raha huun bas-ki main sahra-navard khar-e-pa hain jauhar-e-a.ina-e-zanu mujhe dekhna halat mire dil ki ham-aghoshi ke vaqt hai nigah-e-ashna tera sar-e-har-mu mujhe huun sarapa saz-e-ahang-e-shikayat kuchh na puchh hai yahi behtar ki logon men na chheDe tu mujhe ba.is-e-vamandgi hai umr-e-fursat-ju mujhe kar diya hai pa-ba-zanjir-e-ram-e-ahu mujhe khak-e-fursat bar-sar-e-zauq-e-fana ai intizar hai ghubar-e-shisha-e-sa.at ram-e-ahu mujhe ham-zaban aaya nazar fikr-e-sukhan men tu mujhe mardumuk hai tuti-e-a.ina-e-zanu mujhe yad-e-mizhgan men ba-nashtar-e-zar-e-sauda-e-khayal chahiye vaqt-e-tapish yak-dast sad-pahlu mujhe iztirab-e-umr be-matlab nahin akhir ki hai justuju-e-fursat-e-rabt-e-sar-e-zanu mujhe chahiye darman-e-rish-e-dil bhi tegh-e-yar se maram-e-zangar hai vo vasma-e-abru mujhe kasrat-e-jaur-o-sitam se ho gaya huun be-dimagh khub-ruyon ne banaya 'ghalib'-e-bad-khu mujhe fursat-e-aram-e-ghash hasti hai bohran-e-adam hai shikast-e-rang-e-imkan gardish-e-pahlu mujhe saz-e-ima-e-fana hai alam-e-piri 'asad' qamat-e-kham se hai hasil shokhi-e-abru mujhe pa.e-nazr-e-karam tohfa hai sharm-e-na-rasa.i ka ba-khun-ghaltida-e-sad-rang da.ava parsa.i ka na ho husn-e-tamasha-dost rusva bevafa.i ka ba-mohr-e-sad-nazar sabit hai da.ava parsa.i ka zakat-e-husn de ai jalva-e-binish ki mehr-asa charagh-e-khana-e-darvesh ho kaasa gada.i ka na maara jaan kar be-jurm ghafil teri gardan par raha manind-e-khun-e-be-gunah haq ashna.i ka tamanna-e-zaban mahv-e-sipas-e-be-zabani hai miTa jis se taqaza shikva-e-be-dast-o-pa.i ka vahi ik baat hai jo yaan nafas vaan nik.hat-e-gul hai chaman ka jalva baa.is hai miri rangin-nava.i ka dahan-e-har-but-e-paighara-ju zanjir-e-rusva.i adam tak bevafa charcha hai teri bevafa.i ka na de naale ko itna tuul 'ghalib' mukhtasar likh de ki hasrat-sanj huun arz-e-sitam-ha-e-juda.i ka jahan miT jaa.e sa.i-e-did khizrabad-e-asa.ish ba-jeb-e-har-nigah pinhan hai hasil rahnuma.i ka ba-ijz-abad vahm-e-mudda.a tasli-e-shokhi hai taghaful ko na kar masruf-e-tamkin-azma.i ka 'asad' ka qissa tulani hai lekin mukhtasar ye hai ki hasrat-kash raha arz-e-sitam-ha-e-juda.i ka havas gustakhi-e-a.ina taklif-e-nazar-bazi ba-jeb-e-arzu pinhan hai hasil dilruba.i ka nazar-bazi tilism-e-vahshat-abad-e-paristan hai raha begana-e-tasir afsun ashna.i ka na paaya dardmand-e-duri-e-yaran-e-yak-dil ne savad-e-khatt-e-peshani se nuskha momya.i ka 'asad' ye ijz-o-be-samani-e-fir.aun-e-tauam hai jise tu bandagi kahta hai da.ava hai khuda.i ka phir hua vaqt ki ho bal-kusha mauj-e-sharab de bat-e-mai ko dil-o-dast-e-shana mauj-e-sharab puchh mat vaj.h-e-siyah-masti-e-arbab-e-chaman saya-e-tak men hoti hai hava mauj-e-sharab jo hua gharqa-e-mai bakht-e-rasa rakhta hai sar se guzre pe bhi hai bal-e-huma mauj-e-sharab hai ye barsat vo mausam ki ajab kya hai agar mauj-e-hasti ko kare faiz-e-hava mauj-e-sharab chaar mauj uThti hai tufan-e-tarab se har su mauj-e-gul mauj-e-shafaq mauj-e-saba mauj-e-sharab jis qadar ruh-e-nabati hai jigar tishna-e-naz de hai taskin ba-dam-e-ab-e-baqa mauj-e-sharab bas-ki dauDe hai rag-e-tak men khuun ho ho kar shahpar-e-rang se hai bal-kusha mauj-e-sharab mauja-e-gul se charaghan hai guzar-gah-e-khayal hai tasavvur men zi-bas jalva-numa mauj-e-sharab nashshe ke parde men hai mahv-e-tamasha-e-dimagh bas-ki rakhti hai sar-e-nash-o-numa mauj-e-sharab ek aalam pe hain tufani-e-kaifiyat-e-fasl mauja-e-sabza-e-nau-khez se ta mauj-e-sharab sharh-e-hangama-e-hasti hai zahe mausam-e-gul rah-bar-e-qatra-ba-dariya hai khosha mauj-e-sharab hosh uDte hain mire jalva-e-gul dekh 'asad' phir hua vaqt ki ho bal-kusha mauj-e-sharab phir is andaz se bahar aa.i ki hue mehr-o-mah tamasha.i dekho ai sakinan-e-khitta-e-khak is ko kahte hain alam-ara.i ki zamin ho ga.i hai sar-ta-sar ru-kash-e-sat.h-e-charkh-e-mina.i sabza ko jab kahin jagah na mili ban gaya ru-e-ab par kaa.i sabza o gul ke dekhne ke liye chashm-e-nargis ko di hai bina.i hai hava men sharab ki tasir bada-noshi hai bada-paima.i kyuun na duniya ko ho khushi 'ghalib' shah-e-din-dar ne shifa paa.i phir kuchh ik dil ko be-qarari hai siina juya-e-zakhm-e-kari hai phir jigar khodne laga nakhun amad-e-fasl-e-lala-kari hai qibala-e-maqsad-e-nigah-e-niyaz phir vahi parda-e-amari hai chashm dallal-e-jins-e-rusva.i dil kharidar-e-zauq-e-khvari hai vahi sad-rang nala-farsa.i vahi sad-gona ashk-bari hai dil hava-e-khiram-e-naz se phir mahsharistan-e-be-qarari hai jalva phir arz-e-naz karta hai roz bazar-e-jan-sipari hai phir usi bevafa pe marte hain phir vahi zindagi hamari hai phir khula hai dar-e-adalat-e-naz garm-bazar-e-faujdari hai ho raha hai jahan men andher zulf ki phir sirishta-dari hai phir diya para-e-jigar ne saval ek fariyad o ah-o-zari hai phir hue hain gavah-e-ishq talab ashk-bari ka hukm-jari hai dil o mizhgan ka jo muqaddama tha aaj phir us ki ru-bakari hai be-khudi be-sabab nahin 'ghalib' kuchh to hai jis ki parda-dari hai phir mujhe dida-e-tar yaad aaya dil jigar tishna-e-faryad aaya dam liya tha na qayamat ne hanuz phir tira vaqt-e-safar yaad aaya sadgi-ha-e-tamanna ya.ani phir vo nairang-e-nazar yaad aaya uzr-e-vamandagi ai hasrat-e-dil naala karta tha jigar yaad aaya zindagi yuun bhi guzar hi jaati kyuun tira rahguzar yaad aaya kya hi rizvan se laDa.i hogi ghar tira khuld men gar yaad aaya aah vo jur.at-e-fariyad kahan dil se tang aa ke jigar yaad aaya phir tire kuche ko jaata hai khayal dil-e-gum-gashta magar yaad aaya koi virani si virani hai dasht ko dekh ke ghar yaad aaya main ne majnun pe laDakpan men 'asad' sang uThaya tha ki sar yaad aaya vasl men hijr ka Dar yaad aaya ain jannat men saqar yaad aaya pinas men guzarte hain jo kuche se vo mere kandha bhi kaharon ko badalne nahin dete qafas men huun gar achchha bhi na janen mere shevan ko mira hona bura kya hai nava-sanjan-e-gulshan ko nahin gar hamdami asan na ho ye rashk kya kam hai na di hoti khudaya arzu-e-dost dushman ko na nikla aankh se teri ik aansu us jarahat par kiya siine men jis ne khun-chakan mizhgan-e-sozan ko khuda sharma.e hathon ko ki rakhte hain kashakash men kabhi mere gareban ko kabhi janan ke daman ko abhi ham qatl-gah ka dekhna asan samajhte hain nahin dekha shanavar ju-e-khun men tere tausan ko hua charcha jo mere paanv ki zanjir banne ka kiya betab kaan men jumbish-e-jauhar ne aahan ko khushi kya khet par mere agar sau baar abr aave samajhta huun ki DhunDe hai abhi se barq khirman ko vafa-dari ba-shart-e-ustuvari asl iman hai mare but-khane men to ka.abe men gaaDo barahman ko shahadat thi miri qismat men jo di thi ye khu mujh ko jahan talvar ko dekha jhuka deta tha gardan ko na luTta din ko to kab raat ko yuun be-khabar sota raha khaTka na chori ka dua deta huun rahzan ko sukhan kya kah nahin sakte ki juuya huun javahir ke jigar kya ham nahin rakhte ki khoden ja ke ma.adan ko mire shah-e-sulaiman-jah se nisbat nahin 'ghalib' faridun o jam o ke khusrav o darab o bahman ko qatra-e-mai bas-ki hairat se nafas-parvar hua khatt-e-jam-e-mai sarasar rishta-e-gauhar hua e'tibar-e-ishq ki khana-kharabi dekhna ghair ne ki aah lekin vo khafa mujh par hua garmi-e-daulat hui atish-zan-e-nam-e-niko khana-e-khatim men yaqut-e-nagin akhtar hua nashsha men gum-karda-rah aaya vo mast-e-fitna-khu aaj rang-rafta daur-e-gardish-e-saghar hua dard se dar-parda di mizhgan-siyahan ne shikast reza reza ustukhan ka post men nashtar hua zohd gardidan hai gard-e-khana-ha-e-mun.iman dana-e-tasbih se main mohra-dar-shashdar hua ai ba-zabt-e-hal-e-na-afsurdagan josh-e-junun nashsha-e-mai hai agar yak-parda nazuk-tar hua is chaman men resha-dari jis ne sar khencha 'asad' tar zaban-e-lutf-e-am-e-saqi-e-kausar hua qayamat hai ki sun laila ka dasht-e-qais men aana ta.ajjub se vo bola yuun bhi hota hai zamane men dil-e-nazuk pe us ke rahm aata hai mujhe 'ghalib' na kar sargarm us kafir ko ulfat azmane men raftar-e-umr qat-e-rah-e-iztirab hai is saal ke hisab ko barq aftab hai mina-e-mai hai sarv nashat-e-bahar se bal-e-tadrrav jalva-e-mauj-e-sharab hai zakhmi hua hai pashna pa-e-sabat ka ne bhagne ki guun na iqamat ki taab hai jadad-e-bada-noshi-e-rindan hai shash-jihat ghafil guman kare hai ki geti kharab hai nazzara kya harif ho us barq-e-husn ka josh-e-bahar jalve ko jis ke naqab hai main na-murad dil ki tasalli ko kya karun maana ki tere rukh se nigah kamyab hai guzra 'asad' masarrat-e-paigham-e-yar se qasid pe mujh ko rashk-e-saval-o-javab hai zahir hai tarz-e-qaid se sayyad ki gharaz jo daana daam men hai so ashk-e-kabab hai be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-lala-zar ya.ani ye har varaq varaq-e-intikhab hai raha gar koi ta-qayamat salamat phir ik roz marna hai hazrat-salamat jigar ko mire ishq-e-khun-naba-mashrab likhe hai khudavand-e-nemat salamat alarraghm-e-dushamn shahid-e-vafa huun mubarak mubarak salamat salamat nahin gar sar-o-barg-e-idrak-e-ma.ani tamasha-e-nairang-e-surat salamat do-alam ki hasti pe khatt-e-fana khinch dil-o-dast-e-arbab-e-himmat salamat nahin gar ba-kam-e-dil-e-khasta gardun jigar-khai-e-josh-e-hasrat salamat na auron ki sunta na kahta huun apni sar-e-khasta dushvar-e-vahshat salamat vafur-e-bala hai hujum-e-vafa hai salamat malamat malamat salamat na fikr-e-salamat na bim-e-malamat ze-khud-raftagi-ha-e-hairat salamat rahe 'ghalib'-e-khasta maghlub-e-gardun ye kya be-niyazi hai hazrat-salamat rahiye ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho ham-sukhan koi na ho aur ham-zaban koi na ho be-dar-o-divar sa ik ghar banaya chahiye koi ham-saya na ho aur pasban koi na ho paDiye gar bimar to koi na ho timardar aur agar mar ja.iye to nauha-khvan koi na ho rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai nabz-e-bimar-e-vafa dud-e-charagh-e-kushta hai dil-lagi ki aarzu bechain rakhti hai hamen varna yaan be-raunaqi sud-e-charagh-e-kushta hai nashsha-e-mai be-chaman dud-e-charagh-e-kushta hai jaam dagh-e-shola-andud-e-charagh-e-kushta hai dagh-e-rabt-e-ham hain ahl-e-bagh gar gul ho shahid laala chashm-e-hasrat-alud-e-charagh-e-kushta hai shor hai kis bazm ki arz-e-jarahat-khana ka sub.h yak-bazm-e-namak sud-e-charagh-e-kushta hai rashk kahta hai ki us ka ghair se ikhlas haif aql kahti hai ki vo be-mehr kis ka ashna zarra zarra saghar-e-mai-khana-e-nai-rang hai gardish-e-majnun ba-chashmak-ha-e-laila ashna shauq hai saman-taraz-e-nazish-e-arbab-e-ajz zarra sahra-dast-gah o qatra dariya-ashna main aur ek aafat ka TukDa vo dil-e-vahshi ki hai afiyat ka dushman aur avargi ka ashna shikva-sanj-e-rashk-e-ham-digar na rahna chahiye mera zaanu monis aur a.ina tera ashna kohkan naqqash-e-yak-timsal-e-shirin tha 'asad' sang se sar maar kar hove na paida ashna khud-parasti se rahe baham-digar na-ashna bekasi meri sharik a.ina tera ashna atish-e-mu-e-dimagh-e-shauq hai tera tapak varna ham kis ke hain ai dagh-e-tamanna ashna jauhar-e-a.ina juz ramz-e-sar-e-mizhgan nahin ashna ki ham-digar samjhe hai iima ashna rabt-e-yak-shiraza-e-vahshat hain ajza-e-bahar sabza begana saba avara gul na-ashna be-dimaghi shikva-sanj-e-rashk-e-ham-digar nahin yaar tera jam-e-mai khamyaza mera ashna rondi hui hai kaukaba-e-shahryar ki itra.e kyuun na khaak sar-e-rahguzar ki jab us ke dekhne ke liye aa.en badshah logon men kyuun numud na ho lala-zar ki bhuke nahin hain sair-e-gulistan ke ham vale kyunkar na kha.iye ki hava hai bahar ki rone se aur ishq men bebak ho ga.e dho.e ga.e ham itne ki bas paak ho ga.e sarf-e-baha-e-mai hue alat-e-mai-kashi the ye hi do hisab so yuun paak ho ga.e rusva-e-dahr go hue avargi se tum baare tabi.aton ke to chalak ho ga.e kahta hai kaun nala-e-bulbul ko be-asar parde men gul ke laakh jigar chaak ho ga.e puchhe hai kya vajud o adam ahl-e-shauq ka aap apni aag ke khas-o-khashak ho ga.e karne ga.e the us se taghaful ka ham gila ki ek hi nigah ki bas khaak ho ga.e is rang se uTha.i kal us ne 'asad' ki na.ash dushman bhi jis ko dekh ke ghamnak ho ga.e rukh-e-nigar se hai soz-e-javidani-e-sham.a hui hai atish-e-gul ab-e-zindagani-e-sham.a zaban-e-ahl-e-zaban men hai marg-e-khamoshi ye baat bazm men raushan hui zabani-e-sham.a kare hai sarf ba-ima-e-sho.ala qissa tamam ba-tarz-e-ahl-e-fana hai fasana-khvani-e-sham.a gham us ko hasrat-e-parvana ka hai ai sho.ale tire larazne se zahir hai na-tavani-e-sham.a tire khayal se ruuh ehtizaz karti hai ba-jalva-rezi-e-bad-o-ba-par-fishani-e-sham.a nashat-e-dagh-e-gham-e-ishq ki bahar na puchh shaguftagi hai shahid-e-gul-e-khizani-e-sham.a jale hai dekh ke balin-e-yar par mujh ko na kyuun ho dil pe mire dagh-e-bad-gumani-e-sham.a sadgi par us ki mar jaane ki hasrat dil men hai bas nahin chalta ki phir khanjar kaf-e-qatil men hai dekhna taqrir ki lazzat ki jo us ne kaha main ne ye jaana ki goya ye bhi mere dil men hai garche hai kis kis bura.i se vale ba.in-hama zikr mera mujh se behtar hai ki us mahfil men hai bas hujum-e-na-umidi khaak men mil ja.egi ye jo ik lazzat hamari sa.i-e-be-hasil men hai ranj-e-rah kyuun khinchiye vamandagi ko ishq hai uTh nahin sakta hamara jo qadam manzil men hai jalva zar-e-atish-e-dozakh hamara dil sahi fitna-e-shor-e-qayamat kis ke ab-o-gil men hai hai dil-e-shorida-e-'ghalib' tilism-e-pech-o-tab rahm kar apni tamanna par ki kis mushkil men hai sab kahan kuchh lala-o-gul men numayan ho ga.iin khaak men kya suraten hongi ki pinhan ho ga.iin yaad thiin ham ko bhi ranga-rang bazm-ara.iyan lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisyan ho ga.iin thiin banat-un-nash-e-gardun din ko parde men nihan shab ko un ke ji men kya aa.i ki uryan ho ga.iin qaid men yaqub ne li go na yusuf ki khabar lekin ankhen rauzan-e-divar-e-zindan ho ga.iin sab raqibon se hon na-khush par zanan-e-misr se hai zulekha khush ki mahv-e-mah-e-kan.an ho ga.iin ju-e-khun ankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq main ye samjhunga ki sham.en do farozan ho ga.iin in pari-zadon se lenge khuld men ham intiqam qudrat-e-haq se yahi huren agar vaan ho ga.iin niind us ki hai dimagh us ka hai raten us ki hain teri zulfen jis ke baazu par pareshan ho ga.iin main chaman men kya gaya goya dabistan khul gaya bulbulen sun kar mire naale ghazal-khvan ho ga.iin vo nigahen kyuun hui jaati hain ya-rab dil ke paar jo miri kotahi-e-qismat se mizhgan ho ga.iin bas-ki roka main ne aur siine men ubhrin pai-ba-pai meri aahen bakhiya-e-chak-e-gareban ho ga.iin vaan gaya bhi main to un ki galiyon ka kya javab yaad thiin jitni dua.en sarf-e-darban ho ga.iin jan-fiza hai baada jis ke haath men jaam aa gaya sab lakiren haath ki goya rag-e-jan ho ga.iin ham muvahhid hain hamara kesh hai tark-e-rusum millaten jab miT ga.iin ajza-e-iman ho ga.iin ranj se khugar hua insan to miT jaata hai ranj mushkilen mujh par paDin itni ki asan ho ga.iin yuun hi gar rota raha 'ghalib' to ai ahl-e-jahan dekhna in bastiyon ko tum ki viran ho ga.iin sad jalva ru-ba-ru hai jo mizhgan uTha.iye taqat kahan ki diid ka ehsan uTha.iye hai sang par barat-e-ma.ash-e-junun-e-ishq ya.ani hunuz minnat-e-tiflan uTha.iye divar bar-e-minnat-e-mazdur se hai kham ai khanuman-kharab na ehsan uTha.iye ya mere zakhm-e-rashk ko rusva na kijiye ya parda-e-tabassum-e-pinhan uTha.iye hasti fareb-nama-e-mauj-e-sarab hai yak umr naz-e-shokhi-e-unvan uTha.iye safa-e-hairat-e-a.ina hai saman-e-zang akhir taghayyur ab-e-bar-ja-manda ka paata hai rang akhir na ki saman-e-aish-o-jah ne tadbir vahshat ki hua jam-e-zumurrad bhi mujhe dagh-e-palang akhir khat-e-nau-khez nil-e-chashm zakhm-e-safi-e-ariz liya a.ina ne hirz-e-par-e-tuti ba-chang akhir hilal-asa tahi rah gar kushadan-ha-e-dil chahe hua mah kasrat-e-sarmaya-andozi se tang akhir taDap kar mar gaya vo said-e-bal-afshan ki muztar tha hua nasu-e-chashm-e-ta.aziyat chashm-e-khadang akhir likhi yaron ki bad-masti ne maikhane ki pamali hui qatra-fishani-ha-e-mai-baran-e-sang akhir 'asad' parde men bhi ahang-e-shauq-e-yar qaa.em hai nahin hai naghme se khali khamidan-ha-e-chang akhir sar-gashtagi men alam-e-hasti se yaas hai taskin ko de naved ki marne ki aas hai leta nahin mire dil-e-avara ki khabar ab tak vo janta hai ki mere hi paas hai kijiye bayan surur-e-tap-e-gham kahan talak har mu mire badan pe zaban-e-sipas hai hai vo ghurur-e-husn se begana-e-vafa har-chand us ke paas dil-e-haq-shanas hai pi jis qadar mile shab-e-mahtab men sharab is balghami-mizaj ko garmi hi raas hai har ik makan ko hai makin se sharaf 'asad' majnun jo mar gaya hai to jangal udaas hai kya gham hai us ko jis ka 'ali' sa imaam ho itna bhi ai falak-zada kyuun bad-havas hai sarapa rehn-e-ishq-o-na-guzir-e-ulfat-e-hasti ibadat barq ki karta huun aur afsos hasil ka ba-qadr-e-zarf hai saaqi khumar-e-tishna-kami bhi jo tu dariya-e-mai hai to main khamyaza huun sahil ka zi-bas khun-gashta-e-rashk-e-vafa tha vahm bismil ka churaya zakhm-ha-e-dil ne paani tegh-e-qatil ka nigah-e-chashm-e-hasid vaam le ai zauq-e-khud-bini tamasha.i huun vahdat-khana-e-a.ina-e-dil ka sharar-fursat nigah saman-e-yak-alam charaghan hai ba-qadr-e-rang yaan gardish men hai paimana mahfil ka sarasar takhtan ko shash-jihat yak-arsa jaulan tha hua vamandgi se rah-ravan ki farq manzil ka mujhe rah-e-sukhan men khauf-e-gum-rahi nahin ghalib asa-e-khizr-e-sahra-e-sukhan hai khama be-dil ka sata.ish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizvan ka vo ik guldasta hai ham be-khudon ke taq-e-nisyan ka bayan kya kijiye be-dad-e-kavish-ha-e-mizhgan ka ki har yak qatra-e-khun daana hai tasbih-e-marjan ka na aa.i satvat-e-qatil bhi maane mere nalon ko liya danton men jo tinka hua resha niyastan ka dikha.unga tamasha di agar fursat zamane ne mira har dagh-e-dil ik tukhm hai sarv-e-charaghan ka kiya a.ina-khane ka vo naqsha tere jalve ne kare jo partav-e-khurshid aalam shabnamistan ka miri ta.amir men muzmar hai ik surat kharabi ki hayula barq-e-khirman ka hai khun-e-garm dahqan ka uga hai ghar men har su sabza virani tamasha kar madar ab khodne par ghaas ke hai mere darban ka khamoshi men nihan khun-gashta lakhon arzuen hain charagh-e-murda huun main be-zaban gor-e-ghariban ka hanuz ik partav-e-naqsh-e-khayal-e-yar baaqi hai dil-e-afsurda goya hujra hai yusuf ke zindan ka baghal men ghair ki aaj aap sote hain kahin varna sabab kya khvab men aa kar tabassum-ha-e-pinhan ka nahin ma.alum kis kis ka lahu paani hua hoga qayamat hai sarishk-aluda hona teri mizhgan ka nazar men hai hamari jada-e-rah-e-fana 'ghalib' ki ye shiraza hai aalam ke ajza-e-pareshan ka shab khumar-e-shauq-e-saqi rustakhez-andaza tha ta-muhit-e-bada surat khana-e-khamyaza tha yak qadam vahshat se dars-e-daftar-e-imkan khula jaada ajza-e-do-alam dasht ka shiraza tha mana-e-vahshat-khirami-ha-e-laila kaun hai khana-e-majnun-e-sahra-gard be-darvaza tha puchh mat rusva.i-e-andaz-e-istighna-e-husn dast marhun-e-hina rukhsar rahn-e-ghaza tha nala-e-dil ne diye auraq-e-lakht-e-dil ba-bad yad-gar-e-nala ik divan-e-be-shiraza tha huun charaghan-e-havas juun kaghaz-e-atish-zada daagh garm-e-koshish-e-ijad-e-dagh-e-taza tha be-nava.i tar sada-e-naghma-e-shohrat 'asad' boriya yak nistan-alam buland avaza tha shab ki barq-e-soz-e-dil se zahra-e-abr aab tha sho.ala-e-javvala har yak halqa-e-girdab tha vaan karam ko uzr-e-barish tha inan-gir-e-khiram girye se yaan pumba-e-balish kaf-e-sailab tha vaan khud-ara.i ko tha moti pirone ka khayal yaan hujum-e-ashk men tar-e-nigah nayab tha jalva-e-gul ne kiya tha vaan charaghan aabju yaan ravan mizhgan-e-chashm-e-tar se khun-e-nab tha yaan sar-e-pur-shor be-khvabi se tha divar-ju vaan vo farq-e-naz mahv-e-balish-e-kim-khvab tha yaan nafas karta tha raushan sham-e-bazm-e-be-khudi jalva-e-gul vaan bisat-e-sohbat-e-ahbab tha farsh se ta arsh vaan tufan tha mauj-e-rang ka yaan zamin se asman tak sokhtan ka baab tha na-gahan is rang se khunaba Tapkane laga dil ki zauq-e-kavish-e-nakhun se lazzat-yab tha shab ki vo majlis-faroz-e-khalvat-e-namus tha rishta-e-har-sham.a khar-e-kisvat-e-fanus tha mash.had-e-ashiq se koson tak jo ugti hai hina kis qadar ya-rab halak-e-hasrat-e-pa-bos tha hasil-e-ulfat na dekha juz-shikast-e-arzu dil-ba-dil paivasta goya yak lab-e-afsos tha kya kahun bimari-e-gham ki faraghat ka bayan jo ki khaya khun-e-dil be-minnat-e-kaimus tha shabnam ba-gul-e-lala na khali z-ada hai dagh-e-dil-e-bedard nazar-gah-e-haya hai dil khun-shuda-e-kashmakash-e-hasrat-e-didar a.ina ba-dast-e-but-e-bad-mast hina hai shole se na hoti havas-e-shola ne jo ki ji kis qadar afsurdagi-e-dil pe jala hai timsal men teri hai vo shokhi ki ba-sad-zauq a.ina ba-andaz-e-gul aghosh-kusha hai qumri kaf-e-khakistar o bulbul qafas-e-rang ai naala nishan-e-jigar-e-sokhta kya hai khu ne tiri afsurda kiya vahshat-e-dil ko mashuqi o be-hauslagi tarfa bala hai majburi o dava-e-giraftari-e-ulfat dast-e-tah-e-sang-amda paiman-e-vafa hai malum hua hal-e-shahidan-e-guzashta tegh-e-sitam a.ina-e-tasvir-numa hai ai partav-e-khurshid-e-jahan-tab idhar bhi saa.e ki tarah ham pe ajab vaqt paDa hai na-karda gunahon ki bhi hasrat ki mile daad ya rab agar in karda gunahon ki saza hai beganagi-e-khalq se be-dil na ho 'ghalib' koi nahin tera to miri jaan khuda hai shauq har rang raqib-e-sar-o-saman nikla qais tasvir ke parde men bhi uryan nikla zakhm ne daad na di tangi-e-dil ki ya rab tiir bhi sina-e-bismil se par-afshan nikla bu-e-gul nala-e-dil dud-e-charagh-e-mahfil jo tiri bazm se nikla so pareshan nikla dil-e-hasrat-zada tha ma.ida-e-lazzat-e-dard kaam yaron ka ba-qadr-e-lab-o-dandan nikla thi nau-amuz-e-fana himmat-e-dushvar-pasand sakht mushkil hai ki ye kaam bhi asan nikla dil men phir girye ne ik shor uThaya 'ghalib' aah jo qatra na nikla tha so tufan nikla kar-khane se junun ke bhi main uryan nikla meri qismat ka na ek-adh gareban nikla saghar-e-jalva-e-sarshar hai har zarra-e-khak shauq-e-didar bala a.ina-saman nikla kuchh khaTakta tha mire siine men lekin akhir jis ko dil kahte the so tiir ka paikan nikla kis qadar khaak hua hai dil-e-majnun ya rab naqsh-e-har-zarra suvaida-e-bayaban nikla shor-e-rusva.i-e-dil dekh ki yak-nala-e-shauq laakh parde men chhupa par vahi uryan nikla shokhi-e-rang-e-hina khun-e-vafa se kab tak akhir ai ahd-shikan tu bhi pasheman nikla jauhar-ijad-e-khat-e-sabz hai khud-bini-e-husn jo na dekha tha so a.ine men pinhan nikla main bhi mazur-e-junun huun 'asad' ai khana-kharab peshva lene mujhe ghar se bayaban nikla shikve ke naam se be-mehr khafa hota hai ye bhi mat kah ki jo kahiye to gila hota hai pur huun main shikve se yuun raag se jaise baaja ik zara chheDiye phir dekhiye kya hota hai go samajhta nahin par husn-e-talafi dekho shikva-e-jaur se sargarm-e-jafa hota hai ishq ki raah men hai charkh-e-makaukab ki vo chaal sust-rau jaise koi abla-pa hota hai kyuun na Thahren hadaf-e-navak-e-bedad ki ham aap uTha laate hain gar tiir khata hota hai khuub tha pahle se hote jo ham apne bad-khvah ki bhala chahte hain aur bura hota hai naala jaata tha pare arsh se mera aur ab lab tak aata hai jo aisa hi rasa hota hai khama mera ki vo hai bar-bud-e-bazm-e-sukhan shaah ki mad.h men yuun naghma-sara hota hai ai shahanshah-e-kavakib sipah-o-mehr-e-alam tere ikram ka haq kis se ada hota hai saat aqlim ka hasil jo faraham kiije to vo lashkar ka tire nal-e-baha hota hai har mahine men jo ye badr se hota hai hilal astan par tire mah nasiya sa hota hai main jo gustakh huun a.in-e-ghazal-khvani men ye bhi tera hi karam zauq-faza hota hai rakhiyo 'ghalib' mujhe is talkh-nava.i men muaaf aaj kuchh dard mire dil men siva hota hai shumar-e-sub.ha marghub-e-but-e-mushkil-pasand aaya tamasha-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aaya ba-faiz-e-be-dili naumidi-e-javed asan hai kushayish ko hamara uqda-e-mushkil-pasand aaya hava-e-sair-e-gul a.ina-e-be-mehri-e-qatil ki andaz-e-ba-khun-ghaltidan-e-bismil-pasand aaya ravani-ha-e-mauj-e-khun-e-bismil se Tapakta hai ki lutf-e-be-tahasha-raftan-e-qatil-pasand aaya 'asad' har ja sukhan ne tarh-e-bagh-e-taza Daali hai mujhe rang-e-bahar-ijadi-e-be-dil-pasand aaya simab-pusht garmi-e-a.ina de hai ham hairan kiye hue hain dil-e-be-qarar ke aghosh-e-gul kushuda bara-e-vida hai ai andalib chal ki chale din bahar ke yuun bad-e-zabt-e-ashk phirun gird yaar ke paani piye kisu pe koi jaise vaar ke bad-az-vida-e-yar ba-khun dar tapida hain naqsh-e-qadam hain ham kaf-e-pa-e-nigar ke ham mashq-e-fikr-e-vasl-o-gham-e-hijr se 'asad' laa.eq nahin rahe hain gham-e-rozgar ke sitam-kash maslahat se huun ki khuban tujh pe ashiq hain takalluf bartaraf mil ja.ega tujh sa raqib akhir siyahi jaise gir jaa.e dam-e-tahrir kaghaz par miri qismat men yuun tasvir hai shab-ha-e-hijran ki kahun kya garm-joshi mai-kashi men sho.ala-ruyan ki ki sham-e-khana-e-dil atish-e-mai se farozan ki hamesha mujh ko tifli men bhi mashq-e-terah-rozi thi siyahi hai mire ayyam men lauh-e-dabistan ki daregh ah-e-sahar-gah kar-e-bad-e-sub.h karti hai ki hoti hai ziyada sard-mehri sham.a-ruyan ki mujhe apne junun ki be-takalluf parda-dari thi va-lekin kya karun aave jo rusva.i gareban ki hunar paida kiya hai main ne hairat-azma.i men ki jauhar aa.ine ka har palak hai chashm-e-hairan ki khudaya kis qadar ahl-e-nazar ne khaak chhani hai ki hain sad-rakhna juun ghirbal divaren gulistan ki hua sharm-e-tahi-dasti se se vo bhi sar-nigun akhir bas ai zakhm-e-jigar ab dekh le shorish namak-dan ki bayad-e-garmi-e-sohbat ba-rang-e-sho.ala dahke hai chhupa.un kyunki 'ghalib' sozishen dagh-e-numayan ki junun tohmat-kash-e-taskin na ho gar shadmani ki namak-pash-e-kharash-e-dil hai lazzat zindagani ki kashakash-ha-e-hasti se kare kya sa.i-e-azadi hui zanjir-e-mauj-e-ab ko fursat ravani ki na khinch ai sa.i-e-dast-e-na-rasa zulf-e-tamanna ko pareshan-tar hai mu-e-khama se tadbir maani ki kahan ham bhi rag-o-pai rakhte hain insaf bahattar hai na khinche taqat-e-khamyaza tohmat na-tavani ki takalluf-bartaraf farhad aur itni subukdasti khayal asan tha lekin khvab-e-khusrav ne girani ki pas-az-murdan bhi divana ziyarat-gah-e-tiflan hai sharar-e-sang ne turbat pe meri gul-fishani ki 'asad' ko boriye men dhar ke phunka mauj-e-hasti ne faqiri men bhi baaqi hai shararat naujavani ki surma-e-muft-e-nazar huun miri qimat ye hai ki rahe chashm-e-kharidar pe ehsan mera rukhsat-e-nala mujhe de ki mabada zalim tere chehre se ho zahir gham-e-pinhan mera khalvat-e-abila-e-pa men hai jaulan mera khuun hai dil tangi-e-vahshat se bayaban mera hasrat-e-nashsha-e-vahshat na ba-sa.i-e-dil hai arz-e-khamiyaza-e-majnun hai gareban mera fahm zanjiri-e-be-rabti-e-dil hai ya-rab kis zaban men hai laqab khvab-e-pareshan mera ta ham ko shikayat ki bhi baaqi na rahe ja sun lete hain go zikr hamara nahin karte 'ghalib' tira ahval suna denge ham un ko vo sun ke bula len ye ijara nahin karte taghaful-dost huun mera dimagh-e-ajz aali hai agar pahlu-tahi kiije to ja meri bhi khali hai raha abad aalam ahl-e-himmat ke na hone se bhare hain jis qadar jam-o-subu mai-khana khali hai tapish se meri vaqf-e-kashmakash har tar-e-bistar hai mira sar ranj-e-balin hai mira tan bar-e-bistar hai sarishk-e-sar ba-sahra daada nur-ul-ain-e-daman hai dil-e-be-dast-o-pa uftada bar-khurdar-e-bistar hai khusha iqbal-e-ranjuri ayadat ko tum aa.e ho farogh-e-sham-e-balin tala-e-bedar-e-bistar hai ba-tufan-gah-e-josh-e-iztirab-e-sham-e-tanha.i shua-e-aftab-e-sub.h-e-mahshar tar-e-bistar hai abhi aati hai bu balish se us ki zulf-e-mushkin ki hamari diid ko khvab-e-zulekha ar-e-bistar hai kahun kya dil ki kya halat hai hijr-e-yar men ghalib ki betabi se har-yak tar-e-bistar khar-e-bistar hai taskin ko ham na ro.en jo zauq-e-nazar mile huran-e-khuld men tiri surat magar mile apni gali men mujh ko na kar dafn bad-e-qatl mere pate se khalq ko kyuun tera ghar mile saqi-gari ki sharm karo aaj varna ham har shab piya hi karte hain mai jis qadar mile tujh se to kuchh kalam nahin lekin ai nadim mera salam kahiyo agar nama-bar mile tum ko bhi ham dikha.en ki majnun ne kya kiya fursat kashakash-e-gham-e-pinhan se gar mile lazim nahin ki khizr ki ham pairvi karen jaana ki ik buzurg hamen ham-safar mile ai sakinan-e-kucha-e-dildar dekhna tum ko kahin jo 'ghalib'-e-ashufta-sar mile tere tausan ko saba bandhte hain ham bhi mazmun ki hava bandhte hain aah ka kis ne asar dekha hai ham bhi ek apni hava bandhte hain teri fursat ke muqabil ai umr barq ko pa-ba-hina bandhte hain qaid-e-hasti se riha.i ma.alum ashk ko be-sar-o-pa bandhte hain nashsha-e-rang se hai vashud-e-gul mast kab band-e-qaba bandhte hain ghalati-ha-e-mazamin mat puchh log naale ko rasa bandhte hain ahl-e-tadbir ki vamandgiyan ablon par bhi hina bandhte hain saada purkar hain khuban 'ghalib' ham se paiman-e-vafa bandhte hain paanv men jab vo hina bandhte hain mere hathon ko juda bandhte hain husn-e-afsurda-dil-ha-rangin shauq ko pa-ba-hina bandhte hain qaid men bhi hai asiri azad chashm-e-zanjir ko va bandhte hain shaikh-ji ka.abe ka jaana ma.alum aap masjid men gadha bandhte hain kis ka dil zulf se bhaga ki 'asad' dast-e-shana ba-qaza bandhte hain tere bimar pe hain fariyadi vo jo kaghaz men dava bandhte hain tum apne shikve ki baten na khod khod ke puchho hazar karo mire dil se ki is men aag dabi hai dila ye dard-o-alam bhi to mughtanim hai ki akhir na girya-e-sahari hai na ah-e-nim-shabi hai nazar ba-naqs-e-gadayan kamal-e-be-adabi hai ki khar-e-khushk ko bhi dava-e-chaman-nasabi hai hua visal se shauq-e-dil-e-haris ziyada lab-e-qadah pe kaf-e-bada josh-e-tishna-labi hai khusha vo dil ki sarapa tilism-e-be-khabari ho junun o yaas o alam rizq-e-mudda.a-talabi hai chaman men kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamasha ki barg barg-e-saman shisha reza-e-halabi hai imam-e-zahir-o-batin amir-e-surat-o-ma.ani 'ali' vali asadullah janashin-e-nabi hai tum jaano tum ko ghair se jo rasm-o-rah ho mujh ko bhi puchhte raho to kya gunah ho bachte nahin muvakhaza-e-roz-e-hashr se qatil agar raqib hai to tum gavah ho kya vo bhi be-gunah-kush o haq-na-shanas hain maana ki tum bashar nahin khurshid o maah ho ubhra hua naqab men hai un ke ek taar marta huun main ki ye na kisi ki nigah ho jab mai-kada chhuTa to phir ab kya jagah ki qaid masjid ho madrasa ho koi khanqah ho sunte hain jo bahisht ki tarif sab durust lekin khuda kare vo tira jalva-gah ho 'ghalib' bhi gar na ho to kuchh aisa zarar nahin duniya ho ya rab aur mira badshah ho tu dost kasu ka bhi sitamgar na hua tha auron pe hai vo zulm ki mujh par na hua tha chhoDa mah-e-nakhshab ki tarah dast-e-qaza ne khurshid hunuz us ke barabar na hua tha taufiq ba-andaza-e-himmat hai azal se ankhon men hai vo qatra ki gauhar na hua tha jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka aalam main mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hua tha main sada-dil azurdagi-e-yar se khush huun ya.ani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha dariya-e-ma.asi tunuk-abi se hua khushk mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha jaari thi 'asad' dagh-e-jigar se miri tahsil atish-kada jagir-e-samundar na hua tha ug raha hai dar-o-divar se sabza 'ghalib' ham bayaban men hain aur ghar men bahar aa.i hai us bazm men mujhe nahin banti haya kiye baiTha raha agarche ishare hua kiye dil hi to hai siyasat-e-darban se Dar gaya main aur ja.un dar se tire bin sada kiye rakhta phirun huun khirqa o sajjada rahn-e-mai muddat hui hai davat ab-o-hava kiye be-sarfa hi guzarti hai ho garche umr-e-khizr hazrat bhi kal kahenge ki ham kya kiya kiye maqdur ho to khaak se puchhun ki ai la.iim tu ne vo ganj-ha-e-garan-maya kya kiye kis roz tohmaten na tarasha kiye adu kis din hamare sar pe na aare chala kiye sohbat men ghair ki na paDi ho kahin ye khu dene laga hai bosa baghair iltija kiye zid ki hai aur baat magar khu buri nahin bhule se us ne saikDon va.ade vafa kiye 'ghalib' tumhin kaho ki milega javab kya maana ki tum kaha kiye aur vo suna kiye vaan pahunch kar jo ghash aata pa.e-ham hai ham ko sad-rah ahang-e-zamin bos-e-qadam hai ham ko dil ko main aur mujhe dil mahv-e-vafa rakhta hai kis qadar zauq-e-giriftari-e-ham hai ham ko zof se naqsh-e-pa-e-mor hai tauq-e-gardan tire kuche se kahan taqat-e-ram hai ham ko jaan kar kiije taghaful ki kuchh ummid bhi ho ye nigah-e-ghalat-andaz to sam hai ham ko rashk-e-ham-tarhi o dard-e-asar-e-bang-e-hazin nala-e-murgh-e-sahar tegh-e-do-dam hai ham ko sar uDane ke jo vaade ko mukarrar chaha hans ke bole ki tire sar ki qasam hai ham ko dil ke khuun karne ki kya vaj.h va-lekin na-char pas-e-be-raunaqi-e-dida aham hai ham ko tum vo nazuk ki khamoshi ko fughan kahte ho ham vo aajiz ki taghaful bhi sitam hai ham ko lucknow aane ka baa.is nahin khulta yaani havas-e-sair-o-tamasha so vo kam hai ham ko maqta-e-silsila-e-shauq nahin hai ye shahr azm-e-sair-e-najaf-o-tauf-e-haram hai ham ko liye jaati hai kahin ek tavaqqo 'ghalib' jada-e-rah kashish-e-kaf-e-karam hai ham ko abr rota hai ki bazm-e-tarab amada karo barq hansti hai ki fursat koi dam hai ham ko vaan us ko haul-e-dil hai to yaan main huun sharm-sar ya.ani ye meri aah ki tasir se na ho apne ko dekhta nahin zauq-e-sitam ko dekh a.ina ta-ki dida-e-nakhchir se na ho varasta us se hain ki mohabbat hi kyuun na ho kiije hamare saath adavat hi kyuun na ho chhoDa na mujh men zo.af ne rang ikhtilat ka hai dil pe baar naqsh-e-mohabbat hi kyuun na ho hai mujh ko tujh se tazkira-e-ghair ka gila har-chand bar-sabil-e-shikayat hi kyuun na ho paida hui hai kahte hain har dard ki dava yuun ho to chara-e-gham-e-ulfat hi kyuun na ho Daala na be-kasi ne kisi se muamla apne se khinchta huun khajalat hi kyuun na ho hai aadmi baja.e khud ik mahshar-e-khayal ham anjuman samajhte hain khalvat hi kyuun na ho hangama-e-zabuni-e-himmat hai infi.al hasil na kiije dahr se ibrat hi kyuun na ho varastagi bahana-e-begangi nahin apne se kar na ghair se vahshat hi kyuun na ho miTta hai faut-e-fursat-e-hasti ka gham koi umr-e-aziz sarf-e-ibadat hi kyuun na ho us fitna-khu ke dar se ab uThte nahin 'asad' us men hamare sar pe qayamat hi kyuun na ho vo aa ke khvab men taskin-e-iztirab to de vale mujhe tapish-e-dil majal-e-khvab to de kare hai qatl lagavaT men tera ro dena tiri tarah koi tegh-e-nigah ko aab to de dikha ke jumbish-e-lab hi tamam kar ham ko na de jo bosa to munh se kahin javab to de pila de ok se saaqi jo ham se nafrat hai piyala gar nahin deta na de sharab to de 'asad' khushi se mire haath paanv phuul ga.e kaha jo us ne zara mere paanv daab to de ye kaun kahve hai abad kar hamen lekin kabhi zamana murad-e-dil-e-kharab to de vo firaq aur vo visal kahan vo shab-o-roz o mah-o-sal kahan fursat-e-karobar-e-shauq kise zauq-e-nazzara-e-jamal kahan dil to dil vo dimagh bhi na raha shor-e-sauda-e-khatt-o-khal kahan thi vo ik shakhs ke tasavvur se ab vo rana.i-e-khayal kahan aisa asan nahin lahu rona dil men taqat jigar men haal kahan ham se chhuTa qimar-khana-e-ishq vaan jo javen girah men maal kahan fikr-e-duniya men sar khapata huun main kahan aur ye vabal kahan muzmahil ho ga.e qava ghalib vo anasir men e'tidal kahan bose men vo muza.iqa na kare par mujhe taqat-e-saval kahan falak-e-sifla be-muhaba hai is sitam-gar ko infi.al kahan vo miri chin-e-jabin se gham-e-pinhan samjha raz-e-maktub ba-be-rabti-e-unvan samjha yak alif besh nahin saiqal-e-a.ina hanuz chaak karta huun main jab se ki gareban samjha sharh-e-asbab-e-giriftari-e-khatir mat puchh is qadar tang hua dil ki main zindan samjha bad-gumani ne na chaha use sargarm-e-khiram rukh pe har qatra araq dida-e-hairan samjha ijz se apne ye jaana ki vo bad-khu hoga nabz-e-khas se tapish-e-shola-e-sozan samjha safar-e-ishq men ki zo.af ne rahat-talabi har qadam saa.e ko main apne shabistan samjha tha gurezan mizha-e-yar se dil ta dam-e-marg daf-e-paikan-e-qaza is qadar asan samjha dil diya jaan ke kyuun us ko vafadar 'asad' ghalati ki ki jo kafir ko musalman samjha ham ne vahshat-kada-e-bazm-e-jahan men juun sham.a sho.ala-e-ishq ko apna sar-o-saman samjha vus.at-e-sa.i-e-karam dekh ki sar-ta-sar-e-khak guzre hai abla-pa abr-e-guhar-bar hunuz yak-qalam kaghaz-e-atish-zada hai safha-e-dasht naqsh-e-pa men hai tab-e-garmi-e-raftar hunuz dagh-e-atfal hai divana ba-kohsar hunuz khalvat-e-sang men hai naala talab-gar hunuz khana hai sail se khu-karda-e-didar hunuz durbin dar-zada hai rakhna-e-divar hunuz aa.i yak-umr se ma.azur-e-tamasha nargis chashm-e-shabnam men na TuuTa mizha-e-khar hunuz kyuun hua tha taraf-e-abla-e-pa ya-rab jaada hai va-shudan-e-pechish-e-tumar hunuz hon khamoshi-e-chaman hasrat-e-didar 'asad' mizha hai shana-kash-e-turra-e-guftar hunuz yaad hai shadi men bhi hangama-e-ya-rab mujhe sub.ha-e-zahid hua hai khanda zer-e-lab mujhe hai kushad-e-khatir-e-va-basta dar rahn-e-sukhan tha tilism-e-qufl-e-abjad khana-e-maktab mujhe ya rab is ashuftagi ki daad kis se chahiye rashk asa.ish pe hai zindaniyon ki ab mujhe tab.a hai mushtaq-e-lazzat-ha-e-hasrat kya karun aarzu se hai shikast-e-arzu matlab mujhe dil laga kar aap bhi 'ghalib' mujhi se ho ga.e ishq se aate the maane mirza sahab mujhe yak-zarra-e-zamin nahin be-kar baagh ka yaan jaada bhi fatila hai laale ke daagh ka be-mai kise hai taqat-e-ashob-e-agahi khincha hai ijz-e-hausla ne khat ayagh ka bulbul ke karobar pe hain khanda-ha-e-gul kahte hain jis ko ishq khalal hai dimagh ka taaza nahin hai nashsha-e-fikr-e-sukhan mujhe tiryaki-e-qadim huun dud-e-charagh ka sau baar band-e-ishq se azad ham hue par kya karen ki dil hi adu hai faragh ka be-khun-e-dil hai chashm men mauj-e-nigah ghubar ye mai-kada kharab hai mai ke suragh ka bagh-e-shagufta tera bisat-e-nashat-e-dil abr-e-bahar khum-kada kis ke dimagh kaa? josh-e-bahar-e-kulfat-e-nazzara hai 'asad' hai abr pamba rauzan-e-divaar-e-bagh ka ye ham jo hijr men divar-o-dar ko dekhte hain kabhi saba ko kabhi nama-bar ko dekhte hain vo aa.e ghar men hamare khuda ki qudrat hai kabhi ham un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain nazar lage na kahin us ke dast-o-bazu ko ye log kyuun mire zakhm-e-jigar ko dekhte hain tire javahir-e-turf-e-kulah ko kya dekhen ham auj-e-tala-e-lal-o-gohar ko dekhte hain ye na thi hamari qismat ki visal-e-yar hota agar aur jiite rahte yahi intizar hota tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaana ki khushi se mar na jaate agar e'tibar hota tiri nazuki se jaana ki bandha tha ahd boda kabhi tu na toD sakta agar ustuvar hota koi mere dil se puchhe tire tir-e-nim-kash ko ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota ye kahan ki dosti hai ki bane hain dost naseh koi charasaz hota koi gham-gusar hota rag-e-sang se Tapakta vo lahu ki phir na thamta jise gham samajh rahe ho ye agar sharar hota gham agarche jan-gusil hai pa kahan bachen ki dil hai gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgar hota kahun kis se main ki kya hai shab-e-gham buri bala hai mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota hue mar ke ham jo rusva hue kyuun na gharq-e-dariya na kabhi janaza uThta na kahin mazar hota use kaun dekh sakta ki yagana hai vo yakta jo dui ki bu bhi hoti to kahin do-char hota ye masa.il-e-tasavvuf ye tira bayan 'ghalib' tujhe ham vali samajhte jo na bada-khvar hota za-bas-ki mashq-e-tamasha junun-alamat hai kushad-o-bast-e-mizhah sili-e-nadamat hai na janun kyunki miTe dagh-e-ta.an-e-bad-ahdi tujhe ki aa.ina bhi varta-e-malamat hai ba-pech-o-tab-e-havas silk-e-afiyat mat toD nigah-e-ajz sar-e-rishta-e-salamat hai vafa muqabil-o-dava-e-ishq be-buniyad junun-e-sakhta o fasl-e-gul qayamat hai zakhm par chhiDken kahan tiflan-e-be-parva namak kya maza hota agar patthar men bhi hota namak gard-e-rah-e-yar hai saman-e-naz-e-zakhm-e-dil varna hota hai jahan men kis qadar paida namak mujh ko arzani rahe tujh ko mubarak hojiyo nala-e-bulbul ka dard aur khanda-e-gul ka namak shor-e-jaulan tha kanar-e-bahr par kis ka ki aaj gard-e-sahil hai ba-zakhm-e-mauja-e-dariya namak daad deta hai mire zakhm-e-jigar ki vaah vaah yaad karta hai mujhe dekhe hai vo jis ja namak chhoD kar jaana tan-e-majruh-e-ashiq haif hai dil talab karta hai zakhm aur mange hain a.aza namak ghair ki minnat na khinchunga pai-e-taufir-e-dard zakhm misl-e-khanda-e-qatil hai sar-ta-pa namak yaad hain 'ghalib' tujhe vo din ki vajd-e-zauq men zakhm se girta to main palkon se chunta tha namak is amal men aish ki lazzat nahin milti 'asad' zor nisbat mai se rakhta hai azara ka namak zamana sakht kam-azar hai ba-jan-e-asad vagarna ham to tavaqqo.a ziyada rakhte hain tan-e-ba-band-e-havas dar nadada rakhte hain dil-e-z-kar-e-jahan uftada rakhte hain tamiz-e-zishti-o-neki men laakh baten hain ba-aks-e-a.ina yak-fard-e-sada rakhte hain ba-rang-e-saya hamen bandagi men hai taslim ki dagh-e-dil ba-jabin-e-kushada rakhte hain ba-zahidan rag-e-gardan hai rishta-e-zunnar sar-e-ba-pa-e-but-e-na-nihada rakhte hain muaf-e-be-huda-goi hain nasehan-e-aziz dil-e-ba-dast-e-nigare nadada rakhte hain ba-rang-e-sabza azizan-e-bad-zaban yak-dast hazar tegh-e-ba-zahr-ab-dada rakhte hain adab ne saunpi hamen surma-sa.i-e-hairat z-ban-e-basta-o-chashm-e-kushada rakhte hain zikr mera ba-badi bhi use manzur nahin ghair ki baat bigaD jaa.e to kuchh duur nahin vada-e-sair-e-gulistan hai khusha tale-e-shauq muzhda-e-qatl muqaddar hai jo mazkur nahin shahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam log kahte hain ki hai par hamen manzur nahin qatra apna bhi haqiqat men hai dariya lekin ham ko taqlid-e-tunuk-zarfi-e-mansur nahin hasrat ai zauq-e-kharabi ki vo taqat na rahi ishq-e-pur-arbada ki guun tan-e-ranjur nahin main jo kahta huun ki ham lenge qayamat men tumhen kis ra.unat se vo kahte hain ki ham huur nahin zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho tu taghaful men kisi rang se ma.azur nahin saaf durdi-kash-e-paimana-e-jam hain ham log vaa.e vo baada ki afsharda-e-angur nahin huun zuhuri ke muqabil men khifa.i 'ghalib' mere da.ave pe ye hujjat hai ki mash.hur nahin zikr us pari-vash ka aur phir bayan apna ban gaya raqib akhir tha jo raz-dan apna mai vo kyuun bahut piite bazm-e-ghair men ya rab aaj hi hua manzur un ko imtihan apna manzar ik bulandi par aur ham bana sakte arsh se udhar hota kaash ke makan apna de vo jis qadar zillat ham hansi men Talenge baare ashna nikla un ka pasban apna dard-e-dil likhun kab tak ja.un un ko dikhla duun ungliyan figar apni khama khun-chakan apna ghiste ghiste miT jaata aap ne abas badla nang-e-sajda se mere sang-e-astan apna ta kare na ghammazi kar liya hai dushman ko dost ki shikayat men ham ne ham-zaban apna ham kahan ke daana the kis hunar men yakta the be-sabab hua 'ghalib' dushman asman apna zindagi apni jab is shakl se guzri 'ghalib' ham bhi kya yaad karenge ki khuda rakhte the zulmat-kade men mere shab-e-gham ka josh hai ik sham.a hai dalil-e-sahar so khamosh hai ne muzhda-e-visal na nazzara-e-jamal muddat hui ki ashti-e-chashm-o-gosh hai mai ne kiya hai husn-e-khud-ara ko be-hijab ai shauq! haan ijazat-e-taslim-e-hosh hai gauhar ko aqd-e-gardan-e-khuban men dekhna kya auj par sitara-e-gauhar-farosh hai didar baada hausla saaqi nigah mast bazm-e-khayal mai-kada-e-be-kharosh hai ai taaza vardan-e-bisat-e-hava-e-dil zinhar agar tumhen havas-e-na.e-o-nosh hai dekho mujhe jo dida-e-ibrat-nigah ho meri suno jo gosh-e-nasihat-ne.osh hai saqi-ba-jalva dushman-e-iman-o-agahi mutrib ba-naghma rahzan-e-tamkin-o-hosh hai ya shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisat daman-e-baghban o kaf-e-gul-farosh hai luft-e-khiram-e-saqi o zauq-e-sada-e-chang ye jannat-e-nigah vo firdaus-e-gosh hai ya sub.h-dam jo dekhiye aa kar to bazm men ne vo surur o soz na josh-o-kharosh hai dagh-e-firaq-e-sohbat-e-shab ki jali hui ik sham.a rah ga.i hai so vo bhi khamosh hai aate hain ghaib se ye mazamin khayal men 'ghalib' sarir-e-khama nava-e-sarosh hai aap ki aankh se gahra hai miri ruuh ka zakhm aap kya soch sakenge miri tanha.i ko main to dam toD raha tha magar afsurda hayat khud chali aa.i miri hausla-afza.i ko lazzat-e-gham ke siva teri nigahon ke baghair kaun samjha hai mire zakhm ki gahra.i ko main baDha.unga tiri shohrat-e-khush-bu ka nikhar tu dua de mire afsana-e-rusva.i ko vo to yuun kahiye ki ik qaus-e-quzah phail ga.i varna main bhuul gaya tha tiri angDa.i ko ab ke barish men to ye kar-e-ziyan hona hi tha apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha kis ke bas men tha hava ki vahshaton ko rokna barg-e-gul ko khaak sho.ale ko dhuan hona hi tha jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar ai mire rah-rau safar to ra.egan hona hi tha mujh ko rukna tha use jaana tha agle moD tak faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha chand ko chalna tha bahti sipiyon ke saath saath mo.ajiza ye bhi tah-e-ab-e-ravan hona hi tha main na.e chehron pe kahta tha na.i ghazlen sada meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha shahr se bahar ki virani basana thi mujhe apni tanha.i pe kuchh to mehrban hona hi tha apni ankhen dafn karna thiin ghubar-e-khak men ye sitam bhi ham pe zer-e-asman hona hi tha be-sada basti ki rasmen thiin yahi 'mohsin' mire main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha ab vo tufan hai na vo shor havaon jaisa dil ka aalam hai tire ba.ad khalaon jaisa kaash duniya mire ehsas ko vapas kar de khamushi ka vahi andaz sadaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut duur mila us ka andaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitni shiddat se baharon ko tha ehsas-e-ma.al phuul khil kar bhi raha zard khizaon jaisa kya qayamat hai ki duniya use sardar kahe jis ka andaz-e-sukhan bhi ho gadaon jaisa phir tiri yaad ke mausam ne jaga.e mahshar phir mire dil men uTha shor havaon jaisa barha khvab men pa kar mujhe pyasa 'mohsin' us ki zulfon ne kiya raqs ghaTaon jaisa ab ye sochun to bhanvar zehn men paD jaate hain kaise chehre hain jo milte hi bichhaD jaate hain kyuun tire dard ko den tohmat-e-virani-e-dil zalzalon men to bhare shahr ujaD jaate hain mausam-e-zard men ik dil ko bacha.un kaise aisi rut men to ghane peD bhi jhaD jaate hain ab koi kya mire qadmon ke nishan DhunDega tez andhi men to kheme bhi ukhaD jaate hain shaghl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log pattharon men bhi kabhi aa.ine jaD jaati hain soch ka aa.ina dhundla ho to phir vaqt ke saath chand chehron ke khad-o-khal bigaD jaate hain shiddat-e-gham men bhi zinda huun to hairat kaisi kuchh diye tund havaon se bhi laD jaate hain vo bhi kya log hain 'mohsin' jo vafa ki khatir khud-tarashida usulon pe bhi aD jaate hain agarche main ik chaTan sa aadmi raha huun magar tire ba.ad hausla hai ki ji raha huun vo reza reza mire badan men utar raha hai main qatra qatra usi ki ankhon ko pi raha huun tiri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera mujhe to lagta hai main tira dost bhi raha huun khuli hain ankhen magar badan hai tamam patthar koi bata.e main mar chuka huun ki ji raha huun kahan milegi misal meri sitamgari ki ki main gulabon ke zakhm kanTon se si raha huun na puchh mujh se ki shahr valon ka haal kya tha ki main to khud apne ghar men bhi do ghaDi raha huun mila to biite dinon ka sach us ki aankh men tha vo ashna jis se muddaton ajnabi raha huun bhula de mujh ko ki bevafa.i baja hai lekin ganva na mujh ko ki main tiri zindagi raha huun vo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin' ye naaz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha huun ajiib khauf musallat tha kal haveli par lahu charagh jalati rahi hatheli par sunega kaun magar ehtijaj khushbu ka ki saanp zahar chhiDakta raha chameli par shab-e-firaq miri aankh ko thakan se bacha ki niind vaar na kar de tiri saheli par vo bevafa tha to phir itna mehrban kyuun tha bichhaD ke us se main sochun usi paheli par jala na ghar ka andhera charagh se 'mohsin' sitam na kar miri jaan apne yaar beli par ashk apna ki tumhara nahin dekha jaata abr ki zad men sitara nahin dekha jaata apni shah-e-rag ka lahu tan men ravan hai jab tak zer-e-khanjar koi pyara nahin dekha jaata mauj-dar-mauj ulajhne ki havas be-ma.ani Dubta ho to sahara nahin dekha jaata tere chehre ki kashish thi ki palaT kar dekha varna suraj to dobara nahin dekha jaata aag ki zid pe na ja phir se bhaDak sakti hai raakh ki tah men sharara nahin dekha jaata zakhm ankhon ke bhi sahte the kabhi dil vaale ab to abru ka ishara nahin dekha jaata kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'mohsin' dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jaata azab-e-did men ankhen lahu lahu kar ke main sharmsar hua teri justuju kar ke khanDar ki tah se burida-badan saron ke siva mila na kuchh bhi khazanon ki aarzu kar ke suna hai shahar men zakhmi dilon ka mela hai chalenge ham bhi magar pairahan rafu kar ke masafat-e-shab-e-hijran ke ba.ad bhed khula hava dukhi hai charaghon ki aabru kar ke zamin ki pyaas usi ke lahu ko chaaT ga.i vo khush hua tha samundar ko aabju kar ke ye kis ne ham se lahu ka khiraj phir manga abhi to so.e the maqtal ko surkh-ru kar ke julus-e-ahl-e-vafa kis ke dar pe pahuncha hai nishan-e-tauq-e-vafa zinat-e-gulu kar ke ujaaD rut ko gulabi bana.e rakhti hai hamari aankh tiri diid se vuzu kar ke koi to habs-e-hava se ye puchhta 'mohsin' mila hai kya use kaliyon ko be-numu kar ke ba-nam-e-taqat koi ishara nahin chalega udaas naslon pe ab ijara nahin chalega ham apni dharti se apni har samt khud talashen hamari khatir koi sitara nahin chalega hayat ab sham-e-gham ki tashbih khud banegi tumhari zulfon ka isti.ara nahin chalega chalo saron ka khiraj nok-e-sinan ko bakhshen ki jaan bachane ka istikhara nahin chalega hamare jazbe baghavaton ko tarashte hain hamare jazbon pe bas tumhara nahin chalega azal se qaa.em hain donon apni zidon pe 'mohsin' chalega paani magar kinara nahin chalega bhaDka.en miri pyaas ko aksar tiri ankhen sahra mira chehra hai samundar tiri ankhen phir kaun bhala dad-e-tabassum unhen dega ro.engi bahut mujh se bichhaD kar tiri ankhen khali jo hui sham-e-ghariban ki hatheli kya kya na luTati rahin gauhar teri ankhen bojhal nazar aati hain ba-zahir mujhe lekin khulti hain bahut dil men utar kar tiri ankhen ab tak miri yadon se miTa.e nahin miTta bhigi hui ik shaam ka manzar tiri ankhen mumkin ho to ik taaza ghazal aur bhi kah luun phir oDh na len khvab ki chadar tiri ankhen main sang-sifat ek hi raste men khaDa huun shayad mujhe dekhengi palaT kar tiri ankhen yuun dekhte rahna use achchha nahin 'mohsin' vo kanch ka paikar hai to patthar tiri ankhen bichhaD ke mujh se ye mashghala ikhtiyar karna hava se Darna bujhe charaghon se pyaar karna khuli zaminon men jab bhi sarson ke phuul mahken tum aisi rut men sada mira intizar karna jo log chahen to phir tumhen yaad bhi na aa.en kabhi kabhi tum mujhe bhi un men shumar karna kisi ko ilzam-e-bevafa.i kabhi na dena miri tarah apne aap ko sogvar karna tamam va.ade kahan talak yaad rakh sakoge jo bhuul jaa.en vo ahd bhi ustuvar karna ye kis ki ankhon ne badalon ko sikha diya hai ki sina-e-sang se ravan abshar karna main zindagi se na khul saka is liye bhi 'mohsin' ki bahte paani pe kab talak e'tibar karna ek pal men zindagi bhar ki udasi de gaya vo juda hote hue kuchh phuul baasi de gaya noch kar shakhon ke tan se khushk patton ka libas zard mausam banjh-rut ko be-libasi de gaya sub.h ke taare miri pahli dua tere liye tu dil-e-be-sabr ko taskin zara si de gaya log malbon men dabe saa.e bhi dafnane lage zalzala ahl-e-zamin ko bad-havasi de gaya tund jhonke ki ragon men ghol kar apna dhuan ik diya andhi hava ko khud-shanasi de gaya le gaya 'mohsin' vo mujh se abr banta asman us ke badle men zamin sadiyon ki pyasi de gaya faza ka habs shagufon ko baas kya dega badan-darida kisi ko libas kya dega ye dil ki qahat-e-ana se gharib Thahra hai miri zaban ko zar-e-iltimas kya dega jo de saka na pahaDon ko barf ki chadar vo meri banjh zamin ko kapas kya dega ye shahr yuun bhi to dahshat bhara nagar hai yahan dilon ka shor hava ko hiras kya dega vo zakhm de ke mujhe hausla bhi deta hai ab is se baDh ke tabi.at-shanas kya dega jo apni zaat se bahar na aa saka ab tak vo pattharon ko mata-e-havas kya dega vo mere ashk bujha.ega kis tarah 'mohsin' samundaron ko vo sahra ki pyaas kya dega ghazlon ki dhanak oDh mire sho.ala-badan tu hai mera sukhan tu mira mauzu-e-sukhan tu kaliyon ki tarah phuuT sar-e-shakh-e-tamanna khushbu ki tarah phail chaman-ta-ba-chaman tu nazil ho kabhi zehn pe ayat ki surat ayat men Dhal ja kabhi jibril dahan tu ab kyuun na saja.un main tujhe diida o dil men lagta hai andhere men savere ki kiran tu pahle na koi ramz-e-sukhan thi na kinaya ab nuqta-e-takmil-e-hunar mehvar-e-fan tu ye kam to nahin tu mira meyar-e-nazar hai ai dost mire vaste kuchh aur na ban tu mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jan men DhunDega kahan chandni raton ka kafan tu ham jo pahunche sar-e-maqtal to ye manzar dekha sab se uncha tha jo sar nok-e-sinan par dekha ham se mat puchh ki kab chand ubharta hai yahan ham ne suraj bhi tire shahr men aa kar dekha aise lipTe hain dar-o-bam se ab ke jaise hadson ne baDi muddat men mira ghar dekha ab ye socha hai ki auron ka kaha manenge apni ankhon pe bharosa to bahut kar dekha ek ik pal men utarta raha sadiyon ka azaab hijr ki raat guzari hai ki mahshar dekha mujh se mat puchh miri tishna-labi ke tevar ret chamki to ye samjho ki samundar dekha dukh hi aisa tha ki 'mohsin' hua gum-sum varna gham chhupa kar use hanste hue aksar dekha har ek shab yunhi dekhengi su-e-dar ankhen tujhe ganva ke na so.engi umr-bhar ankhen tulu-e-sub.h se pahle hi bujh na jaa.en kahin ye dasht-e-shab men sitaron ki ham-safar ankhen sitam ye kam to nahin dil giraftagi ke liye main shahr bhar men akela idhar-udhar ankhen shumar us ki sakhavat ka kya karen ki vo shakhs charagh banTta phirta hai chhin kar ankhen main zakhm zakhm hua jab to mujh pe bhed khula ki pattharon ko samajhti rahin guhar ankhen main apne ashk sanbhalunga kab talak 'mohsin' zamana sang-ba-kaf hai to shishagar ankhen hava-e-hijr men jo kuchh tha ab ke khaak hua ki pairahan to gaya tha badan bhi chaak hua ab us se tark-e-ta.alluq karun to mar ja.un badan se ruuh ka is darja ishtirak hua yahi ki sab ki kamanen hamin pe TuuTi hain chalo hisab-e-saf-e-dostan to paak hua vo be-sabab yunhi ruTha hai lamha-bhar ke liye ye saneha na sahi phir bhi karb-nak hua usi ke qurb ne taqsim kar diya akhir vo jis ka hijr mujhe vaj.h-e-inhimak hua shadid vaar na dushman diler tha 'mohsin' main apni be-khabari se magar halak hua itni muddat ba.ad mile ho kin sochon men gum phirte ho itne kha.if kyuun rahte ho har aahaT se Dar jaate ho tez hava ne mujh se puchha ret pe kya likhte rahte ho kaash koi ham se bhi puchhe raat ga.e tak kyuun jaage ho men dariya se bhi Darta huun tum dariya se bhi gahre ho kaun si baat hai tum men aisi itne achchhe kyuun lagte ho pichhe muD kar kyuun dekha tha patthar ban kar kya takte ho jaao jiit ka jashn manao men jhuTa huun tum sachche ho apne shahar ke sab logon se meri khatir kyuun uljhe ho kahne ko rahte ho dil men phir bhi kitne duur khaDe ho raat hamen kuchh yaad nahin tha raat bahut hi yaad aa.e ho ham se na puchho hijr ke qisse apni kaho ab tum kaise ho 'mohsin' tum badnam bahut ho jaise ho phir bhi achchhe ho jab hijr ke shahr men dhuup utri main jaag paDa to khvab hua miri soch khizan ki shakh bani tira chehra aur gulab hua barfili rut ki tez hava kyuun jhiil men kankar phenk ga.i ik aankh ki niind haram hui ik chand ka aks kharab hua tire hijr men zehn pighalta tha tire qurb men ankhen jalti hain tujhe khona ek qayamat tha tira milna aur azaab hua bhare shahr men ek hi chehra tha jise aaj bhi galiyan DhunDti hain kisi sub.h usi ki dhuup khili kisi raat vahi mahtab hua baDi umr ke ba.ad in ankhon men koi abr utra tiri yadon ka mire dil ki zamin abad hui mire gham ka nagar shadab hua kabhi vasl men 'mohsin' dil TuuTa kabhi hijr ki rut ne laaj rakhi kisi jism men ankhen kho baiThe koi chehra khuli kitab hua jab se us ne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua apna kya hai saare shahr ka ik jaisa nuqsan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha huun is nagri men tu kab se mehman hua sahra ki munh-zor hava.en auron se mansub huiin muft men ham avara Thahre muft men ghar viran hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanha mausam men patthar bhi ro paDte hain insan to phir insan hua itni der men ujDe dil par kitne mahshar biit ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkan hua kal tak jis ke gird tha raqsan ik amboh sitaron ka aaj usi ko tanha pa kar main to bahut hairan hua us ke zakhm chhupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se us se kaisa shikva kiije vo to abhi nadan hua jin ashkon ki phiki lau ko ham be-kar samajhte the un ashkon se kitna raushan ik tarik makan hua yuun bhi kam-amez tha 'mohsin' vo is shahr ke logon men lekin mere samne aa kar aur bhi kuchh anjan hua jugnu guhar charagh ujale to de gaya vo khud ko DhunDne ke havale to de gaya ab is se baDh ke kya ho virasat faqir ki bachchon ko apni bhiik ke pyale to de gaya ab meri soch saa.e ki surat hai us ke gird main bujh ke apne chand ko haale to de gaya shayad ki fasl-e-sang-zani kuchh qarib hai vo khelne ko barf ke gaale to de gaya ahl-e-talab pe us ke liye farz hai dua khairat men vo chand nivale to de gaya 'mohsin' use qaba ki zarurat na thi magar duniya ko roz-o-shab ke doshale to de gaya kaThin tanha.iyon se kaun khela main akela bhara ab bhi mire gaanv ka mela main akela bichhaD kar tujh se main shab bhar na soya kaun roya ba-juz mere ye dukh bhi kis ne jhela main akela ye be-avaz banjar ban ke baasi ye udasi ye dahshat ka safar jangal ye bela main akela main dekhun kab talak manzar suhane sab purane vahi duniya vahi dil ka jhamela main akela vo jis ke khauf se sahra sidhare log saare guzarne ko hai tufan ka vo rela main akela khud apne dil men kharashen utarna hongi abhi to jaag ke raten guzarna hongi tire liye mujhe hans hans ke bolna hoga mire liye tujhe zulfen sanvarna hongi tiri sada se tujhi ko tarashna hoga hava ki chaap se shaklen ubharna hongi abhi to teri tabi.at ko jitne ke liye dil o nigah ki sharten bhi harna hongi tire visal ki khvahish ke tez rangon se tire firaq ki sub.hen nikharna hongi ye sha.iri ye kitaben ye ayaten dil ki nishaniyan ye sabhi tujh pe varna hongi khumar-e-mausam-e-khushbu had-e-chaman men khula miri ghazal ka khazana tire badan men khula tum us ka husn kabhi us ki bazm men dekho ki mahtab sada shab ke pairahan men khula ajab nasha tha magar us ki bakhshish-e-lab men ki yuun to ham se bhi kya kya na vo sukhan men khula na puchh pahli mulaqat men mizaj us ka vo rang rang men simTa kiran kiran men khula badan ki chaap nigah ki zaban bhi hoti hai ye bhed ham pe magar us ki anjuman men khula ki jaise abr hava ki girah se khul jaa.e safar ki shaam mira mehrban thakan men khula kahun main kis se nishani thi kis masiha ki vo ek zakhm ki 'mohsin' mire kafan men khula kis ne sang-e-khamoshi phenka bhare-bazar par ik sukut-e-marg taari hai dar-o-divar par tu ne apni zulf ke saa.e men afsane kahe mujh ko zanjiren mili hain jur.at-e-iz.har par shakh-e-uriyan par khila ik phuul is andaz se jis tarah taaza lahu chamke na.i talvar par sang-dil ahbab ke daman men rusva.i ke phuul main ne dekha hai naya manzar faraz-e-dar par ab koi tohmat bhi vaj.h-e-karb-e-rusva.i nahin zindagi ik umr se chup hai tire israr par main sar-e-maqtal hadis-e-zindagi kahta raha ungliyan uThti rahin 'mohsin' mire kirdar par labon pe harf-e-rajaz hai zirah utaar ke bhi main jashn-e-fat.h manata huun jang haar ke bhi use lubha na saka mere ba.ad ka mausam bahut udaas laga khal-o-khad sanvar ke bhi ab ek pal ka taghaful bhi sah nahin sakte ham ahl-e-dil kabhi aadi the intizar ke bhi vo lamha bhar ki kahani ki umr bhar men kahi abhi to khud se taqaze the ikhtisar ke bhi zamin oDh li ham ne pahunch ke manzil par ki ham pe qarz the kuchh gard-e-rahguzar ke bhi mujhe na sun mire be-shakl ab dikha.i to de main thak gaya huun faza men tujhe pukar ke bhi miri dua ko palaTna tha phir udhar 'mohsin' bahut ujaaD the manzar ufuq se paar ke bhi ma.arka ab ke hua bhi to phir aisa hoga tere dariya pe miri pyaas ka pahra hoga us ki ankhen tire chehre pe bahut bolti hain us ne palkon se tira jism tarasha hoga kitne jugnu isi khvahish men mire saath chale koi rasta tire ghar ko bhi to jaata hoga main bhi apne ko bhula.e hue phirta huun bahut aa.ina us ne bhi kuchh roz na dekha hoga raat jal-thal miri ankhon men utar aaya tha surat-e-abr koi TuuT ke barsa hoga ye masiha.i use bhuul ga.i hai 'mohsin' ya phir aisa hai mira zakhm hi gahra hoga main chup raha ki zahr yahi mujh ko raas tha vo sang-e-lafz phenk ke kitna udaas tha aksar miri qaba pe hansi aa ga.i jise kal mil gaya to vo bhi darida-libas tha main DhunDhta tha duur khalaon men ek jism chehron ka ik hujum mire as-pas tha tum khush the pattharon ko khuda jaan ke magar mujh ko yaqin hai vo tumhara qayas tha bakhsha hai jis ne ruuh ko zakhmon ka pairahan 'mohsin' vo shakhs kitna tabi.at-shanas tha main dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga marunga khud bhi tujhe bhi kaDi saza dunga ye tirgi mire ghar ka hi kyuun muqaddar ho main tere shahar ke saare diye bujha dunga hava ka haath baTa.unga har tabahi men hare shajar se parinde main khud uDa dunga vafa karunga kisi sogvar chehre se purani qabr pe katba naya saja dunga isi khayal men guzri hai sham-e-dard akasr ki dard had se baDhega to muskura dunga tu asman ki surat hai gar paDega kabhi zamin huun main bhi magar tujh ko aasra dunga baDha rahi hain mire dukh nishaniyan teri main tere khat tiri tasvir tak jala dunga bahut dinon se mira dil udaas hai 'mohsin' is aa.ine ko koi aks ab naya dunga main kal tanha tha khilqat so rahi thi mujhe khud se bhi vahshat ho rahi thi use jakDa hua tha zindagi ne sirhane maut baiThi ro rahi thi khula mujh par ki meri khush-nasibi mire raste men kanTe bo rahi thi mujhe bhi na-rasa.i ka samar de mujhe teri tamanna jo rahi thi mira qatil mire andar chhupa tha magar bad-nam khilqat ho rahi thi baghavat kar ke khud apne lahu se ghulami daagh apne dho rahi thi labon par tha sukut-e-marg lekin mire dil men qayamat so rahi thi ba-juz mauj-e-fana duniya men 'mohsin' hamari justuju kis ko rahi thi naya hai shahr na.e aasre talash karun tu kho gaya hai kahan ab tujhe talash karun jo dasht men bhi jalate the fasl-e-gul ke charagh main shahr men bhi vahi aable talash karun tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar men utar tire liye main kahan aa.ine talash karun tujhe havas ki avargi ka ilm kahan kabhi main tujh ko tire samne talash karun ghazal kahun kabhi saada se khat likhun us ko udaas dil ke liye mashghale talash karun mire vajud se shayad mile suragh tira kabhi main khud ko tire vaste talash karun main chup rahun kabhi be-vaj.h hans paDun 'mohsin' use ganva ke ajab hausle talash karun phir vahi main huun vahi shahr-badar sannaTa mujh ko Das le na kahin khak-basar sannaTa dasht-e-hasti men shab-e-gham ki sahar karne ko hijr valon ne liya rakht-e-safar sannaTa kis se puchhun ki kahan hai mira rone vaala is taraf main huun mire ghar se udhar sannaTa tu sadaon ke bhanvar men mujhe avaz to de tujh ko dega mire hone ki khabar sannaTa us ko hangama-e-manzil ki khabar kya doge jis ne paaya ho sar-e-rahguzar sannaTa hasil-e-kunj-e-qafas vahm-ba-kaf tanha.i raunaq-e-sham-e-safar ta-ba-sahar sannaTa qsimat-e-sha.ir-e-simab-sifat dasht ki maut qimat-e-reza-e-almas-e-hunar sannaTa jan-e-'mohsin' miri taqdir men kab likkha hai Dubta chand tira qurb-e-gajar sannaTa qatl chhupte the kabhi sang ki divar ke beach ab to khulne lage maqtal bhare bazar ke beach apni poshak ke chhin jaane pe afsos na kar sar salamat nahin rahte yahan dastar ke beach surkhiyan amn ki talqin men masruf rahin harf barud ugalte rahe akhbar ke beach kaash is khvab ki ta.abir ki mohlat na mile sho.ale ugte nazar aa.e mujhe gulzar ke beach Dhalte suraj ki tamazat ne bikhar kar dekha sar-kashida mira saaya saf-e-ashjar ke beach rizq malbus makan saans maraz qarz dava munqasim ho gaya insan inhi afkar ke beach dekhe jaate na the aansu mire jis se 'mohsin' aaj hanste hue dekha use aghyar ke beach sanson ke is hunar ko na asan khayal kar zinda huun sa.aton ko main sadiyon men Dhaal kar maali ne aaj kitni dua.en vasul kiin kuchh phuul ik faqir ki jholi men Daal kar kul yaum-e-hijr zard zamanon ka yaum hai shab bhar na jaag muft men ankhen na laal kar ai gard-bad lauT ke aana hai phir mujhe rakhna mire safar ki aziyyat sambhal kar mehrab men diye ki tarah zindagi guzar munh-zor andhiyon men na khud ko niDhal kar shayad kisi ne bukhl-e-zamin par kiya hai tanz gahre samundaron se jazire nikal kar ye naqd-e-jan ki is ka luTana to sahl hai gar ban paDe to is se bhi mushkil saval kar 'mohsin' barahna-sar chali aa.i hai sham-e-gham ghurbat na dekh is pe sitaron ki shaal kar saare lahje tire be-zaman ek main is bhare shahr men ra.egan ek main vasl ke shahr ki raushni ek tu hijr ke dasht men karvan ek main bijliyon se bhari barishen zor par apni basti men kachcha makan ek main hasraton se aTe asman ke tale jalti-bujhti hui kahkashan ek main mujh ko farigh dinon ki amanat samajh bhuli-bisri hui dastan ek main raunaqen shor mele jhamele tire apni tanha.i ka raz-dan ek main ek main apni hi zindagi ka bharam apni hi maut par nauha-khvan ek main us taraf sang-bari har ik baam se is taraf a.inon ki dukan ek main vo nahin hai to 'mohsin' ye mat sochna ab bhaTakta phirunga kahan ek main tire badan se jo chhu kar idhar bhi aata hai misal-e-rang vo jhonka nazar bhi aata hai tamam shab jahan jalta hai ik udaas diya hava ki raah men ik aisa ghar bhi aata hai vo mujh ko TuuT ke chahega chhoD ja.ega mujhe khabar thi use ye hunar bhi aata hai ujaaD ban men utarta hai ek jugnu bhi hava ke saath koi ham-safar bhi aata hai vafa ki kaun si manzil pe us ne chhoDa tha ki vo to yaad hamen bhuul kar bhi aata hai jahan lahu ke samundar ki had Thaharti hai vahin jazira-e-lal-o-guhar bhi aata hai chale jo zikr farishton ki parsa.i ka to zer-e-bahs maqam-e-bashar bhi aata hai abhi sinan ko sambhale rahen adu mere ki un safon men kahin mera sar bhi aata hai kabhi kabhi mujhe milne bulandiyon se koi shua-e-sub.h ki surat utar bhi aata hai isi liye main kisi shab na so saka 'mohsin' vo mahtab kabhi baam par bhi aata hai ujaD ujaD ke sanvarti hai tere hijr ki shaam na puchh kaise guzarti hai tere hijr ki shaam ye barg barg udasi bikhar rahi hai miri ki shakh shakh utarti hai tere hijr ki shaam ujaaD ghar men koi chand kab utarta hai saval mujh se ye karti hai tere hijr ki shaam mire safar men ik aisa bhi moD aata hai jab apne aap se Darti hai tere hijr ki shaam bahut aziiz hain dil ko ye zakhm zakhm ruten inhi ruton men nikharti hai tere hijr ki shaam ye mera dil ye sarasar nigar-khana-e-gham sada isi men utarti hai tere hijr ki shaam jahan jahan bhi milen teri qurbaton ke nishan vahan vahan se ubharti hai tere hijr ki shaam ye hadisa tujhe shayad udaas kar dega ki mere saath hi marti hai tere hijr ki shaam ujDe hue logon se gurezan na hua kar halat ki qabron ke ye katbe bhi paDha kar kya janiye kyuun tez hava soch men gum hai khvabida parindon ko darakhton se uDa kar us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge vo jhuuT na bolega mire samne aa kar har vaqt ka hansna tujhe barbad na kar de tanha.i ke lamhon men kabhi ro bhi liya kar vo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khaDa hai DhunDa tha jise vaqt ki divar gira kar ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai tu halqa-e-yaran men bhi mohtat raha kar is shab ke muqaddar men sahar hi nahin 'mohsin' dekha hai ka.i baar charaghon ko bujha kar vo dilavar jo siyah shab ke shikari nikle vo bhi chaDhte hue suraj ke pujari nikle sab ke honTon pe mire ba.ad hain baten meri mere dushman mire lafzon ke bhikari nikle ik janaza uTha maqtal men ajab shaan ke saath jaise saj kar kisi fateh ki savari nikle ham ko har daur ki gardish ne salami di hai ham vo patthar hain jo har daur men bhari nikle aks koi ho khad-o-khal tumhare dekhun bazm koi ho magar baat tumhari nikle apne dushman se main be-vaj.h khafa tha 'mohsin' mere qatil to mire apne havari nikle ye dil ye pagal dil mira kyuun bujh gaya avargi is dasht men ik shahr tha vo kya hua avargi kal shab mujhe be-shakl ki avaz ne chaunka diya main ne kaha tu kaun hai us ne kaha avargi logo bhala is shahr men kaise jiyenge ham jahan ho jurm tanha sochna lekin saza avargi ye dard ki tanha.iyan ye dasht ka viran safar ham log to ukta ga.e apni suna avargi ik ajnabi jhonke ne jab puchha mire gham ka sabab sahra ki bhigi ret par main ne likha avargi us samt vahshi khvahishon ki zad men paiman-e-vafa us samt lahron ki dhamak kachcha ghaDa avargi kal raat tanha chand ko dekha tha main ne khvab men 'mohsin' mujhe raas aa.egi shayad sada avargi ye kah ga.e hain musafir luTe gharon vaale Daren hava se parinde khule paron vaale ye mere dil ki havas dasht-e-be-karan jaisi vo teri aankh ke tevar samundaron vaale hava ke haath men kaase hain zard patton ke kahan ga.e vo sakhi sabz chadaron vaale kahan milenge vo agle dinon ke shahzade pahan ke tan pe libade gadagaron vaale pahaDiyon men ghire ye bujhe bujhe raste kabhi idhar se guzarte the lashkaron vaale unhi pe ho kabhi nazil azaab aag ajal vahi nagar kabhi Thahren payambaron vaale tire supurd karun a.ine muqaddar ke idhar to aa mire khush-rang pattharon vaale kisi ko dekh ke chup chup se kyuun hue 'mohsin' kahan ga.e vo irade sukhan-varon vaale zaban rakhta huun lekin chup khaDa huun main avazon ke ban men ghir gaya huun mire ghar ka daricha puchhta hai main saara din kahan phirta raha huun mujhe mere siva sab log samjhen main apne aap se kam bolta huun sitaron se hasad ki intiha hai main qabron par charaghan kar raha huun sambhal kar ab havaon se ulajhna main tujh se pesh-tar bujhne laga huun miri qurbat se kyuun kha.if hai duniya samundar huun main khud men gunjta huun mujhe kab tak sameTega vo 'mohsin' main andar se bahut TuuTa hua huun zakhm ke phuul se taskin talab karti hai ba.az auqat miri ruuh ghazab karti hai jo tiri zulf se utre hon mire angan men chandni aise andheron ka adab karti hai apne insaf ki zanjir na dekho ki yahan muflisi zehn ki fariyad bhi kab karti hai sehn-e-gulshan men havaon ki sada ghaur se sun har kali matam-e-sad-jashn-e-tarab karti hai sirf din Dhalne pe mauquf nahin hai 'mohsin' zindagi zulf ke saa.e men bhi shab karti hai zikr-e-shab-e-firaq se vahshat use bhi thi meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi mujh ko bhi shauq tha na.e chehron ki diid ka rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi is raat der tak vo raha mahv-e-guftugu masruf main bhi kam tha faraghat use bhi thi mujh se bichhaD ke shahr men ghul-mil gaya vo shakhs halanki shahr-bhar se adavat use bhi thi vo mujh se baDh ke zabt ka aadi tha ji gaya varna har ek saans qayamat use bhi thi sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyan shayad rafaqaton ki zarurat use bhi thi tanha hua safar men to mujh pe khula ye bhed saa.e se pyaar dhuup se nafrat use bhi thi 'mohsin' main us se kah na saka yuun bhi haal dil darpesh ek taaza musibat use bhi thi ai saba kah bahar ki baten is but-e-gul-ezar ki baten kis pe chhoDe nigah ka shahbaz kya kare hai shikar ki baten mehrbani siin ya hon ghusse siin pyari lagti hain yaar ki baten chhoDte kab hain naqd-e-dil kuun sanam jab ye karte hain pyaar ki baten puchhiye kuchh kahen hain kuchh 'naji' aa paDin rozgar ki baten dekh mohan tiri kamar ki taraf phir gaya maani apne ghar ki taraf jin ne dekhe tire lab-e-shirin nazar us ki nahin shakar ki taraf hai muhal un ka daam men aana dil hai maa.il butan ka zar ki taraf tere rukhsar ki safa.i dekh chashm daana ki na.iin guhar ki taraf hain khushamad-talab sab ahl-e-duval ghaur karte na.iin hunar ki taraf mah-ru ne safar kiya hai jidhar dil mira hai usi nagar ki taraf hashr men pak-baz hai 'naji' bad-amal ja.enge saqar ki taraf dekhi bahar ham ne kal zor mai-kade men hansne siin us sajan ke tha shor mai-kade men the josh-e-mul siin aisi shorish men daagh dil ke goya ki kudte hain ye mor mai-kade men phanda rakha tha main ne shayad ki vo pari-ru dekhe to paas mere ho daur mai-kade men hai aarzu ki hamdam vo mah-ru ho mera de shaam siin jo pyala ho bhor mai-kade men saaqi vahi hai mera 'naji' ki gar marun main mujh vaste bana de ja gor mai-kade men dil ka khoj na paaya hargiz dekha khol jo qabron ko jiite ji DhunDe so paave khabar karo be-khabron ko toshak baala posh raza.i hai bhule majnun barson tak jab dikhlave zulf sajan ki ban men aavte abron ko kafir nafas har ek ka tarsa zar kuun paaya bakhton siin atish ki puuja men guzri umr tamam un gabron ko mard jo aajiz ho tan man siin kahe khush-amad bavar kar mohtaji ka khasa hai rubah kare hai babron ko vaada chuuk phir aaya 'naji' dars ki khatir phaDke mat chhuT gale tere ai zalim sabr kahan be-sabron ko kamar ki baat sunte hain ye kuchh paa.i nahin jaati kahe hain baat aisi khayal men mere nahin aati jo chaho sair-e-dariya vaqf hai mujh chashm ki kashti har ek mu-e-palak mera hai goya ghaaT khairati ba-rang us ke nahin mahbub dil rone ko ashiq ke sa.adat khaan hai laDka vaz.a kar leta hai barsati jo koi asli hai ThanDa garm yaquti men kyunkar ho na laave taab tere lab ki jo namard hai zaati na dekha baagh men nargis niin tujh kuun sharm jaane siin isi gham men hui hai sar-nigun vo vaqt nahin paati kahan mumkin hai 'naji' sa ki taqva aur salah aave nigah-e-mast-e-khuban vo nahin leta kharabati lab-e-shirin hai misri yusuf-e-sani hai ye laDka na chhoDega mera dil chah-e-kan.ani hai ye laDka liya bosa kisi ne aur gareban-gir hai mera Dubaya chahta hai sab ko tufani hai ye laDka sar uupar laal chira aur dahan juun ghuncha-e-rangin bahar-e-mudda.a lal-e-badkhshani hai ye laDka qayamat hai jhamak baazu ke taviz-e-tala.i ki hisar-e-husn kuun qaa.im kiya baani hai ye laDka hue ru-posh us ka husn dekh anjum ke juun khuban chamakta hai ba-rang-mehr nurani hai ye laDka qayamat qamat us ka jin ne dekha so hua bismil magar sar ta qadam tegh-e-sulemani hai ye laDka main apna jaan o dil qurban karun uus par seti 'naji' jise dekhen siin hue iid ramzani hai ye laDka mah-rukhan ki jo mehrbani hai ye madad mujh pe asmani hai rashk siin us ke saaf chehre ke chashm par aa.ine ki paani hai daam men bul-havas ke aaya na.iin kyuun ki ye baaz ashyani hai charb hai sham.a par jamal us ka sham.a ki raushni zabani hai us ke rukhsar dekh jiita huun aarzi meri zindagani hai sirf surat ka band na.iin 'naji' ashiq-e-sahab-e-ma.ani hai tere bhaa.i ko chaha ab teri karta huun pa-bosi mujhe sartaj kar rakh jaan men ashiq huun maurusi rafu kar de hain aisa pyaar jo ashiq hain yaksu siin phaDa kar aur siin shaal apni kahta hai mujhe tu si hua makhfi maza ab shahidi siin shahad ki zahir magar zambur ne shirini un honTon ki ja chusi kise ye taab jo us ki tajalli men rahe Thahra rumuz-e-taur laati hai sajan teri kamar mu si samata na.iin izaar apne men abtar dekh rang us ka kare kim-khvab so jaane ki yuun paate hain jasusi ba-rang-e-sham.a kyuun yaqub ki ankhen nahin raushan zamane men suna yusuf ka pairahan tha fanusi na chhoDun us lab-e-irfan ko 'naji' aur luTa duun sab mile gar mujh ko mulk-e-khusravi aur taj-e-ka.usi ye daur guzra kabhi na dekhin piya ki ankhiyan khumar-matiyan kahe the mardum sharabi un kuun nikal ga.iin apni de ghalatiyan siva.e gul ke vo shokh ankhiyan kisi taraf ko nahin hain raghib to barg-e-nargis upar baja hai likhun jo apne sajan kuun patiyan sanam ki zulfan ko hijr men ab ga.e hain mujh nain hain khvab rahat lage hai kanTa nazar men sona kaTengi kaise ye kaali ratiyan jo sham.a-ru ke do lab hain shirin to sabza-e-khat baja hai us par zamin pakDi hai tutiyon ne sunin jo miThi piya ki batiyan khayal kar kar bhaTak raha huun nazar jo aa.e tevar hain banke banao banta nahin hai 'naji' jo us sajan ko laga.un chhatiyan zikr har sub.h o shaam hai tera vird-e-ashiq kuun naam hai tera mat kar azad dam-e-zulf siin dil bal-bandha ghulam hai tera lashkar-e-gham ne dil siin kuuch kiya jab se is men maqam hai tera jam-e-mai ka pilana hai be-rang shauq jin kuun mudam hai tera aaj 'naji' se ram na kar ai shokh dekh muddat siin raam hai tera dard ki dhuup se chehre ko nikhar jaana tha aa.ina dekhne vaale tujhe mar jaana tha raah men aise nuqush-e-kaf-e-pa bhi aa.e main ne danista jinhen gard-e-safar jaana tha vahm-o-idrak ke har moD pe socha main ne tu kahan hai mire hamrah agar jaana tha agahi zakhm-e-nazara na bani thi jab tak main ne har shakhs ko mahbub-e-nazar jaana tha qurbaten ret ki divar hain gir sakti hain mujh ko khud apne hi saa.e men Thahar jaana tha tu ki vo tez hava jis ki tamanna be-sud main ki vo khaak jise khud hi bikhar jaana tha aankh viran sahi phir bhi andheron ko 'nasir' raushni ban ke mire dil men utar jaana tha dekh lete hain ab us baam ko aate jaate ye bhi azar chala ja.ega jaate jaate dil ke sab naqsh the hathon ki lakiron jaise naqsh-e-pa hote to mumkin tha miTate jaate thi kabhi raah jo ham-rah guzarne vaali ab hazar hota hai us raah se aate jaate shahr-e-be-mehr! kabhi ham ko bhi mohlat deta ik diya ham bhi kisi rukh se jalate jaate para-e-abr-e-gurezan the ki mausam apne duur bhi rahte magar paas bhi aate jaate har ghaDi ek juda gham hai juda.i us ki gham ki mi.ad bhi vo le gaya jaate jaate us ke kuche men bhi ho, raah se be-rah 'nasir' itne aa.e the to avaz lagate jaate diya sa dil ke kharabe men jal raha hai miyan diye ke gird koi aks chal raha hai miyan ye ruuh raqs-e-charaghan hai apne halqe men ye jism saaya hai aur saaya Dhal raha miyan ye aankh parda hai ik gardish-e-tahayyur ka ye dil nahin hai bagula uchhal raha hai miyan kabhi kisi ka guzarna kabhi Thahar jaana mire sukut men kya kya khalal raha hai miyan kisi ki raah men aflak zer-e-pa hote yahan to paanv se sahra nikal raha hai miyan hujum-e-shokh men ye dil hi be-gharaz nikla chalo koi to harifana chal raha hai miyan tujhe abhi se paDi hai ki faisla ho jaa.e na jaane kab se yahan vaqt Tal raha hai miyan tabi.aton hi ke milne se tha maza baaqi so vo maza bhi kahan aj-kal raha hai miyan ghamon ki fasl men jis gham ko ra.egan samjhen khushi to ye hai ki vo gham bhi phal raha hai miyan likha 'nasir' ne har rang men safed-o-siyah magar jo harf lahu men machal raha hai miyan ham-rahi ki baat mat kar imtihan ho ja.ega ham subuk ho ja.enge tujh ko giran ho ja.ega jab bahar aa kar guzar ja.egi ai sarv-e-bahar ek rang apna bhi paivand-e-khizan ho ja.ega sa.at-e-tark-e-ta.alluq bhi qarib aa hi ga.i kya ye apna sab ta.alluq ra.egan ho ja.ega ye hava saare charaghon ko uDa le ja.egi raat Dhalne tak yahan sab kuchh dhuan ho ja.ega shakh-e-dil phir se hari hone lagi dekho 'nasir' aisa lagta hai kisi ka ashiyan ho ja.ega injil-e-raftagan ki hadison ke saath huun isa-nafas huun aur salibon ke saath huun paband-e-rang-o-naqsh huun tasvir ki tarah main be-hijab apne hijabon ke saath huun auraq-e-arzu pe ba-unvan-e-jan-kani main be-nishan si chand lakiron ke saath huun shayad ye intizar ki lau faisla kare main apne saath huun ki darichon ke saath huun tu fat.h-mand mera tarasha hua sanam main but-tarash apni shikaston ke saath huun mauj-e-saba ki zad pe sar-e-rahguzar-e-shauq main bhi 'nasir' ghar ke charaghon ke saath huun is kaDi dhuup men saaya kar ke tu kahan hai mujhe tanha kar ke main to arzan tha khuda ki manind kaun guzra mira sauda kar ke tirgi TuuT paDi hai mujh par main pashiman huun ujala kar ke le gaya chhin ke ankhen meri mujh se kyuun vada-e-farda kar ke lau iradon ki baDha di shab ne din gaya jab mujhe paspa kar ke kaash ye a.ina-e-hijr-o-visal TuuT jaa.e mujhe andha kar ke har taraf sach ki duha.i hai 'nasir' sher likhte raho sachcha kar ke koi avaz na aahaT na khayal aise men raat mahki hai magar ji hai niDhal aise men mere atraf to girti hui divaren hain saya-e-umr-e-ravan mujh ko sambhal aise men jab bhi chaDhte hue dariya men safina utra yaad aaya tire lahje ka kamal aise men aankh khulti hai to sab khvab bikhar jaate hain sochta huun ki bichha duun koi jaal aise men muddaton ba.ad agar samne aa.e ham tum dhundle dhundle se milenge khad-o-khal aise men hijr ke phuul men hai dard ki baasi khushbu mausam-e-vasl koi taaza malal aise men main bhi ai kaash kabhi mauj-e-saba ho ja.un is tavaqqo pe ki khud se bhi juda ho ja.un abr uTThe to simaT ja.un tiri ankhon men dhuup nikle to tire sar ki rida ho ja.un aaj ki raat ujale mire ham-saya hain aaj ki raat jo so luun to naya ho ja.un ab yahi soch liya dil men ki manzil ke baghair ghar palaT aa.uun to main abla-pa ho ja.un phuul ki tarah mahakta huun tiri yaad ke saath ye alag baat ki main tujh se khafa ho ja.un jis ke kuche men baraste rahe patthar mujh par us ke hathon ke liye rang-e-hina ho ja.un aarzu ye hai ki taqdis-e-hunar ki khatir tere honTon pe rahun hamd-o-sana ho ja.un marhala apni parastish ka ho darpesh to main apne hi samne ma.il-ba-dua ho ja.un tisha-e-vaqt bata.e ki ta.aruf ke liye kin pahaDon ki bulandi pe khaDa ho ja.un haa.e vo log ki main jin ka pujari huun 'nasir' haa.e vo log ki main jin ka khuda ho ja.un marham-e-vaqt na ejaz-e-masiha.i hai zindagi roz na.e zakhm ki gahra.i hai phir mire ghar ki fazaon men hua sannaTa phir dar-o-bam se andesha-e-goya.i hai tujh se bichhDun to koi phuul na mahke mujh men dekh kya karb hai kya zaat ki sachcha.i hai tera mansha tire lahje ki dhanak men dekha tiri avaz bhi shayad tiri angDa.i hai kuchh ajab gardish-e-parkar safar rakhta huun do-qadam mujh se bhi aage miri rusva.i hai kuchh to ye hai ki miri raah juda hai tujh se aur kuchh qarz bhi mujh par tiri tanha.i hai kis liye mujh se gurezan hai mire samne tu kya tiri raah men haa.il miri bina.i hai vo sitare jo chamakte hain tire angan men un sitaron se to apni bhi shanasa.i hai jis ko ik umr ghazal se kiya mansub 'nasir' us ko parkha to khula qafiya-paima.i hai milne ki tarah mujh se vo pal bhar nahin milta dil us se mila jis se muqaddar nahin milta ye rah-e-tamanna hai yahan dekh ke chalna is raah men sar milte hain patthar nahin milta ham-rangi-e-mausam ke talabgar na hote saaya bhi to qamat ke barabar nahin milta kahne ko gham-e-hijr baDa dushman-e-jan hai par dost bhi is dost se behtar nahin milta kuchh roz 'nasir' aao chalo ghar men raha jaa.e logon ko ye shikva hai ki ghar par nahin milta misl-e-sahra hai rifaqat ka chaman bhi ab ke jal bujha apne hi sho.alon men badan bhi ab ke khar-o-khas huun to sharar-kheziyan dekhun phir se aankh le aa.i hai ik aisi kiran bhi ab ke ham to vo phuul jo shakhon pe ye sochen pahron kyuun saba bhuul ga.i apna chalan bhi ab ke manzilon tak nazar aata hai shikaston ka ghubar saath deti nahin aise men thakan bhi ab ke munsalik ek hi rishte men na ho jaa.e kahin tire mathe tire bistar ki shikan bhi ab ke be-gunahi ke libade ko utaro bhi 'nasir' raas aa jaa.e agar jurm-e-sukhan bhi ab ke rache-base hue lamhon se jab hisab hua ga.e dinon ki ruton ka ziyan savab hua guzar gaya to pas-e-mauj be-kanari thi Thahar gaya to vo dariya mujhe sarab hua supurdagi ke taqaze kahan kahan se paDhun hunar ke baab men paikar tira kitab hua har aarzu miri ankhon ki raushni Thahri charagh soch men gum hain ye kya azaab hua kuchh ajnabi se lage ashna dariche bhi kiran kiran jo ujalon ka ehtisab hua vo yakh-mizaj raha faslon ke rishton se magar gale se lagaya to aab aab hua vo peD jis ke tale ruuh gungunati thi usi ki chhanv se ab mujh ko ijtinab hua in andhiyon men kise mohlat-e-qayam yahan ki ek khema-e-jan tha so be-tanab hua salib-e-sang ho ya pairahan ke rang 'nasir' hamare naam se kya kya na intisab hua saba ka narm sa jhonka bhi taziyana hua ye vaar mujh pe hua bhi to gha.ebana hua usi ne mujh pe uTha.e hain sang jis ke liye main paash paash hua ghar nigar-khana hua jhulas raha tha badan garmi-e-nafas se magar tire khayal ka khurshid shamiyana hua khud apne hijr ki khvahish mujhe aziiz rahi ye tere vasl ka qissa to ik bahana hua khuda ki sard-mizaji sama ga.i mujh men miri talash ka sauda payambarana hua main ik shajar ki tarah rah-guzar men Thahra huun thakan utaar ke tu kis taraf ravana hua vo shakhs jis ke liye sher kah raha huun 'nasir' ghazal suna.e hue us ko ik zamana hua sukut-e-sham se ghabra na jaa.e akhir tu mire dayar se guzri jo ai kiran phir tu libas-e-jan men nahin sho.alagi ka rang magar jhulas raha hai mire saath kyuun ba-zahir tu vafa-e-vada-o-paiman ka e'tibar bhi kya ki main to sahab-e-iman huun aur munkir tu mire vajud men ik be-zaban samundar hai utar ke dekh safine se meri khatir tu main shakh-e-sabz nahin mahram-e-saba bhi nahin mire fareb men kyuun aa gaya hai taa.ir tu isi ummid pe jalte hain raston men charagh kabhi to lauT ke aa.ega ai musafir tu tujhe kya khabar mire be-khabar mira silsila koi aur hai jo mujhi ko mujh se baham kare vo gurez-pa koi aur hai mire mausamon ke bhi taur the mire barg-o-bar hi aur the magar ab ravish hai alag koi magar ab hava koi aur hai yahi shahr shahr-e-qarar hai to dil-e-shikasta ki khair ho miri aas hai kisi aur se mujhe puchhta koi aur hai ye vo majra-e-firaq hai jo mohabbaton se na khul saka ki mohabbaton hi ke darmiyan sabab-e-jafa koi aur hai hain mohabbaton ki amanaten yahi hijraten yahi qurbaten diye bam-o-dar kisi aur ne to raha basa koi aur hai ye faza ke rang khule khule isi pesh-o-pas ke hain silsile abhi khush-nava koi aur tha abhi par-kusha koi aur hai dil-e-zud-ranj na kar gila kisi garm o sard raqib ka rukh-e-na-saza to hai ru-ba-ru pas-e-na-saza koi aur hai bahut aa.e hamdam o chara-gar jo numud-o-nam ke ho ga.e jo zaval-e-gham ka bhi gham kare vo khush-ashna koi aur hai ye 'nasir' sham-e-supurdagi ki udaas udaas si raushni ba-kanar-e-gul zara dekhna ye tumhi ho ya koi aur hai vo ham-safar tha magar us se ham-nava.i na thi ki dhuup chhanv ka aalam raha juda.i na thi na apna ranj na auron ka dukh na tera malal shab-e-firaq kabhi ham ne yuun ganva.i na thi mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha shikasta-dil the musafir shikasta-pa.i na thi adavaten thin, taghaful thaa, ranjishen thiin bahut bichhaDne vaale men sab kuchh thaa, bevafa.i na thi bichhaDte vaqt un ankhon men thi hamari ghazal ghazal bhi vo jo kisi ko abhi suna.i na thi kise pukar raha tha vo Dubta hua din sada to aa.i thi lekin koi duha.i na thi kabhi ye haal ki donon men yak-dili thi bahut kabhi ye marhala jaise ki ashna.i na thi ajiib hoti hai rah-e-sukhan bhi dekh 'nasir' vahan bhi aa ga.e akhir, jahan rasa.i na thi aa gaya phir ramazan kya hoga haa.e ai pir-e-mughan kya hoga bagh-e-jannat men saman kya hoga tu nahin jab to vahan kya hoga khush vo hota hai mire nalon se aur andaz-e-fughan kya hoga duur ki raah hai saman hain baDe itni mohlat hai kahan kya hoga dekh lo rang-e-paridan ko mire dil jalega to dhuan kya hoga hoga bas ek nigah men jo tamam vo ba-hasrat nigaran kya hoga ham ne maana ki mila mulk-e-jahan na rahe ham to jahan kya hoga mar ke jab khaak men milna Thahra phir ye turbat ka nishan kya hoga jis tarah dil hua TukDe az-khud chaak is tarah katan kya hoga ya tira zikr hai ya naam tira aur phir vird-e-zaban kya hoga ishq se baaz na aana 'haidar' raaz hone de ayaan kya hoga aa ke mujh tak kashti-e-mai saqiya ulTi phiri aaj kya naddi bahi ulTi hava ulTi phiri aate aate lab par ah-e-na-rasa ulTi phiri vo bhi mera hi dabane ko gala ulTi phiri muD ke dekha us ne aur vaar abruon ka chal gaya ik chhuri sidhi phiri aur ik zara ulTi phiri la saka nazzara-e-rukhsar-e-raushan ki na taab ja ke a.ine pe chehre ki ziya ulTi phiri rast-bazon hi ko piisa asman ne raat din va-e-qismat jab phiri ye asiya ulTi phiri jo baDa bol ek din bole the pesh aaya vahi gumbad-e-gardun se Takra kar sada ulTi phiri rizq kha kar ghair ki qismat ka zambur-e-asal tu ne dekha halq tak ja kar ghiza ulTi phiri tu sata.ish-gar hai us ka jo hai tera mad.h-khvan ye to ai mushfiq zamir-e-marhaba ulTi phiri jis par aa.i thi tabi.at ki usi ne kuchh na qadr jins-e-dil manind-e-jins-e-narava ulTi phiri ya to kushi Dubti thi ya chali sahil se duur vaa.e nakami phiri bhi to hava ulTi phiri girne vaala hai kisi dushman pe kya tir-e-shahab asman tak ja ke kyuun ah-e-rasa ulTi phiri ji gaya main us ke aa jaane se dushman mar gaya dekh kar iisa ko balin par qaza ulTi phiri mar gaya be-maut main akhir ajal bhi duur hai kucha-e-qatil ka batla kar pata ulTi phiri hijr ki shab mujh ko ulTi saans lete dekh kar ek hi dam men vahan ja kar saba ulTi phiri hai mira virana-e-gham 'nazm' aisa haul-nak mauj-e-sail aa.i to le kar boriya ulTi phiri abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya khabar kya ho khuda ma.alum ye saman kya ho jaa.e sar kya ho ye ah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho jahan insan kho jaata ho khud phir us ki mahfil men rasa.i kis tarah ho dakhl kyunkar ho guzar kya ho na puchhunga main ye bhi jaam men hai zahr ya amrit tumhare haath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho muravvat se ho begana vafa se duur ho koson ye sach hai naznin ho khubsurat ho magar kya ho shagufe dekh kar muTThi men zar ko muskurate hain ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riya.i par khuda se jo nahin Darta use bande ka Dar kya ho kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat men kaha us ne agar mar jaa.e to mera zarar kya ho kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki kaha us ne bhaDak uTThe agar soz-e-jigar kya ho kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta kaha ankhen koi talvon se mal Daale agar kya ho kaha main ne qadam bhar par hai vo surat dikha aao kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho kaha main ne jo mar jaa.e to kya ho soch tu dil men kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho kaha main ne khabar bhi hai ki di jaan us ne ghuT ghaT kar kaha mar jaa.e chupke se to phir mujh ko khabar kya ho bid.at masnun ho ga.i hai ummat mat.un ho ga.i hai kya kahna tiri dua ka zahid gardun ka sutun ho ga.i hai rahne do ajal jo ghaat men hai mujh par maftun ho ga.i hai hasrat ko ghubar-e-dil men DhunDo zinda madfun ho ga.i hai vahshat ka tha naam avval avval ab to vo junun ho ga.i hai vaa.iz ne buri nazar se dekha mai shishe men khuun ho ga.i hai aariz ke qarin gulab ka phuul ham-rang ki duun ho ga.i hai banda huun tira zaban-e-shirin duniya mamnun ho ga.i hai 'haidar' shab-e-gham men marg-e-nagah shadi ka shugun ho ga.i hai ehsan le na himmat-e-mardana chhoD kar rasta bhi chal tu sabza-e-begana chhoD kar marne ke ba.ad phir nahin koi sharik-e-hal jaata hai sham-e-kushta ko parvana chhoD kar honTon pe aaj tak hain shab-e-aish ke maze saaqi ka lab liya lab-e-paimana chhoD kar af.i nahin khuli hui zulfon ka aks hai jaate kahan ho a.ina o shana chhoD kar tul-e-amal pe dil na lagana ki ahl-e-bazm ja.enge na-tamam ye afsana chhoD kar labrez jam-e-umr hua aa ga.i ajal lo uTh ga.e bhara hua paimana chhoD kar us pir-zal-e-dahr ki ham Thokaron men hain jab se ga.i hai himmat-e-mardana chhoD kar pahron hamara aap men aana muhal hai koson nikal gaya dil-e-divana chhoD kar utra jo shisha taaq se zahid ka hai ye haal karta hai raqs sajda-e-shukrana chhoD kar ye sum.a-o-riya to nishani hai kufr ki zunnar bandh sub.ha-e-sad-dana chhoD kar rindan-e-mai-kada bhi hain ai khizr muntazir basti men aa.iye kabhi virana chhoD kar ehsan sar pe laghzish-e-mastana ka hua ham do qadam na ja sake mai-khana chhoD kar vaadi bahut muhib hai bim-o-umid ka dekhenge sher par dil-e-divana chhoD kar ro ro ke kar rahi hai surahi vida.a use jaata hai duur duur jo paimana chhoD kar tauba to ki hai 'nazm' bina hogi kis tarah kyun-kar jiyoge mashrab-e-rindana chhoD kar hansi men vo baat main ne kah di ki rah ga.e aap dang ho kar chhupa hua tha jo raaz dil men khula vo chehre ka rang ho kar hamesha kuuch o maqam apna raha hai khizr-e-rah-e-tariqat ruka to main sang-e-mil ban kar chala to avaz-e-chang ho kar na toDte aarsi agar tum to itne yusuf nazar na aate ye qafila khinch laa.i saara shikast-e-a.ina zang ho kar shabab o piiri ka aana jaana ghazab ka pur-dard hai fasana ye rah ga.i ban ke gard-e-hasrat vo uD gaya rukh se rang ho kar jo raaz dil se zaban tak aaya to us ko qaabu men phir na paaya zaban se nikla kalam ban kar kaman se chhuTa khadang ho kar ghazab hai bahr-e-fana ka dhara ki mujh ko uljha ke maara maara nafas ne maujon ka jaal bun kar lahad ne kam-e-nahang ho kar mila dil-e-na-hifaz mujh ko to kya kisi ka lihaz mujh ko kahin gareban na phaaD Dalen janab-e-naseh bhi tang ho kar jo ab ki mina-e-mai ko toDa chalegi talvar mohtasib se lahu bhi rindon ka dekh lena baha mai-e-lala-rang ho kar na zabt se shikva lab tak aaya na sabr ne aah khinchne di raha dahan men vo qufl ban kar giraya chhati pe sang ho kar samajh le suufi agar ye nukta hai ek bazm-e-sama-e-hasti to nau-piyale ye asman ke bajen abhi jal-tarang ho kar bhala ho afsurda-khatiri ka ki hasraton ko daba ke rakkha bacha liya harzagi se us ne lihaz-e-namus-o-nang ho kar jigar-kharashi se paa.i fursat na sina-kavi se nakhunon ne gala gareban ne ghunT Daala junun ki shorish se tang ho kar badal ke duniya ne bhes sad.ha ise Daraya use lubhaya kabhi zan-e-pir-zal ban kar kabhi but-e-shokh-o-shang ho kar uThe the talvar khinch kar tum to phir ta.ammul na chahiye tha ki rah ga.i mere dil ki hasrat shahid-e-tegh-e-darang ho kar jo valvale the vo dab ga.e sab hujum-e-lait-o-la.al men 'haidar' jo hausle the vo dil hi dil men rahe daregh-o-darang ho kar is mahina bhar kahan tha saqiya achchhi tarah aa idhar aa iid to mil len zara achchhi tarah ungliyan kanon men rakh kar ai musafir sun zara aa rahi hai saaf avaz-e-dara achchhi tarah chashm-e-musa la saki ik us ke jalve ki na taab chashm-e-dil se jis ko dekha bar-ha achchhi tarah fasla aisa nahin kuchh arsh ki zanjir se kya kahun baDhta nahin dast-e-dua achchhi tarah ahl-e-surat ko nahin hai achchhi sirat se gharaz achchhi surat chahiye achchhi ada achchhi tarah shahidan-e-lala-o-gul ki khabar laa.i hai kuchh saal bhar ke ba.ad aa.i ai saba achchhi tarah siikh legi bal ki lena ta-kamar aane to do bal abhi karti nahin zulf-e-dota achchhi tarah shisha-o-jam-o-subu bhar le mai-e-gul-rang se aaj saaqi ghir ke aa.i hai ghaTa achchhi tarah lete hain ahl-e-junun kya kya tasavvur ke maze aankh se pariyon ko dekha bar-ha achchhi tarah de rahi hai us ki khamoshi sada-e-dur-bash ye nahin kahta ki 'nazm'-e-mubtala achchhi tarah is vaste adam ki manzil ko DhunDte hain muddat se doston ki mahfil ko DhunDte hain ye dil ke paar ho kar phir dil ko DhunDte hain tir-e-nigah us ke bismil ko DhunDte hain ik lahr men na the ham kyuun ai habab dekha yuun aankh band kar ke sahil ko DhunDte hain tarz-e-karam ki shahid hain meva-dar shakhen is tarah sar jhuka kar saa.il ko DhunDte hain hai vasl o hijr apna ai qais turfa-mazmun mahmil men baiThe hain aur mahmil ko DhunDte hain tul-e-amal ka rasta mumkin nahin ki tai ho manzil pe bhi pahunch kar manzil ko DhunDte hain hasrat shabab ki hai ayyam-e-sheb men bhi ma.adum ki havas hai zaa.il ko DhunDte hain uThte hain valvale kuchh har baar dard ban kar kya janiye jigar ko ya dil ko DhunDte hain zakhm-e-jigar ka mere hai rashk doston ko marta huun main ki ye kyuun qatil ko DhunDte hain ahl-e-havas ki kashti yak baam o do hava hai dariya-e-ishq men bhi sahil ko DhunDte hain aaya jo rahm mujh par is men bhi chaal hai kuchh siine pe haath rakh kar ab dil ko DhunDte hain karte hain kar-e-farhad asan zamin men bhi mushkil-pasand hain ham mushkil ko DhunDte hain ai khizr pai-e-khajista bahr-e-khuda karam kar bhaTke hue musafir manzil ko DhunDte hain dil-khvah tere ishve dil-ju tire ishare vo dil TaTolte hain ye dil ko DhunDte hain ai 'nazm' kya bata.en hajj-o-tavaf apna ka.abe men bhi kisi ki mahmil ko DhunDte hain junun ke valvale jab ghuT ga.e dil men nihan ho kar to uTThe hain dhuan ho kar gire hain bijliyan ho kar kuchh aage baDh chale saman-e-rahat la-makan ho kar falak pichhe raha jaata hai gard-e-karvan ho kar kisi din to chale ai asman bad-e-murad aisi ki utren kashti-e-mai par ghaTa.en badban ho kar na jaane kis bayaban marg ne miTTi nahin paa.i bagule ja rahe hain karvan-dar-karvan ho kar vafur-e-zabt se betabi-e-dil baDh nahin sakti gale tak aa ke rah jaate hain naale hichkiyan ho kar gulu-gir ab to aisa inqalab-e-rang-e-alam hai ki naghme nikle minqar-e-anadil se fughan ho kar jo ho kar abr se mayus khud sinche kabhi dahqan jala den khet ko paani ki lahren bijliyan ho kar jahan men vashud-e-khatir ke saman ho ga.e lashe jagah rahat ki na-mumkin hui hai la-makan ho kar hanse koi na bijli ke siva is dar-e-matam men agar rah jaa.e saara khet kisht-e-za.afaran ho kar alam men ashiyan ke is qadar tinke chune main ne ki akhir ba.is-e-taskin hue hain ashiyan ho kar ghaTa.en ghir ke kya kya hasrat-e-farhad par roiin chaman tak aa ga.iin nahren pahaDon se ravan ho kar dil-e-shaida ne paaya ishq men me.araj ka rutba yahan akasr buton ke zulm TuuTe asman ho kar jo Darte Darte dil se ek harf-e-shauq nikla tha vo us ke samne aaya zaban par dastan ho kar nikal aa.e hain har iqrar men inkar ke pahlu bana deti hain hairan teri baten makr yaan ho kar nazakat ka ye aalam phuul bhi toDe to bal kha kar na jaane dil mira kis tarah toDa pahlvan ho kar tadarrau-o-kabak par hans kar uTThe khud laDkhaDate hain subuk karte hain un ko pa.enche bar-e-giran ho kar gala ghonTa hai zabt-e-gham ne kuchh aisa ki mushkil hai ki nikle munh se avaz-e-shikast-e-dil fughan ho kar pata andesha-e-salik ne paaya manzil-e-dil ka tu palTa la-makan se asman-dar-asman ho kar hui phir dekhiye aa bustan-e-shadi-o-gham duniya abhi paida hue the ranj-o-rahat to amaan ho kar jo nikli hogi koi aarzu to ye bhi niklega tumhara tir-e-hasrat ban gaya dil men nihan ho kar utar ja.ega tu o aftab-e-husn koThe se girega saya-e-divar ham par asman ho kar kis liye phirte hain ye shams o qamar donon saath kis ko ye DhunDte hain barhana-sar donon saath kaisi ya-rab ye hava sub.h-e-shab-e-vasl chali bujh gaya dil mira aur sham-e-sahar donon saath ba.ad mere na raha ishq ki manzil ka nishan miT ga.e rah-rau o rahguzar donon saath ai junun dekh isi sahra men akela huun main rahte jis dasht men hain khauf-o-khatar donon saath mujh ko hairat hai shab-e-aish ki kotahi par ya khuda aa.e the kya sham-o-sahar donon saath us ne pheri nigah-e-naz ye ma.alum hua khinch gaya siine se tiir aur jigar donon saath gham ko di dil ne jagah dil ko jagah pahlu ne ek goshe men karenge ye basar donon saath is ko rokun main ilahi ki sambhalun us ko ki taDapne lage dil aur jigar donon saath naaz baDhta gaya baDhte ga.e juun juun gesu balki lene lage ab zulf o kamar donon saath tujh se matlab hai nahin duniya o uqba se gharaz tu nahin jab to ujaD jaa.en ye ghar donon saath baat sunna na kisi chahne vaale ki kabhi kaan men phunk rahe hain ye guhar donon saath andhiyan aah ki bhi ashk ka sailab bhi hai dete hain dil ki kharabi ki khabar donon saath kya kahun zohra o khurshid ka aalam ai 'nazm' nikle khalvat se junhi vaqt-e-sahar donon saath kisi se bas ki umid-e-kushud-e-kar nahin mujhe ajal ke bhi aane ka e'tibar nahin javab naame ka qasid mazar par laaya ki janta tha use tab-e-intizar nahin ye kah ke uTh ga.i balin se meri sham-e-sahar tamam ho ga.i shab aur tujhe qarar nahin jo tu ho paas to hur-o-qusur sab kuchh ho jo tu nahin to nahin balki zinhar nahin khizan ke aane se pahle hi tha mujhe ma.alum ki rang-o-bu-e-chaman ka kuchh e'tibar nahin ghazal kahi hai ki moti piro.e hain ai 'nazm' vo kaun sher hai jo durr-e-shahvar nahin koi mai de ya na de ham rind-e-be-parva hain aap saqiya apni baghal men shisha-e-sahba hain aap ghafil o hoshyar vo timsal-e-yak-a.ina hain varta-e-hairat men nadan aap hain daana hain aap kyuun rahe meri dua minnat-kash-e-bal-e-malak nala-e-mastana mere asman-paima hain aap hai ta.ajjub khizr ko aur ab-e-haivan ki talab aur phir uzlat-guzin-e-daman-e-sahra hain aap manzil-e-tul-e-amal darpesh aur mohlat hai kam raah kis se puchhiye hairat men naqsh-e-pa hain aap haq se talib diid ke hon ham basir aise nahin ham ko jo kotah-nazar samjhen vo na-bina hain aap gul hama-tan-zakhm hain phir bhi hama-tan-gosh hain be-asar kuchh nala-ha-e-bulbul-e-shaida hain aap hirs se shikva karun kya haath phailane ka main kahti hai vo apne hathon khalq men rusva hain aap ham se ai ahl-e-tana.a.um munh chhupana chahiye dam bhara karte hain ham aur a.ina-sima hain aap kya karvan-e-hasti guzra rava-ravi men farda ko main ne dekha gard-o-ghubar-e-di men the mahv lala-o-gul kis kaif-e-be-khudi men zakhm-e-jigar ke Tanke TuuTe hansi hansi men yaran-e-bazm-e-ishrat DhunDun kahan main tum ko taron ki chhanv men ya pichhle ki chandni men har uqda men jahan ke poshida hai kashakash hai mauj-e-khanda-e-gul pinhan kali kali men zakhmon men khud chamak hai aur us pe ye sitam hai rang-e-paridan se main rahta huun chandni men ham kis shumar men the pursish jo ham se hoti ye imtiyaz paaya ashob-e-agahi men hukm-e-qaza ho jaisa sarzad ho fe.al vaisa banda ka dakhl bhi hai phir is kahi badi men raftar-e-saya ko hai past-o-buland yaksan Thokar kabhi na khaa.e rah-e-farotani men vajd aa gaya falak ko ghash aa gaya zamin ko do tarah ke asar the ik saut-e-sarmadi men ta.abir us ki shayad ek vapsin nafas ho jo khvab dekhte the ham saari zindagi men laa.i hubab tak ko sail-e-fana baha kar ik aah khinchne ko ik dam ki zindagi men mahshar ki afaton ka dhaDka nahin raha ab sau hashr main ne dekhe do din ki zindagi men pahlu men tu ho ai dil phir hasraten hazaron kis baat ki kami hai teri salamti men pursan-e-hal vo ho aur samne bula kar kya janiye zaban se kya nikle be-khudi men tu ek zill-e-hasti phir kaisi khud-parasti saaya ki parvarish hai daman-e-be-khudi men haa.el bas ik nafas hai mahshar men aur ham men parda habab ka hai farda men aur di men ankhen dikha rahi hai din se mujhe shab-e-gham asar tirgi ke hain din ki raushni men tu ne to apne dar se mujh ko uTha diya hai parchha.in phir rahi hai meri usi gali men sajda ka hukm mujh ko tu ne to ab diya hai pahle hi likh chuka huun main khatt-e-bandgi men ai 'nazm' chheD kar ham tujh ko hue pasheman kya jante the zalim ro dega dil-lagi men kya kahen kis se pyaar kar baiThe apne dil ko figar kar baiThe sabr ki ik qaba jo baaqi thi us ko bhi taar taar kar baiThe aaj phir un ki aamad aamad hai ham khizan ko bahar kar baiThe vaa.e us but ka va.ada-e-farda umr bhar intizar kar baiThe khud jo gham hain to aa.ina hairan kis ghazab ka singhar kar baiThe ham tahi-dast tujh ko kya dete jaan tujh par nisar kar baiThe mujh ko samjho yadgar-e-raftagan-e-lucknow huun qadd-e-amdam ghubar-e-karvan-e-lucknow khun-e-hasrat kah raha hai dastan-e-lucknow rah gaya hai ab yahi rangin-bayan-e-lucknow gosh-e-ibrat se sune koi miri fariyad hai bulbul-e-khunin nava-e-bostan-e-lucknow mere har aansu men ik a.ina-e-tasvir hai mere har naale men hai tarz-e-fughan-e-lucknow DhunDhta hai ab kise le kar charagh-e-aftab kyuun miTaya ai falak tu ne nishan-e-lucknow lucknow jin se ibarat thi hue vo napadid hai nishan-e-lucknow baaqi na shan-e-lucknow ab nazar aata nahin vo majma.a-e-ahl-e-kamal kha ga.e un ko zamin-o-asman-e-lucknow pahle tha ahl-e-zaban ka daur ab gardish men hain chahiye thi tegh-e-urdu ko fasan-e-lucknow marsiya-go kitne yakta-e-zamana the yahan koi to itnon men hota nauha-khvan-e-lucknow ye ghubar-e-na-tavan khakistar-e-parvana hai khandan apna tha sham-e-dudman-e-lucknow chalta tha jab ghuTniyon apne yahan tifl-e-razi.a sajda karte the use gardan-kushan-e-lucknow ahd-e-pirana-sari men kyuun na shirin ho sukhan bachpane men main ne chusi hai zaban-e-lucknow gulshan-e-firdaus par kya naaz hai rizvan tujhe puchh us ke dil se jo hai rutba-dan-e-lucknow bu-e-uns aati hai 'haidar' khak-e-maTiya-burj se jam.a hain ik ja vatan-avargan-e-lucknow nadamat hai bana kar is chaman men ashiyan mujh ko mila hamdam yahan koi na koi ham-zaban mujh ko dikha.e ja ravani tausan-e-umr-e-ravan mujh ko hilal-e-barq se rakh ham-rikab-o-ham-inan mujh ko banaya na-tavani ne sulaiman-e-zaman mujh ko uDa kar le chale mauj-e-nasim-e-bostan mujh ko dam-e-sub.h-e-azal se main nava-sanjon men huun tere bataya bulbul-e-sidra ne andaz-e-fughan mujh ko miri baton men kya ma.alum kab so.e vo kab jaage sire se is liye kahni paDi phir dastan mujh ko baha kar qafila se duur jism-e-zar ko phenka ki mauj-e-sail thi bang-e-dara-e-karvan mujh ko ye dil ki be-qarari khaak ho kar bhi na ja.egi sunati hai lab-e-sahil se ye reg-e-ravan mujh ko uDaa.i khaak jis sahra men tere vaste main ne thaka-manda mila in manzilon men asman mujh ko tasavvur sham.a ka jis ko jila de huun vo parvana lag uTThi aag dil men jab nazar aaya dhuan mujh ko vo jis aalam men ja pahuncha vahan main kis tarah ja.un hua dil aap se bahar pinha kar beDiyan mujh ko ghubar-e-rah se ai 'nazm' ye avaz aati hai ga.i ai umr-e-rafta tu kidhar phenka kahan mujh ko phiri hui miri ankhen hain tegh-zan ki taraf chala hai chhoD ke bismil mujhe hiran ki taraf banaya toD ke a.ina a.ina-khana na dekhi raah jo khalvat se anjuman ki taraf rah-e-vafa ko na chhoDa vo andalib huun main chhuTa qafas se to parvaz ki chaman ki taraf gurez chahiye tul-e-amal se salik ko suna hai raah ye jaati hai rahzan ki taraf sara-e-dahr men so.oge ghafilo kab tak uTho to kya tumhen jaana nahin vatan ki taraf jo ahl-e-dil hain alag hain vo ahl-e-zahir se na main huun shaikh ki janib na barhaman ki taraf jahan-e-hadsa-agin men bashar ka varud guzar habab ka dariya-e-maujzan ki taraf isi umiid pe ham din khizan ke kaTte hain kabhi to bad-e-bahar aa.egi chaman ki taraf bichhaD ke tujh se mujhe hai umiid milne ki suna hai ruuh ko aana hai phir badan ki taraf gavah kaun mire qatl ka ho mahshar men abhi se saara zamana hai tegh-zan ki taraf khabar di uTh ke qayamat ne us ke aane ki khuda hi khair kare rukh hai anjuman ki taraf vo apne rukh ki sabahat ko aap dekhte hain jhuke hue gul-e-nargis hain yasman ki taraf tamam bazm hai kya mahv us ki baton men nazar dahan ki taraf kaan hai sukhan ki taraf asiir ho gaya dil gesuon men khuub hua chala tha Duub ke marne chah-e-zaqan ki taraf ye mai-kashon ki ada abr-e-tar bhi siikh ga.e kinar-e-ju se jo uTThe chale chaman ki taraf zahe-nasib jo ho karbala ki maut ai 'nazm' ki uD ke khak-e-shifa aa.e khud kafan ki taraf pursish jo hogi tujh se jallad kya karega le khuun main ne bakhsha tu yaad kya karega huun daam men pur-afshan aur sadgi se hairan kyuun tez ki hain chhuriyan sayyad kya karega zalim ye soch kar ab deta hai bosa-e-lab jab honT si diye phir fariyad kya karega zanjir tar-e-daman hai tauq ik gareban zor-e-junun na kam ho haddad kya karega ham Duub kar marenge hasrat rahegi tujh ko jab khaak hi na hogi barbad kya karega yaqub qat.a kar den ummid-e-vasl dil se yusuf sa banda koi azad kya karega dil le ke puchhta hai tu kis ka shefta hai bhula abhi se zalim phir yaad kya karega ai khatt-e-bayaz aariz darkar hai jo tujh ko tahrir husn ki kuchh rudad kya karega kunj-e-qafas se ik din hogi riha.i apni mar ja.enge to akhir sayyad kiya karega misl-e-sipand dil hai betab soz-e-gham men rah ja.ega taDap kar fariyad kya karega ai shaikh bhar gaya hai kyuun va.az ki hava men rish-e-safed apni barbad kya karega zulm-o-sitam se bhi ab zalim ne haath khincha is se sitam vo baDh kar ijad kya karega az-bas-ki be-hunar huun main nang-e-mo'tariz huun mazmun pe mere koi i.rad kya karega ai ''nazm'' jis ko chahe vo de bahisht dozakh namrud kya karega shaddad kya karega sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka Dar nahin apna hai us par ashiyan nakhl jo barvar nahin sunte ho ahl-e-qafila main koi rahbar nahin dekh raha huun tum men se ek bhi raah par nahin maut ka ghar hai asman is se kahin mafar nahin niklen to koi dar nahin bhagen to rahguzar nahin pahle jigar par aah ka naam na tha nishan na tha akhir-e-kar ye hua aah to hai jigar nahin sub.h-e-azal se ta-abad qissa na hoga ye tamam jaur-e-falak ki dastan aisi bhi mukhtasar nahin barg-e-khizan-rasida huun chheD na mujh ko ai nasim zauq fughan ka hai mujhe shikva-e-abr-e-tar nahin munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tu aankh khol kar hashr ki jo khabar na de aisi koi sahar nahin shabnam o gul ko dekh kar vajd na aa.e kis tarah khanda be-sabab nahin girya be-asar nahin tere faqir ka ghurur tajvaron se hai siva tarf-e-kulah men de shikan us ko ye dard-e-sar nahin koshak o qasr o bam-o-dar tu ne bina kiye to kya haif hai khanuman-kharab dil men kisi ke gher nahin nala-kashi raqib se meri tarah muhal hai dil nahin hausla nahin zohra nahin jigar nahin shatir-e-pir-e-asman vah-ri teri dastburd khusrav o kaiqibad ki tegh nahin kamar nahin shaan karim ki ye hai haan se ho peshtar ata lutf ata ka kya ho jab haan se ho peshtar nahin laakh vo be-rukhi kare laakh vo kaj-ravi kare kuchh to malal is ka ho dil ko mire magar nahin sun ke bura na maniye sach ko na jhuuT janiye zikr hai kuchh gila nahin baat hai neshtar nahin sub.ha hai zunnar kyuun kaisi kahi zahid-e-ayyar kyuun kaisi kahi kaT ga.e aghyar kyuun kaisi kahi chha ga.i har baar kyuun kaisi kahi hain ye sab iqrar jhuTe ya nahin kijiye iqrar kyuun kaisi kahi ruThne se aap ka matlab ye hai is ko aa.e pyaar kyuun kaisi kahi kah diya main ne sahar hai jhuT-muT ho ga.e bedar kyuun kaisi kahi ek to kahte hain sad.ha bhaptiyan aur phir israr kyuun kaisi kahi naseha ye bahs divanon ke saath aql ki hai maar kyuun kaisi kahi ya khafa the ya zara si baat par ho ga.i bauchhar kyuun kaisi kahi mujh se bai.at kar le tu bhi va.iza haath laana yaar kyuun kaisi kahi surma de kar dil ke lene ka hai qasd aankh to kar chaar kyuun kaisi kahi jaan de de chal ke dar par yaar ke o dil-e-bimar kyuun kaisi kahi kya hi bigDe ho patte ki baat par ho ga.e bezar kyuun kaisi kahi ab to 'haidar' aur hi kuchh rang hain manta huun yaar kyuun kaisi kahi tanha nahin huun gar dil-e-divana saath hai vo harzah-gard huun ki pari-khana saath hai hangama ik pari ki savari ka dekhna kya dhuum hai ki saikDon divana saath hai dil men hain laakh tarah ke hiile bhare hue phir mashvara ko a.ina o shana saath hai roz-e-siyah men saath koi de to janiye jab tak farogh-e-sham.a hai parvana saath hai deta nahin hai saath tahi-dast ka koi jab tak ki mai hai shishe men paimana saath hai sikha huun mai-kade men tariq-e-farotani jab tak ki sar hai sajda-e-shukrana saath hai jo be-basar hain DhunDte phirte hain duur duur aur har qadam pe jalva-e-janana saath hai kya khauf ho hamen zan-e-duniya ke makr ka apni madad ko himmat-e-mardana saath hai gham ki kitab se dil-e-sad-para kam nahin jis bazm men ga.e yahi afsana saath hai manind-e-gard-bad huun khana-ba-dosh main sahra men huun magar mira kashana saath hai uDa kar kaag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai sharabi jam.a hain mai-khana men Topi uchhalti hai bahar-e-mai-kashi aa.i chaman ki rut badalti hai ghaTa mastana uThti hai hava mastana chalti hai za-khud-rafta tabi.at kab sambhale se sambhalti hai na ban aati hai naseh se na kuchh vaa.iz ki chalti hai ye kis ki hai tamanna chuTkiyan leti hai jo dil men ye kis ki aarzu hai jo kaleje ko masalti hai vo divana hai jo is fasl men fasden na khulva.e rag-e-har-shakh-e-gul se khuun ki naddi ubalti hai sahar hote hi dam nikla ghash aate hi ajal aa.i kahan huun main nasim-e-sub.h pankha kis ko jhalti hai tamatto ek ka hai ek ke nuqsan se aalam men ki saaya phailta jaata hai juun juun dhuup Dhalti hai bina rakkhi hai gham par ziist ki ye ho gaya sabit na lapka aah ka chhuTega jab tak saans chalti hai qarar ik dam nahin aata hai khun-e-be-gunah pi kar ki ab to khud ba-khud talvar rah rah kar ugalti hai jahannam ki na aanch aa.egi mai-khvaron pe o vaa.iz sharab aluda ho jo shai vo kab atish men jalti hai na dikhlana ilahi ek aafat hai shab-e-furqat na jo kaaTe se kaTti hai na jo Taale se Talti hai ye achchha shughl vahshat men nikala tu ne ai 'haidar' gareban men ulajhne se tabi.at to bahalti hai ye ah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho na ho jab dard hi yarab to dil kya ho jigar kya ho baghal-gir aarzu se hain muraden aarzu mujh se yahan is vaqt to ik iid hai tum jalva-gar kya ho muqaddar men ye likkha hai kaTegi umr mar-mar kar abhi se mar ga.e ham dekhiye ab umr bhar kya ho muravvat se ho begana vafa se duur ho koson ye sach hai naznin ho khub-surat ho magar kya ho laga kar zakhm men Tanke qaza teri na aa jaa.e jo vo saffak sun paa.e bata ai chara-gar kya ho qayamat ke bakheDe paD ga.e aate hi duniya men ye maana ham ne mar jaana to mumkin hai magar kya ho kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat men kaha us ne agar mar jaa.e to mera zarar kya ho ye hua ma.aal hubab ka jo hava men bhar ke ubhar gaya ki sada hai lutma-e-mauj ki sar-e-pur-ghurur kidhar gaya mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakha qadam koi mujhe par laga.e shauq ne kahin thak ke main jo Thahar gaya mujhe piiri aur shabab men jo hai imtiyaz to is qadar koi jhonka bad-e-sahar ka tha mire paas se jo guzar gaya asar us ke ishva-e-naz ka jo hua vo kis se bayan karun mujhe to ajal ki hai aarzu use vahm hai ki ye mar gaya tujhe ai khatib-e-chaman nahin khabar apne khutba-e-shauq men ki kitab-e-gul ka varaq varaq tiri be-khudi se bikhar gaya kise tu sunata hai ham-nashin ki hai ishva-e-dushman-e-aql-o-din tire kahne ka hai mujhe yaqin main tire Darane se Dar gaya karun zikr kya main shabab ka sune kaun qissa ye khvab ka ye vo raat thi ki guzar ga.i ye vo nashsha tha ki utar gaya dil-e-na-tavan ko takan ho mujhe us ki taab na thi zara gham-e-intizar se bach gaya tha naved-e-vasl se mar gaya mire sabr-o-tab ke samne na hujum-e-khauf-o-raja raha vo chamak ke barq rah ga.i vo garaj ke abr guzar gaya mujhe bahr-e-gham se ubuur ki nahin fikr ai mire chara-gar nahin koi chara-kar ab mire sar se aab guzar gaya mujhe raz-e-ishq ke zabt men jo maza mila hai na puchhiye mai-e-angbin ka ye ghunT tha ki gale se mere utar gaya nahin ab jahan men dosti kabhi raste men jo mil ga.e nahin matlab ek ko ek se ye idhar chala vo udhar gaya agar aa ke ghussa nahin raha to lagi thi aag ki bujh ga.i jo hasad ka josh faro hua to ye zahr chaDh ke utar gaya tujhe 'nazm' vadi-e-shauq men abas ehtiyat hai is qadar kahin girte girte sambhal gaya kahin chalte chalte Thahar gaya yuun main sidha gaya vahshat men bayaban ki taraf haath jis tarah se aata hai gareban ki taraf baiThe baiThe dil-e-gham-ghin ko ye kya lahr aa.i uTh ke tufan chala dida-e-giryan ki taraf dekhna lala-e-khud-rav ka lahakna saaqi koh se dauD ga.i aag bayaban ki taraf ro diya dekh ke aksar main bahar-e-shabnam hans diya dekh ke aksar gul-e-khandan ki taraf baat chhupti nahin paDti hain nigahen sab ki us ke daman ki taraf mere gareban ki taraf saikDon dagh-e-gunah dho ga.e rahmat se tiri kya ghaTa jhuum ke aa.i thi gulistan ki taraf chashm-e-a.ina pareshan-nazari siikh ga.i dekhta tha ye bahut zulf-e-pareshan ki taraf sar jhuka.e hue hai 'nazm' basan-e-khama samt sajde ki hai teri khat-e-farman ki taraf yuun to na tere jism men hain zinhar haath dene ke ai karim magar hain hazar haath angDa.iyon men phailte hain baar baar haath shisha ki samt baDhte hain be-ikhtiyar haath Duube hain tark-e-sa.i se afsos to ye hai sahil tha haath bhar pe lagate jo chaar haath aati hai jab nasim to kahti hai mauj-e-bahr yuun aabru sameT agar hon hazar haath darpai hain mere qatl ke ahbab aur main khush huun ki mere khuun men rangte hain yaar haath daman-kashan chali hai badan se nikal ke ruuh khinchte hain phailte hain jo yuun baar baar haath miTta nahin navishta-e-qismat kisi tarah patthar se sar ko phoD ki zaanu pe maar haath saaqi sambhalna ki hai labrez jam-e-mai laghzish hai mere paanv men aur ra.asha-dar haath mutrib se puchh mas.ala-e-jabr-o-ikhtiyar kya taal sam pe uThte hain be-ikhtiyar haath main aur huun ala.eq-e-duniya ke daam men mera na ek haath na us ke hazar haath ai 'nazm' vasl men bhi raha tu na chain se dil ko hua qarar to hai be-qarar haath aa.ega koi chal ke khizan se bahar men sadiyan guzar ga.i hain isi intizar men chhiDte hi saz-e-bazm men koi na tha kahin vo kaun tha jo bol raha tha sitar men ye aur baat hai koi mahke koi chubhe gulshan to jitna gul men hai utna hai khaar men apni tarah se duniya badalne ke vaste mera hi ek ghar hai mire ikhtiyar men tishna-labi ne ret ko dariya bana diya paani kahan tha varna kisi reg-zar men masruf gorkan ko bhi shayad pata nahin vo khud khaDa hua hai qaza ki qatar men aaj zara fursat paa.i thi aaj use phir yaad kiya band gali ke akhiri ghar ko khol ke phir abad kiya khol ke khiDki chand hansa phir chand ne donon hathon se rang uDaa.e phuul khila.e chiDiyon ko azad kiya baDe baDe gham khaDe hue the rasta roke rahon men chhoTi chhoTi khushiyon se hi ham ne dil ko shaad kiya baat bahut ma.amuli si thi ulajh ga.i takraron men ek zara si zid ne akhir donon ko barbad kiya danaon ki baat na maani kaam aa.i nadani hi suna hava ko paDha nadi ko mausam ko ustad kiya aani jaani har mohabbat hai chalo yuun hi sahi jab talak hai khub-surat hai chalo yuun hi sahi ham kahan ke devta hain bevafa vo hain to kya ghar men koi ghar ki zinat hai chalo yuun hi sahi vo nahin to koi to hoga kahin us ki tarah jism men jab tak hararat hai chalo yuun hi sahi maile ho jaate hain rishte bhi libason ki tarah dosti har din ki mehnat hai chalo yuun hi sahi bhuul thi apni farishta aadmi men DhunDna aadmi men adamiyyat hai chalo yuun hi sahi jaisi honi chahiye thi vaisi to duniya nahin duniya-dari bhi zarurat hai chalo yuun hi sahi ab khushi hai na koi dard rulane vaala ham ne apna liya har rang zamane vaala ek be-chehra si ummid hai chehra chehra jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaala us ko rukhsat to kiya tha mujhe ma.alum na tha saara ghar le gaya ghar chhoD ke jaane vaala duur ke chand ko DhunDo na kisi anchal men ye ujala nahin angan men samane vaala ik musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya koi jaldi men koi der se jaane vaala achchhi nahin ye khamushi shikva karo gila karo yuun bhi na kar sako to phir ghar men khuda khuda karo shohrat bhi us ke saath hai daulat bhi us ke haath hai khud se bhi vo mile kabhi us ke liye dua karo dekho ye shahr hai ajab dil bhi nahin hai kam ghazab shaam ko ghar jo aa.uun main thoDa sa saj liya karo dil men jise basao tum chand use banao tum vo jo kahe paDha karo jo na kahe suna karo meri nashist pe bhi kal aa.ega koi dusra tum bhi bana ke rasta mere liye jagah karo apna gham le ke kahin aur na jaaya jaa.e ghar men bikhri hui chizon ko sajaya jaa.e jin charaghon ko havaon ka koi khauf nahin un charaghon ko havaon se bachaya jaa.e khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab men aur kuchh din abhi auron ko sataya jaa.e baagh men jaane ke adab hua karte hain kisi titli ko na phulon se uDaya jaa.e kya hua shahr ko kuchh bhi to dikha.i de kahin yuun kiya jaa.e kabhi khud ko rulaya jaa.e ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar len kisi rote hue bachche ko hansaya jaa.e apni marzi se kahan apne safar ke ham hain rukh havaon ka jidhar ka hai udhar ke ham hain pahle har chiiz thi apni magar ab lagta hai apne hi ghar men kisi dusre ghar ke ham hain vaqt ke saath hai miTi ka safar sadiyon se kis ko malum kahan ke hain kidhar ke ham hain chalte rahte hain ki chalna hai musafir ka nasib sochte rahte hain kis rahguzar ke ham hain ham vahan hain jahan kuchh bhi nahin rasta na dayar apne hi kho.e hue shaam o sahar ke ham hain gintiyon men hi gine jaate hain har daur men ham har qalamkar ki be-nam khabar ke ham hain be-nam sa ye dard Thahar kyuun nahin jaata jo biit gaya hai vo guzar kyuun nahin jaata sab kuchh to hai kya DhunDhti rahti hain nigahen kya baat hai main vaqt pe ghar kyuun nahin jaata vo ek hi chehra to nahin saare jahan men jo duur hai vo dil se utar kyuun nahin jaata main apni hi uljhi hui rahon ka tamasha jaate hain jidhar sab main udhar kyuun nahin jaata vo khvab jo barson se na chehra na badan hai vo khvab havaon men bikhar kyuun nahin jaata besan ki saundhi roTi par khaTTi chaTni jaisi maan yaad aati hai! chauka basan chimTa phukni jaisi maan baans ki kharri khaaT ke uupar har aahaT par kaan dhare aadhi soi aadhi jaagi thaki do-pahri jaisi maan chiDiyon ki chahkar men gunje radha mohan ali ali murghe ki avaz se bajti ghar ki kunDi jaisi maan biivi beTi bahan paDosan thoDi thoDi si sab men din bhar ik rassi ke uupar chalti naTni jaisi maan baanT ke apna chehra matha ankhen jaane kahan ga.i phaTe purane ik album men chanchal laDki jaisi maan dariya ho ya pahaD ho Takrana chahiye jab tak na saans TuuTe jiye jaana chahiye yuun to qadam qadam pe hai divar samne koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye jhukti hui nazar ho ki simTa hua badan har ras-bhari ghaTa ko baras jaana chahiye chaurahe baagh buildingen sab shahr to nahin kuchh aise vaise logon se yarana chahiye apni talash apni nazar apna tajraba rasta ho chahe saaf bhaTak jaana chahiye chup chup makan raste gum-sum niDhal vaqt is shahr ke liye koi divana chahiye bijli ka qumquma na ho kaala dhuan to ho ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye dekha hua sa kuchh hai to socha hua sa kuchh har vaqt mere saath hai uljha hua sa kuchh hota hai yuun bhi rasta khulta nahin kahin jangal sa phail jaata hai khoya hua sa kuchh sahil ki giili ret par bachchon ke khel sa har lamha mujh men banta bikharta hua sa kuchh fursat ne aaj ghar ko sajaya kuchh is tarah har shai se muskurata hai rota hua sa kuchh dhundli si ek yaad kisi qabr ka diya aur mere as-pas chamakta hua sa kuchh dhuup men niklo ghaTaon men naha kar dekho zindagi kya hai kitabon ko haTa kar dekho sirf ankhon se hi duniya nahin dekhi jaati dil ki dhaDkan ko bhi bina.i bana kar dekho pattharon men bhi zaban hoti hai dil hote hain apne ghar ke dar-o-divar saja kar dekho vo sitara hai chamakne do yunhi ankhon men kya zaruri hai use jism bana kar dekho fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai vo mile ya na mile haath baDha kar dekho dil men na ho jur.at to mohabbat nahin milti khairat men itni baDi daulat nahin milti kuchh log yunhi shahr men ham se bhi khafa hain har ek se apni bhi tabi.at nahin milti dekha hai jise main ne koi aur tha shayad vo kaun tha jis se tiri surat nahin milti hanste hue chehron se hai bazar ki zinat rone ki yahan vaise bhi fursat nahin milti nikla karo ye sham.a liye ghar se bhi bahar kamre men sajane ko musibat nahin milti din saliqe se uga raat Thikane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamane se rahi chand lamhon ko hi banti hain musavvir ankhen zindagi roz to tasvir banane se rahi is andhere men to Thokar hi ujala degi raat jangal men koi sham.a jalane se rahi fasla chand bana deta hai har patthar ko duur ki raushni nazdik to aane se rahi shahr men sab ko kahan milti hai rone ki jagah apni izzat bhi yahan hansne hansane se rahi do chaar gaam raah ko hamvar dekhna phir har qadam pe ik na.i divar dekhna ankhon ki raushni se hai har sang a.ina har aa.ine men khud ko gunahgar dekhna har aadmi men hote hain das biis aadmi jis ko bhi dekhna ho ka.i baar dekhna maidan ki haar jiit to qismat ki baat hai TuuTi hai kis ke haath men talvar dekhna dariya ke is kinare sitare bhi phuul bhi dariya chaDha hua ho to us paar dekhna achchhi nahin hai shahr ke raston se dosti angan men phail jaa.e na bazar dekhna duniya jise kahte hain jaadu ka khilauna hai mil jaa.e to miTTi hai kho jaa.e to sona hai achchha sa koi mausam tanha sa koi aalam har vaqt ka rona to be-kar ka rona hai barsat ka badal to divana hai kya jaane kis raah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai ye vaqt jo tera hai ye vaqt jo mera hai har gaam pe pahra hai phir bhi ise khona hai gham ho ki khushi donon kuchh duur ke sathi hain phir rasta hi rasta hai hansna hai na rona hai avara-mizaji ne phaila diya angan ko akash ki chadar hai dharti ka bichhauna hai ek hi dharti ham sab ka ghar jitna tera utna mera dukh sukh ka ye jantar-mantar jitna tera utna mera gehun chaval banTne vaale jhuTa taulen to kya bolen yuun to sab kuchh andar bahar jitna tera utna mera har jivan ki vahi virasat aansu sapna chahat mehnat sanson ka har bojh barabar jitna tera utna mera sansen jitni maujen utni sab ki apni apni ginti sadiyon ka itihas samundar jitna tera utna mera khushiyon ke baTvare tak hi unche niche aage pichhe duniya ke miT jaane ka Dar jitna tera utna mera garaj-baras pyasi dharti par phir paani de maula chiDiyon ko daane bachchon ko guD-dhani de maula do aur do ka joD hamesha chaar kahan hota hai soch samajh valon ko thoDi nadani de maula phir raushan kar zahr ka pyala chamka na.i saliben jhuTon ki duniya men sach ko tabani de maula phir murat se bahar aa kar charon or bikhar ja phir mandir ko koi 'mira' divani de maula tere hote koi kis ki jaan ka dushman kyuun ho jiine valon ko marne ki asani de maula ghar se nikle to ho socha bhi kidhar jaoge har taraf tez hava.en hain bikhar jaoge itna asan nahin lafzon pe bharosa karna ghar ki dahliz pukaregi jidhar jaoge shaam hote hi simaT ja.enge saare raste bahte dariya se jahan hoge Thahar jaoge har na.e shahr men kuchh raten kaDi hoti hain chhat se divaren juda hongi to Dar jaoge pahle har chiiz nazar aa.egi be-ma.ani si aur phir apni hi nazron se utar jaoge girja men mandiron men azanon men baT gaya hote hi sub.h aadmi khanon men baT gaya ik ishq naam ka jo parinda khala men tha utra jo shahr men to dukanon men baT gaya pahle talasha khet phir dariya ki khoj ki baaqi ka vaqt gehun ke danon men baT gaya jab tak tha asman men suraj sabhi ka tha phir yuun hua vo chand makanon men baT gaya hain taak men shikari nishana hain bastiyan aalam tamam chand machanon men baT gaya khabron ne ki musavvari khabren ghazal banin zinda lahu to tiir kamanon men baT gaya har ek baat ko chup-chap kyuun suna jaa.e kabhi to hausla kar ke nahin kaha jaa.e tumhara ghar bhi isi shahr ke hisar men hai lagi hai aag kahan kyuun pata kiya jaa.e juda hai hiir se ranjha ka.i zamanon se na.e sire se kahani ko phir likha jaa.e kaha gaya hai sitaron ko chhuna mushkil hai ye kitna sach hai kabhi tajraba kiya jaa.e kitaben yuun to bahut si hain mere baare men kabhi akele men khud ko bhi paDh liya jaa.e har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho rahegi va.adon men kab tak asiir khush-hali har ek baar hi kal kyuun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaba to aur kya karte tumhare shahr men kuchh aur kam-kaj bhi ho hukumaton ko badalna to kuchh muhal nahin hukumaten jo badalta hai vo samaj bhi ho badal rahe hain ka.i aadmi darindon men maraz purana hai is ka naya ilaaj bhi ho akele gham se na.i sha.iri nahin hoti zaban-e-'mir' men 'ghalib' ka imtizaj bhi ho har ghaDi khud se ulajhna hai muqaddar mera main hi kashti huun mujhi men hai samundar mera kis se puchhun ki kahan gum huun ka.i barson se har jagah DhunDhta phirta hai mujhe ghar mera ek se ho ga.e mausamon ke chehre saare meri ankhon se kahin kho gaya manzar mera muddaten biit ga.iin khvab suhana dekhe jagta rahta hai har niind men bistar mera aa.ina dekh ke nikla tha main ghar se bahar aaj tak haath men mahfuz hai patthar mera har taraf har jagah be-shumar aadmi phir bhi tanha.iyon ka shikar aadmi sub.h se shaam tak bojh Dhota hua apni hi laash ka khud mazar aadmi har taraf bhagte dauDte raste har taraf aadmi ka shikar aadmi roz jiita hua roz marta hua har na.e din naya intizar aadmi ghar ki dahliz se gehun ke khet tak chalta phirta koi karobar aadmi zindagi ka muqaddar safar-dar-safar akhiri saans tak be-qarar aadmi hosh valon ko khabar kya be-khudi kya chiiz hai ishq kiije phir samjhiye zindagi kya chiiz hai un se nazren kya milin raushan faza.en ho ga.iin aaj jaana pyaar ki jadugari kya chiiz hai bikhri zulfon ne sikha.i mausamon ko sha.iri jhukti ankhon ne bataya mai-kashi kya chiiz hai ham labon se kah na paa.e un se hal-e-dil kabhi aur vo samjhe nahin ye khamoshi kya chiiz hai insan men haivan yahan bhi hai vahan bhi allah nigahban yahan bhi hai vahan bhi khun-khvar darindon ke faqat naam alag hain har shahr bayaban yahan bhi hai vahan bhi hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se insan pareshan yahan bhi hai vahan bhi rahman ki rahmat ho ki bhagvan ki murat har khel ka maidan yahan bhi hai vahan bhi uThta hai dil-o-jan se dhuan donon taraf hi ye 'mir' ka divan yahan bhi hai vahan bhi jab se qarib ho ke chale zindagi se ham khud apne aa.ine ko lage ajnabi se ham kuchh duur chal ke raste sab ek se lage milne ga.e kisi se mil aa.e kisi se ham achchhe bure ke farq ne basti ujaaD di majbur ho ke milne lage har kisi se ham sha.ista mahfilon ki fazaon men zahr tha zinda bache hain zehn ki avargi se ham achchhi bhali thi duniya guzare ke vaste uljhe hue hain apni hi khud-agahi se ham jangal men duur tak koi dushman na koi dost manus ho chale hain magar bamba.i se ham jise dekhte hi khumari lage use umr saari hamari lage ujala sa hai us ke charon taraf vo nazuk badan paanv bhari lage vo sasural se aa.i hai ma.ike use jitna dekho vo pyari lage hasin suraten aur bhi hain magar vo sab saikaDon men hazari lage chalo is tarah se saja.en use ye duniya hamari tumhari lage use dekhna sher-goi ka fan use sochna din-dari lage jo ho ik baar vo har baar ho aisa nahin hota hamesha ek hi se pyaar ho aisa nahin hota har ik kashti ka apna tajraba hota hai dariya men safar men roz hi manjdhar ho aisa nahin hota kahani men to kirdaron ko jo chahe bana diije haqiqat bhi kahani-kar ho aisa nahin hota kahin to koi hoga jis ko apni bhi zarurat ho har ik baazi men dil ki haar ho aisa nahin hota sikha deti hain chalna Thokaren bhi rahgiron ko koi rasta sada dushvar ho aisa nahin hota kabhi kabhi yuun bhi ham ne apne ji ko bahlaya hai jin baton ko khud nahin samjhe auron ko samjhaya hai ham se puchho izzat valon ki izzat ka haal kabhi ham ne bhi ik shahr men rah kar thoDa naam kamaya hai us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyuun angan men hanste bachchon ko be-karan dhamkaya hai us basti se chhuT kar yuun to har chehre ko yaad kiya jis se thoDi si an-ban thi vo aksar yaad aaya hai koi mila to haath milaya kahin ga.e to baten kiin ghar se bahar jab bhi nikle din bhar bojh uThaya hai kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta kahin zamin kahin asman nahin milta tamam shahr men aisa nahin khulus na ho jahan umiid ho is ki vahan nahin milta kahan charagh jala.en kahan gulab rakhen chhaten to milti hain lekin makan nahin milta ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta charagh jalte hi bina.i bujhne lagti hai khud apne ghar men hi ghar ka nishan nahin milta kaTh-putli hai ya jivan hai jiite jaao socho mat soch se hi saari uljhan hai jiite jaao socho mat likha hua kirdar kahani men hi chalta phirta hai kabhi hai duuri kabhi milan hai jiite jaao socho mat naach sako to nacho jab thak jaao to aram karo TeDha kyuun ghar ka angan hai jiite jaao socho mat har maz.hab ka ek hi kahna jaisa malik rakkhe rahna jab tak sanson ka bandhan hai jiite jaao socho mat ghuum rahe hain bazaron men sarmayon ke atish-dan kis bhaTTi men kaun indhan hai jiite jaao socho mat koi hindu koi muslim koi isa.i hai sab ne insan na banne ki qasam khaa.i hai itni khun-khar na thiin pahle ibadat-gahen ye aqide hain ki insan ki tanha.i hai tiin chautha.i se zaa.id hain jo abadi men un ke hi vaste har bhuuk hai mahnga.i hai dekhe kab talak baaqi rahe saj-dhaj us ki aaj jis chehra se tasvir utarva.i hai ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siva ab na badal hain na chiDiyan hain na purva.i hai koshish ke bavajud ye ilzam rah gaya har kaam men hamesha koi kaam rah gaya chhoTi thi umr aur fasana tavil tha aghaz hi likha gaya anjam rah gaya uTh uTh ke masjidon se namazi chale ga.e dahshat-garon ke haath men islam rah gaya us ka qusur ye tha bahut sochta tha vo vo kamyab ho ke bhi nakam rah gaya ab kya bata.en kaun tha kya tha vo ek shakhs ginti ke chaar harfon ka jo naam rah gaya kuchh bhi bacha na kahne ko har baat ho ga.i aao kahin sharab piyen raat ho ga.i phir yuun hua ki vaqt ka pansa palaT gaya ummid jiit ki thi magar maat ho ga.i suraj ko chonch men liye murgha khaDa raha khiDki ke parde khinch diye raat ho ga.i vo aadmi tha kitna bhala kitna pur-khulus us se bhi aaj liije mulaqat ho ga.i raste men vo mila tha main bach kar guzar gaya us ki phaTi qamis mire saath ho ga.i naqsha uTha ke koi naya shahr DhunDhiye is shahr men to sab se mulaqat ho ga.i kuchh tabi.at hi mili thi aisi chain se jiine ki surat na hui jis ko chaha use apna na sake jo mila us se mohabbat na hui jis se jab tak mile dil hi se mile dil jo badla to fasana badla rasm-e-duniya ko nibhane ke liye ham se rishton ki tijarat na hui duur se tha vo ka.i chehron men paas se koi bhi vaisa na laga bevafa.i bhi usi ka tha chalan phir kisi se ye shikayat na hui chhoD kar ghar ko kahin jaane se ghar men rahne ki ibadat thi baDi jhuuT mash.hur hua raaja ka sach ki sansar men shohrat na hui vaqt ruTha raha bachche ki tarah raah men koi khilauna na mila dosti ki to nibha.i na ga.i dushmani men bhi adavat na hui main apne ikhtiyar men huun bhi nahin bhi huun duniya ke karobar men huun bhi nahin bhi huun teri hi justuju men laga hai kabhi kabhi main tere intizar men huun bhi nahin bhi huun fihrist marne valon ki qatil ke paas hai main apne hi mazar men huun bhi nahin bhi huun auron ke saath aisa koi mas.ala nahin ik main hi is dayar men huun bhi nahin bhi huun mujh se hi hai har ek siyasat ka e'tibar phir bhi kisi shumar men huun bhi nahin bhi huun man bai-ragi tan anuragi qadam qadam dushvari hai jivan jiina sahl na jaano bahut baDi fankari hai auron jaise ho kar bhi ham ba-izzat hain basti men kuchh logon ka sidha-pan hai kuchh apni ayyari hai jab jab mausam jhuma ham ne kapDe phaDe shor kiya har mausam sha.ista rahna kori duniya-dari hai aib nahin hai is men koi lal-pari na phul-kali ye mat puchho vo achchha hai ya achchhi nadari hai jo chehra dekha vo toDa nagar nagar viran kiye pahle auron se na-khush the ab khud se be-zari hai mohabbat men vafadari se bachiye jahan tak ho adakari se bachiye har ik surat bhali lagti hai kuchh din lahu ki sho.abada-kari se bachiye sharafat adamiyat dard-mandi baDe shahron men bimari se bachiye zaruri kya har ik mahfil men baiThen takalluf ki rava-dari se bachiye bina pairon ke sar chalte nahin hain buzurgon ki samajhdari se bachiye munh ki baat sune har koi dil ke dard ko jaane kaun avazon ke bazaron men khamoshi pahchane kaun sadiyon sadiyon vahi tamasha rasta rasta lambi khoj lekin jab ham mil jaate hain kho jaata hai jaane kaun vo meri parchha.in hai ya main us ka a.ina huun mere hi ghar men rahta hai mujh jaisa hi jaane kaun jaane kya kya bol raha tha sarhad pyaar kitaben khuun kal meri nindon men chhup kar jaag raha tha jaane kaun kiran kiran alsata suraj palak palak khulti ninden dhime dhime bikhar raha hai zarra zarra jaane kaun muTThi bhar logon ke hathon men lakhon ki taqdiren hain juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain aaj aur kal ki baat nahin hai sadiyon ki tarikh yahi hai har angan men khvab hain lekin chand gharon men ta.abiren hain jab bhi koi takht saja hai mera tera khuun baha hai darbaron ki shan-o-shaukat maidanon ki shamshiren hain har jangal ki ek kahani vo hi bhenT vahi qurbani gungi bahri saari bheDen charvahon ki jagiren hain na jaane kaun sa manzar nazar men rahta hai tamam umr musafir safar men rahta hai laDa.i dekhe hue dushmanon se mumkin hai magar vo khauf jo divar-o-dar men rahta hai khuda to malik-o-mukhtar hai kahin bhi rahe kabhi bashar men kabhi janvar men rahta hai ajiib daur hai ye tai-shuda nahin kuchh bhi na chand shab men na suraj sahar men rahta hai jo milna chaho to mujh se milo kahin bahar vo koi aur hai jo mere ghar men rahta hai badalna chaho to duniya badal bhi sakti hai ajab futur sa har vaqt sar men rahta hai nazdikiyon men duur ka manzar talash kar jo haath men nahin hai vo patthar talash kar suraj ke ird-gird bhaTakne se fa.eda dariya hua hai gum to samundar talash kar tarikh men mahl bhi hai hakim bhi takht bhi gumnam jo hue hain vo lashkar talash kar rahta nahin hai kuchh bhi yahan ek sa sada darvaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar koshish bhi kar umiid bhi rakh rasta bhi chun phir is ke ba.ad thoDa muqaddar talash kar raat ke ba.ad na.e din ki sahar aa.egi din nahin badlega tarikh badal ja.egi hanste hanste kabhi thak jaao to chhup ke ro lo ye hansi bhiig ke kuchh aur chamak ja.egi jagmagati hui saDkon pe akele na phiro shaam aa.egi kisi moD pe Das ja.egi aur kuchh der yunhi jang siyasat maz.hab aur thak jaao abhi niind kahan aa.egi meri ghurbat ko sharafat ka abhi naam na de vaqt badla to tiri raa.e badal ja.egi vaqt nadiyon ko uchhale ki uDaa.e parbat umr ka kaam guzarna hai guzar ja.egi safar men dhuup to hogi jo chal sako to chalo sabhi hain bhiiD men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaste rahen kahan badalti hain tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi rasta nahin deta mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo kahin nahin koi suraj dhuan dhuan hai faza khud apne aap se bahar nikal sako to chalo yahi hai zindagi kuchh khvab chand ummiden inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo tanha tanha dukh jhelenge mahfil mahfil ga.enge jab tak aansu paas rahenge tab tak giit suna.enge tum jo socho vo tum jaano ham to apni kahte hain der na karna ghar aane men varna ghar kho ja.enge bachchon ke chhoTe hathon ko chand sitare chhune do chaar kitaben paDh kar ye bhi ham jaise ho ja.enge achchhi surat vaale saare patthar-dil hon mumkin hai ham to us din raa.e denge jis din dhoka kha.enge kin rahon se safar hai asan kaun sa rasta mushkil hai ham bhi jab thak kar baiThenge auron ko samjha.enge us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga vo bhi meri hi tarah shahr men tanha hoga itna sach bol ki honTon ka tabassum na bujhe raushni khatm na kar aage andhera hoga pyaas jis nahr se Takra.i vo banjar nikli jis ko pichhe kahin chhoD aa.e vo dariya hoga mire baare men koi raa.e to hogi us ki us ne mujh ko bhi kabhi toD ke dekha hoga ek mahfil men ka.i mahfilen hoti hain sharik jis ko bhi paas se dekhoge akela hoga us ko kho dene ka ehsas to kam baaqi hai jo hua vo na hua hota ye gham baaqi hai ab na vo chhat hai na vo ziina na angur ki bel sirf ik us ko bhulane ki qasam baaqi hai main ne puchha tha sabab peD ke gir jaane ka uTh ke maali ne kaha us ki qalam baaqi hai jang ke faisle maidan men kahan hote hain jab talak hafize baaqi hain alam baaqi hai thak ke girta hai hiran sirf shikari ke liye jism ghayal hai magar ankhon men ram baaqi hai yaqin chand pe suraj men e'tibar bhi rakh magar nigah men thoDa sa intizar bhi rakh khuda ke haath men mat saunp saare kamon ko badalte vaqt pe kuchh apna ikhtiyar bhi rakh ye hi lahu hai shahadat ye hi lahu paani khizan nasib sahi zehn men bahar bhi rakh gharon ke taqon men gul-daste yuun nahin sajte jahan hain phuul vahin as-pas khaar bhi rakh pahaD gunjen nadi gaa.e ye zaruri hai safar kahin ka ho dil men kisi ka pyaar bhi rakh ye kaisi kashmakash hai zindagi men kisi ko DhunDte hain ham kisi men jo kho jaata hai mil kar zindagi men ghazal hai naam us ka sha.eri men nikal aate hain aansu hanste hanste ye kis gham ki kasak hai har khushi men kahin chehra kahin ankhen kahin lab hamesha ek milta hai ka.i men chamakti hai andheron men khamoshi sitare TuTte hain raat hi men sulagti ret men paani kahan tha koi badal chhupa tha tishnagi men bahut mushkil hai banjara-mizaji saliqa chahiye avargi men hasrat-e-intizar-e-yar na puchh haa.e vo shiddat-e-intizar na puchh rang-e-gulshan dam-e-bahar na puchh vahshat-e-qalb-e-be-qarar na puchh sadma-e-andalib-e-zar na puchh talkh anjami-e-bahar na puchh ghair par lutf main rahin-e-sitam mujh se a.ina-e-bazm-e-yar na puchh de diya dard mujh ko dil ke evaz haa.e lutf-e-sitam-shi.ar na puchh phir hui yad-e-mai-kashi taaza masti-e-abr-e-nau-bahar na puchh mujh ko dhoka hai tar-e-bistar ka na-tavani-e-jism-e-yar na puchh main huun na-ashna-e-vasl hunuz mujh se kaif-e-visal-e-yar na puchh jo be-sabat ho us sarkhushi ko kya kiije ye zindagi hai to phir zindagi ko kya kiije ruka jo kaam to divangi hi kaam aa.i na kaam aa.e to farzangi ko kya kiije ye kyuun kahen ki hamen koi rahnuma na mila magar sarisht ki avargi ko kya kiije kisi ko dekh ke ik mauj lab pe aa to ga.i uThe na dil se to aisi hansi ko kya kiije hamen to aap ne soz-e-alam hi bakhsha tha jo nuur ban ga.i us tirgi ko kya kiije hamare hisse ka ik jur.a bhi nahin baaqi nigah-e-dost ki mai-khangi ko kya kiije jahan gharib ko nan-e-javin nahin milti vahan hakim ke dars-e-khudi ko kya kiije visal-e-dost se bhi kam na ho saki 'rashid' azal se paa.i hui tishnagi ko kya kiije tire karam se khuda.i men yuun to kya na mila magar jo tu na mila ziist ka maza na mila hayat-e-shauq ki ye garmiyan kahan hotin khuda ka shukr hamen nala-e-rasa na mila azal se fitrat-e-azad hi thi avara ye kyuun kahen ki hamen koi rahnuma na mila ye ka.enat kisi ka ghubar-e-rah sahi dalil-e-rah jo banta vo naqsh-e-pa na mila ye dil shahid-e-fareb-nigah ho na saka vo laakh ham se ba-andaz-e-mahramana mila kanar-e-mauj men marna to ham ko aata hai nishan-e-sahil-e-ulfat mila mila na mila tiri talash hi thi maya-e-baqa-e-vajud bala se ham ko sar-e-manzil-e-baqa na mila tu ashna-e-jazba-e-ulfat nahin raha dil men tire vo zauq-e-mohabbat nahin raha phir naghma-ha-e-qum to faza men hain gunjte tu hi harif-e-zauq-e-sama.at nahin raha aa.iin kahan se aankh men atish-chikaniyan dil ashna-e-soz-e-mohabbat nahin raha gul-ha-e-husn-e-yar men daman-kash-e-nazar main ab haris-e-gulshan-e-jannat nahin raha shayad junun hai ma.il-e-farzangi mira main vo nahin vo alam-e-vahshat nahin raha mamnun huun main tera bahut marg-e-na-gahan main ab asir-e-gardish-e-qismat nahin raha jalva-gah-e-khayal men vo aa ga.e hain aaj lo main rahin-e-zahmat-e-khalvat nahin raha kya fa.eda hai dava-e-ishq-e-husain se sar men agar vo shauq-e-shahadat nahin raha ab bhala chhoD ke ghar kya karte shaam ke vaqt safar kya karte teri masrufiyaten jante hain apne aane ki khabar kya karte jab sitare hi nahin mil paa.e le ke ham shams-o-qamar kya karte vo musafir hi khuli dhuup ka tha saa.e phaila ke shajar kya karte khaak hi avval o akhir Thahri kar ke zarre ko guhar kya karte raa.e pahle se bana li tu ne dil men ab ham tire ghar kya karte ishq ne saare saliqe bakhshe husn se kasb-e-hunar kya karte ab itni sadgi laa.en kahan se zamin ki khair mangen asman se agar chahen to vo divar kar den hamen ab kuchh nahin kahna zaban se sitara hi nahin jab saath deta to kashti kaam le kya badban se bhaTakne se mile fursat to puchhen pata manzil ka mir-e-karvan se tavajjoh barq ki hasil rahi hai so hai azad fikr-e-ashiyan se hava ko raz-dan ham ne banaya aur ab naraz khushbu ke bayan se zaruri ho ga.i hai dil ki zinat makin pahchane jaate hain makan se fana-fil-ishq hona chahte the magar fursat na thi kar-e-jahan se vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thi baDi hikmat hai vabasta khizan se kisi ne baat ki thi hans ke shayad zamane bhar se hain ham khud guman se main ik ik tiir pe khud Dhaal banti agar hota vo dushman ki kaman se jo sabza dekh kar kheme laga.en unhen taklif kyuun pahunche khizan se jo apne peD jalte chhoD jaa.en unhen kya haq ki ruThen baghban se agarche tujh se bahut ikhtilaf bhi na hua magar ye dil tiri janib se saaf bhi na hua ta.alluqat ke barzakh men hi rakha mujh ko vo mere haq men na tha aur khilaf bhi na hua ajab tha jurm-e-mohabbat ki jis pe dil ne mire saza bhi paa.i nahin aur muaaf bhi na hua malamaton men kahan saans le sakenge vo log ki jin se ku-e-jafa ka tavaf bhi na hua ajab nahin hai ki dil par jami mili kaa.i bahut dinon se to ye hauz saaf bhi na hua hava-e-dahr hamen kis liye bujhati hai hamen to tujh se kabhi ikhtilaf bhi na hua aks-e-khushbu huun bikharne se na roke koi aur bikhar ja.un to mujh ko na sameTe koi kaanp uThti huun main ye soch ke tanha.i men mere chehre pe tira naam na paDh le koi jis tarah khvab mire ho ga.e reza reza us tarah se na kabhi TuuT ke bikhre koi main to us din se hirasan huun ki jab hukm mile khushk phulon ko kitabon men na rakkhe koi ab to is raah se vo shakhs guzarta bhi nahin ab kis ummid pe darvaze se jhanke koi koi aahaT koi avaz koi chaap nahin dil ki galiyan baDi sunsan hain aa.e koi apni hi sada sunun kahan tak jangal ki hava rahun kahan tak har baar hava na hogi dar par har baar magar uThun kahan tak dam ghaTta hai ghar men habs vo hai khushbu ke liye rukun kahan tak phir aa ke hava.en khol dengi zakhm apne rafu karun kahan tak sahil pe samundaron se bach kar main naam tira likhun kahan tak tanha.i ka ek ek lamha hangamon se qarz luun kahan tak gar lams nahin to lafz hi bhej main tujh se juda rahun kahan tak sukh se bhi to dosti kabhi ho dukh se hi gale milun kahan tak mansub ho har kiran kisi se apne hi liye jalun kahan tak anchal mire bhar ke phaT rahe hain phuul us ke liye chunun kahan tak apni rusva.i tire naam ka charcha dekhun ik zara sher kahun aur main kya kya dekhun niind aa jaa.e to kya mahfilen barpa dekhun aankh khul jaa.e to tanha.i ka sahra dekhun shaam bhi ho ga.i dhundla ga.iin ankhen bhi miri bhulne vaale main kab tak tira rasta dekhun ek ik kar ke mujhe chhoD ga.iin sab sakhiyan aaj main khud ko tiri yaad men tanha dekhun kaash sandal se miri maang ujale aa kar itne ghairon men vahi haath jo apna dekhun tu mira kuchh nahin lagta hai magar jan-e-hayat jaane kyuun tere liye dil ko dhDakna dekhun band kar ke miri ankhen vo shararat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhun sab ziden us ki main puuri karun har baat sunun ek bachche ki tarah se use hansta dekhun mujh pe chha jaa.e vo barsat ki khushbu ki tarah ang ang apna isi rut men mahakta dekhun phuul ki tarah mire jism ka har lab khul jaa.e pankhuDi pankhuDi un honTon ka saaya dekhun main ne jis lamhe ko puuja hai use bas ik baar khvab ban kar tiri ankhon men utarta dekhun tu miri tarah se yakta hai magar mere habib ji men aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun TuuT jaa.en ki pighal jaa.en mire kachche ghaDe tujh ko main dekhun ki ye aag ka dariya dekhun apni tanha.i mire naam pe abad kare kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare dil ajab shahr ki jis par bhi khula dar is ka vo musafir ise har samt se barbad kare apne qatil ki zehanat se pareshan huun main roz ik maut na.e tarz ki ijad kare itna hairan ho miri be-talabi ke aage va qafas men koi dar khud mira sayyad kare salb-e-bina.i ke ahkam mile hain jo kabhi raushni chhune ki khvahish koi shab-zad kare soch rakhna bhi jara.em men hai shamil ab to vahi ma.asum hai har baat pe jo saad kare jab lahu bol paDe us ke gavahon ke khilaf qazi-e-shahr kuchh is baab men irshad kare us ki muTThi men bahut roz raha mera vajud mere sahir se kaho ab mujhe azad kare ashk aankh men phir aTak raha hai kankar sa koi khaTak raha hai main us ke khayal se gurezan vo meri sada jhaTak raha hai tahrir usi ki hai magar dil khat paDhte hue aTak raha hai hain phone pe kis ke saath baten aur zehn kahan bhaTak raha hai sadiyon se safar men hai samundar sahil pe thakan Tapak raha hai ik chand salib-e-shakh-e-gul par baali ki tarah laTak raha hai badban khulne se pahle ka ishara dekhna main samundar dekhti huun tum kinara dekhna yuun bichhaDna bhi bahut asan na tha us se magar jaate jaate us ka vo muD kar dobara dekhna kis shabahat ko liye aaya hai darvaze pe chand ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna kya qayamat hai ki jin ke naam par paspa hue un hi logon ko muqabil men saf-ara dekhna jab banam-e-dil gavahi sar ki mangi ja.egi khuun men Duuba hua parcham hamara dekhna jitne men bhi jahan ji ka ziyan pahle se hai aisi baazi harne men kya khasara dekhna aa.ine ki aankh hi kuchh kam na thi mere liye jaane ab kya kya dikha.ega tumhara dekhna ek musht-e-khak aur vo bhi hava ki zad men hai zindagi ki bebasi ka isti.ara dekhna barish hui to phulon ke tan chaak ho ga.e mausam ke haath bhiig ke saffak ho ga.e badal ko kya khabar hai ki barish ki chaah men kaise buland-o-bala shajar khaak ho ga.e jugnu ko din ke vaqt parakhne ki zid karen bachche hamare ahd ke chalak ho ga.e lahra rahi hai barf ki chadar haTa ke ghaas suraj ki shah pe tinke bhi bebak ho ga.e basti men jitne ab-gazida the sab ke sab dariya ke rukh badalte hi tairak ho ga.e suraj-dimagh log bhi ablagh-e-fikr men zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho ga.e jab bhi gharib-e-shahr se kuchh guftugu hui lahje hava-e-sham ke namnak ho ga.e bahut roya vo ham ko yaad kar ke hamari zindagi barbad kar ke palaT kar phir yahin aa ja.enge ham vo dekhe to hamen azad kar ke riha.i ki koi surat nahin hai magar haan minnat-e-sayyad kar ke badan mera chhua tha us ne lekin gaya hai ruuh ko abad kar ke har aamir tuul dena chahta hai muqarrar zulm ki mi.ad kar ke baja ki aankh men nindon ke silsile bhi nahin shikast-e-khvab ke ab mujh men hausle bhi nahin nahin nahin ye khabar dushmanon ne di hogi vo aa.e aa ke chale bhi ga.e mile bhi nahin ye kaun log andheron ki baat karte hain abhi to chand tiri yaad ke Dhale bhi nahin abhi se mere rafugar ke haath thakne lage abhi to chaak mire zakhm ke sile bhi nahin khafa agarche hamesha hue magar ab ke vo barhami hai ki ham se unhen gile bhi nahin bakht se koi shikayat hai na aflak se hai yahi kya kam hai ki nisbat mujhe is khaak se hai khvab men bhi tujhe bhulun to rava rakh mujh se vo ravayya jo hava ka khas-o-khashak se hai bazm-e-anjum men qaba khaak ki pahni main ne aur miri saari fazilat isi poshak se hai itni raushan hai tiri sub.h ki hota hai guman ye ujala to kisi dida-e-namnak se hai haath to kaaT diye kuza-garon ke ham ne mo.ajize ki vahi ummid magar chaak se hai bichhDa hai jo ik baar to milte nahin dekha is zakhm ko ham ne kabhi silte nahin dekha ik baar jise chaaT ga.i dhuup ki khvahish phir shakh pe us phuul ko khilte nahin dekha yak-lakht gira hai to jaDen tak nikal aa.iin jis peD ko andhi men bhi hilte nahin dekha kanTon men ghire phuul ko chuum aa.egi lekin titli ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha kis tarah miri ruuh hari kar gaya akhir vo zahr jise jism men khilte nahin dekha charasazon ki aziyyat nahin dekhi jaati tere bimar ki halat nahin dekhi jaati dene vaale ki mashiyyat pe hai sab kuchh mauquf mangne vaale ki hajat nahin dekhi jaati din bahal jaata hai lekin tire divanon ki shaam hoti hai to vahshat nahin dekhi jaati tamkanat se tujhe rukhsat to kiya hai lekin ham se in ankhon ki hasrat nahin dekhi jaati kaun utra hai ye afaq ki pahna.i men a.ina-khane ki hairat nahin dekhi jaati chalne ka hausla nahin rukna muhal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko niDhal kar diya ai miri gul-zamin tujhe chaah thi ik kitab ki ahl-e-kitab ne magar kya tira haal kar diya milte hue dilon ke biich aur tha faisla koi us ne magar bichhaDte vaqt aur saval kar diya ab ke hava ke saath hai daman-e-yar muntazir banu-e-shab ke haath men rakhna sambhal kar diya mumkina faislon men ek hijr ka faisla bhi tha ham ne to ek baat ki us ne kamal kar diya mere labon pe mohr thi par mere shisha-ru ne to shahr ke shahr ko mira vaqif-e-hal kar diya chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake vaqt ne kis shabih ko khvab o khayal kar diya muddaton ba.ad us ne aaj mujh se koi gila kiya mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahal kar diya charagh-e-rah bujha kya ki rahnuma bhi gaya hava ke saath musafir ka naqsh-e-pa bhi gaya main phuul chunti rahi aur mujhe khabar na hui vo shakhs aa ke mire shahr se chala bhi gaya bahut aziiz sahi us ko meri dildari magar ye hai ki kabhi dil mira dukha bhi gaya ab un darichon pe gahre dabiz parde hain vo tank-jhank ka ma.asum silsila bhi gaya sab aa.e meri ayadat ko vo bhi aaya tha jo sab ga.e to mira dard-ashna bhi gaya ye ghurbaten miri ankhon men kaisi utri hain ki khvab bhi mire rukhsat hain ratjaga bhi gaya Dasne lage hain khvab magar kis se boliye main janti thi paal rahi huun sanpoliye bas ye hua ki us ne takalluf se baat ki aur ham ne rote rote dupaTTe bhigo liye palkon pe kachchi nindon ka ras phailta ho jab aise men aankh dhuup ke rukh kaise kholiye teri barhana-pa.i ke dukh banTte hue ham ne khud apne paanv men kanTe chubho liye main tera naam le ke tazabzub men paD ga.i sab log apne apne azizon ko ro liye khush-bu kahin na jaa.e pa israr hai bahut aur ye bhi aarzu ki zara zulf kholiye tasvir jab na.i hai naya canvas bhi hai phir tashtari men rang purane na gholiye dhanak dhanak miri poron ke khvab kar dega vo lams mere badan ko gulab kar dega qaba-e-jism ke har taar se guzarta hua kiran ka pyaar mujhe aftab kar dega junun-pasand hai dil aur tujh tak aane men badan ko naav lahu ko chanab kar dega main sach kahungi magar phir bhi haar ja.ungi vo jhuuT bolega aur la-javab kar dega ana-parast hai itna ki baat se pahle vo uTh ke band miri har kitab kar dega sukut-e-shahr-e-sukhan men vo phuul sa lahja sama.aton ki faza khvab khvab kar dega isi tarah se agar chahta raha paiham sukhan-vari men mujhe intikhab kar dega miri tarah se koi hai jo zindagi apni tumhari yaad ke naam intisab kar dega dil ka kya hai vo to chahega musalsal milna vo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna vaan nahin vaqt to ham bhi hain adim-ul-fursat us se kya miliye jo har roz kahe kal milna ishq ki rah ke musafir ka muqaddar ma.alum shahr ki soch men ho aur use jangal milna us ka milna hai ajab tarah ka milna jaise dasht-e-ummid men andeshe ka badal milna daman-e-shab ko agar chaak bhi kar liin to kahan nuur men Duuba hua sub.h ka anchal milna dua ka TuuTa hua harf sard aah men hai tiri juda.i ka manzar abhi nigah men hai tire badalne ke ba-vasf tujh ko chaha hai ye e'tiraf bhi shamil mire gunah men hai azaab dega to phir mujh ko khvab bhi dega main mutma.in huun mira dil tiri panah men hai bikhar chuka hai magar muskura ke milta hai vo rakh rakhao abhi mere kaj-kulah men hai jise bahar ke mehman khali chhoD ga.e vo ik makan abhi tak makin ki chaah men hai yahi vo din the jab ik dusre ko paaya tha hamari sal-girah Thiik ab ke maah men hai main bach bhi ja.un to tanha.i maar Dalegi mire qabile ka har fard qatl-gah men hai ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha aankh hairan hai kya shakhs zamane se uTha kis se puchhun tire aaqa ka pata ai rahvar ye alam vo hai na ab tak kisi shane se uTha halqa-e-khvab ko hi gird-e-gulu kas Daala dast-e-qatil ka bhi ehsan na divane se uTha phir koi aks shuaon se na banne paaya kaisa mahtab mire a.ina-khane se uTha kya likha tha sar-e-mahzar jise pahchante hi paas baiTha hua har dost bahane se uTha ga.e mausam men jo khilte the gulabon ki tarah dil pe utrenge vahi khvab azabon ki tarah raakh ke Dher pe ab raat basar karni hai jal chuke hain mire kheme mire khvabon ki tarah sa.at-e-did ki aariz hain gulabi ab tak avvalin lamhon ke gulnar hijabon ki tarah vo samundar hai to phir ruuh ko shadab kare tishnagi kyuun mujhe deta hai sarabon ki tarah ghair-mumkin hai tire ghar ke gulabon ka shumar mere riste hue zakhmon ke hisabon ki tarah yaad to hongi vo baten tujhe ab bhi lekin shelf men rakkhi hui band kitabon ki tarah kaun jaane ki na.e saal men tu kis ko paDhe tera me.aar badalta hai nisabon ki tarah shokh ho jaati hai ab bhi tiri ankhon ki chamak gaahe gaahe tire dilchasp javabon ki tarah hijr ki shab miri tanha.i pe dastak degi teri khush-bu mire kho.e hue khvabon ki tarah gavahi kaise TuTti muamla khuda ka tha mira aur us ka rabta to haath aur dua ka tha gulab qimat-e-shaguft shaam tak chuka sake ada vo dhuup ko hua jo qarz bhi saba ka tha bikhar gaya hai phuul to hamin se puchh-gachh hui hisab baghban se hai kiya-dhara hava ka tha lahu-chashida haath us ne chuum kar dikha diya jaza vahan mili jahan ki marhala saza ka tha jo barishon se qabl apna rizq ghar men bhar chuka vo shahr-e-mor se na tha pa durbin bala ka tha gulab haath men ho aankh men sitara ho koi vajud mohabbat ka isti.ara ho main gahre paani ki is rau ke saath bahti rahun jazira ho ki muqabil koi kinara ho kabhi-kabhar use dekh len kahin mil len ye kab kaha tha ki vo khush-badan hamara ho qusur ho to hamare hisab men likh jaa.e mohabbaton men jo ehsan ho tumhara ho ye itni raat ga.e kaun dastaken dega kahin hava ka hi us ne na ruup dhara ho ufuq to kya hai dar-e-kahkashan bhi chhu aa.en musafiron ko agar chand ka ishara ho main apne hisse ke sukh jis ke naam kar Dalun koi to ho jo mujhe is tarah ka pyara ho agar vajud men ahang hai to vasl bhi hai vo chahe nazm ka TukDa ki nasr-para ho ham ne hi lauTne ka irada nahin kiya us ne bhi bhuul jaane ka va.ada nahin kiya dukh oDhte nahin kabhi jashn-e-tarab men ham malbus-e-dil ko tan ka labada nahin kiya jo gham mila hai bojh uThaya hai us ka khud sar zer-e-bar-e-saghar-o-bada nahin kiya kar-e-jahan hamen bhi bahut the safar ki shaam us ne bhi iltifat ziyada nahin kiya aamad pe teri itr o charagh o subu na hon itna bhi bud-o-bash ko saada nahin kiya harf-e-taza na.i khushbu men likha chahta hai baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai ek lamhe ki tavajjoh nahin hasil us ki aur ye dil ki use had se siva chahta hai ik hijab-e-tah-e-iqrar hai maane varna gul ko malum hai kya dast-e-saba chahta hai ret hi ret hai is dil men musafir mere aur ye sahra tira naqsh-e-kaf-e-pa chahta hai yahi khamoshi ka.i rang men zahir hogi aur kuchh roz ki vo shokh khula chahta hai raat ko maan liya dil ne muqaddar lekin raat ke haath pe ab koi diya chahta hai tere paimane men gardish nahin baaqi saaqi aur tiri bazm se ab koi uTha chahta hai ik hunar tha kamal tha kya tha mujh men tera jamal tha kya tha tere jaane pe ab ke kuchh na kaha dil men Dar tha malal tha kya tha barq ne mujh ko kar diya raushan tera aks-e-jalal tha kya tha ham tak aaya tu bahr-e-lutf-o-karam tera vaqt-e-zaval tha kya tha jis ne tah se mujhe uchhal diya Dubne ka khayal tha kya tha jis pe dil saare ahd bhuul gaya bhulne ka saval tha kya tha titliyan the ham aur qaza ke paas surkh phulon ka jaal tha kya tha justuju kho.e huon ki umr bhar karte rahe chand ke hamrah ham har shab safar karte rahe raston ka ilm tha ham ko na samton ki khabar shahr-e-na-malum ki chahat magar karte rahe ham ne khud se bhi chhupaya aur saare shahr ko tere jaane ki khabar divar-o-dar karte rahe vo na aa.ega hamen ma.alum tha is shaam bhi intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe aaj aaya hai hamen bhi un uDanon ka khayal jin ko tere zo.am men be-bal-o-par karte rahe kamal-e-zabt ko khud bhi to azma.ungi main apne haath se us ki dulhan saja.ungi supurd kar ke use chandni ke hathon men main apne ghar ke andheron ko lauT a.ungi badan ke karb ko vo bhi samajh na pa.ega main dil men ro.ungi ankhon men muskura.ungi vo kya gaya ki rifaqat ke saare lutf ga.e main kis se ruuTh sakungi kise mana.ungi ab us ka fan to kisi aur se hua mansub main kis ki nazm akele men gunguna.ungi vo ek rishta-e-benam bhi nahin lekin main ab bhi us ke isharon pe sar jhuka.ungi bichha diya tha gulabon ke saath apna vajud vo so ke uTThe to khvabon ki raakh uTha.ungi sama.aton men ghane jangalon ki sansen hain main ab kabhi tiri avaz sun na pa.ungi javaz DhunD raha tha na.i mohabbat ka vo kah raha tha ki main us ko bhuul ja.ungi khuli ankhon men sapna jhankta hai vo soya hai ki kuchh kuchh jagta hai tiri chahat ke bhige jangalon men mira tan mor ban kar nachta hai mujhe har kaifiyat men kyuun na samjhe vo mere sab havale janta hai main us ki dastaras men huun magar vo mujhe meri raza se mangta hai kisi ke dhyan men Duuba hua dil bahane se mujhe bhi Talta hai saDak ko chhoD kar chalna paDega ki mere ghar ka kachcha rasta hai kuchh faisla to ho ki kidhar jaana chahiye paani ko ab to sar se guzar jaana chahiye nashtar-ba-dast shahr se charagari ki lau ai zakhm-e-be-kasi tujhe bhar jaana chahiye har baar eDiyon pe gira hai mira lahu maqtal men ab ba-tarz-e-digar jaana chahiye kya chal sakenge jin ka faqat mas.ala ye hai jaane se pahle rakht-e-safar jaana chahiye saara jvar-bhaTa mire dil men hai magar ilzam ye bhi chand ke sar jaana chahiye jab bhi ga.e azab-e-dar-o-bam tha vahi akhir ko kitni der se ghar jaana chahiye tohmat laga ke maan pe jo dushman se daad le aise sukhan-farosh ko mar jaana chahiye kuchh to hava bhi sard thi kuchh tha tira khayal bhi dil ko khushi ke saath saath hota raha malal bhi baat vo aadhi raat ki raat vo puure chand ki chand bhi ain chait ka us pe tira jamal bhi sab se nazar bacha ke vo mujh ko kuchh aise dekhta ek dafa to ruk ga.i gardish-e-mah-o-sal bhi dil to chamak sakega kya phir bhi tarash ke dekh len shisha-giran-e-shahr ke haath ka ye kamal bhi us ko na pa sake the jab dil ka ajiib haal tha ab jo palaT ke dekhiye baat thi kuchh muhal bhi meri talab tha ek shakhs vo jo nahin mila to phir haath dua se yuun gira bhuul gaya saval bhi us ki sukhan-taraziyan mere liye bhi Dhaal thiin us ki hansi men chhup gaya apne ghamon ka haal bhi gaah qarib-e-shah-rag gaah ba.id-e-vahm-o-khvab us ki rafaqaton men raat hijr bhi tha visal bhi us ke hi bazuon men aur us ko hi sochte rahe jism ki khvahishon pe the ruuh ke aur jaal bhi shaam ki na-samajh hava puchh rahi hai ik pata mauj-e-hava-e-ku-e-yar kuchh to mira khayal bhi ku-ba-ku phail ga.i baat shanasa.i ki us ne khushbu ki tarah meri pazira.i ki kaise kah duun ki mujhe chhoD diya hai us ne baat to sach hai magar baat hai rusva.i ki vo kahin bhi gaya lauTa to mire paas aaya bas yahi baat hai achchhi mire harja.i ki tera pahlu tire dil ki tarah abad rahe tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanha.i ki us ne jalti hui peshani pe jab haath rakha ruuh tak aa ga.i tasir masiha.i ki ab bhi barsat ki raton men badan TuTta hai jaag uThti hain ajab khvahishen angDa.i ki kya kare meri masiha.i bhi karne vaala zakhm hi ye mujhe lagta nahin bharne vaala zindagi se kisi samjhaute ke ba-vasf ab tak yaad aata hai koi marne marne vaala us ko bhi ham tire kuche men guzar aa.e hain zindagi men vo jo lamha tha sanvarne vaala us ka andaz-e-sukhan sab se juda tha shayad baat lagti hui lahja vo mukarne vaala shaam hone ko hai aur aankh men ik khvab nahin koi is ghar men nahin raushni karne vaala dastaras men hain anasir ke irade kis ke so bikhar ke hi raha koi bikharne vaala isi ummid pe har shaam bujha.e hain charagh ek taara hai sar-e-bam ubharne vaala mushkil hai ki ab shahr men nikle koi ghar se dastar pe baat aa ga.i hoti hui sar se barsa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par ik umr mire khet the jis abr ko tarse kal raat jo indhan ke liye kaT ke gira hai chiDiyon ko baDa pyaar tha us buDhe shajar se mehnat miri andhi se to mansub nahin thi rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se khud apne se milne ka to yaara na tha mujh men main bhiiD men gum ho ga.i tanha.i ke Dar se be-nam masafat hi muqaddar hai to kya gham manzil ka ta.ayyun kabhi hota hai safar se pathraya hai dil yuun ki koi ism paDha jaa.e ye shahr nikalta nahin jaadu ke asar se nikle hain to raste men kahin shaam bhi hogi suraj bhi magar aa.ega is rahguzar se pa-ba-gil sab hain riha.i ki kare tadbir kaun dast-basta shahr men khole miri zanjir kaun mera sar hazir hai lekin mera munsif dekh le kar raha hai meri fard-e-jurm ko tahrir kaun aaj darvazon pe dastak jaani pahchani si hai aaj mere naam laata hai miri ta.azir kaun koi maqtal ko gaya tha muddaton pahle magar hai dar-e-khema pe ab tak surat-e-tasvir kaun meri chadar to chhini thi shaam ki tanha.i men be-rida.i ko miri phir de gaya tash.hir kaun sach jahan pa-basta mulzim ke kaTahre men mile us adalat men sunega adl ki tafsir kaun niind jab khvabon se pyari ho to aise ahd men khvab dekhe kaun aur khvabon ko de tabir kaun ret abhi pichhle makanon ki na vapas aa.i thi phir lab-e-sahil gharaunda kar gaya ta.amir kaun saare rishte hijraton men saath dete hain to phir shahr se jaate hue hota hai daman-gir kaun dushmanon ke saath mere dost bhi azad hain dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tiir kaun puura dukh aur aadha chand hijr ki shab aur aisa chand din men vahshat bahal ga.i raat hui aur nikla chand kis maqtal se guzra hoga itna sahma sahma chand yadon ki abad gali men ghuum raha hai tanha chand meri karvaT par jaag uTThe niind ka kitna kachcha chand mere munh ko kis hairat se dekh raha hai bhola chand itne ghane badal ke pichhe kitna tanha hoga chand aansu roke nuur naha.e dil dariya tan sahra chand itne raushan chehre par bhi suraj ka hai saaya chand jab paani men chehra dekha tu ne kis ko socha chand bargad ki ik shakh haTa kar jaane kis ko jhanka chand badal ke resham jhule men bhor samay tak soya chand raat ke shane par sar rakkhe dekh raha hai sapna chand sukhe patton ke jhurmuT par shabnam thi ya nanha chand haath hila kar rukhsat hoga us ki surat hijr ka chand sahra sahra bhaTak raha hai apne ishq men sachcha chand raat ke shayad ek baje hain sota hoga mera chand qadmon men bhi takan thi ghar bhi qarib tha par kya karen ki ab ke safar hi ajiib tha nikle agar to chand dariche men ruk bhi jaa.e is shahr-e-be-charagh men kis ka nasib tha andhi ne un ruton ko bhi be-kar kar diya jin ka kabhi huma sa parinda nasib tha kuchh apne-ap se hi use kashmakash na thi mujh men bhi koi shakhs usi ka raqib tha puchha kisi ne mol to hairan rah gaya apni nigah men koi kitna gharib tha maqtal se aane vaali hava ko bhi kab mila aisa koi daricha ki jo be-salib tha qaid men guzregi jo umr baDe kaam ki thi par main kya karti ki zanjir tire naam ki thi jis ke mathe pe mire bakht ka taara chamka chand ke Dubne ki baat usi shaam ki thi main ne hathon ko hi patvar banaya varna ek TuuTi hui kashti mire kis kaam ki thi vo kahani ki abhi suiyan niklin bhi na thiin fikr har shakhs ko shahzadi ke anjam ki thi ye hava kaise uDa le ga.i anchal mera yuun satane ki to aadat mire ghanshyam ki thi bojh uThate hue phirti hai hamara ab tak ai zamin-man tiri ye umr to aram ki thi rasta bhi kaThin dhuup men shiddat bhi bahut thi saa.e se magar us ko mohabbat bhi bahut thi kheme na koi mere musafir ke jala.e zakhmi tha bahut paanv masafat bhi bahut thi sab dost mire muntazir-e-parda-e-shab the din men to safar karne men diqqat bhi bahut thi barish ki duaon men nami aankh ki mil jaa.e jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi kuchh to tire mausam hi mujhe raas kam aa.e aur kuchh miri miTTi men baghavat bhi bahut thi phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin kuchh is men havaon ki siyasat bhi bahut thi vo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shahid aur vaqif-e-ahval-e-adalat bhi bahut thi is tark-e-rifaqat pe pareshan to huun lekin ab tak ke tire saath pe hairat bhi bahut thi khush aa.e tujhe shahr-e-munafiq ki amiri ham logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi shab vahi lekin sitara aur hai ab safar ka isti.ara aur hai ek muTThi ret men kaise rahe is samundar ka kinara aur hai mauj ke muDne men kitni der hai naav Daali aur dhara aur hai jang ka hathiyar tai kuchh aur tha tiir siine men utara aur hai matn men to jurm sabit hai magar hashiya saare ka saara aur hai saath to mera zamin deti magar asman ka hi ishara aur hai dhuup men divar hi kaam aa.egi tez barish ka sahara aur hai harne men ik ana ki baat thi jiit jaane men khasara aur hai sukh ke mausam ungliyon par gin liye fasl-e-gham ka goshvara aur hai der se palken nahin jhapkin miri pesh-e-jan ab ke nazara aur hai aur kuchh pal us ka rasta dekh luun asman par ek taara aur hai had charaghon ki yahan se khatm hai aaj se rasta hamara aur hai shauq-e-raqs se jab tak ungliyan nahin khultin paanv se havaon ke beDiyan nahin khultin peD ko dua de kar kaT ga.i baharon se phuul itne baDh aa.e khiDkiyan nahin khultin phuul ban ke sairon men aur kaun shamil tha shokhi-e-saba se to baliyan nahin khultin husn ke samajhne ko umr chahiye janan do ghaDi ki chahat men laDkiyan nahin khultin koi mauja-e-shirin chuum kar jaga.egi surajon ke nezon se sipiyan nahin khultin maan se kya kahengi dukh hijr ka ki khud par bhi itni chhoTi umron ki bachchiyan nahin khultin shakh shakh sargardan kis ki justuju men hain kaun se safar men hain titliyan nahin khultin aadhi raat ki chup men kis ki chaap ubharti hai chhat pe kaun aata hai siDhiyan nahin khultin paniyon ke chaDhne tak haal kah saken aur phir kya qayamaten guzrin bastiyan nahin khultin tarash kar mire baazu uDaan chhoD gaya hava ke paas barahna kaman chhoD gaya rafaqaton ka miri us ko dhyan kitna tha zamin le li magar asman chhoD gaya ajiib shakhs tha barish ka rang dekh ke bhi khule dariche pe ik pul-dan chhoD gaya jo badalon se bhi mujh ko chhupa.e rakhta tha baDhi hai dhuup to be-sa.eban chhoD gaya nikal gaya kahin an-dekhe paniyon ki taraf zamin ke naam khula badban chhoD gaya uqaab ko thi gharaz fakhta pakaDne se jo gir ga.i to yunhi nim-jan chhoD gaya na jaane kaun sa aaseb dil men basta hai ki jo bhi Thahra vo akhir makan chhoD gaya aqab men gahra samundar hai samne jangal kis intiha pe mira mehrban chhoD gaya tera ghar aur mera jangal bhigta hai saath saath aisi barsaten ki badal bhigta hai saath saath bachpane ka saath hai phir ek se donon ke dukh raat ka aur mera anchal bhigta hai saath saath vo ajab duniya ki sab khanjar-ba-kaf phirte hain aur kanch ke pyalon men sandal bhigta hai saath saath barish-e-sang-e-malamat men bhi vo hamrah hai main bhi bhigun khud bhi pagal bhigta hai saath saath laDkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajiib hans rahi hain aur kajal bhigta hai saath saath barishen jaaDe ki aur tanha bahut mera kisan jism aur iklauta kambal bhigta hai saath saath teri khushbu ka pata karti hai mujh pe ehsan hava karti hai chuum kar phuul ko ahista se mo.ajaza bad-e-saba karti hai khol kar band-e-qaba gul ke hava aaj khushbu ko riha karti hai abr baraste to inayat us ki shakh to sirf dua karti hai zindagi phir se faza men raushan mish.al-e-barg-e-hina karti hai ham ne dekhi hai vo ujli saa.at raat jab sher kaha karti hai shab ki tanha.i men ab to akasr guftugu tujh se raha karti hai dil ko us raah pe chalna hi nahin jo mujhe tujh se juda karti hai zindagi meri thi lekin ab to tere kahne men raha karti hai us ne dekha hi nahin varna ye aankh dil ka ahval kaha karti hai mus.haf-e-dil pe ajab rangon men ek tasvir bana karti hai be-niyaz-e-kaf-e-dariya angusht ret par naam likha karti hai dekh tu aan ke chehra mera ik nazar bhi tiri kya karti hai zindagi bhar ki ye takhir apni ranj milne ka siva karti hai shaam paDte hi kisi shakhs ki yaad kucha-e-jan men sada karti hai mas.ala jab bhi charaghon ka uTha faisla sirf hava karti hai mujh se bhi us ka hai vaisa hi suluk haal jo tera ana karti hai dukh hua karta hai kuchh aur bayan baat kuchh aur hua karti hai TuuTi hai meri niind magar tum ko is se kya bajte rahen havaon se dar tum ko is se kya tum mauj mauj misl-e-saba ghumte raho kaT jaa.en meri soch ke par tum ko is se kya auron ka haath thamo unhen rasta dikhao main bhuul ja.un apna hi ghar tum ko is se kya abr-e-gurez-pa ko barasne se kya gharaz siipi men ban na paa.e guhar tum ko is se kya le jaa.en mujh ko mal-e-ghanimat ke saath adu tum ne to Daal di hai sipar tum ko is se kya tum ne to thak ke dasht men kheme laga liye tanha kaTe kisi ka safar tum ko is se kya vaqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin us ko ham kya kho.enge jis ko kabhi paaya nahin zindagi jitni bhi hai ab mustaqil sahra men hai aur is sahra men tera duur tak saaya nahin meri qismat men faqat durd-e-tah-e-saghar hi hai avval-e-shab jaam meri samt vo laaya nahin teri ankhon ka bhi kuchh halka gulabi rang tha zehn ne mere bhi ab ke dil ko samjhaya nahin kaan bhi khali hain mere aur donon haath bhi ab ke fasl-e-gul ne mujh ko phuul pahnaya nahin vo ham nahin jinhen sahna ye jabr aa jaata tiri juda.i men kis tarah sabr aa jaata fasilen toD na dete jo ab ke ahl-e-qafas tu aur tarah ka elan-e-jabr aa jaata vo fasla tha dua aur mustajabi men ki dhuup mangne jaate to abr aa jaata vo mujh ko chhoD ke jis aadmi ke paas gaya barabari ka bhi hota to sabr aa jaata vazir o shaah bhi khas-khanon se nikal aate agar guman men angar-e-qabr aa jaata vo to khush-bu hai havaon men bikhar ja.ega mas.ala phuul ka hai phuul kidhar ja.ega ham to samjhe the ki ik zakhm hai bhar ja.ega kya khabar thi ki rag-e-jan men utar ja.ega vo havaon ki tarah khana-ba-jan phirta hai ek jhonka hai jo aa.ega guzar ja.ega vo jab aa.ega to phir us ki rifaqat ke liye mausam-e-gul mire angan men Thahar ja.ega akhirash vo bhi kahin ret pe baiThi hogi tera ye pyaar bhi dariya hai utar ja.ega mujh ko tahzib ke barzakh ka banaya varis jurm ye bhi mire ajdad ke sar ja.ega ab aa.en ya na aa.en idhar puchhte chalo kya chahti hai un ki nazar puchhte chalo ham se agar hai tark-e-ta.alluq to kya hua yaaro koi to un ki khabar puchhte chalo jo khud ko kah rahe hain ki manzil-shanas hain un ko bhi kya khabar hai magar puchhte chalo kis manzil-e-murad ki janib ravan hain ham ai rah-ravan-e-khak-basar puchhte chalo ab koi gulshan na ujDe ab vatan azad hai ruuh ganga ki himala ka badan azad hai khetiyan sona uga.en vadiyan moti luTa.en aaj gautam ki zamin tulsi ka ban azad hai mandiron men sankh baaje masjidon men ho azaan shaikh ka dharm aur din-e-barhaman azad hai luuT kaisi bhi ho ab is desh men rahne na paa.e aaj sab ke vaste dharti ka dhan azad hai ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-vafa aur bhi hain ek ham hi nahin duniya se khafa aur bhi hain ham pe hi khatm nahin maslak-e-shorida-sari chak-e-dil aur bhi hain chak-e-qaba aur bhi hain kya hua gar mire yaron ki zabanen chup hain mere shahid mire yaron ke siva aur bhi hain sar salamat hai to kya sang-e-malamat ki kami jaan baaqi hai to paikan-e-qaza aur bhi hain munsif-e-shahr ki vahdat pe na harf aa jaa.e log kahte hain ki arbab-e-jafa aur bhi hain apna dil pesh karun apni vafa pesh karun kuchh samajh men nahin aata tujhe kya pesh karun tere milne ki khushi men koi naghma chheDun ya tire dard-e-juda.i ka gila pesh karun mere khvabon men bhi tu mere khayalon men bhi tu kaun si chiiz tujhe tujh se juda pesh karun jo tire dil ko lubha.e vo ada mujh men nahin kyuun na tujh ko koi teri hi ada pesh karun aqa.ed vahm hain maz.hab khayal-e-kham hai saaqi azal se zehn-e-insan basta-e-auham hai saaqi haqiqat-ashna.i asl men gum-karda raahi hai urus-e-agahi parvurda-e-ib.ham hai saaqi mubarak ho za.ifi ko khirad ki falsafa-rani javani be-niyaz-e-ibrat-e-anjam hai saaqi havas hogi asir-e-halqa-e-nek-o-bad-e-alam mohabbat mavara-e-fikr-e-nang-o-nam hai saaqi abhi tak raste ke pech-o-kham se dil dhaDakta hai mira zauq-e-talab shayad abhi tak khaam hai saaqi vahan bheja gaya huun chaak karne parda-e-shab ko jahan har sub.h ke daman pe aks-e-sham hai saaqi mire saghar men mai hai aur tire hathon men barbat hai vatan ki sar-zamin men bhuuk se kohram hai saaqi zamana barsar-e-paikar hai pur-haul sho.alon se tire lab par abhi tak naghma-e-khayyam hai saaqi bahut ghuTan hai koi surat-e-bayan nikle agar sada na uThe kam se kam fughan nikle faqir-e-shahr ke tan par libas baaqi hai amir-e-shahr ke arman abhi kahan nikle haqiqaten hain salamat to khvab bahutere malal kyuun ho ki kuchh khvab ra.egan nikle udhar bhi khaak uDi hai idhar bhi khaak uDi jahan jahan se baharon ke karvan nikle sitam ke daur men ham ahl-e-dil hi kaam aa.e zaban pe naaz tha jin ko vo be-zaban nikle barbad-e-mohabbat ki dua saath liye ja TuuTa hua iqrar-e-vafa saath liye ja ik dil tha jo pahle hi tujhe saunp diya tha ye jaan bhi ai jan-e-ada saath liye ja tapti hui rahon se tujhe aanch na pahunche divanon ke ashkon ki ghaTa saath liye ja shamil hai mira khun-e-jigar teri hina men ye kam ho to ab khun-e-vafa saath liye ja ham jurm-e-mohabbat ki saza pa.enge tanha jo tujh se hui ho vo khata saath liye ja bhaDka rahe hain aag lab-e-naghmagar se ham khamosh kya rahenge zamane ke Dar se ham kuchh aur baDh ga.e jo andhere to kya hua mayus to nahin hain tulu-e-sahar se ham le de ke apne paas faqat ik nazar to hai kyuun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham maana ki is zamin ko na gulzar kar sake kuchh khaar kam to kar ga.e guzre jidhar se ham bhule se mohabbat kar baiTha, nadan tha bechara, dil hi to hai har dil se khata ho jaati hai, bigDo na khudara, dil hi to hai is tarah nigahen mat phero, aisa na ho dhaDkan ruk jaa.e siine men koi patthar to nahin ehsas ka mara, dil hi to hai jazbat bhi hindu hote hain chahat bhi musalman hoti hai duniya ka ishara tha lekin samjha na ishara, dil hi to hai bedad-garon ki Thokar se sab khvab suhane chuur hue ab dil ka sahara gham hi to hai ab gham ka sahara dil hi to hai bujha diye hain khud apne hathon mohabbaton ke diye jala ke miri vafa ne ujaaD di hain umiid ki bastiyan basa ke tujhe bhula denge apne dil se ye faisla to kiya hai lekin na dil ko malum hai na ham ko jiyenge kaise tujhe bhula ke kabhi milenge jo raste men to munh phira kar palaT paDenge kahin sunenge jo naam tera to chup rahenge nazar jhuka ke na sochne par bhi sochti huun ki zindagani men kya rahega tiri tamanna ko dafn kar ke tire khayalon se duur ja ke chehre pe khushi chha jaati hai ankhon men surur aa jaata hai jab tum mujhe apna kahte ho apne pe ghurur aa jaata hai tum husn ki khud ik duniya ho shayad ye tumhen malum nahin mahfil men tumhare aane se har chiiz pe nuur aa jaata hai ham paas se tum ko kya dekhen tum jab bhi muqabil hote ho betab nigahon ke aage parda sa zarur aa jaata hai jab tum se mohabbat ki ham ne tab ja ke kahin ye raaz khula marne ka saliqa aate hi jiine ka shu.ur aa jaata hai dekha hai zindagi ko kuchh itna qarib se chehre tamam lagne lage hain ajiib se kahne ko dil ki baat jinhen DhunDte the ham mahfil men aa ga.e hain vo apne nasib se nilam ho raha tha kisi naznin ka pyaar qimat nahin chuka.i ga.i ik gharib se teri vafa ki laash pe la main hi Daal duun resham ka ye kafan jo mila hai raqib se dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se chehre tamam lagne lage hain ajiib se ai ruh-e-asr jaag kahan so rahi hai tu avaz de rahe hain payambar salib se is rengti hayat ka kab tak uTha.en baar bimar ab ulajhne lage hain tabib se har gaam par hai majma-e-ushshaq muntazir maqtal ki raah milti hai ku-e-habib se is tarah zindagi ne diya hai hamara saath jaise koi nibah raha ho raqib se dekha to tha yunhi kisi ghaflat-shi.ar ne divana kar diya dil-e-be-ikhtiyar ne ai aarzu ke dhundle kharabo javab do phir kis ki yaad aa.i thi mujh ko pukarne tujh ko khabar nahin magar ik sada-lauh ko barbad kar diya tire do din ke pyaar ne main aur tum se tark-e-mohabbat ki aarzu divana kar diya hai gham-e-rozgar ne ab ai dil-e-tabah tira kya khayal hai ham to chale the kakul-e-giti sanvarne duur rah kar na karo baat qarib aa jaao yaad rah ja.egi ye raat qarib aa jaao ek muddat se tamanna thi tumhen chhune ki aaj bas men nahin jazbat qarib aa jaao sard jhonkon se bhaDakte hain badan men sho.ale jaan le legi ye barsat qarib aa jaao is qadar ham se jhijakne ki zarurat kya hai zindagi bhar ka hai ab saath qarib aa jaao fan jo nadar tak nahin pahuncha abhi me.ayar tak nahin pahuncha us ne bar-vaqt be-rukhi barti shauq azar tak nahin pahuncha aks-e-mai ho ki jalva-e-gul ho rang-e-rukHsar tak nahin pahuncha harf-e-inkar sar buland raha zo.af-e-iqrar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkar ki pahunch mat puchh ahl-e-sarkar tak nahin pahuncha adl-gahen to duur ki shai hain qatl akhbar tak nahin pahuncha inqilabat-e-dahr ki buniyad haq jo haqdar tak nahin pahuncha vo masiha-nafas nahin jis ka silsila-dar tak nahin pahuncha gulshan gulshan phuul daman daman dhuul marne par ta.azir jiine par mahsul har jazba maslub har khvahish maqtul ishq pareshan-hal naz-e-husn malul na.ara-e-haq ma.atub makr-o-riya maqbul sanvra nahin jahan aa.e ka.i rasul har-chand miri quvvat-e-guftar hai mahbus khamosh magar tab-e-khud-ara nahin hoti mamura-e-ehsas men hai hashr sa barpa insan ki tazlil gavara nahin hoti nalan huun main bedari-e-ehsas ke hathon duniya mire afkar ki duniya nahin hoti begana-sifat jada-e-manzil se guzar ja har chiiz saza-var-e-nazara nahin hoti fitrat ki mashiyyat bhi baDi chiiz hai lekin fitrat kabhi be-bas ka sahara nahin hoti har qadam marhala-e-dar-o-salib aaj bhi hai jo kabhi tha vahi insan ka nasib aaj bhi hai jagmagate hain ufuq par ye sitare lekin rasta manzil-e-hasti ka muhib aaj bhi hai sar-e-maqtal jinhen jaana tha vo ja bhi pahunche sar-e-mimbar koi mohtat khatib aaj bhi hai ahl-e-danish ne jise amr-e-musallam maana ahl-e-dil ke liye vo baat ajiib aaj bhi hai ye tiri yaad hai ya meri aziyat-koshi ek nashtar sa rag-e-jan ke qarib aaj bhi hai kaun jaane ye tira sha.er-e-ashufta-e-mizaj kitne maghrur khudaon ka raqib aaj bhi hai har tarah ke jazbat ka elaan hain ankhen shabnam kabhi sho.ala kabhi tufan hain ankhen ankhon se baDi koi tarazu nahin hoti tulta hai bashar jis men vo mizan hain ankhen ankhen hi milati hain zamane men dilon ko anjan hain ham tum agar anjan hain ankhen lab kuchh bhi kahen is se haqiqat nahin khulti insan ke sach jhuuT ki pahchan hain ankhen ankhen na jhukin teri kisi ghair ke aage duniya men baDi chiiz miri jaan! hain ankhen havas-nasib nazar ko kahin qarar nahin main muntazir huun magar tera intizar nahin hamin se rang-e-gulistan hamin se rang-e-bahar hamin ko nazm-e-gulistan pe ikhtiyar nahin abhi na chheD mohabbat ke giit ai mutrib abhi hayat ka mahaul khush-gavar nahin tumhare ahd-e-vafa ko main ahd kya samjhun mujhe khud apni mohabbat pe e'tibar nahin na jaane kitne gile is men muztarib hain nadim vo ek dil jo kisi ka gila-guzar nahin gurez ka nahin qaa.il hayat se lekin jo sach kahun ki mujhe maut nagavar nahin ye kis maqam pe pahuncha diya zamane ne ki ab hayat pe tera bhi ikhtiyar nahin is taraf se guzre the qafile baharon ke aaj tak sulagte hain zakhm rahguzaron ke khalvaton ke shaida.i khalvaton men khulte hain ham se puchh kar dekho raaz parda-daron ke gesuon ki chhanv men dil-navaz chehre hain ya hasin dhundlakon men phuul hain baharon ke pahle hans ke milte hain phir nazar churate hain ashna-sifat hain log ajnabi dayaron ke tum ne sirf chaha hai ham ne chhu ke dekhe hain pairahan ghaTaon ke jism barq-paron ke shughl-e-mai-parasti go jashn-e-na-muradi tha yuun bhi kaT ga.e kuchh din tere sogvaron ke itni hasin itni javan raat kya karen jaage hain kuchh ajiib se jazbat kya karen peDon ke bazuon men mahakti hai chandni bechain ho rahe hain khayalat kya karen sanson men ghul rahi hai kisi saans ki mahak daman ko chhu raha hai koi haat kya karen shayad tumhare aane se ye bhed khul sake hairan hain ki aaj na.i baat kya karen jab kabhi un ki tavajjoh men kami paa.i ga.i az-sar-e-nau dastan-e-shauq dohra.i ga.i bik ga.e jab tere lab phir tujh ko kya shikva agar zindagani baada o saghar se bahla.i ga.i ai gham-e-duniya tujhe kya ilm tere vaste kin bahanon se tabi.at raah par laa.i ga.i ham karen tark-e-vafa achchha chalo yuun hi sahi aur agar tark-e-vafa se bhi na rusva.i ga.i kaise kaise chashm o aariz gard-e-gham se bujh ga.e kaise kaise paikaron ki shan-e-zeba.i ga.i dil ki dhaDkan men tavazun aa chala hai khair ho meri nazren bujh ga.iin ya teri ra.ana.i ga.i un ka gham un ka tasavvur un ke shikve ab kahan ab to ye baten bhi ai dil ho ga.iin aa.i ga.i jur.at-e-insan pe go tadib ke pahre rahe fitrat-e-insan ko kab zanjir pahna.i ga.i arsa-e-hasti men ab tesha-zanon ka daur hai rasm-e-changezi uThi tauqir-e-dara.i ga.i jurm-e-ulfat pe hamen log saza dete hain kaise nadan hain sho.alon ko hava dete hain ham se divane kahin tark-e-vafa karte hain jaan jaa.e ki rahe baat nibha dete hain aap daulat ke tarazu men dilon ko taulen ham mohabbat se mohabbat ka sila dete hain takht kya chiiz hai aur la.al-o-javahar kya hain ishq vaale to khuda.i bhi luTa dete hain ham ne dil de bhi diya ahd-e-vafa le bhi liya aap ab shauq se de len jo saza dete hain kabhi khud pe kabhi halat pe rona aaya baat nikli to har ik baat pe rona aaya ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hain un ko kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya kis liye jiite hain ham kis ke liye jiite hain barha aise savalat pe rona aaya kaun rota hai kisi aur ki khatir ai dost sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya khuddariyon ke khuun ko arzan na kar sake ham apne jauharon ko numayan na kar sake ho kar kharab-e-mai tire gham to bhula diye lekin gham-e-hayat ka darman na kar sake TuuTa tilism-e-ahd-e-mohabbat kuchh is tarah phir aarzu ki sham.a firozan na kar sake har shai qarib aa ke kashish apni kho ga.i vo bhi ilaj-e-shauq-e-gurezan na kar sake kis darja dil-shikan the mohabbat ke hadse ham zindagi men phir koi arman na kar sake mayusiyon ne chhin liye dil ke valvale vo bhi nashat-e-ruh ka saman na kar sake kya janen tiri ummat kis haal ko pahunchegi baDhti chali jaati hai ta.adad imamon ki har gosha-e-maghrib men har khitta-e-mashriq men tashrih digar-gun hai ab tere payamon ki vo log jinhen kal tak da.ava tha rifaqat ka tazlil pe utre hain apnon hi ke namon ki bigDe hue tevar hain nau-umr siyasat ke biphri hui sansen hain nau-mashq nizamon ki tabqon se nikal kar ham firqon men na baT jaa.en ban kar na bigaD jaa.e taqdir ghulamon ki lab pe pabandi to hai ehsas par pahra to hai phir bhi ahl-e-dil ko ahval-e-bashar kahna to hai khun-e-a.ada se na ho khun-e-shahidan hi se ho kuchh na kuchh is daur men rang-e-chaman nikhra to hai apni ghairat bech Dalen apna maslak chhoD den rahnumaon men bhi kuchh logon ka ye mansha to hai hai jinhen sab se ziyada da.ava-e-hubbul-vatan aaj un ki vaj.h se hubb-e-vatan rusva to hai bujh rahe hain ek ik kar ke aqidon ke diye is andhere ka bhi lekin samna karna to hai jhuuT kyuun bolen farogh-e-maslahat ke naam par zindagi pyari sahi lekin hamen marna to hai main zinda huun ye mushtahar kijiye mire qatilon ko khabar kijiye zamin sakht hai asman duur hai basar ho sake to basar kijiye sitam ke bahut se hain radd-e-amal zaruri nahin chashm tar kijiye vahi zulm bar-e-digar hai to phir vahi jurm bar-e-digar kijiye qafas toDna baad ki baat hai abhi khvahish-e-bal-o-par kijiye main zindagi ka saath nibhata chala gaya har fikr ko dhuen men uData chala gaya barbadiyon ka sog manana fuzul tha barbadiyon ka jashn manata chala gaya jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya jo kho gaya main us ko bhulata chala gaya gham aur khushi men farq na mahsus ho jahan main dil ko us maqam pe laata chala gaya meri taqdir men jalna hai to jal ja.unga tera va.ada to nahin huun jo badal ja.unga soz bhar do mire sapne men gham-e-ulfat ka main koi mom nahin huun jo pighal ja.unga dard kahta hai ye ghabra ke shab-e-furqat men aah ban kar tire pahlu se nikal ja.unga mujh ko samjhao na 'sahir' main ik din khud hi Thokaren kha ke mohabbat men sambhal ja.unga milti hai zindagi men mohabbat kabhi kabhi hoti hai dilbaron ki inayat kabhi kabhi sharma ke munh na pher nazar ke saval par laati hai aise moD pe qismat kabhi kabhi khulte nahin hain roz dariche bahar ke aati hai jan-e-man ye qayamat kabhi kabhi tanha na kaT sakenge javani ke raste pesh aa.egi kisi ki zarurat kabhi kabhi phir kho na jaa.en ham kahin duniya ki bhiiD men milti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne zamane ab to khush ho zahr ye bhi pi liya main ne abhi zinda huun lekin sochta rahta huun khalvat men ki ab tak kis tamanna ke sahare ji liya main ne unhen apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai ki kuchh muddat hasin khvabon men kho kar ji liya main ne bas ab to daman-e-dil chhoD do bekar ummido bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne na to zamin ke liye hai na asman ke liye tira vajud hai ab sirf dastan ke liye palaT ke su-e-chaman dekhne se kya hoga vo shakh hi na rahi jo thi ashiyan ke liye gharaz-parast jahan men vafa talash na kar ye shai bani thi kisi dusre jahan ke liye parbaton ke peDon par shaam ka basera hai surma.i ujala hai champa.i andhera hai donon vaqt milte hain do dilon ki surat se asman ne khush ho kar rang sa bikhera hai Thahre Thahre paani men giit sarsarate hain bhige bhige jhonkon men khushbuon ka Dera hai kyuun na jazb ho jaa.en is hasin nazare men raushni ka jhurmuT hai mastiyon ka ghera hai ponchh kar ashk apni ankhon se muskurao to koi baat bane sar jhukane se kuchh nahin hota sar uThao to koi baat bane zindagi bhiik men nahin milti zindagi baDh ke chhini jaati hai apna haq sang-dil zamane se chhin paao to koi baat bane rang aur nasl zaat aur maz.hab jo bhi hai aadmi se kamtar hai is haqiqat ko tum bhi meri tarah maan jaao to koi baat bane nafraton ke jahan men ham ko pyaar ki bastiyan basani hain duur rahna koi kamal nahin paas aao to koi baat bane sadiyon se insan ye sunta aaya hai dukh ki dhuup ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti khushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaya hai jhuuT to qatil Thahra is ka kya rona sach ne bhi insan ka khuun bahaya hai paida.ish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun hamen le aaya hai avval avval jis dil ne barbad kiya akhir akhir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsan kiya divanon par jitne din logon ne saath nibhaya hai sansar ki har shai ka itna hi fasana hai ik dhund se aana hai ik dhund men jaana hai ye raah kahan se hai ye raah kahan tak hai ye raaz koi raahi samjha hai na jaana hai ik pal ki palak par hai Thahri hui ye duniya ik pal ke jhapakne tak har khel suhana hai kya jaane koi kis par kis moD par kya biite is raah men ai raahi har moD bahana hai ham log khilauna hain ik aise khilaDi ka jis ko abhi sadiyon tak ye khel rachana hai sansar se bhage phirte ho bhagvan ko tum kya paoge is lok ko bhi apna na sake us lok men bhi pachhtaoge ye paap hai kya ye pun hai kya riton par dharm ki mohren hain har yug men badalte dharmon ko kaise adarsh banaoge ye bhog bhi ek tapasya hai tum tyaag ke maare kya jaano apman rachaita ka hoga rachna ko agar Thukraoge ham kahte hain ye jag apna hai tum kahte ho jhuTa sapna hai ham janm bita kar ja.enge tum janm ganva kar jaoge saza ka haal suna.en jaza ki baat karen khuda mila ho jinhen vo khuda ki baat karen unhen pata bhi chale aur vo khafa bhi na hon is ehtiyat se kya mudda.a ki baat karen hamare ahd ki tahzib men qaba hi nahin agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen har ek daur ka maz.hab naya khuda laaya karen to ham bhi magar kis khuda ki baat karen vafa-shi.ar ka.i hain koi hasin bhi to ho chalo phir aaj usi bevafa ki baat karen sharma ke yuun na dekh ada ke maqam se ab baat baDh chuki hai haya ke maqam se tasvir khinch li hai tire shokh husn ki meri nazar ne aaj khata ke maqam se duniya ko bhuul kar miri banhon men jhuul ja avaz de raha huun vafa ke maqam se dil ke muamle men natije ki fikr kya aage hai ishq jurm-o-saza ke maqam se tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se ham Thukra na den jahan ko kahin be-dili se ham mayusi-e-ma.al-e-mohabbat na puchhiye apnon se pesh aa.e hain beganagi se ham lo aaj ham ne toD diya rishta-e-umid lo ab kabhi gila na karenge kisi se ham ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale go dab ga.e hain bar-e-gham-e-zindagi se ham gar zindagi men mil ga.e phir ittifaq se puchhenge apna haal tiri bebasi se ham allah-re fareb-e-mashiyyat ki aaj tak duniya ke zulm sahte rahe khamushi se ham tarab-zaron pe kya biiti sanam-khanon pe kya guzri dil-e-zinda tire marhum armanon pe kya guzri zamin ne khuun ugla asman ne aag barsa.i jab insanon ke dil badle to insanon pe kya guzri hamen ye fikr un ki anjuman kis haal men hogi unhen ye gham ki un se chhuT ke divanon pe kya guzri mira ilhad to khair ek la.anat tha so hai ab tak magar is alam-e-vahshat men imanon pe kya guzri ye manzar kaun sa manzar hai pahchana nahin jaata siyah-khanon se kuchh puchho shabistanon pe kya guzri chalo vo kufr ke ghar se salamat aa ga.e lekin khuda ki mumlikat men sokhta-janon pe kya guzri tiri duniya men jiine se to behtar hai ki mar jaa.en vahi aansu vahi aahen vahi gham hai jidhar jaa.en koi to aisa ghar hota jahan se pyaar mil jaata vahi begane chehre hain jahan jaa.en jidhar jaa.en are o asman vaale bata is men bura kya hai khushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaa.en toD lenge har ik shai se rishta toD dene ki naubat to aa.e ham qayamat ke khud muntazir hain par kisi din qayamat to aa.e ham bhi suqrat hain ahd-e-nau ke tishna-lab hi na mar jaa.en yaaro zahr ho ya mai-e-atishin ho koi jam-e-shahadat to aa.e ek tahzib hai dosti ki ek meyar hai dushmani ka doston ne muravvat na sikhi dushmanon ko adavat to aa.e rind raste men ankhen bichha.en jo kahe bin sune maan jaa.en naseh-e-nek-tinat kisi shab su-e-ku-e-malamat to aa.e ilm o tahzib tarikh o mantiq log sochenge in mas.alon par zindagi ke mashaqqat-kade men koi ahd-e-faraghat to aa.e kaanp uTThen qasr-e-shahi ke gumbad tharthara.e zamin mabadon ki kucha-gardon ki vahshat to jaage gham-zadon ko baghavat to aa.e tum apna ranj-o-gham apni pareshani mujhe de do tumhen gham ki qasam is dil ki virani mujhe de do ye maana main kisi qabil nahin huun in nigahon men bura kya hai agar ye dukh ye hairani mujhe de do main dekhun to sahi duniya tumhen kaise satati hai koi din ke liye apni nigahbani mujhe de do vo dil jo main ne manga tha magar ghairon ne paaya hai baDi shai hai agar us ki pashemani mujhe de do ye vadiyan ye faza.en bula rahi hain tumhen khamoshiyon ki sada.en bula rahi hain tumhen taras rahe hain javan phuul honT chhune ko machal machal ke hava.en bula rahi hain tumhen tumhari zulfon se khushbu ki bhiik lene ko jhuki jhuki si ghaTa.en bula rahi hain tumhen hasin champa.i pairon ko jab se dekha hai nadi ki mast ada.en bula rahi hain tumhen mira kaha na suno un ki baat to sun lo har ek dil ki dua.en bula rahi hain tumhen ye zamin kis qadar saja.i ga.i zindagi ki taDap baDha.i ga.i a.ine se bigaD ke baiTh ga.e jin ki surat jinhen dikha.i ga.i dushmanon hi se bhi to nibh jaa.e doston se to ashna.i ga.i nasl-dar-nasl intizar raha qasr TuuTe na be-nava.i ga.i zindagi ka nasib kya kahiye ek siita thi jo sata.i ga.i ham na autar the na paighambar kyuun ye azmat hamen dila.i ga.i maut paa.i salib par ham ne umr ban-bas men bita.i ga.i ye zulf agar khul ke bikhar jaa.e to achchha is raat ki taqdir sanvar jaa.e to achchha jis tarah se thoDi si tire saath kaTi hai baaqi bhi usi tarah guzar jaa.e to achchha duniya ki nigahon men bhala kya hai bura kya ye bojh agar dil se utar jaa.e to achchha vaise to tumhin ne mujhe barbad kiya hai ilzam kisi aur ke sar jaa.e to achchha aaj dista hai haal kuchh ka kuchh kyuun na guzre khayal kuchh ka kuchh dil-e-be-dil kuun aaj karti hai shokh chanchal ki chaal kuchh ka kuchh mujko lagta hai ai pari-paikar aaj tera jamal kuchh ka kuchh asar-e-bada-e-javani hai kar gaya huun saval kuchh ka kuchh ai 'vali' dil kuun aaj karti hai bu-e-bagh-e-visal kuchh ka kuchh aaj sarsabz koh o sahra hai har taraf sair hai tamasha hai chehra-e-yar o qamat-e-zeba gul-e-rangin o sarv-e-ra.ana hai ma.ani-e-husn o ma.ani-e-khubi surat-e-yar suun huvaida hai dam-e-jan-bakhsh nau-khatan muj kuun chashma-e-khizr hai masiha hai kamar-e-nazuk o dahan-e-sanam fikr barik hai muamma hai mu-ba-mu us kuun hai pareshani zulf-e-mushkin ka jis kuun sauda hai kya haqiqat hai tujh tavazo ki yu talattuf hai ya mudava hai sabab-e-dilruba.i-e-ashiq mehr hai lutf hai dilasa hai juun 'vali' raat din hai mahv-e-khayal jis kuun tujh vasl ki tamanna hai ashiq ke mukh pe nain ke paani ko dekh tuun is arasi men raz-e-nihani kuun dekh tuun sun be-qarar dil ki aval ah-e-shola-khez tab is haraf men dil ke ma.ani kuun dekh tuun khubi suun tujh huzur o shama dam-zani men hai us be-haya ki charb-zabani kuun dekh tuun dariya pe ja ke mauj-e-ravan par nazar na kar anjhuvan ki mere aa ke ravani kuun dekh tuun tujh shauq ka jo daagh 'vali' ke jigar men hai be-taqati men us ki nishani kuun dekh tuun agar gulshan taraf vo nau-khat-e-rangin-ada nikle gul o raihan suun rang-o-bu shitabi peshva nikle khile har ghuncha-e-dil jyuun gul-e-shadab shadi suun agar Tuk ghar suun bahar vo bahar-dil-kusha nikle ghanim-e-gham kiya hai fauj-bandi ishq-bazan par baja hai aaj vo raaja agar naubat baja nikle nisar us ke qadam uupar karun anjhuvan ke gauhar sab agar karne kuun dil-jui vo sarv-e-khush-ada nikle sanam aa.e karunga nala-e-jan-soz kuun zahir magar us sang-dil suun mehrbani ki sada nikle rahe manind-e-la.al-e-be-baha shahan ke taaj uupar mohabbat men jo kui asbab zahir kuun baha nikle bakhili dars ki hargiz na kiijo ai pari-paikar 'vali' teri gali men jab ki manind-e-gada nikle bhaDke hai dil ki atish tujh neh ki hava suun sho.ala namat jala dil tujh husn-e-sho.ala-za suun gul ke charagh gul ho yak baar jhaD paDen sab mujh aah ki hikayat bolen agar saba suun nikli hai jast kar kar har sang-dil suun atish chaqmaq jab palak ki jhaDa hai tuun ada suun sajda badal rakhe sar sar-ta-qadam araq ho tujh ba-haya ke pag par aa kar hina haya suun yaan dard hai param ka behuda sar kahe mat ye baat sun 'vali' ki ja kar kaho dava suun chhupa huun main sada-e-bansuli men ki ta ja.un pari-ru ki gali men na thi taqat mujhe aane ki lekin ba-zor-e-ah pahuncha tujh gali men ayaan hai rang ki shokhi suun ai shokh badan tera qaba-e-sandali men jo hai tere dahan men rang o khubi kahan ye rang ye khubi kali men kiya jiyun lafz men ma.ani sirijan maqam apna dil-o-jan-e-'vali' men dekhna har sub.h tujh rukhsar ka hai mutala matla-e-anvar ka bulbul o parvana karna dil ke ta.iin kaam hai tujh chehra-e-gul-nar ka sub.h tera dars paaya tha sanam shauq-e-dil mohtaj hai takrar ka maah ke siine upar ai sham.a-ru daagh hai tujh husn ki jhalkar ka dil kuun deta hai hamare pech-o-tab pech tere turra-e-tarrar ka jo sunya tere dahan suun yak bachan bhed paaya nuskha-e-asrar ka chahta hai is jahan men gar bahisht ja tamasha dekh us rukhsar ka aarsi ke haath suun Darta hai khat chor kuun hai khauf chaukidar ka sar-kashi atish-mizaji hai sabab nasehon ko garmi-e-bazar ka ai 'vali' kyuun sun sake naseh ki baat jo divana hai pari-rukhsar ka dil hua hai mira kharab-e-sukhan dekh kar husn-e-behijab-e-sukhan bazm-e-ma.ani men sarkhushi hai use jis kuun hai nashsha-e-sharab-e-sukhan rah-e-mazmun-e-taza band nahin ta-qayamat khula hai bab-e-sukhan jalva-paira ho shahid-e-ma.ani jab zaban suun uThe naqab-e-sukhan gauhar us ki nazar men ja na kare jin ne dekha hai ab-o-tab-e-sukhan harja-goyan ki baat kyunki sune jo suna naghma-e-rabab-e-sukhan hai tiri baat ai nazakat-e-fahm lauh-e-dibacha-e-kitab-e-sukhan hai sukhan jag manin adim-ul-misal juz sukhan niin duja javab-e-sukhan ai 'vali' dard-e-sar kabhu na rahe jab mile sandal-o-gulab-e-sukhan dil kuun tujh baaj be-qarari hai chashm ka kaam ashk-bari hai shab-e-furqat men monis o hamdam be-qararon kuun ah-o-zari hai ai azizan mujhe nahin bardasht sang-dil ka firaq bhari hai faiz suun tujh firaq ke sajan chashm-e-giryan ka kaam jaari hai fauqiyat le gaya huun bulbul suun garche mansab men do-hazari hai ishq-bazon ke haq men qatil ki har nigah khanjar o kaTari hai atish-e-hijr-e-lala-ru suun 'vali' daagh siine men yadgari hai dil talabgar-e-naz-e-mah-vash hai lutf us ka agarche dilkash hai mujh suun kyuun kar milega hairan huun shokh hai bevafa hai sarkash hai kya tiri zulf kya tire abru har taraf suun mujhe kashakash hai tujh bin ai dagh-bakhsh-e-sina o dil chaman-e-lala dasht-e-atash hai ai 'vali' tajrabe suun paaya huun shola-e-ah-e-shauq be-ghash hai fida-e-dilbar-e-rangin-ada huun shahid-e-shahid-e-gul-gun-qaba huun har ik mah-ru ke milne ka nahin zauq sukhan ke ashna ka ashna huun kiya huun tark nargis ka tamasha talab-gar-e-nigah-e-ba-haya huun na kar shamshad ki tarif mujh paas ki main us sarv-qad ka mubtala huun kiya main arz us khurshid-ru suun tu shah-e-husn main tera gada huun sada rakhta huun shauq us ke sukhan ka hamesha tishna-e-ab-e-baqa huun qadam par us ke rakhta huun sada sar 'vali' ham-mashrab-e-rang-e-hina huun hua zahir khat-e-ru-e-nigar ahista-ahista ki jyuun gulshan men aati hai bahar ahista-ahista kiya huun rafta rafta raam us ki chashm-e-vehsi kuun ki jyuun aahu kuun karte hain shikar ahista-ahista jo apne tan kuun misl-e-juebar avval kiya paani hua us sarv-qad suun ham-kanar ahista-ahista barang-e-qatra-e-simab mere dil ki jumbish suun hua hai dil sanam ka be-qarar ahista-ahista use kahna baja hai ishq ke gulzar ka bulbul jo gul-ruyan men paaya e'tibar ahista-ahista mira dil ashk ho pahuncha hai kuche men sirijan ke gaya ka.abe men ye kashti-savar ahista-ahista 'vali' mat hasidan ki baat suun dil kuun mukaddar kar ki akhir dil suun javega ghubar ahista-ahista hue hain raam pitam ke nayan ahista-ahista ki jyuun phande men aate hain hiran ahista-ahista mira dil misl parvane ke tha mushtaq jalne ka lagi us sham.a suun akhir lagan ahista-ahista gireban sabr ka mat chaak kar ai khatir-e-miskin sunega baat vo shirin-bachan ahista-ahista gul o bulbul ka gulshan men khalal hove to barja hai chaman men jab chale vo gul-badan ahista-ahista 'vali' siine men mere panja-e-ishq-e-sitamgar ne kiya hai chaak dil ka pairahan ahista-ahista ishq betab-e-jan-gudazi hai husn mushtaq-e-dil-navazi hai ashk khunin suun jo kiya hai vazu maz.hab-e-ishq men namazi hai jo hua raz-e-ishq suun agah vo zamane ka fakhr-e-razi hai pak-bazan suun yuun hua mafhum ishq mazmun-e-pak-bazi hai ja ke pahunchi hai hadd-e-zulmat kuun bas-ki tujh zulf men darazi hai tajrabe suun hua mujhe zahir naaz mafhum be-niyazi hai ai 'vali' aish-e-zahiri ka sabab jalva-e-shahid-e-majazi hai ishq men sabr-o-raza darkar hai fikr-e-asbab-e-vafa darkar hai chaak karne jama-e-sabr-o-qarar dilbar-e-rangin qaba darkar hai har sanam taskhir-e-dil kyunkar sake dilruba.i kuun ada darkar hai zulf kuun va kar ki shah-e-ishq kuun saya-e-bal-e-huma darkar hai rakh qadam mujh dida-e-khun-bar par gar tujhe rang-e-hina darkar hai dekh us ki chashm-e-shahla kuun agar nargis-e-bagh-e-haya darkar hai azm us ke vasl ka hai ai 'vali' lekin imdad-e-khuda darkar hai jab sanam kuun khayal-e-bagh hua talib-e-nashsha-e-faragh hua fauj-e-ushshaq dekh har janib naznin sahib-e-dimagh hua rashk suun tujh laban ki surkhi par jigar-e-lala dagh-dagh hua dil-e-ushshaq kyuun na ho raushan jab khayal-e-sanam charagh hua ai 'vali' gul-badan kuun baagh men dekh dil-e-sad-chak bagh-bagh hua jab tujh araq ke vasf men jaari qalam hua aalam men us ka naanv javahar-raqam hua nuqte pe tere khaal ke bandha hai jin ne dil vo da.ere men ishq ke sabit-qadam hua tujh fitrat-e-buland ki khubi kuun likh qalam mash.hur jag ke biich atarad-e-raqam hua taqat nahin ki hashr men hove vo dad-khvah jis be-gunah pe teri nigah suun sitam hua be-minnat-e-sharab huun sarshar-e-imbisat tujh nain ka khayal mujhe jam-e-jam hua jin ne bayan likha hai mire rang-e-zard ka us kuun khitab ghaib suun zarrin-raqam hua shohrat hui hai jab se tire sher ki 'vali' mushtaq tujh sukhan ka arab ta ajam hua jis dilruba suun dil kuun mire ittihad hai didar us ka meri ankhan ki murad hai rakhta hai bar men dilbar-e-rangin khayal kuun manind arasi ke jo saaf e'tiqad hai shayad ki dam-e-ishq men taaza hua hai band va.ade pe gul-rukhan ke jise e'timad hai baaqi rahega jaur-o-sitam roz-e-hashr lag tujh zulf ki jafa men nipaT imtidad hai maqsud-e-dil hai us ka khayal ai 'vali' mujhe jyuun mujh zaban pe nam-e-mohamad murad hai jise ishq ka tiir kaari lage use zindagi kyuun na bhari lage na chhoDe mohabbat dam-e-marg tak jise yar-e-jani suun yaari lage na hove use jag men hargiz qarar jise ishq ki be-qarari lage har ik vaqt mujh ashiq-e-pak kuun pyare tiri baat pyari lage 'vali' kuun kahe tu agar yak bachan raqiban ke dil men kaTari lage kamar us dilruba ki dilruba hai nigah us khush-ada ki khush-ada hai sajan ke husn kuun Tuk fikr suun dekh ki ye a.ina-e-ma.ani-numa hai ye khat hai jauhar-e-a.ina-raz ise mushk-e-khutan kahna baja hai hua ma.alum tujh zulfan suun ai shokh ki shah-e-husn par zill-e-huma hai na hove kohkan kyuun aa ke ashiq jo vo shirin-ada gulgun-qaba hai na puchho ah-o-zari ki haqiqat azizan ashiqi ka muqtaza hai 'vali' kuun mat malamat kar ai vaa.iz malamat ashiqon par kab rava hai khub-ru khuub kaam karte hain yak nigah men ghulam karte hain dekh khuban kuun vaqt milne ke kis ada suun salam karte hain kya vafadar hain ki milne men dil suun sab ram-ram karte hain kam-nigahi son dekhte hain vale kaam apna tamam karte hain kholte hain jab apni zulfan kuun sub.h-e-ashiq kuun shaam karte hain sahib-e-lafz us kuun kah sakiye jis suun khuban kalam karte hain dil lajate hain ai 'vali' mera sarv-qad jab khiram karte hain kiya mujh ishq ne zalim kuun aab ahista ahista ki atish gul kuun karti hai gulab ahista ahista vafadari ne dilbar ki bujhaya atish-e-gham kuun ki garmi dafa.a karta hai gulab ahista ahista ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-khalvat men gul-ru suun khitab ahista ahista javab ahista ahista mire dil kuun kiya be-khud tiri ankhiyan ne akhir kuun ki jyuun behosh karti hai sharab ahista ahista hua tujh ishq suun ai atishin-ru dil mira paani ki jyuun galta hai atish suun gulab ahista ahista ada o naaz suun aata hai vo raushan-jabin ghar suun ki jyuun mashriq suun nikle aftab ahista ahista 'vali' mujh dil men aata hai khayal-e-yar-e-be-parva ki jyuun ankhiyan manin aata hai khvab ahista ahista kucha-e-yar ain kaasi hai jogi-e-dil vahan ka baasi hai pi ke bairag ki udasi suun dil pe mere sada udasi hai ai sanam tujh jabin upar ye khaal hindavi har-dvar baasi hai zulf teri hai mauj jamuna ki til nazik us ke jiyun sanasi hai ghar tira hai ye rashk-e-deval-e-chin us men muddat suun dil upasi hai ye siyah-zulf tujh zanakhdan par nagani jyuun kunve pe pyasi hai tas-e-khurshid gharq hai jab suun bar men tere libas-e-tasi hai jis ki guftar men nahin hai maza sukhan us ka ta.aam baasi hai ai 'vali' jo libas tan pe rakha ashiqan ke nazik libasi hai main ashiqi men tab suun afsana ho raha huun teri nigah ka jab suun divana ho raha huun ai ashna karam suun yak baar aa daras de tujh baaj sab jahan suun begana ho raha huun batan lagan ki mat puchh ai sham-e-bazm-e-khubi muddat se tujh jhalak ka parvana ho raha huun shayad vo ganj-e-khubi aave kisi taraf suun is vaste sarapa virana ho raha huun sauda-e-zulf-e-khuban rakhta huun dil men daa.im zanjir-e-ashiqi ka divana ho raha huun barja hai gar sunun na.iin naseh tiri nasihat main jam-e-ishq pi kar mastana ho raha huun kis suun 'vali' apas ka ahval ja kahun main sar-ta-qadam main gham suun gham-khana ho raha huun main tujhe aaya huun iman buujh kar ba.is-e-jam.iyyat-e-jan buujh kar bulbul-e-shiraz kuun karta huun yaad husn kuun tere gulistan buujh kar dil chala hai ishq ka ho jauhari lab tire la.al-e-badakhshan buujh kar har na karti hai nazare ki mashaq khat kuun tere khatt-e-raihan buujh kar ai sajan aaya huun ho be-ikhtiyar tujh kuun apna rahat-e-jan buujh kar zulf teri kyuun na khaa.e pech-o-tab haal mujh dil ka pareshan buujh kar rahm kar us par ki aaya hai 'vali' dard-e-dil ka tujh kuun darman buujh kar mat ghusse ke sho.ale suun jalte kuun jalati ja Tuk mehr ke paani suun tu aag bujhati ja tujh chaal ki qimat suun dil niin hai mira vaqif ai maan bhari chanchal Tuk bhaav batati ja is raat andhari men mat bhuul paDun tujh suun Tuk paanv ke jhanjhar ki jhankar sunati ja mujh dil ke kabutar kuun bandha hai tiri laT ne ye kaam dharam ka hai Tuk us ko chhuDati ja tujh mukh ki parastish men ga.i umr miri saari ai but ki pujan-hari Tuk us ko pujati ja tujh ishq men jal jal kar sab tan kuun kiya kajal ye raushni afza hai ankhiya ko lagati ja tujh neh men dil jal jal jogi ki liya surat yak baar use mohan chhati suun lagati ja tujh ghar ki taraf sundar aata hai 'vali' daa.em mushtaq daras ka hai Tuk dars dikhati ja muflisi sab bahar khoti hai mard ka e'tibar khoti hai kyunke hasil ho muj ko jam.iyyat zulf teri qarar khoti hai har sahar shokh ki nigah ki sharab mujh ankhan ka khumar khoti hai kyunke milna sanam ka tark karun dilbari ikhtiyar khoti hai ai 'vali' aab us pari-ru ki mujh sine ka ghubar khoti hai mushtaq hain ushshaq tiri banki ada ke zakhmi hain mohibban tiri shamshir-e-jafa ke har pech men chire ke tire lipTe hain ashiq aalam ke dilan band hain tujh band-e-qaba ke larzan hai tire dast age panja-e-khurshid tujh husn age maat mala.ek hain sama ke tujh zulf ke halqe men hai dil be-sar o be-pa Tuk mehr karo haal upar be-sar-o-pa ke tanha na 'vali' jag munin likhta hai tire vasf daftar likhe aalam ne tiri mad.h-o-sana ke ruuh bakhshi hai kaam tujh lab ka dam-e-isa hai naam tujh lab ka husn ke khizr ne kiya labrez ab-e-haivan suun jaam tujh lab ka mantiq-o-hikmat-o-ma.ani par mushtamil hai kalam tujh lab ka jannat-e-husn men kiya haq ne hauz-e-kausar maqam tujh lab ka rag-e-yaqut ke qalam suun likhen khat paristan payam tujh lab ka sabza-o-barg-o-lala rakhte hain shauq dil men davam tujh lab ka gharq-e-shakkar hue hain kam-o-zaban jab liya huun main naam tujh lab ka misl-e-yaqut khat men hai shagird saghar-e-mai mudam tujh lab ka hai 'vali' ki zaban ko lazzat-bakhsh zikr har sub.h-o-sham tujh lab ka sajan Tuk naaz suun mujh paas aa ahista ahista chhupi baten apas dil ki suna ahista ahista gharaz goyan ki batan kuun na la khatir manin hargiz sajan is baat kuun khatir men la ahista ahista har ik ki baat sunne par tavajjoh mat kar ai zalim raqiban us siin hovenge juda ahista ahista mabada mohtasib badmast sun kar taan men aave tambura aah ka ai dil baja ahista ahista 'vali' hargiz apas ke dil kuun siine men na rakh gham-gin ki bar lavega matlab kuun khuda ahista ahista shaghl behtar hai ishq-bazi ka kya haqiqi o kya majazi ka har zaban par hai misl-e-shana mudam zikr tujh zulf ki darazi ka aaj teri bhavan ne masjid men hosh khoya hai har namazi ka gar na.iin raz-e-ishq suun agah fakhr beja hai fakhr-e-razi ka ai 'vali' sarv-qad ko dekhunga vaqt aaya hai sarfarazi ka sharab-e-shauq sen sarshar hain ham kabhu be-khud kabhu hushiyar hain ham do-rangi suun tiri ai sarv-e-ra.ana kabhu raazi kabhu bezar hain ham tire taskhir karne men sirijan kabhi nadan kabhi ayyar hain ham sanam tere nayan ki aarzu men kabhu salim kabhi bimar hain ham 'vali' vasl-o-juda.i suun sajan ki kabhu sahra kabhu gulzar hain ham sohbat-e-ghair muun jaaya na karo dard-mandan kuun kuDhaya na karo haq-parasti ka agar daava hai be-gunahan kuun sataya na karo apni khubi ke agar talib ho apne talib kuun jalaya na karo hai agar khatir-e-ushshaq aziiz ghair kuun dars dikhaya na karo mujh ko turshi ka hai parhez sanam chin-e-abru kuun dikhaya na karo dil kuun hoti hai sajan betabi zulf kuun haath lagaya na karo nigah-e-talkh suun apni zalim zahr ka jaam pilaya na karo ham kuun bardasht nahin ghusse ki be-sabab ghusse men aaya na karo pak-bazan men hai mash.hur 'vali' us suun chehre kuun chhupaya na karo takht jis be-khanaman ka dast-e-virani hua sar upar us ke bagula taj-e-sultani hua kyuun na saafi us kuun hasil ho jo misl-e-arsi apne jauhar ki haya suun sar-ba-sar paani hua zindagi hai jis kuun daa.im alam-e-baqi munin jalva-gar kab us ange yu alam-e-fani hua bekasi ke haal men yak aan main tanha nahin gham tira siine men mere hamdam-e-jani hua ai 'vali' ghairat suun suraj kyuun jale na.iin rat-din jag munin vo maah rashk-e-mah-e-kan.ani hua tira lab dekh haivan yaad aave tira mukh dekh kan.an yaad aave tire do nain jab dekhun nazar bhar mujhe tab nargisistan yaad aave tiri zulfan ki tulani kuun dekhe mujhe lail-e-zamistan yaad aave tire khat ka zamurrad-rang dekhe bahar-e-sumbulistan yaad aave tire mukh ke chaman ke dekhne suun mujhe firdaus-e-rizvan yaad aave tiri zulfan men yu mukh jo ki dekhe use sham-e-shabistan yaad aave jo kui dekhe miri ankhiyan ko rote use abr-e-baharan yaad aave jo mere haal ki gardish kuun dekhe use girdab-e-gardan yaad aave 'vali' mera junun jo kui ki dekhe use koh o bayaban yaad aave tira majnun huun sahra ki qasam hai talab men huun tamanna ki qasam hai sarapa naaz hai tu ai pari-ru mujhe tere sarapa ki qasam hai diya haq husn-e-bala-dast tujkun mujhe tujh sarv-e-bala ki qasam hai kiya tujh zulf ne jag kuun divana tiri zulfan ke sauda ki qasam hai do-rangi tark kar har ik se mat mil tujhe tujh qadd-e-rana ki qasam hai kiya tujh ishq ne aalam kuun majnun mujhe tujh rashk-e-laila ki qasam hai 'vali' mushtaq hai teri nigah ka mujhe tujh chashm-e-shahla ki qasam hai tujh lab ki sifat la.al-e-badakhshan suun kahunga jaadu hain tire nain ghazalan suun kahunga di badshahi haq ne tujhe husn-nagar ki yu kishvar-e-iran men sulaiman suun kahunga tarif tire qad ki alif-var sirijan ja sarv-e-gulistan kuun khush-alhan suun kahunga mujh par na karo zulm tum ai laili-e-khuban majnun huun tire gham kuun bayaban suun kahunga dekha huun tujhe khvab men ai maya-e-khubi is khvab ko ja yusuf-e-kan.an suun kahunga jalta huun shab-o-roz tire gham men ai sajan ye soz tira mash.al-e-sozan suun kahunga yak nuqta tire safha-e-rukh par na.iin beja is mukh ko tire safha-e-qur.an suun kahunga qurban pari mukh pe hui chob si jal kar ye baat aja.ib mah-e-taban suun kahunga be-sabr na ho ai 'vali' is dard suun hargiz jalta huun tire dard men darman suun kahunga vo naznin ada men ejaaz hai sarapa khubi men gul-rukhan suun mumtaz hai sarapa ai shokh tujh nayan men dekha nigah kar kar ashiq ke marne ka andaz hai sarapa jag ke ada-shanasan hai jin ki fikr aali tujh qad kuun dekh bole yu naaz hai sarapa kyuun ho saken jagat ke dilbar tire barabar tu husn haur ada men ejaaz hai sarapa gaahe ai isvi-dam yak baat lutf suun kar jan-bakhsh mujh ko tera avaz hai sarapa mujh par 'vali' hamesha dildar mehrban hai har-chand hasb-e-zahir tannaz hai sarapa vo sanam jab suun basa dida-e-hairan men aa atish-e-ishq paDi aql ke saman men aa naaz deta nahin gar rukhsat-e-gul-gasht-e-chaman ai chaman-zar-e-haya dil ke gulistan men aa aish hai aish ki us mah ka khayal-e-raushan sham.a raushan kiya mujh dil ke shabistan men aa yaad aata hai mujhe vo do gul-e-bagh-e-vafa ashk karte hain makan gosha-e-daman men aa mauj-e-betabi-e-dil ashk men hui jalva-numa jab basi zulf-e-sanam tab-e-pareshan men aa nala-o-ah ki tafsil na puchho mujh suun daftar-e-dard basa ishq ke divan men aa panja-e-ishq ne betab kiya jab suun mujhe chak-e-dil tab suun basa chak-e-gareban men aa dekh ai ahl-e-nazar sabza-e-khat men lab-e-lal rang-e-yaqut chhupa hai khat-e-raihan men aa husn tha parda-e-tajrid men sab suun azad talib-e-ishq hua surat-e-insan men aa shaikh yahan baat tiri pesh na jaave hargiz aql kuun chhoD ke mat majlis-e-rindan men aa dard-mandan ko ba-juz dard nahin said murad ai shah-e-malk-e-junun gham ke bayaban men aa hakim-e-vaqt hai tujh ghar men raqib-e-bad-khu dev mukhtar hua mulk-e-sulaiman men aa chashma-e-ab-e-baqa jag men kiya hai hasil yusuf-e-husn tire chah-e-zanakhdan men aa jag ke khuban ka namak ho ke namak-parvarda chhup raha aa ke tire lab ke namak-dan men aa bas ki mujh haal suun ham-sar hai pareshani men dard kahti hai mira zulf tire kaan men aa gham suun tere hai tarahhum ka mahal hal-e-'vali' zulm ko chhoD sajan sheva-e-ehsan men aa yaad karna har ghaDi us yaar ka hai vazifa mujh dil-e-bimar ka arzu-e-chashma-e-kausar na.iin tishna-lab huun sharbat-e-didar ka aqibat kya hovega ma.alum na.iin dil hua hai mubtila dildar ka kya kahe tarif dil hai be-nazir harf harf us makhzan-e-asrar ka gar hua hai talib-e-azadgi band mat ho sub.ha o zunnar ka masnad-e-gul manzil-e-shabnam hui dekh rutba dida-e-bedar ka ai 'vali' hona sirijan par nisar mudda.a hai chashm-e-gauhar-bar ka aate aate mira naam sa rah gaya us ke honTon pe kuchh kanpta rah gaya raat mujrim thi daman bacha le ga.i din gavahon ki saf men khaDa rah gaya vo mire samne hi gaya aur main raste ki tarah dekhta rah gaya jhuuT vaale kahin se kahin baDh ga.e aur main tha ki sach bolta rah gaya andhiyon ke irade to achchhe na the ye diya kaise jalta hua rah gaya us ko kandhon pe le ja rahe hain 'vasim' aur vo jiine ka haq mangta rah gaya andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyan aata hai ujala hone lagta hai vo jitni duur ho utna hi mera hone lagta hai magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udasi zindagi bhar ki yahi sab dekhta hai aur 'kabira' rone lagta hai samajhte hi nahin nadan kai din ki hai milkiyyat para.e kheton pe apnon men jhagDa hone lagta hai ye dil bach kar zamane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni raah chalta hai akela hone lagta hai apne andaz ka akela tha is liye main baDa akela tha pyaar to janm ka akela tha kya mira tajraba akela tha saath tera na kuchh badal paaya mera hi rasta akela tha bakhshish-e-be-hisab ke aage mera dast-e-dua akela tha teri samjhaute-baz duniya men kaun mere siva akela tha jo bhi milta gale laga leta kis qadar aa.ina akela tha apne chehre se jo zahir hai chhupa.en kaise teri marzi ke mutabiq nazar aa.en kaise ghar sajane ka tasavvur to bahut ba.ad ka hai pahle ye tai ho ki is ghar ko bacha.en kaise laakh talvaren baDhi aati hon gardan ki taraf sar jhukana nahin aata to jhuka.en kaise qahqaha aankh ka bartao badal deta hai hansne vaale tujhe aansu nazar aa.en kaise phuul se rang juda hona koi khel nahin apni miTTi ko kahin chhoD ke jaa.en kaise koi apni hi nazar se to hamen dekhega ek qatre ko samundar nazar aa.en kaise jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'vasim' us ko kuchh yaad dila.en to dila.en kaise apne har har lafz ka khud a.ina ho ja.unga us ko chhoTa kah ke main kaise baDa ho ja.unga tum girane men lage the tum ne socha hi nahin main gira to mas.ala ban kar khaDa ho ja.unga mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar rasta roka gaya to qafila ho ja.unga saari duniya ki nazar men hai mira ahd-e-vafa ik tire kahne se kya main bevafa ho ja.unga apne saa.e ko itna samjhane de mujh tak mere hisse ki dhuup aane de ek nazar men ka.i zamane dekhe to buDhi ankhon ki tasvir banane de baaba duniya jiit ke main dikhla dunga apni nazar se duur to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda huun meri hi avaz men mujh ko gaane de phir to ye uncha hi hota ja.ega bachpan ke hathon men chand aa jaane de faslen pak jaa.en to khet se bichhDengi roti aankh ko pyaar kahan samjhane de bhala ghamon se kahan haar jaane vaale the ham ansuon ki tarah muskurane vaale the hamin ne kar diya elan-e-gumrahi varna hamare pichhe bahut log aane vaale the unhen to khaak men milna hi tha ki mere the ye ashk kaun se unche gharane vaale the unhen qarib na hone diya kabhi main ne jo dosti men haden bhuul jaane vaale the main jin ko jaan ke pahchan bhi nahin sakta kuchh aise log mira ghar jalane vaale the hamara alamiya ye tha ki ham-safar bhi hamen vahi mile jo bahut yaad aane vaale the 'vasim' kaisi ta.alluq ki raah thi jis men vahi mile jo bahut dil dukhane vaale the biite hue din khud ko jab dohrate hain ek se jaane ham kitne ho jaate hain ham bhi dil ki baat kahan kah paate hain aap bhi kuchh kahte kahte rah jaate hain khushbu apne raste khud tai karti hai phuul to Daali ke ho kar rah jaate hain roz naya ik qissa kahne vaale log kahte kahte khud qissa ho jaate hain kaun bacha.ega phir toDne valon se phuul agar shakhon se dhoka khate hain chand ka khvab ujalon ki nazar lagta hai tu jidhar ho ke guzar jaa.e khabar lagta hai us ki yadon ne uga rakkhe hain suraj itne shaam ka vaqt bhi aa.e to sahar lagta hai ek manzar pe Thaharne nahin deti fitrat umr bhar aankh ki qismat men safar lagta hai main nazar bhar ke tire jism ko jab dekhta huun pahli barish men nahaya sa shajar lagta hai be-sahara tha bahut pyaar koi puchhta kya tu ne kandhe pe jagah di hai to sar lagta hai teri qurbat ke ye lamhe use raas aa.en kya sub.h hone ka jise shaam se Dar lagta hai chalo ham hi pahal kar den ki ham se bad-guman kyuun ho koi rishta zara si zid ki khatir ra.egan kyuun ho main zinda huun to is zinda-zamiri ki badaulat hi jo bole tere lahje men bhala meri zaban kyuun ho saval akhir ye ik din dekhna ham hi uTha.enge na samjhe jo zamin ke gham vo apna asman kyuun ho hamari guftugu ki aur bhi samten bahut si hain kisi ka dil dukhane hi ko phir apni zaban kyuun ho bikhar kar rah gaya hamsa.egi ka khvab hi varna diye is ghar men raushan hon to us ghar men dhuan kyuun ho mohabbat asman ko jab zamin karne ki zid Thahri to phir buzdil usulon ki sharafat darmiyan kyuun ho ummiden saari duniya se 'vasim' aur khud men aise gham kisi pe kuchh na zahir ho to koi mehrban kyuun ho dua karo ki koi pyaas nazr-e-jam na ho vo zindagi hi nahin hai jo na-tamam na ho jo mujh men tujh men chala aa raha hai sadiyon se kahin hayat usi fasle ka naam na ho koi charagh na aansu na arzu-e-sahar khuda kare ki kisi ghar men aisi shaam na ho ajiib shart laga.i hai ehtiyaton ne ki tera zikr karun aur tera naam na ho saba-mizaj ki tezi bhi ek ne.amat hai agar charagh bujhana hi ek kaam na ho 'vasim' kitni hi sub.hen lahu lahu guzrin ik aisi sub.h bhi aa.e ki jis ki shaam na ho dukh apna agar ham ko batana nahin aata tum ko bhi to andaza lagana nahin aata pahuncha hai buzurgon ke bayanon se jo ham tak kya baat hui kyuun vo zamana nahin aata main bhi use khone ka hunar siikh na paaya us ko bhi mujhe chhoD ke jaana nahin aata is chhoTe zamane ke baDe kaise banoge logon ko jab aapas men laDana nahin aata DhunDhe hai to palkon pe chamakne ke bahane aansu ko miri aankh men aana nahin aata tarikh ki ankhon men dhuan ho ga.e khud hi tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata duur se hi bas dariya dariya lagta hai Duub ke dekho kitna pyasa lagta hai tanha ho to ghabraya sa lagta hai bhiiD men us ko dekh ke achchha lagta hai aaj ye hai kal aur yahan hoga koi socho to sab khel-tamasha lagta hai main hi na manun mere bikharne men varna duniya bhar ko haath tumhara lagta hai zehn se kaghaz par tasvir utarte hi ek musavvir kitna akela lagta hai pyaar ke is nashsha ko koi kya samjhe Thokar men jab saara zamana lagta hai bhiiD men rah kar apna bhi kab rah paata chand akela hai to sab ka lagta hai shakh pe baiThi bholi-bhali ik chiDiya kya jaane us par bhi nishana lagta hai hadson ki zad pe hain to muskurana chhoD den zalzalon ke khauf se kya ghar banana chhoD den tum ne mere ghar na aane ki qasam khaa.i to hai ansuon se bhi kaho ankhon men aana chhoD den pyaar ke dushman kabhi to pyaar se kah ke to dekh ek tera dar hi kya ham to zamana chhoD den ghonsle viran hain ab vo parinde hi kahan ik basere ke liye jo ab-o-dana chhoD den ham apne aap ko ik mas.ala bana na sake isi liye to kisi ki nazar men aa na sake ham ansuon ki tarah vaste nibha na sake rahe jin ankhon men un men hi ghar bana na sake phir andhiyon ne sikhaya vahan safar ka hunar jahan charagh hamen rasta dikha na sake jo pesh pesh the basti bachane valon men lagi jab aag to apna bhi ghar bacha na sake mire khuda kisi aisi jagah use rakhna jahan koi mire baare men kuchh bata na sake tamam umr ki koshish ka bas yahi hasil kisi ko apne mutabiq koi bana na sake tasalliyon pe bahut din jiya nahin jaata kuchh aisa ho ke tira e.atibar aa na sake hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jaa.e ye vo nahin jo kisi rahguzar ka ho jaa.e usi ko jiine ka haq hai jo is zamane men idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jaa.e khuli havaon men uDna to us ki fitrat hai parinda kyuun kisi shakh-e-shajar ka ho jaa.e main laakh chahun magar ho to ye nahin sakta ki tera chehra miri hi nazar ka ho jaa.e mira na hone se kya farq us ko paDna hai pata chale jo kisi kam-nazar ka ho jaa.e 'vasim' sub.h ki tanha.i-e-safar socho musha.era to chalo raat bhar ka ho jaa.e haveliyon men miri tarbiyat nahin hoti to aaj sar pe Tapakne ko chhat nahin hoti hamare ghar ka pata puchhne se kya hasil udasiyon ki koi shahriyat nahin hoti charagh ghar ka ho mahfil ka ho ki mandir ka hava ke paas koi maslahat nahin hoti hamen jo khud men simaTne ka fan nahin aata to aaj aisi tiri saltanat nahin hoti 'vasim' shahr men sachcha.iyon ke lab hote to aaj khabron men sab khairiyat nahin hoti jahan dariya kahin apne kinare chhoD deta hai koi uThta hai aur tufan ka rukh moD deta hai mujhe be-dast-o-pa kar ke bhi khauf us ka nahin jaata kahin bhi hadisa guzre vo mujh se joD deta hai bichhaD ke tujh se kuchh jaana agar to is qadar jaana vo miTTi huun jise dariya kinare chhoD deta hai mohabbat men zara si bevafa.i to zaruri hai vahi achchha bhi lagta hai jo va.ade toD deta hai kahan qatre ki gham-khvari kare hai samundar hai adakari kare hai koi maane na maane us ki marzi magar vo hukm to jaari kare hai nahin lamha bhi jis ki dastaras men vahi sadiyon ki tayyari kare hai baDe adarsh hain baton men lekin vo saare kaam bazari kare hai hamari baat bhi aa.e to janen vo baten to bahut saari kare hai yahi akhbar ki surkhi banega zara sa kaam chingari kare hai bulava aa.ega chal denge ham bhi safar ki kaun tayyari kare hai kahan savab kahan kya azaab hota hai mohabbaton men kab itna hisab hota hai bichhaD ke mujh se tum apni kashish na kho dena udaas rahne se chehra kharab hota hai use pata hi nahin hai ki pyaar ki baazi jo haar jaa.e vahi kamyab hota hai jab us ke paas ganvane ko kuchh nahin hota to koi aaj ka izzat-ma.ab hota hai jise main likhta huun aise ki khud hi paDh paanv kitab-e-zist men aisa bhi baab hota hai bahut bharosa na kar lena apni ankhon par dikha.i deta hai jo kuchh vo khvab hota hai khul ke milne ka saliqa aap ko aata nahin aur mere paas koi chor darvaza nahin vo samajhta tha use pa kar hi main rah ja.unga us ko meri pyaas ki shiddat ka andaza nahin ja dikha duniya ko mujh ko kya dikhata hai ghurur tu samundar hai to hai main to magar pyasa nahin koi bhi dastak kare aahaT ho ya avaz de mere hathon men mira ghar to hai darvaza nahin apnon ko apna kaha chahe kisi darje ke hon aur jab aisa kiya main ne to sharmaya nahin us ki mahfil men unhin ki raushni jin ke charagh main bhi kuchh hota to mera bhi diya hota nahin tujh se kya bichhDa miri saari haqiqat khul ga.i ab koi mausam mile to mujh se sharmata nahin kitna dushvar tha duniya ye hunar aana bhi tujh se hi fasla rakhna tujhe apnana bhi kaisi adab-e-numa.ish ne laga.in sharten phuul hona hi nahin phuul nazar aana bhi dil ki bigDi hui aadat se ye ummid na thi bhuul ja.ega ye ik din tira yaad aana bhi jaane kab shahr ke rishton ka badal jaa.e mizaj itna asan to nahin lauT ke ghar aana bhi aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin tera hona bhi nahin aur tira kahlana bhi khud ko pahchan ke dekhe to zara ye dariya bhuul ja.ega samundar ki taraf jaana bhi janne valon ki is bhiiD se kya hoga 'vasim' is men ye dekhiye koi mujhe pahchana bhi kuchh itna khauf ka maara hua bhi pyaar na ho vo e'tibar dila.e aur e'tibar na ho hava khilaf ho maujon pe ikhtiyar na ho ye kaisi zid hai ki dariya kisi se paar na ho main gaanv lauT raha huun bahut dinon ke baad khuda kare ki use mera intizar na ho zara si baat pe ghuT ghuT ke sub.h kar dena miri tarah bhi koi mera gham-gusar na ho dukhi samaj men aansu bhare zamane men use ye kaun bata.e ki ashk-bar na ho gunahgaron pe ungli uTha.e dete ho 'vasim' aaj kahin tum bhi sangsar na ho kya bata.un kaisa khud ko dar-ba-dar main ne kiya umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya tu to nafrat bhi na kar pa.ega is shiddat ke saath jis bala ka pyaar tujh se be-khabar main ne kiya kaise bachchon ko bata.un raston ke pech-o-kham zindagi-bhar to kitabon ka safar main ne kiya kis ko fursat thi ki batlata tujhe itni si baat khud se kya bartav tujh se chhuT kar main ne kiya chand jazbati se rishton ke bachane ko 'vasim' kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta tu chhoD raha hai to khata is men tiri kya har shakhs mira saath nibha bhi nahin sakta pyase rahe jaate hain zamane ke savalat kis ke liye zinda huun bata bhi nahin sakta ghar DhunD rahe hain mira raton ke pujari main huun ki charaghon ko bujha bhi nahin sakta vaise to ik aansu hi baha kar mujhe le jaa.e aise koi tufan hila bhi nahin sakta lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota hamare daur men aansu zaban nahin hota jahan rahega vahin raushni luTa.ega kisi charagh ka apna makan nahin hota ye kis maqam pe laa.i hai meri tanha.i ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota bas ik nigah miri raah dekhti hoti ye saara shahr mira mezban nahin hota tira khayal na hota to kaun samjhata zamin na ho to koi asman nahin hota main us ko bhuul gaya huun ye kaun manega kisi charagh ke bas men dhuan nahin hota 'vasim' sadiyon ki ankhon se dekhiye mujh ko vo lafz huun jo kabhi dastan nahin hota main asman pe bahut der rah nahin sakta magar ye baat zamin se to kah nahin sakta kisi ke chehre ko kab tak nigah men rakkhun safar men ek hi manzar to rah nahin sakta ye azmane ki fursat tujhe kabhi mil jaa.e main ankhon ankhon men kya baat kah nahin sakta sahara lena hi paDta hai mujh ko dariya ka main ek qatra huun tanha to bah nahin sakta laga ke dekh le jo bhi hisab aata ho mujhe ghaTa ke vo ginti men rah nahin sakta ye chand lamhon ki be-ikhtiyariyan hain 'vasim' gunah se rishta bahut der rah nahin sakta main apne khvab se bichhDa nazar nahin aata to is sadi men akela nazar nahin aata ajab dabao hai un bahari havaon ka gharon ka bojh bhi uThta nazar nahin aata main teri raah se ha.Tne ko haT gaya lekin mujhe to koi bhi rasta nazar nahin aata main ik sada pe hamesha ko ghar to chhoD aaya magar pukarne vaala nazar nahin aata dhuan bhara hai yahan to sabhi ki ankhon men kisi ko ghar mira jalta nazar nahin aata ghazal-sara.i ka da.ava to sab kare hain 'vasim' magar vo 'mir' sa lahja nazar nahin aata main is umiid pe Duuba ki tu bacha lega ab is ke ba.ad mira imtihan kya lega ye ek mela hai va.ada kisi se kya lega Dhalega din to har ik apna rasta lega main bujh gaya to hamesha ko bujh hi ja.unga koi charagh nahin huun ki phir jala lega kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye jo be-amal hai vo badla kisi se kya lega main us ka ho nahin sakta bata na dena use lakiren haath ki apni vo sab jala lega hazar toD ke aa ja.un us se rishta 'vasim' main janta huun vo jab chahega bula lega main ye nahin kahta ki mira sar na milega lekin miri ankhon men tujhe Dar na milega sar par to biThane ko hai tayyar zamana lekin tire rahne ko yahan ghar na milega jaati hai chali jaa.e ye mai-khane ki raunaq kam-zarfon ke hathon men to saghar na milega duniya ki talab hai to qana.at hi na karna qatre hi se khush ho to samundar na milega mere gham ko jo apna batate rahe vaqt paDne pe hathon se jaate rahe barishen aa.iin aur faisla kar ga.iin log TuuTi chhaten azmate rahe ankhen manzar huiin kaan naghma hue ghar ke andaz hi ghar se jaate rahe shaam aa.i to bichhDe hue ham-safar ansuon se in ankhon men aate rahe nanhe bachchon ne chhu bhi liya chand ko buDhe baaba kahani sunate rahe duur tak haath men koi patthar na tha phir bhi ham jaane kyuun sar bachate rahe sha.iri zahr thi kya karen ai 'vasim' log piite rahe ham pilate rahe miri vafaon ka nashsha utarne vaala kahan gaya mujhe hans hans ke harne vaala hamari jaan ga.i jaa.e dekhna ye hai kahin nazar men na aa jaa.e marne vaala bas ek pyaar ki baazi hai be-gharaz baazi na koi jitne vaala na koi harne vaala bhare makan ka bhi apna nasha hai kya jaane sharab-khane men raten guzarne vaala main us ka din bhi zamane men baanT kar rakh duun vo meri raton ko chhup kar guzarne vaala 'vasim' ham bhi bikharne ka hausla karte hamen bhi hota jo koi sanvarne vaala mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai jo dil men hai use ankhon se kahlana zaruri hai usulon par jahan aanch aa.e Takrana zaruri hai jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai na.i umron ki khud-mukhtariyon ko kaun samjha.e kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaruri hai thake-hare parinde jab basere ke liye lauTen saliqa-mand shakhon ka lachak jaana zaruri hai bahut bebak ankhon men ta.alluq Tik nahin paata mohabbat men kashish rakhne ko sharmana zaruri hai saliqa hi nahin shayad use mahsus karne ka jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaruri hai mire honTon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki is ke ba.ad bhi duniya men kuchh paana zaruri hai mujhe to qatra hi hona bahut satata hai isi liye to samundar pe rahm aata hai vo is tarah bhi miri ahmiyat ghaTata hai ki mujh se milne men sharten bahut lagata hai bichhaDte vaqt kisi aankh men jo aata hai tamam umr vo aansu bahut rulata hai kahan pahunch ga.i duniya use pata hi nahin jo ab bhi maazi ke qisse suna.e jaata hai uTha.e jaa.en jahan haath aise jalse men vahi bura jo koi mas.ala uThata hai na koi ohda na degre na naam ki takhti main rah raha huun yahan mera ghar batata hai samajh raha ho kahin khud ko meri kamzori to us se kah do mujhe bhulna bhi aata hai nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya hamen kisi se nibhana bhi to nahin aaya jala ke rakh liya hathon ke saath daman tak tumhen charagh bujhana bhi to nahin aaya na.e makan bana.e to faslon ki tarah hamen ye shahr basana bhi to nahin aaya vo puchhta tha miri aankh bhigne ka sabab mujhe bahana banana bhi to nahin aaya 'vasim' dekhna muD muD ke vo usi ki taraf kisi ko chhoD ke jaana bhi to nahin aaya rang be-rang hon khushbu ka bharosa jaa.e meri ankhon se jo duniya tujhe dekha jaa.e ham ne jis raah ko chhoDa phir use chhoD diya ab na ja.enge udhar chahe zamana jaa.e main ne muddat se koi khvab nahin dekha hai haath rakh de miri ankhon pe ki niind aa jaa.e main gunahon ka taraf-dar nahin huun phir bhi raat ko din ki nigahon se na dekha jaa.e kuchh baDi sochon men ye sochen bhi shamil hain 'vasim' kis bahane se koi shahr jalaya jaa.e sab ne mila.e haath yahan tirgi ke saath kitna baDa mazaq hua raushni ke saath sharten laga.i jaati nahin dosti ke saath kiije mujhe qubul miri har kami ke saath tera khayal, teri talab teri aarzu main umr bhar chala huun kisi raushni ke saath duniya mire khilaf khaDi kaise ho ga.i meri to dushmani bhi nahin thi kisi ke saath kis kaam ki rahi ye dikhave ki zindagi vaade kiye kisi se guzari kisi ke saath duniya ko bevafa.i ka ilzam kaun de apni hi nibh saki na bahut din kisi ke saath qatre vo kuchh bhi paa.en ye mumkin nahin 'vasim' baDhna jo chahte hain samundar-kashi ke saath sabhi ka dhuup se bachne ko sar nahin hota har aadmi ke muqaddar men ghar nahin hota kabhi lahu se bhi tarikh likhni paDti hai har ek ma.arka baton se sar nahin hota main us ki aankh ka aansu na ban saka varna mujhe bhi khaak men milne ka Dar nahin hota mujhe talash karoge to phir na paoge main ik sada huun sadaon ka ghar nahin hota hamari aankh ke aansu ki apni duniya hai kisi faqir ko shahon ka Dar nahin hota main us makan men rahta huun aur zinda huun 'vasim' jis men hava ka guzar nahin hota shaam tak sub.h ki nazron se utar jaate hain itne samjhauton pe jiite hain ki mar jaate hain phir vahi talkhi-e-halat muqaddar Thahri nashshe kaise bhi hon kuchh din men utar jaate hain ik juda.i ka vo lamha ki jo marta hi nahin log kahte the ki sab vaqt guzar jaate hain ghar ki girti hui divaren hi mujh se achchhi rasta chalte hue log Thahar jaate hain ham to be-nam iradon ke musafir hain 'vasim' kuchh pata ho to bata.en ki kidhar jaate hain sirf tera naam le kar rah gaya aaj divana bahut kuchh kah gaya kya miri taqdir men manzil nahin fasla kyuun muskura kar rah gaya zindagi duniya men aisa ashk thi jo zara palkon pe Thahra bah gaya aur kya tha us ki pursish ka javab apne hi aansu chhupa kar rah gaya us se puchh ai kamyab-e-zindagi jis ka afsana adhura rah gaya haa.e kya divangi thi ai 'vasim' jo na kahna chahiye tha kah gaya tahrir se varna miri kya ho nahin sakta ik tu hai jo lafzon men ada ho nahin sakta ankhon men khayalat men sanson men basa hai chahe bhi to mujh se vo juda ho nahin sakta jiina hai to ye jabr bhi sahna hi paDega qatra huun samundar se khafa ho nahin sakta gumrah kiye honge ka.i phuul se jazbe aise to koi rah-numa ho nahin sakta qad mera baDhane ka use kaam mila hai jo apne hi pairon pe khaDa ho nahin sakta ai pyaar tire hisse men aaya tiri qismat vo dard jo chehron se ada ho nahin sakta tumhari raah men miTTi ke ghar nahin aate isi liye to tumhen ham nazar nahin aate mohabbaton ke dinon ki yahi kharabi hai ye ruuTh jaa.en to phir lauT kar nahin aate jinhen saliqa hai tahzib-e-gham samajhne ka unhin ke rone men aansu nazar nahin aate khushi ki aankh men aansu ki bhi jagah rakhna bure zamane kabhi puchh kar nahin aate bisat-e-ishq pe baDhna kise nahin aata ye aur baat ki bachne ke ghar nahin aate 'vasim' zehn banate hain to vahi akhbar jo le ke ek bhi achchhi khabar nahin aate tu samajhta hai ki rishton ki duha.i denge ham to vo hain tire chehre se dikha.i denge ham ko mahsus kiya jaa.e hai khushbu ki tarah ham koi shor nahin hain jo suna.i denge faisla likkha hua rakkha hai pahle se khilaf aap kya sahab adalat men safa.i denge pichhli saf men hi sahi hai to isi mahfil men aap dekhenge to ham kyuun na dikha.i denge udasiyon men bhi raste nikal leta hai ajiib dil hai girun to sambhal leta hai ye kaisa shakhs hai kitni hi achchhi baat kaho koi bura.i ka pahlu nikal leta hai Dhale to hoti hai kuchh aur ehtiyat ki umr ki bahte bahte ye dariya uchhal leta hai baDe-baDon ki tarah-dariyan nahin chaltin uruuj teri khabar jab zaval leta hai jab us ke jaam men ik buund tak nahin hoti vo meri pyaas ko phir bhi sambhal leta hai use samajhne ka koi to rasta nikle main chahta bhi yahi tha vo bevafa nikle kitab-e-mazi ke auraq ulaT ke dekh zara na jaane kaun sa saf.ha muDa hua nikle main tujh se milta to tafsil men nahin jaata miri taraf se tire dil men jaane kya nikle jo dekhne men bahut hi qarib lagta hai usi ke baare men socho to fasla nikle tamam shahr ki ankhon men surkh sho.ale hain 'vasim' ghar se ab aise men koi kya nikle vo mere ghar nahin aata main us ke ghar nahin jaata magar in ehtiyaton se ta.alluq mar nahin jaata bure achchhe hon jaise bhi hon sab rishte yahin ke hain kisi ko saath duniya se koi le kar nahin jaata gharon ki tarbiyat kya aa ga.i T-v ke hathon men koi bachcha ab apne baap ke uupar nahin jaata khule the shahr men sau dar magar ik had ke andar hi kahan jaata agar main lauT ke phir ghar nahin jaata mohabbat ke ye aansu hain unhen ankhon men rahne do sharifon ke gharon ka mas.ala bahar nahin jaata 'vasim' us se kaho duniya bahut mahdud hai meri kisi dar ka jo ho jaa.e vo phir dar dar nahin jaata vo mujh ko kya batana chahta hai jo duniya se chhupana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chahun jise saara zamana chahta hai qalam karna kahan hai us ka mansha vo mera sar jhukana chahta hai shikayat ka dhuan ankhon se dil tak ta.alluq TuuT jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahi qissa purana chahta hai ye hai to sab ke liye ho ye zid hamari hai is ek baat pe duniya se jang jaari hai uDaan vaalo uDanon pe vaqt bhari hai paron ki ab ke nahin hauslon ki baari hai main qatra ho ke bhi tufan se jang leta huun mujhe bachana samundar ki zimmedari hai isi se jalte hain sahra-e-arzu men charagh ye tishnagi to mujhe zindagi se pyari hai koi bata.e ye us ke ghurur-e-beja ko vo jang main ne laDi hi nahin jo haari hai har ek saans pe pahra hai be-yaqini ka ye zindagi to nahin maut ki savari hai dua karo ki salamat rahe miri himmat ye ik charagh ka.i andhiyon pe bhari hai zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai samundaron hi ke lahje men baat karta hai khuli chhaton ke diye kab ke bujh ga.e hote koi to hai jo havaon ke par katarta hai sharafaton ki yahan koi ahmiyat hi nahin kisi ka kuchh na bigaDo to kaun Darta hai ye dekhna hai ki sahra bhi hai samundar bhi vo meri tishna-labi kis ke naam karta hai tum aa ga.e ho to kuchh chandni si baten hon zamin pe chand kahan roz roz utarta hai zamin ki kaisi vakalat ho phir nahin chalti jab asman se koi faisla utarta hai zindagi tujh pe ab ilzam koi kya rakkhe apna ehsas hi aisa hai jo tanha rakkhe kin shikaston ke shab-o-roz se guzra hoga vo musavvir jo har ik naqsh adhura rakkhe khushk miTTi hi ne jab paanv jamane na diye bahte dariya se phir ummid koi kya rakkhe aa gham-e-dost usi moD pe ho ja.un juda jo mujhe mera hi rahne de na tera rakkhe arzuon ke bahut khvab to dekho ho 'vasim' jaane kis haal men be-dard zamana rakkhe